Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 5

‫ت‬ ‫ن‬ ‫ن‬

‫ہ‬
‫ٹ کو لےتکر صحرا می ں ج ا ر ا ھا۔‬
‫ے او ن‬ ‫ای ک دن الف اپ ن‬
‫ب‬
‫اس کے پ اس چک ھ ا گوراور ا ار ت ھی ھ‬
‫ے۔‬
‫گرمی لگ رہ ی ھی۔‬ ‫تاس کو بنہت ٹ‬
‫و اس ے ای ک وپی پ ہن لی۔‬

‫ن خ‬
‫ن‬
‫ن‬
‫ے می ں دی کھا۔‬ ‫ب ن گ ی ا۔اس ے ود کو آی ٔ‬
‫ٔت‬
‫ٓا‬ ‫اب وہ الف مد‬
‫ن‬
‫الف ے‬
‫خ‬ ‫ک‬ ‫ن‬‫ا‬ ‫چ‬ ‫ا‬ ‫ا۔‬ ‫ی‬‫ٓا‬ ‫مزہ‬ ‫ڑا‬ ‫ب‬ ‫کو‬ ‫اس‬ ‫و‬ ‫ی‬ ‫ھا‬ ‫ک‬ ‫م‬ ‫ی‬ ‫کر‬
‫ن‬ ‫ٔس‬ ‫ٓا‬
‫پ ھر ے ٓای‬
‫ے۔ الف ب ھاگ کر ای ک در ت‬ ‫ہ‬ ‫ی‬ ‫ہ‬‫ر‬ ‫ٓا‬ ‫دھی‬ ‫دی کھا نکہ دور سے ٓا‬
‫ے چ ال گ ی ا‬
‫کےیچ‬

‫باغ میں گیا‪ ،‬لیکن وہ بڑا اُداس تھا۔‬


‫ق‬
‫ایک دن‬ ‫ب‬
‫اُس کے پاس ن طہ نہیں تھا۔‬
‫بلی ٓای ٗاور اس کو اپنی ُدم سے گدگدی کرنے لگی لیکن‬
‫ہوی۔ پھر ایک بندر ٓایا۔ اُس نے کہا‬
‫کی اُداسی کم نہ ٗ‬ ‫ب‬
‫پھر بھی خوش نہ ہوا۔‬ ‫ب‬ ‫"میرا کیال لے لو"‪ ،‬لیکن‬
‫ٓای‪ ،‬اُس نے کہا " یہ لو‪ ،‬میرے‬‫تھوڑی دیر بعد ایک بطخ ٗ‬
‫"کوٹ کا بٹن لے لو اور اپنا نقطہ بنا لو۔‬
‫خوش ہو گیا اور اُس نے نقطہ اپنے نیچے لگا لیا‬ ‫ب‬
‫اور چل پڑا۔‬
‫ب کے نیچے ایک نقطہ‪ ،‬یہ کہتا ہے ب‬

‫ایک پانڈا پارک میں پتنگ@ اُڑانے گیا۔‬


‫جب وہ تھک گیا تو پلنگ پر بیٹھنے لگا۔‬
‫جیسا لگ رہا‬ ‫اُس نے غور سے پلنگ کو دیکھا تو وہ پ‬
‫تھا‪ ،‬لیکن اُس کے نقطے نہیں تھے۔‬
‫نق‬
‫ےب ن ا‬
‫کے ط‬ ‫سے پنسل نکال کر پ‬
‫ٹ‬
‫پانڈا نے اپنی پٹاری‬
‫ن‬ ‫ٗ‬
‫دے اور واپس پ ل گ پر ب ی ھ گ ی ا۔‬

‫ایک لڑکی تھی تانیہ‪ ،‬اُس کو تیر کمان سے کھیلنے کا بہت‬


‫شوق تھا۔‬
‫ایک دن وہ تیتر کا شکار کرنا چاہتی تھی لیکن تیتر@ بہت تیز‬
‫اُڑ رہا تھا۔‬
‫اُس کے تیر ُمڑ ُمڑ کے گر رہے تھے۔‬
‫کی شکل کا‬ ‫ت‬
‫تانیہ نے دیکھا کہ اُس کا ایک تیر ُمڑ کر‬
‫ہو گیا ہے اور اُس کے اوپر دو تتلیاں ٓا کر بیٹھ@ ٗگی ہیں۔ اب‬
‫جیسا لگنے لگا تھا۔‬ ‫تیر تتلیوں کے ساتھ ت‬
Aik din Tarzan jangal mein jhool raha tha k ussne daikha k aik darakht ki taihni per aik topi lagi hui hai .
Ussne topi pehan li. Phir ussko taihni k neechay aik tokri nazar aaye. Tokri mein timatar they. Tarzan ne
timatar kha liye. Khali tokri k upar ussne apni topi rakh di to wo tay lagnay laga.
Tay se Tarzan
Tay se taihni
Tay se tokri
Tay se timatar

Aik din Saman apni naani amma k ghar samar dainay jarahi thi. Raasty mein usski tokri ka handle toot
gaya aur sara samar gir gaya. Saman ne daikha k murgi ne sabit anday diye hain . Uss ne teen anday say ki
tarhan tokri mein rakhay aur naani amma ko dae aaye.
Say se saman
Say se samar
Say se sabit

aik din jawed ne naye jootay pehnay aur machli pakarnay jheel k kinaray gaya. uss ne paani mein jaal
daala lakin jab wapis nikala to uss mein suraakh tha. jawed ne jaal ko gore se daiakha to uss ka suraakh
jeem jaisa lag raha tha. jawed ne apna khilonay kay jahaaz se jeem ka nuqta bana diya.
jeem se jawed
jeem se jootay
jeem se jheel
jeem se jaal
jeem se jahaaz

Aik din aik chooha chand bana raha tha . Aik chirya aye usski chonch mein cheeko k darakht ki dandi thi.
Chirya ne cheeko ki dandi chand per laga di. Thori dair baad aik chooza chawal ki plate lae aaya. Chawal
ko daikh ker choonti bhi aagai. Choozay ne apne par hila hila ker chonti ko bhagana chaha. Jiski waja se
Chawal k teen daanay chand k pait mein girgae. Choohay ne kaha arey ye kiya . Ye to chay ban gaya.
Chay se chooha
Chay se chand
Chay se cheeko
Chay se chirya
Chay se chooza
Chay se chawal
Chay se choonti chashma chappal

Aik din Haji Haris huqqa pee rahay they aur dhuwaan nikaal rahay they. Hamid Halway ki plate lae ker
aaya aur bola chacha jee huqqa to sehat k liye acha nahi hota aap halwa khain aur taqatwar hojain. Haji
Haris ne dhuwan chora aur mazay se halwa khanay lagay. Haris ghor se huqqay k dhuwain ko daikhnay
laga. Kuch dhuwaan khali hay jaisa lag raha tha.
Hay he Haji
Hay se Huqqa
Hay se Haris
Hay se Hamid
Hat se Halwa

Aik din Khizar ko bohat garmi lag rahi thi. Uss ne khansama se kha k kuch thanda bana dain. Khansama ne
fridge se kharbooza nikaal ker uss ka sharbat banadiya. Khizar ne kharboozay ka sharbat shok se piya aur
kharboozay k chilkay apne khargosh ko khila diye. Khansama ne kharboozay k beej khushk karnay rakhay
they. Khizar ne gor kiya to hay jaisi shakal thi lakin uss k sar per aik nuqta bhi tha. Khizar muskura ker
bola . Arey ye kiya. Ye to khay ban gaya .
Khay se khizar
Khay se khansama
Khay se khargosh
Khay se kharbooza

Danish apni daadi amma k saath khail raha tha k achanak darwazay per dastak hui. Darwazay per dhobi
chacha they. Dhoobi chacha daadi amma k kapre lae ker aaye they lakin wo udas they. Daadi amma ne
poocha k daal chawal khao ge to dhobi chacha bole nahi daadi amma aaj kuch khanay ka dil nahi kar raha,
daant mein bohat dard hai. Daadi amma ne aik desi dawai dhobi chacha ko di aur bola k rozana daant saaf
kiya karain. Miswak kiya karain to In Shaa Allah aap k daant mein kabhi dard nahi hoga. Dhobi chacha ne
shukriya ada kiya, Kapre diye , paisay liye aur chalay gae. Danish ne daadi amma se poocha k ye kapron k
upar ‫ د‬kiyun likha huwa hai. Daadi amma be bataya k dhobi chacha k paas bohat kapray hotay hain iss liye
unhon ne hamaray kapron k upar ‫ د‬likh liya hai k ye Dawood sahab yani aap k baba k ghar k kapre hain.
Daal se Danish
Daal se dhobi
Daal se darwaza
Daal se daant
Daal se dawai
Daal se Dawood
Daal se dard

Aik din daakiyah daaktar sahab k liye aik dabba lae ja raha tha. Achanak dhol wale ne zor se dhol bajaya.
Dabba pani k dole mein gir gaya. Dabbay mein mojood sare harf geelay hogae. Daakiyay ne haroof ko
doori per sukhae laikin daal ronay laga. Daakiyay ne poocha k kiyun ro rahay ho. Daal ne kaha mera toey
mit gaya hai ab sab mujhe daal samjhain ge. Daakiye ne dori k tukrey se toey bana di ab daal khush
hogaya.
Daal se daakiyah
Daal se daaktar
Daal se dabba
Daal se dhol
Daal se dole
Daal se dori

Aik larka tha uss ka naam tha zaal . Lakin kissi ko us ka naam yaad nahi rehta tha . Koi ussko daal bolta to
koi Daal . Wo sab ko samjhaata mera naam hai Zaal matlab batti (light). Aakhir usski ammi ne Zaal k
kapron per Zaal likh diya taake log iss ko daal na bolain. Zaal k upar aik nuqta. Zaal bara zaheen bacha tha
wo Allah ka zikr zoq o shoq se karta. Baqra eid aaye to Zaal ne Allah ki Raah mein aik dumba Qurban
kiya. Dumbay ko bismillah Allah o Akbar keh ker Zibah kiya. Kuch khoon k katray uss k kapron per bhi
gir gaye jis ki waja se usska nukta sahi nazar nahi aa raha tha . Log phir ussko daal bolnay lagay. Zaal ne
aik galti ki . Ussne kissi ko gosht takseem na kiya balke sara gosht zakheera ker liya aur freezer mein dal
diya. Ammi ne Zaal ko smajhaya k ye to buri baat hai. Baantnay se to cheezon mein barkat aati hai aur
Allah mazeed daitay hain. Phir Zaal ki ammi ne zaiqay daar khana pakaya aur Zaal ko bola k ye parosion
aur gareebon mein taqseem kar aao. Zaal ne saaf kapre pehnay aur sab ko zaiqay daar khana bantnay
chalagaya. Ab kissi ne Zaal ko daal na bola kiyun k usss k kapre saaf they aur uss k upar aik nuqta saaf
nazar aa raha tha.
Zaal se zaiqa
Zaal se zahin
Zaal se zibah
Zaal se zoq
Zaal se Zikr
Zaal se zakheera
Aik Raja tha uss ko sair ka bohat shok tha. Aik Raat wo Rail gari ki sair ko gaya. Raat ko aasmaan per
chaand taarey nazar aarahay they. Rail gari apni patri per rawan dawan thi. Achanak rail gari k driver ne
rail gaari rok di. Raaja ne poocha to pata chala k aik reech patri k peech baitha huwa ro raha hai. Reech
zakhmi aur udaas tha. Raja ne uss se poocha k kiya huwa. Reech ne bataya k uss ka maalik bohat zalim
insaan hai uss ko khanay nahi daita aur circus mein nachata hai. Raja ne apne romal se roti nikaal per
Reech ko diye aur bola ye Romaal apni gardan mein baandh lo. Jab tumhara maalik iss ko daikhay ga to
tum per zulum nahi karega. Reech ne poocha iss kursi numa nishaan se kiya hoga. Raja ne kaha ye kursi
jaisa nishaan #ray hai. Ray se raja aata hai. Ye meri mohor hai. Tumhara malik samjh jae ga k ab Reech
per Zulum na karnay ka hukum raja ka hai.
Phir Reech hansi khushi rehnay laga.
Ray se raja
Ray se rail gari
Ray se reech
Ray se raat
Ray se rona
Ray se romal
Ray se roti

You might also like