Meri Laado - Sunita Devi

You might also like

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 3

Meri Laado

(Bete bhagya se hote hai par betiyan saubhagya se hoti hai)

Meri kahaniyon wali pari ki koi roop hai wo

Sihraati hui thandh me jaise

Madmast, Gunguni , Dhup hai wo!!

Wo panchi ki chahchhahat jaisi ,

Khusiyon ki aati koi aahat jaisi !!

Ghar bhar ke udashi ki dawa hai wo ,

Purab se aati, paawan hawa hai wo !!

Mere aangan ka faila ujaala hai ,

Sabke gusse par jiddi taala hai !!

Dur rehkar bhi fikra Yahan ki sameti hai jo

Haan meri jaan, meri laado, meri beti hai wo !!

Par aaj ..

Wo khud ek maa ho gai hai ,

Chhoti si ye duniyan,sara jahan ho gayi hai !!

Pehle jo mere aanchal me chhup jaya karti thi

Aaj aapne aanchal me kisi ko chhupaye baithi hai !!

Mujhe maa... O maa kehne wali

Maa hone ka taaj sajaye baithi hai !!

Aaj uski bagiya me ek gul pyaara khil gaya hai

Sukra hai khuda ka usko mukkammal jahaan mil gaya hai !!


Bana rahe ye pyaar , Bani rahe ye khushiyan!

Yuhi jagmag rahe meri ladli teri duniya !!

Deta hai duwaye ye sara pariwar tumhe

Bahut aashish, bahut bahut pyaar tumhe !!

Teri hi mushkurahato se judi hai hamari bhi khusiyan sari

Teri god ka ye sitara sada sada chamakta rahe !!

Tera bachapan fir se loute fir aangan mehakta rahe

Bahut bahut mubarak tumhe ek beti se maa ka safar

Sabse pyaari duniya ka safar , sabse hasi jahaan ka safar!!!!!!!

Dhanyawad

Sunita Sahu

You might also like