TAREQA

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 10

astral tele pathy me jahan hum

zehan ki yuksoi se faeda uthaty hen.wahan


hum is pegham k leye apny aura ko bhi
tasawur me ek mediom banaty hen.ager is me
sirf bunyade bat ko samajh leya jay.to tareqy
koi khas ehmeyat nahi rakhty .bal k ap khud
bhi apny boht se tareqy istemal ker sakty hen.

1/ ek tareqa ye hy.k jis shukhs ko pegham


bhejna hy.us ky gher ka tasawur qaim
karen.chahy wo dunya k kisi kony me bhi rehta
ho.or chahy ap ny us ka gher dakh rakha ho ya
na ho.bas tasawur ho k fulan ka gher.ab jesa
bhi gher tasawur me ajay.
is tarah ki mashq ap maraqby k bad bhi ker
sakty hen.wesy is k leye koi waqt or bethny ka
andaz zerori nahi hy.
tasawur karen k jisy pegham dena hy.us ka
aura gher me kisi jagha betha hy.ab ye tasawur
karen k ap ka aura bhi us k samny mojod hy.jab
ye tasawur qaim ho jay.to ab tasawur karen.k
wo shukhs ap ki bat sunny k leye tyyar betha
hy.or charaha hy.k ap khuch us se kahen.jab ye
tasawur qaim ho jay.to ab us ka nam le ker usy
mukhatib karen.or jo bat kehni hy.us se keh
dalen.or mazeed ek hi bat ko ap us se 3 se 5
mertaba bhi keh sakty hen.
bas is me is bat ka khayal rakhen,k bat lambi
chore na ho.mukhtaser ho.ibtedai tor per kisi
ek hi shukhs ko ek hi bat musalsal kai din tak
kehty rahen.jab tak wo shukhs ap ki kahi hoi
bat per amal na ker le.ibteda me sirf ek shukhs
per ek hi bat ki koshish karen.kisi masly me
pareshan ho ker masly se mutaliq jitny log
hen.un sab hi ky sath ye practice na
karn.werna nateja [o] hi rahy ga.chahy to apna
waqt zaya ker k dakh len.

2/ dosra ek tareqa ye hy.k jis shukhs ko


pegham dena ho,is k sony k waqt k bary me
malom ker len.ab jis waqt wo so raha ho.to is
waqt ap pehly khud ko pursukoon karen.or phir
apny aura ko us k pas tasawur karen.ye bat ap
k tasawur me ho k wo shukhs so raha hy.jis
waqt ye tasawur qaim ho jay.us waqt usy
pegham den,or pehly tareqy k mutabiq is
pegham ko 3 se 5 bar us ka nam le ker
dohraen.tasawur me khud ko us k ser k maqam
ki taraf khara dakhen.sath hi us shukhs k jisim
k bajay us k aura ka tsawur hona chaheye.

3/ teesra ek tareqa ye hy.jis shukhs ko pegham


dena ho.apny ser ki jagha us shukhs k ser ko
tasawur karen.yni apny ser ki jagha us ka ser
yani pora chyhera tasawur karen.ankhen band
ker k .jab ye tasawur achi tarah qaim ho jay.to
ab ap jo pegham dena chaty hen.usy is trah
sochna shuro karen.k ye ap khud nahi bal k wo
shukhs soch raha.hy.jesy ap pegham dena
chaty hen.is treqy me hum kisi bhi shukhs k
khayal se bhi agha ho sakty hen.lekin bat wo hi
hy.k practice.or practice.
tab hi ap is tarah k tajurby me kamyab ho
sakty hen,is k leye ibtedai tor per kisi k sath
bhi is trah ki mashq ki ja sakti he.is ki sorat ye
ho ge.k ap kisi dost ko sath betha ker ye mashq
karen,or us k khayal ko mehsos kerna shuro
karen.or phir jo bhi khayal ay.usy bata ker
pochen.k kiya wo esa hi soch raha tha,ager
shuro me ghalti bhi ho jay.to koi bat nahi.phir
koshish karen.is tarah ap sirf khayal hi nahi us
ki feelings bhi note ker sakty hen.yani kis tarh
ki feeling hen.aya k khushi ki ya udasi ya
pareshani ki.or usy bata ker ap us se poch
sakty hen.
albutta is me sirf ek bat ka khayal zeror
rakhen.k koi esa shukhs jo kisi zehani bemare
ya dimaghe arzy k shikar ho.us k sath is tarah
ki practice bar bar na karen.mustqil is tarah
kerny se energy level per wo bemare ap me
muntaqil bhi ho sakti he.is me sirf ye hi ehteyat
hy.

4/ EK tareqa ye bhi hy.k jis shukhs ko pegham


dena maqsod ho.is k aura ko apny samny bitha
len.yani ankhen band ker k tasawur karen.k us
shukhs ka aura ap k samny betha hy.ab jo
pegham dena chaty hen.den.or esy kai bar
zeror dohraen.
5/ ek tareqa ye bhi hy.k jab ap maraqby se
farigh ho jaen.to ankhen band hi rakhty
hoy.tasawur karen.k ap k seeny k ander green
roshni jama ho rahi hy.or is green roshni ki ek
bal se seny k ander banti jarahi he.or is bal ka
size ahista ahista bara hota jaraha hy.yahan
tak k ye green energy bal berhty berhty ap k
seeny se baher any lagy hy.jab ye tasawur
qaim ho jay.to ab jo pegham ap ny kisi ko dena
hy. tasawur karen.k ap ka wo pegham zehan se
energy ki sorat me is green energy bal me esy
shamil ho gaya hy.k ab ye bal pora ka pora ap k
khayal hi ki bal ban gaya hy.
jis waqt ye tasawur achi trah qaim ho jay.to ab
us shukhs k aura ka tasawur karen.k us shukhs
ka aura ap k samny mojod hy.ab jab ye tasawur
sahi se qaim ho jay.to ab ye green energy bal
jo k derasal ap k khayl ki bal hy.us shukhs ki
taraf uchal den.yani tasawur karen.k ye bal ap
k seeny se nikal ker us shukhs ky aura ki taraf
chali gai hy.or ye energy tamam us k aura me
muntaqil ho ker us ky aura me phail gai hy.is
tarah mutawatir jab tak kerty rahen,jab tak us
shukhs ko pegham mosool na ho jay.

astral telepathy me or boht se taraqy ho skty


hen.jin me se chund pesh ker deye gay.
sab hi tareqon me is bat ka khyal rakhen,k her
pegham mukhtaser hony k sath sath us me ap
ki feelings bhi hon.or tasawur achi tarah qaim
hona chaheye.

bayan keye gay sare hi traeqy azmay hoy


hen,or sab hi k nataij achy hen.us waqt tak koi
tareqa karger nahi ho ga.jab tak ap kisi bhi ek
tareqy per achi trah mehnat na ker len.or
practice k leye jo sth sath usool baty gay.un
per amal naker len.

TAREQA! .meditation se pehly jin cheezon ka


hona bara zarori he.un me mahol ka pusukon
hona , ager khuli jagha ho to boht acha
he.werna kisi kumry me bhi meditation bilkul
ker sakty hen.roshni zra kum ho.lekin bilkul
andhera na karen.din me jis waqt ap key leye
asani ho ap maraba ker sakty hen.lekin alas
subha yani fajer se kuch pehly ya fajer ki
namaz key bad key oqat khososi ehmiyat
rakhty hen.phir jis tarah ap k leye asani
ho,beth sakty hen.lekin nashist esi naho jis se
ap ko neend ajay.or na hi meditation let ker
karen.kiyon k neend or meditation ko yukja
nahi hona chaheye.lekin ager bethney me Am
marof tarwqa yani alti palti mar ker bethna bhi
zada faedy ka ba is hey.phir is tareqa e nashist
key apney alag faedy hen.lekin shuro me kuch
dushwari ho sakti hey.lekin ahista ahista adat
ho jati hey.

is k bad koi bhi sans ki mashq pehly zaror


karen.sans ki mashqen boht si hen.ager derj e
zial exercise karen to bhi is key boht sey faedy
hen.

pehle nak key rasty ahista ahista sans len.or


apney lungs ko sans se bher len.yahan tak key
mazed sans na le saken.jab bherpor sans ander
khench len to ab sans ko rok len. .. jitna zada
hold kar saken hold karen. phir is key bad ek
dam sari sans exhale KARDEN moh key rasty
.phir kuch lamhey sans ko bahal honey den. ...
yeh hua ek chakar [cycle] .. is tarhan sey 11
martaba karen...

phir ankhen band ker k apny ek uzo ka nam le


ker esy pursukon kerty jaen.jesy k "[dil hi dil
me ahista ahista ] kahen k "mera zehan
pursukon horaha he" meri peshani pursukon ho
rahi he." ise tarah tamam aza ka dil hi dil me
nam le ker apney her uzu ko pursukon karen.or
jisim ko jis qader ho saky dheela chor den.is
key bad teen bar kahen "I AM RELAX ,

is k bad ap tasawur karen k ap kisi khobsorat


jagha per bethy hen.khuly asman k nechy.or
asman se blue color energy aen ap key ser per
arahi hey. or ser me jazb ho rahi hey.or jisim
me ahista ahista agey berhti jarahi hey.or ye
blue color energy jesy jesy jisim me agey berh
rahi hey.wesy wesy jisim ki sari kasafaton ko
agey berha rahi hey.peron ki taraf.or aney wali
blue energy jisim me phelti jarahi hey.or jisim ki
sari kasafaten pero key panjon key rasty
zameen me jazb ho rahi hen.bas is tasawur per
apney focus kerna hey.shuro me kuch dushwari
ho gi lekin ahista ahista tasawur az khud
jamney lagey ga.is me pareshan na hon...

ye meditation 20 minut tak karen.or taqreeban


teen mah tak yehi meditation kerna he.

is meditation se na sirf ap ki zehni salaheyaten


barhen gen.bal k ap ki tabeyat me josh or
walwala bhi peda ho ga.her waqt andoroni
khushi ka ehsas boht numaya mehsos karen
ge.jo group members ye maraqba shuro karen
unhen chaheye key week key week apney
maraqby ki report zeror dety rahen.ta key
jahan islah ki zerorat ho ker di jae
1. jis jagha ap beth ker maraqba ker rahey
hen.tasawur kejye key ap apney qarib hi mojod
dewar key ander dakhil ho gaey hen.
jab khud ko dewar key ander mehsos ker len.to
is moqey per tasawur hi me dewar key ander ki
smel mehsos karen.chand second tak ye smel
mehsos kerty rahen.is key bad dewar ki
androni satah ko tasawur me hi hat laga ker us
ka khudra pan or sakhti mehsos kerney ki
koshish karen.
chand second bad is dewar key ander hi dewar
key ander dekhney ki koshish kare.

2.Pehley step key bad ap tasawur hi me dewar


sey bahir ajen.or ab dil hi dil me 5 se 1 count
karen.yani ye tareqa maraqbey key khatam
kerney ka bhi hota hey.or ek tasawur se dosry
me janey ke leye bhi .
ap ney yaha maraqba khatam nahi kerna bal
key tasawur ko shift kerna hey.ab ttasawur
kejye key ap key samney boht si khaney ki
dishes mojod hen.alag alag khano ki.jin khano
ka tasawur kerna chahen kejye.or un me se
pehley ek dish me se kuch khaney ki koshish
karen.yani tasawur hi me.or is khaney ki
khushbo or zaeqy ko zaban per mehsos
karen.yani khana kitna garam hey.ya
thanda.khaney ka zaeqa kesa hey .
chad second tak ye tasawur kerty rahen.

3.phir dobara 5 se 1 conunt ker key tasawur ko


shift kejye.or ab tasawur me ap ney samney
kuch asaya ko mojod paen.ye ashya am
istemal ki roz mera me istemal honey wali koi
bhi ashya ho sakti hen.jesey gher me mojod
kursi[chear] bolpoint ,
paper ,lakri [wood] waghera ,
jo bhi chan chezen ap tasawur kerna chahen
kejye.is key bad in me se her ek shey ko hat
me le ker is ka wazan mehsos kerney ki koshish
karen.is key bad hat se zra daba ker is shey ki
sakhti ko mehsos kerney ki koshish karen.
yani her her shey jin ka tasawur ap ker rahey
hen.taswur me hi sahi mani me is shey ki
maddi heseyat ko mehsos kerney ki koshish
kejye.

4.phir dobara tasawur ko shift kejye .or ab is


tasawur me khud ko kisi or maqam per le
jaen.jesey kisi rishty dar,dost waghera key
gher.ya kisi bhi dosrey ajnabi mahol me khud
ko le ja sakty hen.or waha mojod logo ki
movment ko dekhen.logo ney kis rang key libas
pehan rakhey hen.dekhney ki koshish karen.
or tasawur me hi kisi shakhs se kisi bhi mozo
per bat kerney ki koshish karn.or us key deye
gaey jawabat ko sunney ki koshish karen.

5.ab phir tasawur ko shift kejye.or khud ko


samander key samney betha tasawur
kejye.samander ki ati jati lehron ko dekhney ki
koshish karen.or samander ki in ati jati lehron
ki awaz ko tawaju se sunney ki koshish karen.or
chand second se chand lminut tak esa hi
tasawur qaim rakheye.

isexercise key sabhi hison ko ap ek sath bhi ker


sakty hen.or chahen to step by step roz ek
hisey ki practice bhi ker sakty hen.yani in 5
hison ko 5 days me bhi ker sakty hen.lekin is ka
faeda mustaqil pratice se hi mumkin hey.

You might also like