Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 12

So here it is ...

sukhan'war = poet
andaz-e-bayaN = style of expression
haiN aur bhi duniya me sukhan'war bahut achchhe
kehete hai, ki 'GHalib' ka hai kuchh andaz-e-bayaN aur
GHalib was never afraid of loudly proclaiming his greatness.
That's one of the reasons, why I like him so much. A person
is not truely great, if he himself fails to recognize his own
greatness.
==========================================================
chaar-suu = "chaaroN or" or "everywhere"
wo ho ke khushbu ki tarah, faila tha mere chaar-suu
maiN use, mehsus kar sakata tha, chhu sakata na tha
- Adeem
==========================================================
KHudara = for God's sake
ab mere rone_waaloN, KHudara jawaab do
wo baar baar puchhate hai, kaun mar gaya
- Unknown
hayaat = life/birth
Kazaa = death
laayi hayaat aaye, Kazaa le chali, chale
na apani KHushi aaye, na apani KHushi chale
- Jauk
No difficult words this time :-)
sher kehate ho bahut KHub tum 'AKHtar', lekin
achchhe shayar, ye suna hai, ki jawaaN marate haiN
- AKHtar
zaban-e-'Mir' samajhe, zaban-e-"Mirza" samajhe
magar inaka kehana, na ye samjhe na KHuda samajhe :-)
GHalib's retort is equally entertaining
wo puchhate hai, ki 'GHalib' kya hai
koi batalaye hame, ki ham batalaye kya !
mumkin = possible

ye dhuaN kam ho, to pehchan ho mumkin shayad


yuN to wo jalata huaa, apana hi ghar lagataa hai
- Ezaaz Aazar
ta'alluK = relation (same as "taalluK")
saare musaafiroN se ta'alluk nikal padaa
gaadi me ek shaKHs ne, aKHabaar kya liya
- Aslam Kolsari
What a way to describe "sukh ke sab saathi ..." !
shayad mujhe nikaal ke, pachhata rahe ho aap
mehfil me is KHayaal se, phir aa gayaa huN maiN
- Hameed Adam
==========================================================
kuchaa - street ("gali")
shanaasa - acquainted
isi kuche me kaiN, uske shanaasa rehate haiN
wo kisi aur se milane ke bahaane aaye
- Parveen Shakir
ye kin nazaroN se aaj tumane dekha,
ke tera dekhana, dekha na jaaye
- Ahmed Faraz
unko aata hai pyar pe GHussa,
hume GHusse pe pyaar aata hai
- Amir Minai
numudaar = obvious/manifest
dupatte ko aage se, duharaa na oDHo,
numudaar cheeze, chhupane se haasil
- Baha'r
tabassum = smile
dekhane_waaloN, tabassum ko Karam mat samjho !
unhe to dekhane_waaloN pe haNsi aati hai
- Sudarshan 'Faaqir'
bosaa = kiss
aariz = lips
kya nazaakat hai, ki aariz unke neele pad gaye
humne to bosaa liya tha, KHwaab me tasveer ka !

- Unknown
mahashar = doomsday
Qarim = God
mahashar me ek sawaal kiya tha Qarim ne
mujh se wahaN bhi, aap ki tareef ho gayi !!!
- Adam (!)
laakh chehare the, ek chehare par
phir qi'yaafaa_shanaas kya karate
- Saagar Mehdi
Got it ? :-)
Well, that big word in that small Sher means "physiognomist" or
"face-reader". Now, now it's clear ! :-)
tavaNgar = rich/wealthy
isi KHataa pe wo ek din maaraa jaayega
garib hoke tavaNgar dihaayee deta hai
- Shaahid Kabir
teGH = talwaar
wo teGH mil gayi, jis se hu'aa hai qatl mera
kisi ke haath ka us par, nishaaN nahiN milta
- Kaifi Aazmi
Here is one example of a long metre Sher, which I like for its superb
fluidity and rhythm.
muztarib = betaab/bechain
unhe KHat me likha tha ke, "dil muztarib hai",
jawaab unka aayaa - "muhabbat na karate,
"tumhe dil lagaane ko, kis ne kaha tha ?
behal jaayega dil, behalate behalte"
hooreN = plural of "hoor" meaning Apsara.
jis me lakhoN baras ki hooreN ho
aisi jannat ko, kya kare koi ?
- Daag Dehlvi
aaNkhoN me jo bhar loge, to kaaNtoN se chubhenge
aaNkhoN me jo bhar loge, to kaaNtoN se chubhenge
ye KHwaab to, palakoN pe sajaane ke liye haiN
dil dhundata hai, phir wohi, fursat ke raat-din
baithe rahe, tasavvur-e-jaanaaN kiye hue

patta patta, buta buta, haal hamara jaane hai


jaane na jaane, gul hi na jaane, baag to sara jaane hai
tum mere paas hote ho goyaa [=jaise]
jab koi dusaraa nahiN hota
janaaza rok kar mera wo kuchh is andaaz se bole
"gali humane kahi thi, tum to duniya chhod jaate ho"
- Safi Lakhnawi
GHalibe-KHasta ke bagair, konase kaam band haiN ?
roi'ye zaar zaar kya, kiji'ye haaye haaye kyuN
aabalaapa = having blisters on the feet [jiske paaNvoN me chhaale pade ho]
dasht = veeraanaa
aabalaapa koi is dasht me aayaa hogaa
warnaa aaNdhi me diya, kisane jalayaa hogaa
- Meenakumari
reKHta = an old name for the Urdu Language
reKHta ke tum hi ustaad nahiN ho, 'GHalib'
kehate haiN, agale zamaane me, koi 'Mir' bhi tha !!
Isaa = "Isaa Messiah" or Jesus Christ. Here it should be taken as
just Messiah or "healer".
baad marane ke, meri Kabr par wo aayaa 'Mir'
yaad aayi hai, mere Isaa ko dawaa, mere baad
- 'Mir' Taqi Mir
gor = grave [kabr]
yaaN = yahaaN
gor kis diljale ki hai ye falak
shola ik, subah yaaN se uthata hai
- 'Mir' Taqi Mir
It took me some time to realize that, Mir is talking about sunrise !
sang-e-mazaar = tombe-stone
teshaa = small pick-axe [chhota kudaal]
mere sang-e-mazaar par, Farhaad
teshaa rakh_kar kahe hai, "Ya Ustaad" !
- 'Mir' Taqi Mir
sonaa diyaa sonaar ko, paayal banaa diyaa
dil diyaa dildaar ko, GHaayal banaa diyaa
pyaar ka phool, prem ki maalaa

buri oil waale, teraa engine kaalaa


tajurbat = plural of "tajurba" meaning experiences
havaadis = occurrences/mishaps
duniya_ne tajurbat-o-havaadis ki shaql me
jo kuchh mujhe diya hai, wo lauta raha huN maiN
- Sahir Ludhiyanvi
KHaar = thorn [kaaNtaa]
maanaa ki is zamiN ko na _gulzaar_ kar sake
kuchh KHaar kam to kar gaye, guzare jidhar_se ham
aa'ine-zabaaN_bandi = "aa'in" means 'law' and "zabaaN_bandi" means
"restriction on speech". So the entire thing
means 'law against freedom of speech'.
ye aa'ine-zabaaN_bandi hai kaisa teri mehfil me
yahaaN to baat karane ko tarasati hai, zabaaN meri
- Iqbal
kyuN_kar = kaise
haal-e-dil yaar ko likhu kyuN_kar
haath dil se judaa nahiN hota !!
- Momin
Here is my interpretation.
Dil me dard itna hai, ki haath bas dil pe rakhkha hai.
Use ye fursat hi kahaN ki wo dil se judaa hoke likhane ka kaam kare !
nibaah karana = waada nibhaana
ham bhi kuchh KHush nahiN wafaa karake
tumane achchha kiya, nibaah na ki !!
- Momin
piyaa baaj pyaalaa piyaa jaaye na
piyaa baaj yak til jiyaa jaaye na
- Mohammed Quli Qutubshah
wo to bataa rahaa thaa, bahut door ka safar
zanjeer kheeNch kar, jo musaafir utar gayaa
- Mid'hatul AKHtar
aaj wo kaali ghataaoN pe haiN naazaaN lekin
chaand si roshani baaloN me utar aayegi !
- Dr. Zarina 'Sani'

bistar ki silbatoN se, ye mehasoos ho raha hai


toda hai dam kisine, karawat badal badal ke
- ??
taqalluf = formality
iKHlaas = sincerity
tum taqalluf ko bhi iKHlaas samajhate ho, 'Faraz'
dost hota nahiN har shaKHs, haath milane_waalaa
- Ahmed Faraz
izzat use mili, jo watan se nikal gayaa
wo phool sar chaDHa, jo chaman se nikal gaya
- ??
GHam_KHwaari = friendship
sa'i farmaana = to make efforts
dost GHam_KHwaari me meri, sa'i farmaayenge kya ?
zaKHm ke bharane talak, naKHun na baDH jaayenge kya !
- Mirza "ASAD"ullakhaN 'GHalib'
Ye dost meri kyaa madad karenge ? Wo haath, jinse meri zakhm ko raahat
mil sakati hai, unhi haathoN ke naakhun, mere zakhm ke bharane se pehale
hi badh jaayenge, aur mujhe dubaaraa zakhmi karenge.
qaasid = postman
koi naam-o-nishaaN puchhe, to ai qaasid bataa dena
taKHallus 'Daag' hai, aur aashiqoN ke dil me rehate haiN
- Daag Dehalvi
iqbaal-e-jurm = confession
aur iqbaal-e-jurm kya ho 'Shakeel'
thartharaate laboN par aah to hai
irfaan = knowledge
apani hasti ka bhi insaan ko irfaan na hu'aa
KHaaq phir KHaaq thi, aukaat se aage na badhi
gulacheeN = one who plucks flowers
gulacheeN ne to koshish kar Daali, suni ho chaman ki har Daali
kaaNtoN ne mubarak kaam kiya, phooloN ki hifaazat kar baithe
shab-e-wisaal = milan ki raat
bazm = mehfil

shab-e-wisaal hai, roshan chiraag gul kar do


KHushi ki bazm me kya kaam jalane waaloN ka
- Daag Dehalvi
ranj = dukh
guftagu = baatcheet
ranj ki jab guftagu hone lagi
aap se tum, tum se tu hone lagi
- Daag Dehalvi
Barriers of formality start falling down when matters of common
grievances are discussed. Nothing new, but what a way to say it !
jaanib-e-manzil = towards destination
maiN akelaa hi chalaa thaa jaanib-e-manizil, magar
log saath aate gaye, kaaravaaN banataa gayaa !
- Majrooh Sultanpuri
hum bhi wahiN maujud the, hum se bhi sab puchhaa kiye
hum haNs diye, hum chup rahe, manzur tha pardaa tera
- Ibne Insha
shab_bhar = raat_bhar
kal chaudaviN ki raat thi, shab_bhar rahaa charchaa tera
kisne kahaa ye chaand hai, kisne kaha cheharaa tera
- Ibne Insha
rang = here it dosen't mean 'colour' but rather 'style'.
koi samjhaa'iye, kya rang hai maikhaane ka,
aaNkh saaqi ki uTHe, naam ho paimaane ka
raah me unse, mulaqaat ho gati,
jis se Darate the, wohi baat ho gayi
(the song from Vijaypath *ing Vijay Devgan, Tabbu)
The Sher I have, goes like ...
raaste me unse, mulaaqaat ho gayi
ji Dar raha tha jis se, wohi baat ho gayi
- Unknown
rafta-rafta = slowly [same as "dhire dhire"]
rafta-rafta wo meri hasti ka saamaaN ho gaye
pehale jaaN, phir jaane-jaaN, phir jaane-jaanaaN ho gaye
- Taslim Faazali
sarfaroshi = aatmabalidaan
baazu-e-qaatil = qaatil ki baahoN me
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil me hai
dekhanaa hai, zor kitanaa, baazu-e-qaatil me hai

- Bismil
ham aah bhi karate haiN, to ho jaate haiN badanaam
wo qatl bhi karate haiN, to charcha nahiN hota
- Akbar Ilahabadi
ibtidaa-e-ishq = begining of love
ibtidaa-e-ishq hai, rota hai kya
aage aage dekhiye, hota hai kya
mudda'i = opponent
mudda'i laakh bura chaahe to kya hota hai
wahi hota hai, jo manzure-KHuda hota hai
lutf-e-mai = sharab ka mazaa
zaahid = orthodox/pios
lutf-e-mai, tujh se kya kahuN zaahid
haay KambaKHt ! tune pi hi nahiN
makeen = tenant, one who dwells
rahaa na dil me wo bedard, aur dard rahaa
makeen kaun huaa hai, makaan kis ka thaa !
- Daag Dehlvi
rahaa na dil meiN woh bedard, aur dard rahaa
muqeem kaun huaa hai, maqaam kis kaa thaa!
dekh to, dil ki jaaN se uTHataa hai
ye dhuaaN sa, kahaaN se uTHataa hai
na huaa, par na huaa, 'Mir' ka andaaz naseeb !
'Zauk', yaaroN ne bahut zor, GHazal me maaraa !!
aqeedaa = belief
bakaule-'Naasikh' = according to Naasikh (another poet)
be-bahara = unfortunate/stupid
motakid-e-'Mir' = Mir ke prati shraddha rakhane_waale
'GHalib', apanaa to aqeedaa hai bakaule-'Naasikh'
aap be-bahara haiN, jo motakid-e-'Mir' nahiN
Forget the Urdu, what GHalib says is - if you are not a worshiper of
Mir, then you are stupid !!
ranj-o-gham = dukh-dard
deewaan = compilation of Shayari
ham ko shaa'ir na kaho, 'Mir', ki saahib ham ne
kitane ranj-o-gham jamaa kiye, to ik deewaan kiya !

- Mir Taqi Mir


wasl ki raahat = milan ka sukh
ab bhi dilkash hai tera husn, magar kya kije
aur bhi dukh haiN zamaane me muhabbat ke siwa
raahate aur bhi haiN, wasl ki raahat ke siwa
mujhse pehali_si muhabbat, meri mehboob, na maang !!!
dil-fareb = attractive/tempting
rozgaar = day-to-day life
duniya ne teri yaad se begaanaa kar diya
tujhse bhi dil-fareb haiN, gham rozgaar ke
seharaa = desert
baade-naseem = gentle breeze
raat yuN dil me, teri khoyi hui yaad aayi
jaise veeraane me, chupake se bahaar aa jaaye
jaise seharaaoN me, haule se chale baade-naseem
jaise beemaar ko, be-vajah qaraar aa jaaye
kar rahaa tha gham-e-jahaaN ka hisaab
aaj tum yaad, behissab aaye
tumhari yaad ke jab zaKHm bharane lagate haiN
kisi bahaane tumhe yaad karane lagate haiN
kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai
kahaN ho tum, ke ye dil beqaraar aaj bhi hai
I am giving the last 3 lines of this
Nazm.
KHuda wo waqt na laaye, ke tujhko yaad aaye ...
wo dil, ke tere liye beqaraar ab bhi hai
wo aaNkh, jisko tera intezaar ab bhi hai
mata-e-lauh-o-qalam = likhane ka saamaan [pen, ink etc.]
mata-e-lauh-o-qalam chhin gayi, to kya gham hai
ke khoon-e-dil me dubo li haiN ungaliyaaN maine
- 'Faiz' Ahmed Faiz
maut ek geet raat gaati thi
zindagi jhoom jhoom jaati thi
maut ka bhi ilaaj ho shaayad

zindagi ka koi ilaaj nahiN


raat bhi, neend bhi, kahaani bhi
haaye, kya cheez hai, jawaani bhi
hizr = judaai
hizr me aaTH pahar ka rona
baat itni_si, gham itna_sa
ladakpan ki ada hai jaan-levaa
GHazab ye chhokari hai haath-bhar ki
ek muddat se teri yaad bhi aai na hame
aur ham bhool gaye ho tujhe, aisa bhi nahiN
- Firaq Gorakhpuri
chupake chupake raat din aaNsu bahaanaa yaad hai
humko ab tak, aashiqui ka, wo zamaanaa yaad hai
sher dar'asal wohi hai, 'Hasrat',
jo sunte hi dil me utar jaae
chupake chupake raat din aaNsu bahaanaa yaad hai
hum ko, ab tak, aashiqui ka wo zamaanaa yaad hai
|01|
---------[ The first line of the following Sher is quite difficult. It means,
"with restlessness unbounded, eagerness unconfined" ]
iztaraab = restlessness
ishtiaaq = longing
baahazaaraa iztiraab -o- sad'hazaaraa ishtiaaq
wo tujhse pehale pehal, dil ka lagaanaa yaad hai |02|
---------bebaak = bold
tujhse milte hi wo kuchh, bebaak ho jaanaa mera
aur tera daaNtoN me wo, ungali dabaanaa yaad hai
----------

|03|

daf'atan = suddenly
kheNch lenaa wo mera, parde ka konaa daf'atan
aur dupatte se tera, wo muNh chhipaanaa yaad hai
----------

|04|

qasad-e-paabosi = effort to kiss her foot


jaan kar sota tujhe, wo qasad-e-paabosi mera
aur tera THukara ke sar, wo muskuraanaa yaad hai
----------

|05|

az raah-e-lihaaz = with due caution


tujhko jab tanha kabhi paanaa to az raah-e-lihaaz
haal-e-dil baatoN hi baatoN me jataanaa yaad hai
----------

|06|

jab siwa mere tumhara, koi diwaanaa na thaa


sach kaho, kya tumko bhi wo kaarkhaanaa yaad hai
----------

|07|

ghair ki nazroN se bach_kar, sab ki marzi ke khilaaf


wo tera chori chhipe, raatoN ko aanaa yaad hai
----------

|08|

wasl ki shab = milan ki raat


zikr-e-firaaq = mention of parting
aa gayaa gar, wasl ki shab me kahiN zikr-e-firaaq
wo tera ro ro ke, mujhko bhi rulaanaa yaad hai
----------

|09|

dopehar ki dhoop me, mere bulaane ke liye


wo tera koTHe pe nange paaoN aanaa yaad hai
---------

|10|

bargashtaa = turned against (here "rooTHa huaa")


dekhanaa mujhko jo bargashtaa, to sau sau naaz se
jab manaa lenaa to phir, khud rooTH jaanaa yaad hai
---------

|11|

chori chori hum se tum, aakar mile the, jis jagah


muddate guzariN, par ab tak wo THikaanaa yaad hai
---------

|12|

baawajud-e-idda-e-ittqa = despite my vow of piety


ahd-e-hawas = sensuous days
baawajud-e-idda-e-ittqa, 'Hasrat' mujhe,
aaj tak ahd-e-hawas ka yeh fasaanaa yaad hai
---------

|13|

beruKHi ke saath sunanaa, dard-e-dil ki daastaaN


aur tera, haathoN me wo, kangan ghumaanaa yaad hai |14|
--------waqt-e-ruKHsat = at the time of parting
waqt-e-ruKHsat alwidaa ka labz kehane ke liye
wo tere sukhe laboN ka, thartharaanaa yaad hai
---------

har mulaaqaat ka anjaam, judaai kyuN hai ?

|15|

ab to har waqt, yehi baat sataati hai hame


but_kadaa = house of the beloved (quite apt !!)
ab to jaate hai, but_kade se, 'Mir'
phir milenge, agar KHudaa laayaa
- Mir Taqi Mir
vaaiz = orthodox/pious
'GHalib', bura na maan, jo vaaiz bura kahe
aisa bhi koi hai, ki sab achchha kahe jise
- Mirza ASADulaakhan Ghalib
zamaanaa bade shauq se sun rahaa thaa
hamiN so gaye, daastaaN kehate kehate
- Saaqib

==========================================================

You might also like