Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 9

Us ne door rehnay ka Mashvara b likha hai

Saath hi Muhabbat ka wasta b likha hai


Us ne yeh b likha hai meray ghar nahi aana
Aur saaf saaf lafzon mein raasta b likha hai
kuch haroof likhay hain zabt ki Naseehat mein
kuch haroof mein us ne haosla b likha hai
Shukriya b likha hai dil se yad karnay ka
Dil se dil ka hai kitna fasla b likha hai
Kia usay likhein Kia usay kahain
Jis ne bejaan kar k jaan b likha hy,

Us ne door rehnay ka Mashvara b likha hai


Saath hi Muhabbat ka wasta b likha hai
Us ne yeh b likha hai meray ghar nahi aana
Aur saaf saaf lafzon mein raasta b likha hai
kuch haroof likhay hain zabt ki Naseehat mein
kuch haroof mein us ne haosla b likha hai
Shukriya b likha hai dil se yad karnay ka
Dil se dil ka hai kitna fasla b likha hai
Kia usay likhein Kia usay kahain
Jis ne bejaan kar k jaan b likha hy,

KyuN mujh pe hua hai mehrbaaN tu


Ek zarra-e-khaak aur kahaaN tu

MaiN dhoop ki aadi ho chali thi


KyuN mujh pe bana hai sayebaaN tu

MaiN teri zameen-e-nisf-e-shab huN


TaaroN bhara mera aasmaaN tu

Aise hi hamaari soch yekjaan


MaiN nutq tera, meri zabaaN tu

Taiyyar huN maiN safar ko lekin


Kashti ka uThaaye baadbaaN tu

Kitna bhi ho sakht mera lehjaa


Deeba-o-hareer-o-parniyaaN tu

Ek aam ghareeb-e-shahr hun maiN


Kya sun ke karega daastaaN tu

Pat_thar mein gulaab dekhta hai


Kis darja hai mujh se khushgumaaN tu

Ab thoRa sa waqt rah gaya hai


Zaaye karuN maiN na raayegaaN tu

Shab wohi lekin sitara aur hai


Ab safar ka isteara aur hai

Ek muththi rait men kaise thame


Is samandar ka kinara aur hai

Mauj k murne men kitni der hai


Nao dali aur dhara aur hai
Jang ka hathyar tai kuch aur tha
Teer seene men utara aur hai

Matn men to jurm sabit hai magar


Haashiya, sare ka sara aur hai

Sath to mera zamiN deti mager


Aasman ka hi ishara aur hai

Dhoop men dewaar hi kaam ayegi


Tez barish ka sahara aur hai

Haarne men ek anaa ki baat thi


Jeet jane men khasara aur hai

Sukh ke mausam ungliyoN pe gin liye


Fasl E gham ka goshwara aur hai

Der se palkeN nahi jhapkiN meri


Pesh E jaN abke nazara aur hai

Aur kuch pal us ka rasta dekh lun


Aasman par ek tara aur hai

Had chiraghon ki yahan se khatm hai


Aaj se rasta hamara aur hai

Amir E shahr se sayil baRa hai


Bahut naadaar, lekin dil baRa ha

Lahoo jamne se pahle khuN-baha de


YahaaN insaaf se Qatil baRa hai

ChaTaanoN meN ghira hai, aur chup hai


Samumdar se kahiN saahil baRa hai

Kisi basti meN hogi such ki hurmat


Hamare shahr meN baatil baRa hai

Jo zil-lul-lah per eemaan laye


Wohi danaoN meN aaqil baRa hai

Use kho kar bahaaye-dard paayii


ZayaaN chhota tha aur haasil baRa hai

Zindagi se nazar milaao kabhi Haar k baad muskuraao kahi

Tark E ulfat k baad umeed E wafa Ret par chal saki hai naao kabhi

Ab jafaa ki sarahataiN bekaar Baat se bhar saka hai ghaao kabhi

Shaakh se mauj E gul thami hai kahiN Baat se bhar sakaa hai ghao kabhi

Andhe zehnoN se sochne waalo Harf meN raushni milaao kabhi

BarisheN kya zamiN k dukh baNteN AaNsuoN se bujhaa alaao kabhi

Apne Spain ki khabar rakhna KashtiyaaN tum agar jalaao kabhi

Jab ishq sikhaata hai aadaab-e-khud aagaahi,


khule hain ghulaamon par asraar-e-shehanshaahi.

Attar ho rumi ho raazi ho ghazaali ho,


kuchh haath nahin aata be-aah-e-sahar-gaahi.

Naumeed na ho in se aey rahbar-e-farzaana,


kam-kosh toh hain lekin be-zauq nahin raahi.

Aey taair-e-laahauti uss rizq se maut achchhi,


jis rizq se aati ho parwaaz mein kotaahi.

Daara-o-sikandar se woh mard-e-faqeer aula,


ho jis ki faqeeri mein boo-e-asadul-laahai
.

Aaeen-e-jawaan-mardaan haq-goi-o-bebaaki,
allah ke sheron ko aati nahin roobaahi. !!

Har shayy musaafir har cheez raahi,


kya chaand taare kya murgh-o-maahi
.
Tu mard-e-maidaan tu meer-e-lashkar,
noori huzoori tere sipaahi.

Kuchh qadar apni tu ne na jaani,


ye be-sawaadi ye kam-nigaahi.

Duniya-e-doon ki kab tak ghulaami,


ya raahebi kar ya padshaahi.

Peer-e-haram ko dekha hai meine,


kirdaar-e-be-soz guftaar waahi. !!

Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo


Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo
Tum Ne B Suni Ho Gi Bari Aam Kahawat Hy
Anjam Ka Jo Ho Khatra Aghaz Badal Dalo
Pur-Soz Dilon Ko Jo Muskan Na De Paye
Sur Hi Na Mile Jis Mai Wo Saaz Badal Dalo
Dushman K Iradon Ko Hy Zahir Agar Karna
Tum Khel Wohi Khelo Andaz Badal Dalo
Ay Dost Karo Himat Kuch Door Sawera Hy
Agar Chahte Ho Manzil Tu Parwaaz Badal Dalo

Goongi Ho Gai Aaj Kuch Zaban Kehte Kehte


Hich-Kichaya Main Khud Ko Musalman Kehte Kehte
Yeh Baat Nahi, Mujh Ko Rab Per Yaqin Nahi
Bad Darr Gaya Khud Ko Sahib-E-Iman Kehte Kehte
Tofeeq Na Hoi Mujh Ko Ek Waqt Ki Namaz Ki
Aur Chup Howa Moazin Azaan Kehte Kehte
Ksi Kafir Ne Jo Pocha Yeh Kya Hai Mahina
Hath Se Pani Gir Gaya Ramzan Kehte Kehte
Meri Almari Mein Gard Se Atti Kitab Ka Jo Pocha
Main Gadh Gaya Zamin Mein Quran Kehte Kehte
Yeh Sun Ke Chup Sadh Li Iqbal Us Ne
Youn Laga Ruk Gaya Woh Mujhe Hewan Kehte Kehte

You might also like