Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 16

100.

Hasrat-e-deedar bhi kia cheez hai sahib


Wo samny ho to musalsal dekha bhi nahi jata

101. Ho taluq to roh sy ho


Dil to aksr bhr jaya krty hein

102. Ankhein parho aur jano hmari rza kia hai


Hr bat agr lafzon sy ho to mza kia hai

103. Hamein to apno ny loota, gairon mein kahan dum tha


Hmari kashti thi doobi wahan, jahan pani kam tha

104. Itny bhi bury nahi hein hum


Hamein dard sehny ki adat hai, dard deny ki nahi

105. Tery apny teri kirno ko tarasty hein


Tu yeh kin galion mein, kin logon mein ja roshan hoa
Ab us janib sy is kasrat sy tohfy arahy hein
K hum ghr mein nai almarian banwa rhy hein

106. Yeh dunia hai janab


Mehfil mein badnam aur akely mein salam krti hai

107. Kuch deer ki khamoshi hai, phir shor aye ga


Tumhara sirf waqt aya hai, hmara daur aye ga

108. Kia btaon us k sath waqt guzara buht hai


Mere dil ka katil he sahi pr pyara buht hai

109. Agr hmari zindagi mein koi aur hoti


Tu hum tery liye q roty

110. Mein q dua karoon k ksi ko mere umar lg jaye


Ho skta hai wo mera akhri din ho aur us ki wat lag jaye

111. Ksi ny poocha kaisy ho


Hum ny kaha sahi hein
Zindagi mein ghum hein
Ghum mein dard hai
Dard mein mza hai
Aur mzy mein hum hein

112. Badla nahi hoon mein aj, meri bhi koi kahani hai
Jitna bura hoon mein aj, mery apno k mehrbani hai

113. Jo kabhi pasand na aye dosti hmari to bta dena


Itni zor ka chanta lgaein gy k sub pasand any lagy ga

114. Ksi din barish giri aur kan mein sirf itna sa keh gai
K ksi ki bhi garmi ziada din nahi rehti, chahy wo suraj he q na ho
115. Ap hindu, yeh musalman, yeh isai, wooo sikh
Yr choro yeh siasat hai, chalo ishq karein

116. Atar ki bottle pathr py phoro


Bahir wali mily to ghr wali ko choro

117. Dekho yeh insaf nahi hai


Ek jawan hai, ek haseen hai
Zulm braber ka hai yaro
Laila ko bhi pathr maro

118. Jb tum ksi ko apnany ki koshish karo aur wo tumhein na mily to yeh samjhna k
Tum ko khuda sy koi aur mang rha hai, jis ki duaon mein tumhari duaon sy ziada dum hai

119. Us ny kaha, kia mein bewafa hoon


Mein ny kaha to itni dhooky-baaz hai jis ka koi hisab nahi
Us ny kaha bhool jao mujhy
Mein kaha to hai kon si wali mujhy to yeh bhi yaad nahi

120. Chot k zakham to bhar skty hein, lafzoon k nahi


Isi liye mamla hamesha mar peet sy he suljhaiye, baton sy nahi

121. Ap samndar ki baat krty ho


Log to ankhon mein doob jaty hin

122. Pyar wo nahi jo tumhy mera bna dy


Pyar wo hai jo tumhein ksi aur ka na hony dy

123. Agr sab kuch mil jaye ga zindagi mein to tamana kis ki karo gy
Kuch adhoori khowahishein he zindagi jeeny ka mza deti hein

124. Tumhein kia lga, mujhy tumhari yad nahi ati


Apni barbadi ko kon bhool skta hai

125. Pehli muhabat hamesha galt shaks sy hoti hai


Aur dosri muhabat galt waqt py sahi insan sy hoti hai

126. Khuda ny meri wali ki height is liye choti rakhi hai


Taky jb mein usy gaky lgaon to wo mere heartbeat sun saky

127. Agr kabhi ksi cheez ka ghamand ajaye


To shamshan ghat ka chakr lga ana mery dost
Achy achy jl k rakh ho chuky hein

128. To kia ho agr mera rang sanwla hai, tu bhi sun


Mat kr itna garoor apny gory rang py
Aksr log doodh sy ziada chai pasand krty hein

129. Jahan dekho ishq k bemar bethy hein


Hzaro mar gaye, lakhon tyar bethy hein
Kr k apni zindagi barbad, larkion k peechy taleem barbad
Phir bolty hein molvi sahab dua karo, berozgar bethy hein
130. Abhi suraj dooba nahi, zra si sham to hony do
Are mein khud laut jaon ga, mujhy nakam to hony do
Mujhy badnam krny ka bahana dhoondta hai zmana
Are mein khud ho jaon ka badnam, pehly mera naam to hony do

131. Yeh jo larkian hoti hein na, yeh lipstick k ek rang k alg alg shades pehchan leti hein
Tumhein kia lgta hai k yeh tumhary badalty rang nahi pehchany gi

132. Muskarany ki adat kitni mehangi par gai mujh ko


Sub ny bhula diya yeh keh kr, tum to akely bhi khush reh lety ho

133. Tum nechy gir kr dekho, koi nahi aye ga uthany


Zra sa uth kr to dekho, sub aein gy girany

134. To kabhi chupky sy un ki kamron ki talashi loon ga


Pta to chly takleefon ko chupa kr maa baap rakhty kahan hein

135. Us ko fursat nahi milti k palt kr dekhy


Hum he diwany hein, diwany bny rehty hein

136. Tumhary shehr ka mosam bra sohana lgy


Ek sham chura loon agr bura na lgy
Aur tumhry bus mein ho to haemin bhula dena
Tumhe bhulany mein shayad mujhy zamana lgy

137. FEAR
Forget Everything And Run
Face Everything And Rise

138. Mere marny py lakh roein gy


Mere rony py kon marta hau

139. Tery baghair he achy thy


Kia musitab hai
Yeh kaisa pyar hai
Hr din jtana prta hai

140. Kiya kaha, sub k dilon mein basti ho tum


Haye, kitni sasti ho tum

141. Us ki ankhon mein na dikhiye hazoor


Us ny nazerin jhukai to qayamat ho jaye gi
Aur us ny nazerin milai to muhabat ho jaye gi

142. Sirf khanjer he nahi, ankhon mein pani chahiye


Aye khuda, dushman bhi mujh ko khandani chahiye

143. Adhi likhoon ga, mgr har bat likh doon ga


Tum galiyan mat dena mere peet peechy
Utha liya qalm to tumhari aukat likh doon ga
144. Kis ny dastak de is dil pr, kon hai
Ap to andr hein, bahar kon hai

145. Yeh rat mein chand sitary achy nahi lgty


Ab duniya k nzary achy nahi lgty
To ja k keh dy hmari ami sy
K aunty ap k bachy kawary achy nahi lgty

146. Haemin to cigarette ny loota, beedi mein kahan dum tha


Hmari kashti thi doobi wahan, jahan wisky ka drum tha
Hum phir bhi bahir nikal aye
Qk hamein beer peny ka man tha

147. Us ny kaha, mat dekh mery sapny teri itni aukat nahi
Mein ny muskura kr kaha,
Ana hai to sapno mein aja, haqeeqat mein teri bhi aukat nahi

148. Wo meri qismat, meri taqdeer hogai


Uski yad mein is qadr khat likhy
K wo radi bech bech k ameer hogai

149. Jis ki qamiyabi roki nahi ja skti, uski badnami shuru hoti hai
To agr ap badnam ho rahy hein achy kam krny k bad bhi
To samjh jaye k ap qamiyab ho rahy hein

150. Tera ghamand he tujhy hraye ga


Mein kia hon, yeh to waqt he btaye ga

151. Kon kehta hai k teri khoobsurti mein dam hai


Ary pagli tujhy to log is liye dekhty hein, qk tery ashiq hum hein

153. Tumhein dikhai diya pyar meri ankhon mein


Bhra howa tha buht, han jhalk gya ho ga

154. Teri awargi ko hum teri sadgi samjh bethy


Fursat mein btaye tery kuch lamhon ko poori zindagi samjh bethy

155. Hum sy jalny walon, tum bhi kia kamal krty ho


Mehfil tumhari, log tumhary aur charchy hmary nam k krty ho

156. Usy jab kabhi mera dekhna nazr aye ga


Mujhy har khasary mein faida nazr aye ga
Yehi soch kr yeh teri tarf na nigah ki
Tujhy dekh loon ga to aur kia nazr aye ga
Koi bat hai k mein tujh ko likh nahi pa rha
Koi lafz khat mein tujy mita nazr aye ga

157. Dhoka to hum bhi dy skty thy yr


Pr hum ny socha,
Jis khel mein ksi ka dil tooty
Wo khel hamein nahi khelna
158. Is zmany ko zmany ki ada ati hai
Aur ek hum hein k sirf wafa ati hai

159. Kabhi mil to tujhko btayen hum


Tujhe iss tarah se sataayen hum
Tera ishq tujhse cheen ke
Tujhe main pila ke rulaayen hum
Tujhe dard dun tu na seh sake
Tujhe dun zabaan tu na keh sake
Tujhe dun makaan tu na reh sake
Tujhe mushkilon mein ghira k main
Koi aisa rasta nikaal dun
Tere dard ki main dawa kerun 
Kisi gharz k main siwa kerun
Tujhe har nazar pe aboor dun
Tujhe zindagi ka shaoor dun
Kabhi mil bhi jayenge gham na kr
Hum gir bhi jayenge gham na kr
Tere ek hone mein shak nahi
Meri niyaton ko tu saaf kr
Teri shaan mein bhi kami nahi
Mere iss kalam ko maaf kr

160. Kash tujhy mere zaroorat ho mere trah


Aur mein tujhy nazr-andaz karoon tere trah

161. Hum ksi sy khushian mangein, yeh hmaein manzoor nahi


Mangi hoi khushion sy kis ka bhla hota hai
Jitna apni taqdeer mein likha hi
Wo zaroor milta hota hai

162. Ap reply ki abt krty ho


Hum to exam mein question seen kr aty hein

163. Hamein nafrat pasand hai jnab


Mgr dekhawy ki muhabat nahi

164. Hum jisy chahty thy, wo ksi aur ko chahy


Wo jisy chahy, khuda kry wo bhi ksi aur ko chahy

165. Tu aina hai, chal jhoty kahein ki


Phir ab tak toot jana chahiye tha

166. Najany yeh zindagi ka kaisa daur hai


Insan khamosh, online kitna shor hai

167. Kahan zakham khol betha pagly


Yeh namak ka shehr hai
168. Jo chali gai thi, wo laut ae hai
Swagat kijiye jnab, darwazy pr ap ki maut ai hei

169. Kanton sy bach kr phoolon ki tarf niklo


Andheron sy bach kr ujaly ki tarf niklo
Jab pta chla mere ghr walon ko mere harkaton k bary mein
To ma, baap ny bola, beta buht ho gya, chalo ghr sy niklo

170. Tu yad rakh ya na rakh


Tu yad hai, yeh yad rakh

171. Mujhy chorny ki wjah to bta dety


Mujh sy naraz thy ya mujh jasiy hazar thy

172. Aur wohi shakhs praya bhi buht lgta hai


Aur us sy milny ki tamana bhi buht hai
Likin any jany mein kraya bhi buht lgta hai

173. Sheesha ho gya dil, akhir toot jata hai


Lub tk aty aty, hathon sy sagar choot jata hai

174. Wo bewafa hai to kia mat kaho bura usko


K jo hoa so hoa, khush rakhy khuda usko
Nazar na aye to us ki talsah mein rehna
Kahi mily to palt kr na dekhna usko

175. Naraz hony waly ko itna bhi naraz nahi hona chahiye
K samny waly ko majboori mein akr bolna paty, chal by bhar mein ja

176. Na ishq, na pyar, na muhabat yaro


Devdas ki trah jan mat do yaro
Apna to ek he usul hai yaro
Na Chandra-mukhi na paro
Jo dikhy us py line maro

178. Waqt kitna bhi badal jaye


Meri muhabat ap k liye kabhi nahi bdly gi

179. Hai galt us ko bewafa kehna


Hum kahan k dhuly dhulaye thy
Aj kanto bhra muqadar hai
Hum ny bhi gul buht khilaye thy

180. Mein jis din chorny wala tha us ko


Wo us din sub sy pyari lag rahi thi

181. Ja rahi ho mein, kia kahoon tum sy


Acha darwaza band kr dena

182. Akhri bench py bethny wala larka mein


Jao tum awal any wali larki ho
183. Ab to mujhy apna bna k rakh lo na
Sub ny mujhy tumhara samajh k chor diya

184. Btao, wada kr k ao gy na


Ya pichly bar k jaisa karo gy

185. Faisla jo kuch bhi ho, manzoor hona chahiye


Jang ho ya ishq, bharpoor hona chahiye

186. Wo poochty hein, kitna kas kr galy lga skty ho apni muhabat ko
Mein ny kaha, itna k paseena bhi rasta bhool jaye

187. Yeh anso bhany sy koi apna nahi hota


Jo dil sy pyar krty hein, wo rony he nahi dety

188. Na tang karo hamein, hum staye hoye hein


Muhabat ka ghum dil py uthaye hoay hein
Khilona samjh kr hum sy na khelo
Hum bhi us rab k bnaye hoay hein

189. Log gila to asiy krty hein jaisy mein naseeb khud likhta hoon

190. Machar ny hamko kata, us ka janoon tha


Hum ny khujaya hmara sakoon tha
Chahty to mar skty thy us machar ko
Pr kia krty, us ki ragon mein hmara he khoon tha

191. Jb thory sy muskurany lgty hein


Gham phir sy sir uthany lgty hein

192. Khush fehmion k silsily itny daraz hein sahib


K hr enth smajhti hai k diwar mujh sy hai

193. Hum ny ghuna kiay, to hum ko jahanum mili


Jahanum ny kia kia, k usko hum mily

194. Jahan khaloos aur ehsas k rishty mujood hon


Wahan phool mausam k muhtaj nahi hoty

195. Pholon ka, taron ka, sab ka kehna hai


Jb tk maltab ho logon ny sath rehna hai

196. Baz aukat alfaz mein wo taseer nahi hoti


Jo ek adad thapr mein hoti hai

197. Samjhy ga kon jagti ankhon k khuwab ko


Hum apny hadson k akely gwah hein

198. If you hate me, I shall love you, bcoz it is not Newton’s Law, it is my Prophet (P.B.U.H)’s character

199. Log gila to aisy krty hein


Jaisy naseeb mein khud likhta hoon
200. Zindagi tu he bta kesy tujhy pyar karoon
Teri hr sunbha meri umar ghta deti hai

201. Tanhai k yakh lamhon mein aein gy tery kam


Ashar mery sardi mein sholon ki trah hein

202. Everyone wants to live a long life


But no one wants to be old

203. Tujh sy bat der tk chly


Is liye teri hr bat sy ikhtilaf kia

204. Rabty bta dety hein dil mein kadr kitni hai
Warna kehny ko to hr koi apna hota hai

205. Zaroori nahi k muhabat mein roz baatein hon


Khamoshi sy BP dekhna bhi to ishq hai

206. Roti jali bhi khilao gi to maun na pholaon ga


Tum bus mery maa baap ki izat krna, mein isi sy khush ho jaon ga

207. Hindu thi wo, aur mein tha ek muslim


Yeh seedha sa masla pori dunya ko uljhaya hoa tha
Qk hmary pyar k beech mazhab jo aya hoa tha

208. Kuch pal nikal liya karo mery liye bhi


K dil buht udas rehta hai jb tum sy bat nahi hoti

209. Ap q darti ho itna


Hum kahan jaein gy apko chor kr
Ap k bina hmari ek rat nahi guzarti
Zindagi to door ki bat hai

210. Jahan pankha chal rha hai


Wahan rasi bhi parhi hai
Mujhy phir khyal aya
Abhi to zindagi pari hai

211. Us ny kaha tum q apni muhabat ka izhar nahi krty


Hum ny kaha jo sirf lafzon mein byan hojaye, hum utna tujhy pyar nahi krty

212. Agr tu mera nasseb hai


To buht khush naseeb hoon mein

213. Yeh dunya buht bigri hoi hai sahab


Is dunya mein zinda rehny k liye bigra hoa hona zaroori hai

214. Pehli muhabat ko mein ny aksr bistr pr dum torty dekha hai
Aur akhri muhabat mein murda ko zinda hoty dekha hai

215. Itni choti si umar mein itny udas ho gaye hum


K zindagi ny sabaq buht jald he sekha diya hai
216. Maa baap ki ek dua zindagi bna dy gi
Khud roay gi mgr tum ko hsa dy gi
Kabhi bhool kr bhi maa baap ko mat rulana
Un k anso ki boond dharti duba dy gi

217. Zakhm mera hai, dard mujhy ko hota hai


Is zmany mein kon kis ka hota hai
Unhein neend nahi ati jo muhabat krty hein
Aur jo dil torty hein, wo chain ki neend soty hein

218. Tohfy mein ghari thi us ny mujhy


Kamini waqt ksi aur ko dy rahi hai

219. Mat nikalo mera jnaza us ki gali sy yaaro


Wrna uski maa kahi gi mrty mrty bhi, ek round lga gya kamina

220. Tum badly to majboorian thi


Hum badly to dhokebaz ho gaye

221. Kahein phisal na jao, zra sambhl kr rehna


Mosam barish ka bhi hai, aur muhabat ka bhi

222. Ksi ny poocha k single q ho


Hum ny kaha na to hum khud rona chty hein, aur na ksi aur ko rulana chaty hein

223. Mamooli sa swal hoon mein


Log kehty hein k tera jwab he nahi

224. Kasm khuda ki ek anso na bhaon ga


Lakhon pukar lein, ab laut k na aon ga

225. Jaky smandr k kinary tum apny hathon mein pani utha lo
Jitna utha lo wo tumhari chahat, aur jo na utha sako wo meri mohabat

226. Nahi rha jata yr tery sy bat kiay bina


Wrna hamein bhi shok nahi hai tumhein yoon stany k

227. Mujhy maloom nahi tumheri ma any tumhein kia sikhaya hai
Mery ma any mujhy sikhaya hai k halat ko apna ghulam bnao
Ghulam bano gy to kuta samjh kr lat mary gi dunya,
Ghulam bnao gy to sher samjh kr sath dy gi dunya

228. Kabhi akely mein mil kr jhanjhor doon ga usy


Jahan jahan sy wo toota hai, jour doon ga usy
Aur mujhy wo chor gya, yeh kmal hai us ka
Irady mein ny kiay tha chor doon ga usy

229. Ap q roein gy meri khatir


Farz yeh sary is ghulam k hein
Din mein tujhy so bar yad krta hoon
Sary password bhi tery nam k hein
230. Jin ko nahi sun’na hota, un tk cheekh-o-pokaar bhi nahi pohanchti
Jo sun’ny waly hein, wo toh khamoshian bhi sun lety hein

231. Sari dunya ki muhabat sy kinara kr k


Hum ny rakha hai faqt khud ko tumhara kr k

232. Mzaq ab kis y karein sahib


Purany dost ehtram mangty hein

233. Dil ha ya traffic signal, har koi tor kr chla jata hai

234. Mein ek buland honsly wala zidi sa shaks


Jb teri yad sy larta hoon, to ro parta hoon

235. Ghr sy nikloon to awargi ki tohmat


Tanhai mein bethoon to ilzam-e-muhabat

236. Fasla itna k usko dekh nahi sakta


Qurbatein itni, k wo rag rag mein rehta hai meri

237. Tu ashna-e-shidat-e-ghum ho to kuch kahoon


Kitna bara azab hai jeena tery beghair

238. Waqt lagy ga, sambhal jaon ga


Thokr sy gira hoon, nazron sy nahi

239. Kabhi barish k mosam mein agr yad ajaon


Muthi mein mery hisy ki boondein jmah kr lena

240. One fine day I wanna die, just to see


How many people would cry for me

241. Hum to yoon he kia tha dedar shok ki khatir


Tum dil mein utr jao gy, kabhi socha na tha
242. Marty to lakhon hon gy tujh pr
Hum to tery sath jena chahty hein
243. Mery sath tum raho gi, to sari balaein tal jaein gi
Tujhy choona to chahta hoon, likin dar hai ungliyan jal jaein gi
244. Mera meri soch sy jhagra hoa hai
Meri soch ny usy abhi tk pakra hoa hai
Mein bhagwan ko poojta hoon, aur Allah ko bhi manta hoon
Phir bhi log kehty hein k larka bigra hoa hai
245. Ek bar apni bahon mein sola to sahi
Jhoota he sahi, mgr pyar dikha to sahi
Suna, mangti ho rab sy k khush na rahoon
Mein jeena he chor doon ga, tu a to sahi
246. Mat krna ishq buht jhamely hein
Hasnty sath hein, roty akely hein
247. Mein chup rha to galt fehmian aur barhi,
Phir usny wo suna, jo mein ny kaha bhi nahi
248. Yeh jo wady adhoory reh gaye, unhein kon nibhaye ga
Tum rooth kr to chly gaye, mujhy subha kon uthaye ga
249. Tars gaye hein apko dekhny k liye, dil phir bhi apki dua krta hai
Hum sy acha to ap k ghr k aina hai, kam sy kam apko dekh to liya krta hai
250. Jo dunya ko suani dy usy kehty hein khamoshi
Aur jo akhon mein dikhai dy usy tofan kehty hein
251. Jo kadr nahi krta, cheen leta hai rab un sy
Chahy wo rizq ho ya ishq ho
252. Ghari kab sy pehnany lag gai ho
Wahan kangan hoya krty thy pehly
253. Bina dekhy teri tasveer bna sakta hoon
Bina mily tera hal bta sakta hoon
Ary meri muhabat mein itni takat hai,
K teri ankh k anso apni ankh sy nikal sakta hoon
254. Tu ny to keh dia usy bewafa aur bazaroo
Mgr usy beti hony ka farz bhi nibhana tha
Mana sath chalny ki kasm khai thi usny
Pr chalna bhi to Maa Baap ny sikhaya tha
255. Apny myar sy neechy to mein ay sy rha
Sher bhooka hoon, mgr ghas to khany sy rha
256. Yeh zindagi swal thi, jwab mangny lgy
Farishty khab mein akr hisab mangny lgy
257. Wo hmari khamoshi ko garoor kehta hai
Khud gunah krta aur khudi ko by kasoor kehta hai
258. Wo to apni ek adat bhi nahi badal saki
Najany q mein ny us k liye apni zindagi badal dali
259. Wah mosam, aj teri ada pr dil khush ho gya
Yad mujhy ai aur baras tu gya
260. Aj hum ny pyar ka kisa mukamlam kr dia
Khud bhi pagal hogaye, unhein bhi pagal kr dia
261. Teri baton mein itni mithas hai to tera pyar kaisa hoga
Tery ghussy mein itna pyar hai to tera pyar kaisa hoga
262. Wo jo khab thy mery zehan mein
Na mein keh ska, na mein likh ska
K zaban mili to kati hoi
K qalm mila to bik hoa
263. Meri dushman pareshan hai meri Maa ki duaon sy
Wo jab bhi war krta hai to khanjar toot jata hai
264. Aur mein kitna likhoon teri yad mein, koi dum nahi meri faryad mein
Rooh bhi mujh sy meri cheen kr ly gai, mein na rha tery bad mein
265. Bichar kr uska dil lag bhi gya to kia lgy ga
Wo thak jaye ga aur mery galy sy a lgy ga
Mein mushkil mein tumhary kam aon ya na aon
Mujhy awaz dena, tumhein acha lgy ga
266. Tera chup rehna mery zehn mein kia beth gya
Itni awazein tujhy dein k gala beth gya
Yoon nahi hai k faqt ein he usy chahta hoon
Jo bhi us perr ki chaon mein gya, beth gya
Uski marzi wo jisy pass bitha ly apny
Is py kia lrna, flan mere jgah beth gya
267. Dard seny mein chupaye rakha, hum ny mahool bnaye rakha
Maut ai thi kai din pehly, usko baton mein lgaye rakha
268. Beth kr sali ki bahon mein, aisa josh aya
Meri biwi ny dekh liye seedha I.C.U mein hosh aya
.269. Aj bhi khyal tera sony nahi deta
Aj bhi mujhy ksi ka hony nahi deta
Ankhon mein smandr bhr kr dekhoon teri photo
Pr tera hasta chehra, mujhy sony nahi deta
270. Gaon sy gwar mat samjhna
Khoobsurat nahi hoon itna,
Likin dil ka bekar mat samjhna
271. Mila hai husn to, is husn ki hifazat kr
Sambhl kr chal tujhy sara jahan dekhta hai
272. Haseen mosam hai aur mandar-e-yar ka intizar krta hoon
Koi to usy bta do k mein us sy kitna pyar krta hoon
273. Yeh unki mohabat ka nya dor hai
Jahan mein kal tha, aj wahan koi aur hai
274. Na socha tha hum ny kabhi k itni door chly jao gy
Milny ko hum tarsy gy, moj tum urao gy
275. Ap rutha na karo hum sy, mery dil ki dharkanein barh jati hein
Dil to ap k nam kr he chuky hein, ek jan hai wo bhi nikal jati hai
276. Itna pyar mat dena k bighar he jaein hum
Zra dard bhi dena taky sudhar jaein hum
Koi galti ho jaye to khafa ho jana hum sy
Pr itna bhi nahi k mar he jaein hum
278. Kia ishq, kia muhabat, ksi ko nahi janty hum
Kon yeh, kon wo, ksi ko nahi pehchanty hum
Hon gy lakh haseen chehry is dunya mein
Likin ap k siwa ksi ko nahi pehchanty hum
279. Samjha do apni yadon ko, wo bin bulaye pass aya krti hein
Ap to door reh kr staty ho, wo qareeb akt rulati hein
280. Udas hoon tujh sy, pr naraz nahi
Dil mein tery, pr tery pass nahi
Jhoot kahoon to sub kuch hai mery pass
Sach kahoon to tery siwa koi jhas nahi
281. Apny dil ki bat un sy keh bhi nahi skty
Bin kahy jee bhi nahi skty
Ay Khud! Aisi taqdeer bnao
K wo khud akr kahy, k hum ap k bina jee nahi skty
282. Us k chehry py kuch is qadr nor hai
K us ki yadoon mein rona bhi manzoor hai
Yr bewafa bhi nahi keh skty us ko
Qk pyar to hum ny kia tha, wo bechari to byqasoor hai
283. Is dil mein pyar tha kitna, yeh wo jan lety to kia bat hoti
Hum ny manga tha unhein khuda sy, wo bhi mang lety to kia bat hoti
284. Hr rat chandani rat nahi hoti
Hr dost mein ap jaisi bat nahi hoti
Na jany khuda kon si sza dy rha hai hamein
Jo aj k lap sy bat nahi hoti
285. Yeh na poocho k yeh zindagi khushi kab deti hai
Yeh pareshani usy bhi hai, jisy zindagi sun deti hai
286. Bichar jaon to phir rishta teri yadon sy joron ga
Mujhy zid hai, mein jenny ka koi moqa na choron ga
287. Han yeh sach hai k mein tum py shak krta hoon
Qk mein tumhein khoony sy drta hoon
Kash to samjh pata mery dil k jazbaton ko
K mein tum sy kitna pyar krta hoon
288. Mujh sy roothna mat, mujhy manna nahi ata
Mujh sy door mat jana, pyar sy wapas bulana nahi ata
Tum mujhy bhool jao, yeh tumhari marzi hai
Pr mein kia karoon mujhy to bhoolna bhi nahi ata
289. Kuch uljhy hoay swalon sy drta hai yeh dil
Najany q, tanhai mein bikharta hai yeh dil
Ksi ko pana koi bari bat nahi
Bus doston ko khony sy drta hai yeh dil
290. Bura ho waqt to sub azmany lgty hein
Baron ko choty bhi ankhein dikhany lgty hein
Naye ameeron k ghr bhool kr bhi mat jana
Hr ek cheez ki qeemat btany lgty hein
291. Socha tha is qadr unko bhool jaein gy
K dhek kr bhi andekha kr jaein gy
Mgr jab smany aya unka chehra
Socha is bar dekh lein agli bar bhool jaein gy
292. Dunya boht matlabi hai, sath koi kia dy ga
Muft ka yahan kafn nahi milta, bina gham k pyar kon dy ga
293. Chehry pr muhabat aur dil mein nafrat liye bethy hein
Wo dost bta rahy hein khud ko mera, aur asteen mein khajar liye bethy hein
294. Gareeb ki gareebi ka mazak na bnao
Rotian wo bhi aty ki khata hai
295. Wo kaly rang waly suit pr ek dopata rang-bi-ranga dalti hai
Mera mohala tham sa jata hai jab wo saj sanwr kr nikalti hai
296. Zaroori nahi hr shayar ka dil toota ho
Ksi ki mohabat bhi mukamlam ho jaya krti hai
297. Us ghr mein ab mera kuch pal ka sona ho pata hai
Jis mein, mein kabhi din bhr khel kr ko sakoon ki neend soya krta tha
298. Ek sach to yeh bhi hai k tum buht khoobsurat ho
Aur tumhari muhabat k agy meri mohabat pheki pr jati hai
299. Kia sfai doon dunya ko apny bary mein
Mein keas hoon upper waly ko sab pta hai mery bary mein
300. Haqeeqat kaho to unko khwab lgta hai
Shikayat karo to unko swab lgta hai
Kitni shidat sy chahty hein hum unhein
Aur ek wo hein jinhein sab kuch itifak lgta hai
301. Hr shaks jo tumhein buht khush dikhta hai, wo bhi kabhi thukraya gya hai
Jo jitna zyada hans k dikhata hai, wo utna he rulaya gya hai
302. Ek farsh pr pary parebar ko usny arsh pr pohancha diya
Har shok pora krny pr bhi aulad boli, apny hmary liye kia kia
303. Jnazy ko kandha hum khud dein gy apny
Wrna kahan ly kr jaein gy ehsan itny
304. Keh k nahi banta, kuch krna parta hai
Bhula kr sari mushkilon ko apni zid pr arna parta hai
Itna asan nahi hai sapno k haqeeqat ho jana
Kabhi dunya sy to kabhi khud sy larna parta hai
305. Wo rasty mein kab k bhool gya jo tery ghr tk jaty thy
Un logon sy milna chor dia jo tujh sy mil kr aty thy
306. Yeh mohabat k hath sy aksr dil ko tor dety hein
Tum manzil ki bat krty ho, log to rasty mein chor dety hein
307. Sabhi ko khalta hai mera mash-hoor hona
Gunah hai kia khud k peron py khra hona
308. Agr tum ho to ghabrany ki koi bat thori hai
Zra si boondabandi hai, buht barsat thori hai
Yeh rah-e-ishq hai, is mein qadm aisy he uthty hein
Mohabat sochny walon ki bus ki bat thori hai
309. Wo hr bar tumhein apnaein gy, chahy tum har bar unhein thukra dena
Agr Maa Baap sy bari koi mohabat mili to mujhy ainda dafna dena
310. Khuda ka wasta tumhein, mujhy us k ghr ka pta do
Aur jism pr yeh zakhm kuch nahi, ishq kia tha mein ny mujhy aur sza do
311. Hum buht giry, likin gir kr sambhalny lgy hein
Zra sy mash-hoor kia howy, mery apny mujh sy jalny lgy hein
312. Kitabon ki ehmiat apni jgah hai jnab
Sub ko wohi yad rehta hai, jo log aur waqt sikhaty hein
313. Jan dy kr bhi mna na pao gi
Is qadr khfa ho jaein gy
Ishq krna hia to thora dhank sy karo,
Wrna hum bewafa ho jaein gy
314. Zaroori nahi k muhabat mein hr waqt bat cheet hoti rhy
Chup kr DP aur Active Now dekhna bhi ishq hai
315. Jo baki thi izat muhabat k liye, wo ab bachi he thori hai
Han dekho mein has to rha hoon, koi khushi thori hai
316. Har bar hum pr ilzam lga dety ho muhabat ka
Kabhi khud sy poocha hai itni khoobsurat q ho
317. To tha khaas mery liye, khaas aj bhi hai
Mery phone mein tera number zindagi k nam sy save aj bhi hai
318. Urha kr kafn apni he lash ko kuch is trah late jata hoon
K tum pehly muhabat to karo, dard kia hota hai phir btata hoon
319. Ishq, pyar, muhabat ek nasha hai
Aur mein nashy sy door rehta hoon
320. Samandar ki gehrai kinaron sy poocho
Pat-jhar ki tanhai in baharon sy poocho
Chand ki bewafai sitaron sy poocho
Mery pyar ki sachai mery yaron sy poocho
321.

You might also like