Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 4

Zindagi Mein "La ilaha illa Allaah" Ka Maqam Aur Martaba

Fazilatus-Shaykh Saalih bin Fawzaan Al-Fawzaan Hafizahullah


(Senior Rukn e Kibaar Ulama Committee, Saudi Arab)

Tarjuma: Tariq Ali Brohi


‫ ﻣﻌﻨﺎھﺎ۔‬،‫ ﺷﺮوطﮭﺎ‬،‫ وأرﻛﺎﻧﮭﺎ‬،‫ ﻓﻀﻠﮭﺎ‬،‫ ﻻ إﻟﮫ إﻻ ﷲ ﻣﻜﺎﻧﺘﮭﺎ‬:‫ﻣﺼﺪر‬/Masdar
Peshkash: http://tawheedekhaalis.com/

‫اﻟﺮﺣﻤﻦ اﻟﺮﺣﯿﻢ‬
ٰ ‫ﺑﺴﻢ ﷲ‬
Yeh woh Kalima hai ke jis ka ailaan Musalman apni Azaanon aur Iqamaton mein
karte hain, apne khutbon aur apne kalam (duroos waghairah) mein karte hain, yeh
woh Kalima hai ke jis ke zariye zameen aur saare aasmaan qayim hain, aur jis ke
liye tamam makhlooqaat ko paida kiya gaya hai, aur jis ke saath Allah Ta'ala ne
tamam Rasoolon ko bheja, aur apni Kitaabein nazil farmayin, aur apni shari'yat ko
mashroo' farmaya, is ke liye meezan qayim kiye jayenge aur (aamaal ke) dafatir wa
dawwaween rakhe jayenge, aur Jannat aur Jahannam ka bazaar sajega, aur isi ke
zariye makhlooq ko taqseem kiya jayega Momineen aur Kuffar mein, aur yeh hi
manshaye khalq wa amr aur sawab wa aqaab hai,aur yehi woh Haqq hai jis ke liye
makhlooq ko paida kiya gaya, aur is ke aur is ke huqooq ke mutalliq hi sawal aur
hisaab hoga, aur isi par sawab aur aqaab murattab hoga, isi ke liye qibla muqarrar
kiya gaya aur millat ki buniyad bhi isi par hai, isi ke liye talwarein be niyam huyin,
aur yeh Allah Ta'ala ka haqq hai apne bandon par, yeh Kalima e Islam hai, aur Dar
as-Salam (salamati ke ghar Jannat) ki chabi hai,isi ke mutalliq awwaleen wa
aakhireen se sawal hoga aur kisi bande se do qadam Allah Subhanahu wa Ta'ala ke
saamne uthne na payenge , yahan tak ke woh us se yeh do sawal na kar liye jayein:

“‫”ﻣﺎذاﮐﻨﺘﻢ ﺗﻌﺒﺪون‬
(Tum Kis Ki Ibadaat Kiya Karte Thei?)

Aur
“‫”ﻣﺎذاأﺟﺒﺘﻢ اﻟﻤﺮﺳﻠﯿﻦ‬
(Rasoolon Ko Tumne Kya Jawab Diya?)

Pehle ka jawab “‫ ”ﻻاﻟہ اﻻﷲ‬ki maa'rifat, iqrar wa amal ke aitbaar se haqq ada
karne se banta hai.

Aur Doosre ka jawab “‫ "أن ﻣﺤﻤﺪاً رﺳﻮل ﷲ‬ka maa'rifat, inqiyaad wa


itaa'at ke aitbaar se haqq ada karne se banta hai.
Yeh woh Kalima hai jo Kufr aur Islam ke darmiyaan farq karne wala hai, yeh hi
Kalima e Taqwa aur Urwa-Tul-Wusqa (sab se mazboot kadha) aur yeh hi woh
Kalima hai jo Ibrahim Alayhi as-Salat was-Salam apne peeche logon ke chhodh
gaye:

{‫} َو َﺟ َﻌﻠَﮭَﺎ َﻛﻠِ َﻤ ۢﺔً ﺑَﺎﻗِﯿَﺔً ﻓِ ْﻲ َﻋﻘِﺒِ ٖﮫ ﻟَ َﻌﻠﱠﮭُ ْﻢ ﯾَﺮْ ِﺟﻌ ُْﻮ َن‬
(Aur unhone is Kalime (Tawheed) ko apne pichhlon mein baqi rehne wali bata
bana diya, taki woh rujoo' karein.)
[Az-Zukhruf: 28]

Yeh hi woh Kalima hai jis ke saath Allah Ta'ala ne apne liye gawahi di aur
makhlooqat mein se farishton aur Ahle ilm ne, farman Bari Ta'ala hai:

{‫ﺴ ِﻂ ۭ َ ٓﻻ اِ ٰﻟﮫَ اِ ﱠﻻ ھُ َﻮ ا ْﻟ َﻌ ِﺰ ْﯾ ُﺰ ا ْﻟ َﺤ ِﻜ ْﯿ ُﻢ‬ ّ ٰ ‫ﺷ ِﮭ َﺪ‬


ْ ِ‫ﷲُ اَﻧﱠ ٗﮫ َ ٓﻻ اِ ٰﻟ َﮫ اِ ﱠﻻ ُھ َﻮ ۙ َوا ْﻟ َﻤ ٰﻠ ِٕ َﻜﺔُ َواُوﻟُﻮا ا ْﻟ ِﻌ ْﻠ ِﻢ ﻗَﺎ ِٕ ۢ ًﻤﺎ ﺑِﺎ ْﻟﻘ‬ َ }

(Gawahi di Allah Ta'ala ne ke be shak nahin hai koi ma'abood e haqeeqi magar sirf
woh aur farishton aur ahle ilm ne bhi, woh adl wa insaaf par qayem hai, nahin hai
ma'abood e haqeeqi siwaye us ke, woh galib hai hikmat wala hai.)
[Al-‘Imran: 18]
Dekhein Majmua at-Tawheed
Aur yehi kalima ikhlaas, shahadat e haqq wa dawat e haqq aur shirk se bara'at hai,
aur isi ke liye makhlooq ko paida kiya gaya, farman e Baari Ta'ala hai:
{‫ﺲ اِ ﱠﻻ ﻟِﯿَ ْﻌﺒُ ُﺪ ْو ِن‬ ِ ْ ‫ﺖ ْاﻟ ِﺠ ﱠﻦ َو‬
َ ‫اﻻ ْﻧ‬ ُ ‫}و َﻣﺎ َﺧﻠَ ْﻘ‬
َ
(Maine nahin paida kiya jinn wa ins ko magar isi liye ke woh meri ibadat karein.)
[Az-Zariyat: 56]
Isi ke liye Rasoolon ko bheja gaya aur Kitaabein nazil ki gayin:

{‫ﺳ ْﻮ ٍل اِ ﱠﻻ ﻧُ ْﻮ ِﺣ ْٓﻲ اِﻟَ ْﯿ ِﮫ اَﻧﱠ ٗﮫ َ ٓﻻ اِ ٰﻟﮫَ اِ ﱠ ٓﻻ اَﻧَﺎ ﻓَﺎ ْﻋﺒُﺪ ُْو ِن‬
ُ ‫ﺳ ْﻠﻨَﺎ ِﻣﻦْ ﻗَ ْﺒﻠِﻚَ ِﻣﻦْ ﱠر‬
َ ‫}و َﻣﺎٓ اَ ْر‬
َ
(Aur Humne nahin bheja Aap se pehle kisi Rasool ko magar us ki janib yehi wahi
ki ke be shak nahin hai koi ma'abood e haqeeqi siwaye mere, pas tum meri hi
ibadat karna)
[Al-Anbiya': 25]

Aur Allah Ta'ala ka yeh farman:

ٰۗ ْ
{‫ح ِﻣﻦْ اَ ْﻣ ِﺮ ٖه ﻋ َٰﻠﻲ َﻣﻦْ ﯾﱠﺸ َۗﺎ ُء ِﻣﻦْ ِﻋﺒَﺎ ِد ٖ ٓه اَنْ اَ ْﻧ ِﺬ ُر ْٓوا اَﻧﱠ ٗﮫ َ ٓﻻ اِ ٰﻟﮫَ اِ ﱠ ٓﻻ اَﻧَﺎ ﻓَﺎﺗﱠﻘُ ْﻮ ِن‬
ِ ‫و‬
ْ ‫ﺎﻟﺮ‬
‫ﱡ‬ ِ ‫ﺑ‬ َ ‫ﺔ‬ َ
‫ﻜ‬ ِ ٕ ‫ﻠ‬ ‫}ﯾُﻨَ ﱢﺰ ُل اﻟ َﻤ‬
(Woh farishton ko rooh (wahi) ke saath apne hukum se apne bandon mein se jis par
chahta hai nazil farmata hai, ke khabardaar kar do ke be shak haqeeqat yeh hai ke
mere siwa koi ibadat ke layiq nahin, so mujh hi se daro)
[An-Nahl: 2]

Imaam Ibn 'Uyaynah Rahimahullah farmate hain ke:


"Allah Ta'ala ne apne bandon mein se kisi bande par koi nemat is se badh kar nahin
ki ke unhein La ilaha illa Allaah ki ma'arifat wa pehchan karwayi, aur be shak jo
hai yeh La ilaha illa Allaah Ahle Jannat ke liye aisa hai jaise ahle duniya ke liye
thanda pani hota hai."

Pas jis ne yeh keh diya toh us ke jaan aur maal mahfooz ho gaye, aur jis ne is ka
inkaar kiya toh us ki jaan aur maal rayegan hai, chunanche as-Saheeh mein Nabi E
Kareem Sallallahu Alayhi Wa-sallam se riwayat hai ke farmate hain:

ِ ‫ﺴﺎﺑُﮫُ َﻋﻠَﻰ ﱠ‬
‫ﷲ‬ َ ‫ َو ِﺣ‬،ُ‫ َو َد ُﻣﮫ‬،ُ‫ َﺣ ُﺮ َم َﻣﺎﻟُﮫ‬،ِ‫ﷲ‬ ‫ َﻻ إِﻟَ َﮫ إِ ﱠﻻ ﱠ‬:‫َﻣﻦْ ﻗَﺎ َل‬
‫ َو َﻛﻔَ َﺮ ﺑِ َﻤﺎ ﯾُ ْﻌﺒَ ُﺪ ِﻣﻦْ دُو ِن ﱠ‬،ُ‫ﷲ‬
(Jis shaks ne La ilaha illa Allaah ka iqraar kar liya aur Allah Ta'ala ke siwa jin ki
bhi ibadat ki jati hai un se kufr(inkaar) kiya toh us ka maal aur khoon haram ho
gaya aur us ka (baqi) hisab Allah Ta'ala ke supurd hai.)
[Muslim 23, Ahmad 6/394]
Toh yeh woh awwal cheez hai jis ka mutalba kuffar se kiya jata hai jab Islam ki
taraf unhein dawat di jati hai, Nabi E Rahmat Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne jab
Mu'aaz bin Jabal RaziAllahu Anhu ko Yemen ki janib (dawat ki garaz se) irsaal
farmaya, toh unhein yehi hidayat farmayin:

‫ﺷ َﮭﺎ َد ِة أَنْ َﻻ إِﻟَﮫَ إِ ﱠﻻ ﱠ‬


ُ‫ﷲ‬ ِ ‫إِﻧﱠ َﻚ ﺗَﺄْﺗِﻲ ﻗَ ْﻮ ًﻣﺎ ِﻣﻦْ أَ ْھ ِﻞ اﻟ ِﻜﺘَﺎ‬
َ ‫ ﻓَ ْﻠﯿَ ُﻜﻦْ أَ ﱠو َل َﻣﺎ ﺗَ ْﺪﻋُﻮھُ ْﻢ إِﻟَ ْﯿ ِﮫ‬،‫ب‬
(Yaqeenan tum ahle kitaab ki ek qaum ke paas ja rahe ho, woh sab se pehli baat jis
ki taraf tum unhein dawat do woh La ilaha illa Allaah ki shahadat (gawahi) ho.)
[Bukhari 1389, Muslim 19, Tirmizi 625, Nisa'i 2435, Abu Dawud 1584, Ibn Majah
1783, Ahmad 1/233, Darmi 1614]

Is se maloom huwa aapko ke Deen mein is ka kya maqam aur martaba hai, aur
zindagi mein is ki kya ahmiyat hai, aur yeh bandon par sab se pehle wajib hai,
kyunki yeh woh asaas aur buniyad hai jis par tamam aamaal ki imarat qayim hoti
hai.

You might also like