kaghazi hai pairahan har paikar-e ta?vir ka {002} jara?at tu?fah almas armugha dagh-e jigar ?adyah mubarak bad asad gham?hvar-e jan-e dardmand aya {003} juz qais aur ko?i nah aya bah ru-e kar ?a?ra magar bah tangi-e chashm-e ?asud tha {004} kahte ho nah dege ham dil agar pa?a paya dil kaha kih gum kije ham ne mudda?a paya {005} dil mira soz-e niha se bemu?aba jal gaya atish-e ?hamosh ke manind goya jal gaya {006} shauq har rang raqib-e sar-o-sama nikla qais ta?vir ke parde me bhi ?urya nikla {007} dhamki me mar gaya jo nah bab-e nabard tha ?ishq-e nabard-peshah t?alabgar-e mard tha {008} shumar-e sub?ah marghub-e but-e mushkil-pasand aya tamasha-e bah yak-kaf burdan-e ?ad dil pasand aya {009} dahr me naqsh-e vafa vaj'h-e tasalli nah hu?a hai yih vuh lafz? kih sharmindah-e ma?ni nah hu?a {010} satayishgar hai zahid is qadar jis bagh-e ri?va ka vuh ik guldastah hai ham be-?hvudo ke t?aq-e nisya ka {011} nah hoga yak-bayaba madagi se zauq kam mera ?abab-e maujah-e raftar hai naqsh-e qadam mera {012} sarapa rahn-e ?ishq -o-na-guzir-e ulfat-e hasti ?ibadat barq ki karta hu aur afsos ?a?il ka {013} ma?ram nahi hai tu hi navaha-e raz ka ya varnah jo ?ijab hai pardah hai saz ka {014} bazm-e shahinshah me ash?ar ka daftar khula rakhyo ya rab yih dar-e ganjinah-e gauhar khula {015} shab kih barq-e soz-e dil se zahrah-e abr ab tha shu?lah-e javvalah har ik ?alqah-e girdab tha {016} ek ek qat?re ka mujhe dena pa?a ?isab ?hun-e jigar vadi?at-e mizhgan-e yar tha {017} baskih dushvar hai har kam ka asa hona admi ko bhi muyassar nahi insa hona {018} shab ?humar-e shauq-e saqi rast?hez-andazah tha ta mu?it?-e badah ?urat?-?hanah-e ?hamyazah tha {019} dost gham?hvari me meri sa?i farmavege kya za?hm ke bharne talak na?hun nah ba?h javege kya {020} yih nah thi hamari qismat kih vi?al-e yar hota agar aur jite rahte yihi intiz?ar hota {021} havas ko hai nishat?-e kar kya kya nah ho marna to jine ka maza kya {022} dar?hvur-e qahr-o- gha?ab jab ko?i ham-sa nah hu?a phir ghalat? kya hai kih ham-sa ko?i paida nah hu?a {023} asad ham vuh junu-jaula gada-e be-sar-o-pa hai kih hai sar-panjah-e mizhgan-e ahu pusht-?har apna {024} pa?e nazr-e karam tu?fah hai sharm-e na-rasa?i ka bah ?hu ghaltidah-e ?ad rang da?v parsa?i ka {025} gar nah andoh-e shab-e farqat baya ho ja?ega be-takalluf dagh-e mah muhr-e daha ho ja?ega {026} dard minnat-kash-e davanah hu?a mai nah achchha hu?a bura nah hu?a {027} gilah hai shauq ko dil me bhi tangi-e ja ka guhar me ma?v hu?a i?t?irab darya ka {028} qat?rah-e mai baskih ?airat se nafas-parvar hu?a ?hat?t?-e jam-e mai sarasar rishtah-e gauhar hu?a {029} jab bah taqrib-e safar yar ne ma?mil badha tapish-e shauq ne har zarre pah ik dil badha {030} mai aur bazm-e mai se yu tishnah-kam a?u gar mai ne ki thi taubah saqi ko kya hu?a tha {031} ghar hamara jo nah rote bhi to vira hota ba?r gar ba?r nah hota to bayaba hota {032} nah tha kuchh to ?huda tha kuchh nah hota to ?huda hota ?uboya mujh ko hone ne nah hota mai to kya hota {033} yak zarrah-e zami nahi bekar bagh ka ya jadah bhi fatilah hai lale ke dagh ka {034} vuh miri chin-e jabi segham-e pinha samjha raz-e maktub bah berabt?i-e ?unva samjha {035} phir mujhe didah-e tar yad aya dil jigar tishnah-e faryad aya {036} hu?i ta?hir to kuchh ba?i?-e ta?hir bhi tha ap ate the magar ko?i ?ana-gir bhi tha {037} lab-e ?hushk dar-tishnagi-murdaga ka ziyarat-kadah hu dil-azurdaga ka {038} tu dost kisi ka bhi sitamgar nah hu?a tha auro pah hai vuh z?ulm jo mujh par nah hu?a tha {039} shab kih vuh majlis-furoz-e ?hilvat-e namus tha rishtah-e har sham?a ?har-e kisvat-e fanus tha {040} a?inah dekh apna-sa muh le ke rah gaye ?a?ib ko dil nah dene pah kitna ghurur tha {041} ?ar?-e niyaz-e ?ishq ke qabil nahi raha jis dil pah naz tha mujhe vuh dil nahi raha {042} rashk kahta hai kih us ka ghair se i?hla? ?aif ?aql kahti hai kih vuh be-mihr kis ka ashna {043} zikr us pari-vash ka aur phir baya apna ban gaya raqib a?hir tha jo raz-da apna {044} surmah-e muft-e naz?ar hu miri qimat yih hai kih rahe chashm-e ?haridar pah a?sa mera {045} ghafil bah vahm-e naz ?hvud-ara hai varnah ya be-shanah-e ?aba nahi t?urrah giyah ka {046} jaur se baz a?e par baz a?e kya kahte hai ham tujh ko muh dikhla?e kya {047} lat?afat be-ka?afat jalvah paida kar nahi sakti chaman zangar hai a?inah-e bad-e bahari ka {048} ?ishrat-e qat?rah hai darya me fana ho jana dard ka ?ad se guzarna hai dava ho jana