Chehre Se Kale Daag Dhabbe Aur Pimples Hatane Ke 10 Aasan Upay

You might also like

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 4

Chehre se Kale Daag Dhabbe aur Pimples Hatane ke 10

Aasan Upay
kyakyukaise.com /chehre-se-kale-daag-dhabbe-nishan-pimples-hatane-ke-upay-nuskhe-hindi/
By Govind
Chehre par kisi tarah ke nishan aur daag dhabbe face ki khubsurti ko bigad dete hai. Jadatar kil muhase ki wajah se
face par black marks pad jate hai. Badhta hua pollution aur hamari khane pine ki galat aadto ke karan aksar face
par kil muhase aur funsi nikalne lagte hai jo thik hone ke baad ek nishan chod jate hai. Kuch log in daag dhabbo se
chutkara pane ke liye cosmetic yukt beauty products ya medicines (dwa) ka paryog karte hai jo kai baar side eect
kar jate hai aur hamari samasya kam karne ki bajay badha dete hai. Is article mein hum janenge chehre se kale
daag dhabbe ke nishan gadde aur pimples hatane ke gharelu upay, natural home remedies for acne scars dark
black spots marks remove tips in hindi.
Aksar chot lagne ke karan bhi ghaav ban jata hai jiske thik hone ke baad ek nishan reh jata hai aur agar ye nishan
face par ho to aur bhi kharab dikhta hai.
Jane Rang Gora Karne ke Gharelu Nuskhe

Chehre se Kale Daag Dhabbe ke Nishan


Hatane ke Upay
Home Remedies for Acne Scars Marks
Tips in Hindi
1. Nimbu se Kale Daag Kaise Hataye
Face ke acne scars hatane ke liye nimbu natural bleech
ki tarah kaam karta hai aur chehre ke nishan ko kam karta hai. Nimbu ke ras mein cotton bhigo kar daag dhabbo
par halke hatho se lagaye aur 10 se 12 minute baad dho le. Is upay se chehre ke nishan dhere dhere halke padne
lagte hai.
Chehre par nikhar lane ke liye nimbu aur santre ke chilko ko pees le aur isme doodh mila kar face par lagaye. Isse
face glow karne lagega.
Kil muhase ke nishan face se hatane ke liye nimbu aur dahi ka paryog kare. Dahi mein thoda nimbu ka ras mila kar
iska paste kale daag dhabbo par mask ke jese lagaye aur 20 se 25 minute baad dho le. Is upay se bhi chehre ke
nishan saaf hone lagte hai.

2.Gulab jal aur Chandan Powder


Thoda sa gulab jal chandan powder mein daal kar ek face pack bana le aur chehre par lagaye. Paste lagane ke 45
se 50 minute baad chehre ko dho le. Is gharelu nuskhe se face glow karne lagta hai aur daag dhabbe kam hone
lagte hai.

1/4

Jane Aankho ke Kale Ghere Kaise Door Kare

3. Anda (Egg) se Black Spots Kaise Mitaye


Ande mein protein hota hai jo tavacha ke rom chidar bharne mein madad karte hai. Pimples ke karan jo daag
dhabbe pad jate hai unhe hatane mein bhi anda ka paryog ek asardar upay hai.
Is upay ko karne ke liye ek kacha anda le aur ise tod kar iska safed hissa alag kar le, ise acne marks wali jagah par
lagaye aur 10 minute baad chehre ko thande pani se dho le. Is upay ko hafte mein 2-3 din karne par daag dhabbo
ke nishan halke hone lagte hai.

4. Aloevera Gel se Gadde Mitane ke Upay


Aloe vera daag dhabbe, funsi aurv gaddo wali skin se dead skin hatane mein upyogi hai. Aloevera gel se massage
karne ke 30 se 45 minute baad saaf paani se dho le. Aloevera skin ke liye ramban ilaj ka kaam karta hai.

5. Shahad se Acne Scars Remove Kare


Chehre se kale daag dhabbe saaf karne mein shahad (honey) ka paryog utam upay hai. Shahad natural moisturiser
ki tarah kaam karta hai jo dead skin tissues mein nayi jaan dalta hai.
1 se 2 chammach baking soda 2 chammach shahad mein milakar kar massage kare. Pimples aur funsi thik hone ke
baad ke nishan hatane ke liye is upay ka paryog kiya jata hai.
Shahad mein dalchini powder mix karke iska paste lagane se bhi kale daag dhabbo ka ilaj kar sakte hai.
Jane Oily aur Dry Skin ka ilaj Kaise Kare

6. Kachha Aaloo se Nishan Kaise Hataye


Kale daag dhabbe ke nishan (dark black spots) hatane ke liye kachhe aaloo ka bhi paryog kar sakte hai. Kachha
aaloo pees kar iska paste face par lagaye aur 15 se 20 minute baad gungune paani se face wash kar le. Is gharelu
tarike se daag dhabbe saaf hone laagte hai.
Aaloo ko kaat kar iski slice se daag dhabbo wali jagah par massage karne se bhi daag halke hone lagte hai.

7. Haldi se Daag Dhabbo ka ilaj


Haldi ek natural antibiotic hai jo pimples aur daag dhabbe hatane mein asardar hai. Thoda sa haldi powder le aur
isme kuch boonde nimbu ke ras ki milakar lagane se daag dhabbe ke nishan dur hone lagte hai aur face clean hone
lagta hai.

8. Jaitun ka tel (Olive Oil)

2/4

Jaitun ke tel mein vitamin K aur E hota hai jo tavacha ko healthy banane mein asardar hai. Olive oil chehre ke
black acne scars marks ko teji se saaf karne mein asardar hai. Thoda sa olive oil le aur gaddo par 5 minute tak
massage kare. Is upay ko karne ke 10 minute baad kisi saaf kapde se ise ponch le.

9. Aawla Powder se Pimple ke Daag Kaise Mitaye


Aawla mein vitamin C paryapt matra mein hota hai jo nishan banane wale kaarko ko ubharne se rokta hai. Paani ya
jaitun ka tel aawla mein daal kar paste bana le aur daag dhabbe wali jagah par halke hatho se massage kare.
Jane Chehre ki Jhuriyan Nikalne ke Gharelu Tarike

10. Kheera, Doodh, Tamatar se Daag Dur Karne ke Tarike


Pimples ka ilaj karne aur ise hone se rokne ke liye kheera ka paryog bhi kar sakte hai. Ek kheera le aur ise
kaddukas karke iska paste chehre par lagaye aur 10 minute baad face wash kar le. Is nuskhe se chehre ki skin
mulayam aur healthy rehti hai.
Daag dhabbe, gadde aur kale nishan se chutkara pane mein doodh bhi asardar upay hai. Ek cotton le aur doodh
mein bhigo kar chehre par 10 minute tak paryog kare aur baad mein face ko gungune paani se dho le.
Chehre se kale daag dhabbe ko saaf karne ke liye tamatar ka ras le aur isme cotton bhigo kar daag dhabbo par
lagaye, tamatar ke is upay se bhi kale dhabbe thik hone lagte hai.
Jane Gharelu Nuskhe for Face in Hindi

Agar aap ke chehre par funsi, gadde ya kale daag dhabbe adhik hai aur desi nuskhe karne ke baad
bhi thik nahi ho rahe to aap skin specialist doctor se mile. Doctor operation/surgery ke dawara
pimples ke daag aur chehre ke nishano ka ilaj karte hai.

Pimples ke Daag Hatane ke Ramban Gharelu Nuskhe


Ubale hue aaloo ko cheel kar uske chilko se chehre ko ragdne se pimples dur hone lagte hai.
Pimples aur funsi nikalne se rokne ke liye jaiphal ko ghis le aur isme kaccha doodh aur kali mirch daal kar ek
paste bana le aur face par lagaye.

Kale Daag Dhabbe Rokne ke Upay


Chehre par daag dhabbe ke nishan ya to kisi ghaav ke karan ho jate hai ya r pimples kil muhase aur funsi ki wajah
se nishan reh jate hai. Hum in nishano ko puri tarah nahi rok sakte par kuch upay karke hum iske asar ko kam kar
sakte hai.

3/4

Ghaav ya pimples jab thik hone lagte hai tab ek papdi banne lagti hai, hum mein se bahut se log aksar is papdi ko
khinch ke nikal dete hai par aesa bilkul na kare. Agar aap aesa karenge to us jagah daag jada gehra ban jayega
isliye papdi ko natural tarike se hi girne de.
Jane Face se Til aur Masse Nikalne ke Nuskhe

Acne Scars and Black Spots Removal Tips in Hindi


Kuch logo ke pimples thik hone ke baad r se nikal aate hai aese mein is pareshani se chutkara paane ke
liye khane pine mein healthy food khaye taki tavacha ko bharpur poshan mil sake aur sath hi khane pine ki
galat aadto se parhej kare.
Daag dhabbe par suraj ki dhoop na padne de, suraj ki kirne padne se daag ka rang badlne lagta hai aur
pahle se jada dikhne lagta hai.
Aap ko kisi function mein jana hai aur chehre par nishan ki wajah se pareshan hai to aap nishan chipane
wala makeup kar sakte hai.
Face ko saaf rakhe, bahar se ghar aane ke baad chehre ko dhoye taki tavacha mein chupe dhool mitti ke
kan bahar nikal jaye.
Paani adhik maatra mein le. Har roj 3 se 4 litre pani pina acha hota hai.

Har vyakti ki skin sensitivity alag hoti hai isliye koi bhi gharelu upchar karne se pahle use sharir ke
kisi dusre hisse par lga kar dekhe uske baad hi chehre par paryog kare, aap upay karne ke sahi
tarike ayurvedic chiktsak se milkar bhi sikh sakte hai.

Baba Ramdev Ayurvedic Medicines


Jalne aur Katne ke Nishan Kaise Hataye
Best Homemade Beauty Tips in Hindi
Dosto Chehre se Kale Daag Dhabbe Hatane ke Upay, Acne Scars Marks Home Remedies in Hindi ka ye lekh
aapko kaisa lga hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass funsi gadde kil muhase pimples ka ilaj ke
gharelu tips, nuskhe hai to hamare sath bhi share kare.

4/4

You might also like