Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 6

Namaz kya hai???

Request: Typing mistakes k lye maafi chahta


hu.
Islam ki buniyaade(foundations) 5 cheezo pe
tiki hui hai:
1. Tauheed, yaani k Pehla Kalma.
2. Namaz
3. Zakat
4. Roza
5. Hajj
Isme (1) & (2) AESE FARAIZ hai jo EK
ZINDA INSAAN pe KISI BHI HAAL me MAAF
NHI HAI.
Ulemao ne Namaz chodne wle ko Kafir kaha
hai.
Iske FARZ hone me koi do rae nhi hai. Jo
firke deen se hate hue hai, wo bhi iske farz
hone pe sawaal nhi uthate.
Aaj hmare har kaam ka nuksaan Namaz ko
uthana padta hai. Jaise k logo ko Bazaar
jana hai, Dawat me jana hai, Business krna
hai, Dunia k kaamo ko me mashgool rehna.
Aur jb in sb se free hote hai, tb ja k kahin
namaz k baare mein sochte hai.
Log make-up ki wajah se namaz nhi padhte,
libaas(bahut zyada tayyar ho k mehfilo me
jaane ki) wajah se kyunki Wuzu se unki poori
zeenat kharab ho jaegi. Wuzu se baal kharab
ho jaengey. Zindgi k saare maamlo me hm
namaz ko sbse kam aehmiyat dete hai baaki
saare maamlo me, jbki hona iska ulta hona
chahiye.

Kuch log hm mein aese hote hai jo eid se eid


namaz padhte hai. Aur afsoos is baat ka hai k
kuch log toh eid par bhi nhi padhte. Ramzaan
me bhi 50-60% log hi namaz padhte hai
khaaskr beech k 2 hafto me.
Kya namaz chodne wla musalmaan hai
hmare nazdeek? Lekin na unhe koi kuch
kehta hai aur bahut km log hi ispe amal karte
hai.
Ek shakhs dosto ya rishtedaro ki mehfil me
baitha hota hai, namaz k waqt wo uth k jata
hai. Na wo baazu wle ki fiqr krta hai aur na hi
baazu wla uski fiqr krta hai k ab namaaz ko
jana chahiye. Kya wo momin rha jo azaan
sunne k baad bhi namaaz ko na aya bina ksi
sharia ujr k(bahut bdi pareshani ya majboori).
Agr hm Gunah e Kabira ki list uthae toh inme
Shirk k baad dusre number pe namaaz
chodna aata hai. Ab sochiye kitna zyada bda
gunah hua ye. Lekin aaj namaz chodne se
asaan kaam shayad hi kuch ho hamare paas.
Agr har shakhs dusre pe ilzaam na lagate
hue apne girebaan me jhanke aur sirf apni
namaaz k bare me soche k, maine kitni
padhi, k mein kahin dunia me toh nhi kho jata
hu. Wo kaam jo aapko namaz se rokte hai,
wo aapko kbhi kaamyabi nhi dengey.
RasoolAllah ko jis cheez ki itni tadap rhi, lekin
afsos aaj use musalmano k lye chodna kitna
aasaan ho gya hai.
Quran ki Surah Baqara ki teesri ayat me
Momin ki qualities btayi gyi hai:
1. Imaan late hai gaib(jo dikhtai nhi deta) par.
2. Namaz qayam karte hai aur jo unhe dia

gya hai usme se kharch krte hai Allah ki rah


me.
Kaafir k Islam qubool krte hi, RasoolAllah ne:
1. Kalma padhwaya.
2. Ghusl kara k Namaz padhai.
Kaafiro pe faqr na kijiye k inse pehle hm
jannat me jaengey; lekin kya hamare aamaal
waise hai jaise me Islam me btaya gya hai.
Kya uski buniyado ka khayal kia hamne? Ye
jannat ki soch hm sbme paayi jati hai. Lekin
soch toh bdi achchi hai k hm jannat me
jaengey, lekin kya hm waise jannati aamaal
kr rhe hai? Bahut sochne wli baat hai ye.
Jannat ka khayaal bda pyara hai aur ek
Momin k dil me hona bhi chahiye k hm
Jannati hai. Lekin kya hm waise aamaal kr
bhi rhe hai. Aamaal chod k agr jannat ki
khwahish rakhengey toh ye sirf khwahish hi
reh jaegi. Jaise k, agr hm angoor k ped k
neeche muh khol k baith jae aur intezar kre k
angoor muh me aa k girega. Iske kya
chances hai k angoor muh me hi aa k girega,
(kya probability hai)? Aur agr gir bhi gaya toh
koi sada gla hi aa k girega. Asal cheez ko
paane k lye hme koshish krni hogi. Khali
Imaan hona ya ek musalmaan ka naam hona
ya musalmaan k ghar paida ho jaana hi kaafi
nhi hai. Aur koshish na karne ki halaat me
aese khayalaat bebuniyaad rahengey aur
inka koi faeda nhi hoga.
Quran ki Surah Muminun ki Ayat 1 & 2 me
kaha gya hai:
1. Yaqeenan qamyaab ho gye wo log jo
Imaan laye.
2. Momin wo hai jo apni namaz me khushu

aur khuzu akhtiyar karte hai.


Khushu, yaani Allah ka darr, poora dil aur
dimaag sb kuch namaz me hota hai. Kuch
bhi idhar-udhar nhi, aur masjid me daakhil
hote hi dunia aur uski baato ko bahar chod k
aatey hai.

insaan pehle maamle me hi fail ho gya apne


Rabb k saamne toh aagey k maamlo me kya
muh dikhaega apne Rabb ko. Wo kehte hai
na, First impression is last impression.
Yaani k jaise pehle sawal ka result hoga,
waise hi aagey k bhi maamlaat hongey.

Quran ki Surah Maun(107) ki 4th Ayat me


kaha gya hai:
Laanat hai, Halaqat hai, Barbadi hai,
Jehannum hai unlogo k lye jo namaz me
ghaflat krte hai, ya aese namazio k lye.
Aur kaun se namazi? Jo apni namazo ko
bhool baithe hai. Ghaflat krte hai, yaani k
kbhi padhte hai, kbhi nhi padhte. Ya agr
padhte bhi hai toh unka dimag poori tarah
namaz se bahar hota hai. Aur namaz is lye
padhte hai k logo ko dikha sake k ham
namazi hai. Sochne ki baat hai k kahin
hamara maamla bhi aesa toh nhi ho gya na k
Abba padhte hai toh hm bhi padhte hai ya
poora khandaan padhta hai toh mein bhi
padh lu. Kahin hm namaz sharma-sharmi me
toh nahin padhte. Lekin, aesi namaz ka koi
sawab nhi kyunki ye logo ko dikhane k lye
padhi gyi hai. Namaz sirf Allah k lye padhi
jaani chahiye.

Aur jb namaz kam pad jaegi toh kya hoga???


Aur agr namaz hui hi nhi toh isse khatarnaak
baat ek insaan soch bhi nhi sakta.

RasoolAllah ne farmaya(Tirmizi) ki sbse


pehle hisaab akhirat me Allah swt namaz ka
lengey apne bando se. Agr ye hui poori toh
iske baad ka maamla asaan hoga, lekin agr
aesa na hua toh iske baad ka hm soch bhi
nhi sakte jb pehle question me hi fail ho
jaengey. Iski misaal is tarah hai k ek insaan
ko Accounts sambhalne k ly rakha gya aur jb
saal k aakhir me boss ne report maangi toh
wo kya jawab dega, jb usne kuch likha hi nhi.
Kya wo bolega k maine kuch nhi likha. Jb

Jb pehla hi maamla aesa hoga toh aagey kya


hoga sochein. Aur Allah se phr kya rehmat ki
ummed aur maghfirat ki sochengey. 2,4 ya 5
sawal k baad gadbad ho toh samajh aat hai.
Lekin yahan toh pehla hi maamla hai. Agr
namaz hi nhi poori toh Jannat ka bare me
jaane ka kaise soch sakte hai hm log?
Jb hm namaz padhengey toh RasoolAllah k
lye asaani hogi hmare lye sifarish krne me.
RasoolAllah ki aankho ki thandak btaya hai
namaz ko.
Ek sahabi(yaani k wo insaan jinhone
RasoolAllah ko apni aankho se dekha ho aur
Imaan laye ho) jinka naam Rabi bin
Kaaf(sahabi e khaas) tha wo RasoolAllah ki
bahut khidmat krte they.Ek din RasoolAllah
ne unse pucha k kya maangte ho, unhone
farmaya RasoolAllah jannat chahta hu. Toh
aapne kaha k agr tm jannat chahte ho toh
sajdo k zariye meri madad kro.
Jo insaan namazi hai, RasoolAllah ne us
insaan k jannati hone ki zamanat le li. Zra
gaur farmaiye k kaun zamanat yaani k
guarantee le rha hai namazi ki.

Namaz qayam kro aur faraiz, nawafil ka


aehmaam krna chahiye. Isse aasani hogi
insaan k lye sifarish krne me qayamat k din.
(Iske Bagair bilkul nhi ho sakta) Log
RasoolAllah ki shafaat(sifarish) k naare
bharte hai, lekin namaz gayab hai. Jo shafaat
aur jannat chahta hai wo kasrat se waqt pe
masjid me aa k namaz padhe.
Dunia me insaan bhale hi qamyaab ho jaye
agr wo namaz nhi padhta, lekin wo Allah aur
akhirat k nazdeek qamyaab nhi hai. Akhirat
me qamyaab hone k lye do shartein hai.
1. Imaan hona.
2. Namaz hona.
Jab ranj aur gham ho insaan ko, ksi taqleef
me ho toh namaz padhni chahiye. Ye usme
rahat deti hai.
Ae wo logo jo Imaan laye, Allah se madad
chaho namaz aur sabr k zariye. RasoolAllah
pe koi musibat aati toh wo namaz padhte.
Sajde me gir(matlab namaz padhte) jaate.
Allah swt k saamne jhuk jaeye uske baad
sabr kijiye. Ye namaz har taqleef aur dard ka
ilaaj hai.
Quran ki Surah Ibrahim(14) ki Ayat 40 me
kaha gya hai:
Jb Hazrat Ibrahim AS ne Kaba ki buniyaad
daali aur dua krte hai apne Rab se Ae Allah
mujhe aur meri aulaad (aane wli naslo) ko
namaz qayam krne wla bna.
Zra dekhiye, Ibrahim AS apni aulaad k lye
dua kr rhe hai. Ye toh Allah k nabi hai, aur
nabiyon ki dua koi aam dua nahi hoti. Bahut
khaas duaen nabi maangte hai, tbhi toh ye
duaein Quran me dohrai gayi hai taaki log

jaan ke k ye duaein hai.Ye maangna chahiye


Allah se.
Aesa kitni baar hua k hmne aesi cheese
maangi ho Allah se apne aur apni majuda,
aane wali nasalo k lye?
Ab uske thoda aagey dekhiye, Quran ki
Surah Maryam(19) ki Ayat 55 me farmaya
gya hai:
Ismail AS(Nabi) aesa banda tha jo apne logo
ko namaz qayam krne aur zakat ka huqm
deta tha.
Quran ki Surah Taha(20) ki Ayat 132 me
farmaya gya hai:
Apne gharwlo ko namaz ki taqeed kijiye aur
khud bhi namaz padhiye.
(Ye Allah swt ka huqm hai aur zra sochiye
isko chodna kitna zyada bda gunah hua. Aur
ye tbhi ho sakta hai jb hm khud namaz
padhna shuru karengey.) Aaj ki society me
log dusro ko samjhate hai deen aur khud k
ghar ko guide krne ki koi parwah hi nhi.
Hme pehle khud namaz ka paband hona
padega aur uske baad dusro ko islah krni
hogi. Jab tak ki aap me se koi ek mar nhi
jaata tb tak aap taqeed(guide) karte
rahengey apne ghar k logo ko. Apni aulaad
ko aap aese hi nhi chod sakte jb aap dusro
ko itna taqeed krte ho. Zra sochiye aesi
koshish hmne kitni baar ki?
Namaz chodna Islam ki Imarat ko dahane
jaisa hai jo 5 pillar pe tiki hui hai. Aur gr ek
pillar bhi hata toh insaan ka Imaan, uski
ibadat poori nhi hui.
Jo shakhs namaz nhi padhta wo darr
haqeqat Allah k deen ka ek pillar girata hai.

Aur jo deen ka pillar giraega uska haal wo


khud bhi soch nhi sakta k kya hoga uske
saath. Bs ye andaza lga le k wo kiski
nafarmani kr rha hai. Aur apne Rabb se kya
ummed rakhega, is baat ko khud hi samajh
le.
RasoolAllah farmate hai k namaz momin k
lye akhirat me:
1.Noor hai (roshni degi)
2. Burahaan hai (daleel/gawah banegi)
3. Najaat hai (Jehannum se bachaegi aur
jannat me le jaegi.)
Aur jo insaan namaz nhi padhega, wo in
teeno cheezo ko kho dega.
RasoolAllah ne sahaba ko k, Ek insaan k
ghar k saamne se ek k nadi behti ho aur wo
usme 5 waqt nahata ho, yam uh-haath dhota
ho. Toh kya wo kbhi kharab hoga, ya koi
gandgi uspe lagegi? Sahaba ne farmaya
bilkul nhi. Bilkul usi tarah 5 waqt namaz
padhne wla Insaan Gunahe Sagheera se
paak ho jata hai.
*Bukhari aur Muslim
[Hadees ki kitabo me sabse uncha muqaam
rkhne wli kitabe]
Ek namaz se dusri namaz tak k saare
gunahe sagheera maaf kr diye jaate hai. Aur
jo paani wuzu me chehre, palko, muh,
aankho se girta hai, wo un deegar hisso se
hue hue gunaho ko jism se mita deta hai. Ye
hai namaz.
Anjaane me ho gy hue gunaho ko maaf
krwati hai namaz, lekin namaz pdhna aur
uske baad gunah krne k lye ijazat bilkul nhi
deti hai. Jaan puch k kiye hue gunaho k

lye(jisme gunahe sagheera aur kabira dono


aatey hai) tauba krna zaruri hai.
Fajr k waqt jb azaan hoti hai toh ek farishta
roz aelaan krta hai k, ae logo utho aur apni
aankh se Jehannum ki aag ko bujhao.Yaani k
namaz dhal ban ajegi Jehannum ki aag k
aagey.
Ab hme Jehannum hi nhi pta toh kya dhal aur
kya use bachna. Ye bahut buri baat hai.
RasoolAllah farmate hai k jo shakhs namaz
uske waqt me uske poore haq k sath ada
karega uska hisaab-kitaab qayamat k din
siddiqin aur shohda k sath lia jaega.[Kya hi
behtareen sathi hai wo. Hm sbko amal aur
dua krni chahiye Allah swt se iske lye.]
Momin ki ek quality ye bhi hai k wo achchai
ka huqm dete hai aur burai se logo ko rokte
hai, lekin uske liye buraiyo ka bhi pta hona
hmare liye wajib hai(Wajib wo hoti hai jiske
darja farz se thoda kam hota hai lekin usko
chodna gunah dilwata hai insaan ko).
Saari ibadate(zakat,roza,Hajj etc) upar se
nechey bheji gyi, lekin namaz upar bula k di
gyi.[Zyada jaanne k lye Meraj ka waqiya
padhe.]
Baaqi sari ibadatein(ramzaan,eid etc) chand
se chalti hai lekin namaz suraj se chalti hai.
Ye iski aehmiyat ko samjhane k lye kaafi nhi
k kitni ahem ibadat hai jo bula k di ja rhi hai.
Lekin afsos hmne ispe dhyan nhi dia.
27 Rajab ko log khoob kha-pe k manate hai
lekin kya namaz ada karte hai? Ye tohfa toh
zindgi bhar k lye dia gya tha.

Ye toh kafiro ki aadat hai k wo naam, tyohar


aur din toh le lete hai lekin amal chod dete
hai.
Naam Meraj
Tohfa Namaz
Amal Apne aap se puche ke hmne kya ada
kia jo khushiyan mana rhe hai uske milne ki?
Sach btau toh ye jhoothi khushiyan hai.
RasoolAllah(Tabrani) farmate hai ke Masjid
me aane wla har shakhs Allah ka mulaqati
hota hai.
Aur hm log jaante hi hai k mehmaan jis ghar
ka ho uski aehmiyat waise hi hoti hai. Toh
namazi masjid ki taraf jata hai Allah se
mulaqaat krne. Toh jo insaan Allah ki
mehmaan nawazi chahta hai wo Allah k ghar
5 waqt jana shuru kr de.
7 saal k bachche ko samjhaeye namaz k lye,
aura agr bachcha 10 saal ka ho jae, na
padhne me zarb lgao(maaro).
Islam ne bacho se pyaar k lye mna nhi kia
lekin kya aap akhirat me ye chahengey k
khud jannat jae aur bachche jehannum me
jale? Toh phr wahan ka laad-pyaar kijiye
bachche se, kyunki agr namaz nhi padhega
toh jannat me nhi jaega. Bachche ko
samjhaye k aap use jehnnaum se bachana
chahte hai uske walid(father) hone k naate
islye use namaz padhwae. Ye hai asli
mohabbat. Baaqi cheese deen se dur krne sb
shaitani mohabbat hai.
Zaid Ibn Haars farmate hai k
tammam(complete) zindgi mein RasoolAllah
k sath raha, lekin unhone kbhi ksi ko Uff tak
ngi kia.(hm tb kehte hai jb ksi se pareshan ho

jate hai) Lekin wo bacho ko keh rhe hai k


zarb lgao. Islye is amal ki aehmiyat
samajhiye kyunki sazaein bahut zyada sakht
hai. Jb bachcha masjid se lga rhega, toh
InshaAllah namazi ban jaega. Lekin ye
walidein ka kaam hai, iski zimmedari unpe
hai aur tarbiyat se le k bahut sakht sawal
hoga walidain se aulad k talluq se. Kaha jata
hai k jinki aulad nhi hai, unki is dunia me
aazmaish hai. Aur jinki aulaad hai, unki aur
zyada aazmaish hai aulaad k zariye se.
Lekin aulaad ko namaz padhane k lye hme
khud masjid me aana padega. Jb aap
aehmiyat bteangey, kr k dikhaengey k baap
masjid bhag k, neend chod k jar rhe hai, tbhi
uske dil me aehmiyat paida hogi. Bachpan
me hi bachhe ko apne hisaab se dhala ja
sakta hai, lekin jb ek baar wo bda ho jata hai
toh bahut mushkil hoti hai usko sudhaarne
me.
Aur jo bachche namaz nhi padhte, toh uska
azaab walidain ko bhi milega kyunki ye unki
tarbiyat ka natija hai. Aur azaab is had tak
milega k unko maut bhi aa jae, toh wo
azaabe jaaria ban jaega un walidain k lye.
Aur nammaz kin hi balki aur gunaho me bhi
un walidain(parents) ka hissa hoga. Isilye
walaidain ki bahut badi zimmedari hai aulad
ki deeni tarbiyat.
RasoolAllah farmate hai k Islam aur Kufr k
darmiyan ka fark Namaz hai.
Iska matlab hua k Jo
namaz padhe : Wo momin, aur
Jo na padhe: Wo Kafir

RasoolAllah farmate hai k benamazi ka


hisaab Firaun(Jisne Allah hone ka dawa kia
tha), Hamaan(Firaun ka wazir jo logo ko
behkaya karta tha aur sarkashi me aagey
badh gya tha), Haroon(Jisne takabbur kia,
use uske khazane k saath ki dhasa dia gya
zameen me) aur Abi bin Qalf(Mushrikin e
Mecca ka sardar) k sath saf me khade kr k
hoga.
Islye hme chahiye k aesi namaaz qayam
kare k marte dam tak na chode. Khud k lye
bhi dua kare aur apne ghar ke logo k lye bhi.
Sirf ek namaz chodne ka gunah:
Ex. Asr ki: Maano ek insaan se uska saara
maal cheen lia jaye aur iske saath-2 uske
saare k saare rishtedaar mar jae. Sochiye
kitna afsos hoga us insaan ko. Jaise ki Ek
bacha ghar se nikle aur 100 rupee gira k aa
jae toh hm use daante hai, bazaar me ja k
puchte phirte hai ka kahan girae wagairah-2.
Aur yahan sirf ek namaz chodne ka ye haal
hai. Andaza lgaeye ki insan ki zindgi bhar ki
kamayi uski tijori se nikaal li jae toh kitna
afsos taari hoga uspe. Usse zyada afsos
hoga insan ko bs ek namaz k chootne pe.
Ek maa-baap-bhai-behen ka inteqaal ho jae
toh hmara is dunia se dil hat jata hai, hm
jeena psand nhi karte aur maut ki talab krte
hai. Toh andaza bhi nhi lga sakte hm baat ka
k sare rishtedar mar gye ek saath. Afsos k
hmne kitni namaze chod di hai. Pdh li toh
padh li, nhi padhi toh koi baat nhi. Ye halat
hai hamari. Zra sochieye ka apni namazo ka
kya jawab denge hm Allah ko.

RasoolAllah farmate hai jo shaks namaz me


ghaflat karta hai(sirf ek namaz ki) neend le
aur so jae. Maine aese logo ko dekha hai k
farishte inhe leta kr inke saro ko patthar se
kuchal rhe hai.
Sir islye kuchla jar ha hai kyunki insaan ka
dimag jisse wo sahi aur galat me fark karta
hai uska sahi istemal nhi kia usne. Islye
dekhengey k zyadatr azaab sir se shuru kiye
jar he hai hote hai Jehannum me jaise k
khaulta hua paani dala jar ha hai, sir pe
hataude se mara jar rha hai, dimaag ubal rha
hai. Zyadatr sazaein dimag ko di jar hi hai ya
wahan se shuru ho rhi hai. Aur jb dimaag ka
istemal nhi kia dunia me toh ab chakho
maza.
RasoolAllah farmate hai k jo log masjid hote
hue ghar me namaz padhte hai, bajamaat nhi
padhte. Mera dil chahta hai unke ghar jala
du.
RasoolAllah farmate hai k Munafiq k lye Fajr
aur Isha ki namaz bahut mushkil hoti hai.
[Munafiq wo hota hai jo Jehannum k sbse
nichle hisse me hoga. Jehannum k sbse
nichle hisse tak pahunchne k lye agr aaj ek
pathar giraya jae, toh 70 saal baad uske sbse
nichle hisse me pahuncheyga.]
Quran ki Surah Nisa(4) ki Ayat 142 me kaha
gya hai:
Jo Allah ko dhoka dena chahte hai, lekin wo
dar haqeqat wahi dhoke mein hai. Aur jb
namaz k lye khade hote hai toh bahut susti
aur kaheli se namaz k lye khade hote hai. Aur
logo ko btane k lye khade hote hai.

Allah ka Ziqr nhi karte, mgr bahut thoda.


Dil bahut km hota hai unka namaz mein.
RasoolAllah k daur k sahaba jaise Imaan k
pakke they waise hi RasoolAllah k daur k
munafiq qayamat tak aane wle munafiqo me
se sbse kattar munafiq they. Lekin inki
himmat bhi nhi thi k namaz chode. Aur aj hm
Imaan wle ho k namaz chodte hai. Hadees
padhiye: Munafiq bhi safo me aatey they,
namaz padhte they kahili se. Aur aaj hm
apne aap ko momin bol k kitni namaze
chodte hai. Islye agr un munafiq se hamara
comparison kia jaye toh wok kam se km
namaz k maamle me toh hmse behtar ho
gye. Namaz nhi chodte they wo munafiq bhi.
Jo shaks namaz chod de, wo saza ka
mustahak ho gya. Allah se wo muafi ki
ummed chod de. Ab usko sza zaroor milegi.
Jb tak insaan namaz padh rha hai, Allah swt
uspe azaab me kami karega. Jo namaaz
chod dega(sirf ek namaz bhi)uske tamaam
amaal baatil(bekaar) hai. Ksi kaam k nhi rhe
uske lye.[Itni baatein ek samjhdar ko smjhne
k lye kaafi hai.]
Ex. Haj kia, Roza rakha, Zakat di lekin namaz
nhi padhi. Sb amaal batil hai. Namaaz hi toh
kunji(chabi) hi sb amaalo ko paas karane k
lye. Ye na hui toh baki sb khallas.
RasoolAllah jb tak zinda they tb tak namaaz
padhi. Sochiye zra, Jo shaks nabiyo ka
leader ho wo maut k waqt tak namaz padhta
hai aur hm ummati isko itna halke me lete hai
k maano kuch hai hi nhi. RasoolAllah pe
maut tak namaaz farz thi, aur hm log isko
kaise tark kia karte hai.

RasoolAllah ki maut ka waqt kareeb tha, 3-4


din pehle aapko Bukhaar tez ho gya. Kaha k
ye us yahudan aurat k us zehrile luqme ka
asar hai mujhpe. Tbiyat kharab thi toh do
sahaba k kandho pe haath rakh k namaaz k
lye aye. Aakhri waqt me farmaya: Namaz,
Namaz aur apne ghulamo ka khayal rakhna.
Siwae maut k, namaz ki maafi nhi hai. Ye
safar me, jung me, jihad me, garmi me, sardi
me, barish me, bimari me ksi bhi halat me
maaf nhi hai. Jung me hathyar k sath padhi
jayegi. Jaan k laale hai, lekin namaz tb bhi
maaf nhi hai. Sochiye zra, hm log toh yahan
kitne aman aur sukoon me rehte hai aur tb
bhi ye haal hai.
Musibat me, Gham me, Zalzale me, Toofan
me har jagah namazo ko tarjih di gyi.
Namaz bure aur gande kaamo se insaan ko
rokti hai. Logo ko behayai se bachati hai.
Namaz ksi pe bhi maaf nhi hai.
Sochiye jb Nabi itna namazi, toh ummatiyo
ka kya hoga?
Aur namaz me waswase usi ko ayengey jo
imaan pe chalne ki koshish kr rha hoga.
Waswase aane de, namaz kbhi na chode.

Sahaba ki Namaz kaisi thi:


1. Ek sahaba namaz padh rhe they.
Khajure lgi hui thi jo k pak gyi thi. Unki
nazre uth gyi. Upar dekh lia namaz ki
halat me khajuro ko. Namaz khatam
ki. RasoolAllah k paas gye aur bole
aap gawah rahiyega, poora baagh
sadqa kr dia maine Allah ki rah me.
Asal baat kyat thi? Bs khajuro ne
nazre uthwa di thi namaz me bs aur
namaz me khalal dala.
2. Do sahaba dushman fauj k bhaag
jaane k baad pahad pe pehre de rhe
they, k agr dushman fauj aye toh bta
de. Raat ka waqt tha, dono ne socha k
eke k krke so lete hai aadhi-2 raat.
Pehle ek sahaba so gye, aur dusre
namaz padhne lge. Dushman aa gya.
Usne dekha koi hai pahad pe toh teer
mara jo sedhe aa k unki raan me lga.
Wo namaz padhte rhe, phr salam
phera aur dusre sahabi ko bola k
dushman aa gya bta do. Toh dusre
sahabi ne pucha k tmne bola kyu nhi
jb tmhare teer lga toh, toh jin sahabi
ko teer lga tha wo bole mein Surah
Kahaf ki Tilawat kr rha tha namaz me

aur mera dil nhi hu rukne ka. Ye tha


namaz me khushu aur khuzu.
3. Ek baar Hazrat Ali RA k paer me qeel
chubh gyi. Nikalne me bahut taqleef
hoti thi unko. Nikalne me bahut dard
hota toh nikalne nhi dete they. Ek
sahibi aye bole, chod do mat nikalo.
Phr Hazrat Ali namaz padh rhe they.
Tbhi wo keel nikal li gyi unke paer se
aur unhone uff tak nhi kia. Baad me
namaz padh k aye toh takleef khatam
ho chuki thi. Unhone pucha, Toh unko
btaya gya k namaz k waqt keel nikal li
gyi. Jb cheez ki aehmiyat hoti hai
zindgi me toh insaan ko uske alava
kuch bhi yaad nhi hota. Usi me poora
doob jata hai. Ex. Hazrat Yusuf wla
waqiya jisme aurto ne apni ungliyan
kaat dali thi unko dekh k.
Jo kuch hua pechey, use chodiye. Sachche
dil se Allah swt se tauba kijiye. Aur wada kare
k ab kabhi nhi dohraengey aesi galti. Wada
kijiye k maut aane tak namaaz paabandi se
padhengey. Wrna aesa na ho k maut aa jaye
aur tauba ka mauqa bhi na ho kyunki us waqt
mauqa nhi dia jayega.

Aakhir me bs 2 baatein aur kahunga k:


1. Ksi bhi sawab k chotey se amal ko kabhi
chota na samjhey. Aur ksi bhi gunah ko chota
na smjhe kyunki zindgi bhar chota sa kia hua
gunah aakhirat me bahut bdi saza dilwa
sakta hai. Isko is tarah se smjhe k hm kya
mombatti ki aag me 5 min jalna bardasht kr
paengey? Agr nhi kr sakte, toh Jehannum ki
mamuli si aag bhi jo is dunia ki sbse garm
aag se 70 guna zyada hogi(minm 10,000+
degree) toh use kaise bardasht kr paengey
apne jism pe. Aur jehannum me jism bhi koi
mamuli jism nhi hoga is dunia ki tarah, azaab
k lye jism ka size itna bda kar dia jaega ki 2
kandho k beech ka raasta cover krne me 3
din ka waqt lag jaega. Gaur kijiyega is baat
pe.
2. Agr iske baad bhi aapka dil nhi krta namaz
ko aane ka, toh mera bs ek chota sa kaam kr
dijiyega, InshaAllah aapko bahut sawab
milega. Ksi ek insaan ko din me bs 5 waqt
namaz padhne k lye keh dia kjiye. Ye kehna
aur karna asaan bhi hai lekin zabaan se
kehna zaruri hai.

You might also like