Damaaa

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 2

Qudrat ne insani jism ko aik bht mausar dafai nizam se nawaza hai, jo k hamain bht

si beemarion aur nuqsan deh asrat se bachata hai, lekin kabhi kabhar yeh nizam
kuch aesi cheezon k khilaaf amal main a jata hai jo nuqsaan deh nae hoteen, is ko
allergy kehtay hain.
Allergy mukhtalif kisam ki hoti hai, jese saans ki nali ki allergy, jild ki allergy, ankhon
ki allergy wagaira.
Saanski nali ki aik allergy dama hai, is allergy ki waja se saans ki nali sukar jati hai
jis ki waja se saans lene main dushwari hoti hai. Yeh allergy sari zindagi rehti hai aur
is ka koi illaj nae. Is se bachnay k liye bht zarooori hai k ham un cheezon ka pata
lagaaen jin se yeh allergy hoti hai. Mitti, sardi, tez khushbooain, palto janwaron k
baal, cigarette ka dhuan, hawa ki name aur phoolon ka pollen is allergy ka bayes
bantay hain.
Chotay bachon ko in se bachana bht zaroori hai, kiun k yeh beemari bachon main
khaas taur par jaan lewa saabit ho sakti hai. Bachay koo saans ki takleef ho to foran
doctor k paas le jaen. Dama ki soorat main doctor aesi dawa detay hain jo dama k
attack ko fori taur par rokti hain. Lekin is ko honay se bachanay k liye koi dawa nae
di jati.
Is liye zaroori hai k apni adaat aur rehn sehan ko is tarah se makhsoos kia jaye k
dama ka attack honay ka khadsha kam se kam ho.
Jab bacha maan k pait main hota hai aur maan cigarette noshi karti hai, is se
bachay ko dama honay ka khadsha hota hai, is liye bht zarrori hai k hamal main
cigarette noshi se mukamal perhaiz kia jaye,
Bachay k paida honay k baad bhi usey dhuain se mehfooz rakhna chahiye.
Paltoo janwaron ki jild aur baalghar main jhartay hain jo dama k mareez ko allergy
krwatay hain, is liye zaroori hai k agar aap k bachay ko dama hai to balloon walay
janwaroon se door rakhain.
Kaleen mitti aur jaraseem apnay andar jasb kar leta hai aur bachay jab is pe kheltey
hain to un ko jaraseem lagta hai aur allergy krta hai jis ki waja se dama ka attack
hota hai, is liye ghar main Kaleen hona acha nahi..
Baarish k mausam main name ki waja se hawa main jaraseem ki tadaad barh jati
hai jis ki waja se dam aka attack ho sakta hai, is liye ghar ka hawa dar hona bhi
bachay ko attack se bachata hai
Tez khushbooain bhi attack ka bayes banti hain, is liye zaroori hai k bachay ko
perfume aur phoolon se mehfooz rakha jaye
Gard o gubaar se bhi ye attack ho sakta hai, is liye mahool ka saaf suthra hona
n=bht zaroori ha

Bachoon k khilonay jese bhalo wagaira jo kapray k banay hotay hain un main bhi
jaraseem jama ho sakta hai, is liye dama k bachoon ko aese khalonon se mana kia
jata hai. Agar nahi to khilonon ko har haftay garam pani main dho liya jana chahoiye
Is k ilawa dama saans ki nali ki doosri beemarion se bhi ho sakta hai jese, gala
khrab ya nazla zukam.. is liye in beemarion ko tawaja deni chahiye aur jald se jald
kaboo panay ki koshish karni chahiye.

You might also like