Sana Aqeel'S Problem Solving

You might also like

Download as rtf, pdf, or txt
Download as rtf, pdf, or txt
You are on page 1of 2

SANA AQEEL's PROBLEM SOLVING

Okay.

So first of all I want to say that we will create a bullet list of our problems so that we can
address them and talk about them to the psychologist.

· I cannot think about the present, whenever I think of something I always think of
the past and and the future. This disturbs me cause I wanna live my life in the
present, not in the future.

· The next thing which really disturbs me that I have a really negative approach
towards life. I just think about death all the time. I know that it is good to think
like that but it is also bad in a way since I just canot get out of this horrible phase.
Dunya ki zindagi sirf aik dafa milti hai main usse barbaad nahin karna chahti. Main
iss ka har aik aik pal jeena chahti hoon lekin mera dimagh jis tarah iss dunya ko
perceive karta hai woh intehai negative point of view hai kyunke uske zariye main
sirf mout ka sochti rehti hoon kay iss dunya se to jana hi hai bas mout bas mout
ayegi. Haan main manti hoon kay mout dar haqeeqatan aik karwa sach hai lekin main
ap se yeh bhi kehna chahti hoon kay har waqt is kay baaray main soch soch kay meri
zindagi se khushi khatam ho gayi hai

· Like let me tell you what I mean. mera matlab jab main sab uthti hoon to main sab se
pehle yeh sochne kay bijaye kay aj meray rab ne mujhe aik naya din diya hai. Main
har cheez ko bura sochti hoon. Main sochti hoon haye itni zindagi guzar gayi, isi
tarah baqi bhi guzar jayegi aur main mar jaoun gi. Zindagi ka faida hi kya. Phir jab
bhi koi din guzarta hai main sochti hoon hay yeh din guzar gaya ab kabhi wapis nahin
aye ga. Har aatay lamhe main main yeh soch kar khush hone ki bajaye kay Allah har
haya lamha laa raha hai main yeh sochti hoon kay haye main mout ay aur qareeb ho
rahi hoon. 24 ghantay meray sar par bas yeh negativity hi rehti hai aur main iss
tarah ki soch ki waja se aur dunya ko iss tarah kay perspective se sochnay ki waja se
khush nahin ho paa rahi.

· Main chahti hoon kay ap meray dimagh se yeh pessimism nikalien aur mujhe apni
zindagi main wapis aanay main madad karein takay main bharpoor jiyoun. Main bohat
overthinking karti hoon aur hamesha negative hi to main chahti hoon kay ap mujhe
koi aisa tareeqa batayein jis se main zyada sochna aur iss tarah ghalat sochna
mukammal tor par chorh doon. Aur apni zindagi main wapis aa jaoun. Takay aik
bharpoor zindagi guzar sakoon.

· yeh hai mera saara masla.

You might also like