Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 7

(SC#01)INT.

DIVYA HOUSE (HALL) DAY

Divya night dress mein hall ke sofe par aaram se halki


si kharrate (###) lete huye soyee hui hai.. parvati
kitchen mein khana bana rahi hai (Sound) wo haanth
mein (kalchhul) liye hin aati hai aur use lagbhag
maarte huye utahti hai..

PARVATI
uth nalayak, main kabse
kitchen me mar rahi hun aur
tu maje se so rahi hai.
DIVYA
offoo mamma, sone do na pls.
sofe ki taraf munh karake so jaati hai...

PARVATI
Aalsi kahi ki? ya nahi ki
khana banane mein meri haanth
batayein?
maan ki taraf ghumate huye ...

DIVYA
itti bhukkad kyon ho? jab
dekho tab kuchh n kuchh
khati-pakati rahti ho..
PARVATI
apne liye nahi.. tujhe dekhne
ladke vale aa rahe hain..
unke liye bna rahi hun
DIVYA
haan, to maine kaha hai kya
banane ko.. main to kahti hun
chai-coffee pila kar chalta
karo, rishta ho na ho faltu
kyon kharch karna?
PARVATI
mere to karam fute hain ki tu
mere yaha paida hui.. agar
pta hota to..
divya sofe se khijhte huye uthti hai..

DIVYA
ok ok ab fir se shuru mat ho
meri maa.. mujhe bhi agar
choice milti to kisi aur ke
ghar paida hoti.. jakar dekho
auro ke bachhon ko kaise
kamaau parents mile hain..
aur ek aap ho house wife
banke itraa rahi ho.. dusre
aapke pati, jo apni chhoti si
radio ki shop mein shopkeeper
cum singer bane rahte hain..
Divya baithe baithe hin aankhein band kar leti hai...
parvati ka reaction... phir ankh kholate huye...

DIVYA
are main kahti hun thode
ambitious nahi ban sakte life
me, nisha ki mom ki salary 1
lakh rupaye hain.. aur aapki
laddoo..
(hath se zero ka ishara karti
hai..)
PARVATI
ye lo.. ulta hmi kama kar
tujhe khilate rahe..
kaamchor, nalayak, kambakht..
aji sunte ho is nikammi ki
baaten.. tu thahar main abhi
batati hun..
parvati kalchhul uthakar marne ko hath uthati hai..
divya vaha se bhag jati hai..

DIVYA
(bhagte bhagte..)
main ready hokar aati hun..
Parvati jis raftaar se aayi thi usi raftaar se khijate
huye wapas kitchen mein chali jaati hai.. (Kitchen
Sound)

CUT TO

(SC#02)INT. DIVYA HOUSE (ROOM) DAY

divya ready hai.. khari hokar aaine mein khud ko dekh


rahi hai tabhi parvati aati hai..

DIVYA
main kaisi lag rahi hun
mamma?
PARVATI
ab tu jaisi hai vaisi hi
lagegi, heroine to lag nahi
sakti..
DIVYA
yaar mamma, kabhi to maa wali
Image me aa jao, jab dekho to
aag ugalti rahti ho, jhuthe
man se hi bol do ki sundar
lag rahi hun..
tabhi background me song bajta hai aur mohan ko
dikhate hain (MC with suggestion) jo radio theek kar
raha hai “meri laadli re meri laadli, re bani hai
taaro ki tu raani..” film andaaz (1949)

DIVYA
papa aur unka radio.. correct
time pe correct song bajata
hai.. ab aap meri taarif mein
2 shabd.. irshaad..
PARVATI
faltu bakvass mat kar, aur
dhyan se sun, bahar vo log aa
chuke hain.. (Divya khud ko
itrate huye aine mein dekhane
lagati hai ###) vahan sabke
samne kainchi ki tarah jubaan
mat chalana.. thoda
sharmana.. aur nazar ekdam
neeche.. khabardaar jo tukur
tukur ladke ko ghura to..
DIVYA
(maan ki taraf dekhate
huye..)
thik hai.. lekin ek baar
kankhiyon se dekhna to banta
hai..
PARVATI
aaj agar tune kuchh bhi galat
kiya to samajh lena ki main
kya karungi?
DIVYA
What galat? Ladake ko tarna
and all??
PARVATI
(sar pakarte huye...)
Hey Bhagwaan? ek to na tere
pass koi achhi deegree hai
aur na hi koi job, upar se
teri shaadi bhi nahi ho
rahi.. kabtak yun hi baithi
rahegi..
DIVYA
calm down mamma.. ek sath
kitni buraaiyan ginvaogi..
mera confidence hi khatm ho
gya..
divya mayus hone ka acting karati hai.. parvati gusse
se dekhati hai..

DIVYA
ok ok.. koi galati nahi
karungi.. itna
sharmaungi..(hath se ghunghat
karte huye shrmate huye ###)
ki ladka jhat se haan bol
dega..
Parvati ka look..

DIVYA
sorry.. just kidding.. lets
go..
Maan ke kandhe (###) par haanth dalkar chalati hai..
parvari usaka haanth jhatak deti hai..

CUT TO

(SC#16)INT. DIVYA HOUSE (HALL) DAY

parvati sabji kaat rahi hai.. divya jhola liye aati


hai.. Parvati koi dhyan nahi deti hai.. jhola rakhkar
sofe par baith jaati hai aur bolkar paise ginane lagti
hai...

DIVYA
100, 600, 1700...
PARVATI
(gusse mein dekhkar...)
aa gai hmari izzat mitti me
mila kar..
divya uthkar man ke paas jaati hai aur paise gumate
huye..

DIVYA
pahle to in paiso se tumhari
nazar utaarun main..
(paisa parvati ke charo taraf
ghumakr, parvati sabji kaatne
lagti hai...)
aal tu zalal tu.. man ka mail
sab nikal tu.. achha ye paise
rakh lo.. apni beti ki mehnat
ki kamai..
PARVATI
(sabji katna rokkar..)
mujhe nahi chahiye.. ye fraud
ki kamai..
DIVYA
mood kyon kharab hai??
patidev kahan hain aapke??
PARVATI
papa kah unhe..
DIVYA
relax.. papa kaha hain?
PARVATI
tel lene gaye hain..
DIVYA
aise na bolo maate.. thode
dino ki baat hai.. jaldi hi
ye dukh ke badal chhant
jayenge aur sukh ka suraj
niklega..
PARVATI
band kar bakvass nahi to ye
chaaku pet mein ghuser
dungi..
DIVYA
(darte huye)aaj to sakshat
durga ka avtaar le rahi ho
mate.. bta bhi do kyon
tension mein ho??
PARVATI
(chaaku neeche rakhkar
emotional hokar...)
main sirf itna chahti hun ki
ek achhe ghar me ek achhe se
ladke se teri shadi ho.. kya
galat hai isme? lekin meri
koi sunta hi nahi.. aaj to
pooja bhi nahi ho paai.. pta
nahi ab kya hoga?? (apana sar
pakad leti hai...)
divya emotional hokar haan mein sar hilati hai.. tabhi
divya ka mobile ring hota hai.. divya sofe par pasarte
huye..

DIVYA
haan vaibhav bol.. maine
tujhe kuchh aur photoes bheji
thi.. achhi thi na? ab jaan
lga de is khabar ko chhapvane
mein..
phone cut karti hai aur parvati ki taraf dekhti hai..

DIVYA
mere pass tumhari is samasya
ka bhi samadhan hai.. maine
tumhare liye ghar jamaai dekh
liya hai..
PARVATI
khabardaar jo gharjamaai
socha.. vaise kaun hai vo?
DIVYA
ye vaibhav kaisa rahega??
bahoot mihnat kar raha hai
bechara..
PARVATI
usne kuchh kaha hai tumse ya
yun hi khyaali pulaav bna
rahi ho..
DIVYA
apni beti ki khubsurti aur
talent pe kabhi bharosa mat
karna.. huh...

END OF EPISODE 06 FREEZE

(SC#28)INT. DIVYA HOUSE (HALL) DAY

montages day/night

divya din raat padh rahi hai. uske shots dikhate hain.
padhte padhte so jati hai. parvati aati hai. book
uthakar side mein rakhti hai, vaise hi divya jaag jati
hai..

DIVYA
mamma aap.. soye nahi..
PARVATI
jab bachhe ki aankh mein
neend na ho to maa kaise so
sakti hai? tum kuchh der so
jao baaki kal padh lena..
DIVYA
mamtamayee maa..
PARVATI
fir mazak ???
DIVYA
ek baat kahun mamma.. achha
hua aapne aur papa ne mujhe
ye books di padhne ko.. ab
pta chla ki jivan aur dharm
ki kitni baaton se anjaan thi
main.. main to panditgiri bhi
ek career option samjh kar,
khel ki tarah khel rahi thi..
PARVATI
i am proud of you beta..
parvati divya ka sar chumti hai..

CUT TO

THANKS!

HAAPY SHOOTING…

You might also like