Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 23

Budapa hindi movie

By Jagadish

Scene 1

Ajay devgan : vishnu ji kab tak mujhe kaam karna padega

Akshay kumar : jab tak dharti ka bhoj nahi hatega

Ajay devgan : logo ki zindagi itni bad gayi hain, ki pandemic bhi hazam kar gayi yah duniya

Akshay kumar : achi baat hain ki log sudharne ka kaam bhi karte hain

Ajay devgan : par vishnu ji agar dharti ka bhoj nahi hatega to hum doosra dharti kaise baneyege

Akshay kumar : sabra karo yama dhramaraj ji , dharti apne aap samapt hogi ,tab dekh lenge

Ajay devgan : yeh sab hone ke liye kitna der thehrna padega

Akshay kumar : yeh sab bujurg dharti par nirbhar karta hain

Ajay devgan : haum dekh rahe hain ki aajkal bujurg ko koi dekh hi nahi raha , sab jawani ki josh ko
nimantran patra dene chal baithe

Akshay kumar : to aapko khush hona chahiye ,

Ajay devgan : who kyon vishnu ji

Akshay kumar : jab bujurg se baat nahi kar sakte to dharti ko janna bahut mushkil ho jayega , to apne
aap dharti mein bujurg rahenge bhi nahi ,kyonki jawani ke josh mein bache ko apna astitva bana nahi
sakte kyonki astitva banne ke liye bujurg ka hona anivarya hain aur agar bujurg nahi dekhenge to apna
dekhbhal ka nasha chut jayega aur apne aap aatmahatya ki tarkib sujhegi aur apne aap bina kuch kiye
dharti par nivas karna uchit nahi rahega isse bojh hamara kam ho jayega aur doosri dharti apni ho jayegi

Isliye agar uchit nirnaya agar bache kar sake to bujurg ko jitna der nivasthan de tab taraki ho sakti hain
aur dharti ko bachaya ja sakta hain

Ajay devgan : bhala vishnu ji bhala, main abhi ja kar pata lagata hoon ki kitni der tak tikegi yeh dharti
mata , mujhe gyat ho chuka hain ki dharti par nivas karne wale ko pata chal chuka hain ki kaliyug a chuka
hain aur manushya ki chinta abhi badne wali hain , main yu gaya aur yu aya

Akshay kumar : khush raho aur mujhe aakar batao ki majra bujurg logo ka kab samapt hoga ya nahi
Ajay devgan : jaroor vishnu ji

Akshay kumar : jaldi jao aur vijayi bhav ki ghoshna karo

Ajay devgan : ji vishnuji

Scene 2

Amir khan : bahut udas dikh rahe hain yama dharmaraj ji

Ajay devgan : brahmaji aako is duniya ke bare mein to pata hona chahiye

Amir : aur aapki chinta ka karan bhi pata laga chuk hun

Ajay devgan : brahmaji kyan devtao ko kabhi bhi sukun nahi mil sakta kya

Amir khan : jab tak hamari srishti demag se chalti hain , hume sukun nahi mil sakti

Ajay devgan : to sari srishti dimag se chalegi

Amir khan : nahi , kal hi pata chala ki pani par rehne wale jivo ne gyat kar liya hain bina dimag se kaise
jivit reh sakte hain

Ajay devgan : yani bina dimag ke bhi srishti chal sakti hain

Amir khan : haan

Ajay devgan : to chalate kaise hain , iccha kaise jagegi in jeevo ki jinke pas dimag nahi hain

Amir khan : kan kan mein 7 chakras hote hain jivit logo ke paas , jiske paas dimag nahi hota unke paas ek
vridhi nahi hogi wo hain divya drushti , foresight

Ajay devgan : aage batayiye

Amir khan : manushyo ke paas sare saath chakra hote hain , in jeevo main jinke pass dimag nahi hota
chalane ke liye we cheh chakro se kaam niptane mein nipun ho sakte hain , par anusandhan karna
padega

Ajay devgan : to aapko bhi anusandhan karna padega , bata nahi sakte in jeevo ke baare mein

Amir khan : nahi yama raj ji , main saath chakra chalata hun , cheh ki ginti alag hi duniya hain
Ajay devgan : to hume gyat kaise hoga in jeevo ke baare mein jo paida ho rahe hain bina dimag ke

Amir khan : anumaan lagate rehne ke liye srishti ka vikas hota hain aur aage chalke mrutyu ke dwaar
khulte hain

Ajay devgan : to mera kaam aur bhi mushkil

Amir khan : haan , aane wali nasal mein dimag nahi ho sakta ka anuman laga chukha hun aur wein apni
reed ki haadi se kaam chalayenge naki dimag wali nasal se nahi jo agney chakra ke naam se prasidh hain

Ajay devgan : shukriya , main yaad rakhunga aapki baat ko

Amir khan : duniya vichitra anubhav kar rahi hain , apni soch kam rakho to jyada fayde mein rahoge

Ajay devgan : kam soch, aur jyada anusandhaan , shukriya brahma ji

Amir khan : aage ki raasta kathi hogi yama dharma raj ji , shiva ji se jaroor milna

Ajay devgan : jaroor

Scene 3

Ajay devgan : shiva ji ki jai

Salman khan : bholenath ka pranam

Ajay devgan : aapko malum hain ki brahma ne bina dimag wale jantu ka nirman kar diya hain

Salman khan : srushti ko aage badane ke liye karna padta hain

Ajay devgan : to jeev jantu ke paas dimag tha ya nahi

Salman khan : purane zamane se lekar aajkal jeev jantu aur pashu pakshi insaano ke banaye huye usulo
pe chalte hain , isliye nissandeh yeh baat purani hi hain

Ajay devgan : oh !!! To soch kaise utpan hoti hain in pashu pakshi main jab dimag hi na ho to

Salman khan : surya ki tej hawa se

Ajay devgan : batayiye


Salman khan : kan kan mein sandesh chupa hota hain jo insano mein aur sabhi jeevo mein paya ja sakta
hain., par wah utpan hone ke liye vitamin d ka hona avashyak hain , jo surya ki bhaap ko kan kan mein
pahucha deti hain , taki anuman lagane mein nissankoch ki bhavna na utpan ho aur bhatak jane ka bhay
na ho . Jab surya ki dhoom ojhul ho jati hain to pashu pakshi rasta bhatak jate hain , isliye yeh asani se
keh sakte hain ki jab bhi dhoop kam pad jaye to pashu pakshi apne ghar ki taraf jaldi se ravana ho jate
hain taki rasta bhatak na jaye

Jab tak dhoop hain pashu pakshi surakshit hain , andhera daravani cheez hain aur usko nipatne ke liye
agney chakra ka istemal hota hain , isliye jo jantu subah ko apna ghar banane mein kamyaab hoga use
dimag ki jaroorat kam padegi aur surya ki taap usko hosla , jo raat ko nikalte hain unke paas dimag hona
anivaya hain par darpok bhi hote hain kyonki raat is anaitik ka kaam hain jiske liye agnaye chakra ka
nirmaan karna bahut uchit mana jata hain isliye dimag is mahatvapoorn

Dimag hona ya na hona uchit baat nahi , agnay chakra ka hona uchit ya anuchit ki vichar vimarsh
mahatvapoorn mani jati hain jab hum tolna kare manushyo ki vesh dhaara par

Ajay devgan : thankyou , shukriya

Salman khan : phir aana , aako mile barso beet gaye

Ajay devgan : beshak

Scene 4

Madhuri dixit : yama dhramaraj ki jai

Ajay devgan : parvathi mata ki jai

Madhuri dixit : kaise ana hua hamare shivir mein

Ajay devgan : budape ki khoj mein nikla tha

Madhuri dixit : aapko neend kam ati hain

Ajay devgan : nahi , kyon

Madhuri dixit : budapa aisi cheez hain , jo vidvaan hota hain wo kabhi marta bhi nahi hain aur neend
kam hone ke karan dukhad avastha mein apna jeevan bitata hain
Ajay devgan : yaha devtao ki bhasha main , pashu pakshi ka vivran mil raha hain

Madhuri dixit : agar unki bhasha mein bole to surya ki kirno ki wajah se kan kan mein visphot hote hain
pain aur uski wajah se jab sare kan kan agar ubhar kar samne aye to mrutyu ki ghoshna hoti hain, isliye
purane zamane mein treta yug aur satya yug mein kad ka bada upyog tha , jiska sharir bada ho aur
balwan wo jyada umr ki ghoshna karte hain aur unki shadiya bhi jaldi ho jati hain , who isliye kyonki sare
kan kan mein pain ana bahut lambi ayu ki ghoshna hain kyonki lambayi mein kan kan jyada hote hain ,
jiski kan kan lambayi kum ho wo jaldi marta hain aur jiski lambayi jyada ho wo late se marta hain

Ajay devgan : isliye purane zamane mein swayamvar kiya jata tha taki ladki ko pata chale apne aap kitni
ayu shesh bachi hain apne var mein aur kitni shamta lambayi aur vesh dharna

Madhuri dixit : haa theek farmaya , hum hain hi hoshiyar mardo ko jaanchne mein , sixth sense, jisne
kitne rajya jeete aur kitni shesh hain aur kitni umr mein sambhav kiya hain aur kan kan mein kitni ayu
bachi hain shaadi ke baad jivit rehega ya nahi

Ajay devgan : un dino mein bhi shikshit hona anivarya tha , aise hi kisi ko kisi ke saath bhejte bhi nahi the

Madhuri dixit : kuch lenge

Ajay devgan : nahi main age prasthan karoonge , age soch raha hoon ki zindagi aur mrutyu ek hi dwaar
ke do pehliyan hain , shukhriya , uljhan mein tha , kuch shiksha mili , shukriya phir se

Madhuri dixit : alvida , aap jab bhi aye , mujhe zaroor mile, acha lagta hain , sansar ka nimaan aur vistaar
ko janna hamare desh mein , bye

Ajay devgan : bye

Scene 5

Juhi chawla : phir se ane ka karan yama dharmaraj ji

Ajay devgan : parvathi mate ne aapse milne ko kaha , kaha jata hain ki aap vedo ke gyani hain , isliye
kuch seekhne ki utsukta hain ,waise bhi meri umr beetti ja rahi hain aur maine apne jeevan mein kuch
safalta prapt nahi ki hain , isliye aapse vedan hain ki kuch aise seekhne ki utsukta hain jo aap hi bol sakti
hain aur koi nahi , maate aapke samksh mein dharmaraj kuch seekhne ki utsukta hain budape ke baare
mein taki age chalke main kuch gyani ban sakoo aur logo ko aapke namkaran ke saath apna naam bhi
jod sakoo
Juhi chawla : budapa jo aap janna chahte hain , aisi damdaar baat hain jo main aapke samne prastuth
karna chahhti hoon , log jawani mein nadani karte hain ,aur ek doosre par war karte hain , we bhool jate
hain ki umr beetne par , jawan beto ki taraf bujurg dekha karte hain , par yeh jawani aisi cheez hain jo
kam samay mein adbhut kaam kar jati hain , padayi , likhayi , mara mari , bhookh pyaas sab se
samjhauta nahi kar pate , bujurg ki dasha ane par samjhauta karna anivarya ban jata hain , agar jawani
mein pata chalta ki koi bhi aadmi bujurg ki avastha paar karne ki koshish kare to mara mari se kar hi nahi
sakta , use doosro ke saath miljul kar aur sachayi se ladna padta hain , tab jakar log buddo ki tareef karte
hain aur unke saath rehne ki apeksha rakhte hain , budape mein yeh seekh bahut ucch darz ki seekh hain
ki budapa apne ko jeevit rakhne ke liye doosre ka balidaan nahi puchta balki kootaneeti ki bhasha
seekhne ko bolti hain

Ajay devgan : to budapa is better or jawani

Juhi chawla : agar door drushti kisi ki nahi hain to jawani bahut unnati aur sresht mani jati hain kyonki
yaha par kaam karne ka tareeka josh aur unchi chaal se ginti main ati hain , par agar vyavharik buddhi ko
dekha jaye to sare log jawani mein khudkhushi kar lete hain , budapa kisi kam darje ya budhi ke takatwar
hone ki nishani mani jati hain , jo buddhiman hota hain who har waqt vyavharik apan ne ki koshish karta
hain kyonki vyavharik buddhi budape ko ghaseet kar sau ki umr tak lene maine saksham mani jati hain

Ajay devgan : koota neeti kya hain

Juhi chawla : jawani ki seekh aur budape ka vetan , jo koota neeti se apne ko bacha sakne mein saksham
ho aur vikas ki unati par shikar par pahuch sakha ho use kehte hain sher ki soch , sher ko koi maar nahi
sakta kyonki wo raja ka bhog kar chuka hain aur har samay kali mata ka naam karan karta hain bravery
kootaneeti bhi sher ki tarah hain , jiske paas uska abhaas ho wo har waqt doosro ke kaam ata hain aur jo
usko pehchaan sake aur apne ran neeti banaye aur budape tak use lekar ghaseet kar elaan kar sake use
kehte hain sher ki soch

Ajay devgan : isliye budapa har samay sikhata hain koot neeti aur jawani ka josh attma hatya ka elaan

Juhi chawla : theek farmaya , isliye jo budde hote hain unse bach rahiye , unke paas bahut saar gyaan
aur vyavharik buddhi mein unki soch sresth mani jati hain humare ladkiyon ki bhasha ya aurato ki
bhasha mein jiska jikr hum apne pati se roj bhid kar avgat karate hain

Ajay devgan : thankyou


Juhi chwla : most welcome

Ajay devgan : sankshipt mein yeh kaha jata hain ki jawani ki soch yeh honi chahiye ki umr ko sau saal tak
kaise ghaseet kar le jana chahiye bina maut ya moorkhta darshaye aur umr badne par koot neeti ki
bhasha agar a gayi ho to bujurg ki kadr sher ke simhasan ki tarah mani jani chahiye , itna gyaat hota hain
bujurg ke paas ,

Juhi chawla : jawani ke josh mein hum kuch baat kar nahi sakte kyonki jawani mein hamne kuch nahi
seekha aur na seekhne ka abhaas hain isliye hum bujurg ki ninda karte hain , agar sawal jawaab main
agar jawani mein istemaal kare to bujurg ka gyaan is vishaal aur agar usme gota khaye to zindagi bhar
maut kabhi dekh hi nahi sakte aur jo bhi gyaat hua gyaan istemaal kare to sau saal asani se paar kar
sakte hain , na cancer ka dar , na diabetes ki maut , na zindagi main murkhta ane ka dar

Ajay devgan : acha thankyou , main chalta hoon , dekhoo lakshmi mata ka updesh kaise rahega aapke
sath bitane ka bahut gyaani to ban chuka hoon , unse bhi kuch seekh loo to poorn dev lok ka swami

Scene 6

Vidya balan : yama dharmaraj ki jai

Ajay devgan : aap yu hi mujhe bada bana dete hain , main apne sheesh mahal mein hi theek

Vidya balan : yaha par ane ka karan , vishnuji se to baat ho chuki thi

Ajay devgan : haa parantu aap se baat na ho saki to chale aye , saraswati ne aapki sifarish ki hain

Vidya balan : kis baat par

Ajay devgan : yahi ki budapa kyon ata hain aur paisa kis tarah bahana chahiye

Vidya balan : mera shraap

Ajay devgan : shraap main samjha nahi

Vidya balan : main kabhi bhi kisi ko bada hote dekh nahi sakti , kisi na kisi bahane log paisa kam dekhne
ki jigyasa rakhe to mere shraap se bach sakte hain , jo mere paise se moh lagayega wo har waqt khayi
mein gir padega

Ajay devgan : wo kyon


Vidya balan : wo isliye , kyonki paisa ped par nahi ugta aur jo paisa ke peeche bhaagta hain usko
kathinaye bhi waise hi a tapakti hain

Ajay devgan : vistaar se batayiye , main gaur se sun raha hoon

Vidya balan : paisa bhay ke aadhaar par tikta hain , jab koi bhi jawani mein paisa lekar a saka aur
kamyaab hua to wo dosto ke dar se gava chuka dega , agar budape mein ayi paisa to khoob sara khana
milega aur diabetes se mar jayega ya cancer kha jayegi uske paise , jis taraf bhi dekho paisa bhay ke
aadhar par tikta hain , is bhay ke karan paise ki maang hoti hain , aur is paise ane se bhay aur jyada
vikasit ho jati hain , jo paisa jyada leta hain ya wetan jyada lene ki jigyasa rakhta hain , use duniya ke
vaaste kuch samaaj seva karni padti hain , log aise hi kisi ko paisa nahi dete , tol matol kar kuch dete hain
aur bahut kuch le lete hain

Ajay devgan : to paisa hona chahiye ya nahi

Vidya balan : wo to khud ke bhay par nirbhar hota hain , jyada paisa loge to sansthayein hain hi nahi jo
paiso ka bhaar sambhal sake to paisa mile to bhi bekaar gavan padta hain tab jake sukun aur rondi surat
ki sansthayein vikasit abhi tak nahi huyi jo logo ka gum aur paiso ka bhay door kar sake

Ajay devgan : to paisa bujurg ke avastha mein li jati hain

Vidya balan : waha par bhi sansthayein maujood hain jo yeh kaam bilkul nahi karte jo ki paiso ko
sambhalna , jaha pe bhi aapne paisa rakhne ya bachat karne ki baat chedi , sansthayein fauran se bol
dete hain ki hum jyada aap ki rakam nahi sambhalenge , kum ho to aana nahi to khud ki vyavsaay khol
kar gava daliye ki salah de jati hain sansthayein

Ajay devgan : mere ko ek baat samajh mein nahi ayi jo aapne mujhe batane ki koshish ki , aapne na
jawani ki kadr kiye bina bachat hone nahi diya aur bujurg ke baare mein bayan kiya tab bhi bhi bachat
nahi huyi , to log aakhir jeeyenge kaise is duniya mein jab itni mehangayi bad rahi hain to

Vidya balan : kaam karke

Ajay devgan : parantu jab maine ganit pada hain to mere ko ek hi samajh mein aya hain ki kaam bas
chaalis saal tak hi kar sakte hain usse age himat ho hi nahi sakti kisi bhi mard ya aurat mein jivan bhar
kamayi karna asambhav hain , iska apke paas kya ray hain

Vidya balan : shaadi hi ek matr dava hain jo iska hal hain

Ajay devgan : wo kaise


Vidya balan : ladko ki umr tees saal se upar aur ladkiyon ki umar teyis saal yani 23 years mein shaadi
honi chahiye , agar ganit mein noka jhoki huyi to yeh shaadi shraap mani ja sakti hain , agar ganit mein
pass to yahi shaadi amrut ki varsha dene mein kamyaab

Ajay devgaan : shraap ka meaning hain ki ganit

Vidya balan : bahut aasan sa ganit hain

Ajay devgan : batayiye

Vidya balan : pehle pati kaam karta hain aur kuch dashkon ke baad chodna padta hain kyonki budapa a
jata hain aur koi kaam ke layak nahi bante ,sahayta milti bhi nahi , aur parivaar par nirbhar hona padta
hain baap ko

Ajay devgan : ab ganit

Vidya balan : shaadi ki umr agar das ya barah saal ki difference mein ho to baap ki naukri chootte hi biwi
ka kaam shuru ho jata hain , jab umr shaadi ki jyada ho to parivar bhi surakhshit ho jati hain ,kyonki baap
kam karta hain , aur use baad biwi aur use baad bacha at a gap of dashkon ka astitva chaap chod jati
hain parivar ki vyavharik jeevan aur uddesh hain ki kabhi bhi bhukhmari ka swad chakhne se pehle umr
beech mein a jati hain aur parivar bach jata hain kyonki koi na koi jawani mein dastak deta hain , pehle
baap phir maa , phir beta beti

Ajay devgan : das saal ka faasla between pati aur patni aur patni aur beta ki difference bees saal, wah
kya ganit hain , kaise khoji aapne yeh sab ganit ka abhas

Vidya balan : khud se

Ajay devgan : manna padega aapke ganit ne mera pura uddesh parivartan kar diya hain

Vidya balan : humara naam karan kiya , saubhagya humara jo aapse baat karke charcha mein shamil ho
saki

Ajay devgan : shukriya , ganit was bahut khub, maja a gaya

Vidya balan : kartikeyan bhi yahi kahi khel raha hain , milenge

Ajay devgan : beshak , bulayiye , bacho se puche to bata bhi dete hain ki bujurg unke liye pyare kyon
hain

Vidya balan : avashya


Scene 7

Ranbir kapoor : namaste yama dharmaraj ji

Ajay devgan : sheeghr unnati prapti rasto

Ranbir kapoor : mujhe bulane ki wajah

Ajay devgan : aapko apne tatashri ki yaad nahi ati

Ranbir kapoor : mere pita ka na koi vansh pehle tha hi nahi

Ajay devgan : aisa hain hich nahi , yeh sab afvah hain

Ranbir kapoor : main samjha nahi

Ajay devgan : aapke pita paida huye hain shunya se, shunya aisi duniya hain jo sab vansho ke swami hain
, iska matlab shiva ka pita nahi hain , par sari srushti unka parivar hain kyonki sare itihas mein sara
parivar shunya ke buniyad pe tika hua hain , apke tatashri to nahi hain par aapka parivar samast jagat ke
naam se jana jata hain , aap akele nahi hain is duniya mein par samast brhamand apke pita ke adhikar se
chalata, bigadta aur khatm ho jata hain

Ranbir kapoor : to main kisko apna parivar manu

Ajay devgan : aapko is srushti ke sare prani , yaksha , manushya , jeev , jantu sab se lagav hona chahiye
kyonki inhi ki raksha karne se aapko santrupti aur kaam karne ka tareeka malum chal sakta hain

Ranbir kapoor : parantu brahma ne kaha tha ki srushti ek doosre ko khatm karne ke liye banayi gayi hain
aur jo bhi is duniya mein ata hain use wapas shunya mein chala jana chahiye , yeh sab ek doosre ke
khilaf aur ek doosre ko maar girane ke liye banaye gaye hain

Ajay devgan : kuch samay tak yeh theek tha jo brahma ki soch thi , amal bhi hua tha , parantu aapko yeh
jankar acharya hoga ki shabdo ke baan kuch aur keh dalte hain aur nij jeevan mein jab amal naam ki
cheez agar ki jaye to soch doosre prakar ki ban janti hain

Ranbir kapoor : main samjha nahi

Ajay devgan : aapko brahma ke shabd malum hain , par jab amal karne ki bari ayi to amal ho hi nahi saka
ek doosre ke prati agar hum shraddha aur pyaar ka agman karenge to ek doosre ke vinashkari hone ke
sanket milte to hain par puri tarah se nahi , brahma ki soch abhi tak amal mein hain wo sahi hain par
manushyo ne bhi apni dimag se use aur vikasit nahi hone diya kyonki we jaan gaye ki pashu pakshi ko bhi
dharti par sthaan dena chahiye
Ranbir kapoor : par abhi bhi pashu pakshi aur insaan bhi ek doosre ko nigal jaate hain , maansahari abhi
bhi lagu hain dharti mein aur we ek doosre ke vinashkari , yaha par to brahma ke vedo ka ucharan aur
soshan kiya ja chuka hain aur aap kehte hain ki yeh amal hi nahi ho saka , who kaise

Ajay devgan : badboodaar ka naamkaran suna hain

Ranbir kapoor : suna hain

Ajay devgan : dharti mein pani aur vayu ka bhi nivasthan hain jo apna kaam karte hain , jab vinash
nischit hain to inka hona aapko ashcharya janak nahi lagta , har ek prani apna bachav karne ke liye hi
paida hota hain , chahe ped ho ya pashu pakshi , jab aap gaur karenge to vruksh apna bachav karta hain ,
aapko door se uska abhas nahi lagta parantu jab nazdeek jaye to kaante uge hote hain apna bachav
karne ke liye

Ranbir : haan , correct

Ajay devgan : to iska gyaat kaise hua ki vruksh doosro ke liye jeeta hain aur doosre use kha le to mar jata
hain , yeh sab ulta chal raha hain brahmand , badbu aisi cheez hain jo insano , vrukhso , pashu pakshi
mein payi jati hain , isliye har ek ko besharm banna padta hain doosre ko mar girana aur apni raksha
karna aur doosro ko nigal kar kha jana prakriti ka niyam hain , par prakriti bhi brahma ka adesh maanti
hain isliye maine kaha ki brahma is correct but brahma ka pura sach prakriti ne nakaratmak drushti se
bhi dekha gaya hain , pura such yeh hain ki arthashastra mein vivran diya gaya hain ki srushti jarurat par
bani hain jab yeh jarurat chahat mein badal jaye to srushti nasht ho jati hain

Ranbir kapoor : to iska matlab hain ki brahma ke bataye vakya jarurat ke liye banaya gaya tha par
manushya kuch logo ne chahat ke bahne nasht karne ki soch li aur isliye dharti nasht ho ja rahi hain

Ajay devgan : theek gaur kiya , ab main apse vida leta hu , aapse mila , dil khush ho gaya , alvida bache

Ranbir kapoor : aapse milne ke baad mujhe dharti aur bhi pyaari lagne lagi hain , mera waha jana uchit
hi hoga aisa brahma ne theek farmaya hain , yama dhramaraj vijayi bhav

Ajay devgan : vijayi bhav

Scene 8
Anil kapoor : surya dev ka nimantran patra sweekar kiya hain , shukriya

Ajay devgan : aapka nimantran patra aye aur hum na chale aye , ho hi nahi sakta

Anil kapoor : bahut vipad samasya a padi jo aapko nimnatran patra dena pada

Ajay devgan : shubh mangal

Anil kapoor : pechida case mein phas gaya hun

Ajay devgan : farmayiye

Anil kapoor : hamara kaam srushti ki staphna hain jo aapko malum hain , par aap ko yeh gyat karna
avashyak hain , ki logo ke jeevan shaili par surya tika hua hain , jab logo ka chehal pehal hota hain to
surya ki bhaap jyada hoti hain , jab log surya dev ke nivasthan mein sote hain to bhaap kam ho jati hain ,
tikne yani bhaap badane ka kaam logo ka kaam hota hain ,

Ajay devgan : ab kya vipda a pahunchi

Anil kapoor : log ab bude ho chuke hain aur marne ki avastha mein hain , bhaap kam hoti ja rahi hain aur
aisa vyateet hota hain ki srushti mein humara kaam kam pad jayega kyonki logo ke kaam se dharti mata
aur surya dev lok ek doosre ke prati vafadar hain

Ajay devgan : dharti mata bhi aap hi ki tarah kaam karti hain

Anil kapoor : haan , isliye jab epidemic dharti mata par aya aur sare jeev jantu ne kaam chod diya to
hamara mandal bhi susth baith gaya , jiska karan hain marne ki avastha ,kaam aisi cheez hain jo jitna
kare log jeevit rehte hain , aur jab kaam khatm ho jaye to logo ki maut ki ghanti baj jati hain

Ajay devgan : to aap mere se upay ki soch rakhte hain

Anil kapoor : haan

Ajay devgan : agar aap mere se upay mang rahe hain to main intna hi bol sakta hun ki is samadhan
aapke mandal mein raunak la sakti hain par aapke sadasya ki rai bhi leni padegi ,

Anil kapoor : jaise ki aapko pata hain ki mere grah mein hanuman ji ka nivasthan hain aur vayu , agni ,
aur varun devo ka bhi , agar aap chahe to unse baat kar sakte hain

Ajay devgan : hanuman aur vayu dev kafi hain is sabha ka nimantran patra dene ke liye

Anil kapoor : aur uchit nirnay kya hain


Ajay devgan : phd

Anil kapoor : phd , aap mere sankat ko phd ki tarah tol matol kar dekhna chahte hain

Ajay devgan : haan

Anil kapoor : aap jante hain ki bujurg logo ko agar jyada der tika sake to aapne bhumate ki tarah
vichardhara banane ka nischay kar liya hain

Ajay devgan : ek doosre se seekhna yahi to vyavharik jeevan ka anusandhan hain

Anil kapoor : to aapko ek kafi tha , hanumnan ji , unhi ka diya hua baan vayu dev bhi lene ka karan

Ajay devgan : ek teer se do nishan lagane ke liye , hanuman waise bhi vayu putra ke naam se jane jate
hain par vayu dev bujurg ke catergory mein ate hain , hanuman unka beta

Anil kapoor : sambja , baap bete ki rai

Ajay devgan : haan , aur iska doosra hal bhoomate ki vayu kundali ka anusandhan bhi karna chahta hun

Anil kapoor : oh !!! Thankyou phd se aap mere logo ki umr badane ka hal doond rahe hain

Ajay devgan : haan , jitni der tika saka phd ki vesh dhara mein , tab tak bach sakte hain is vichardhara ko
istemal karke

Anil kapoor : theek hain , jaise aap uchit samjhe , mein , dono ko bulata hun aapke samakhsh, dekhte
hain aap kooti neeti kaise apnate hain , unke aadhaar par , main chala

Ajay devgan : mein rukta hun , jab we aye to bhej dena , main aapke kaksha mein virajman hota hun ,
kuch pet pooja kar loo to baat karne mein asani hogi

Anil kapoor : jaisi aapki marzi

Ajay devgan : bye

Scene 9

John abraham : vayu dev ka pranam

Ajay devgan : aap kuch vichitra prashna puchne wale hain , aisa gyat hota hain
John abraham : bhu mandal mein sankat a pahunchi aur mein batane mein nakamayab

Ajay devgan : batayiye

John abraham : jab brahma ne srishti ki rachna ki , to maine pucha tha mera dayitva kya hain is bhu
mandal mein aur mujhe vayu dev ka naamkaran diya gaya tha , ab pareshani meri yeh hain ki is
bhumandal mein aneko naamkarna hian jaise carbondioxide, oxygen , nitrogen, etc aur maine sabka
dayatva lene ki sochi, aisa sochne se bhumandal mein sare jivit shaks ne apna khud ka nirman kar liya
jisse bachne ke liye mujhe sare prani pashu pakshi ki nigrani karni padti hain

Ajays devgan : aisa kyon

John abraham : saare prani ek hi bhasha bole to samajh mein jaldi a jati hain , par jab pashu pakshi nar
nari aneko naamkaran se jivit hain to anuman lagana bahut mushkil ka kaam hain , usko lagane ke liye
mujhe mrityu ke dwaar kholne padte hain , jisse mujhe gyaat ho ki kaun sa pashu pakshi kis unnati ki
shikhar par hain aur kaun sa prani nirjiv

Ajay devgan : oh !!! To aap ginti karte hain

John abraham : nahi , calculation of percentages

Ajay devgan : bahut anubhav hain aapke paas

John abraham : thank you , par iska shreya bhi bhumandal wasi ka hain

Ajay devgan : who kaise

John abraham : bujurg ki avastha se pata chalta hain ki marne ka karan , agar bujurg na rahe to ayu
jawan logo ki mrutyu ki shanka bhaj jati hain , kyonki bujurg ki ayu bada sakne mein kamyab hain
chikitsak isliye jawan logo ki mrutyu kabhi hoti hi nahi jab take ek stage mein wo a jaye jo bujurg naam
se jani jati hain tabhi mrutyu ki shankha aur maut ka samna karna padta hain

Ajay devgan : oh !!! To aap mrutyu ke chikitsak ke rup mein prasthan karke yeh anuman laga lete hain ki
kisne kitni ayu payi hain aur who kaise vayu shastra ke addhar par jivit hain bhumandal mein

John abraham : haa

Ajay devgan : lo ji aapse baat karte karte hanuman ji bhi a pahunche main aapse vida leta hun aur
hanumanji se sangharsh mein time pass aur kuch gyan arjit karne ki prerna , thankyou bye

Johna abraham : bye


Scene 10

Sanjay dutt : hanumanji ka pranam

Ajay devgan : vayu mandal par charcha ho rahi thi

Sanjay dutt : main to ram ka bhakt hu, is jhanjhat mein na fasaye to behtar

Ajay devgan : to aap roj karte kya hain is surya nagari mein

Sanjay dutt : bahut dukhad avastha , akela rehta hu aur kuch ram bhakto ke saath parantu paisa sabko
chahiye isliye kuch phd kar leta hu jo ram bhakt ko naseeb ho

Ajay devgan : surya nagari mein paisa , kaise , muft mein kuch bhi nahi milta aap jaise maharathi ko

Sanjay dutt : jab mein pehli baar aya tha to bahut kuch muft mein mila tha , parantu divya drushti nahi
dali ki jo aaj naseeb mein likha hain wo kal jakar nahi milta , samay ke saath surya nagari bhi badal chuki
,jo muft mein milta tha aaj paiso se khareeddari karni padti hain , agar pehle hi pata hota to kuch seekh
leta tha , pehle zamane mein paisa bhi tha mere pass parantu muft mien koi maal bech raha ho to paisa
kyon gavana , isliye paisa aise hi gavane chal diya

Ajay devgan : ab paristithi

Sanjay dutt : jo seekh mujhe jawani mein mili , usi ko jaari rakhe hua hu, isliye koi bhi seekh ab tajurba
hain to bata sak raha hun ki jo seekh jawani mein mile use dugna triguna karne mein hi samjhdari hain
,kya pata kab kaam mein a jaye , ram bahut nek insaan the, unhone mujhe pehle hi gyat kar diya tha ki
we har samay mere paas nahi honge , isliye jo be seekhna ho fauran seekh lene ki anumati mili , maine
seekh li , isliye ab bhi bhi thodi bahut mushkilo ka samna karna padta hain par ram bhakt hone ke karan
aur unke marg darshan ki wajah se kamyab bhi ho jata hoon rehne ki suvidha aur bhojan aur kya
chahiye surya nagari mein thehrne ke liye

Ajay devgan : pareshani kya hain

Sanjay dutt : ek yug beeta to main kuch kar saka par jub yuge beette gaye to main hairan reh gaya ki jo
kaam ek yug karti hain wo doosre yug mein nakamyab ho jati hain , ram bhakt hone ke karan avgat to
tha parantu age chalkar bahut kuch badlav a raha hain aur mein dekh bhi raha hun, adhunik yug , nayi
soch, naye vichar dhara , naya parivartan , in sab se ladne ki shamta ho to yahi ki yug beetne ke karan
apne aap mein badlav lana bhi jaroori hain , samay samay par seekhte raho to yug apne aap eset ban jati
hain , agar yugo ke saath chalna ho to seekhte raho jo kuch bhi ho tabhi bach sakte hain parivartan se

Ajay devgan : oh !!!


Sanjay dutt : to aapki yeh kahani jo vikhyat ho rahi hain bujurg ya budapa ko lekar kaha tak sach hain

Ajay devgan : jaan bujhkar kaam bad jata hain mere ilake mien , kum karne ki soch

Sanjay dutt : yama dharma raj ji , mere anubhav yeh kehti hain ki kaam kabhi bhi rokna nahi chahiye
chahi jitni bhi mushkilo ka samna karna pade kaam rok diya to bhukhmari ka shikar hona padega ,
hamare yug mein jo kaam karta tha who har samay khush rehta tha kyonki uski jholi har waqt sone ke
mohre se bhar kar uchalti rehti thi , jo kaam nahi karta uski jholi chandee se bhar di jati thi , ram rajya
itna mashhoor tha ki log nivasthan doondne ke liye aneko kasht she kar basne a chal padte the, parantu
unhe yeh anuman lagana nahi aya ki chandee ke mohre to mile par sona naseeb nahi hua aur ram rajya
sone ke mohre se prasidh than , jab sona hi nahi dekha to ram rajya mein basne ka matlab ,

Ajay devgan : kaam jaroori hain

Sanjay dutt : jab koi shehar kisi ke liye mashhoor hota hain , to chakhna to padta hain , na chake to
rehne ka matlab , jab koi baat ke liye koi vidvaan prasidhi hota hain , to use barkaraar rakh saka to vo
vidvaan paisa aamdani kar sakta hain , jo jisme mashhoor use us par amal karke taraki ke raste pe chale
to tab sone ka bhav pata chalta hain , jab paise hi nahi dekha aur vidvaan banne chale to murkhta hi hogi
kyonki paiso ke bhaav se vidvaan hone ki chunauti sweekar ki jati hain , jo vidvaan hain uske paas paisa
dher sara hota hian , aur jo vidvaan paisa nahi dekh sakta use log katay pasand nahi karte kyonki sabki
ek hi mushkil ka kaam karna padta hain jo hain family planning aur isme agar vifal ho gaye to saari
zindagi nark yatra se gujarna padta hain , samjhe

Ajay devgan : haa samajh gay , mein chalta hu , surya grah thanda pad raha hain , sheetal hava ani shuru
ho gayi , main ab indra dev se mil kar ata hun bina sandhya dhale , shukriya mere dost hanuman ji mein
ab chala

Sanjay dutt : gaur farmayige mere vachno par , alvida aur shukriya mera haal chaal puchne par

Ajay devgan : jaroor

Scene 11

Ajay devgan : indra sabha

Shahrukh khan : yama dharmaraj ki jai , kaise ana hua , itne mahino baad

Ajay devgan : raunak si lagi hain aapke darbar mein


Shahrukh khan : bahut mahino baad , sabha bulayi ja rahi hain

Ajay devgan : to rambha, urvasi, menaka ka ayonjan hoga

Shahrukh khan : jaroor , aapko nimantran bhejne hi wala tha

Ajay devgan : aapke sabha mein sab khush mangal

Shahrukh khan : vayu dev aapko pata hi hoga , surya lok mein thehar gaye hain

Ajay devgan : unse baat bhi ho chuki

Shahrukh khan : budape ko lekar chintit hain is samay , puchte hi ja rahe hain is mamle ko lekar

Ajay devgan : hume kaam karke kuch acha nahi laga , aapki sabha raunak chaunak aur hamari sabha
asuro ka raaj, aapke yaha bul bulaye devtao ka ana jana rehta hain , aur hamare ilake mein asuro ka ana
jana , aisa kab tak chalega karke mujhe puchna hi pada devtao se ki kya ranneeti hain mere dwar pe

Shahrukh khan : oh !!! Bure logo ka aur aapki parchayi ka bahut mel jol ka karyakram chalta hain

Ajay devgan : haa !!! Isliye aap har samay anandmay ki stithi jyadatar , aur mein bheeshan ladayi ki stithi

Shahrukh khan: hame bhi asuro ke saath muthbaith karni padti hain , jab bhi devtao ne asuro ko vardaan
dena shuru kar diya to

Ajay devgan : wo bhi mere chitragupta dwara maar girane ke liye

Shahrukh khan : asuro ka aap karte kya hain apne dwaar jo mere dwaar par pahuch jate hain

Ajay devgan : aapko brahma ka aakrosh to malum hain , we kabhi bhi kisi ko bhi chodte nahi hain ,
insaan jab kuch bure kaam kare to asuro ka roop leta hain ,jo gyani aur maha gyani hota hain who
devtao ka roop dharan karte hain

Shahrukh khan : devtao ka roop to dharan karte hain kuch samay pachchat shunya mein leen ho jate
han

Ajay devgan : haa !!!! Parantu jo asuro ka roop dharan karte hain use mera chitragupta bhoo mandal
mein bhej deta hain taki bhumandal mein kam log na base aur jyade base to patal lok mein bhukamp se
maar gira deta hain

Shahrukh khan : aur aapka kaam

Ajay devgan : sahi nirnay ki chitragupta ne kaam theek se kiya ya ulat pulat kar mera nuksaan

Shahrukh khan : isliye aapko divya drushti di gayi hain unko janne ke liye
Ajay devgan : haa !!! Jo asuro ka roop leta hain use bhu mandal wapis bhejna padta hain pashu pakshi ya
insaan ke roop mein jo bhi ant mein asur ne apne aap ko dekhne ka prayas kiya to

Shahrukh khan : roop dharna aapke vash mein nahi hain

Ajay devgan : nahi , sab soch asuro ke bartaav se kiya jata hain , hum sab bas amal karte hain

Shahrukh khan : humare yahapar kuch din ke mehmaan aur phir antirkish mein agyatvaas karke shunya
mein khisak jate hain aur phir kabhi bhi ubhar kar nahi aate , jo ubhar kar aate hain wo tara ban jate
hain insaano ko rasta dikhane ke liye hamesha ke liye

Ajay devgan : aur black hole

Shahrukh khan : har ek jeev jantu aur insaan ya gruh mein dono prakaar positivism or negative flow
hoti hain , jab tak achayi barkaraar hoti hain tare mein wo marg darshi insaano ke kaam ata hain , jo
burayi ke vesh dhara mein a jata hain uska swargvaas black hole ki tarah samapt ho jata hain, duniya
aise banayi gayi hain ki positive always wins , negative ya burayi ka ant hona nishchit hi hain

Ajay devgan : isliye aapki sabha mein log itne kam milte hain ki mujhe pata bhi nahi chalta ki aap kabhi
kaam karte hain , har samay naach gana ka ayojan hota hain , hamare asuro ka nivas stahn har samay
aag ya shola se bhar di jati hain , buri soch , bhu mandal se aap jude nahi rehte , parantu bhu mandal
hamara nivasstan bhi hain aur hamara akrosh

Shahrukh khan : rambha , urvashi , menaka ka aagman hian, milenge

Ajay devgan : itni door se aye hain aur unka karyakram chal raha hain to jaroor ham dekhenge

Shahrukh khan : baat bhi kariyega , bahut kuch mil sakta hain aapko gyaan

Ajay devgan : beshak

Shahrukh khan : lo bolte hi a pade rambha, urvasi , menaka

Ajay devgan : aap hi ka charcha ho raha tha , abhi abhi

Scene 12

Aishwarya rai : pranam

Deepika padukone : pranam yama ji

Priyanka chopra : yama dharmaraj ki jai


Ajay devgan : aaj bahut saj dhaj ke a pahuchi darbar mein

Priyanka chopra : nrutyashala hain to ana padta hain saj dhaj ke

Ajay devgan : indra sabha mein to sab bujurg logo ka nivasthan hain ,aap jhelti kaise hain

Aishwarya rai : jaankari ,gyaan ke dwara pata chal jata hain

Ajay devgan : who kaise , gyan , kaisa gyan

Deepika padukone : bujurg logo ke paas anubhav hota hain jisse hum gyat kar lete hain ki kais nrutya
pasand karte hain bujurg log aur kis ayu mein wo samapt ho jata hain

Ajay devagan : samapt kaise

Aishwarya rai : jab jeene ki ichaa chali jaye to sampati ki ghoshna karte hain isliye hamare nrutya har
samay nahi hote

Ajay devgan : oh !!!! Jaankari ke bare mein batayiye

Deepika padukone : jo jyada jaankari rakhta hain uski kam ayu hoti hain aur jiske pass kam jaankari uski
umr jyada hoti hian

Ajay devgan : who kaise

Priyanka chopra : jo jaankari rakhta hain use muh kholna padta hain aur jo muh kholega use vaad vivaad
karna padega aur jo vaad vivaad karta hain use mushkilo ka samna karna padta hain , isliye jo jitne shabd
kam uljhega utna uski umr ki ayu badegi

Aishwarya rai : yaha par aisa hi niyam hain , indra sabha mein , isliye ladki hona garv ki baat hain ,kyonki
hum kam baat karte hain aur jyada follow karke apna kaam nipta leti hain

Ajay devgan : kaisa follow ki kahan , foloow karke marne ka dar nahi hain

Deepika padukone : nakul aur sahadev ki tarah rahiye , koi vipda nahi a sakti , agar ayi to leader is dead,
followers har samay mrutyu se bach jate hain , kyonki jo marg darshan deta hain use jaan bhi khoni padi
hain aur jo marg darshak nahi hota use koi bhay nahi lagta kyonki wo kuch janta hi nahi is duniya ke bare
mein to marega kaise

Ajay devgan : oh !!!! Bujurg banne mein kya rai hain aap teeno ke anusar

Priyanka chopra : bees saal ka bujurg ya pachas saal ka bujurg

Ajay devgan : mein samjha nahi


Aishwarya rai : is duniya mein srishti mein gyaan har taraf hain , sone se lekar baithak tak gyan hi batora
jata hain , parantu sakhi yeh kehna chahti hai ki aap bees saal ke andar gyaan lena chahte hain ya umr
beetane ke baad pachas saal mein

Ajay devgan : aisa choice kyon

Deepika padukone : kuch log bewkoof hote hain jo gyaan to arjit kar lete hain parantu kuch bhi upyogi
nahi hote , na phd karte hain na khel kud ,bees saal ki umr mein hi gyaan lekar adrushya ho jate hain , na
theek se padna aya na khel kud mein dilchaspi , bees saal ki umr se hi vidvaan banne chal pade

Ajay devgan : pachas saal ki umr

Aishwarya rai : who bhi stupidity mein hi ati hain , gyaan to le liya par likha kuch bhi nahi , gyaan batorne
ke liya bewkoofo ki paltan le li , aisi paltan jo kuch puchenge bhi nahi na hazir jawabi hogi , aisi paltan
lekar bas subah se lekah shyaam dhalne tak upanyas jo nayi bhi nayi usko dohrate hi rehte hain , aise log
bhi bewkoof ki paltan bhi kehlati hain hamare anusaar

Ajay devgan to karna kya hain bujurg ban ke

Priyanka chopra : jawan ho ya bujurg always contribute to society , jo duniya ke liye jiyega na ki apne ke
liye aur duniya ki dekhbhaal karega use unnati prapt hogi , umr se koi lena dena nahi hota , sankracharya
35 years mein hi chal base par aaj bhi unki kahan har shiksha grah mein padayi jati hain aur abhi tak
marg darshak se hate nahi , aisi honi chahiye face in the crowd

Ajay devgan: oh !!!!! Aapse baat karte karte mujhe chitragupt ki yaad a gayi , na jane we kya kar rahe
hain , acha mein apne pradesh mein jata hun , aur apni paristithi dohrata hun , pata to chale karna kya
hain , acha vida dijiye , main apne ghar ke liye ravana hota hun , acha laga aapse baat karke , bye

Priyanka chopra : bye

Deepika padukone: bye

Aishwarya rai : bye

Yeh keetabo ka bhandar saath lekar jayiye , kya pata isme aapko kya dikh jaye , bye
Scene 13

Amitabh bachan : bahut samay baad prasthan karke aye hain yama dharmaraj ji

Ajay devgan : yu hi bujurg budape ki khoj , kuch sankat

Amitabh bachan : abhi tak to nahi , jab tak aapka phanda surakshit hain , dharma sankat a hi nahi sakti ,

Ajay devgan : phaanda diya hi gaya aapke liye ki koi neech kaam na kar baithe

Amitabh bachan : ek prashna karni thi aapse

Ajay devgan : batayiye

Amitabh bachan : agar mein in asuro ko bhumi pe na bheju to kaha bheju ,aapka phaanda bas bhumi
vasi par lagoo hota hain aur kisi pe nahi , ham har samay bhumi wasi ke liye bane hain , aisa kyon

Ajay devgan : brahma ke anusar is srishti mein aneko mein nakshatra hain jo hamare se mel jol khate
hain, har ek main nakshatra mein brahma , vishnu aur mahesh nivasthan karte hain

Amitabh bachan : bilkul hamari tarah

Ajay devgan : nahi hamari vesh dhara , yani construction , maintenance and destruction par adharit ,
panrantu uska upyog doosre nakshatra apni aur se doosre kalyano mein vyatteet karte hain parantu
sabka ek hi lakshya hain , construction , maintenance and destruction jo hamare mein nakshata se
brahma , vishnu aur mahesh ka naamkaran diya gaya hain, doosre nakshatra mein doosre naamo se jane
jaate hain

Amitabh bachan : to isme hamara dayatva kaha hain

Ajay devgan : mein dharti ke pehla putra hu jo bigad gaya isliye bhagwaan ne mujhe yeh dayatva
saumpa hain ki bhumi mandal mein jitne bhi asur hain unka bhog daan mein karoo aapke dwara is yama
lok mein

Amitabh bachan : aur mera dayatva aapne kya kaha

Ajay devgan : mere is astra phaanda ka upyog kar samast dharti par sukh shanti ka parv failaya jaye

Amitabh bachan : to hum asur ke naam se kyon jane jaate hain

Ajay devgan : phaanda ki wajah se

Amitabh bachan : to yeh phanada sachmuch mein asuro ki pehchaan khoj kar sakta hain

Ajay devgan : haa


Amitabh bachan : to chalta kaise hain

Ajay devgan : jab phaanda puri tarah se aatma mein leen ho jata hain to use asur ka naam karan diya
jata hain , parantu jab phaanda puri tarah se aamta mein leen nahin hota aur adha aatma giraft mein
aye to use phaanda asur ka naamkaran na dekar nakshatra ka naamkaran diya jata hain aur who indra
sabha mein bhej diya jata hain jab us aatma ko khula chod de to

Amitabh bachan : to mera sawal phir se agar mein dharti mein agar na bheju phir se punar janm to
aatma ka mein karoo kya

Ajay devgan : patal lok mein bhej dijiye

Amitabh bachan : par mein bhejna hi nahi chahta , na patal lok , na bhu lok , na swarg log , na gandhrava
lok, na asur lok

Ajay devgan : yeh gandharva lok kya hain

Amitabh bachan : nakshatra lok ko mein gandharva lok manta hun

Ajay devgan : bahut vichitra vipda mein daal diya chitragupta ji , agar aap kahi kaam hi nahi karna chahte
to yeh duniya chalegi kaisi , khonki jo swaas andar aur bahar chodta hain use puri zindagi kaam karna
padta hain

Amitabh bachan : aur na kaam kare to aur kaam na karne ka utsuk ho to

Ajay devgan : tabhi bhi kaam hota hain aur kaam chalta hain , insaan paida hota hain , jaanwar ghaas
khate hain , indra lok mein nrutya shala hota hain , gandharave lok mein nakshtara rasta batate hain to
kaam to hoga aap na chahe ya chahe

Amitabh bachan : aapko apka sawal jawab mil gaya hoga , log kaam karte hain kyoki log is mein
nakshatra se jude huye hain , jo is mein nakhsatra se jude hain we ek doosre se prasan hokar aur vaad
vivaad karke , pet puja karke , criticism dekar , afwaye faila ke kuch na kuch soshan karte hain , akela koi
ji hi nahi sakta chahe manushya ho ya jeev jantu , koi bhi akela nahi hain is duniya mein , agar aap kisi ki
ninda kare to sab pashu pakshi gaur jaroor karte hain , disha kaha par bhatak jaye yeh chinta har ek jeev
jantu ki tanav se gujarti hain

Ajay devgan : iska matlab meri soch meri ,aapki soch aapki aur jeev jantu, pashu pakshi ki soch apni aur
aise hi chal deti hain sansaar aur niyam ate hain aur niyam ko todkar naya nirman bhi karna padta hain ,
ek ki bas ki baat nahi hain , miljulkar yeh mein nakshatra bana hain , ek ki soch nahi aneko ka tanav hain
is duinya mein niyam chalane ka andaaz nirala

Amitabh bachan : samjah gaye


Ajay devgan : samajh gaya,

hari om

Hari om

Hari om

END OF BUDAPA HINDI MOVIE

You might also like