Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 2

Krishna Wonderful Qualities

Scene 1 – Narration {VARNAN}

Poorna Purushottam Bhagwan Sri Krishna ke Vyaktitva ke anek pehlu hai.Unhi me se kuch, aaj hum aap
sabhi ke saamne prastut karne wale hai.

Scene 2 – Aaayiye dekhte hain Bhagwan Sri Krishna ka pehla ati Manohar vyaktitv.

Krishna sabke pran nath hai .

Toh chaliye aaapko le chalte hain ati sundar dwaraka nagari jahan par sudama apne mitr dwarakadish se
milne aaye hain.

Sudama – ohhh..Iss yatra se me bohot hi zyada thak gaya hu.. ( Surprise) WAhhh.. , is ati sundar nagari
ka kitna adbhut aur Bhavya ruup se Rachna ki hai. Ant me is sundar nagari.. Dwarka me pohoch hi
gaya….mere priya mitr aur sahapathi(schoolmate )Nanda suta se milne,jise saara vishva shri Krishna ke
naam se sambhodit karte hai.

Jab ve muje dekhenge , to muje pehchan nai payenge.Kaafi lamba samay ho gaya hai unse mile hue
.Humne saat me gurudev Sandipani Muni ke gurukul me adhyayan kiya ta.Hum dono saat me milkar
apne guru ke liye lakdiyaN chunke ikkata karte they te.Iss tareh ke kaam hum bohot hi utsaah se aur
sevabhav ke uddeshya se karte te.

Ye satya hai ki Krishna aagey chalkar is Dwarka nagari ke Raja ban gaye hai.Isiliye me svayam ko unse
milne ke yogya nai samajta hu..

(Krishna enters the stage ….)

Oh…Krishna kahi aas paa s hi hai..me unhe mehsus kar sakta hu ki wo swayam yaha padhaar rahe
hai..ohh..yeh to wo hi hai..Ve abhi tak apne youvan avastha se ubre nai hai..aur me..abhi me ek
booda,jhuka hua aur tucch vyakti hu..

(Krishna worshiping Sudama )

Krishna – Mere mitra Sudama…yaha pohochne ke liye Tumne, bohot hi lamba safar tey kiya hai.Kya
tumhe abhi bhi yaad hai jab hum jawaan te,tab hum jungle me,ek toofan me kho gaye te. Muje pata hai
ki tum bohot hi Imaandari se apna jeevan vyateet kar rahe ho.Tumhari Dharam Patni ne tumhe yaha par
kuch lene ke liye bheja hai.Muje yeh bhi pata hai ki tum dono, aur tumhare putra atyadhik katinai main
ho..parantu ananya prem ke kaaran mere khaane ke liye tum kuch toh laye ho…...Uss choti si potli me
tumne mere liye chaval laya hai..kya ye satya nai hai mitra?

Sudama – Nai…nai..bilkul nai..

Krishna – hmm..uphas mat karo mitra..dekho..dekho..yaha par hai..

Sudama - Arey nahi..


Krishna – He Mitr Sudama,Me tumhari atulniya bhet hriday purvak sveekar karta hu….(Krishna eats
poha)..Ghar lautne par,ek bohot hi aascharya karne wala drushya tumhara intezaar kar raha hoga..He
Sudama..Ye mera Param saubhagya hai ki me hamesha tumhare sang me hi rehta hu..bhale hum sharirik
roop se ek dusre ke dur q na rahe…me hamesha tumhare saat hi rahunga mitra.

Krishna is the ultimate protector

Dushasan – Ye hai Paanchaal ki Rajkumari Draupadi…aur ab keval Kauravo ki daasi.. jisse chal karke
humne juve ke khel me jeeta hai..uske pati Pandavo ke virudh…Duryodhan ke Aagya ke anusaar ab
Draupadi Ko Nirvastra kiya jayega..

Draupadi – Dushana….Tum me aur kisi Janvar me koi antar nahi hai…..He Bhishmadev..aap maun Dharan
karke beite hai aur ye sab hote hue dekh rahe hai.. Yudhistir..Bhim..Arjun..Nakul..Sahadev..kya ho gaya
hai tumhare purushatva ko?? Bhale hi..nishpakshataa se..ya dhoke ke kaaran vash aapne apna
pad(position) kho diya ho..aur daas ban gaye ho in Kauravo ka..par kya aap logo ne apni Garima bhi kho
diya hai..Ab Satya ki baatein kon karega..aur Dharm ki raksha kon karega???

Duryodhan – Draupadiii…Ab Pandav tumhari raksha nai kar sakte..ab wp wahi karenge jo hum
kahenge..ye tumhare liye sabse sankat purna sthithi kyu na ho..parantu ye kshan humare liye atyanta
sukhdayi hai..Dushasan…..iska Cheer haran karo..utar do iske vastra..

Draupadi – He Krishna…Kripya meri raksha Karein..

Draupadi – Dhanyavaad Krishna.Dhanyavaad

You might also like