Diwan e Ghalib5

You might also like

Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 2

{084} lu vam ba?ht-e ?huftah se yak ?hvab-e ?

hvush vale
ghalib yih ?hauf hai kih kaha se ada karu
{085} vuh firaq aur vuh vi?al kaha
vuh shab-o-roz-o-mah-o-sal kaha
{086} ki vafa ham se to ghair us ko jafa kahte hai
hoti a?i hai kih achchho ko bura kahte hai
{087} abru kya ?hak us gul ki kih gulshan me nahi
hai gareba nang-e pairahan jo daman me nahi
{088} ?uhde se mad?-e naz ke bahar nah a saka
gar ik ada ho to use apni qa?a kahu
{089} mihrba ho ke bula lo mujhe chaho jis vaqt
mai gaya vaqt nahi hu kih phir a bhi nah saku
{090} ham se khul ja?o bah vaqt-e mai-parasti ek din
varnah ham chhe?ege rakh kar ?uzr-e masti ek din
{091} ham par jafa se tark-e vafa ka guma nahi
ik chhe? hai vagarnah murad imti?a nahi
{092} mana?-e dasht-navardi ko?i tadbir nahi
ek chakkar hai mire pav me zanjir nahi
{093} mat mardumak-e didah me samjho yih nigahe
hai jam?a suvaida-e dil-e chashm me ahe
{094} barshkal-e giryah-e ?ashiq hai dekha chahiye
khil ga?i manind-e gul sau ja se divar-e chaman
{095} ?ishq ta?ir se naumed nahi
ja-sipari shajar-e bed nahi
{096} jaha tera naqsh-e qadam dekhte hai
?hiyaba ?hiyaba iram dekhte hai
{097} milti hai ?hu-e yar se nar iltihab me
kafir hu gar nah milti ho ra?at ?azab me
{098} kal ke liye kar aj nah ?hissat sharab me
yih su-e z?an hai saqi-e kau?ar ke bab me
{099} ?aira hu dil ko ro?u kih pi?u jigar ko mai
maqdur ho to sath rakhu nau?ah-gar ko mai
{100} zikr mera bah badi bhi use manz?ur nahi
ghair ki bat biga? ja?e to kuchh dur nahi
{101} nalah juz ?usn-e t?alab ai sitam-ijad nahi
hai taqa?a-e jafa shikvah-e bedad nahi
{102} dono jahan de ke vuh samjhe yih ?hvush raha
ya a pa?i yih sharm kih takrar kya kare
{103} ho ga?i hai ghair ki shiri-bayani kar-gar
?ishq ka us ko guma ham be-zabano par nahi
{104} qiyamat hai kih sun lail ka dasht-e qais me ana
ta?ajjub se vuh bola yu bhi hota hai zamane me
{105} dil laga kar lag gaya un ko bhi tanha bai?hna
bare apni bekasi ki ham ne pa?i dad ya
{106} yih ham jo hijr me divar-o-dar ko dekhte hai
kabhi ?aba ko kabhi namah-bar ko dekhte hai
{107} nahi kih mujh ko qiyamat ka etiqad nahi
shab-e firaq se roz-e jaza ziyad nahi
{108} tere tausan ko ?aba badhte hai
ham bhi ma?mu ki hava badhte hai
{109} zamanah sa?ht kam-azar hai bah jan-e asad
vagarnah ham to tavaqq?uh ziyadah rakhte hai
{110} da?im pa?a hu?a tire dar par nahi hu mai
?hak aisi zindagi pah kih patthar nahi hu mai
{111} sab kaha kuchh lalah-o-gul me numaya ho ga?i
?hak me kya ?urate hogi kih pinha ho ga?i
{112} divanagi se dosh pah zunnar bhi nahi
ya?ni hamare jeb me ik tar bhi nahi
{113} nahi hai za?hm ko?i ba?hye ke dar?hvur mire tan me
hu?a hai tar-e ashk-e yas rishtah chashm-e sozan me
{114} maze jahan ke apni naz?ar me ?hak nahi
siva-e ?hun-e jigar so jigar me ?hak nahi
{115} dil hi to hai nah sang-o-?hisht dard se bhar nah a?e kyu
ro?ege ham hazar bar ko?i hame sata?e kyu
{116} ghunchah-e na-shiguftah ko dur se mat dikha kih yu
bose ko puchhta hu mai muh se mujhe bata kih yu
{117} ?asad se dil agar afzurdah hai garm-e tamasha ho
kih chashm-e tang shayad ka?rat-e naz?z?arah se va ho
{118} ka?be me ja raha to nah do t?a?nah kya kahi
bhula hu ?aq-e ?u?bat-e ahl-e kunisht ko
{119} varastah us se hai kih mu?abbat hi kyu nah ho
kije hamare sath ?adavat hi kyu nah ho
{120} qafas me hu gar achchha bhi nah jane mere shevan ko
mira hona bura kya hai nava-sanjan-e gulshan ko
{121} dhota hu jab mai pine ko us sim-tan ke pav
rakhta hai ?id se khech ke bahar lagan ke pav
{122} va us ko haul-e dil hai to ya mai hu sharmsar
ya?ni yih meri ah ki ta?ir se nah ho
{123} va pahuch kar jo ghash ata pa?e ham hai ham ko
?ad rah ahang-e zami bos-e qadam hai ham ko
{124} tum jano tum ko ghair se jo rasm-o-rah ho
mujh ko bhi puchhte raho to kya gunah ho
{125} ga?i vuh bat kih ho guftago to kyukar ho
kahe se kuchh nah hu?a phir kaho to kyukar ho
{126} kisi ko de ke dil ko?i nava-sanj-e figha kyu ho
nah ho jab dil hi sine me to phir muh me zaba kyu ho
{127} rahye ab aisi jagah chal kar jaha ko?i nah ho
ham-su?han ko?i nah ho aur ham-zaba ko?i nah ho
{128} az mihr ta bah zarrah dil-o-dil hai a?inah
t?ut?i ko shash-jihat se muqabil hai a?inah
{129} hai sabzah-zar har dar-o-divar-e gham-kadah
jis ki bahar yih ho phir us ki ?hiza nah puchh

You might also like