Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 1

Mein Panjo Pe Chalti Rahi

Zindan ki tarikiyoo mein, apne sine se lagaaye huwe shabbir ka sar.


Sakina kehti thi, baba, baba, suno mera safar
Are (sab ke the shaane bandhe, mera bandha tha ghala) x2
Mein panjo pe chalti rahi baba
(Mein panjo pe chalti rahi baba) x2
1. Aap se kaise kahu, kaise kata wo safar, aal-e-payambar chali rote huwe nange sar
(aap chale neze par, kanto pe bhayi chala) x2
(Mein panjo pe chalti rahi baba) x3
2. Mere phuphi raah me ashk bahati rahi, Zulm rulaate rahe dhoop jalaati rahi
(zakhm mere pawo ka dhoop se jalta raha) x2
(Mein panjo pe chalti rahi baba) x3
3. Mazi ke kuch waakayey yaad jo aye muje, sine pe kaise muje aap sulaate rahe
(Yaado mein yu kho gayi bhul gayi har jafaa) x2
(Mein panjo pe chalti rahi baba) x3
4. Sabr ka daman mere haath se chuta nahi, neze se kya aapne baba ye dekha nahi
(kichti rahi reesima chalta raha kafla) x2
(Mein panjo pe chalti rahi baba) x3
5. Ankh barasne lage kalb huwa nawha ghar, aya nazar jab muje neze pe asghar ka sar
(Roti rahi mein use wo muje rota raha) x2
(Mein panjo pe chalti rahi baba) x3
6. Tumko kafan dediya reyt kei tufaan nei, Baalo se parda kiya meri phuphi jaan ne
(Aur mere dard ka koi madaawa na tha) x2
(Mein panjo pe chalti rahi baba) x3
7. Raah me ammu ko jab dekha to maine kaha, kholdo meri rasan god mein leylo chacha
(Dekhke rote rahe meri aseeri chacha) x2
(Mein panjo pe chalti rahi baba) x3
8. Chen mayassar muje aa na saka aik pal, zakhmi gala hogaya aur mere pawu shal
(Raat safar mein kati din bhi safar mein kataa) x2
(Mein panjo pe chalti rahi baba) x3
9. Baba madine ke wo din bhi muje yaad hai, sabz amari mein jab beyt ke jaati thi mein
(Aaj zara dekhiye, kaise safar teykiya) x2
(Mein panjo pe chalti rahi baba) x3
10. Ek rasan mein bandhe chothe baro ke ghale, lasho pe rote huwe karbobala se chale
(Haal mera dekh ke rone lagi karbala) x2
(Mein panjo pe chalti rahi baba) x3

You might also like