Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 40

‫الرحِيم‬ ٰ ‫الر‬

َّ ‫حم ِن‬ َّ ِ‫سم ہللا‬


ِ ‫ِب‬

BAND BAJE GA
Written by

Syed Zain Raza


1

SCENE 1 (A) – INT. BEDROOM, IMRAN’S HOUSE – EVENING

WEDDING NIGHT. Imran aur Maira apne shaadi ke kapron mein bethe
hote hain.

IMRAN
Yakeen hee nahin aaraha ke yeh sab
sach mein horaha hai. Tumse shaadi
karna ek khwaab tha…

Imran uska haath pakarta hai. Maira smiles.

IMRAN
(CONT’D) Joh poora hogaya.

MAIRA
Imran… tumhein nahin lagta tumhein
apni ammi ko yeh sab bataadena
chahiye tha?

IMRAN
Maira tum amma ko nahin jaanti. Aur
joh situation bangayi thi yahan…
tumhare parents London jaarahe thay,
unhon ne mujhe pandrah din ka
ultimatum dediya tha warna tum bhi
London jaa chuki hoteen. Itne kum
time mein amma ko samjhaana aur…

MAIRA
Imran, tum koshish toh karsakte
thay. Unko pata chalega toh unko
kitna dukh hoga.

IMRAN
Haan yeh sab sahi hai Maira lekin…
amma humesha se meri shaadi apni
dost Zarva aunty ki beti Naima se
karvaana chahti hain. Ab agar main
amma ko yeh sab bataata toh woh
mujhe goli maardeteen.

MAIRA
Oh God Imran… tumne toh kuch zyada
hee dramatic banaadiya. Kaun si maa
apne betay ko goli maarsakti hai?

IMRAN
Meri maa. Ex SHO Amna Ali.
2

MAIRA
Tumhaari ammi Police mein hain?

IMRAN
Hain nahin. Theen.

MAIRA
(Hairat se) Ammian kiski Police mein
hoti hain?

IMRAN
Meri theen naa. Balke… aisa hee
samajhlo ke ab tak hain. Kyunke amma
toh retire hogayeen, par unke andar
ka Police waala ab tak retire nahin
hua.

MAIRA
Kya matlab?

CUT TO:

SCENE 2 – EXT. LAWN, AMNA’S HOUSE – AFTERNOON

Amna charpaayi par bethi sunrahi hai aur uske saamne do log khare
hain.

MAN 1
Amma ji, main Khuda ki qasam khaata
hoon ke paise iske bhai ko maine
khud diye tha.

MAN 2
Mera bhai toh chala gaya Dubai.
Paisa mera tha toh mujhe dena
chahiye tha naa.

MAN 1
Aray par tumhi ne toh apne bhai ko
paise lene ke liye bheja tha.

MAN 2
Aray woh sab mujhe nahin…

AMNA
(Gets angry) Ek minute! Humein sirf
do sawalon ke jawaab chahiye. (To
Man 1) Tum, aakhri jawaab do. Paise
iske bhai ko diye thay ya nahin? (To
Man 2) Aur tum, aakhri jawaab do.
3

Tumne paise lene apne bhai ko bheja


tha ya nahin?

MAN 1
(Thinks) Diye thay.

Amna looks at Man 2.

MAN 2
Bheja tha lekin…

Amna apna haath upar kardeti hai – scary music plays.

AMNA
Hogaya faisla. (Yells) Bashir!!

Amna ka khauffnaak mulazim/guard bahar aata hai aur woh MAN 2 ko


uthaakar lejaane lagta hai.

MAN 2
Aray kahan lejaarahe ho mujhe?

We see Amna’s closeup.

AMNA
Case dismissed.

SCENE 1 (B) – INT. BEDROOM, IMRAN’S HOUSE – EVENING

CONT’D. Maira hairat se Imran ko dekhrahi hoti hai, Imran


khisyaakar muskuraata hai.

MAIRA
Yeh sab tumne pehle kyun nahin
bataaya?

IMRAN
Bataadiya hota toh aaj tum yahan
nahin London mein hoteen.

Maira ghusse se Imran ko dekhti hai. He holds her hand.

IMRAN
Dekho Maira… main nahin chahta tha
tum sunkar koi ghalat assumption lo.
Haan, meri amma thori alag type ki
hain. Thori sakht hain. Lekin… unke
paas aur koi choice nahin thi. Main
teen saal ka tha jab abbu ki death
hogayi aur… tabhi se unhon ne mujhe
akele hee maa aur baap donon banke
4

paala hai. Aur… uske liye woh aam ek


maa jaisi toh nahin hosakti theen
naa.

Maira nods.

IMRAN
Woh dil ki buri nahin hain. Aur… ek
baar unko sach pata chalgaya toh woh
tumhein betion ki tarah rakhengi.

MAIRA
Aur sach unhein kab pata chalega?

IMRAN
Bas… kuch din mein bataadunga.

MAIRA
Aur agar woh na maani toh?

IMRAN
Ab daraao toh nahin yaar. Maine joh
scene apne dimagh mein imagine kiya
hai uske end mein amma maanjaati
hain… (khushi se) aur tumhein
humaare khandaani kangan deti hain.

MAIRA
Aur agar aisa naa hua toh?

IMRAN
Maira… aaj yeh baatein nahin karte.
Honeymoon se waapis aakar hum
baqaeda TED Talks ka session
rakhenge ispar. Par tab tak ke liye
toh… bhooljaao naa. Please?

Maira kuch nahin kehti.

IMRAN
Mairu. Please naa.

Maira hansti hai. Imran bhi muskuraata hai.

IMRAN
(Chain ki saans leke) Bachgaya.

SCENE 3 – INT. BEDROOM, IMRAN’S HOUSE – MORNING

Imran aur Maira sorahe hain tabhi phone bajta hai.


5

MAIRA
Imran!! Phone uthaao yaar!

Imran neend mein phone uthaata hai.

IMRAN
Hello.

AMNA
(Ghusse se) Ab bhi phone kyun
uthaaliya? Kuch ghante aur leleta.

IMRAN
Kaun hai joh subah subah taane maar
raha hai?

AMNA
Beghairat ab aise din aagaye ke hum
apna taaruf karaayen tujhse.

IMRAN
Kya…

AMNA
Munne!!

Imran jaldi se uthkar bethjaata hai.

IMRAN
Assalamalaikum amma. Subah bakhair.

AMNA
Khabardar joh yeh morning show
waalion ki tarah subah bakhair kaha
ho toh. Zeher lagti hain humein woh
chichoriaan.

IMRAN
Sorry Amma.

AMNA
Tere ghar ka number kya hai?

IMRAN
Amma landline toh kabki katvaadi.
Mobile hai naa.

AMNA
Tere ghar ka number! Joh bahar likha
hota hai kurmaghaz! Artis hai ya
artaalis humein yaad nahin aaraha.
6

IMRAN
Kyun chahiye Amma?

AMNA
Kyunke hum bahar hain. Par sahi ghar
ke bahar hain ya nahin yeh nahin
pata.

IMRAN
Kya????

Imran chonk kar uthjaata hai.

IMRAN
Amma… aap… yahan… kab…

AMNA
Aray jaldi bataa artis hai ya
artaalis?

IMRAN
Arsath hai amma.

AMNA
(Taxi waale se) Taxi waale bhai,
arsath number hai humaare munne ke
ghar ka.

Amna phone rakhdeti hai. Imran pareshani se khara hota hai.

MAIRA
Kya hua Imran?

IMRAN
(Khauff se) Amma aagayeen. Hum toh
gaye ab. Sab khatam. Tum shaadi ki
pehli subah hee beva hojaaogi. Sab
khatam.

MAIRA
Imran…

IMRAN
Main toh bhaagraha hoon.

MAIRA
Kahan?

IMRAN
7

Umm… p… pata nahin. Train mein


bethjaaunga phir train ki marzi
jahan chaahe leke jaaye.

MAIRA
Imran…

Tabhi ghar ki bell bajti hai.

IMRAN
Maut ki ghanti. Main peeche ke
darwaze se bhaagraha hoon. Tum aur
amma aapas mein dekhlena.

MAIRA
Tum paagal hogaye ho?

Bell dobara bajti hai.

IMRAN
Balke nahin… tum utho.

MAIRA
Imran?

Imran Maira ko lekar parde ke peeche jaata hai.

IMRAN
Tum yahan chupjaao.

MAIRA
Imran…

Bell dobara bajti hai.

IMRAN
Aaya Amma!!

Imran bhaagta hua chala jaata hai.

SCENE 4 – EXT. IMRAN’S HOUSE – MORNING

Imran jaakar darwaza kholta hai, Amna ghusse se khari hoti hai.

IMRAN
Assalamalaikum Amma.

Amna usay thappar maarti hai.

AMNA
Walaikum salam.
8

IMRAN
Amma… salaam ke jawab se pehle
thappar?

AMNA
Yeh teen bellon ke baad darwaza
kholne ka tohfa. Jaa ab taxi waale
ko kiraaya de. Kambakht ne bol bol
kar bura haal kardiya hai.

Taxi driver do bade bade suitcase lekar aata hai.

IMRAN
Amma do do suitcase? Kya poora Mandi
Bahauddin saath le aayeen ismein?
(Driver se) Kitne huye bhai tere?

DRIVER
Amma ji ke saath ek ghante se phir
raha hoon, ab behes ki himmat nahin
bachi. Aap joh bhi dedenge sabar
shukar se lelunga.

IMRAN
Acha…

Imran jaib mein haath daalta hai aur sau ka note deta hai.

IMRAN
Yaar abhi toh yeh sau hee hain…

TAXI DRIVER
Chalengay.

Taxi driver paise leke bhaagne lagta hai. Imran gate bund karleta
hai.

SCENE 5 – INT. LIVING ROOM, IMRAN’S HOUSE – MORNING

Imran samaan rakhta hai. Amna jaakar sofe par bethjaati hai.

AMNA
Munne! Chaaye banaade zara. Humaara
toh haal bura hogaya hai thakan se.

IMRAN
Amma aapne pehle bataadiya hota toh
main station aajata lene.

AMNA
Pichli baar ki tarah do ghante late?
9

IMRAN
Amma tab aapki train hee do ghante
late thi.

AMNA
Aur agar naa hoti toh? Tu late hota
naa?

IMRAN
Ab Amma is logic ke saamne insaan
kya kahe?

AMNA
Kuch naa keh aur jaake chaaye
banaaye. Jaa chaaye bana!

IMRAN
Jee Amma.

SCENE 6 – INT. BEDROOM, IMRAN’S HOUSE – MORNING

Imran andar aata hai toh Maira bed par bethi hoti hai.

IMRAN
Maira… tum parde ke peeche se bahar
kyun aagayeen?

MAIRA
Toh kya karti? Kitne din tak parde
ke peeche hee rehti?

IMRAN
Maira… koi plan nahin socha tha naa
ab tak.

MAIRA
Imran… humein kal subah Amsterdam ke
liye nikalna tha.

IMRAN
Actually Mairu…

MAIRA
(Dukh se) Imran…

IMRAN
Yaar kya Imran? Kya kahoon main Amma
se? Ke chalein bahar niklein main
Amsterdam jaaraha hoon?

MAIRA
10

Lekin Imran…

IMRAN
Maira… meri jaan… hum jaayenge naa.
Amma ke jaate hee. Pakka.

MAIRA
Imran tumhaari chuthiaan khatam
hojaayengi.

IMRAN
Main phir lelunga. (Irritated) Nokri
chorhdunga. Bas?

MAIRA
Don’t talk to me in this tone. Yeh
sab meri ghalti nahin hai!

IMRAN
(Almost crying) Main jaanta hoon
Maira. Meri bhi toh nahin hai.
Tumhein kya lagta hai mujhe
Amsterdam nahin dekhna kya?

Imran uska haath pakarta hai.

IMRAN
Dekho Maira… bas kuch hee din ki
baat hai. Amma ka dil nahin lagega
zyada din Karachi mein. Unko Mandi
Bahauddin ki aadat hai. Main kitni
baar yahan aane ka kehchuka hoon,
woh nahin aana chahteen.

MAIRA
Par tum Amma se kahoge kya?

IMRAN
Wohi sochne ke liye time chahiye.
Chaaye banaate huye sochta hoon.
Mujhe aksar chaaye banaate huye ache
ideas aate hain.

MAIRA
(Uktaakar) Theek hai.

SCENE 7 – INT. KITCHEN, IMRAN’S HOUSE – MORNING

Imran chaaye banaaraha hota hai.


11

AMNA (O.S)
Munne! Chaaye humaari zindagi mein
milegi ya humaari maiyyat pe aane
waalon ko pilaayega?

IMRAN
Bas do minute Amma!!

Imran jaldi se chaaye nikaalne lagta hai.

IMRAN
Kya boloon Amma ko? (Sochte huye)
Amma yeh bhootni hai? Nahin nahin…
(Sochte huye) Amma yeh… neend mein
chalke aksar yahan aajati hai? Nahin
nahin…

AMNA (O.S)
(Ghusse se) Munne!!!!

Imran bartan rakhkar bhaagta hai.

CUT TO:

SCENE 8 – INT. BEDROOM, IMRAN’S HOUSE – MORNING

Imran jaakar dekhta hai toh Amna kamre mein khari hoti hai aur
Maira bhi waheen hoti hai. Imran dekhkar shock mein aajata hai.

AMNA
Munne! (Ghusse se) Yeh kaun hai?

IMRAN
(Darr se) K… K… Kaun Amma?

AMNA
Zaahir hai tera toh hum poochenge
nahin. Yeh! Saamne.

IMRAN
Mujhe toh… koi nahin dikhrahi Amma.

Maira hairat se Imran ko dekhti hai.

AMNA
Aise zordaar waale do lappar
lagayenge ke saari beenaayi apne aap
taiz hojayegi. (Ghusse se) Bata kaun
hai yeh?

IMRAN
12

(Jaldi se) Mulaazma hai amma.

Maira ghusse se Imran ko dekhti hai.

IMRAN
Gh… gh… ghar ki mulazma.

AMNA
Mulaazma?

IMRAN
Jee Amma.

AMNA
Naam kya hai?

IMRAN
Imran, Amma.

AMNA
Iska!!

IMRAN
Oh. Maira.

AMNA
Maira? Yeh toh mulazma waala naam
hee nahin hai.

IMRAN
Kaisi baatein kar rahi hain amma.
Naam toh pedaish pe rakha hoga na,
tabse thori mulaazma hai bechari.

AMNA
(Maira ko scrutiny se dekhte huye)
Kabse ho yahan?

MAIRA
Kal raat se.

AMNA
Kya?

IMRAN
Matlab… Amma… yeh kehna chahrahi hai
ke kal raat hee waapis aayi apne
gaaon se. Warna yahan pe ek saal se
hai.

AMNA
13

Yeh yaheen rehti hai?

IMRAN
Jee Amma. Bechaari ka gaaon toh FATA
mein hai. Roz wahan se yahan aayegi
toh kiraaya zyada nahin lagega?

AMNA
Aray aise akele aadmi ke saath… acha
thori lagta hai.

IMRAN
Nahin nahin Amma… isko maine aaj tak
us nazar se nahin dekha.

Maira ghusse se Imran ko dekhti hai.

AMNA
Hmm. (Maira se) Waise kaisi safayi
karti ho tum ghar ki? Poore ghar
ganda parra hai. Har jaga gandigi
aur dhool ki tahein.

IMRAN
Amma maine… kaha toh… yeh kal hee
waapis aayi hai. Warna ghar saaf hee
hota tha. Woh toh iske peeche… maine
kharaab kardiya.

AMNA
Ismein toh khair koi shak nahin.
Phuraapa toh bilkul dadiyaal waala
hai tera Munne. Teri saari phupiaan
aisi hee phuaar aur kaamchor theen.

IMRAN
(Hanskar) Jee jee amma bilkul.

AMNA
Tu kya hass raha hai? Chaaye ka kya
hua?

IMRAN
Bangayi Amma.

AMNA
Theek hai. Hum aate hain. (Maira se)
Aur suno ladki. Tum jaakar naashta
banaao, phir hum tumhein bataate
14

hain ke aaj kahan se kaam shuruh


karna hai.

MAIRA
J… j… jee amma ji.

Amna wahan se jaati hai. Maira ghusse se Imran ko dekhti hai.

MAIRA
Mulazma? (Ghusse se) Tumhara dimagh
theek hai?

IMRAN
Maira… main kya karta yaar? Main
abhi bahaane soch hee raha tha ke
amma ne chaapa maardiya.

MAIRA
Aur tumhein sirf mulaazma samajh
aaya?

IMRAN
Yaar maine toh invisible waala bhi
try kiya tha… par Amma ne seedha
thappar ki dhamki dedi.

MAIRA
Imran. Main naashta kaise banaaun?
Mujhe sirf anda ubaalna aata hai.

IMRAN
Main bahar se mangaadeta hoon. Amma
se kehdunga banaane ka time nahin
hai.

IMRAN
Imran… (teary eyed)

IMRAN
Maira… dekho abhi please rone ka
time nahin hai yaar. Amma chali
jaayen toh tum ek poora din lelena
rone ke liye. Hum us din aur kuch
nahin karenge, pakka.

MAIRA
Imran main bataarahi hoon yeh sab…

AMNA (O.S)
Munne!!!
15

IMRAN
Aaya Amma!

Imran bhaagta hua chala jaata hai.

SCENE 9 – INT. DINING ROOM, IMRAN’S HOUSE – MORNING

Amna aur Imran naashta kar rahe hain. Maira laakar bartan table
par rakhti hai aur chali jaati hai.

AMNA
(Khaate huye) Bhayi waah. Karachi ke
halwa puri ke naashte ki baat hee
kuch aur hai.

IMRAN
Jee Amma.

AMNA
Waise toh naashta bada acha hai par…
us mulaazma hote huye bahar se kyun
mangvaaya?

IMRAN
Amma… dair hogayi thi naa. Maine socha
kyun bila waja bechari ko pareshan
karna.

AMNA
Bechari? Munne yeh kaam hai uska.
Humein pehle hee darr tha ke tunay
sarr charha rakha hoga usko. Pata hai
humein ye sheher ki mulazmayen kitni
bekaar hoti hain. Aur yeh toh shakal
se hee muzmaeel aur kaamchor lagrahi
hai.

IMRAN
Nahin Amma… ab aisa bhi nahin hai.

AMNA
Munne yeh mulazmon ko itni dheel nahin
dete. Inko sar pe bithaaoge toh yeh
tumhare hee sar pe bethke tumhara hee
kaan kutarlenge.

IMRAN
Jee Amma.

Imran dekhta hai toh Maira saamne ghusse se ghoor rahi hoti hai.

SCENE 10 – INT. TERRACE, IMRAN’S HOUSE – AFTERNOON


16

Imran Maira se baat kar raha hai.

IMRAN
Mairu… bas… kuch din dedo mujhe. Itni
badi baat soch samajhkar bataayi jaati
hai naa jaan.

MAIRA
Kya sochkar samajhkar bataayi jaati
hai? Seedha seedha nahin kehsakte
usne?

IMRAN
Kya kahoon? Ke ek din supermarket gaya
tha… wahan se doodh, chawal, aur aate
ke sath bahu bhi le aaya?

MAIRA
That’s your problem. Par maine physics
mein Masters isliye nahin kiya tha ke
mulaazma banjaaun.

IMRAN
Bani kahan ho? Sirf acting kar rahi
ho. Samajhlo yeh film hai.

MAIRA
Film? Films mein aise role humesha
junior artists ko milte hain, heroine
ko nahin.

IMRAN
Kyun Cinderella mein kya hua tha?

MAIRA
Imran don’t even…

AMNA (O.S)
Maira! Aray O Maira!!

Maira ghusse se Imran ko dekhti hai. Imran smiles in guilt.

SCENE 11 – INT. LIVING ROOM, IMRAN’S HOUSE – AFTERNOON

Maira aati hai toh Amna jhaaru liye khari hoti hai.

MAIRA
Jee Amma ji?

AMNA
Ab kaamchori ke din huye khatam. Ab
apna kamaaya ek ek rupiya halal karo.
17

Amna woh jhaaru Maira ko deti hai.

AMNA
Yeh lo!

Maira khauff se dekhti hai.

CUT TO:

SCENE 12 – INT. MULTIPLE ROOMS, IMRAN’S HOUSE – AFTERNOON

MONTAGE BEGINS. Maira poore ghar mein jhaaru lagarahi hai aur Amna
uske saath saath chalkar usay ishaaron se batarahi hai ke kahan kahan
safaayi karni hai.

SCENE 13 – INT. BEDROOM, IMRAN’S HOUSE – AFTERNOON

MONTAGE CONT’D. Maira muu par kapra baandhe ladder par khari makri ke
jaale saaf kar rahi hai.

SCENE 14 – INT. LIVING ROOM, IMRAN’S HOUSE – EVENING

MONTAGE CONT’D. Amna aur Imran bethe TV dekhrahe hain.

AMNA
Maira! Paani pilaao!

SCENE 15 – EXT. LAWN, IMRAN’S HOUSE – EVENING

MONTAGE CONT’D. Amna lawm mein bethi magazine parhrahi hai.

AMNA
Maira! Chaaye banaao!

SCENE 16 – INT. LIVING ROOM, IMRAN’S HOUSE – EVENING

MONTAGE CONT’D. Amna kitchen mein khari hai.

AMNA
Maira! Khaana banaao!

SCENE 17 – EXT. IMRAN’S HOUSE – NIGHT

MONTAGE CONT’D. Imran chupte huye delivery service se khaane ke bags


leleta hai aur jaakar Maira ko deta hai.

SCENE 18 – INT. KITCHEN, IMRAN’S HOUSE – NIGHT

MONTAGE CONT’D. Maira bags se khaana nikaalkar bartan mein daalrahi


hai.

AMNA (O.S)
Maira! Khaana laao!
18

SCENE 19 – INT. KITCHEN, IMRAN’S HOUSE – NIGHT

MONTAGE CONT’D. Maira kitchen mein sukoon se bethkar gehri saans leti
hai.

AMNA (O.S)
Maira!!

Maira gehri saans leti hai. She knows what Amna will say, and says it
along with her.

AMNA (O.S) MAIRA


Chaaye banaao! Chaaye banaao!

Maira apna sar pakarleti hai.

CUT TO:

SCENE 20 - INT. KITCHEN, IMRAN’S HOUSE – NIGHT

Maira ka saara jism dard kar raha hai, aur woh seat par bethi huyi
hai. Imran guilt mein uske saath khara hai.

MAIRA
Pata hai maine suna tha ke dozakh ka
ek din, humaare kayi saal ke baraabar
hoga. Mujhe kabhi yeh samajh nahin
aata tha ke aisa kaise mumkin hai.

She looks at Imran.

MAIRA
Aaj samajh aagaya.

IMRAN
Mairu… I am sorry yaar. Main jaanta
hoon…

MAIRA
Aaj maine jhaaru lagaayi, bartan
dhoye, taaki lagaayi… aur… (dukh se)
Tumhe pata hai unhon ne mujhse makri
ke jaale saaf karvaaye.

Imran dukh se dekhta hai.

MAIRA
Makri ke jaale kaun saaf karta hoga?
Aur unko dikhe kaise? Maine toh suna
tha burhaape mein nazar kamzor hojaati
hai.
19

IMRAN
Nahin… amma ke toh MashaAllah sab
hawaas waqt ke saath aur behtar hee
horahe hain.

MAIRA
Upar charh charhke makri ke jaale saaf
kiye hain maine. Matlab… mere saath
saath bechari makrion tak ko sukoon se
nahi chorha.

IMRAN
Waaqeyi, yeh toh zyaadti hai.

MAIRA
Aur kamsekam nau cup chaaye banaayi
hogi maine aaj. Nau cup! Itni chaaye
kaun peeta hai?

IMRAN
Haan, sahi baat hai.

MAIRA
Ab samajh aaraha hai woh apne aap ko
hum kehke kyun bulaati hain.

IMRAN
Haan waaqeyi waise… ek din mein nau
cup… yeh toh thori ghair insaani baat
hai.

MAIRA
Itni chaaye agar maine kisi dhaabe pe
banaayi hoti toh meri promotion hogayi
hoti.

IMRAN
Sorry Maira.

Imran Maira ka haath pakarta hai.

MAIRA
Meri body ka har hissa dard kar raha
hai. Alag alag.

IMRAN
Khair on a side note, tum kaam karte
huye lag bohot khoobsurat rahi theen.

Maira ghusse se Imran ko dekhti hai.

IMRAN
20

Maira… dekho main jaanta hoon tumhein


bohot mushkil horahi hai. Par main kya
karoon? Dekho unki age mein dil kamzor
hojaata hai. Isliye kisi ko aise
achanak itne bade shock nahin dene
chahiye. Khuda na khoasta main unko
batadoon aur agar kuch hogaya toh?

Maira kuch nahin kehti.

IMRAN
I’m sorry. Main jaldi hee kuch
karunga. I promise. Bas… tum sabar se
kaam lo.

MAIRA
Theek hai. Ab sone chalein?

IMRAN
(Darr kar) Umm… haan… uske baare mein
bhi kuch kehna tha.

Maira hairat se Imran ko dekhti hai.

SCENE 21 – INT. LIVING ROOM, IMRAN’S HOUSE – NIGHT

We see – blanket, pillow, bedsheet on the floor. Maira ghusse se


Imran ko dekhti hai.

MAIRA
You must be kidding me.

IMRAN
Maira samjha karo naa. Guest room mein
toh Amma hain, aur bedroom mein main.
Umm… aur… waise kehte hain farsh pe
sona back ke liye bohot acha hota hai.
Science ne baar baar saabit bhi kiya
hai.

MAIRA
Agar itna hee acha hota hai toh tum
farsh par kyun nahin sojaate?

IMRAN
Khud hee socho Maira ghar ka maalik
farsh par soye aur mulazma kamre mein…
ammi ko shak hojayega.

Maira gehri saans leti hai.

MAIRA
21

Aur kuch?

IMRAN
Woh… tumhaare kapre almaari se
nikaalke suitcase mein rakhdiye hain.
Ammi ne dekha toh…

MAIRA
Shak hojaayega.

IMRAN
Haan.

MAIRA
Aur kuch?

IMRAN
Woh shaadi ki pictures aur movie ka
parcel ek do din mein ghar par deliver
hoga. Toh… agar main ghar pa naa hon
toh yaad se tum hee darwaza kholna aur
amma se chupkar parcel lelena.

MAIRA
Aur kuch?

IMRAN
Nahin bas… abhi yehi hai.

Maira ghusse se letjaati hai.

SCENE 22 – INT. LIVING ROOM, IMRAN’S HOUSE – MORNING

It’s early morning time. We hear birds outisde. Maira araam se zameen
par sorahi hai.

AMNA (O.S)
Maira!!

Maira chonk kar uthjaati hai.

SCENE 23 – EXT. GROCERY STORE – AFTERNOON

Maira saari theliaan lekar chalrahi hai aur Amna uske saath.

AMNA
Ghee ghar mein hee banaana chahiye,
taaza. Aur sabziaan bhi ghar mein
ugaana seekho. Yeh bazaar mein toh sab
jaali aur zeher aalood.

MAIRA
22

Jee Amma ji.

Tabhi saamne se chor aajata hai.

CHOR
Aye! Chal jaldi se mobile aur purse
nikaal apna.

Maira darjaati hai.

CHOR
Suna nahin? (Amna se) Aur tum! Aunty!
Jaldi karo. Purse aur mobile do jaldi
se.

AMNA
Kyun? Tera baap rakhvaakar gaya tha
humaare paas?

CHOR
Aunty zyada hoshiyaari nahin! Jaldi do
warna goli maardunga.

AMNA
Ahmaq pehle bandooq ka lock toh khol.

CHOR
Kya?

Woh pistol ko dekhta hai aur tabhi Amna usko kick maarti hai jisse
chor neeche girta hai aur uski pistol bhi.

MAIRA
Araam se!

Amna jaakar uski pistol uthaakar usi par taanleti hai.

CHOR
Amma ji. Maaf kardo. Ghalti hogayi.

AMNA
(Kicking him) Naakara, Nikamme. Haath
paaon salamat hain tere aur chori
karta hai. Besharam!

CHOR
Maaf kardo amma ji!

AMNA
Saare sheher ke aman o amaan ka
beraghark kar rakha hai. Zinda nahin
chorhenge tujhe!
23

Amna usko maarti rehti hai. Maira hairat se dekhrahi hoti hai.

CHOR (O.S)
Bachaao!!! Bachaao!!!

SCENE 24 (A) – INT. LIVING ROOM, IMRAN’S HOUSE – AFTERNOON

Imran ko Amna sab bataarahi hoti hai.

AMNA
Phir kya? Humne aisi laatein chalaayi
hain seedhi antarion pe aur gurde ke
aas paas. Uth nahin paaya phir.

IMRAN
Amma kya zaroorat thi bila waja… khuda
na khoasta kuch hojaata toh?

AMNA
Teri maa koi aam aurat nahin hai
Munne. Aur agar aise hee darr kar apna
samaan ek chor ko dedete toh toh
laanat hai humaari bees saal ki Police
service par.

IMRAN
Phir bhi… aap theen, Maira thi…

AMNA
Chalo. Matlab humaari aur Maira ki ek
jitni parvaah hai tujhe?

IMRAN
Nahin amma mera matlab tha…

AMNA
Bas rehne de. Ek saath donon ka naam
liya yaani ek jitni parvaah huyi naa.

IMRAN
Amma is mozooh par baat abhi horahi
hai toh uska naam bhi abhi hee lunga
naa. Ek ghante baad kya alag se uska
naam leta?

AMNA
Bas. Rehne de. Waise Munne, humein
teri is mulazma ke baare mein tujhse
ek baat karni hai.

IMRAN
24

Achi larki hai naa? Mujhe bhi aisa hee


lagta hai Amma.

AMNA
Aisa tujhe hee lagsakta tha beta. Aqal
joh dadiyaal par gayi hai apni. Hum
yeh kehrahe thay ke yeh bilkul bekaar
hai. Aur humein shak hai yeh khaana
bhi khud nahin banaati.

IMRAN
K… k… kya?

AMNA
Haan. Khud soch, tunay kabhi khaana
pakte huye dekha hai? Humesha bartan
mein hota hai. Naa pakne ki khushboo
aati hai, naa dhuaan uthta hai. Kuch
toh raaz hai.

IMRAN
Jee Amma. Dekhna parrega.

CUT TO:

SCENE 24 (B) – INT. TERRACE, IMRAN’S HOUSE – AFTERNOON

Imran aur Maira baat kar rahe hain.

MAIRA
Tumhara dimaagh theek hai? Ab khaana
bhi main hee banaaun?

IMRAN
Ammi ko shak hogaya hai yaar.

MAIRA
Imran… aise toh main waaqeyi mulazma
banjaaungi.

IMRAN
Toh main kya karoon Maira? Batadoon
unko? Taake dil tootjaaye unka aur
khuda na khoasta dil ka daura parjaaye
unhein?

MAIRA
Maine aaj tak kisi ko shaadi ki khabar
sunke dil ka daura parte nahin suna
Imran.

IMRAN
25

Toh tum chahti ho meri Amma pehli hon?


Iftetah karein woh is cheez ka?
Breaking news aaye TV pe?

MAIRA
Imran dekho…

AMNA (O.S)
Maira!! Khaana aaj ki tareekh mein
milega ya nahin?

Maira dukh se Imran ko dekhti hai.

MAIRA
Unka to pata nahin par mujhe kaam kar
karke kuch din mein dil ka daura
zaroor parjayega.

Maira ghusse se wahan se jaane lagti hai.

SCENE 25 – INT. KITCHEN, IMRAN’S HOUSE – AFTERNOON

Amna kitchen mein aati hai jahan Maira khaana banarahi hai.

AMNA
Yeh sadhne ki bu kyun aarahi hai yahan
se?

MAIRA
Kuch sadh nahin raha. Main biryani
pakarahi hoon.

AMNA
Toh yeh bu kaisi hai?

MAIRA
Chaawal dum par aarahe hain.

Amna jaakar Biryani ki pateeli kholkar dekhti hai.

AMNA
Yeh biryani kab banegi?

MAIRA
Bas… dus minute mein.

AMNA
Nahin. Humaara matlab hai ke yeh joh
cheez pateeli mein hai… yeh biryani
kab banegi. Matlab dus minute mein
aisa kya jaadu hoga joh ab tak nahin
hua.
26

MAIRA
Ek baar banjaaye toh dekhlejiyega
kaisi banegi.

AMNA
Yeh insaanon ke khaane ke liye theek
bhi hogi? Kabhi ulcer hee hojaye isko
khaake.

MAIRA
Aisa kuch nahin hoga.

AMNA
(Gehri saans lekar jaate huye) Allah
hee bachaaye bhayi.

SCENE 26 – INT. BEDROOM, IMRAN’S HOUSE – NIGHT

Amna phone par baat kar rahi hai.

AMNA
Haan haan hum toh khud Karachi mein
hain. Ab toh chaar roz hone ko aaye
hain. (Sunte huye) Haan haan… aray
humein thori pata tha ke Naima bhi aaj
kal yaheen hai.

Tabhi Maira chaaye lekar andar aati hai.

AMNA
Ek kaam karo, usko humaari taraf
bhejdo kal. Hum usse mil bhi lenge aur
pasand aagayi toh jaldi hee Munne aur
uski mangni kardenge.

Tabhi Maira ke haath se chaaye ka cup chuthjaata hai.

AMNA
(Ghusse se) Beraghark!

MAIRA
Sorry woh…

AMNA
Tumhaare haathon mein larza hai kya?
(Phone par) Kuch nahin woh mulazma hai
Munne ki. Bilkul sar jhaar muu phaar.
Koi saleeqa nahin kisi bhi kaam ka.
(Maira se) Ab dekh kya rahi ho saaf
karo isay.

MAIRA
27

Jee.

Maira safaayi karne lagti hai. We see tears come out as she looks the
other way cleaning.

AMNA (O.S)
Jaldi se Munne ki kisi saleeqashwaar
larki se shaadi ho bhayi. Warna yeh
mulazma toh koi kaam theek se nahin
karti.

SCENE 27 – INT. LIVING ROOM, IMRAN’S HOUSE – NIGHT

Imran aur Maira baat kar rahe hain. Maira dukhi lagrahi hai.

IMRAN
Maira main…

MAIRA
Bas Imran. Tum apne bahaane rehne do.
Mujhe samajh aagaya hai ke tum kuch
nahin karne waale.

IMRAN
Maira main karunga… lekin main…

MAIRA
Nahin Imran. Agar tumhein karna hota
naa, toh ab tak kar chuke hote. Kal
agar tumhari Amma ko woh larki pasand
bhi aagayi na… tum tab bhi unse kuch
nahin kahoge. Bas mujhse aake kehdoge
ke Maira main kuch keh nahin sakta
warna ammi ko shak hojaayega.

IMRAN
Maira…

Maira ghusse se wahan se chali jaati hai. Imran khara hua sochraha
hota hai.

SCENE 28 – INT. LIVING ROOM, IMRAN’S HOUSE – AFTERNOON

Maira Amna ko chaaye laakar deti hai, tabhi Amna dekhti hai ke Imran
kaheen jaaraha hai.

AMNA
Munne tu kahan chaldiya aise?

IMRAN
Amma kuch kaam se jaana tha mujhe.
28

AMNA
Aray humne Naima ko bulaaya hai. Teri
shaadi ke silsile mein. Saath mein mil
lete toh acha hota.

IMRAN
Amma mujhe abhi shadi nahin karni.

AMNA
Shaadi toh beta tere ache bhi karenge,
samjha? Mil le toh acha hai, naa mila
toh shaadi ke roz toh mulaqaat ho hee
jaayegi.

IMRAN
Amma…

AMNA
Jaa ab apne kaam se.

Maira dukh se Imran ko dekhti hai, Imran chala jaata hai.

SCENE 29 – INT. DRAWING ROOM, IMRAN’S HOUSE – AFTERNOON

MONTAGE. Naima aur Amna baat kar rahe hain. Maira bahar se sab kuch
dukh se dekhrahi hai.

SCENE 30 – INT. IMRAN’S HOUSE – EVENING

Naima jaane se pehle Amna se baat kar rahi hai.

NAIMA
Chalein aunty, bohot khushi huyi aapse
milkar.

AMNA
Humein bhi beta. Aur agar tumhein
aitraaz naa ho toh hum agle hee hafte
mangni karna chahrahe thay.

NAIMA
Jee Aunty mujhe kya aitraaz hoga.

AMNA
Theek hai phir. Baaki baat hum Zarva
se karlenge. Khush raho.

Amna Naima ka maatha choomti hai. Maira dukh se yeh sab dekhrahi hoti
hai.

SCENE 31 – INT. BEDROOM, IMRAN’S HOUSE – NIGHT


29

Maira ghusse se apna samaan pack kar rahi hai.

IMRAN
Maira tum yeh sab kya kar rahi ho?

MAIRA
Ab mere yahan rehne ka koi faeda nahin
hai Imran.

IMRAN
Dekho Maira tum ek baar meri baat…

MAIRA
Kuch matt kehna Imran. Mujhe samajh
aagaya hai ghalti tumhaari Amma ki
nahin tumhari hai. Aur meri bhi. Meri
isliye ke maine tumpar bharosa kiya.
Joh insaan mere liye itni si baat par
stand nahin lesakta, woh saari zindagi
mera saath kya dega.

IMRAN
Maira…

MAIRA
Nahin Imran. Tum ek darpok insaan ho.
Aur tum darpok hee rahoge. Baat kabhi
bhi tumhaari amma ki tabyat ki thi hee
nahin. Baat tumhaare darr ki thi. Tum
mein apni baat unke saamne kehne ki
himmat hee nahin hai, aur isi liye tum
ab tak bahaane banaate rahe.

IMRAN
Nahin Maira.

MAIRA
Jab tumhein amma ke yahan aane ka pata
chala tha tab tumne pehli cheez kya
boli thi yaad hai?

Maira dukh se Imran ko dekhti hai.

MAIRA
Tumne kaha tha main toh yahan se
bhaagraha hoon, tum aur amma aapas
mein sab dekhlena. Yehi tumhaari
fitrat hai Imran. Situation ko face
karne ke bajaaye usse bhaagna.

IMRAN
30

Maira please meri baat suno. Main amma


ko bataadunga par…

Maira samaan lekar wahan se jaane lagti hai.

MAIRA
Agar tumhein unko bataana hota naa
Imran… toh tum ab tak batachuke hote.
Tumhein tumhaari nayi shaadi mubarak
ho. Bas… ek kaam karna. Agar usko
kabhi tumhaari zaroorat parray toh
kamsekam uska saath zaroor dedena.

Maira jaane lagti hai.

IMRAN
Maira… matt jaao. Main tumse bohot
pyaar karta hoon.

MAIRA
Sirf yehi kaafi nahin hota Imran.

Bahar se horn ki awaaz aati hai.

MAIRA
Maamu aagaye hain. Khuda hafiz.

Maira wahan se chali jaati hai.

IMRAN
Maira… Maira…

SCENE 32 – INT. BEDROOM, IMRAN’S HOUSE – NIGHT

Imran pareshani se bed par leta hua sochraha hota hai.

SCENE 33 – INT. DINING ROOM, IMRAN’S HOUSE – MORNING

Imran office ke liye tayyar hua chaaye peeraha hai, tabhi Amna wahan
aati hai.

AMNA
Aray yeh kya? Aisa sookha sookha
naashta? Woh mahraani uthi nahin abhi?

IMRAN
Chali gayi hai woh.

AMNA
Kya matlab? Chorhdi nokri?

Imran haan mein sar hilaata hai.


31

AMNA
Zaroor kaheen aur zyada tankhoa par
nokri pakarli hogi. Khair dafa karo.
Kuch kaam toh karti nahin thi. Bila
waja ki tankhoa.

Imran kuch nahin kehta.

AMNA
Acha sun Munne… aaj koshish karna ghar
jaldi aajaye.

IMRAN
Kyun?

AMNA
Bas aayega toh bataaungi. Tere liye
surprise hai. Jaldi aajana bas… theek
hai mera baccha?

IMRAN
Theek hai.

AMNA
Shabash. Aur beth main tere liye kuch
acha sa banaati hoon.

Amna wahan se jaati hai. Imran apni soch mein gum hai.

SCENE 34 – INT. OFFICE – AFTERNOON

Imran office mein betha hua hai aur usko Maira ki kahi baatein yaad
aarahi hain. Woh apne phone par apni aur Maira ki tasveerein dekhraha
hai.

SCENE 35 – EXT. STREET – EVENING

Imran apne office ke kapron mein hee hai, aur Maira ko phone karne ki
koshish kar raha hai. Har baar Maira phone kaatrahi hai. Imran baar
baar try karta hai, aakhir kaar Maira ka phone lagjaata hai.

IMRAN
Maira ek baar meri baat suno…

MAAMU (V.O)
Maira tumse koi baat nahin karna
chahti Imran. Tum usay pehle hee bohot
pareshan karchuke ho. Ab khuda ke liye
uska peecha chorhdo.

IMRAN
32

Maamu meri ek baar usse baat karaadein


please.

MAAMU (V.O)
Usse baat karne ka haq tum khochuke
ho. Khuda hafiz.

IMRAN
Maamu main…

Phone katjaata hai. Imran bohot dukhi lagraha hai.

SCENE 36 (A) – INT. IMRAN’S HOUSE – EVENING

Imran ghar waapis aata hai toh dekhta hai ghar saja hua hai, aur Amna
bhi tayyar hui hai. Drawing room mein kuch mehmaan bhi bethe hain aur
dulhan Naima bhi.

IMRAN
Amma!

Tabhi Amna uske paas jaati hai.

AMNA
(Khushi se) Aaja Munne. Tera hee
intizaar horaha tha.

IMRAN
Amma yeh sab…

AMNA
Humne kaha tha naa tere liye surprise
hai. Woh Naima aur uske ghar waale
Karachi aagaye thay toh humne socha
mangni karli jaaye.

IMRAN
Kya? Mangni? Amma kya hogaya hai
aapko?

AMNA
Aray kya matlab? Humne kaha toh tha
tujhse.

IMRAN
Bas itna kaafi hota hai?

AMNA
Toh kya khat likhte tujhe? Sarkaari
mohar lagvaake dete? Aray tu beta hai
humaara, hum tere liye koi faisla
nahin lesakte?
33

IMRAN
Aapne bina mujhse pooche itna bada
faisla leliya? Kya meri shaadi mein
meri zara bhi marzi zaroori nahin hai?
Maine kaha tha naa mujhe abhi shaadi
nahin karni!

Andar bethe mehmaan dekhne lagte hain.

AMNA
Munne… sab dekhrahe hain beta. Kya
hogaya tujhe?

IMRAN
Ab sab samajh aagaya Amma. Theek kaha
tha Maira ne. Aapki ghalti thi hee
nahin. Ghalti meri thi ke maine kabhi
kuch nahin kaha.

AMNA
Toh yeh sab usne bhara hai tere
dimaagh mein?

IMRAN
Usne kuch nahin bhara Amma. Woh toh
chali gayi chup chaap yahan se. Aur
acha kiya usne. Kyunke mujh jaise
insaan ke saath yehi hona chahiye.
Theek hai… aapki joh marzi ho aap woh
keejiye, par ek shaadi shudah insaan
ki shaadi kaise karvayengi aap?

Amna hairaan rehjaati hai.

AMNA
Kya? Shaadi shudah?

Tabhi Zarva wahan aati hai.

ZARVA
Amna yeh kya kehraha hai? Tumne itni
badi baat humse chupaayi?

AMNA
Zarva humein khud…

IMRAN
Amma ki koi ghalti nahin hai Zarva
aunty. Ghalti meri hee hai.

AMNA
Munne tu…
34

IMRAN
Nahin Amma. Ab main khamosh nahin
rehsakta. Sach toh yeh hai ke Maira
meri biwi hai.

Sab hairaan rehjaate hain.

IMRAN
Aur main bohot pyaar karta hoon usse.
Par usne bilkul sahi kaha tha… sirf
pyaar karna hee kaafi nahin hota. Usko
apnaane ki himmat bhi honi chahiye.
Joh mujhmein nahin thi. Isi liye maine
aapse jhoot bola, usko is ghar ki
mulaazma banaadiya. Sirf isliye kyunke
main aapse sach kehne se darta tha.
Par ab… ab bohot dair hogayi hai
Amma. Maira ki nazron mein toh kabka
girchuka hoon, par agar ab sach naa
kehta toh khud ki nazron mein bhi
girjaata.

AMNA
Munne… tu jaanta hai hum teri shaadi
Naima se karna chahte thay.

IMRAN
Jaanta hoon Amma. Par main aisa
nahin chahta. Mere liye Maira ki
jaga aur koi nahin lesakta.

AMNA
Aur agar hum naa kehdein toh?

IMRAN
Maira meri biwi hai Amma. Woh mere
saath naa rehna chaahe toh yeh uski
marzi… par main usko ab kisi ke liye
nahin chorhunga.

Amna ki aankh se aansu nikalta hai.

IMRAN
Mujhe maaf kardeejiye Amma main…

AMNA
(Full of pride) Dulhan!

Tabhi dikhaate hain Dulhan ke ghoonghat mein Maira hai. Imran


dekhkar hairaan rehjaata hai.
35

IMRAN
Amma… yeh Maira… Maira yahan hai toh
Naima…

Tabhi Naima doosre kamre se aati hai.

NAIMA
Main toh yahan hoon.

IMRAN
Amma… Yeh sab kaise…

AMNA
Hum bataate hain.

CUT TO:

SCENE 37 – EXT. IMRAN’S HOUSE – EVENING

Amna walk karke waapis aarahi hai.

AMNA (V.O)
Kuch din pehle hum tehelkar waapis
aarahe thay, tabhi koi larka tere
ghar ke bahar pohoncha.

Who Amna ko parcel dedeta hai. Amna leleti hai.

AMNA (V.O)
Usne humein ek dabba dediya. Humne
socha tera koi parcel aaya hoga.

SCENE 38 – INT. LIVING ROOM, IMRAN’S HOUSE – EVENING

Amna parcel ko kholrahi hoti hai.

AMNA (V.O)
Par phir humne socha zara dekhein
toh andar hai kya.

Amna DVD nikaalkar lagaati hai aur dekhkar hairaan rehjati hai.

AMNA (V.O)
DVD dekhi toh humaare toh hosh
urgaye. Woh teri aur Maira ki shaadi
ki movie thi. Bas tabhi hum sab kuch
samajhgaye.

SCENE 39 – INT. TERRACE, IMRAN’S HOUSE – EVENING


36

Maira aur Imran baat kar rahe hain, Amna bahar khari sab dekhrahi
hai.

AMNA (V.O)
Phir tum donon ki baatein suni toh
samajh aaya ke kya khichri pakrahi
hai.

SCENE 40 – INT. BEDROOM, IMRAN’S HOUSE – NIGHT

Maira kamre mein bethi rorahi hai.

AMNA (V.O)
Humne socha teri doosri shaadi ka
sunkar toh tu kuch bolega hee. Par
tu phir bhi kuch nahin bola, aur
Maira bechari ne ro rokar apna haal
bura karliya tha.

Amna andar aati hai toh Maira jaldi se aansoo ponchleti hai. Amna
usse bethkar baat karne lagti hai.

AMNA (V.O)
Phir humne taih kiya ke tujhe sabaq
toh sikhaana hee parega.

MAIRA
I am sorry maine…

AMNA
Aray tum kya sorry kehrahi ho?
Ghalti toh us naalaeq ki hai. Aur
joh ghalti karta hai, usko saza toh
milti hee hai. Yehi humaara insaaf
hai.

MAIRA
Kya matlab?

AMNA
Matlab yeh ke joh darpok tujhse
shaadi karke bhi tujhe apni biwi
maanne se darr raha hai, woh saari
umar kya khaak tera saath dega?

MAIRA
Phir? Ab main kya karoon?

AMNA
37

Usko ek jhatke ki zaroorat hai.


Tabhi woh apna sabaq seekhega.

MAIRA
Kya matlab?

Amna usko samjhaane lagti hai.

AMNA (V.O)
Tabhi humne Maira ko samjhaaya ke
woh ghar se jaane ka drama kare.

CUT TO:

SCENE 41 – INT. BEDROOM, IMRAN’S HOUSE – NIGHT

FLASHBACK. Maira samaan lekar jaarahi hai aur Imran usse baat kar
raha hai. Amna sab dekhrahi hai.

AMNA (V.O)
Humne socha kamsekam tu usko jaata
dekhkar toh sab sach bata hee dega.
Par tujhmein toh itni bhi himmat
nahin thi. Tabhi humne socha ke
humne yeh faisla karke koi ghalti
nahin ki. Aur phir apne plan ka
aakhri daao khela. Yeh mangni.

CUT BACK TO:

SCENE 36 (B) – INT. IMRAN’S HOUSE – EVENING

BACK TO ORIGINAL SCENE. Amna Imran ko sab kuch bataarahi hai.

AMNA
Wahan gaaon mein hum saari duniya ko
insaaf dilaate rahe, aur yahan apne
hee ghar mein humaara beta humaari
bahu ke saath na insaafi karta raha.
Woh bhi humaari waja se. Munne tunay
socha bhi kaise ke teri khushi se
humara dil dukhega? Ek maa ke liye
bete ki khushi se barhke kuch hota
hai kabhi?

IMRAN
Sorry Amma.

AMNA
38

Sorry mujhse nahin isse bol, jiska


dil dukhaaya tha tunay.

IMRAN
(Maira ko dekhkar) Sorry Maira.

Maira ki aankhon mein aansoo hote hain.

AMNA
Beta shaadi mein sabse zaroori cheez
hee yehi hai ke aap apne shareek e
hayaat ka saath dein. Usko yeh
yaqeen hona chahiye ke aur koi bhale
hee mere saath ho naa ho, par yeh
insaan zaroor hoga. Yeh aitmaad
behadd zaroori hai. Samjhe?

IMRAN
Jee Amma.

AMNA
Ab khara kya hai? Jaa bethja jaake
apni dulhan ke saath. Ab itni
taiyyari ki hee hai toh kuch
tasveerein hee lelein.

IMRAN
Jee Amma.

Imran aur Maira saath jaakar bethjaate hain.

AMNA
Ek zaroori kaam toh reh hee gaya.

Amna apne kangan nikaalkar Maira ko deti hai.

AMNA
Yeh le beta. Humaare khandaani
kangan. Aaj se yeh tere huye.

Maira khushi se leleti hai.

IMRAN
Dekha. Aakhir meri imagination ho
hee gayi naa.

MAIRA
Tum toh kuch bolo hee matt.

IMRAN
Sorry yaar.
39

MAIRA
Shut up.

IMRAN
Mairu.

MAIRA
I hate you.

IMRAN
I love you too Mairu.

Maira hansti hai.

AMNA
Aray jaldi se tasveer lelo bhayi!

We see a picture of Imran and Maira clicked.

THE END

You might also like