Police ki maar sabse khatarnak nahi hoti, Gaddari, lobh ki mutthi sabse khatarnak nahi hoti. Baithe bithaye pakde jana bura to hai, Sahmi si chhup me jakde jana bura to hai, Par sabse khatarnak nahi hoti. Sabse khatarnak hota hai murda shanti se bhar jana, Na hona tadap ka, sab kuch sahan kar jana, Ghar se nikalna kaam par, aur kaam se loutkar ghar aana, Sabse khatarnak hota hai,Hamare sapno ka mar jana. Sabse khatarnak woh ghadi hoti hai Tumhari kalai pe chalti hui bhi jo Tumhari nazar ke liye ruki hoti hai Sabse khatarnak wo aankh hoti hai Sab kuchh dekhte hue bhi jo thandi barf hoti hai Jiski nazar duniya ko mohabbat se chumna bhul jati hai Jo chizo se uthati andhepan ki bhanp par phisal jati hai Sabse khatarnak woh chand hota haijo har katla kand ke baad sune angan me nikalta haipar tumhari ankho me mircha sa nahi chubhata
Sabse khatarnak woh disha hoti hai
Jisme aattma ka suraj dub jata hai sabse khatarnak hota hai sapno ka mar jana