Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 3

Ankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Li

Posted on 26 Apr 2008 | | Dard Bhari Shayari, Ghazals & Lyrics


Aaj Ki Baat Phir Nahi Hogi
Yeh Mulaqat Phir Nahi Hogi
Aise Badal To Phir Bi Aayenge
Aisi Barsaat Phir Nahi Hogi

Raat Unko Bhi Yoon Huya Mehsoos


Jaise Yeh Raat Phir Nahi Hogi
Ik Nazar Murke Dekhne Wale
Kya Yeh kHairat Phir Nahi Hogi

Jaane Wale Hamari Mehfil Se


Chand Taaron Ko Bi Saath Leta Ja

Hum Khizaaon Se Nibaah Kar Lenge


Tu Baharon Ko Sath Leta Jaa

Koi Hasse To Tujhe Ghum Lage Hassi Na Lage


Ke Dillagi Bhi Tere Dil Ko Dillagi Na Lage
Tu Roz Roya Kare Hut Ke Raaton Mein
Khuda Kare Tera Mere Begair Ji Na Lage

Masha allah kya ye maasumiyat hai

Ki humto apne aap ko hi bhul gaye Teer andaz kisiko kiya Ghayal hum khud hogaye

Tirchi nazroon na dekho

Aashiqye dil geeer ko

Kaise teer andaaz ho sidha to kar lo teer ko

Yeh Jo Diwane Se Do Char Nazar Aate Hain


In Mein Se Kuch Sahibe-Asraar Nazar Aate Hain
Teri Mehfil Ka Baraam Rakhte Hain So Jate Hain
Warna Yeh Log To Bedaar Nazar Aate Hain

Mere Damaan Mein Kanton Ke Siwa Kuch Bi Nahi


Aap Phooloon Ke kharidaar Nazar Aate Hain
Hashr Mein Kon Gawahi Meri Dega Saahil
Saab Tumhare Hi Tarafdaar Nazar Aate Hain

Chandni Raat Yaad Aati Hai


Wo Mulaqat Yaad Aati Hai
Dekh Kar Un Ganeri Zulfon Ko
Mast Barsaat Yaad Aati Hai
Ankh Uthi ….
Zara bacchke chalna sambhalna sambhalna

Jis Taraf Uth Gayi Hain Aanhen ye


Chasm-E-Baddur Kiya Nigahen Hain

Jidar Uthaaai Nazar Qatl-E-Aam Tumne Kiya


Qazaa Ka Naam Huya Aur Kaam Tumne Kiya

Ankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Li


Dil Ka Sauda Huya Chandi Raat Mein

Unki Nazron Ne Kuch Aisa Jaddo Kiya


Loot Gaye Hum To Pehli Mulaqat Mein

Hum Hosh Bhi Apne Bhul Gaye


Imaan Bhi Apna Bhul Gaye
Ik Dil Hi Nahi Us Bas Mein
Hum Na Jaane Kiya Kiya Bhul Gaye

Jo Baat Thi Unko Kehne Ki


Wo Baat Hi Kehna Bhul Gaye
Gairon Ke Fasane Yaad Rahe
Hum Apna Fasana Bhul Gaye

Kya Kya Nigah Yaar tahasin Ho Gayi


Kabhi Bijli Bani Kabhi Shamshin Ho Gayi
Aisi Mili Hain Apni Nazar Unke Nazar Ke Sath
Sab chodni padi dil ki baat

Mehfil Mein Baar Baar Uni Par Nazar Gayi


Humne Bachai Lakh Magar Phir Udar Gayi
Unki Nigah Mein Koi Jadoo Zaroor
thaa
Jis Par Padi Usi Ke Jigar Mein Utar Gayi
Sargam

Banke Tasweer-E-Ghum Reh Gaye Hain


Khoye Khoye Se Hum Reh Gaye Hain
Bant Li Sabne Aapas Mein Khushiyaan
Mere Hisse Mein Ghum Reh Gaye Hain

Ab Na Uthna Sarhane Se Mere


Ab To Ginti Ke Dum Reh Gaye Hain

Qaafila Chal Ke Maanzil Pe Pahuncha


Thehro Thehro Mein Hum Reh Gaye Hain
Ae Sabaa Ik Zehmat Zara Phir
Unki Zulfon Mein Hum Reh Gaye Hain

Qayenaten Jafaawon Wafaaon Mein


Eik Tum Eik Hum Reh Gaye Hain
Allah Allah Yeh Kiski Gali Hai
Uthte Uthte Qadam Reh Gaye Hain

Nazar Mila Ke Mere Paas Aa Ke Lut Liya


Nazar Hati Thi Ke Phir Muskura Ke Lut Liya
Yeh Lut To Dekho , Jab Chaha
Muj Mein Hi Reh Kar Muj Hi Samaa Kar Lut Liya
Sath Apna Wafaa Mein Na Chhute Kabhi
Pyar Ki Dor Bankar Na Tutte Kabhi
Chhuut Jaye Zamana Koi Ghum Nahi
Hath Tera Rahe Bas Mere Hath Mein
isse zyada aur kuch nahi

Rukh Hai Barsaat Ki Dekho Zidd Mat Karo


Raat Andheri Hai Badaal Hain Chhaye Huye
Ruk Bi Jao Sanam Tum Ko Meri Qasam
Ab Kahan Jaoge Aisi Barsaat Mein

You might also like