Professional Documents
Culture Documents
Peshab Mein Jalan Aur Dard Ka Ilaj Ke Gharelu Upay in Hindi
Peshab Mein Jalan Aur Dard Ka Ilaj Ke Gharelu Upay in Hindi
Peshab Mein Jalan Aur Dard Ka Ilaj Ke Gharelu Upay in Hindi
Hindi
kyakyukaise.com /urine-peshab-mein-jalan-dard-ke-gharelu-nuskhe-upay-hindi-mein/
By Govind
Peshab mein jalan ka ilaj: Ladka ho ya ladki peshab karte hue jalan kisi ko bhi ho sakti hai, is samasya mein thodi
thodi der mein urine karne ki hazat hoti hai. Kuch logo ki ye problem jaldi thik ho jati hai, kuch logo ko mahino bhi lag
jate hai aur kuch log ise najarandaj bhi karte hai jo galat hai. Is bimari ko ayurveda mein mutar krach kehte hai. Jese
hi bladder mein dard ya jalan ke lakshan dikhne lage turant iske ilaaj ke upay kare nahi to ye aur bhi bimariyo ko
janam de sakta hai. Kuch gharelu desi nuskhe apna kar aap peshab ki jalan aur dard ka upchar ghar par hi kar
sakte hai. Urine irritation and pain treatment tips in hindi.
Jane Gurde ki Bimariyo ka ilaj Kaise Kare
Hamare sharir mein peshab karna ek jaruri parkirya hai, jiske dawara sharir se vishale padarth
bahar nikalte hai aur body detoxify hoti hai. Is liye jaruri hai ki ye parkirya sahi tarike se chalti rahe
jiske liye jaruri hai ki urine aur bladder se judi bimariyo se bache rahe.
1/3
1. Urine ki koi bhi samasya ho sabse pahli gharelu tips hai jada se jada paani pina. Har ek ghante mein paani pine
ki aadat banaye, isse bladder mein maujood bacteria bahar nikal jayega aur jada paani pine se body dehydrate bhi
nahi hogi.
2. Aese fruits aur sabjiya khaye jisme citric acid ki matra adhik ho. Ye urine infection banana wale bacteria ko
khatam karta hai. Khatte falo mein citric acid jada hota hai jese nimbu aur mausami.
3. Peshab ki jalan khatam karne mein nariyal paani pina kafi acha hota hai, isse body mein paani ki kami bhi dur hoti
hai isse dehydration nahi hoti.
4. Aadha gilass chawal ke mand mein thodi si chini mila kar pine se urine ki irritation thik hoti hai.
5. Aanar ka juice bhi jalan door karne mein asardar hai.
6. Badam ki 5 giriya aur 7 choti ilaychi mishri ke sath pees le aur 1 gilass paani mein ghol kar pine se dard aur jalan
kam hone lagti hai.
7. Raat ko sone se pahle ek gilass paani mein 1 chammach dhaniya powder mila kar rakh de aur subah ise chaan
kar gud ya chini mila kar piye.
8. Saaf safayi ka pura dhyan rakhe, apne gupt ang ko din mein 2 se 3 baad dhoye taki kisi parkar ka infection na
ho.
9. Agar aap ko kidney mein pathri hone ke karan pessab karte hue dard aur jalan ho rahi hai to beer pine se fayda
mil sakta hai, isse stone gal kar ghul jayega aur sharer se bahar nikal jayega. (Is upay ko karne se pahle doctor ki
salah jarur le.)
10. Kuch dino tak gunguna paani piye isse peshab karte hue jo dard hota hota hai use aaram milega. Kache doodh
mein thoda paani mila kar pine se bhi fayda hota hai. Iske ilava paani mein thodi si fitkari daal kar din mein 2 se 3
baar pine se dard thik ho jata hai.
Jane Sugar Control Kaise Kare
Jane Kidney ki Pathri ka Desi Upay
2/3
Urine problems se bachne aur ilaj ke liye homeopathic treatment karna chahte hai to kisi
homeopathy doctor se mil kar hi dawa le aur agar aap Baba Ramdev ki ayurveda medicines ka
paryog karna chahte hai to ye aap ko baba ramdev ki ptanjali shop ya fir kisi pansari ki shop se le
sakte hai.
Dosto Peshab mein jalan aur dard ka ilaj ke gharelu upay, Urine irritation treatment tips in hindi ka ye article aapko
kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass urine infection aur pain ka upchar ke desi nuskhe
hai to hamare sath bhi share kare.
3/3