Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 4

Tonsils ka ilaj Bina Operation Karne ke 10 Upay Hindi Mein

kyakyukaise.com /gale-mein-tonsils-ka-ilaj-ke-desi-nuskhe-gharelu-upay-hindi-mein/
By Govind
Tonsils ka ilaj Kaise Kare: Tonsillitis gale ki ek bimari hai jo khane mein iodine ki kami ke karan hoti hai. Hamare
gale (throat) mein 2 ganthe hoti hai aur jab in gantho mein se koi fool kar laal ho jaati hai to gale ke dono taraf sujan
aane lagti hai aur dard hone lagta hai. Dard itna tej hota hai ki paani pine aur khana khane mein bahut pareshani
hoti hai aur bolte waqt bhi pain hota hai. Ye samasya jadatar chote bacho (kids) mein hoti hai. Tonsils ki pareshani
badhne par doctor operation karwane ki salah dete hai. Is bimari ka upchar natural ayurveda medicine, gharelu
nuskhe aur homeopathy se kiya ja sakta hai. Aaiye jane home remedies for tonsils treatment in hindi .
Jane Swasth aur Sehatmand Rahne ka Raj

Tonsils kyu hote hai Causes


Tonsils gale mein infection ke karan hota hai, jo kai baar halke fluke ilaaj se hi thik ho jata hai par infection jada hone
par ise thik hone mein jada time lag sakta hai. Jane tonsils pain hone ke karan kya hai.
Gale mein infection hona.
Thandi cheej ka sevan karna.
Sardi jukam ki wajah se bhi tonsils ho jate hai.
Pet mein gas aur kabz ki shikayat hone se.
Cold drink peena aur ice creame khana.
Immunity weak hone se.
Jada thandi aur garam cheeje khane pine se.
Mirch masale aur jada teekha khana khane se.

Tonsils ke Lakshan Symptoms


Gale mein kharash hona.

1/4

Gale aur kaan ke nichle hisse mein dard hona.


Dard ke karan bukhar aur sharer mein kamjori aana.

Tonsils mein operation kab hota hai


Kai bar medicines lene ke kuch dino mein hi tonsillites thik ho jata hai, par ye bimari puri tarah thik nahi hoti. Kai bar
dawa lene se tonsils dab jate hai par vo kuch dino mein fir se ubhar aate hai aur yahi karan hai ki tosils ki shikayat
bar bar hoti hai. Aesi situation mein operation (surgery) karke tonsils nikalne ke salah di jati hai.
Doctors kehte hai ki jab patient ko dawa se aaram milne lagta hai tab vo dawayia lena band kar dete hai, jis wajah
se tosils dubara hone ka khatra bana rehta hai. Patient ko treatment tab tak karna chahiye jab tak course pura na ho
jaye.
Jane Muh ke Chale ke Upay

Tonsils ka Allopathic Treatment


Agar viral infection ki wajah se tonsils hue hai aur bukhar bhi hai to doctors paracetamol ya crocin dete hai
aur gale mein dard ke aaram ke liye gungune pani mein namak daal kar grare karne ko kaha jata hai.
Agar tonsils bacterial infection ke karan hua hai to paracetamol aur garare ke sath kuch antibiotic medicines
di jati hai.

Tonsils ka ilaj Karne ke Gharelu Upay


Home Remedies for Tonsils Treatment in hindi
1. Lehsun ko barik pees kar garam paani mein mila le aur is paani se kuch dino tak garare karne se tonsils mein
aaram milta hai.
2. Herbal tea tonsils thik karne ka natural treatment hai, ise pine se gale mein bacteria aur germ mar jate hai.
Green tea, laung aur ilaychi ki chay ya daal chini chaye hi piye. Ye gale ke sath sharir ke liye bhi kafi achi hai.
3. Gale ke dard aur tonsils ko thik karne ke liye gajar ka juice lagatar 2 3 mahine tak piye. Is bimari mein
ananas ka sevan karne se bhi fayda milta hai.
4. Chai ki patti ko paani mein ubaal kar usse garare karne se pain kam hota hai aur tonsils ka rog bhi thik hota
hai. Namak aur fitkari ko garam paani mein daal kar garare karne par bhi tonsils khatam ho jate hai.
5. Singhade mein iodine adhik matra mein hota hai, isse throat ki dusri bimariyo mein bhi fayda milta hai aur
tonsils bhi door hote hai.
6. Gaane ke juice mein thoda harad churan mila kar pine se gale ka dard aur tonsils thik hote hai.
7. Gharelu upay se tonsils ki sujan door karne mein haldi ek medicine ki tarah kaam karti hai. Ek glass garam
doodh mein aadha chammach haldi powder aur aadha chammach golki ka powder mila kar sone se pahle
piye.
8. Ek glass garam paani mein aadha nimbu nichode aur 2 chammach shahad mila kar din mein 2 se 3 bar piye.
Is desi nuskhe se gale ki sujan kam hoti hai, kharash door hoti hai aur tonsils mein aaram milta hai.
9. Raat ko sone se pahle 1 glass doodh mein ek chota chammach haldi powder mila kar pine se bhi tonsils ke

2/4

dard se rahat milti hai.


10. Saunth mila hua garam paani pine se jaldi aaram milta hai.

Homeopathy se Tonsils ka ilaj


Immunity weak hone ke karan bhi tonsils ho jate hai. Homeopathy se ilaj mein body ki immunity itni badha di jati hai
ki tosils majboot ho jaye aur bimari ko pahle hi rok sake. Homeopathic treatment mein tonsils ke bar bar hone ka
samay aur dusre karano par bhi dhyan diya jata hai aur ise dhere dhere thik kiya jata hai. Puri tarah thik hone mein
4 se 6 mahine tak ka samay lag sakta hai.
Belladonna 30
Calcarea Carb 30
Baryta Carb 30
Ye homeopathic medicines tonsils ka ilaj karne ke liye di jati hai. Aap kisi homeopathy doctor ki salah le kar hi inhe
shuru kare.

Ayurvedic Tarike se Tonsils ka Upchar


Yha hum kuch ayurveda aushadhi ke naam bata rhe hai jo tonsils dard se aaram dene ke sath iske upchar mein bhi
faydemand hai. Ye dawaye aapko kisi pansari ki shop ya fir baba ramdev pantjali shop se mil jayengi. In dawao ke
isteemal se pahle kisi ayurvedic vaid se mile aur salah le.
Kalpatruras
Arogyavardhini
Mahalakshmi Vilas Ras
Tribhuvan Kirti Ras
Ayurveda kisi bhi bimari ke gharelu upchar ke liye sab se pahle bimari ke karano se door rehne ki salah deta hai,
iske sath aese khane pine se bhi bache jo bimari ko badhava dete hai.
Jane Ayurveda Tips in Hindi

Upchar Mein Parhej Kya Kare


Khana khane ke pahle aur baad mein haatho ko ache se saaf kare.
Dahi aur malayi wale doodh ka sevan na kare.
Cold drinks gale mein infection paida karti hai, inse door hi rahe.
Chote bache ko koi bhi thandi cheej khane aur pine na de.
Tala hua masaledar khana khane se parhej kare.
Smoking aur sharab ka sevan bilkul na kare.
Jin logo ko jukam aur khansi ki shikayat ho unse thoda door rahe.

3/4

Vese to tonsils ka infection kabhi bhi ho sakta hai lekin mausam badalne ke samay yani march aur
october ke mahino mein iske infection ka khatra jada hota hai. Mausam badlne ke dauran jada
thanda, garam aur teekha khane se parhej kare.

Dosto Tonsils ka ilaj ke Gharelu Upay, Home Remedies for Tonsils Treatment in hindi ka ye lekh aapko kaisa laga
hame comment karke bataye. Agar aapke pass gale dard ke upchar ke ayurvedic desi nuskhe hai to hamare sath
bhi share kare.

4/4

You might also like