Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 1

Ballimaran ke mahalle ki wo pechida daleelon ki see galiyan

Saamne taal ke nukkad pe bateron ke posheede


Gud-gudaati hui paan pi peekon mein wo daad wo wah-wah
Chand darwaaze par latke huye boshida se kuch taat ke parde
Ek bakri ke mamiyaane ki awaaz
Aur dhoondhlaayi huyi shaam ke be-noor andhere
Aise deewaron se mooh jod kar chalte hain yahan
Chudi-waalan unke katri ke badi bee jaise
Apni boojhti hui aankhon se darwaaze tatole
Isee be-noor andheri see gali qaasim se
Ek tarteeb chiragon kee shuru hoti hai
Ek quran-e-sukhan ka safa khulta hai
Asadallah Khan Ghalib ka pata milta hai.

You might also like