Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 4

Bhiwandi Electricity Consumer Welfare Association ki janib se

Aapke ilake mein hum ek mashwarati tehreek le kar aaye hai, is ilake
ke committee aur sanstha, aur jo bhi political party hai unko is
mashwarati tehreek ke stage pe main Saif Ansari, Mahasachiv,
Bhiwandi Electricity Consumer Welfare Association ki janib se
amantrit karta hu.

Pehle Taalim se mod diye jaoge,


Fir Kisi Jurm se jod diye jaoge,
Hathon ko zanjeer se baandh lo varna,
Dhaago ki tarah tod diye jaoge!!

Bhiwandi ek powerloom udyog ka shehar hai.. beesvi sadi mein


is shehar mein pehle Maharashtrian aur kokani muslim raha karte
the aur us daur mein hathkarga, kheti aur machli maarne ka kaam
hota tha. Lekin jab Bhiwandi mein bhijli aayi tab hathkargo ki wajah
se Bhiwandi textile hub (kapdo ka Kendra ban gaya). Bhiwandi shehar
mughalon k daur mein “Islamabad” naam se jaana jaata tha jiski
misaal Islamabad Masjid Hai.

Bhiwandi ko kapdo ka Kendra banane mein Haji Abdus Samad


seth ka bahot bada haath hai jinhone naara diya “Sona becho loha
kharido” aur hamara Bhiwandi shehar duniya mein “Manchester of
India” ke naam se jaana jaata hai. Mumbai ki kapda mill band hone
se Bhiwandi ko jyada vikas ka mauka mila aur yahan powerloom
udyog badhta gaya.

Lekin jabse Kendra mein aur rajya mein kaabiz BJP government
aayi hai tabse Bhiwandi ke halaat aur bhi jyada bad se badtar hone ki
kagaar pe hai. Iski sabse badi wajah yeh hai ki Kendra sarkar aur
rajya sarkar ne 1 rupye waar se 3550 waar jagah reliance, adani aur
Raymond ko Pen – Panvel aur wada ke taraf de diya hai jahan chin se
laaya hua 40 lakh ka loom lagaya jayega jisko chalanewala ek padha
likha aadmi hoga jise computer ki bhi jaankari hogi. Woh ek waqt
mein 24 loom sambhal sakega aur powerloom pe jo bhi kapda 1 din
mein banega wohi kapda us loom pe 10 minute mein banega aur woh
taiyyar maal hoga na ki powerloom ki tarah jiska kapda dye karne k
liye dyeing bhejna padhta hai. Mujhe doston aur saathiyon phir se
2003 ka woh manzar dikhayi deta hai jab 6 mahine power loom bandh
the logon ke gharon mein faake chal rahe the aur is beech ek 250
loom ka malik avchitpada mein chori karte huwe pakda gaya aur use
jab pucha gaya tum toh 250 loom k malik ho tum chori kyun kar rahe
ho toh usne kaha ki mere ghar mein khane ko khana nahi aur khana
kharidne ko paise nahi aur aise mein mere bachche bhook ke maare
bilak rahe hai ro rahe hai unka rona mujhe dekha nahi jaata isiliye
mujhe yeh raasta iktiyaar karna pada. Doston aur saathiyon jo 2003
ka manzar tha iske bare mein mujhe pehle hi pata tha ki aisa ek waqt
zaroor aayega aur iske bare mein ek lekh jo Shri Nasimuddin Ansari
(N. S. Ansari) ne likha tha 1998 mein aur 2001 mein unka intekaal
hua Woh powerloom weavers association ke adhyaksh the aur unka
lekh “Bhiwandi powerloom ikayon ke band hone ki wajah se
arthvyavasta mein giravat ka ana” ek magazine mein padha tha.

Bhiwandi mein Torrent power limited piche 10 saal se hai aur


Bhiwandi wasiyon ko chor kehti hai lekin woh khud chor hai. Kyunki
doston aur sathiyo, pehli baat torrent hamein Test report ki copy nahi
deti jo hamara haq hai. Dusri baat yeh hamari jo bhi complaint hai
kaise uska niptara karenge uski ek kitaab hoti hai who bhi nahi dete
aur isi tarah bijli ki supply ka kanoon hai jise Electricity Supply code
kehte hai, jo ki torrent hamein nahi deti. Torrent power ke khilaaf
ladte huwe Manoj Kanji Hariyaji (jo is association ke upadhyaksh hai)
unko Zahid Ansari (Zahid Gandhi – is association ke adhyaksh) aur
Advocate B T Taware sir (Jo is association ke kanooni salahkaar hai
aur Bhiwandi ke jaanemane wakeel hai jo bhiwandi, Bombay high
court aur Gujarat mein bhi case ladhte hai) yeh teeno mile aur in
logon ne Bhiwandi Electricity Consumer Welfare Association ki niv
rakhi 2012 mein aur tabse sangarsh jaari hai.

Har jor Zulm ke takkar se sangarsh hamara naara hai


Har Zaalim se takrayenge har zulm ka badla maangenge
Hum mehnatkash is duniya ke jab apna hissa maangenge
Ek baugh nahi ek phul nahi ham saari duniya maangenge

Doston aur saathiyon, Notebandi ka faisla aaya 8 november 2016 ko


raat ke 8 baje aur logon ko kaafi taklif ka saamna karna pada, jiske
chalte logon ne 500 aur hazaar ke note badli karwane ke liye banko ke
bahar line lagayi aur bheed itni badi ki logon ko lathicharge ka
saamna bhi karna pada. Yeh den BJP ki Kendra mein kaabiz sarkar
ne kiya hai. Doston is dauran 2.50 lakh rupye tak ki sima tai ki gaye
thi logon ko apne bachche aur bachhiyon ki shaadi ke liye lekin us
dauran kaafi kaagaz mangwaye gaye jo logon ne lane mein kaafi
pareshani ka saamna kiya. Lekin isi dauran 3 BJP ke netao ki betiyon
ki shaadi bhi thi jisme 1 neta Gali Janardhan Reddy ne 500 crore
kharch kiya, 2sre yaani Vith mantra Arun Jaitley ne 50 crore aur
Parivahan Mantri Nitin Gadkari ne 55 crore kharch kiye. Kya
notebandi ke dauran shaadi pe kharch ka kanoon sirf aam aadmi ke
liye tha? Aisi Sarkar kyun chahiye kisiko? Kyunki hamara sanvidhan
kehta hai Jamuriyat “For the people, by the people, to the people”
lekin BJP sarkar ne iska arth hi ulta kar diya hai. Isi beech Roshan
Baugh mein rehnewale Karimullah Ansari sahab ne apni bachchi ki
shaadi ka tension lete huwe aatma hatya kar li.

Doston aur sathiyon, Bhiwandi shehar ke kaafi mukaam aise hai


jahan Hindu Muslim Bhaichare ki misaal kayam hai…. Aise hi ek
misaal Hamare Diwan Shah Baba (R.a.) jinka naam Sheikh Husain
Qadri tha Qadri Silsile se who taluk rakhte hai aur itihas ke panno
mein woh Pir Shah Husain Saheb ke naam se jaane jaate hai.
Baghdad se chalte huwe behoshi ki halat mein woh bijapur pahuche,
wahan pahuch kar unhone dekha ki us sultanat ke Raja Adil Ali
Badshah intekal farma gaye hai aur unka ek bachcha hai jo us kaabil
nahi ki apne sultanat ki dekh bhal kar sake. Isko dekhte huwe
unhone wahan mantri ban kar kaam kiya aur 17 saal baad jab us
Raja Adil Ali Badshah ka beta is kaabil hua ki sultanat ki dekh bhal
kar sake toh Diwanshah Baba (R.a.) ne wahan ka kaam saup ke
Bhiwandi mein apni deeni zindagi bitane aa gaye aur jab Bhiwandi
mein unhone kadam rakha toh unko yeh dekh ke hairat hui ki
Bhiwandi ka Raja Bhim ko uski sultanat se Portuguese ne bahar kar
diya tha aur apne lashkar ki madat se Diwanshah Baba (R.a.) ne un
Portuguese ko bahar kar Bhiwandi ki sultanat wapas Raja Bhim ke
hath mein saup diya aur iski wajah se Bhiwandi ka asal naam
“Bhimadi Islamabad” rakha gaya jiski misaal Islamabad Masjid hai.
Raja Bhim is madat se khush ho kar Diwanshah Baba (R.a.) ko kaafi
zameen, jaydad aur imarat tohfe mein de diye.

Bhiwandi mein jo court aap dekh rahe hai.. yeh pehle court nahi 1858
mein Hospital tha jisko court mein tabdeel kar diya gaya. Aapko yeh
bhi nahi pata hoga ki Bhiwandi Shehar mein Bhiwandi Army Training
Camp Tha. Jo angrezo ke waqt mein chalta tha aur yahan pe training
karwanewale Captain Abbas Ali the. Jinhone Netaji Subhash Chandra
Bose ki fauj “Azad Hind Fauj” mein bhi desh ki ladai mein hissa liya
aur hamare desh ko azaad kiya.

Doston aur sathiyon, 24 may 2017 ko election ki date aa gayi hai lekin
aap logon ke beech kuch dalal ghumte honge ki hamare candidate ko
vote do aur uske badle note le lo. Doston aur sathiyo,5 saal mein 1825
din hote hai lekin jo paise 100 rupye, 200 rupye, 500 rupye, 1000
rupye ya 2000 rupye le kar 4 din ka mazaa lete hai lekin 1821 din ki
sazaa milti hai..kyunki humne vote becha hai jiski wajah se
corporator kaam nahi kare toh uske girheban ko nahi pakad sakte aur
hum jab vote bechte hai toh hum apna mustakbil hi nahi apne
bachcho ka mustakbil bechte hai..Wajah doston aur sathiyon yeh hai
ki haemin urdu medium school di gayi hai lekin kya hamare bachche
English medium school mein nahi padhna chahte, yahan koi bhi
school mein jao toh donation lagta hai. Kyun nahi hamare mahanagar
palika k kayede mein jo likha hai ki hamare school mein English
medium chalu kiya jaye aur isse hamare bachche muft mein English
medium ki padhai farham kar le. Doston aur sathiyon ek sher ke
saath apni takreer main khatam karta hu…

Yeh khamosh Mizaji tujhe jeene nahi degi


Agar jeena hai toh kohram macha do…

Abhi kohram machine ka waqt hai doston, isiliye khamoshi


iktiyaar na kare.

You might also like