Download as rtf, pdf, or txt
Download as rtf, pdf, or txt
You are on page 1of 74

maqsood hasni ki roman

khat main urdu nazmain



paish'kar
prof. niamat Ali murtazaee

abuzar barqi'kutab'khana
nov.2016

farist
1- Chup
2- Tum mairay koee nahain ho

3- Khadshay jab sach ho jatay hain


4- Palkoon par shaam
5- Mumta jab say
6- Sahil ka pathar
7- Sahil ka pathar
8- Raat zara dhal janay doo
9- Raam bhali karay ga
10- Dil kay goshoon par
11- Eak Nasri Ghazl
12- Jazboon say keh doo
13- Baloom main bikhri chandi
14- Maira moqadar bhi ajeeb hai
15- Yahhi tou
16- Sony Dou
17- Jab tum mujh ko socho gay
18- Jinay ko to sub jitay hain Jinay
ko to sub jitay hain

19- Otho ab Koch karo


20- Door gharab say
21- Qarz
22- Nasri Ghazal
23- Nasri Ghazl
24- Tairi Aankh ka kajal abhi phela
nahain
25-Subh ki aankh main
26- Ab main tujhay tairi ijazat say
sochta hoon
27- Kagaz par jigar
28- Waqt kaisa azaab laya hai
29- Ab main tujhay tairi ijazat say
sochta hoon
30 Gher qanoni
31- qehar nazar
32- Dou Nasri Haiku

Chup
Chup
Mat bolo
Chup ka roza rakh lo
Jo bola masloob howa
Fakhta ka yah avtaar,
Fakhta ka nahain hai
..............
Chup
mat boulo
Chup ka roza rakh lo
Hum Hussain nahain hain,
jo bolain
Yazeed aaya hai

Fakhta ka otran lay kar


..................
Khoda kab chup hai
Zulm ki haad say pehlay
Char aata hai darya
Mitanay waloon ko
Mitanay kay liay
Tum mairay koee nahain ho
Tum mairay koee nahain ho
Mein nay tum ko kabhi socha hi
nahain
Aisay main sapnay bonnay ka
Sawal kab othta hai
Tum gol-e-nashgufta sahi
Marvareed naasofta sahi

Yah bhi kah


Tairay qehqahay jivan kar pairhan
Tairay bool aaksh ka ban than
Mairay soch kay daeray ka mehvar
Mairay lafzoon ka kar-o-far
Tairay qehqahoon par kayoon
ostawar hota hai?!
Tum mairay koee nahain ho
Mein nay tum ko kabhi socha hi
nahain
Phir bhi yoon lagta hai
Mairi aankh kay noor main tum
rehtay ho
Mairay shaoor ki basti main
bastay ho
Jin ko kabhi socha jaay
Oon jazboon main taira thikana
hai

Nasha-e-shooq tum par


Jitna itraay, otna kam hai
Tum ko koee sochay
Os kay sochoon main
Kab itna dam hai
Dua ko jab bhi
Hath othta hai
Maira her khmosh jazba
Yahhi kehta hai
Mein tum ko kabhi sochoon
Tum mairay soch main aa sako
gay?!
Yah sawal mujh ko sochnay nahain
daita
Tum ko khojnay nahain daita
Tum mairay koee nahain ho
Mein nay tum ko kabhi socha hi

nahain
Khadshay jab sach ho jatay hain
Khadshay,
Jab sach ho jatay hain
Majro jazbay
Mirti aur jivan kay barzakh main
Hashar barpa honay ki
Kamna kartay hain
Khadshay,
Jab sach ho jatay hain
Ashkoon say aari aankhain
Mujram tehrain
Ashkoon say tar
Jag par bhari

Khamosji*
Kantoon say baadtar
Khadshay,
Jab sach ho jatay hain
Aas mar jati hai
Ojhal rahain
Dikhnay lagti hain
Khadshay,
Jab sach ho jatay hain
Hath talwar kay dastay par
Jam jata hai
Khadshay,
Jab sach ho jatay hain
Aati naslain
Purkhoon ki tasviroon par
Kabhi hasti hain

Kabhi roti hain


.......................
*Sabr
Palkoon par shaam
Godaz palkoon par shaam gozari
Her mosam, yaad ka nishtar
Her subh, sehra ka pathar
Her baat adhori hai
Jina bhi to majbori hai
Binaee ka mamba*
Aankhain kho baitha
Her aasha zakhmi zakhmi
Her naghma, izraeli israfili
Khoon main bhiga aanchal

Ganga ka
Her rasta
Chup ka qaidi
Darya kinaray
Monh daikhay hain
Baiaab nadi main
Golaab ki qashain
Pani pani
Palkain sanpoon kay ghar
Jaein kidhar?
Pakoon ki shaam
Her shaam par bhari hai
------------------

suraj

Mumta jab say

Mumta jab say


Sehra main khoe hai
Baraf main boe hai
Sofaid parinda
Khon main doba
Khanjar diwaroon par
Chand ki shisha kirnoon say
Shabnum qatray pi kar
Soraj jismoon ko
Shela aankhoon main
Ehsas kay mosam se kar
Hontoon kay khandar par
Zulm ki mout ka qissa
Hussain kay jivan ki Gita
Wafa kay ashkoon sayl ikh kar

Bars howay shant howa


Sahil ka pathar
Sahil kay pathar say
Mojain jab takrati hain
Kirchi kirchi ho jati hain
Koe keh day parwanay say
Kiya ho ga mar janay say
Haan, jab bhi aankh kay sahil par
Obhrain mout kay manzar
Keh daina ashkoon say
Bolaway kay sab bool
Diwaar par rakh dain
Chilain kaway aur ollu
Apna hisa pa lain gay

Diwarain bhi kha lain gay


Tab ollu bolay ga,.
sahil kay pathar say
Jab mojain takrati hain
Kirchi kirchi ho jati hain
Sahil ka pathar
Phatar ka phatar
Raat zara dhal janay doo
Raat zara dhal janay doo
Jab doo paat nadi kay
Mil jein gay
Dar wasal kay khul jaein gay
Niend kay jhonkay
Aaghosh main apni

Basti ko lay lain gay


Aaksh say dhond otray gi
Zulmat apni zulfoon main
Jagtay rehna kay aawazoon ko
Kas lay gi
Tab havas sikoon ki
Ghar say bahar niklay gi
Raat zara dhal janay doo
Tum hisa apna batwa laina
Ratoon kay malik
Ab bhi
Log bharosa kay hain
Din ko to,
Ojlay chehray
Dhondla jatay hain
Raat zara dhal janay doo

Wah bohut khoob ..bohut acchi


nazm hai...itny khubsurty se itny
bady baat aap nay chaand alfaaz
main keh di...
daad qubool kijye
neha
http://www.bazm.urduanjuman.co
m/index.php?topic=3430.0
Raam bhali karay ga
Hath kay badlay hath
Khon kay badlay khon
Jan kay badlay jan
Adoo nay
Magar loot liya hai

Kis say faryaad karain


Wohi monsaf howa hai
Jis kay hath main pathar
Baghal man khanjar
Maqola yah baqi hai
Char ja baita soli
Raam bhali karay ga
01, 2009

mukarramee Hasni SaaHeb: aadaab!


aap ko UrduAnjuman meN dekh kar
masarrat huyee. Khush-aamadeed!
yaqeen hai keh yahaaN ke dost aur
maaHaul aap ko pasand aaYeN ge aur
aap apnee shirkat se Urdu kaa kaam
baRhaane meN hamaaree madad kareN
ge. shukriyah.
aap kee muKhtaSar naz^m dekhee. aaj

kal ke Haalaat par achhaa tabSirah hai.


aur is Haalat kaa koyee Hal bhee naz^ar
naheeN aataa. aap ke Khayaalaat achhe
haiN aur in kaa iblaaGh bhee Zarooree
hai. bayaan meN behtaree kee gunjaa,ish
hai. meraa Khayaal hai keh aap ko sab se
pehle yeh sochnaa ho gaa keh kaun see
Sinf meN likhaa jaaYe, ya'nee paaband
naz^m, aazaad naz^m yaa nacree
naz^m? us ke ba'd unheeN uSooloN par
likhaa aur parkhaa jaa saktaa hai.
Anjuman meN aate rahiYe. hameN aap
kee Z^aroorat hai. aur apne dostoN ko
bhee da'wat deejiye. shukriyah.
Sarwar A. Raz
http://www.bazm.urduanjuman.com/inde
x.php?topic=3369.0
Dil kay goshoon par

Sagar pi kar
Her qtra piyas somondar
Palkoon ka sawan
Janay kab barsay ga
Faraat ka daman
Sholay lay kay bhaga hai
Sahil shakti kis say mangay?!
Mothi band kar lo
Palkoon kay os par
Ratoon kay sapnay
Soraj ki aankhoon main
Bhik kay kokray
Kali zulfoon kay mandar
Maskan hain kali jiba waloon
kay
Janay say pehlay

Aankhoon main dhonwaan bhar lo


Chand ka chehra
Rawan ki bhagti lay kar
Mosa kay koon say
Dil kay goshoon par
Raban hi rab likh raha hai
2009 ,01
janaab Hasni SaaHeb: aadaab!
aap kee naz^meN dekheeN. maashaa
Allah aap bohat likh rahe haiN. meHnat
aur shauq ke saath mut^aali,a'h bhee mil
jaaYe to teHreer meN nikhaar baRh
jaataa hai. apnee taKhleeqaat par meree
daad qubool keejiYe. is ke ba's do teen
baateN kehne kee ijaazat chaahataa
hooN. buraa nah maaneN. in baatoN se

aap kee qadr-afzaayee maqSood hai,


tanqeed naheeN.
ek saath itnee bohat se naz^meN
lagaane se log in ko dekh naheeN paate
haiN. kam likhiYe aur dostoN ko paRhne
aur raaYe dene kaa mauqa' deejiYe.
warnah faa,idah kam ho gaa. doosree
baat yeh keh Roman Urdu kaa koyee
saadah aur achhaa niz^aam apnaa
leejiYe aur usee ko ista'maal keejiYe.
maujoodah shakl meN aap kee teHreer
paRhne aur samajhne meN diqqat hotee
hai. teesre yeh keh likh kar Khud bhee
paRh liyaa keejiye taa.k Ghalat^iyaaN
kam se kam hoN. aur sab se aaKhir meN
yeh a'rZ^ hai keh agar naz^m kaa
markazee Khayaal apne Zehn meN saaf
rakheN aur us kee adaa,igee meN
waZ^aaHat kaa ehitmaam kareN to sab
ko ziyaadah faa,idah ho gaa.
maiN is Khat^ ke tawassut^ se apne

deegar dostoN se bhee iltimaas kartaa


hooN keh woh Dr Hasni aur doosre nauwaarid dostoN kaa Anjuman meN
istiqbaal kareN aur un kee taKhleeqaat
par chand alfaaz^ hee sahee lekin kuchh
likh diyaa kareN. isee t^araH chiraaGh se
chiraaGh jaltaa hai. ham ek doosre se
Ghaafil hoN ge to yeh chiraaGh bujh
jaaYe gaa.
Sarwar A. Raz
Eak Nasri Ghazl
Sach say tomhain qata ta'alaq karna
ho ga
Es ka zoban par aana
Soraj ka ka sawa naizay par aana hai
Intakhabi postar parh kar yoon laga

Shaihar main kae paighambar otar


aa'ay hain
Hojray main baith kar rah-e-eshq
main
Marnay ki baat to karta hai wa'az
Bara moshkal hai talwar par aana
Mosa ka kiya kamal paighambri sath
thi
Ek hum hain na paighambri na asa
mila hai
Bach kar kahaan jata baat kayoon
barhti
agar maira bhi koe giriban hota
Jala kar jali rehti to afsus na hota

Khud bhi na rahi sahar honay tak


Mein Farhad nahin jo khud'koshi kar
loon ga
Mohabat aur hisab,
Doo mazmoon rahay hain mairi nazar
main
2011 ,24 :
janaab moHtaram Dr.maqsood hasni
SaaHeb
aadaab arz haiN
mujhe paihlee baar naCree Ghazal
paRhne kaa sharf HaaSil huwaa hai
,Hayeraan bhee hooN pareshaan bhee
hooN ,baRee zor kee haNsee bhee
aarahee hai :laugh:
mu'aaf keejiye gaa

meree jaanib se bohot see daad aap kee


Khidmat meN ,aur SaaHeb e ilm Hazraat
kee aaraa aur nazar e inaayat kaa intizaar
bhee keh is Sinf aur iss ke Haawaale se
kuchh seekhne sikhaane ke amal ko
isteHkaam aur faroGh HaaSil ho
niyaaz mand
Ismaa'eel Aijaaz

2011 ,26

muHtaramee Hasni SaaHeb: tasleemaat!


sab se pehle to aap kaa Urdu Anjuman
meN Khair-maqdam kartaa hooN. aap se
guzaarish hai keh aate raheN. aap ko
yahaaN ke dost aur maau,Hol donoN hee
pasand aaYeN ge. inshaa Allah. agar aap
Jaan Pehchaan ke baab meN apnaa
ta,a'aruf likh deN to nawaazish ho gee.
aap kaa kalaam dekhaa. Khayaal SaaHeb
se maiN muttafiq hooN. aaj se qabl
aazaad naz^m, nacree naz^m, Ghazal-e-

mu,a'rraa to naam sune the lekin Nacree


Ghazal nah kaheeN sunee thee aur nah
hee naz^ar se guzree thee. aap kee
i'naayat se ma'loom huwaa keh aisee
bhee koyee Sinf-e-suKhan hai! ab aap se
ek guzaarish hai.
har Sinf-e-suKhan ke kuchh uSool hote
haiN jin kee bunyaad par us ke likhne
waale us kee pairawee karte haiN aur
likhte haiN. aap se iltimaas hai keh aap
Nacree Ghazal ke bunyaadee uSool aur
qawaaneen yahaaN likh deN taa.k log
aap kee taKhleeqaat ko samajh aur
parakh sakeN. maujoodah Soorat meN
chooN.k sab hee (aap ke i'laawah) is se
naa-waaqif haiN is liYe kisee ke liYe
kuchh likhnaa mumkin naheeN hai.
ummeed hai keh aap hameN apne
Khayaalaat se sarfaraaz farmaaYeN ge.
shukriyah.
Sarwar A. Raz

Jazboon say keh doo


Jazboon say keh doo
Ek tair aur chalaein
Tehray tehray baadnaam-o-roswa
Khoof say khaef
Lashoon kay ambaar main
Dam laitay
Jivan say kiya hasil
Zameer ki cita ko aag dikha di hai
Jazboon say keh doo
Moqa hai
Sati ho jaein
Baloom main bikhri chandi

Baloom main bikhri chandi


Rooh ki kab qati hai
Mirti aur jiwan
Aas aur yass
Eak kokh ki santan nahain hain
Phir bhi
Eak mehwar kay qaidi hain
Baloom main bikhri chandi
Rooh ki kab qati hai
Yah candi to
Eshq ki bandi hai
Jab dil darya main
Doll eshq ka dalo gay
Iirtash to ho ga
Mun mandar ka her jazba

Heer ka dass to ho ga
Baloom main bikhri chandi
Rooh ki kab qati hai
Her rut kay
Phal phool niyaray
Koh baraf kay
Door amaja kay
Khilyanoon main sirabi latay hain
Lab Ganga kay piyas bhojatay hain
Baloom main bikhri chandi
Rooh ki kab qati hai
Mun masti
Aankhoon ka kajil
Dharkan dil ki
Zulfoon ki zulmat kay
Kab qaidi hain?!

Kab qaidi hain???


Baloom main bikhri chandi
Rooh ki kab qati hai
Aatesh gahain
Barkha rotoon main
Jalti thein
Jalti hoon gi
Baloom main bikhri chandi
Rooh ki kab qati hai
Maira moqadar bhi ajeeb hai
Mohabatoon ki raat main
Mosam-e-barsat main
Badloon kay sath sath
Maira moqadar bhi ajeeb hai

Apni hi aag main


Tairgi kay tazaad main
Jalta hai raat bhar
Yahhi tou
(cin quain)
Bhagwan ki lila hai
Tum aakash howay mein dharti tehra
Tairay hath jiwan mirtu par taira
tar'bhujan
Mairay hath
Sony Dou
(Cinquain)
Jaagti aankhoun kay khaab
Qahar waqt kay barzoukh monh main
Apni jinni jitay na apni marni martay hain

sonay dou
Jab tum mujh ko socho gay
Tairi zulfoon ki shab
Subh baharoon kay par katay
Tairi aankhoon kay must payaloon ki ek
boond
Aas ki mirti ka sar katay
Janay un'janay ki ek angrae
Nakhwat kay evanoon main
honay na'honay ka
Qirtas-e-mohubbat par,
Malkooti shabdoon say
Amar par amar likh day
Ab jab say main tujhy sochta hoon
Mairi basirat kay band dar bhi

Wa ho gay hain
Apnay soch ka ek zarra
Agar koh par rakh doon
Diwana ho kar,
Majnoon ki rah katay
Mairay soch ki hidat say
Sehraoon ka sehra,
Apni pag katay
Tairi moskanoon ka ek shaeba
Shoor zaminoon ko,
Barumma kay bardan say bhar kar
Main tujhy sochta hoon
Kah sochna zindgi hai
Khojna bandgi hai
"Jab tum mujh ko socho gay
Sachay dil say khojo gay

Kon ka raaz,
Tum par khol ja'ay ga
Barhamma say amarta ka bardan
Bin mangay hi pao gay
Her galihe her kocha
Kehtay phero gay,
One into many
But many are not one
Nothing more but one
When we divide one
Face unjust and hardship
I and you are not two but one
One is fact
Fact is one
Jinay ko to sub jitay hain

Jinay ko to sub jitay hain


Her saya zakhmi zakhmi
Jangal kay punshi
Chup kay kaidi
Barbat kay nagmay
Dar kay sholay pitay hain
Karnay kay jazbay
Roti ko tarsain
Jinay ko to sub jitay hain
Darya ka pani
Bhigi billi
Hur bama kay sunkh main rehtay hain
Jo khushki ki ghatri ko
Barish sumjay thay
Mounh kholay

Sub Aabi bhagay


Douray---------Kuch kat mary
Khuch thak giray
Jo chaltay gay
Khaboon ki basti bastay hain
Jinay ko to sub jitay hain
imisyed
Full PK Member
nYc !!!!!!!!!!!
Sohni Kurri
5 Star Member
Pakistan, Norway

Good!!!
M.U.K
Senior Proud Pakistani
Riyadh Saudi Arabia
Reply with quote
hmmmm buhat khuub
Dr Maqsood Hasni
aap donoon dostoon ki tovajo aur
mohabat k liay mumnoon hoon.
Allah aap ko kush rakhy
Sohni Kurri
5 Star Member

Pakistan, Norway
Dr Maqsood Hasni wrote:
aap donoon dostoon ki tovajo aur
mohabat k liay mumnoon hoon.
Allah aap ko kush rakhy
Ameen
or hamari duaay bhi u k sath hai!!
Dr Maqsood Hasni
yah eak teh'shuda baat hai k sohnay log
sohni batain karte hain.
shukarriya,
Allah aap ko apni panah main rakhy.
Sohni Kurri
5 Star Member

Pakistan, Norway
Dr Maqsood Hasni wrote:
yah eak teh'shuda baat hai k sohnay
log sohni batain karte hain.
shukarriya,
Allah aap ko apni panah main rakhy.
hehehehe, Razz
Ameen SumAmeen !!
arslan220
thanks for sharing this.
Dr Maqsood Hasni
shukarriya janab

online_sports_shop
Senior Member Pakistani
Sialkot
Bohat khooooooooooooooooooooob
Janab
Dr Maqsood Hasni
shukarriya janab
http://www.forumpakistan.com/jinay-koto-sub-jitay-haint52911.html#ixzz4KmEtKhYD
otho ab Koch karo
Palt kar bhi na daikho
otho ab Koch karo

Shaab kay sab reshtay


Toot chokay
Boloon ki dhanak baqi hai
Nashtay kay maiz par sab hoon
gay
Tum na howay to
Yah ghazab ho ga
? ban jao gay
Doo hisoon main bat gay ho
Jivan say thora hat gay ho
Dhoray chehray main
Parakh ka soraj doob raha hai
Door gharab say
Door gharab say
Havas kay sholay

Shikmoon main,
Bhook ban kar otray hain
Rooh aur dil
Dhowaan pitay hain
Zehar ogaltay hain
Door gharab say
Havas ka sholay
Pholoon kay taiwar
Kalyoon ki aashaein
Charaghoon ki moskanain
Subh shaam nigaltay hain
Hobal kay hath
Sharaq kay laat-o-manaat
Anna baich chokay hain
Kalmoon kay sinay ka sach
Baraf howa hai

Aas kay panchi


Pawan ki aasha lay kar
Apnay apnay malja kay dar par
Galay saray moqadar ki
Choki bhartay hain
Wo janat hain:
Hobal,
Shitan ka bar dani hai
Barhma ho kah Vishnu
Aisa bar dan kab daitay hain
Door gharab say
Havas kay sholay
Shikmoon main,
Bhook ban kar otray hain
http://www.forumpakistan.com/do
or-gharab-sayt25355.html#ixzz4KmDyvg4J

Qarz
Rat jagoon kay lashay par
Masaftoon ki subh nay
Karb mosamoon kay
Sab zehar
Jaan liwa manzar
Sach say door
Sapnoon main mehsoor
Omeed kay kafan par
Likh diya hai
Sohnahray khaab, raishmi sapnay
Ghamirta ko behlaein gay
Tapak tapak kay solain gay
Mout kay qadmoon ki chaap

Zeest ka bojh otha kar


Qabr ko chal day ga
Omidain
Zindgi ka qarz
Bai sar-o-samani
Mout ka qarz
Nasri Ghazal
Jin rastoon par chal kar aaya tha
Wo rastay darya ki nazr howay
Aur rasta mairay ghar ko jata
nahain
Kitnay zabt ki baat hai
Darya qadmoon main behta hai
Piyas bhi, piya yaad nahain

Choor aaein gay to kiya lay jaein


gay?
Aanay wala aa'ay ga, oth darwaza
khool
Jin aankhoon main dam kham ho
ga
Daikh lain gay kan son lain gay
Tairgi kay dar par sholoon ki
dastak
Waqt say pehlay suraj ki tamana
na kar
Andhairoon main daikhna sikh
Ya phir apna suraj nikal
Nasri Ghazl

Marnay waloon par rona kar day


band
Martay ko bacha
Jawab aa'ay ga, mat soch
oth, agla khat likh
Mat baith, qaafla aa'ay ga kal
Tu aaj hi chal
Maqtal say aanay waloon ki
kiya piyas bhoja'ay ga
saat somandar, jal
Auroon ko choor
waqt ka kehna hai
Apni keh, apni kar
Esa masloob howa ho ga

Tu bhi to latka howa hai


Os ki mohabat eak hamaqat
Os kay hath main khisht
Zira pehan,hath main pathar rakh
Na ro chop ho ja
Os ka sina to pathar
Tairi Aankh ka kajal abhi phela
nahain
Tairi Aankh ka kajal abhi phela
nahain
Tairay boloon ki kalyaan abhi
jowaan hain
Kalae kay talae churay ki khanak

Kab kal say joda hoe hai


Kuch bhi to badla nahain
Tairi dunyan main koe aur tha
Main yah kaisay maan loon
Tu to wohi hai
Jis nay mairy soch kay darwazay
par
Sabr ka phera batha rakha hai
Sochna yah hai
Kis karda gurm ki wo saza thi
Kah tu mujh say khafa thi
Ya yah koe annokhy adda thi?
Tu kayoon mujh say bai'parwa thi
Tum nay mujh ko sochnay nahain
diya
Apni zaat kay jaziroon ko khojnay
nahain diya

Band kowaroon kay pechay


Tujhy sochnay ki Aarzoo ka chehra
Kabhi jita tha kabhi marta tha
Main sochay hoon?!
Kaisay tum ko scoh sakoon ga
Mairi itni basaat kahaan
Tum wahaan ho jahaan main
nahain
Main zarra tu paharoon ka badsha
Main zamein tu Aasmaan
Haan itni tashfi zaroor hai
Aakash ki shanakhat zamein hai
Main tairi shanakhat hoon
Aur tu mairy honay ka saboot
Ab main tujhay tairi ijazat say
sochta hoon

Shararti Kurri
Forum Family Member
Saudia Arabia
wow vely nyssh Cool
mu$a
Senior Proud Pakistani
hmm bohat khooob..
Dr Maqsood Hasni
donoon dostoon ki tovajo aur
mohabat k liay mumnoon hoon.
Allah aap donoon ko kush rakhy.
Shararti Kurri
Forum Family Member
Saudia Arabia

dua k liye shukriya bhai Smile


Cool
http://www.forumpakistan.com/tai
ri-aankh-ka-kajal-abhi-phelanahaint48333.html#ixzz4KmCjSS8W
Subh ki aankh main
Subh ki aankh main jab phaila
kajal
Mairi pardhan hoe
Tairi kay sar par khaak pari
Sur kay galu main sandhoor ka
tikka
Maangay kay geet mushk aur
umbar tehray

Makash kay naghmoon say tabla


nikla
Daram os main jidat tehra
Sawan nay dhoop barsae
Jaith nay saya china
Goli kamzori ka laikh bani
Faryadi andhairoon main doba
Piyas kay hathoon goyae ki mirti
hoe
Chiti pagri chamchoon kay sar par
Hur apna sar,
Gora house main dhondain
Church main sankh baja
Haq na'haq howa
Minta kay sar par soo jotay
Notoon par baithay baba ji ki
Jay jay kar

Bin notoon kay her soo phat'kaar


Jis rukh suraj ki mirti hoe
Wo fatwa'gah tehra
Hakeem tabeeb gongay behray
Daktar kay hathoon main notoon
ki bori
Sach ki aankh say machar,
Jhout ka kajal koon nikalay?!
Jo bolay woh baihaal
Jo na bolay woh nihaal
Phir bhi sab bolo,
Sath siri akaal
Ab main tujhay tairi ijazat say
sochta hoon
Tairi Aankh ka kajal abhi phela

nahain
Tairay boloon ki kalyaan abhi
jowaan hain
Kalae kay talae churay ki khanak
Kab kal say joda hoe hai
Kuch bhi to badla nahain
Tairi dunyan main koe aur tha
Main yah kaisay maan loon
Tu to wohi hai
Jis nay mairy soch kay darwazay
par
Sabr ka phera batha rakha hai
Sochna yah hai
Kis karda jurm ki wo saza thi
Kah tu mujh say khafa thi
Ya yah koe annokhy adda thi?
Tu kayoon mujh say bai'parwa thi

Tum nay mujh ko sochnay nahain


diya
Apni zaat kay jaziroon ko khojnay
nahain diya
Band kowaroon kay pechay
Tujhy sochnay ki Aarzoo ka chehra
Kabhi jita tha kabhi marta tha
Main sochay hoon?!
Kaisay tum ko scoh sakoon ga
Mairi itni basaat kahaan
Tum wahaan ho jahaan main
nahain
Main zarra tu paharoon ka badsha
Main zamein tu Aasmaan
Haan itni tashfi zaroor hai
Aakash ki shanakhat zamein hai
Main tairi shanakhat hoon

Aur tu mairy honay ka saboot


Ab main tujhay tairi ijazat say
sochta hoon
Alex9090
5 Star Member
It is a nice one, doc. Did you write
it??
Dr Maqsood Hasni
bari bari meharbani janab.
ji haan,
yah satrain mairay hi qalam se
nikli thein.
Alex9090
5 Star Member

That makes it even more brilliant.


Very touching and not a bit of it
amateurish, NICE!
Dr Maqsood Hasni
aap k qlam se nikle her lafz ne
mujhy itabar diya hai. achy aur
khoob'surat log achi aur
khoob'surat baat karte hain.
ab to dil chahta hai aisi hi aur
chizain paish nkaroon.
Allah aap ko kush rakhy
Aatish
Forum Family Member
DXB !
V.nICe ShArIng G.!!!

Dr Maqsood Hasni
tovajo k liay ehsan'mand hoon
Sohni Kurri
5 Star Member
Pakistan, Norway
zabardast!!!
Dr Maqsood Hasni
aap sab kitne ache aur mohabat
kane wale log ho.
Allah aap sab ko kush rakhy.
Sohni Kurri
5 Star Member
Pakistan, Norway
Dr Maqsood Hasni wrote:

aap sab kitne ache aur


mohabat kane wale log ho.
Allah aap sab ko kush rakhy.
Ameen ,, or ap bhi hamesha khush
rahe
http://www.forumpakistan.com/ab
-main-tujhay-tairi-ijazat-saysochta-hoon-t53362.html

Kagaz par jigar


Chand ki kirnoon say gazal ki
bheek mangi
Os nay kasay main doo boondain
rakh dein
Keh gazal aankhoon ki thandak ho
ja'ay

Seep nay marvareed diay


Keh dil os ka pur'sakoon ho ja'ay
Qosoqaza nay surkhi bukhshi
Keh rokh os ka misal-e-yaqoot ho
jaey
Tablay ki thaap nay
Ghungro ki jhunkar nay maus
nahain kiya
Naseem-e-sahar say dast-e-sawal
daraz kiya
Qabroon kay katboon say bhi
Gazal ki bhek mang kay laya
Simaab say baiqarari lay li
Lehroon nay Baghawat day di
Golab kay pas bhi giya
Os nay kasay ko bosa diya
(aur) Apni ek punkhri rakh di

Kasa labraiz ho giya


Khush tha----------'
Aaj mairi mehnat rang la'ay gi
Woh mairi ho ja'ay gi
Daman maira khushoon say bhar
ja'ay ga
Gazal kay chehray par
Hosein sa onwan likh day gi
Khalos ki tashtari main saja kar
Jab gazal mein nay paish ki
Jasarat par mairi woh bhiphar gae
Zabt ki patri say oter gae
Boli,
"Bhikari---------------!
Apna khoon-e-jigar nachoor kay
lao
Keh gazal say zindgi ki khushboo

aae
Rahat oon kay liay
Lahoo ki ek boond
Kaenat say bhari hai
Phir os nay
Apni chati say joda karkay
Apni bachi mairi goud main rakh
di
(main nay daikha),
Mumta ki bahoon main gazal thi
Mumta ki nigahoon main gazal thi
Bachi kay laboon par
Bachi ki onglioon main
Bachi ki sansoon main
Magar bachi to sarapa gazal thi
(mashahiday main hi tha)
Os nay bachi mujh say lay li

Mairi goud main sharmindgi


Damandgi rakh di
Apnay aur maangay ki cheez main
kitna faraq hota hai
Woh laeq-e-fakhr-e-saad iftakhar
thi
Pur'waqar thi
Main tinkay say bhi bai'waqar tha
Os ka sar tana howa tha
Maira sar jhuka howa tha
Keh gazal kay chehray par
Bheek ka paiwand laga howa tha
Gazal ka badan zair-e-atab tha
Main bhi to har gaya tha
Woh moskra rahi thi
Gazal satpata rahi thi
Ejtihaad ka dar wa howa

Rawaet ka deep bujh giya


Haqiqat say parda oth giya
Sha'ir nahain, main to bhikari tha
Kursheed zaef ho giya
Mahtab zard par giya
Golab murjha giya
Tablay ka pool khul giya
Jhankar thum gae
Samundar nadamat pi gae
Kasa doo lakht howa
Jo jis ka tha lay giya
Ablees kirchaan chunnain laga
Bhikari mar giya
Qabroon ko apna diya mil giya
Sha ir jaga-------,
Zaat main kho giya

Khamshi sha gae


Zaat main inqalab aa giya
Andar ka lawa obalnay laga
Haad say gozarnay laga
Ablees kay qehqahoon ka sisala
rok giya
Ab zaat thi
Sha'ir tha
Aankhoon main lahoo ki bundain
Hath main qalam tha
Aur kagaz par jigar tha
Waqt kaisa azaab laya hai
Waqt kaisa azaab laya hai
Tum kab laeq-e-mohabat ho?
Aaenay main apni shakal to

daikho
Qasid yahhi jawab laya hai
Goya khat main ataab laya hai
Jo sar kay bal chalay thay
Na kaam tehray
Par ghar golab laya hai
Zelikha ka eshq sacha sahi
Woh barhana pa kab chali thi
Paya omodi chal chala hai
Her zinda qabr main
Aankh daikhti nahain
Kan sontay nahain
Waqt kaisa inqalaab laya hai
Baresh qaraz dar badloon ki
Badil binae ko tarsain
Zakhmi zakhmi

Her sohagan ki kalae


Baiwa sola sangar main hai
Waqt kaisa inqalaab laya hai
Waqt kaisa azaab laya hai
Ab main tujhay tairi ijazat say
sochta hoon
Tairi Aankh ka kajal abhi phela
nahain
Tairay boloon ki kalyaan abhi
jowaan hain
Kalae kay talae churay ki khanak
Kab kal say joda hoe hai
Kuch bhi to badla nahain
Tairi dunyan main koe aur tha
Main yah kaisay maan loon

Tu to wohi hai
Jis nay mairy soch kay darwazay
par
Sabr ka phera batha rakha hai
Sochna yah hai
Kis karda jurm ki wo saza thi
Kah tu mujh say khafa thi
Ya yah koe annokhy adda thi?
Tu kayoon mujh say bai'parwa thi
Tum nay mujh ko sochnay nahain
diya
Apni zaat kay jaziroon ko khojnay
nahain diya
Band kowaroon kay pechay
Tujhy sochnay ki Aarzoo ka chehra
Kabhi jita tha kabhi marta tha
Main sochay hoon?!

Kaisay tum ko scoh sakoon ga


Mairi itni basaat kahaan
Tum wahaan ho jahaan main
nahain
Main zarra tu paharoon ka badsha
Main zamein tu Aasmaan
Haan itni tashfi zaroor hai
Aakash ki shanakhat zamein hai
Main tairi shanakhat hoon
Aur tu mairy honay ka saboot
Ab main tujhay tairi ijazat say
sochta hoon
http://www.forumpakistan.com/ab
-main-tujhay-tairi-ijazat-saysochta-hoont53361.html#ixzz4KmAGEJJS
Gher qanoni

Yah to mehaz kehnay ki baat hai


warna
Rait ki diwarain
Qaem nahain rehtein
Gher qanoni ortoon say dost
Khala main rehti hai
Aur khala main parwaz kartay
parinday
Agarchah zamein kay bhi mehtaj
hain
Laikin,
Khala hi oon ka watan hai
http://www.forumpakistan.com/gh
erqanonit25737.html#ixzz4Km8uAi2t
qehar nazar

Zindgi tujhy kayoon aawaz doon


Lao khud hi pi laita hoon
Munsaf ka qalam
Kisi ki qehar nazar
Qalam kar gae hai
Dou Nasri Haiku
UrdU: Maqsood Hasni
Sindhi Tarjama: (Late) Mahar
Kacheelvi
Rangan jo paband mosawar
Juon jo rangein tasawar
Kein dase saghndoo
Chand raat hiak ajnabi
Mun mi dajla jee
Preveo och

Dr Maqsood Hasni
shukariya janab
Allah aap ko kush rakhy
paish karoun.
fizagul44
KARACHI
This pair of small eyes,
This pair of small eyes,
Help in saying big things,
Love not expressed from lips,
Is confessed by a wink.
At any place in the world,
Her eyes keep searching for me,
Sparkle of her eyes is moved to
her lips,

After she finds me.


Dr Maqsood Hasni
Allah aap ko khush rakhe
http://www.forumpakistan.com/do
u-nasri-haikut55716.html#ixzz4Km5BnbqO

maqsood hasni ki roman


khat main urdu nazmain

paish'kar
prof. niamat Ali murtazaee

abuzar barqi'kutab'khana
nov.2016

You might also like