Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 2

Afsanwi kirdar

Qissa e anarkalli
Charchters :

1 badshah akber 2;shekho shehzada salim 3: rakasa anarkalli 4; Maa: anarkalli

5:Wazir e aala : chughal khour 6: jallad *2: 7 : irani badshah :

Sippah saalar: maan singh lucky bhai

Darbar mein aik ghanty ki awaz say pta chalta hay shehnshah tashreef laty hain …
wazir e azam shikayat lagaty hian ; badshah shekho ko samjhany ka hukam dety hain ,
magar shekho (salim sh) anar kalli kay ishq mein andha dhund pagal huta hay :
badshah anar kali ko akhri dhamki dety hain kay baaz ao tumhara aur shekho ka status nai milta lehaza
mery beety say dour rahu : anaar kali ro kar raqas karti hay >, shero

maan singh : hoshyar khabardaar sab hu jao tiyar sab ko sar uthany ki nahi hay majal shehanshah
jalal u din akber tashreef laty hian ….
baadshah : wazir e azam ko peesh kiya jaye

Wazir e azam : shehnshah ka Iqbal buland hu ., khabar mili hay ke shekho or anarkalli kay beech mein
najaiz taluqat hain pori saltant mein raqasa or shehzaday kay charchy hain <
badshah : ye kia bakwas kar rahy hu ,
wazir azam , ji badsaha salamat
Badshah : anarkalli ko peesh kia jaye
maan singh : anarkalli hazir hu ,
anarkali , (daby pao chalti ati hay ) badshah salamat hukam farmaien
BADshah. HUM SUN RAHIEN HAIN TUM HUMary bety ko behka rahi hu pori saltanat mein humari izat
ka
tamasha bna raii hu
anarkalli : huzoor mien ney kabhi nahi shehzady ko behkaya magar shehzady hain kay manny mein nai
aaty
badshah : maan singh
maan singh : ji badshah salamat
badsah : shekho ko samjhay jaye or ye bhe keh diya jay ke agar wo bazz na aye to mery ghazab ka
shikar hun gay
maan singh (mooch ko tao dety huwy shehzady ki taraf ja rahy hain shekho ko samjhany)
shehzaday: tumahrary walid is dunia mein muqam rakhty hain , tumhara aur anar kalli
ka muashqa pury sheahr mein mashoor hy or badshah salmat , ney hukam sadir kia hay key
aisy kamo say bazz rahien warna humary ghazab ka shikar hu gay ,,,
sh salim: (dewangi kay alam mein ) agar mujhy soli per latka dain ya saltanat say aaq kar dain pher bhe
mein anar kalli ko nai chohd pao ga kuo ke mein us kay bgher nai reh sakta …
maan singh : (roty huwy badsah ko ja ker batty hain) badsah salamat shekho ksi tarah bhe nai mannty
Badsah : kia kaha MAAN SINGH JAO OR ANARKALLI OR SHEHZADY KO LAY KAR AO ( DARBAR MEIN EK
SIREN BAJTA HAY OUR SAB KHAMOSH HU JATY HIAN…
MAAN SINGH OR DO JALAD : BEEDYO MEIN JAKDY HUWY IN KO LAATY HAIN

BADSAH SALIM SAY : SHEKHO MERY LAAD NEY TUMHAIN BIGAR DIA MAGAR JALAL AKBERI KI QASM
AGAR TUM ANAR KALI KO NAI CHOHODO GAY TO HUM TUMHAIN KSI BHE SZA
DENY SA GURAIZ NAI KARIEN GAY ….
SALIM : WALID E HUZOOR ANAR KALLI HUMARA PIYAR HY HUMARY DILL KA KARAR HAY
BADSHAH : LEKN ANAR KALLI TUMAHIN NAHI CHAHTI
SALIM : ANAR KALLI HUMEIN NAI CHATHI YE KIA KEH RAHY HAIN ABBA HUZOOR ANAR KALI HUMAIEN
CHAHTI < AGAR ANAR KALI MUJHY NAI CHAHTHI TU MUJHY IS DUNIA MEIN REHNY KA KOI HAQ
NAI AGAR BHARI MEHFIL MEIN USY MERY PIYAR PAR BHAROSA NAI
TO APNI SAZA SUNA KAR QISSA KHATM KIA JAYE
BADSAH ………; JALADO JAO OR TALWAR KI GARM SEEKHO SAY SHEKO KO KHATM KAR DO
ANAR KALLLI ( CHEHKHTY HUWY ) REHAM HUZZOOOOR REHAM
BADSHAH : MEIN JANTA THA YE SAB KIA DHARA TUMHARA HAY ANAR KALI
SHEKHU : TADAPTY HUWAY (JALADO NEY PAKDA HUWA HAY) NAI abbba huzzooooorrrrrrrr?????
badshah : maaan singh anar kali ko zinda diwar mein chunwa dia jaye taa ke ye rehti dunia tak nishan
rahy ke badshah kay khilaf jany ka nuqsan kia huta hay ….
(salim tadapta rehta hay or achanak anar kali ki maaa ajati hay )

Maa : (talli (clap) marty huwy) wah badsah wah ….. mein ney sunna tha mughlo ki saltanat mein sirf
insaf milta hay … or ye bhe suna tha kea p apny wady kay bht paas dar hain
badshah : kia matlub hay tumhara
maaa  roty huwy yad kar badsah salamat tera jab beta paida huwa tha tu ney kaha tha aye iran ki
dieya … jab bhe tu mujh say aik khuwash mangy gi mein teri puri karun ga
badshah: haa ye mein ney kha tha to mango kia mangti hu
maaa : badshah salamat anar kalli meri beti hay iskki jan bakhsh day
wazir e azam: badsah kabhi apny faisly say nai phirty
badshah : tum khamosh rahu wazir e azam hum apny faisly par bhe attal rahy gy or wady par bhe

pher gana chalta hay shehzada ko roty huwy lay jaty hain or anar kalli ko mehal ki us dewar mein
chunwaya jata hay jaha aik ghar huti hay jis say aanar kalli ki jan bakhsh di jati hai or mulk badr kar dia
jata hay “””

You might also like