Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 22

lisanyaat say motalaq

kuch
sawal jawab
By
Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutab'khana


July 2016

lisanyaat bara ahum aur hisas subject hai is par


kam hi likha parha jata hai. Ahbab ki dilchaspi kay
liay main nay sawalan jawaban is mozoo ko chera
hai kayoon'kah is hawala say bhi aaghi rehni
chahiay.

lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab

1- Zoban ka safar kab tehrao, oljhao aur pachidgi


ka shakar hota hai?

a. Taza za , sakoot au layae iat kay doo


. Bayfik i au sakoo kay doo

ai .

ai .

2-Zoban ka khameer kin kin aanasar say othta hai?


Kiya in aanasar ka ta'aluq waseab say bhi hota hai?

Shakhas kay aalaat-e-notaq aur moaawan


aalaat-e-notaq.
In say aawazain nikalti hain aur in hi kay hawala
say istamaal main aati hain

aalaqa, mahool, zarorat, aab-o-hawa, mosam


Moaashrat/ motalqa waseab kay rovaeay aur
rujhanaat zoban ki taraqi ka sabab bantay hain.
Kam az kam doo ashkaas jin ki moaashrat aur
zoban eak ho
Eak si aawaz nikalnay par qadar hoon
Mahajrat ki surat main main bhi mahajar
sa zameen par doo eak zoban bolnay walay
ashkhaas apni zoban main goftagu karkay aasudgi
mehsous kartay hain. oon ki nasal bhi aisa kar kay
aasudgi mehsous karti hai.
Es main asbeat ka bhi dakhal hota hai.

3-Zoban kay mazaaj aur rowaeyoon ko samjhnay


kay liay ki pehlooo ka ja a za o i hota hai?

Os kay mohawray ko janna zroori hota hai.

4-Kiya mukhtalif zobanoon kay milaap say eak


naee zobaan banti hai?
Nahai , ilkul ahai , yah az iya a a gu
hai.

ahku

Haan zobanain kisi bhi zoban ki taraqi ka sabab


banti hain.

5-daisi au adaisi zo a kay ahu alfaz say


zobanoon main jidat aati hai ya mafaheem maim
gehraee paida hoti hai kay hawala say kuch
kahain?

Izhaar ko vosat milti hai

Lafzoon ka talafaz badal jata hai

Naay lehjay ta kee patay hain

Naay alfaz ta kee ptay hai


eain+nak

Naay

a ak aat a tay hai

asla :

6- Kiya zoban kay rasam-ul-khat main bhi tabdeli


aati rehti hai ya nahain?
Aati nahain laee ja sakti hai ya laree jati hai. Jis tara
Turki kay sath howa. Is say zoban ko noqsan
ponchta hai:
Porana warsa zaya ho jata hai
Kuch aawazain baqi nahain rehtein. Maslan Urdu
aur Roman Urdu khat ko hi daikh lain.Urdu khat
aur dev nagri khat ko malahza farma lain. Punjabi
aur gurmakhi ki misal mojood hai.
Urdu kay pas 63 say ziyada aawazein hain Raman
Urdu main likhtay waqt marakab aur mutradaf
aawazoon say kaam chalana parta hai.

7-Mukhtalif zobanoon main kiya koee qadar


mushtarek hoti hai?
Ji haan, maslan:

a- Bohat sari aawazain mushtarek hoti hain


b- Zarab-ul-Amsaal aur mohavray mushtarek hotay
hain
c- Marakab aavazain eak si milti hain
d- Eak dosray kay alfaz laiti hain ya yoon keh lain
bohat say alfaz mushtarek hain jis tara Urdu main
tumbakoo Punjabi main tamakoo japani main
tabakoo is hawala say u ge t isalai di ja sakti
hain

8- zoban main vosat kin aanasar say hoti hai?


o

takhliqi azhaan

zaroratoon ka bhar jana

Azhaar ki aazadi

Taghaeraat

Samaji moaashi aur masharti tabdiliaan

Aazmaesh ki surat-e-haal

Inqalaab

Pareshani, baicheni aur iztarabi kafiyaat

dukh aur karab

Agar qomoon main khud say zinda rehnay

ka shaoo au
motaharak

ada ho to oh

rehti hain

simabi firat

Kuch kar gozrnay ka janoon aur jazba

moqablay ki aadat/jazba

harkat masalsal harkat

malghobiat ka shidat say ehsaas

jis ta a afsa ay ai
ahdat-e-taassa kay
bagher afsani, afsani nahain rehta bilkul ossi tara
la hakpaze i kay aghe zo a koo ai ka
mandak hoti hai.

9 badaisi, daisi jabkah daisi badaisi ki zoban bolnay


ki koshesh kartay hain. badaisi Hakam ki zoban kis
tara matasar karti hai aur os kay asraat kis qisam
kay moratab hotay hain?
assal moamla rabtay ka hai. Badaisi ki khaesh hoti
hai kah woh baat ko behtar toor par samjha sakay
daisi chahata hai kah ossay os ki zoban main
sa jhaya jaay. Woh yah hi hahata hai kah
Haka kay ziyada azdeek ho. Is say asi af alfaz
ka tabadal hota hai balkah lehjay bhi tabdeel hotay
hain. Woh apnay apnay nahvi set up kay motabaq
alfaz daitay laitay rehtay hain.
Arbi manay na manay Urdu, Punjabi, pothohari,
Saraeki, Mivati, Sindhi, Barahvi waghera main
hoor,ahwaal, okaat wahad hain. tazkeer-o-tanees
main Pashto apna mazaj rakhti hai aur woh liay gay
alfaz ko apnay lisani set up kay motabaq lay gi.
bilkul issi tara zima ko zoma, qof'li ko qulfi, khalvat
ko khilvat boolna Urdu Punjabi waloon kay liay aeb
nahain.

Momkinility, voteraan, sportraan, moteraan,


motarain, horain, Urdu Punjabi waghera main kab
ghalt hain. yahhi surat-e-hal maeni ki hai. Dosri
zobanoon main kuch kay kuch ho jatay hain.
Ghareeb bamaeni moflis
Khsam bameni khawand
Rashi bameni rishwat lainay wala

10- kiya Hukaran tabqay ki zoban ghalib rehti hai


ya maqami zoban/zobanain/boliaan bhi baqi rehti
hain?
koee zoban apna vajood tayagnay kay liay teiar
nahain hoti. Koee zoban mar nahain sakti jabtak os
kay doo bolany walay mojood rehtay hain. Haan
albata tabdiliaan aati rehti hain rasam ul khat
badal jatay hain aur yah bura amal nahain.
Amrikan, Bartanvi, Faransisi, Pakistani, Hindustani
angraizi main zameen aasman ka faraq hai. Yahhi

surathal Arbi Urdu Punjabi waghera ki hai.


Hamaray haan baray dafatar main angraizi ka raj
hai laikin bahar gali main issay koee pochta tak
ahai is kay a ajood ada ista too pa ool
chaal main angraizi alfaz aa jatay hain. eak door
main yahhi surat Arbi aur Farsi ki thi. Jo alfaz bila
jawaz dakhal kiyay jatay hain ehsas-e-kamtari ka
saboot hotay hain laikin jo juz-e-zoban ho jatay
hain aeb nahain samjay ja saktay masla:
I mean aap wahaan kayoon nahain gay ya I think
hum ko yah done kar laina chahiay.
Yah Urdu set up kay motabaq hain laikin inhain
a hi aza say ahai daika jaay ga. A yah ju lay
dekheay:
Hamaray haan ki laydiaan aasman ki horoon say
kisi tara kam nahain hain.
(laydiaan, horoon)
Tamamam omeedwaran apnay apnay sportran kay
sath polling station kay bahar kharay natijay ka

intazar kar rahay thay.


(sportran, polling station)
Lari addy par har shehar ko janay wali moterain
khari thein.
(Moterain)
Yah jumlay qataee ajnabi nahain hain aur is qesam
ki guftagu aam toor par sonay ko mil jati hai.
Maeni ko hi dekh lain:
Sexy, animal , saer tamasha, jaluos kab apnay assal
maenoon main istmal hotay hain.
Mukhtasar yah kah zobanain marti ya khatam
nahain hotein, hakam aur mahkoom eak dusray
say mataar hotay hain. yah oon ki rabtay ki
zaroorat aur majbori hoti hai.

11-kisi zoban kay acha ya bura honay kay baray


aap ki kiya aay hai?
Koee zoban achi buri nahin, tamaam zobanain

rabtay ka zariya-o-wasila hain. Urdu kay siwa


tamaam zobanain aawazoon kay hawala say
kazoo hai . Is o yaad pa o hai a ha u a
nahain kaha ja sakta. Haan izhaar kay hawala say
koee aay di ja sakti hai. Ap i ka i au kazo i ko
marakab aawazoon say woh pura karnay ki
koshesh karti hain.

12- Is jadeed door main matrook ho janay walay


alfaz ki koee ehmeat baqi hai?
Kayoon nahain, woh os ehad ki masharti, moashi,
samaji, nafasyati aur saqafti hawaloon ka warsa
hai. Guzra kal onhein kay hawala say jana aur
pehchana ja sakta hai. Lafz kiya mahavroon ki surat
badal gaee hai aur wo soo tara say istamal main aa
rahay hain. in matrook alfaz, mahavraat main
tabdiliaan aur aslobi tagheraat say zoban ki taraqi
ki rafter ka andaza kiya ja sakta hai. Wo os shakl
main mojood nahain hotay haan albatah tabdilioon
ke satha zoban ka hissa rehtay hain

Karvat laina, karvat badalna darust samjha jata hai:


maslan
woh hal likh chala hoon karvat badal badal kay
Satyanaas marna, satyanaas karna/hona mostamal
ho giya hain
Kitabi aur bazaar ki zoban mukhtalif hoti hai.
Adakaeyaan ko kitab wala kab adaoon kay
maenoon main tasleem karay ga.

13-kiya boliaan zobanoon kay sath sath chalti rehti


hain?
a- haan sath sath chalti rehti hain
b- matasar karti hain
c- matasar hoti hain

14-kiya boliaan zobanoon ki takhleeq main


moaawan sabat hoti hain?
boolioon say zobanain takhleeq nahain hotein.

Haan

taraqi karkay zobanain ban jati/sakti hain

Zobanoon ki taraqi main moawan sabat


hoti hain.

zobanoon kay izhaar ko vosat mayasar aati


hai.

Jan kay (Jan bojh kar), mokmakao aisay alfaz Urdu


kay liay ajnabi nahain hain.
Yahhi surat badaisi zobanoon ki hai. Glass
a ae i pa i/lassi aghe a pi ay ka pi a a,
dafta a ae i offi e, t a ae i d, ta asha,
jaloos waghera aam istamal kay alfaz hain.
Mahajar apni assal par reh nahain sakta aur Yah
asool-e-firat hai.
Zobanain lafzoon ko apnay mazaj, zarorat, halaat
aur nahvi nazam ke tehhat laiti aur oon ka istamal
karti hain.

15-zoban main awazoon ki ehmeat kiya hai?


Zobanain hain hi awazoon ka majmoah. Aawaz ki
tabdeli say maeni badal saktatay hain.
Zikar aur zakar kay moenoon ko daikh kar baat
samjh main aa jati hai.

16- In aawazoon ki kitni aqsaam hain?


Urdu main 3 tara ki avazain hain:
a- alap paran
b- maha paran
c- alamti
dusri zobanoon main marakab aawazain bhi
milti hain. Maslan sheen ko sh waghera say likha
jata hai. Zaay Fa si ko io say azay kiya jata hai.
Issi tara mutbadal/mutradaf aawazoon say bhi
kaam chalaya jata hai. Maslan Arbi Pakistan ko
Bakistan likh parh aur bool saktay hain
kayoon'kah arbi main pay awaz hai hi nahain.

Miwati sharbat ko sarbat hi istamal karay ga.


Angraizi main aur mojood nahain hain lihaza
motradaf d aur t ko istamal main laya ja'ay ga.

Japani main dou tara kay sign hain. Hira


gana, Kana kata.

Chini aur Korian ki bhi kuch is say mukhtalif surat


nahain.
Aa azoo kay
hain.

akhaz u haad au u gi t

17- Kiya khita ki tabdili say aawazoon ki noeat


tabdeel ho jati hai?
Ji haan, aalaqa ki tabdili say faraq aata hai.
Mivaat aur Chatoor aur phir Rajistan main sheen ki
aawaz nahain wahaan seen say kaam chalaya jata
hai. Maslan basher say baser
Punjabi walay zuma hi bolain gay halankah zima
bool saktay hain.

Issi par hi moqoof nahain aawazoon ko wahaan ka


kalchar, nafasyaat, rasam-o-ravaj, mazaj aur
rovaeoon ko apnana parta hai.

18- Awazoon kay zeer-o-bum say alfaz kay


maeni-o-mafaheem main faraq aata hai?
Kayoon nahain, maslan
Roko, mat janay doo
Roko mat, janay doo
Maenoon main zamein aasman ka faraq aa giya
hai.

19-kiya aawazain farad kay andar ki aakasi karti


hain?
ji haan.
Boolnay kay andaz say shakhas ka batan jan liya
jata hai.

20- Aawazoon ko samajhnay aur haqiqat tak


rasaee kay liay kin lowazmaat ki zaroorat hotai
hai?
Aawazoon ko samjhnay kay liay hissi nazaam ka
faaal au kisi o s say pak ho a aihaad za o i
hota hai. Dosra tajarba aur mashaeda bari ehmeat
kay hamal hotay hain.

21-aawazoon kay hawala say aap nay kis noeat ka


kaam kiya hai?
Zobanoon ki awazain
Taqabli aur ishtaraki motalalah
Zobanoon ka bahmi ishtarak aur sanjain

22- Aawazoon par kaam kartay waqt kisi qisam ki


dushwari paiash atti hai?
Mehnat karna pari hai warna koee mushkal paish
nahain aee.

Bazaar main, mukhtalif tabqoon say bohat kuch mil


jata hai, bas ghoor karnay ki zarorat hoti hai.

23- Aawazoon say koon sa ilm mayasar aata hai?

Insan ka batan

Lafz ki nafasyaat

Lafz ka kalchar

Kaenaat say reshta aur os say motalqaat


say aaghi

24-zobanoon kay khandanoon kay hawala say kiya


kehtay hain?
Mein is nazriay ko tasleem nahain karta. Aawazoon
kay makhaz kahein bhi alag say nahain. Tahum
traces wahaan kay mahool, halaat, zarorat,
aalaat-e-nutaq aur moaawan aalaat-e-nutaq kay
zeer-e-assar tarqeeb patay hain aur yah fitrat ka

teh kiya giya asool hai.


Sun Jun 24, 2007 12:12 pm
_________________

Shazia
Global Moderator

Ashi Batein Bataney Ka shuriya, very nice posting.


Sun Aug 26, 2007 5:15 am
_________________

Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab

is mohabat aur lutaf-o-ata k liay

mumnoon-e-ehsan hoon.
Allah aap ko kuh rakhy.
Sun Aug 26, 2007 7:56 pm
_________________
Read more:

http://www.forumpakistan.com/lisanyaat-say-motalaq-kuch-sawal-ja
wab-t944.html#ixzz4GLM4tHOu

lisanyaat say motalaq


kuch
sawal jawab
By
Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutab'khana


July 2016

lisanyaat bara ahum aur hisas subject hai is par


kam hi likha parha jata hai. Ahbab ki dilchaspi kay
liay main nay sawalan jawaban is mozoo ko chera
hai kayoon'kah is hawala say bhi aaghi rehni
chahiay.

You might also like