Wo Taiba

You might also like

Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 1

waha ki faqeeri hai raske ameeri, wahi par bashar ho meri zindagaani---2

Ae Allah Mere mukaddar me likh de----2 wo taiba ki galiyan wo zam zam ka pani

wo galiyan wo maheboobe daawar ki galiyan, wo galiyan wo saki e kosar ki galiyan ,


wo galiyan jaha noor hi noor har su , abhi tak hai jin me Muhammad (sallallaho
alayhi wa aalehi wa sallam)
ki khusbu , abhi tak karam ki ghatao ke manzar abhi tak wohi rut hai sadiyon
puraani
wo taiba ki galiyan wo zam zam ka pani----2

jo zaalim the har julm unse chhudaya, ke aadam ke beto ko jina sikhaya
wo mohtaj jinke nahi the thikane gale se lagaya mere mustafa (sallallaho alayhi wa
aalehi wa sallam) ne
jaha par gareebo ko izzat mili hai, yateemo ne paai jaha saadmaani, wo taiba ki
galiyan wo zam zam ka pani----2

wahi se mili hum ko imaa ki dolat , wahi se do aalam pe barsi he rahemat,


wo aesa nagar jispe jannat nichhawar usi sar zami pe hai ALLAH ka ghar
wo aesi zami aasma jis ko chhume jaha so raha hai do aalam ka bani
wo taiba ki galiyan wo zam zam ka pani----2

hai lamba fasana hai lambi kahani muje khud hi kahena hai apni zubani
kaha tak judai ke sadme uthau kaha tak me haalat apne batau
ae baade saba saath apne udaa kar wahi mujko le chal bdi maherbaani
wo taiba ki galiyan wo zam zam ka pani----2

waha chaar su rahemato ke ujaale waha jaake aate hai taqdeer waale waha ka sawera
karam ki zamaanat
waha ek pal me badalti hai kismat waha har taraf jannato ke manaazir waha ki har ek
sab suhaani suhaani
wo taiba ki galiyan wo zam zam ka pani----2

waha aajtak hai faristo ke fere jaha chalte firte the Sarkaar (sallallaho alayhi wa
aalehi wa sallam) mere
jaha hum ko Qura'aa sa tohfa mila hai jaha baabe rahemat hamesa khula hai wahi meri
kismat ka chamkega tara
wahi par mitegi meri naatwaani wo taiba ki galiyan wo zam zam ka pani----2

khuda wand muj par yeh ahesaan kar de kabhi mujko kaabe ka mahemaan kar de
dare Mustafa (sallallaho alayhi wa aalehi wa sallam) par me palke bichhau kabhi bhi
waha se me waapas na aau
isi dhun me iqbaal aaya budhaapa isi aarzoo me kati hai jawaani
wo taiba ki galiyan wo zam zam ka pani----2

waha ki faqeeri hai raske ameeri, wahi par bashar ho meri zindagaani---2
Ae Allah Mere mukaddar me likh de----2 wo taiba ki galiyan wo zam zam ka pani

You might also like