Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 19

DOLLY AUNTIE KA

DREAMVILLA

A Family Sitcom

Episode #21

Written by: Aamir Qureshi


1

Episode 21

Prologue

LOUNGE – MORNING

Scene opens from laila’s photo in dolly’s hands. Dolly is


going through an album.

DOLLY hello my child. Tum ko pata hum kisi ko bolta nahi nahi hum
tum ko bohat miss karta. Kai ko hum ko chorh kar chala gaya
tum.

Ajay, preeti, sunny, nisha, arman and samia emerge from


behind her. All look at each other.

NISHA aww sweet. Lagta hai laila ko miss kar rahi hain.

SUNNY achha? Ye tum ko kaise laga?

SAMIA chalo un nko cheer up kartay hain

ARMAN rehnay do. Cheer up ho gai to phir se hitler ban jaein gi.

AJAY theek kehta hai yar. Abhi emotional hain to khamosh hain.

PREETI chalo chalk e un ko aur emotional kartay hain

They all gather up behind her

AJAY kitni achhi thi laila

DOLLY haan…bohat achha. Us ka waja se hum ko best villa ka gold


medal mila

ARMAN haan hamesha sab ke kam ati thi

SAMIA sab ki bohat fikar thi un ko

DOLLY ek dum angel tha hamara laila

PREETI har ek se pyar karti thi. Aur dolly aunty khas taur par ap se
bohat pyar karti thi

DOLLY hum bhi to us ko sab se zyada pyar karta tha. Bas bol nahi
saka

ALL hmm…

Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com


2

DOLLY kisi ke pas us ka number hai. hum us se bat karna mangta. Us


ko ek bar bolna mangta ke hum us ko kitna pyar karta. Us ko
ktna miss karta

NISHA nahi number hi to nahi hai. aray is photo mein kitni pyari
lag rahi hain. hai na sunny

DOLLY is photo mein kia. Hamara laila tha hi lakhon mein ek

SAMIA aur ye necklance bhi kitna achha lag raha us ke galay mein

DOLLY haan…ye hum us ko diya tha pehnay ka wastay

NISHA to ab ye kahan hai

SUNNY uh oh!

Fast close of dolly

DOLLY wo apnaty sath le gaya…sala chor. Koi police ko phone karo.


Hamara necklace chori ho gaya. Hum us ko choray ga nahi

SUNNY dolly anty angel

DOLLY angel? No devil hai wo. Ek number ka chor hai…

ARMAN lekin ap to miss kar rahi thi na

DOLLY hum us ka gala daba de ga. us ko police ka hawalay kar de ga

AJAY aur wo phone

DOLLY phone number la kar do hum ko. Us chorni ko hum khari khari
sunaye ga. pata lagao wo kahan hai. go!

All hold heads

Music and titles

Scene 1

CORRIDOR – AFTERNOON

Dolly furious calling gulbadan

DOLLY gulbadan! Gulbadan!

Gulbadan comes running

GUL kia hua dolly madam, kia india Pakistan ki jang chirh gai

Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com


3

DOLLY jang to hum karay ga

GUL allah khair karay , kis ke sath

DOLLY jis ne hamara gold medal chori kia hai

GUL hai kaun sa gold medal

DOLLY jo hum ko best villa ka award ke sath mila tha. Bolo kidher
hai hamara medal

GUL hai hai dolly madam. Ap mujh par chak kar rahi hain.

DOLLY hum ko tum sab par shak hai. abhi hum kisi ko trust nahi
karta. Bulao sab log ko

Samia comes

SAMIA kia hua dolly aunty. Kia gum gaya

DOLLY gum nahi gaya. Chori ho gaya. Hamara gold medal

SAMIA koi ap ka medal kyun churaye ga dolly aunty. Yaheen kaheen


hoga

DOLLY hum jhoot bolta? Achhi baat hai, tum khud dekho hum ne apna
almari mein rakha tha

Scene 1a

ROOM 1 – AFTERNOON

Dolly is sitting on the bed. Samia is looking in the cupboard

DOLLY hum sara almari dekh liya. wahan nahi hai. abhi hum kisi ko
nahi choray ga. sab ka talashi le ga. police ko bulaye ga.

SAMIA (finds the medal) is medal ki baat kar rahi hain ap.

DOLLY ye tum ko kahan se mila

SAMIA yaheen kapron ke beech mein para hua tha.

DOLLY hato hum ko (snatches the medal, look at the jewelry in the
drawer) aur tum ye sab kia dekhta, jao idher se. go go!

Samia looks at the jewelry and leaves

Gulbadan crying

DOLLY tum kai ko rota hai


Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com
4

GUL ap ne hum par shak kar ke theek nahi kia madam. Hum ghareeb
zaroor hain lekin chor nahi. Chor nahi hain hum

Gulbadan leaves crying. Dolly looks at the drawer again

DOLLY (to herself) oh god is ne to ye sab dekh liya.

Scene 2

CORRIDOR - AFTERNOON

Samia talking to arman very slowly

SAMIA haan haan mein ne apni ankhon se dekha hai

ARMAN aray baba lekin kahan

SAMIA dolly aunty ki daraz mein

ARMAN tum yaqeen ke sath keh sakti ho

SAMIA bilkul

ARMAN to ab kia karein

SAMIA karna kia hai. wohi jo karna chahye

ARMAN lekin aj se pehlay is ghar mein aisa kabhi nahi hua

SAMIA to ab ho jaey ga.

ARMAN lekin kab

SAMIA kal

ARMAN kal?

SAMIA zahir hai. kal na hua to phir kabhi nahi hoga

ARMAN lekin sirf tum aur mein kaise…

SAMIA aray hum dono kyun baqi sab ko bhi batatay hain. sab madad
karein ge

ARMAN aur dolly aunty

SAMIA un ko kano kan khabar nahi hogi

ARMAN hmmm…

Camera pans to dolly’s room and she’s lisening with her hand
in her mouth
Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com
5

Scene 3

LOUNGE – AFTERNOON

Ajay is walking to the door. Arman stops him

ARMAN aray ajay. Kahan ja raha hai?

AJAY yunhi zara kaam se, kyun?

ARMAN ruk idher aa

Ajay comes close

ARMAN sam ne dolly aunty ki almari mein kuch dekha hai

AJAY kia?

ARMAN abay yar deeewaron ke bhi kaan hotay, kaan la

Arman talks in ajay’s ear

AJAY waqai, ye to bohat khushi ki baat hai

Preeti enters

PREETI ajay tum gaye nahi

AJAY preeti idher ao pata hai samia ne dolly aunty ki almari mein
kuch dekha hai

PREETI kia dekha hai

Ajay whispers is her ear too

PREETI aray wah…to ab to humein kuch karna hoga

SAMIA wohi to…mein bhi yehi keh rahi hoon

Sunny and nisha come down calling zuben

SUNNY zuben! Zuben khana tayyar hai?

AJAY abay o sunny ke bachhay

SUNNY abhi tak to nahi huay

NISHA aur kuch arsay tak hongay bhi nahi

Both high five

PREETI samia ne dolly aunty ki almari mein kuch dekha hai

Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com


6

NISHA kapray? (again high five)

SAMIA ha ha very funny.

ARMAN idher aa mein batata hoon

Preeti whispers in nisha’s ear. Arman whispers in sunny’s


ear. Sunny laughs hysterically

ARMAN hans kyun raha hai

SUNNY nahi wo kuch samajh nahi aya, zara phir se bolna

Whispers again

ARMAN dolly aunty ka passport, jis par unki date of birth likhi hui
thi. Kal unki birthday hai

SUNNY oh wow! To iska matlab…kia ap logon ne bhi wohi socha hai jo


Is waqt mein soch raha hoon

NISHA off course sunny…lekin kia aisa ho sakta hai

SAMIA bilkul ho sakta hai

ARMAN agar sahi planning ke sath kia jaey

SUNNY oh god I’m so excited

PREETI lekin dolly aunty

SAMIA unhein pata bhi chalay ga

AJAY kaise pata nahi chalay ga wo to har waqt ghar mein hoti hain

ARMAN aray yar unhein bahanay se kaheen bahar bhej dein ge

SUNNY aur agar ghar mein hui bhi to unhein handle karna kaun sa
mushkil hai

ARMAN to phir is mission mein hum sab shamil hain

ALL yes, off course, ooh definitely, zahir hai, bilkul

Shake hands. Dolly enters

Kaun ssa mission ka baat karta tum log man

SUNNY wo transmission. Ajay bhayya ka play transmission par aye ga


na. to hum ne sath dekhnay ka faisla kia hai

Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com


7

DOLLY dekho tum log idher khush to ho na

ALL ji dolly aunty bilkul

DOLLY tum ko agar koi cheez mangta hoega to hum kabhi inkar nahi
karega

ALL ji humein pata hai dolly aunty

DOLLY aur hum kabhi ghussa mein tum ko dant deta hai us ka liye hum
ko maaf kar dena

ALL aray kaisi batein kar rahi hain dolly aunty. Hum to ap ke
bachon ki tarah hain.

DOLLY achha hum aram karnay ko jata

NISHA kal milain ge dolly aunty

DOLLY kal kai ko

SUNNY nahi matlab roz hi miltay rahay ge

DOLLY ok, hum chalta hum ko aram ka zaroorat hai

NISHA ji aj aram kar lain, kal waise bhi bohat important din hai

DOLLY important din?

AJAY ji dolly aunty kal bhi important hai, aj bhi important hai
aur kal bhi important tha. Har din important hota hai na.

Dolly leaves. Sunny hits nisha

SUNNY teray pait mein koi baat nahi rehti.

ARMAN chalo chal kar planning kartay hain

They all leave. Gulbadan comes out from behind the sofa

GUL almari mein jot ha wo to hum bhi dekha. Hai allah mian kia ye
log…hai!

Scene 4

KITCHEN - AFTERNOON

Zuben cooking in a happy mood. Gulbadan enters

GUL ae jubeda, baat sun

Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com


8

ZUBEN oh shut up gulbadan, tum phir paan moo mein le kar meray
kitchen mein aa gai. Niklo niklo bahar foran

GUL aray meri baat to sun banwlay…kal idher bohat ghalat honay
wala hai

ZUBEN kia tum ko kisi paan walay ka rishta milnay wala hai. oh
(laughs)

GUL chup chichoray! Ye ghar ke log mil kar dolly madam ko lootnay
walay hain

ZUBEN kia! (shocked)

GUL haan mein ne khud apnay kaanon se suna hai

ZUBEN to kanon se hi suntay hain

GUL haan na, aj subah samia ne dolly madam ki almari mein bohat
se zewar dekhay thay. Mein ne bhi dekhay. Abhi wo log mil kar
plan bana rahay hain ke kal us ko kaise churana hai

ZUBEN oh god chalo dolly aunty ko batatay hain

GUL ae meray ko lagta hai dolly madam ko pata hai.

ZUBEN pata hai to kuch karti kyun nahi

GUL abhi kuh hua nahi to kia sakti hain, aur wo log kaun sa maan
jaein ge

ZUBEN to hum kia karein

GUL hum ko ye sab rokna hoga

ZUBEN kaise

GUL in logon ke sath mil ke…

Scene 5

LOUNGE – EVENING

Everyone sitting in the lounge planning silently. Gulbadan


and zuben walk up to them

GUL humein maloom hai

PREETI kia maloom hai?

ZUBEN jo ap log kal karnay walay hain


Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com
9

AJAY abay ahista bol dolly aunty sun lein gi

ARMAN lekin tum ko kaise pata chala

GUL mein ne ap ki batein sun li thi

SAMIA achha to?

GUL to hum bhi shamil hona hai

SUNNY to ho jao, humein koi aitraz nahi

ZUBEN sachi? Bas aise hi shamil ho jaein?

NISHA haan to aur kia koi imtihaan dena parega

GUL meray ko kia karna hoga

PREETI hmm mein batati hoon, tum yahan neechay ki safai kar dena

GUL safai? Oh mein samajh gai…sara neechay ka ghar saaf kar


daloon gi

AJAY shabash dekhna koi kona baqi na reh jaey

GUL aray mian bilkul nahi rahay ga. ek ek cheez saaf ho jaey gi

ZUBEN aur mein?

ARMAN tum kuch zabardast si dish bana lena. Waise dolly aunty ko
dahi baray bohat pasand hain

SUNNY to bas phir dahi baray hi sahi lekin zara special, jisay kha
kar hosh urh jaein

ZUBEN oh samajh gaya. Hosh to urh hi jaein ge

NISHA shabash ab jao humein planning karnay do

SAMIA aur nazar rakho kaheen dolly aunty neechay na aa jaein

Zuben and gulbadan look at each other

Scene 6

OFFICE – EVENING

Dolly talking with colonel

DOLLY hum bilkul theek suna colonel. Wo log mil kar kal robbery
karnay wala hai

Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com


10

COL mera dil nahi manta

DOLLY tumhara dil stupid hai jo itna obvious baat ko nahi manta.
Hum kuch nahi janta. Hum ko police mein report karnay ka

COL aray baghair saboot ke to police bhi kuch nahi karay gi

DOLLY but robbery ho janay ka baad saboot to milain ga par ye log


nahi milain ga

COL dolly madam ap fikar na Karein mein khud kal sara din in par
nazar rakhoon ga.

DOLLY ye log bohat chalak hain, tum ko bhi ullo bana dein ga

COL mein ulloo nahi ban sakta madam

DOLLY kyun? Tum pehlay se hai kia?

Col embarrassed

Scene 7

EXTERIOR/ROOM 4 – NIGHT

Scene opens with the house exterior. With overlapping voices


of the residents

SAMIA aisi birthday party honi chahye jo dolly aunty ko hamesha yad
rahay.

PREETI aur un ko ye bhi pata chal jaey ke hum un se kitna pyar


kartay hain.

NISHA laila se bhi zyada

SUNNY guys gifts ke baray mein bhi kuch socha hai ke nahi

AJAY haan mein aur preeti to ghari de rahay hain. un ki ghari kafi
purani ho gai hai

NISHA sunny hum shoes dain

SUNNY haan theek hai…arman bhayya aap?

ARMAN mein ne aur sam ne decide kia hai ke hum unhein wohi necklace
dain ge jo laila ghalati sath le gai hai

AJAY lekin yar wo to kafi mehnga hai

SAMIA maloom hai, lekin khair hai.


Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com
11

SUNNY chalo ji mein to sonay ja raha hoon. Kal ka din dolly aunty
ki zindagi ka sab se khoobsoorat din hoga

Scene 7a

ROOM 1/CORRIDOR – NIGHT

Dolly is shown awake in her bed holding a nailcutter with the


knife open. She hears laughter. She gets up and goes out.
Dolly evesdrop on them from outside their room

ARMAN to phir tay paya, dolly aunty ke hathon ki zimedari ajay aur
preeti ki, un ke pair sunny aur nisha ke hawalay. Aur hum
becharon ke hisse mein gardan hi ae gi.

All laugh. Dolly scared.

PREETI lekin aap ko yaqeen hai ke wo zuben aur gulbadan ko sath mila
kar hum ne koi ghalati nahi ki?

AJAY nahi preeti, akhir wo bhi is ghar ka hissa hain, un ka bhi to


haq banta hai. chalo bhai mein to chala sonay. Good night

ALL good night!

Dolly runs back to her room

Scene 8

KITCHEN – MORNING

Zuben cooking in a happy mood. Dolly enters quietly

DOLLY kia banata hai aj man?

ZUBEN oh dolly aunty, aj mein bohat special dish bana raha hoon

DOLLY aur ye special dish bananay ka wastay tum ko kisi ne bola?

ZUBEN hmm…shayad

DOLLY zuben, dekho hum ko pata tum hum se kuch chupata man.

ZUBEN (looks around) oh dolly aunty, ab kaise bataoon ap ko. Asal


mein na (looks at preeti) err asal mein ye surprise dish hai.
ap ko bohat pasand aye gi

DOLLY theek hai, mat batao hum dekh lega tum ko bhi

Dolly leaves

Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com


12

Scene 8a

LOUNGE – MORNING
dolly meets gulbadan carrying a bag

DOLLY gulbadan tum ye bag kai ko le kar ghoomta

GUL wo safai karni hai na

DOLLY safai, kachra bag mein dalnay ka kia?

GUL dolly madam, iman se mein sach sach batati hu ap ko.

Samia comes behind gul

SAMIA gulbadan, kapray dhul gaey?

GUL ji mein ye basta isi liye lai hu. melay kapray is mein dal
kar ghar ja kar dhoon gi

Gul leaves

SAMIA aray dolly aunty ap itni jaldi uth gai

DOLLY kyun, hum ko nahi uthna mangta tha

SAMIA kaisi batein kar rahi hain, dekhiye na kitna khoobsoorat din
hai.

DOLLY itna kia khas baat is din mein.

Arman and ajay walk up to them

AJAY aisa pyara din to saal mein ek hi baar ata hai. kyun arman

ARMAN bilkul

Both laugh. preeti and nisha enter

PREETI aray dolly aunty ap kaheen ja rahi hain kia

DOLLY hum? Haan hum hum zara bahar jata

NISHA oh zabardast…I mean achha kab wapis aein gi?

SUNNY do teen ghantay se pehlay to nahi aein gi na?

DOLLY maloom nahi…achha hum jata

Dolly rushes out

ALL heyy! Maidan saaf


Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com
13

Scene 9

LOUNGE – AFTERNOON

Gulbadan calls zuben outside the kitchen

GUL ae jubeda, shh! Idher aa

Zuben comes out

ZUBEN kia hai

GUL sun tu kia bana raha hai

ZUBEN dolly aunty ke liye dahi baray. Jis mein wo kameenay chahtay
hain ke mein behoshi ki dawa daal doon

GUL hai allah, aisa bola unhon ne

ZUBEN haan

GUL achha to wo dolly madam ko behosh karke wardat karna chahtay


hain. sun dahi baray ke sath samosay, kachorian bhi bana aur
behoshi ki dawa un mein dal

ZUBEN phir kia hoga

GUL jaisa bolti hoon waisa kar banwlay. Abhi behosh dolly madam
nahi, wo khud ho jaein ge

Arman calls gulbadan

ARMAN gulbadan! Safai ho gai

GUL meray ko lagta hai safai karni paregi. Nahi ki to in ko shak


ho jaey ga. ja tu apna kaam jari rakh hoshyari se haan. Aray
mein bhi kis se hoshyari ki tawaqo rakh rahi hoon

Gul leaves. Zuben confused

Scene 10

LOUNGE – EVENING

Lounge in dark and silent. Dolly enters with colonel and 2


policemen

DOLLY idher hain sab log. Pakarh lo in ko

All come out screaming

Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com


14

ALL surprise!

Dolly curprised to see this.

DOLLY ye ye kia hai?

SAMIA happy birthday dolly aunty

ALL (singing) happy birthday to you!

DOLLY tum hamara birthday ka baat…

PREETI haan to aap kia samjhi

DOLLY samia ne hamara almari mein kia dekha

SAMIA aap ka passport, jis mein aap ki date of birth likhi hui thi

ARMAN tabhi to hamein pata chala aj ap ki birthday hai

DOLLY oh lord! Aur hum samjha…

NISHA kia? Oh no…ke hum…chori?

SUNNY police? Wow

DOLLY I’m sorry hum ko nahi pata tha

Gulbadan comes running

GUL dolly madam dolly madam, Ye ap ke zewar lootna chahtay thay.


ye dekhiye. Ye in logon ne meray se chori karwaya. Chahti to
le kar bhag jati. Lekin mein chor nahi madam. Mein chor nahi
hoon.

AJAY kia bakwas kar rahi ho gulbadan. Hum ne tum se kab kaha ye
churanay ko

GUL ap ne bola tha safai karnay ko (thinks and realizes) hai


allah…sachi mein safai bola tha

DOLLY gulbadan you silly girl, ye sara saman abhi wapis rakho.

Gulbadan leaves

COL dekha mein ne kaha tha ap ko ghalat fehmi hui hai. kitnay
pyar se becharon ne party rakhi thi. Torh dia na dil sab ka

DOLLY hum to tum log se maafi bhi nai mangnay ko sakta. Hum ko maaf
kar do. Please forgive me

Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com


15

SAMIA nahi dolly aunty, koi baat nahi. Jo ho gaya so ho gaya, bhool
jaein

PREETI ji dolly aunty, aiye apna birthday cake katein

Dolly cuts cake. All clap

AJAY dekhiye dolly aunty ap ke special dahi baray bhi banwaye hain

DOLLY oh wow! I love dahi baray. Thank you!

Dolly eats dahi baray

SUNNY aray police walay bhayo ab aa hi gaey ho to aa jao kuch kha


lo. Colonel saab ap bhi

COL aray haan haan zaroor. Lao idher do…aray wah samosay,
kachorian

Colonel and cops eat samosay. Zuben comes running

ZUBEN nahi mat khana!

AJAY aray kia hua zuben.

ZUBEN wow um ne kaha tha na kuch aisa bananay ko jisko kha kar hosh
urh jaein

AJAY haan to

ZUBEN mein ne sach much khanay mein behoshi ki dawa dal di takay
tum log behosh ho jao aur chori na kar sako. Ye is gulbadan
ne kaha tha mujh se

ARMAN aray lekin hum to bilkul theek hain. tum ne dawa kis mein
milai thi

ZUBEN samoson mein

All look at cops and colonel. They are down

Epilogue

LOUNGE – NIGHT

Everyone sitting in the lounge.

COL bhai shukar hai dawa ki miqdar halki thi. Warna police walon
ko behosh karnay ke jurm mein sab andar hotay

Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com


16

DOLLY hum ko yaqeen nahi ata hum se itna bara misunderstanding


kaise ho gaya. Hum khud ko bohat stupid feel karta

COL aray madam, ho jata hai…ghalti kis nahi hoti.

DOLLY aur wo jot um log rat ko kamray mein bolta tha. Hath paoon
aur gala etc

ARMAN (smiling) ji wo bhi batatay hain. hath walay agay aein

Ajay and preeti give the watch

PREETI ye ap ke liye meri aur ajay ki taraf se, happy birthday

DOLLY oh its beautiful. Im so sorry

ARMAN ab paoon walay aa jaein

Sunny and nisha give shoes

SUNNY ne ap ke khoobsoorat aur nazuk pairon ke liye

NISHA colour mein ne pasand kia tha

DOLLY thank you thank you my child its lovely…aur gala?

SAMIA ye meri aur arman ki taraf se

Gives the necklace

DOLLY oh my god…ye to bilkul waisa hai jo hum ne laila ko diya tha.


It’s lovely. Thank you

COL bhai jab sab hi kuch na kuch de rahay hain to mujhay bhi
peechay nahi rehna chahye

Colonel takes out a stole and wraps it around dolly

DOLLY oh colonel tum ko yad tha

COL hmm pichlay 20 salon mein to ek bar bhi nahi bhoola

DOLLY oh colonel, thank you!

Doorbell rings. Nisha gets up

NISHA ap dono apna jari rakhein mein dekhti hoon.

Nisha comes back with a parcel

PREETI ye kia hai nisha

Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com


17

NISHA Pakistan se hai

DOLLY Pakistan se? kaun bheja

Nisha opens it and takes out a necklace and a paper

SAMIA oh my god laila

All shocked

SUNNY nish khat mein kia likha hai parhna

NISHA (clears throat) pyari dolly aunty. Ghalati se apki amanat


apnay sath le ayi. Lotanay ka ji to nahi chah raha lekin
amanat to amanat hoti hai na. ap sab ki bohat yad ati hai aur
chahti hoon ke apki salgira ke din ap bhi mujhay yad rakhein.
Happy birthday, apki apni laila

DOLLY (crying) love you my child…miss you!

AJAY aray aray aj ronay ka nahi, hansnay ka din hai kyun ke…
(sings) jungle mein mangal teray hi dam se, sab ne ye shor
machaya hai…salgira ka din aya hai…salgira ka din aya hai

All sing and dance.

Music and titles

The End

Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com


18

Written by: Aamir Qureshi 03009452322, 03212625264 aq1000@yahoo.com

You might also like