ChashmeAza Allinone

You might also like

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 454

Bismillah ir Rehman ir Raheem

Seenay pa daag-e-maatam-e-Shabbir hai ayaan


Chashm-e-Aza sey hotha hai khoon-e-jigar ravaan
Jab takh Fareed hai yeh zameen aur aasmaan
Hotoun pa taaba hashr rahegi yehi fughaan
Mirza Fareed Baig

Chashm-e-Aza
A Collection of Selected
Salaams, Marsias and Nauhas in Roman Sript

Compiled by Ammar Hyder

Printed By:
Salman BOOK CENTRE
Opp. Ibadath Khana-e-Hussaini, Darulshifa, Hyderabad-24 T.S. India.
Ph: 24560156 • Cell: 9348496898 • www.salmanbookcentre.com
contents

Salaams Page
Ghar ko chhoda Shah nay jungal basaney kay liye. . . . . . 18
Qaafela Sheh ka salaami lab-e-darya uthraa. . . . . . . . . . . 18
Salaami suvey maqtal Syed-e-Abraar aathay hain. . . . . . 19
Salaami khalq mai mehshar bapaa hai . . . . . . . . . . . . . . . 20
Salaami har taraf shor-e-bukaa hai. . . . . . . . . . . . . . . . . . 21
Salaami layeenoun ney kya kya jafaa ki. . . . . . . . . . . . . . 22
Salaami jisney dar-e-baagh-e-Panjethan dekhaa. . . . . . . . 23
Salaami jaangaza hai ranj-o-gham . . . . . . . . . . . . . . . . . . 23
Ali ki madhaa kartha hoon yehi ek kaam baaqi hai . . . . . 24
Zikr ghame Hussain se mehfil saji rahi. . . . . . . . . . . . . . . 25
Fida hoon us pay salaami hai jis ka naam Hussain. . . . . . 26
Mujraee Shah ka hoon khuld mein hai ghar mera . . . . . . 26
Mujraee paidaa huva tha sam Hassan kay waastey . . . . . 27
Misaale badr joh haasil huva kamaal mujhe. . . . . . . . . . . 28
Pahunche yeh nazm yoon shahe zeeshaan ke saamne . . . 29
Naam par Shah kay paani jo pilaa deithay hain. . . . . . . . 29
Mujhey matloob hoga jaam laina jab bhi kausar ka. . . . . 30
Juz Panjetan kisi sey Tawalla na chahiyeh. . . . . . . . . . . . 31
Ali sa bhi na koyi aadil-e zamaana huva . . . . . . . . . . . . . 32
Shabihey Imam-e-Zamaan kheinchtey hain. . . . . . . . . . . 32
Karbala sey jo kabhi ho kay hawaa aati hai. . . . . . . . . . . 33
Pardes mein Zainab kho baithi. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 34
Jawan bete ke laashe par ye Laila sonchti hogi . . . . . . . . 35

2 Table of Contents
contents

Salaams Page
Soghra ke kaleijay par barchi si lagi hogi. . . . . . . . . . . . . 36
Khaakar sinaa jo seenay pa Akbar guzar gaye. . . . . . . . . 37
Aey salaami peer marthay hain jawaan kay saamney. . . . 37
Run mein aakar Sakina pukari . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 38
Aye ghuncha dahan bekas dulha. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 39
Dil thaam kay yeh Kubra ney kahaa. . . . . . . . . . . . . . . . . 39
Ro ro kehti thi Bano-e dukhiya. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 41
Shaher Baanu kahi peet kay sar,. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 42
Asghar salaami teer-e-sitam khaaye aathay hain . . . . . . . 43
Maqtal mein tha jo laasha-e-Asghar tamaam raat. . . . . . . 43
Baanu kehti hai Khudaaya kya karoon. . . . . . . . . . . . . . . 44
Qabr Asghar ki banaaney mein bohath deyr lagi . . . . . . . 45
Aey raat zaraa aahista guzar. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 45
Aakhri waqt hai marney ki rezaa do Zainab. . . . . . . . . . . 47
Mujraee Sheh ney kahaa bhool na jaana Zainab. . . . . . . . 47
Zainab pukaari rokar Abbas tum kahaan ho. . . . . . . . . . . 48
Asr ko sheh ki sada aayi kise aawaaz doon . . . . . . . . . . . 49
Aasmaan larzaa Zameen kaampee Samandar roay. . . . . . 50
Khaak par maiyyath padi hai aur maa khaamoush hai. . . 51
Aye Salaami khiyaam jaltey hain. . . . . . . . . . . . . . . . . . . 51
Shaam ke baad . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 52
Boli Zainab utho imdad ko aao Abbas. . . . . . . . . . . . . . . 53
Darouna jungle, hae raat andheri,. . . . . . . . . . . . . . . . . . . 54

Table of Contents 3
contents

Salaams Page

Thi kisi ki dasht mein sadaa,. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 55


Mujraee khalq mein, in aankhon ne,. . . . . . . . . . . . . . . . . 56
Ek beemaar sey aye mujraee sab ghar choota. . . . . . . . . . 57
Ghabraaegi Zainab dukh payegi Zainab. . . . . . . . . . . . . . 58
Salam khaak nasheenoun pah soghwaroun ka . . . . . . . . . 58
Ya Ali Karbala mein aag lagi . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 60
Ro ro maqtal mein kehti thi Zainab . . . . . . . . . . . . . . . . . 61
Zulm karthey thay jo sheh par baani-e-shar baar baar. . . 62
Rasane zulm mein nanhi si kalaayi hogi. . . . . . . . . . . . . . 62
Main sonchta hoon kay Abid ka haal kya hogaa. . . . . . . . 63
Afsous Nabi Zaadiyoun ka Shaam mein jaana. . . . . . . . . 64
Boli maa kya huva Sakina ko. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 65
Thi Sakina ki yeh sadaa bhaayi. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 66
Hai salaam us pey jo qaidi bhi hai beemar bhi hai. . . . . . 66
Bano ki dilrubaa Sakina jaan . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 67
Kehti thi yehi Zainab dukhiya. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 68
Arbayeen kay soghvaaro alveda. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 69
Aye shahey do jahaan khuda haafez. . . . . . . . . . . . . . . . . 70
Pahoonchey qareeb shahr-e-Madina tho ro Diye. . . . . . . 70
Hai rukhsath ki ghadi aye Karbala waalo Khuda hafez. . 71
Tashna labb mazloom Sarwar alwedaa. . . . . . . . . . . . . . . 72

4 Table of Contents
contents

Marsias Page
Beyqaraari Fatima Soghra s.a
Musaafiroun ki Madiney mai jab raseed aayi. . . . . . . . . . 74
Safar-e-Imam Hussain & 1st Moharram
Ghar sey jab bahrey safar Sayed-e-Aalam nikley. . . . . . . 77
Shahadath Hazrat Muslim ibne Aqeel
Insaan ke liye maut hai gham bey watani ka . . . . . . . . . . 80
Muslim par layinon ki chadhai hae sahar se. . . . . . . . . . . 83
Shahadath Hazrath Pisraan-e-Muslim
Darbar mein jab katke yateemoun ke sar aaye. . . . . . . . . 86
Pardes mein Muslim ke yateemoun pa jafaa hai. . . . . . . . 89
Waarid-e-Karbala (2nd Moharram)
Kis beemar ne qath apne maseeha ko likha . . . . . . . . . . . 92
Aye mominou Hussain sey maqtal qareeb hai . . . . . . . . . 95
Aakhar hai umr manzile awwal qareeb hai. . . . . . . . . . . . 95
Shahadath Hazrat-e-Hur (a.s.)
Run mein jab Sheh ki taraf sey Hur-e-deen daar aaya. . . 98
Shahadath Hazrat Aun-o-Mohammad (a.s.)
Dozakh say jab aazaad kiya Hur ko khuda nay . . . . . . . 101
Jab Zainabe ghareeb ke run mein pisar lade. . . . . . . . . . 104

Table of Contents 5
contents

Marsias Page

Shahadath Hazrath Ali Akbar (a.s.)


Run se jab khake sinaa Akbare zeeshaan aaye. . . . . . . . 106
Pidar ki maut hai marnaa jawaan betay ka. . . . . . . . . . . 109
Zaqmi sina se run mein jo sheh ka pisar hua . . . . . . . . . 111
Kisi ka khaana-e-ummid bey charaag na ho. . . . . . . . . . 114
Dashtey balaa mein gumh Ali Akbar ki laash hai. . . . . . 117
Shahadath Shehzaada-e-Qasim ibne Hasan (a.s.)
Zakhmi jo run may Qasim-e-gul pairahan hua. . . . . . . . 119
Ae mominon judai hae dulha dulhan mein aaj. . . . . . . . 121
Narghaa hai dilbar-e-Hasan-e-sabz poush par . . . . . . . . 124
Qasim jo hum Shabihey janab-e-Ameer tha. . . . . . . . . . 127
Shahadath Hazrat Abbas (a.s.)
Jab sadre zeen se gir pade Abbase bawafa. . . . . . . . . . . 130
Jab Ibne Bu Turaab baroove zameen gira. . . . . . . . . . . . 133
Jab qatl kiya neher pa Saqqa-e-Haram ko. . . . . . . . . . . . 136
Jab izn paani laaney ka Abbas ko mila. . . . . . . . . . . . . . 138
Jab katt gaye dariya pey Alamdaar kay baazu . . . . . . . . 141

6 Table of Contents
contents

Marsias Page
Shahdath Hazrath Ali Asghar (a.s)
Haye kis bekaso mazloom ka yeh maatam hae. . . . . . . . 145
Run may abroo kamaan ki aamadh hai. . . . . . . . . . . . . . 147
Baanu kay sheerkhwaar ko haftum sey pyaas hai. . . . . . 150
Banu pichley paher Asghar ke liye rothi hai. . . . . . . . . . 153
Ravaana nehr-e-labann ko jo sheer khwaar huva. . . . . . 155
Lo momino khulaasa suno is bayaan ka. . . . . . . . . . . . . 158
Shahadath Imam Hussain ibne Ali (a.s)
Jab naujawan pisar shahe deen se juda hua . . . . . . . . . . 160
Jab run may Sibtey Ahmad-e-mukhtaar ghir gayaa. . . . 163
Jab pareshaan huvi Moula ki jama-ath run may. . . . . . . 166
Ibne Ali jo baage risaalat luta chuka. . . . . . . . . . . . . . . . 169
Ae mominon Hussain pah shiddat ki pyaas hae. . . . . . . 172
Jab khaatemaa bakhair huva fouj-e-shah ka. . . . . . . . . . 175
Aah huvey Kaaba-e-qurbaani-e-daavar hai Hussain. . . . 178
Jisdum naginey khaatam-e-Paighambaraan giraa. . . . . . 182
Kiski zabaan sey pyaas ney paayi hai aabroo. . . . . . . . . 184
Jab katt gaye haftaad doh tanh raahey Khuda main. . . . 186
Shaam-e-Gharibaan
Kehti thi run may aakay Sakina jawaab doh. . . . . . . . . . 190
Ahley haram pey aaj qayamat ki raat hai. . . . . . . . . . . . 192

Table of Contents 7
contents

Marsias Page

Safar-e-Kufa
Jab lutke Karbala se aseere sitam chale . . . . . . . . . . . . . 195
Darbaar-e-Shaam
Bevoun ka mulk-e-Shaam mai jisdum guzar huva. . . . . 197
Jab mehfil-e-yazeed mein daakhil harum huvey . . . . . . 201
Mehshar ki subha aaj numaaya hai shaam main. . . . . . . 203
Aamadh hai Ahlebaith-e-Payamber ki Shaam main. . . . 205
Qaid khaane mai talaatum hai kay Hind aathi hai . . . . . 208
Shahadath Bibi Sakina (s.a.)
Jab daage bekasi na Sakina utha saki. . . . . . . . . . . . . . . 211
Zindaan mein muqayyad huve jis dum harame shah . . . 214
Bano ki aaj kis liye sunsaan goadh hai. . . . . . . . . . . . . . 216
Rokar kahaa yeh maa ney kay dilbar jawaab do. . . . . . . 218
Shahadath Imam Zainul Abedeen (a.s.)
Shaheed se koi shamsheer ka maza pooche. . . . . . . . . . 221
Shaahey waala ney shahadat ka sar anjaam kiya . . . . . . 224
Shahadath Imam Ali ibne Moosa-e-Raza (a.s)
Aaj Imaam-e-Raza shaheed huvey. . . . . . . . . . . . . . . . . 226
Mominon aaj Khuraasan mein hae taaza matam . . . . . . 228
Rihaayi Ahley Haram
Qaid sey chutt ke aayi hai Zainab. . . . . . . . . . . . . . . . . . 231

8 Table of Contents
contents

Marsias Page

Chehlum Shohadaa-e-Karbala
Chehlum jo Karbala may bahaatthar ka ho chukaa . . . . 233
Bhaiyya main bin tumhaarey watan ko na jaaoongi. . . . 235
Balaa utthaakay haram Karbala main aathay hain. . . . . 237
Waapis-e-Ahle Haram
Durood padh ke watan ko chala Hussain ka laal . . . . . . 240
Watan may qaafela-e-Karbala ki aamadh hai. . . . . . . . . 242
Jab baad dafn Shah watan ko haram chale. . . . . . . . . . . 244
Jab Zaaeyraan shaahey ghareebul watan phirey. . . . . . . 247
Jab shah ko safar mein bahut din guzar gaye. . . . . . . . . 249
Shahadath Shehzadi Zainab binte Ali (a.s)
Azeezo Zainab-e-muztar ka aaj maatam hai. . . . . . . . . . 253
Ghurbat mein kis ne ki hae rifaqat Hussain ki. . . . . . . . 255
Zainab pa huva khaatema har ranj-o-balaa ka . . . . . . . . 258
Sajjad jab dobaara aseer-e-jafaa huvey. . . . . . . . . . . . . . 260
Shahadath Shehzadi Umme Kulsoom binte Ali (a.s.)
Umme Kulsoom khwaaharey Zainab. . . . . . . . . . . . . . . 264
Wafaat Rasool-e-Khuda (s.a.w.s)
Aye momino Yasrab may ajab nauhagari hai. . . . . . . . . 266
Shahadath Imam Hassan-e-Mujtaba (a.s.)
Jis dum Hassan ka zeihar sey tukdey jigar huva. . . . . . . 269

Table of Contents 9
contents

Marsias Page

Vida-e-Ayyam-e-Aza
Aye soghwaaro aaho bukaa ka maqaam hai. . . . . . . . . . 271
Shahadath Shehzaadi Fatima Zehra (s.a.)
Bilqees paasbaan hae yeh kiski janab hae. . . . . . . . . . . . 273
Bistarr sey thar tharaa kay utthi thaamkar asaa . . . . . . . 278
Farzandoun ko phir Fatema Zehra ney bulaaya. . . . . . . 280
Shahadath Hazrath Ali ibne Abu Taalib (a.s.)
Aye rozey daaro aaho bukaa ke yeh roz hain. . . . . . . . . 283
Imaan ki jaan kya hae mohabbath Ali ki hae . . . . . . . . . 285
Waarid huvi naagah shab-e-zarbath-e-Hyder. . . . . . . . . 288
Shahadat Imam Muhammad-e-Baqar (a.s.)
Hai qasd kuch fazael-e-Baquar raqam karoon . . . . . . . . 291
Shahadat Imam Jaffar-e-Sadiq (a.s.)
Beychain dil thay Hazrat-e-Baqar ki yaad mein. . . . . . . 294
Shahadat Imam Musa-e-Kazim (a.s.)
Sar peeto aaj Moosiye Jaffar huva shaheed . . . . . . . . . . 297
Shahadat Imam Muhammad Taqi-e-Jawwad (a.s.)
Ibn-e-Raza bhi saalikay raahey Raza rahaa . . . . . . . . . . 299
Shahadat Imam Ali Naqi (Al-Hadi) (a.s.)
Kis umr mein Ali un Naqi bey pidar huvey . . . . . . . . . . 302

10 Table of Contents
contents

Marsias Page

Shahadat Imam Hasan Askari (a.s.)


Shora jahan mein Hasan-e-Askari ka hai. . . . . . . . . . . . 305
Inhedaam-e-Jannat-ul-Baqee
Aey charkh teray zulm ki kuch inteha nahin . . . . . . . . . 307

Table of Contents 11
contents

Nauhas Page

Dil hai beychaen shaahey huda ka . . . . . . . . . . . . . . . . . 312


Lutaa hai gulshan-e-Zehra isi Moharram mein. . . . . . . . 313
Aayi haatif ki awaaz sheh ko . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 314
Bulaakar sab ko Hazrath ney kahaa aye. . . . . . . . . . . . . 315
Mujh pay kyun bandh kartey ho paani. . . . . . . . . . . . . . 316
Yaad aayi na tumhein Fatima Sughra baba. . . . . . . . . . . 318
Qaasidh mera qath leijaa ehsaan badaa hoga. . . . . . . . . 319
Kab laotke aaoge. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 319
Bhaiyya mujhe bhool na jaana. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 321
Haaye sughra bathaa kya likhoon. . . . . . . . . . . . . . . . . . 322
Soona hae Madina. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 324
Fizza ne kaha Aun-o Mohammed gaye maare. . . . . . . . 325
Qatl Hogaye Qasim ya Ali duhaayi hai. . . . . . . . . . . . . . 327
Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain. . . . . . . . . 328
Abbas, Abbas, Abbas . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 329
Abbas mera margaya Zainab. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 331
Kartey thay roro ke yeh hazrat bayaan. . . . . . . . . . . . . . 333
Aa dekh meray Ghaazi ooncha hai alam tera. . . . . . . . . 335
Abbas tujhe ahle wafa yaad karenge. . . . . . . . . . . . . . . . 337
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas . . . . . . . . . . . . . 338
Aye Jaan-e-dil-e-Hyder-e-Karrar Alamdaar. . . . . . . . . . 340
Aye Wafa kay Paighambar naffsey Faatehey Khaiber . . 340

12 Table of Contents
contents

Nauhas Page

Dasht-e-ghurbath mein Sakina Main akeila hogaya. . . . 341


Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai . . . . . . . . . . . . . . . . . . 343
Ley jaayiyeh khaimey mein yeh mashk-o-alam Maula. 344
Abbas se kehti thi yeh fouje sitam aara . . . . . . . . . . . . . 345
Jab ridaa sar sey chinee…Tu na aaya Ghaazi. . . . . . . . . 346
Mera sehriyaan waala Akbar. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 348
Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho . . . . . . 350
Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar . . . . . . . . 353
Zainab Ali Akbar kay jeeney ki dua maango . . . . . . . . . 355
Umme Laila sambhaal Zainab ko. . . . . . . . . . . . . . . . . . 356
Dua karo mera noor-e-nazar palatt aaye. . . . . . . . . . . . . 359
Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar. . . . . . . . . 360
Rokay kehti thi maadar kal na jaaney kya hoga. . . . . . . 362
Maa main naizay pay hoon. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 362
Boley beti se sibtey payambar . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 365
Neend aayegi jab aap ki bu paaungi baba. . . . . . . . . . . . 366
Chala run ko tera baba Sakina . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 368
Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma . . . . 369
Bikhrey padey hain laashey aulaad-e-Murtaza kay . . . . 370
Koyi na tha utthaatha jo laasha Hussain ka . . . . . . . . . . 371
Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai. . . . . . . 372
Mushkil kusha-e-khalq khudaara madad karo . . . . . . . . 374

Table of Contents 13
contents

Nauhas Page

Abbas Utto aag Lagi jalthey hain qaimey. . . . . . . . . . . . 375


Jaltey huvey khaimon sey, Zainab ki sadaa aayi,. . . . . . 376
Ab Aaye ho baba. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 377
Kya rahaa khaimon mein Sheh kay . . . . . . . . . . . . . . . . 379
Pukaari Zainab-e-muztarr Hussain aajaao . . . . . . . . . . . 380
Yoon Sakina ney pukaara, aye meray baba Hussain. . . . 380
Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi . . . . . . . . . . . . 381
Jab yaad Sakina ko teri aathi hai baba . . . . . . . . . . . . . . 383
Kya Andhera hai phupi. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 384
Aye Jaan Sakina nadaan Sakina . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 385
Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya. . . . . . . . . . . . . . . . . . 386
Rokay zindaan mein boli Banu. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 388
Meri Sakina ko neend aa rahi hai. . . . . . . . . . . . . . . . . . 389
Ab bhi aati hai Sakina ki sadaein logo. . . . . . . . . . . . . . 391
Sakina uttho. meri jaan uttho,. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 392
Shaam ko qaidi ban ke chali hai. . . . . . . . . . . . . . . . . . . 394
Shaam ka bazaar Abid-e-beemaar. . . . . . . . . . . . . . . . . . 395
Haaye Hussain, pyaasey Hussain. . . . . . . . . . . . . . . . . . 396
Kahaa yeh shimr-e-layeen ney rulaao Zainab ko. . . . . . 398
Amma Fizza bathaa dey mujhko. . . . . . . . . . . . . . . . . . . 398
Bey rida Zainab khadi hai shaam ka darbaar hai . . . . . . 400
Waqt Sajjad ney kaisey woh guzaara hogaa. . . . . . . . . . 401

14 Table of Contents
contents

Nauhas Page

Sajjad main Zainab hoon . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 402


Bazaar kay manzar ko. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 404
Tauq-o-Zanjeer Kujaa Abid-e-beemaar Kujaa. . . . . . . . 406
Abid ghareeb beykas-o-naachaar margaya. . . . . . . . . . . 407
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam. . . . . . . . . 408
Itni ghareeb hogayi gham yoon lipatt gaye. . . . . . . . . . . 410
Abaad huvi Karbobala, ujjda Madina, . . . . . . . . . . . . . . 410
Hai Karbala kay bun mein ghareeboun ka Arbayeen. . . 412
Shabbir ka chehlum hai, Shabbir ka chehlum hai. . . . . . 413
Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab . . . . . . . . 413
Shahinshaa-e-tashna lab kay bhaayi, . . . . . . . . . . . . . . . 415
Maajaayi hai Zainab dukh paayi hai Zainab. . . . . . . . . . 416
Shabbir ki turbath pa yeh Zainab ka bayaan tha. . . . . . . 416
Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka. . . . . . . . . . . . 418
Koofay ka aur shaam ka manzar. . . . . . . . . . . . . . . . . . . 420
Beti Ali ki turbath-e-Zehra pay aayi hai. . . . . . . . . . . . . 421
Di Basheer ney rokay yeh sadaa. . . . . . . . . . . . . . . . . . . 424
Zainab Madiney jaati hai kya kya liye huvey. . . . . . . . . 425
Dekh Madine kya kya yaadein. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 426
Sitam raseedaa falak ki sathaayi hoon naana. . . . . . . . . 428
Kya dekhti hai Sughra, Zainab kay aansuon mein. . . . . 428
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho . . . . . . . . . . . . 430

Table of Contents 15
contents

Nauhas Page

Salwaatho salaam aap pay ya Fatima Zehra. . . . . . . . . . 432


Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna. . . . . . . . 433
Maula haq Imam ya Hasan, ya Hussain, ya Hussain . . . 434
Ooncha rahe apna alam. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 435
Ya wajiha indallah. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 436
Bibi Zehra ye Dua Hai . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 438
Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser. . . . . . . . . 441
Aey noor-e-ain Fatema Zehra na jaayieh. . . . . . . . . . . . 443
Alvida aye Hussain aye Hussain alvida . . . . . . . . . . . . . 444
Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam. . . . . . . . . . . 444
Ghurbath mein utt rahaa hai janaaza Ghareeb ka. . . . . . 446
Kar gaye duniya sey qazaa haaye haaye. . . . . . . . . . . . . 447
Maula uttho kay Masjid-e-Kufa udaas hai. . . . . . . . . . . 448
Matam hai fazaon mein Shahey Kaun-o-Makaan Ka. . . 449
Aaj Koofey main Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain. . . . . 451
Ghurbat ki intehaa hai…Zahra teri lehad par.. . . . . . . . . 452

16 Table of Contents
Salaams
Ghar ko chhoda Shah nay jungal basaney kay liye
Karbala mein aaye thay jannath may jaaney kay liye

Zohr ko Zainab se jab milnay gaye ghar mein Hussain


Koyi devdi par na tha parda utha nay kay liye

Sheh utthey pad kar namaaz-e-subha mehshar ho gaya


Hazrat-e-Zainab chaleen kapday pehnaaney kay liye

Kahti thi maa qhat meray Akbar ko tha paighaam-e-marg


Yeh jawaani aayi thi goya bulaaney kay liye

Thi sada Zehra ki Zainab margaya tera Hussain


Ghar may ja beti safay matam bichaaney kay liye

Aey taashuq waa-ey hasrat kuch nahin zaad-e-safar


Haath khaali baithe ho duniya se jaane ke liye

*****

Qaafela Sheh ka salaami lab-e-darya uthraa


Par muqaddar mai na ek paani ka qathra uthraa

Karbala ka jo kisi shaher mai naqsha uthraa


Mujrayee boli zameen arsh-e-moalla uthraa.

Imtihaan ki jo taraazu mai qazaaney tholaa


Hur wafaadari-e-Shabbir mai poora uthraa

Sajda-e-haq sey Nabi ney na utthaaya sar ko


Pushth-e-aqdas sey na jab takh ke nawaasa uthraa

18 Salaam Salaam Marsia Nauha


Fouj manzil pay utarthi toh Sakina kehthi
Saahibo dekho kidhar hai mera baba uthraa

Aaya jab takh na madiney mai sar-e-ibney ziyaad


Sogh naamoos-e-Nabi mai na kisi ka uthraa

Sogh Zainab ney bhi Hazrath ka uthaara yaaro


Par na jannath mai siyaa jaama-e-Zehra uthraa

Bano kehthi thi ke kisi roz pehnaaya afsous


Khoon mai bharkay meray bachchey ka kurta uthraa

*****

Salaami suvey maqtal Syed-e-Abraar aathay hain


Hathailee par dharey sar khalq ke Sardaar aathay hain

Hamaarey khwaab mai jab Syed-e-Abraar aathay hain


Mubaarak baad denay taala-e-beydaar aathay hain

Jigar mai dard lab par aah aansoo dono aankhoun mai
Baday saamaan sey Hazrath ke maatamdaar aathay hain

Khayaal Shah-e-waala mai dil-e-muztar yeh kehtha hai


Utt aey dard-e-jigar taazeem ko Sarkaar aathay hain

Sawaari hai yeh Akbar ki kay qudrath ka namoona hai


Shabaahath keh rahi hai Ahmad-e-Mukhtaar aathay hain

Baday faiyaaz hain yeh ronay waaley bhi ke majlis mai


Jab aathay hain lutaaney gowhar-e-shehwaar aathay hain

Salaam Marsia Nauha Salaam 19


Abhi khaimey se nikley bhi na thay ghul machgayaa run mai
Alambardaar aathay hain Alambardaar aathay hain

Andheri Raat mai Banu yehi keh-keh ke rothi thi


Kay Akbar yaad teray chaand sey rukhsaar aathay hain
???
Gadhaa hoon mai darey Sheh ka yeh suntha hoon ke aye Asif
Meray sartaaj rakhney ko meray Sarkaar aathay hain.

*****

Salaami khalq mai mehshar bapaa hai


Wafaat-e-hazrat-e-Khairunnisa hai

Yehi aathi hai har chakki sey awaaz


Batool-e-paak fakhrey Aasiya hai

Malak aathay nahin bey izn ghar mai


Yeh qadr-e-Ahlebaith-e-Mustafa hai

Payambar ko jo rothi thi shab-o-roz


Isi ko aaj kunbaa ro raha hai

Kaha Hyder sey Zehra ney yeh rokar


Kay saath apna tumhaara choot-tha hai

Meri doh betiyaan hain aur doh betay hain


Yateemi ka har ek ko saamnaa hai

Gareebaan chaak hain Sibtain-e-Ahmad


Sar-e-Hyder pa koh-e-Gham giraa hai

20 Salaam Salaam Marsia Nauha


Ali ki betiyaan sar peet-thi hai
Janaaza ghar sey Zehra ka chalaa hai

*****

Salaami har taraf shor-e-bukaa hai


Vidaa-e-Hazrath-e-Mushkil Kushaa hai

Tazalzul masjid-e-Kufaa main hai aaj


Suthoon-e-Kaaba-e-Imaan giraa hai

Ali ibne Abi Taalib mera sher


Abhi Talwaar sey Zakhmi huva hai

Pakadd kar ibne muljim ko jo laaye


Kaha ashaab ney ab hukm kya hai

Ba shafqath poocha qaatil sey Ali ney


Qataah meri hai ya teri qataah hai

Kiya bin baap ka bachchoun ko meray


Yehi ehsaan ka meray silaa hai

Kisi ney juz Ali qaatil ko apney


Damay iftaar bhi sharbath diya hai

Ali aisa saqhi tha waah dar yeghaa


Galaa Shabbir ka pyaasa kataa hai

*****

Salaam Marsia Nauha Salaam 21


Salaami layeenoun ney kya kya jafaa ki
Na Shah ki huvi aal Mushkil kusha ki

Yeh maana hai tasleemo sabr-o-reza kay


Kay qaatil kay haq mein bhi sheh ney dua ki

Yeh kehti thi binte Ali waqt-e-ghaarath


Kuch aye Shimr qeemath nahin is rida ki

Meray sar pa lillah rehnay dey isko


Kay yeh kehna chaadar hai khairunnisa ki

Tamashaayi kehthay thay koofey mein hanskar


Yeh sar nangay zainab hai qudrath khuda ki

Utta raath ko jiski maa ka janaaza


Woh ab din ko mohtaaj hai ek rida ki

Na baandho meray haath kehti thi Zainab


Layeenou mai beti hoon Mushkil kusha ki

Na chhuti damay marg takh Fatima sey


Ita-ath Ali ki Ibaadath Khuda ki

Rahay haath chakki sey majrooh dono


Yeh haalath thi maqdooma-e-Aasiya ki.

*****

22 Salaam Salaam Marsia Nauha


Salaami jisney dar-e-baagh-e-Panjethan dekhaa
Useenay rouza-e-Rizwaan ka chaman dekhaa.

Salaami run kay jo bandhdey ney pairahan dekhaa


Qhaba ki taih may lapeta huva kafan dekhaa

Kaha adu nay basaarath kidhar gayi hai Imaam


Mili na laash pisar ki tamaam run dekhaa

Jawaan betay ki maiyath na tum ne pehchaani


Yeh kis ka naizey pa sar hai yeh kis ka tanh dekhaa.

Kaha yazeed ne poshaak isko pehnaado


Phata huva jo Sakina ka pairahan dekhaa.

Kaha ke khaaq may mil jaoongi na pehnoongi


Pidar ke murday ko jungal may bay kafan dekhaa

*****

Salaami jaangaza hai ranj-o-gham khasaan-e-daavar ka


Khalaq Sibtain ka Zehra ka Hyder ka Payambar ka

Sadaa shohra raheiga judh-o-khulqo zor-e-Hyder ka


Qataar-o-shair-o-angushtar ka darkaaroh kay par ka

Ali ki teigh kay dam sey huva har maareykaa faisal


Ohad ka Badr ka Sifeen ka Khandaq ka Khaiber ka

Ghulaam-e-Panjetan ko darr nahin in paanch cheezoun ka


Ajal ka, jaankani ka, qabr ka, barzakh ka, mehshar ka

Salaam Marsia Nauha Salaam 23


Hamaarey waasthay Sheh ney gawaara karliya mittnaa
Harum ka, aabroo ka, jaan ka, aulaad ka, ghar ka

Sakina leigayi yeh paanch daagh is baagh aalam sey


Tamaachoun ka, rasan ka, baap ka, saqqay ka, gowhar ka

Ghazab hai ithney sadhmey ek jaan khaahar-e-sheh par


Ridaa ka, qaid ka, bachchoun ka, Akbar ka, baraadar ka

Tahey khanjar Imam-e-paak ko kis kis ka dhyaan aaya


Bahen ka, beti ka, beemaar ka, ummath kay mehzar ka

*****

Ali ki madhaa kartha hoon yehi ek kaam baaqi hai


Isi ki wajha sey duniya mai mera naam baaqi hai

Zameen jab takh hai jab takh charq neeli faam baaqi hai
Fazaa mai Fatema ki jaan ka paighaam baaqi hai

Ali ke saath haq hai aur Ali bhi saath hai haq ke
Khuda ka naam hai jab takh Ali ka naam baaqi hai

Hazaaroun ke galay kaatay Ali ki teigh ney leykin


Abhi bachchey ki turbath khoudhnay ka kaam baaqi hai

Mohammad-e-Mustafa ki aal aur darbaar mai jaaye


Yazeed ab takh teri gardhan pa yeh ilzaam baaqi hai

Supurdh-e-khaak karna hai abhi zindaan mai bachchi ko


Ilaahi ghamzadaa Zainab ka yeh bhi kaam baaqi hai

24 Salaam Salaam Marsia Nauha


Ali-e-Murtuza aaye na teri zindagi main gar
Sayeed ithnaa na ghabraa nazaa ka hungaam baaqi hai

*****

Zikr ghame Hussain se mehfil saji rahi


Gul hogaya chiraag magar roshni rahi

Qaime Furaath se toh hatae gaye magar


Abbase naamdar ki tyewari chadi rahi

Akbar ke baad zeest mein kya dilkashi rahi


Laila tamam umr yehi sonchti rahi

Abbas lene aaye joh maidan ki raza


Zainab bus apne baazuon ko dekhti rahi

Ashke ghame Hussain ka tootah na silsila


Roomale Fatema mein hamesha nami rahi

Balwe mein bey rida sare Zainab ko dekh kar


Allah jaane kaise qayamat ruki rahi

Adam se ae Sayeed risaalat ma-aab tak


Har daur mein zaroorate nadey Ali rahi

*****

Salaam Marsia Nauha Salaam 25


Fida hoon us pay salaami hai jis ka naam Hussain
Mera muheen mera Aaqha mera Imaam Hussain.

Sabaa ko bhej kay Rouzay pay kar raha hoon-dua


Karain qubool Ilaahi mera salaam Hussain.

Jo Karbala ki zameen par huva tha unka wurood


Tho phir kay dekhtay thay qabr ka muqaam Hussain.

Suna na haaye kisi sangh dil ne laakh kaha


Rasool ka hoon nawaasa hai mera naam Hussain.

Na poochho waqt woh kaisa tha jab Madinay say


Chaley har ek ka lethay huvey salaam Hussain

Panah leytay thay dushman ajal kay daaman mein


Jo waar karthay thay lekar Ali ka naam Hussain

Meri kuch aur tamanna nahin hai aye Aasif


Yeh aarzu hai banalay mujhey ghulam Hussain

*****

Mujraee Shah ka hoon khuld mein hai ghar mera


Muntazar hoorein hain mushtaaq hai Kausar mera

Shah kehthay thay layeenou na sathaao mujhko


Maa hai Zehra meri Naana hai Payambar mera

Banu kehthi thi kay jungle main darreygaa logou


Kabhi tanhaa nahin soya Ali Asghar mera

26 Salaam Salaam Marsia Nauha


Jo koyi poochtha kya sin tha tho kehthi Banu
Chey mahiney sey bhi kam tha Ali Asghar mera

Kehthi thi rooh-e-Mohammad yeh tamashaaiyoun sey


Bandh aankhein karo kunbaa hai khuley sar mera

Shah kehthay thay na soojhi mujhey Abbas ki laash


Leigaye haath pakadd kay Ali Akbar mera

Shimr kehtha tha main jab kartha tha Shabbir ko qatl


Kaisi mazloomi sey muh takthey thay Sarwar mera

Girya-e-Ahmad-o-Zehra ki sadaa aathi thi


Pakadd leytha tha koyi haath sey khanjar mera

*****

Mujraee paidaa huva tha sam Hassan kay waastey


Aur banaa khanjar Shahey tashnaa dahan kay waastey

Aye falak Zainab ko tuney kyun phiraaya dar-ba-dar


Maatam-e-Shabbir kya kum tha bahen kay waastey

Jis ghadi bandhney laga kangnaa toh haatif ney kahaa


Dast-e-Kubra mein jagaah rakhna rasan kay waastey

Aye falak insaaf sey tajweez teri door hai


Gardhan-e-Sajjad ho touq-o-rasan kay waastey

Ho kay zakhmi jab giraa ghoday sey Ibn-e-Buturaab


Khaak marham hogayi zakhm-e-badan kay waastey

Salaam Marsia Nauha Salaam 27


Bey kafan tha laasha-e-Naushaa run mein jaa-ba-jaa
Munh chupaaney ko na chaadar thi dulhan kay wastey

Shimr sey kehti thi Zainab tu naa ley chaadar meri


Yeh ridaa rehney dey bhaayi kay kafan kay waastey

*****

Misaale badr joh haasil huva kamaal mujhe


Ghata ghata ke falak ne kiya hilaal mujhe

Teri madad ka faqath Ya Ali bharosa hai


Kisi ki aas nahin waqte inteqaal mujhe

Kareem joh tujhe dena ho betalab dedey


Faqeer hoon pa nahin haajate sawaal mujhe

Kisi ke saamne kyon jaake haath phailaaoon


Mera kareem jo deytah hai bay sawaal mujhe

Hussain kehtey thay pushtay faras se girtah hoon


Madad ka waqt hai ae bekasi sambhaal mujhe

Hussain kehtey thay parwardigaar rahiyo gawaah


Ke qatl kartey hain naahaq yeh badh qisaal mujhe

Andheri qabr mein mushkil Anees ko hai bohath


Dikhaadoh Ya Ali ab chaand sa jamaal muhjhe

*****

28 Salaam Salaam Marsia Nauha


Pahunche yeh nazm yoon shahe zeeshaan ke saamne
Jis tarha paaye more Sulemaan ke saamne

Har dum Sakina laathi thi taskeen ke waastey


Khaali katoray Asghare naadaan ke saamne

Rokar behen se kehtey thay hazrat yeh rozey qatl


Hum zibha hongay asr ko amma ke saamne

Zibhe hilaal mein toh yeh hukme-rasool ho


Haiwaan ka khoon bahao na haiwaan ke saamne

Wa hasratha ke Fatema sar peet thi rahi


Pyaase Hussain zibha huve maa ke saamne

Rakhley uthakey sar pah adab sey yeh chahiyeh


Mousuf jab aaye saahebe imaan ke saamne

Neechey sarey Hussain ho aur taqth par Yazeed


Phailaaye paoun baitha ho Quraan ke saamne

Khooli se Shimr kehta tha ley jah sar-e-Hussain


Rakh kar sinaa pah Zainabe zeeshaan ke saamne

*****

Naam par Shah kay paani jo pilaa deithay hain


Meray Kausar inhey mujraahi dua dethay hain

Qatl Akbar sa pisar hotha hai sheh karthay hain shukr


Sabr Ayyub ko Shabbir jila dethay hain

Salaam Marsia Nauha Salaam 29


Fatima kehthi thi duniya mein yeh abaad rahein
Sheh ka pursa mujhey sab ahle-aza dethay hain

Chashm Sajjad agar zouf sey ho jaathi hai bandh


Ashqiyaan paaoun ki zanjeer hilaa dethay hai

Kehthi thi rokay Sakina kay hamein qaid kiya


Loug zindaan sey yateemoun ko chudaa dethay hain

Poochtha hai jo koyi kisney kamar ko thodaa


Shah Abbas kay laashey ko dikhaa dethay hain

Yeh salaam Shahey Mazloom kaha khoob Dabeer


Dekhoon inaam may Moula mujhey kya deithay hain

*****

Mujhey matloob hoga jaam laina jab bhi kausar ka


Salaam aisa padhoonga dil bhar aayegaa payambar ka

Zameen-e-Karbala ka poochnaa teray muqaddar ka


Hai tujh mein aaj takh mehfooz sarmaaya payambar ka

Kamar qam kyon na ho dil gham se tootey kyon na Sarwar ka


Alambardaar aakhir bhaayi tha baazoo baraabar ka

Labay darya Alambardaar bhi kaam aagaya aakhir


Basab Allah haafez Hazrat-e-Zainab ki chaadar ka

Teri ghairath ko aakhir kya huva kuch tu nay soncha bhi


Bhari mehfil mai kaisa tazkera Zainab ki chaadar ka

30 Salaam Salaam Marsia Nauha


Ghadi bhar bhi rabab aaraam sey sonay nahin paathee
Woh Jab karwat badalthi hai khayaal aata hai Asghar ka

Sayeed zaar par jab bhi koyi uftaab padthi hai


Bas ek aadath si hai woh naam letha hai Hyder ka

*****

Juz Panjetan kisi sey Tawalla na chahiyeh


Ghairazz Khuda kisi ka bharosa na chahiyeh

Ek dar pa bhaitt gar hai Tawakkal Kareem par


Allah kay faqeer ko phera na chahiyeh

Soghra ney Shah-e-deen ko likha qath tho bhejiyeh


Gar chahathey nahin hamein accha na chahiyeh

Doh betiyaan tho paas ho ek jaan balab bayeed


Main sach kahoon yeh aap ko baba na chahiyeh

Kehthi thi Fizza shaam mein bazaariyo hato


Aal-e-Rasool par sitam aisa na chahiyeh

Yeh koun bibiyaan hain tumhey kuch khabar nahin


Zehra ki betiyoun ka tamaasha na chahiyeh

Kehtha tha shimr chaadarein bevoun ki cheen lo


Aisey Gunahagaaroun ko parda na chahiyeh

Marqadh charaag-e-daag sey roushan rahey Anees


Shab ko ghar mein akelay andhera na chahiyeh

Salaam Marsia Nauha Salaam 31


Ali sa bhi na koyi aadil-e zamaana huva
Ke ek baaz-o kabutar ka aashiyana huva

Makeen rahe na makaan turfa karkhana huva


Zameen ulat gayi kya munqalib zamana huva

Andheri qabr thi aur mein tha ya Ali-e wali


Huzoor aaye toh roshan siyah qana huva

Raha na koi bahattar mein zohr tak baaqi


Hussain rehgaye aur qaafela rawana huva

Firaqe sheh ka na sadma utha Sakina se


Qalaq se jaan gayi mauth ka bahana huva

Bhatak ke raah se peeche kahin na reh jaoon


Utho Anees utho qaafela rawaana huva

*****

Shabihey Imam-e-Zamaan kheinchtey hain


Tasawwur mein tasveer-e-jaan kheinchtey hain

Jagaah mol-lee hai mazaaroun ki khaatir


Zameen par Shahey deen nishaan kheinchtey hain

Ajab haal hai dukhtar-e-Fatima ka


Ridaa sar sey ezzaa rasaan kheinchtey hain

Kahaan paaye Abid kahaan dohree beydi


Yeh langar kaheen naathawaan kheinchtey hain

32 Salaam Salaam Marsia Nauha


Kahaa rokay Akbar ney aye dard tham jaa
Kaleijay sey Baba sinaan kheinchtey hain

Pukaari Sakina duhaayi hai Baba


Sitamgar meri baaliyaan kheinchtey hain

*****

Karbala sey jo kabhi ho kay hawaa aati hai


Kisi Maasoom ki hichkee ki sadaa aati hai

Haan dhadakta na ho marqad mein kahin qalb-e-Rabab


Ali Asghar, Ali Asghar ki sadaa aati hai

Maa samajtee hai dulhan laaoongi aaya hai shabaab


Sheh samajtey hain kay Akbar ki qazaa aati hai

Koyi beemaar na paddtaa ho tahajjud ki namaaz


Raat mein beydiyon ki kyun yeh sadaa aati hai

Qaid khaaney mein qayamat sey siwaa aathaa hai din


Raat kya aati hai ek aur balaa aati hai

Munh phira leytay hain Abbas tapak padtey hain ashk


Nehr ki simth sey thandee jo hawaa aati hai

Kaun sothaa hai kanaarey teray aye Nehr-e-Furaat


Teri mitthi sey abhi boo-eyWafaa aati hai

Jab ziyaada kabhi beemaar main hotha hoon Shaheed


Khud ba khud meray liye Khaak-e-Shifaa aati hai

Salaam Marsia Nauha Salaam 33


Pardes mein Zainab kho baithi
athara baras ke paale ko
Rotey hai khade sab aale nabi
athara baras ke paale ko

Armaan na nikla Bano ka


hae laash pah nauha Bano ka
Payegi kahan yeh kookh jali
athara baras ke paale ko

Dil thaam ke Akbar ki maadar


kehti hae yeh Sarwar se rokar
Kho aaye kahan aye ibne Ali
athara baras ke paale ko

Naazon se muraadon se paala


shaadi ka zamana jab aaya
Maidaan mein khokar baith gayi
athara baras ke paale ko

Shabbir se kehti hae Zainab


mujh ko toh bada hae iska taa-ab
Kyon maine liya tha tumse aqi
athara baras ke paale ko

Qismat ka karoon main kis se gila


khidmath ka ewaz kuch bhi na mila
Sehra bhi na Zainab baandh saki
athara baras ke paale ko

34 Salaam Salaam Marsia Nauha


Kehte thay yeh shahe Karbobala
taqdeer mein yoonhi likha tha
Ab sabr karo aye binte Ali
athara baras ke paale ko

Showkat pah qayamat ka gham hae


Showkat yeh ghazab ka maatam hae
Baaleen pah khade rotey hain nabi
athara baras ke paale ko

*****

Jawan bete ke laashe par ye Laila sonchti hogi


Mujhe is din se pehle he na kyon mauth aagayi hogi

Kaha karti thi Laila kaise baithoongi main saaye mein


Mere Akbar ki mayyat jalti rethi par padi hogi

Khuda jaane dile Sarwar ka aalam kya huva hoga


Ali Akbar ne jisdum aaqri angdaai li hogi

Ali Akbar ka laasha aap lejate toh hain laikin


Dare qaime pah moula ghamzada Laila khadi hogi

Kaha karti thi aksar sonchkar yeh Fatema Sughra


Mere bhaiyya Ali Akbar ki shaadi ho gayi hogi

Nikaali hogi sheh ne jab sina Akbar ke seene se


Ali ne badhkar peshaani pisar ki choomli hogi

Sukoone qalb Laila raahate jaan thay yeh Zainab ke


Sayeed Akbar ko marne ki riza kaise mili hogi

Salaam Marsia Nauha Salaam 35


Soghra ke kaleijay par barchi si lagi hogi
Tasveer jo kunbey ki aankhoun main phiri hogi

Alfaaz nahin milthay, kis tarha bathaye hum


Abbas pe kya guzree, jab mashk chidi hogi

Abbas bacha lena, durroun sey Sakina ko


Sajjad ke paaoun mein, zanjeer bandhi hogi

Abbas ka laasha bhi, beychaen huva hoga


Jab Saaniyeh Zehra ki, chaadar bhi chini hogi

Dekha hai Sakina ney phir, khwaab main Baba ko


Kya haal huva hoga, jab aankh khuli hogi

Asghar ke lab-e-tashna, aankhoun main phirey hongay


Zindaan main Sakina ko, jab pyaas lagi hogi

Lo aakhri pursa hai, ashkoun sey isey bhar doh


Rumaal liye Zehra, beychaen khadi hogi

Ashkoun sey bhari aankhen, zakhmoun sey bhara seena


Mehshar main Nawaaz apni, pehchaan yehi hogi

*****

36 Salaam Salaam Marsia Nauha


Khaakar sinaa jo seenay pa Akbar guzar gaye
Boley Hussain aye mahey, Anwar kidhar gaye
Peeri mai ghar Hussain ka, barbaad kar gaye
Zakhm-e-jigar sey tum shafaq-e-khoon mai bhar gaye
Gham sey yeh haal hai ke, bahot beyqaraar hoon
Awaaz doh kay aan kay tumpar nisaar hoon
Khaakar sinaa jo seenay pa Akbar guzar gaye

Aye zaalimoun ghareeb hoon, aur beydayaar hoon


Aray bhooley ho kyon, rasool ka main yaadgaar hoon
Lillah mujhpaa rahem karo, beyqaraar hoon
Aray beta jawaan margayaa, mai soghvaar hoon
Phir dekhloon us apney, saadath nashaan ko
Barchi kahaan lagi meray, kadyal jawaan ko
Khaakar sinaa jo seenay pa Akbar guzar gaye

*****

Aey salaami peer marthay hain jawaan kay saamney


Haif Akbar ney qazaa ki baap maan kay saamney

Shair-e-Hyder sey kaheen chutt-thi hai darya ki khachaar


Rauza-e-Abbas hai aab-e-rawaan kay saamney

Ronay waaloun ko Shaheed-e-Karbala baad-e-fanaa


Khuld mein deingay makaan apney makaan kay saamney

Sunti hoon ek naujawaan beta hai Hum Shakl-e-Nabi


Behray deed aatha hai aalam is jawaan kay saamney

Zainab-e-Zeejah ney paala hai isko goudh mein


Biyaah ho jaldi Elaahi baap maan kay saamney

Salaam Marsia Nauha Salaam 37


Hind sey Zainab yeh boli sar ko apney peett kar
Margaya barchi sey woh mujh neemjaan kay samney

Boley Sajjad-e-Hazeen Akbar faqath kya margaye


Sab tawaana margaye mujh naatawaan kay saamney

*****

Run mein aakar Sakina pukari


ghar chalo bhai mehndi lagaoon
Bane Qasim bahen tum pah vaari
ghar chalo bhai mehndi lagaoon

Kaisi shaadi qayamat yeh aayi


huvi dulha dulhan mein judaai
Nekh apna mein lene na paayi
ghar chalo bhai mehndi lagaoon

Bhai kya jald ghar se sidhaare


rasm poore huve na hamare
Muntezar hae baraati tumhare
ghar chalo bhai mehndi lagaoon

Joda shaadi ka tunh mein naya hae


so woh zaqmon se purze hua hae
Khoon sab dasto pa mein laga hae
ghar chalo bhai mehndi lagaoon

Barr mein shadi ki rangeen qaba hae


sar pah phoolon ka sehra bandha hae
Chand sa moonh lahu mein bhara hae
ghar chalo bhai mehndi lagaoon

38 Salaam Salaam Marsia Nauha


Aye ghuncha dahan bekas dulha
aye seam badan bekas dulha
Mujrey ke liye aayi hae uttho
naashaad dulhan bekas dulha

Duniya se nayi yeh shaadi hai


dono he taraf barbaadi hai
Shabbir ki beti bewah dulhan
aur Ibne Hassan bekas dulha

Hae khowf mujhe naaraaz na ho


marzi hai tumhaari kya bolo
Mein haath mein ab kangna rakhoon
ya rakhoon rasan bekas dulha

Humnaam hoon main bhi daadi ki


hae tumko qasm is shaadi ki
Banwaado mujhe bhi ronay ko
ek baithul hazan bekas dulha

Yeh beqabri mujhsey Qasim


chilthey hain mere paonchey Qasim
Khulwa doh ke uljhi jaati hae
kangne mein rasan bekas dulha

*****

Dil thaam kay yeh Kubra ney kahaa


Kyun mujhko akeilaa chodd chaley
Bathlaao mujhey Qasim dulha
Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

Salaam Marsia Nauha Salaam 39


Munh modd kay tum ko jaana tha
Gar chodd kay mujhko jaana tha
Kyun haath mera thaama tha bhalaa
Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

Raas aayi na bachpan ki shaadi


Dekho toh meri yeh barbaadi
Kis jurm ki paayi mainey sazaa
Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

Shaadi thi meri kya khoob rachi


Sab mujhko dulhan kehtay thay abhi
Aur kehtay hain ab mujhko bevaa
Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

Chupp kis liye ho bolo Qaasim


Baazu sey rasan kholo Qaasim
Hothi hai bahoth mujhko izza
Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

Ab kaun karey imdaad meri


Ab kaun sunaaye faryaad meri
Koyi bhi nahin sunnay walaa
Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

Manzar tha qayamath ka woh Nazar


Phatt-taa tha har ek ka gham sey jigar
Ro ro kay jo kehti thi Kubra
Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

*****

40 Salaam Salaam Marsia Nauha


Ro ro kehti thi Bano-e dukhiya
aao Asghar tumhari bala loon
Tera laasha hae laashon mein kis ja
aao Asghar tumhari bala loon

Dhondhti hoon tumhein mere jaani


ho kahan mere Yusufe saani
Pyaas mein tum ne paya na paani
aao Asghar tumhari bala loon

Ab kahan se kaho tumko la-oon


lori de de kise ab sulaoon
Kiske jhoole ki dori hilaoon
aao Asghar tumhari bala loon

Halq par teer-e-bedaad khaye


khoon mein sar se paa tak nahaye
Qoob jungle mein aaram paaye
aao Asghar tumhari bala loon

Kook meri jala kar meri jaan


hogaye raahe qaaliq pah qurban
Chey maheene rahe ma ke mehman
aao Asghar tumhari bala loon

Nanha sa sar sinha par chadha hae


kunba sar nangay rotah khada hae
Jhula qaali tumhara pada hae
aao Asghar tumhari bala loon

Aao ae jaane maadar ab aao


goad qaali hae aakar basao
Kahin jungle mein tum darr na jao
aao Asghar tumhari bala loon

Salaam Marsia Nauha Salaam 41


Shaher Baanu kahi peet kay sar,
Gorr mein meraa bachchaa dareigaa
Nanha laasha karoon dafn kyun kar,
Gorr mein meraa bachchaa dareigaa

Aah nanhaa kafan mein bathaaoon,


Apney haathoun sey usko pinhaaoon
Khaak mein usko kyun kar litaaoon,
Gorr mein meraa bachchaa dareigaa

Chounk kar jab lahed mein uttheigaa,


Koyi usko na apna dikhegaa
Meray pehloo ko dhoondaa kareigaa,
Gorr mein meraa bachchaa dareigaa

Sar hai mitthi pey takyaa kahaan hai,


Khaak toshak hai jhoola kahaan hai
Sab toh sab maa ka pakhwaa kahaan hai,
Gorr mein meraa bachchaa dareigaa

Loriyaan qabr mein kaun deigaa,


Kaun sojaao pyaarey kaheigaa
Doodh yeh laal kiskaa piyegaa,
Gorr mein meraa bachchaa dareigaa

Dafn kardo yeh nanhey sey jee ko,


Sounmp dethi hoon Rooh-e-Nabi ko
Dam karo padd kay Naad-e-Ali ko,
Gorr mein meraa bachchaa dareigaa

*****

42 Salaam Salaam Marsia Nauha


Asghar salaami teer-e-sitam khaaye aathay hain
Gardhan pidar kay haathoun pa lattkaaye aathay hain

Teeroun ka mehh barastaa hai nanhi si laash par


Kaali ghataa ki tarha laaeen chaaye aathay hain

Paani diya na zaalimon ney pyaasey margaye


Gul ki tarhaa sey dhoop mein murjhaaye aathay hain

Baazu chidaa hai Shah ka bachcha hai khoon mein tar


Choti si laash chaathi sey liptaaye aathay hain

Hazrat ko hai yeh sounch kay Baanu kaheygi kya


Gardhan ko maarey sharm kay nyuddaye aathay hain

Boli Sakina jhaank kay deodi kay pardey sey


Qurbaan hogayi meray maa jaaye aathay hain

Kya zulm hai kay ek kay ser par nahin ridaa


Chehroun pa apney baaloun ko bikhraaye aathay hain

*****

Maqtal mein tha jo laasha-e-Asghar tamaam raat


Jungal mein dhoondti rahi maadar tamaam raat

Uriyaan thi laash-e-shamma-e-Shabistaan-e-Mustafa


Parwaana waar phirti thi khawaahar tamaam raat

Baba ko yaad karkay Sakina na sothi thi


Usko na chaen aata tha dum bhar tamaam raat

Salaam Marsia Nauha Salaam 43


Ro ro kay haaye aapney chacha ko pukaar kar
Baali Sakina maanga ki gauhar tamaam raat

Ek bey watan kay qatl ki tayyariyaan jo then


Barpaa tha fouj-e-Shaam mein mehshar tamaam raat

Qabzey ko choomtay rahey talwaar toull kar


Shouq-e-jihaad mein rahey Akbar tamaam raat

*****

Baanu kehti hai Khudaaya kya karoon


Aa rahaa hai yaad bachcha kya karoon

Kaisey neend aayegi jalti reyth par


Meri goudhi hai na jhoola kya karoon

Dil kay jo armaan thay dil mein rehgaye


Hogayaa hai goudh soonaa kya karoon

Ghutniyoun chaltay na dekha laal ko


Thi badi is ki tamannaa kya karoon

Khoon bhari soorath teri nazroun mein hai


Moonh ko aathaa hai kaleija kya karoon

Aao Asghar aao maa hai muntazir


Tum bathaao jee kay tanhaa kya karoon

Saaheb-e-aulaad bathlaayein zaraa


Mein jhulaa kay khaali jhoola kya karoon

44 Salaam Salaam Marsia Nauha


Qabr Asghar ki banaaney mein bohath deyr lagi
Sheh ko ek chaand chupaaney mein bohath deyr lagi

Sheh ney har laash ko jaldi sey utthaaya lekin


Laash Akbar ki utthaaney mein bohath deyr lagi

Tukddey chunthay huvey Qasim kay kaha Maula ney


Haaye afsos kay aaney mein bohath deyr lagi

Baap ki laash sey durroun ki azeeyath dey kar


Ek bachchi ko hattaaney mein bohath deyr lagi

Is qadar pyaas sey sookha tha guloo-e-Sarwar


Shimr ko teigh chalaaney mein bohath deyr lagi

Kuch qadam door hai bazaar sey darbaar magar


Phir bhi Shehzadi ko aaney mein bohath deyr lagi

Karbala jaakay Takallum ney yehi poocha tha


Mujhko Sarkaar bulaaney mein bohath deyr lagi

*****

Aey raat zaraa aahista guzar

Ashoor ki shab Zainab ney kahaa,


Aey raat zaraa aahista guzar
Ehsaan tera mujh par hogaa,
Aey raat zaraa aahista guzar

Lutjaaeingay kal khaimey saarey,


Jal jaayegi masnad Ahmed ki

Salaam Marsia Nauha Salaam 45


Hojaayega kal khaali jhoola,
Aey raat zaraa aahista guzar

Suljhaaney baetthi hai Laila


Akber ki bikhri zulfoun ko
Maloom nahin kal kya hogaa,
Aey raat zaraa aahista guzar

Kal pyaasey baraati aayeingay


Kal Qasim ki shaadi hoveygi
Hojaayegi kal Kubra beywaa,
Aey raat zaraa aahista guzar

Abbas-e-Alambardaar bhi
Talwaar pa saiqal kartay hain
Kal inko hai johar dikhlaana,
Aey raat zaraa aahista guzar

Ek baar apney bharay ghar ko


Jee bharkay dekh toh ley Zainab
Kal hojaayega sannaata,
Aey raat zaraa aahista guzar

Jee bhar kay dekh toh ley aye Zainab


Aaj apney bhaayi ki soorath
Katt jaayega kal Sarwar ka gala
Aey raat zaraa aahista guzar

Kis yaas sey aur kis hasrat sey


Zainab yeh bayaan karti thi Sayeed
Aahista guzar aey raat zaraa,
Aey raat zaraa aahista guzar

46 Salaam Salaam Marsia Nauha


Aakhri waqt hai marney ki rezaa do Zainab
Apney haathoun sey kafan mujhko pinhaa do Zainab

Waqt ronay ka nahin aankhon sey aansoo poncho


Bhaayi ko hauslaa-e-sabr-o-rezaa do Zainab

Farz ki raah mein utthey na mohabbat ka sawaal


Hai Sakina dar-e-qhaimey sey hattaa do Zainab

Uff na karna jo kalaayi mein rasan bandh jaaye


Sabr amma ka zamaaney ko dikhaa do Zainab

Hothay Abbas toh takleef na deithay tum ko


Ek majboor ko ghoday pey bitthaado Zainab

Muntazir shimr ka khanjar hai meri gardhan ka


Zindagi ki nahin marney ki rezaa do Zainab

*****

Mujraee Sheh ney kahaa bhool na jaana Zainab


Faateha bhaayi ka paani pa dilaana Zainab

Rahem khaa kar koyi bey rahem agar paani dey


Pehlay tum meri Sakina ko pilaana Zainab

Qaid mein chupkay chalee jaaiyo sar ko neoddaaye


Apni aawaaz na ghairoun ko sunaana Zainab

Run ko mein jaa kay na maidaan sey phir aaoongaa


Qaid tum ho kay meri laash pey aana Zainab

Salaam Marsia Nauha Salaam 47


Meray laashey ko kafan gar na mayassar hoyeh
Apni chaadar ka kafan hum ko banaana Zainab

Gar Sakina ka labey naher guzar hojaaye


Laash Abbas-e-Dilaawar ki chuppaana Zainab

Haath sey zalimoun kay gar koyi kapddaa bach jaaye


Nanhi si laash pey Asghar ki uddaana Zainab

*****

Zainab pukaari rokar Abbas tum kahaan ho


Hothay hain qatl Sarwar, Abbas tum kahaan ho

Seenay pa zakhm khaakay naana ke paas pahoonchey


Hum soorath-e-Payambar, Abbas tum kahaan ho

Bhaayi akeilay mayyath betay ki laarahey hain


Deidoh sahaara aakar, Abbas tum kahaan ho

Veeraan karke jhoola Asghar gaye jinaan ko


Gardhan pa teer khaakar, Abbas tum kahaan ho

Asghar ki qabr Sarwar run mai banaa rahey hain


Chehrey pa khoon malkar, Abbas tum kahaan ho

Kya hogaya hai tumko kya hogayeen wafaaein


Tanhaa hai run mai Sarwar, Abbas tum kahaan ho

Awaaz-e-istighaasa goonji huvi hai run mai


Nusrath karo ab aakar, Abbas tum kahaan ho

48 Salaam Salaam Marsia Nauha


Kooza liye Sakina hain muntazar tumhaari
Paani pilaadoh aakar, Abbas tum kahaan ho

Kya waqth aagaya hai khush ho rahey hain zaalim


Humko sathaa sathaakar, Abbas tum kahaan ho

*****

Asr ko sheh ki sada aayi kise aawaaz doon


Ek main hoon meri tanhayi kise aawaaz doon

Doobta hae dil mera khursheed ke kirnoun ke saath


Yeh udaasi us pa tanhayi kise aawaaz doon

Aye Ali Akbar tumhari aakhri hichki ke saath


Kho gayi hae meri beenaayi kise aawaz doon

Jung se meri zameen-o-aasman larzay mai hain


Kaun dekhe jung ae bhai kise aawaz doon

Jab ridah cheeni gayi Zainab ne rokar di sada


Margaya Abbas sa bhayi kise aawaaz doon

Shaam hothay hi Zainab se Sakina ne kaha


Loot ne fouje sitam aayi kise aawaaz doon

Shaam ka darbar hae Abbas-o-Akbar bhi nahin


Har taraf hain sab tamashayi kise aawaaz doon

Tashna lab Abbas jab saahil se waapis hogaye


Alqama ro ro ke chillayi kise aawaaz doon

Salaam Marsia Nauha Salaam 49


Juz Hussain ibne Ali kisko pukarega Nawaaz
Kaun karta hae maseehaayi kise aawaaz doon

*****

Aasmaan larzaa Zameen kaampee Samandar roay


Qabr mein Maa kay liye jab Ali Asghar roay

Tanhaa rothi thi bahaathar ko Ali ki Beti


Bey ridaa jab huvee Zainab tho bahaathar roay

Nazaa mein yaad jo Beemar-e-Madina aayeen


Hichkiyaan bandh gayeen istarhaa sey Akbar roay

Waqt-e-rukhsath jo Hussain aaye dar-e-khaimaa par


Shah Zainab sey bohoth dair lipatt kar roay

Aisey royaa na kisee Baap ko Beta koyi


Jaisey chaalees baras Abid-e-Muztar roay

Zibhaa hotay huvey sab dekh rahi thi behnein


Yeh samaan dekh kay Maula ka muqaddar roay

Aisey har Naasir-e-Shabbir pey royee Zainab


Jaisey Bhaayi kay bichardd jaane pey khuaahar roay

Shimr ka khauff hai gardhan mein rasan bhi hai bandhi


Apney Baba ko Sakina kahaan jaakar roay

Sunkay aye Mir Takallum tera majlis mein salaam


Fatima royeen, Ali roay, Payambar roay

50 Salaam Salaam Marsia Nauha


Khaak par maiyyath padi hai aur maa khaamoush hai
Shor hai Ahl-e-Haram mein aur maa khaamoush hai

Rokay kehti hai yeh Baano haaye yeh kya hogayaa


Shaahey deen ko ronay waali aaj kyun khamoush hai

Dafn ka saamaan Bibi kis tarhaa sey hoyegaa


Sar pa chaadar bhi nahin hai aur maa khaamoush hai

Paaoon mein zanjeer dohri aur galay mein touq hai


Sar jhukaaye qaid mein Zainul-Ibaa khaamoush hai

Sham kay zindan ka manzar sonch aye Maryam zara


Saamney maiyyath padi hai aur maa khaamoush hai

*****

Aye Salaami khiyaam jaltey hain


Run may naamoos-e-sheh nikalthay hain

Run may bajthay hain fatha kay baajey


Darr sey beyvoun ke dum nikalthay hain

Baithi hain bibiyan andheray mein


Shaamiyon may charaag jalthay hain.

Zeray khanjar hain gardanay Shabbir


Murtuza gham se haath malthay hain

Qabr-e-Asghar say kahti thi banu


Aye lahad hum yahaan say chalthay hain
Salaam Marsia Nauha Salaam 51
Tu hamaari tarha se behlaana
Shab ko Asghar bahot machaltay hain

Peish haakim khadey hain ahle haram


Sab kay chehroun pa ashk dhalthay hain

Khainchtay hain galey sey teer hussain


Mu sey Asghar lahu ugalthay hain

Zakhm jalthay hain garm hai jo zameen


Shaahey deen karwatain badalthay hain

*****

Shaam ke baad
Bhaiyyah teri maajaayi ney
Yeh bhi dekha shaam ke baad
Shaam sey pehlay qatl huva tu
Paani aaya Shaam ke baad

Asghar maqtal jaatey jaatey


Khushboo apni chodd gaye
Maa aankhoun sey choom rahi hai
Qaali jhoola shaam ke baad

Baba ko jab yaad kareigi


Shimr tamaachey maareyga
Ho jaaengay khoon mai tarr
Rukhsaar-e-sakina shaam ke baad

52 Salaam Salaam Marsia Nauha


Din kay ujaaley may lailaa ney
Hashr kay manzar dekhliye
Noukay sinaa par dekh rahi hai
chaand ka tukdaa shaam ke baad

Qasim-o-Akbar Aun-o-Mohammad
Khana-e-Zehra ke thay charaag
Soonay ghar may yaad aayega
Har shehzaada shaam ke baad

Shaam-e-ghareebaan ke maaroun ko
Nangay sar dekha jo Zaki
Dhaamp raha hai chaadar bunkar
Ghorr andheiraa shaam ke baad

*****

Boli Zainab utho imdad ko aao Abbas


Zibha hota hae mera bhayi Abbas

Sar toh shah ka ab sajdae qaliq mein jhuka


Haath se shumr ke qanjar ko chudao Abbas

Ab Sakina pah yateemi ka sitam toot gaya


Ab taras khao kaleje se lagao Abbas

Aag qaimon mein lagane chale aae hain adoo


Ghash mein hae Abede beemar jagao Abbas

Jo ridah hazrate Zehra ki thi mere sar par


Woh ridah shumr ne cheene hae dilao Abbas

Salaam Marsia Nauha Salaam 53


Laashe besar se hae lipti hui nanhi bachhi
Aao nadaan Sakina ko chudao Abbas

Mere baazu mein rasan baandhta hae shumre shaqi


Is azeeyat se behan ko toh bachao Abbas

Saath ghurbat mein yateemon ko na chodo bhaiya


Main bulaati hoon mere paas toh aao Abbas

Hone tasheer chali jaati hae nashaad behan


Fouje aada ko jalal apna dikhao Abbas

Tumse karti hoon sifaarish yehi Hyder ke liye


Apne qadmon mein jagah usko dilao Abbas

*****

Darouna jungle, hae raat andheri, sitaare kuch jhilmila


rahe hain
Pardey hain rethi pah chand laashe joh apna gham aap kha rahe
hain

Hae aisa bigda huva zamana na gore hae aur na shamiyana


Falak pah abre siyaah ke lakke udaasi bun bun ke cha rahe hain

Na koyi zaqmoun ka dhone wala na koi murdoun pah ronay wala


Parind kuch kar rahe hain naalay darindh kuch qaak uda rahe hain

Shikista hathyar kuch padey hain yeh loug shayad yahan lade hain
Laday toh woh honge joh badey hain nazar toh bachhe bhi aarahe hain

Yeh run joh is waqt bolta hae unhee shaheedon ki yeh sada hae
Musafir aatey hain joh idhar se woh raah katrah ke ja rahe hain

54 Salaam Salaam Marsia Nauha


Haram pah kya guzri baad inke nahin zaroorat ke koi bole
Jale huve joh pade hain qaime khud unka lutna batah rahe hain

Shifa-ate hashr karne wale kahen woh joh kar guzar ne wale
Ghayoor hain yeh woh marne wale joh hum ko ab tak rula rahe hain

*****

Thi kisi ki dasht mein sadaa


Haaye hum yateem hogaye
Fatima ka ghar ujadd gaya
Haaye hum yateem hogaye

Jaaney kaisi shaam aagayi


Sab ko apney saath leygayi
Ek din mein kya sey kya huvaa
Haaye hum yateem hogaye

Kiski raah dekh aaye yeh ghareeb


Ban chukee hai tthokrein naseeb
Baap hai na sar pey ab chacha
Haaye hum yateem hogaye

Shaam jis jagaah huvee rukay


Subhaa hogayi toh chal padey
Hum musaafiroun ka kya rahaa
Haaye hum yateem hogaye

Kya kahoon kay kis tarhaa kiya


Zaalimoun ney baap ko shaheed
Dekhti rahi yeh Karbala
Haaye hum yateem hogaye

Salaam Marsia Nauha Salaam 55


Dukhtar-e-yateem ki dua
Gham na dey kisi ko ya Khuda
Beti ho na baap sey judaa
Haaye hum yateem hogaye

*****

Mujraee khalq mein, in aankhon ne, kya kya dekhaa aa


Par kahin sibtey, Payambar sa naa, aaqaa dekhaa aa

Mainey dekhaa aalam-e-Shah ko, alooda e-khoon,


Maine naizey pay sar-e-dilbar-e-Zehra dekha aa

Maine dekha Ali Asghar ka galaa khoon mein tarr


Maine Abbas ko, reythi pe, tadapta dekhaaa

Ek gatthdi Shahey deen pusht pa laaye jis main


Mainey tukdey huvey, Qasim ka saraapa dekha aa

Gir paday Sibtey nabi, thaam kay haathon say jigar


Ali Akbar ko jo reythi pay tadaptha dekha

Bay-rida khalq nay us bibi kay sar ko dekha


Jiski maadar ka, kisi ney na janaaza dekha

Haaye kyon ho na gayee, kor kay, in aankhon ney


Qaid khaanay mein Sakina ka, janaaza dekha aa

Zulm aye Mujrayee Sajjad ney, kya kya dekha


Ghar lutaa, qaid huvey, baap ka laasha aa dekha aa

56 Salaam Salaam Marsia Nauha


Boli yeh Zainab-e-muztar, kay Khuda khair karay
Raat ko khwaab mein, uriyaan sar-e-Zehra dekhaaa

Jaake Zainab ne, madine mein kaha, Sughra say


Kahoon kis moonsay ke pardes mein, kya kya dekhaaa

*****

Ek beemaar sey aye mujraee sab ghar choota


Baap maa chootay bahen chooti baraadar choota

Sheh sey aye mujraee Abbas-e-dilaawar choota


Padd gaya ghul ke baraadar sey baraadar choota

Bolay Sheh humsaa na hoga koyi awaara watan


Qabr naana ki chooti shahr choota ghar choota

Yaad betay ki bhala bhoolthi Banu kyon kar


Baad attaara baras kay Ali Akbar choota

Deikay Abbas ko maidaan ki riza Sheh ney kaha


Baad muddath ke teraa saath baraadar choota

Jab Sakina ney sunaa margaye darya pay cha-cha


Yaas paani sey huvi haath sey saaghar choota

*****

Salaam Marsia Nauha Salaam 57


Ghabraaegi Zainab dukh payegi Zainab
Bhaiyya tumhe ghar jaake kahan payegi Zainab

Kaisa yeh bhara ghar huva barbaad ilaahi kya aae tabaahi
Ab isko na aabaad kabhi payegi Zainab

Phat jayega bas dekhte hi ghar ko kaleja yaad aaoge bhaiyya


Dil dhoondhega tumko toh kahaan payegi Zainab

Bin bachhon ke kehlaayi toh kehlaayi main laikin yeh


kaise ho mumkin
Bin bhai ke kehlaayi toh marjayegi Zainab

Poochenge joh sab loug ke baazu ko huva kya yeh neel hae kaisa
Kis kis ko nishan rassi ke dikhlaegi Zainab

*****

Salam khaak nasheenoun pah soghwaroun ka


Ghareeb detey hain pursa tumhare pyaroun ka

Salam un pah jinhe sharm khaye jaati hae


Khule saroun pah aseeri ki qaak udhaati hae

Salam us pah joh zehmat kashe salasil hae


Museebatoun mein imaamat ki pehli manzil hae

Salam bhejtey hain apni shahzadi par


Ke jisko soump gaye marte waqt ghar Sarwar

Musafirat ne jise bebasi yeh dikhlaayi

58 Salaam Salaam Marsia Nauha


Nisaar kar diye bachhe na bach saka bhayi

Aseer hoke jise shaamiyoun ke narghe mein


Hussainiyat hae sikhana Ali ke lehje mein

Sakina bibi tumhare ghulam haazir hain


Bujhe joh pyaas toh ashkoun ke jaam haazir hain

Pahaad raat badi der hae saverey mein


Kahan ho shaame ghareeban ke ghup andheray mein

Zameene garm yateemi ki saqtiyaan bibi


Woh seena jis pah ke so-ti thi ab kahan bibi

Yeh sin yeh hashr yeh sadmay naye naye bibi


Kahan pa baithi ho qaime toh jal gaye bibi

Janab maadarey besheer ko bhi sab ka salaam


Ajeeb waqt hae kya dein tassaliyoun ka payaam

Abhi kaleje mein ek aag si lagi hogi
Abhi toh goadh ki garmi na kam huvi hogi

Na is tarah koi kheti hari bhari ujdey


Tumhari maang bhi ujdi hae goadh bhi ujdi

Nahin andheray mein kuch soojhta kahaan dhoondein


Tumhara chand kahan chup gaya kahan dhoondein

Nahin layeenoun mein insaan koyi Quda hafiz


Darinde aur yeh bewaarisi Quda hafiz

Salaam Marsia Nauha Salaam 59


Salam tum pah shaheedon ke bekafan laasho
Salam tum pah rasool-o-Batool ke pyaaro

Bachein toh aglay baras hum hain aur yeh gham phir hae
Jo chal basein toh yeh apna salaame aaqir hae

*****

Ya Ali Karbala mein aag lagi


Qana-e Mustafa mein aag lagi

Jal rahi hae rasool ki masnad


Qalbe Qairunnisa mein aag lagi

Sar barahna hae dil jali Zainab


Chadare Fatema mein aag lagi

Jal raha hae kisi ka pairahan


Aur kisi ki ridah mein aag lagi

Rokey kehti hae saniye Zehra


Utho Abed aba mein aag lagi

Karbala se joh Shaam mein pahunche


Qalbe Zainulleba mein aag lagi

Dekho aakar Najaf se ain ullah


Kaisi yeh nainawa mein aag lagi

Yaad kar Fatema ka dar Hilmi


Dekh ab Karbala mein aag lagi

60 Salaam Salaam Marsia Nauha


Ro ro maqtal mein kehti thi Zainab
bhaiyya baali Sakina kahan hae
Jaake dhoondhun kahan usko bun mein
shab hae taareek sannata run mein
Hookh uthti hae mere badan mein
bhaiyya baali Sakina kahan hae

Uth ke dariya se Abbas aao


saath Akbar ko tum letey aao
Dhoondh kar tum Sakina ko laao
bhaiyya baali Sakina kahan hae

Ho chuki run mein sham-e ghareeban


fouje aada mein ab hae chiraagan
Kooch ke ho rahe hai yeh saaman
bhaiyya baali Sakina kahan hae

Bhaiyya dekho toh qismat hamari


jayegi kis tarah yeh sawari
Hogi mehmil na ab woh amaari
bhaiyya baali Sakina kahan hae

Laashe besar se aawaz aayi


gham na khao ae amma ki jaai
Aao behna bulaata hae bhayi
meri baali Sakina yahan hae

Rothay rothay jo neend aagayi hae


gham ke toofan mein woh kho gayi hae
Mere seene pah woh so gayi hae
meri baali Sakina kahan hae

Salaam Marsia Nauha Salaam 61


Zulm karthey thay jo sheh par baani-e-shar baar baar
Kaamp jaati thi salaami qabr-e-Hyder baar baar

Barchiyaan khaathey thay maidaan may jo Akbar baar


baar Maa nikal aati thi khaimey sey tadap kar baar baar

Banu kehthi thi kahaan sey laaoon paani kya karoon


Pyaas sey ab hichkiyaan leytha hai asghar baar baar

Kehthi thi banu Ilaahi kijiyo waaris ki khair


Aaj kyon sar sey giri padthi hai chaadar baar baar

Shimr sey boli Sakina rahem kar masoom hoon


Maartha hai kyon tamaachey aye sitamgar baar baar

*****

Rasane zulm mein nanhi si kalaayi hogi


Mujraee kaise Sakina ko kalaayi hogi

Naujawan ne joh sinaa seene pah khaayi hogi


Mujraee qaime se Zainab nikal aayi hogi

Shabe ashoor yeh aati thi sada-e Zehra


Subah ko mere bhare ghar ki safaayi hogi

Bibiyan kehti thi yeh raat ghanimat jano


Kal toh ek jaan pah lakhon ki chadhaayi hogi

Kya uthe hoenge Zainab ke jigar se sholay


Aah jab masnade Shabbir jalaayi hogi

62 Salaam Salaam Marsia Nauha


Naatawan dekh ke Abid ko yeh bole raah geer
Haaye kisne useh zanjeer pinhaayi hogi

*****

Main sonchta hoon kay Abid ka haal kya hogaa


Aseer ho kay woh jab Shaam mein gayaa hogaa

Sunaa hai Shaam mein jaatey hi khoon ronay lagaa


Na jaaney shimr ney us waqt kya kahaa hogaa

Mujhey yaqeen nahin aathaa yaqeen kaisey karoon


Ali ki Laadli Beti ka sar khulaa hogaa

Woh yaad karta toh hogaa Pidar ki shaahi ko


Bahan ko dafn jo kurtay hi mein kiya hogaa

Galay kay touq ney Abid ko kya jhukaana thaa


Woh apney khoye huvey Laal dhoondtha hogaa

Woh yaad karta toh hogaa Pidar ki ghurbath ko


Watan mein jab usay ghusl-o-kafan milaa hogaa

Rasool Zaadiyaan bey maqnaa aur woh khaamoush


Meray Imam ka kis darjaa hauslaa hogaa

Woh zulm deikhay hain Sajjad ney Hussain kay baad


Mujhey yaqeen hai ab takh bhi ro rahaa hogaa

*****

Salaam Marsia Nauha Salaam 63


Afsous Nabi Zaadiyoun ka Shaam mein jaana
Sajjad sey poocho
Sar nangay woh Maa behnoun ka darbaar mein jaana
Sajjad sey poocho

Chhuptee thi Nabi zaadi Nabi zaadi kay peechay


Kis sharm-o-hayaa sey
Aur shimr ka un bibiyoun kay naam bathaana
Sajjad sey poocho

Thi ek rasan baaraa Aseeron kay galay thay


Sab chupkay khaday thay
Rassi mein bandhey Zainab-o-Kulsoom ka aana
Sajjad sey poocho

Sar Hazrat-e-Muslim ka lataktaa thaa jahaan par


Wahan Sheh ka ruka sar
Durray sitham eejaad ka uss waqt lagaana
Sajjad sey poocho

Durr chheenay Sakina kay tamaachey bhi lagaaye


Kis zulmo jafaa sey
Ghurbath mein sithamgaaron ka Sakina ko sathaana
Sajjad sey poocho

Jab Baali Sakina ko ghusal deytay thay Sajjad


Faryaad hai faryaad
Uss nanhee si gardan pey nishaan rassi kay paanaa
Sajjad sey poocho

64 Salaam Salaam Marsia Nauha


Baitthey huvey sab kursiyon par chotay baday thay
Saadaath khaday thay
Sar tasht mein rakkha huvaa Zainab ko dikhaana
Sajjad sey poocho

Ghash khaakay giray Syed-e-Sajjad zameen par


Barpaa huvaa mehshar
Naizey ki anee sey unhein uss waqt utthaanaa
Sajjad sey poocho

*****

Boli maa kya huva Sakina ko


Ghash yeh kyun aagaya Sakina ko

Kyun yeh khaamosh hogayee aakhir


Kisney kya kehdiya Sakina ko

Kya khabar isko kya huva beta


Dekho Abid zaraa Sakina ko

Haaye ghurbath mein chheen kar mujhse


Legayi kyun qazaa Sakina ko

Na shikaayat hai ab tamaachoun ki


Na rasan ka gilaa Sakina ko

Saath hi ab Sayeed kay milkar


Royein ahle-aza sakina ko

*****

Salaam Marsia Nauha Salaam 65


Thi Sakina ki yeh sadaa bhaayi
Dum nikaltaa hai ab mera bhaayi

Mera jeena bhi koyi jeena hai


Sar pey baba hai na chacha bhaayi

Mein toh jaati hoon paas baba kay


Sab ka Haafiz hai ab Khuda bhaayi

Meri maiyyath pey ek choti si


Dal dijiyeh koyi ridaa bhaayi

Meray marthay hi qaid sey saaraa


Kunbaa hojaayegaa rihaa bhaayi

Maa ko nazdeek sey hattaa dijiyeh


Maa sey dekha na jaayegaa bhaayi

*****

Hai salaam us pey jo qaidi bhi hai beemar bhi hai


Paaoon mein aablay hain aabloun mein khaar bhi hai

Kehta tha touq-e-giraan tu hai meray hissey mein


Warna is fouj mein khanjar bhi hai talwaar bhi hai

Poochaa ek shaqs ney Shabbir teraa kaun hai


Rokay farmaaney lagay baba bhi hai sardaar bhi hai

Pahoonchey nazdeek jo laashey kay Sakina ney kahaa


Yeh meray Baba ka Bhaayi bhi Alamdaar bhi hai

66 Salaam Salaam Marsia Nauha


Pahoonchey nazdeek jo Koofay kay toh boli Zainab
Sar bhi uriyaan hai, balwaa bhi baazaar bhi hai

Dum rukh jaata hai aur sar bhi jhukh jaata hai
Touq yeh tangh nihaayath hai garaanbaar bhi hai

Gar chey beemaar hoon par zor-e-Imaamat kay sabab


Oontt bhi kheinchtaa hoon taaqath-e-raftaar bhi hai

Jab inhey shimr nazar aata toh ro ro kehta


Yeh sitamgar bhi hai qaatil bhi khoonkhaar bhi hai

Karbala mein toh Fasi aaya khusha haal tera


Ab tu Shabbir ka mujraee bhi hai zawaar bhi hai

*****

Bano ki dilrubaa Sakina jaan


Chal basee mehlaqaa Sakina jaan

Sheh ki shaidaayi aur meri dukhtar


Hogayi kyon khafaa Sakina jaan

Sadhqay hothi hai tum pay maa uttho


Kehna maanou mera Sakina jaan

Dard kaanou ka kaisaa hai bolo


Mujhsey bolo zara Sakina jaan
Haal Asghar ka ab bayaan kijiyeh
Dil bhar aaya mera Sakina jaan

Salaam Marsia Nauha Salaam 67


Haaye Zindaan-e-shaam may tumko
Aagayi kya qazaa Sakina Jaan

Jaa rahi hoon main lo khuda haafez


Aye meri dilrubaa Sakina jaan

*****

Kehti thi yehi Zainab dukhiya


mere beeranva mujra lo mera
Kuch baat karoon main tum pah fida
mere beeranwa mujra lo mera

Main kookh jali maajayi hoon


hamsheer tumhari bhai hoon
Zindaan se chutkar aayi hoon
mere beeranwa mujra lo mera

Nikli thi watan se jab mein aqi


tum saath thay aur kunba tha sabhi
Ab koi nahin tanha hoon chali
mere beeranwa mujra lo mera

Akbar bhi nahin Abbas nahin


Qasim sa bhatija paas nahin
Ab mujhko kisi ki aas nahin
mere beeranwa mujra lo mera

Zindaan mein gayi darbar gayi


sar nangay sare baazar gayi
Bin tere zaleelo qaar gayi
mere beeranwa mujra lo mera

68 Salaam Salaam Marsia Nauha


Poochegi agar mujhse Sughra
hae baap phoopi kis ja mera
Kya us se kahoon bolo bhaiya
mere beeranwa mujra lo mera

*****

Arbayeen kay soghvaaro alveda


Akhri majlis hai yaaro alveda

Khaatema bil khair chehlum ka huva


Alveda-e-ashkbaaro alveda

Akbaro Asghar Ali ki zaamini


Naujawaano sheerkharo alveda

Kehtey thay Ganj-e-shaheedan par haram


Fatima Zehra kay pyaaro alveda

Karbala ki khaakh ko sounpaa tumhey


Arsh-e-aazam kay sitaaro alveda

Qabr par betoun ki Zainab ney kaha


Maa watan jaathi hai pyaaro alveda

Sar kahin laashay kahin qabrein kahin


Baymakaano baydayaaro alveda

Qabr sey awaaz detay hain Hussain


Lo bahan Zainab sidhaaro alveda

*****

Salaam Marsia Nauha Salaam 69


Aye shahey do jahaan khuda haafez
Aye Mohammad ki jaan khuda haafez

Humshabi-e-Nabi Hussain kay laal


Akbar-e-Naujawaan khuda haafez

Aye Shahey deen kay tashna lab yaawar


Asghar-e-bey zubaan khuda haafez

Pheirnay waaley khushk houtoun par


Apni sookhi zabaan khuda haafez

Paaye maal-e-gham-o-alam khasim


Jaao Shabbar ki jaan khuda haafez

Aye Alamdaar-e-fauj Aye Abbas


Aye Ali kay Nashaan khuda haafez.

Ho chuki aaj khatm Mehmaani


Shiyoun kay mehmaan khuda haafez.

*****

Pahoonchey qareeb shahr-e-Madina tho ro Diye


Abid ka dil ghamoun sey bhar aaya tho ro diye

Paaoun mai aabeilay thay, chalay aur teihar gaye


Rauza Rasool ka nazar aaya tho ro diye

Bhaitay zameen par sar ko, jhukaaye huvey Imam


Saaya kiya kisi ney ridaa ka tho ro diye

70 Salaam Salaam Marsia Nauha


Abbas ki Wafa ka, shuja-ath ka zikr tha
Betay ney aakay baap ko, poocha tho ro diye

Ummul Baneen ko betay ka, pursaa diya magar


Soghra ko dey sakay na, dilaasa tho ro diye

Farmaathey thay shaheed, huvey aqrobaa tamaam


Beysheer ko kisi ney jo, poocha tho ro diye

Rudaadein Karbala ki, sunaaya kiye Imam


Jab zikr-e-shahr-e-shaam ka, aaya tho ro diye
*****
Hai rukhsath ki ghadi aye Karbala waalo Khuda hafez
Salaam-e-aakhri aye Karbala waalo Khuda hafez

Na humsey ho sakaaa kuch bhi adaa haq meizbaani ka


Hai yeh sharmindaghi aye Karbala waalo Khuda hafez

Tumhaarey saath Zehra bhi yahaan tashreef laathi thi


Yeh izzath bhi milee aye Karbala waalo Khuda hafez

Hamaarey ghar ki raunaq bhi tumhaarey saath jaathi hai


Udaasi chaa gayi aye Karbala waalo Khuda hafez

Kuch aansoo aankh mai kuch daagh hain maatam ke


seenay par
Hai nazraana yehi aye Karbala waalo Khuda hafez

Tumhaarey Gham main rothay rothay marjaatey tho accha


tha
Yeh hasrath reh gayee aye Karbala waalo Khuda hafez

Salaam Marsia Nauha Salaam 71


Pahoonch kar waanh sayeed-e-zaar ko bhi yaad karleina
Hai maarooza yehi aye Karbala waalo Khuda hafez

*****

Tashna labb mazloom Sarwar alwedaa


Fatima Zehra kay dilbar alwedaa

Shaan-e-Majlis tha tumhaara zikr-e-Gham


Raunaq-e-Mehraab-o-Mimbar alwedaa

Hai jawaani bhi wabaaley zindagi


Ab tumhaarey gham mein Akbar alwedaa

Lijiyeh Aun-o-Mohammad ab Salaam


Saberaa Zainab kay dilbar alwedaa

Dil sey ab naqsh-e-Wafaa mitt-tha nahin


Jaao Abbas-e-Dilaawar alwedaa

Majlisoun mein humko rothaa choddkar


Muskuraathay jaao Asghar alwedaa

Ab na Zainab jaaogi tum sar khulay


Nazr hai ashkoun ki chaadar alwedaa

Rothay hain Baqir Muhibbaan-e-Hussain


Kehtay hain Sibtey Payamber alwedaa

*****

72 Salaam Salaam Marsia Nauha


Marsias

Please recite Surah-e-Fatiha for:

Mir Babbar Ali Anees


Mirza Salaamat Ali Dabeer
Beyqaraari Fatima Soghra s.a

Musaafiroun ki Madiney mai jab raseed aayi


Kay waadagaah mai fouj-e-shahey sayeed aayi
Raseed aathay hi Soghra ke ghar main eid aayi
Taphay gohan gayee aur taaqath-e-jadeed aayi
Malaal door huva aiysh ke qareenay sey
Bukhaar nabz sey gham dil sey dard seenay sey

Gharazz kay Hazrath-e-Ummul Baneen ko bulwaaya


Woh aayeen toh sar-e-tasleem utt ke nahudaaya
Woh hans ke boli ke kyon yaad mujhko farmaaya
Kaha mareez ney khush hokay Sheh ka qath aaya
Hamaarey dil ko faqath naamabarr ney chaen diya
Mohammad-e-Hanafi ko qath-e-Hussain diya

Yeh kehkay maadar-e-Abbas ko liya humraah


Mohammad-e-Hanafi kay ghar aayi dukhtar-e-shah
Woh muntazir thay liye naama-e-Shahey zeejaah
Salaam karthay hi kehnay lagay ba naala-o-aah
Lo ab sunaao Imaam-e-ghareeb ka naama
Padho mareez kay aagay tabeeb ka naama

Mohammad-e-Hanafi ney kiya lifaafey ko waah


Nikaala suqqahey pur noor Syed-ush-Shohadaa
Padhaa jo naamay main alqaab apna rokay kahaa
Hussain teray karam par hain laakh jaan sey fidaa
Kahaa main tera baraadar bajaan baraabar hoon
Tu jaan-e-qatm-e-Rasool hai main ibne Hyder hoon

74 Marsia Salaam Marsia Nauha


Aqhi ka lafz jo alqaab main meray likhaa
Faqath yeh bandhaa nawaazi hai ya Imam-e-Huda
Tera ghulaam hai Abbas main ghulaam uskaa
Hazaar haif qadam sey Huzoor kay hoon judaa
Liya jo naam-e-judaayi toh aansoo behnay lagay
Salaam paddh kay alaikas-salaam kehnay lahay

Kaha yeh Fatema Soghra sey tabh ba deeda-e-tarr


Likha hai baap ney tumko kay aye meri dukhtar
Dua kay baad ho maaloom meri noor-e-nazar
Koyi ghadi nahin ghaafil teri taraf sey pidar
Qalaq hai sadhmaa hai ranj-o-malaal hai Soghra
Adoo kay narghey main Zehra ka laal hai Soghra

Wofoor-e-fikr sey Soghra jo saqth ghabraayi


Chachaa ka apney qalamdaan woh utthaa laayi
Aur iltemaas kiya aye Hussain kay bhaayi
Mujhey toh hai na tawaanaayi aur na beenaayi
Meri taraf sey woh alqaab likho Baba ko
Kaneezein likhthi hain jis tarhaa apney aaqa ko

Ghareeb parwar-o-aalam nawaaz woh khalq-e-panaah


Maalik sipaah falak baargah-e-shaahinshah
Imam beykas-o-mazloom-o-beydayaaro tabaah
Khaleel-e-Kaaba-e-deen Yousuf-e-Rasoolallah
Ajal raseedoun kay Eesa ghareeboun kay waali
Hussain ibne Ali mudhazallaa-o-aali

Salaam Marsia Nauha Marsia 75


Rajab ki teesri ko tumney ghar kiya veeraan
Tumhaarey baad huveen teen eidein Babajaan
Shab-e-Baraath huvi doosrey mahiney ayaan
Baroohey hamza na thi faateha ki taab-o-tawaan
Tamaam aah tadaptay tadaptay raat huvi
Hamaarey ghar main na eid-e-Shab-e-baraat huvi

Woh eid toh gayee din eid-e-fitr ka aaya


Ghar aankar mujhey humjoliyoun ney rulwaaya
Kisiney gehnaa kisiney libaas dikhlaaya
Koyi yeh boli kay eidee main humney yeh paaya
Har ek khush tha magar meray lab pa naalay thay
Safar mai sab meri eidee kay deinay waaley thay

Nazar main phirthaa hai eid-e-guzishthaa ka aana


Woh eidgaah main Akbar ka dhoom sey jaana
Bahen ke waasthay meivay khareedkar laana
Woh amma baano ka har dum galay sey liptaana
Ba jabr ab toh baghalgeer jis sey hothi hoon
Bahen Sakina ko main yaad karkay rothi hoon

*****

76 Marsia Salaam Marsia Nauha


Safar-e-Imam Hussain & 1st Moharram

Ghar sey jab bahrey safar Sayed-e-Aalam nikley


Sar jhukaye huve baadeeda-e-pur num nikley
Khaisho farzand kamar baand ke baaham nikley
Rokay farmaya ke is shaher sey ab hum nikley
Raat se girya-e-Zehra ki sada aati hai
Dekhein qismat hamein kis dasht mein lejaati hai

Ruqh kiya Sheh ney suey qabrey shahinshah-e-anaam


Bahrey tasleem jhukey muttasiley baab-e-salaam
Izn pad kar jo gaye qabr ke nazdeek Imam
Arz ki aaya hai aaj aakhri rukhsath ko ghulam
Yeh makaan hum se ab aye shah-e-zaman choot tha hai
Aaj Hazrat ke nawaase sey watan chootha hai

Chaen sey sab hain gharoun may mujhey milta nahin chaen
Saqth aafat may hai ab apka yeh noorul aiyn
Tukde dil hota hai jab rokay haram kartey hain bayn
Nunhey bachchonko bhala lekay kidhar jaye Hussain
Shahr mein chaen na jungle may amaan milti hai
Dekhiye qabr musaafir ko kahan milti hai

Ab meray sar ke liye teiz huvey hain khanjar


Ahle keen shar pey kamar baandhey hain ya khaire basher
Aapne di thi isi roz ki Amma ko khabar
Waaledaa royi theen doh roz talak peet ke sar
Is nawasey ko magar bhool na jaana Hazrat
Zibha ke waqt madad karney ko aana Hazrat.

Salaam Marsia Nauha Marsia 77


Yeh woh din hai kay parinde bhi nahin chodtey ghar
Mujh ko dar pesh hai in rozon mein aafat ka safar
Hai kaheen qatl ka samaan kahin lut jaane ka darr
Saath hai bachoun ka aye Badeshah-e-jinno bashar
Thang jeenay sey hoon paas apney bulaalo naana
Apni turbath may nawaasey ko chupaalo naana

Yeh bayaan karke jo taaveez se liptey sarwar


Youn hili qabr ke tharrayi zaree-e-anwar
Aayi turbath se ye awaaz-e-Habeebe daawar
Teri ghurbat ke main sadqey meray mazloom pisar
Koyi samjha na meri ghoud ka paala tujko
Haaye aadaa ney Madine sey nikaala tujko

Aye meray gaysooun waaley meray Sabir Shabbeer


Meray beykas meray mazloom musaafir Shabbeer
Na raha koyi tera yaawar o naasir Shabbeer
Haaye aye gor-e-garibaan ke mujaaver Shabbeer
Tu jahan jayega pyare wahin chaltahoon mai
Khaak udaata huvaa Turbath say nikalta hoon mai

Kayee din sey teri maadar ko nahin qabr mein chaen


Aayi thi shab ko meray paas yeh karti huvi bayn
Ghar mera lut tha hai faryaad Rasool-o-Saqlain
Subha ko apna watan chodkay jaata hai Hussain
Kahne aayi hoon ke muh qabr se moudoongi main
Apney bachchey ko akela tho na choddoongi main

78 Marsia Salaam Marsia Nauha


Sunke yeh Sheh ney kiya aakhri rukhsath ka salaam
Nikley rothay huvey jab rauza-e-anwar sey Imam
Sheh ney us dum yeh kiya ro ro ke Zainab ney kalaam
Qabr par maa ki mujhey ley chalo ya Shaahey Anaam
Loug humraah hain mehmil mai main kyonkar rovoon
Maa ki turbath sey phir ek baar lipat kar rovoon

Maa ki turbath pa gaye shah ba chashm-e-khoon baar


Uthri mehmil sey basadh aaho fughaan Zainab-e-zaar
Daud kar qabr sey liptey jo Imam-e-Abraar
Haath Zehra ke lahadh sey nikal aaye ek baar
Aayi awaaz na ro-o dil ko qalaq hotha hai
Qabr hilthi hai kaleijaa mera shaq hotha hai

Haan bulaao mera Abbas dilaawar hai kidhar


Woh fidaa hai meray bachchey pa mai sadqey uspar
Shikam-e-ghair sey go hai par woh mera hai pisar
Yeh sadaa sunkey baraadar ko pukaarey sarwar
Abhi rehwaar ko aagay na badhaao bhaayi
Yaad farmaathi hai amma idhar aao bhaayi

Aakey Abbas nay sar rakhdiya paaeen-e-mazaar


Aayi Zehra ki sadaa main teri ghurbath ke nisaar
Apney pyaaroun ke baraabar mai tujhey karti hoon pyaar
Dhyaan bhaayi ki hifaazath ka rahey aye dildaar
Koyi ghurbath mai ussey maar na daaley beta
Mera Shabbir hai ab teray havaaley beta

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 79


Shahadath Hazrat Muslim ibne Aqeel

Insaan ke liye maut hai gham bey watani ka


Jaanka hai andoh wo aalam bey watani ka
Sadmaa nahin kuch maut sey kam bey watani ka
Aafath hai qiyaamat hai sitam bey watani ka
Kaantoun ke aalam Syed-e-Sajjaad sey poocho
Ezzaa-e-safar Muslim-e-naashaad sey poocho

Ki saqth daghaa koofiyoun ney ghar mai bulaakay


Sab phir gaye jin logoun ke daavey thay wafa kay
Laakhoun hai adoo jaayein kidhar jaan bachaakay
Aafath mein giraftaar huvey koofey mein aakay
Yaawar nahin humdum nahin ghamqaar nahin hai
Narghey mein hain aur koyee madad gaar nahin hai

Hain sangh dil aisey woh jafakaar-o-sitamgar


Khotoun sey lagaaney lagey mazloom pa pather
Noorani badan hogaya majrooh saraasar
Aur saamne se muh pe lagaa zulm ka khanjar
Kyon gir na pada haye falak phat ke zameen par
Laal labay jaan baqsh girey kat ke zameen par

Muh karke suey charq kahaa shukr khudayaa


Raahat hai yeh bandey ney jo kuch zulm uttaya
Gham yeh hai ke hai door Yadullah ka jayaa
Shabbeer ke haathoun se kafan hum ney na paaya
Duniyaa se suey khuld koyee dum mein safar hai
Yahn hum pe jo kuch bun gayee kya unko khabar hai

80 Marsia Salaam Marsia Nauha


Yeh kahtey thay Muslim ke layeenou ney khazaara
Ek sang-e-sitam uss labey majrooh pa maara
Reesh aur gareybaan mai lahoo bhar gaya saara
Jab haal yeh pahooncha toh kaha jung ka yaara
Aada sey kaha dil mei zaraa rahem ko jaadoh
Ghash aatha hai paani mujhe thodaa sa pilaado

Kab sunthey thay beykus ka sokhan zulm ke baarii


Thay qatl ki tadbeer mein woh dushmane jaani
le aayee zaeefaa waheen ek jaam mein paani
Qismath ney magar bhujjney na dee tashna dahaani
Sukhee huvi thi gul si zabaan khushk guloo tha
Is paani ko muh sey jo lagayaa tho lahoo tha

Pheinkhaa isey jab khaak pey ba deeda-e-giriyaan


Ek jaam zaeefa ney diya phir unhein us aahn
Peenay bhi na paaya tha koyee ghoont woh zeeshan
Paani mein juda hokey girey gowharey dandaan
Farmaaya ke saabith huva pyaasey hi marengay
Ab saakhi-e-kausar hamein sairaab kareingay

Dushman toh kayee sow thay yeh bey yaaro madadgaar


Barchi kabhi padthi thi, kabhi padti thi talwaar
Andooh pa andooh thay azaar pe azaar
Kis yaas sey ek ek ka muh takthay thay har baar
Baazu ko sitamgar jo baandhey thay rasan sey
Fuwwaara-e-khoon chut-tha tha har zakhm badan sey

Salaam Marsia Nauha Marsia 81


Alqissa lab-e-baam jo laaya unhein saffaak
Tarr aansuoun sey hogaya Muslim ka rukhey paak
Faryaad suey Kaaba yeh ki baa dil-e-gham naak
Roohi ba fidak aye pisar-e-sayede loulaakh
Karta hai safar khalq sey ghamqaar tumhaara
Moukhoof hai ab hashr pa deedaar tumhaara

Farmaakay yeh gardanh taraf-e-qibla jhukaayi


Shamsheer jafaakaar ney chamkaa kay utthaayi
Awaaz yeh maqdooma-e-kounain ki aayi
Marthaa hai haraawal meray bachchey ka duhaayi
Is zulm sey baaz aa jo khuda ka tujhey darr hai
Zaalim sar-e-Muslim pa meray haath sipar hai

Meray liye kam hashr ke din sey yeh nahin din


Turbath sey main niklee hoon liye laasha-e-Mohsin
Mazloom ko tu qatl tho kartha hai woh leikin
Bin baap ke hojaayengay bachchey kayee kamsin
Khoon sar pay na ley chod dey awaara watan ko
Kar raand na Abbas-e-dilaawar ki bahen ko

Zehra ney kayee baar tadap kar yeh pukaara


Kya dil tha ke muthlaq na dara woh sitamaara
Zaalim ney kayee zarb may sar tanh sey uthaara
Phat-tha hai jigar ab nahin goyaee ka yaara
Likha hai chalaa leikay jo qaatil sar-e-Muslim
Kotthey kay taleh pheinkh diya paikar-e-Muslim

*****

82 Marsia Salaam Marsia Nauha


Muslim par layinon ki chadhai hae sahar se
Tov-aa pa qayamat ghazab aai hae sahar se
Aur ek tan-e-tanha se ladaai hae sehar se
Dum lene ki fursat nahin paayi hae sehar se
Mazloom peh ek nargha-e afwaje jafa hae
Yaan daire mein nuqta-e anwaare Khuda hae

Likha hae navee raat thi Zilhijh ki basdh aah


Muslim ne kafan dho ke muattar kiya naagah
Sar sajde mein lab zikr mein aur dil soo-e Allah
Jab aati thi tau-aa toh yeh kehta tha woh zeejah
Firdaus mein qanjar ke tal-e deedh karenge
Kal Arfe ko qurbani ki hum eid karenge

Al qissa sehar ko hui aada ki chadhai


Tou-aa ka makaan ghir gaya aafat nahin aayi
Chillati thi Tou-aa ke duhaai hae duhaai
Kyon karte hain Hyder ke bhatije se ladaai
Kyon ladne ko sab aaye ho yeh kisse lada hae
Bechara mere hujre mein faaqe se pada hae

Alqissa baraamadh hua woh nayabe Shabbir


Baadal ki tarah chagaye sab zaalimo bay peer
Hathon mein tuli barchiyan pehloo se mili teer
Padne lagi mazloom peh shamsheer peh shamsheer
Deewar pah amboh tha aur baam ke oopar
Balwa tha ajab Muslim-e nakaam ke oopar

Salaam Marsia Nauha Marsia 83


Ek phainkta tha choab ko aatish se jalake
Muslim peh girata tha koi sangh utha ke
Yaan walwale mein naare thay ya shere Khuda ke
Deewar hata detey thay ghode ko badhake
Ja padta tha jab haath kamar bandh adoo par
Ghode se wahin phenkte thay baam ke oopar

Nagah lab-o dandaan pah laga sange jafakaar


Qam ho gaye aur moonh se lahu dala kayi baar
Par dabdaba yeh tha ke na paas aate thay kuffaar
Aqir ko dagha ki yeh pukaare woh sitamgaar
Phir ladna zara pooch lo bhai ki qabar ko
Woh naqa sawaar aata hae Kaabe se idhar ko

Muddat se suna tha jo na haale shahe waala


Yeh sunte hi besaqta talwar ko roka
Bas moonh ko phirate hi ajal ne kiya mujhra
Barchi toh kalejey mein thi barchi mein kaleja
Moonh su-e Najaf karke kaha apne chacha se
Mazloom bhatije ko tere mara dagha se

Himraan ke farzand se hakim hua goya


Ab der na kar baam pah Muslim ko tu leja
Latka dey dar-e Koofe mein sar kaat ke iska
Aur baam se ba-laae zameen phenkde laasha
Haan baandh kar phir laash ke paoun mein rasan ko
Tashheer karo Muslim-e awara watan ko

84 Marsia Salaam Marsia Nauha


Zilhijj ki naveen Arfe ka din qatl ka saamaan
Par eid yeh ho aap pah hota hoon mein qurbaan
Shehzadoun ka aur shah ka Allah nigehbaan
Karta hoon Ruqayya ki sifaarish magar is aan
Kud kud ke mere gham mein na dum uska nikal jaye
Sadqe mein Sakina ke Ruqayya meri pal jaye

Kaabe se us roz rawana huve thay shah


Muslim toh labe gore thay Shabbir sare raah
Jibreel ne Koofe ke zameen se kaha nagaah
Haan hukm Khuda ho toh bulandh itna hi wallah
Muslim shahe mazloom ki tasweer ko dekhe
Shabbir useh dekhe woh Shabbir ko dekhe

Koofe ki taraf Shah ne chehre ko phiraya


Saydaniyon ne mehmiloun se parda uthaya
Allah ne Muslim ka jamaal unko dikhaya
Baitha hua talwar ke neeche nazar aaya
Baaham thi nazaaron mein sada haye aqi ki
Yaan Fatema rothi thi wahan rooh Ali ki

Chehron peh tamanche harame sheh ne lagaaye


Milne ke liye haath Ruqayya ne badhaye
Chillai ke lo amma woh baba nazar aaye
Sab kehte thay baba ne wahan shehar basaaye
Na farsh hae na saaya-e deewar ke neeche
Baba toh mere baithe hain talwar ke neeche

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 85


Shahadath Hazrath Pisraan-e-Muslim

Darbar mein jab katke yateemoun ke sar aaye


Doobe hue doh chand lahu mein nazar aaye
Gul padgaya Muslim ke yeh laqte jigar aaye
Gurbat zada-o bey watan-o bay pidar aae
Shamsheere sitam chal gayi un nauhagaroun par
Kya bekasi-o yaas barasti hae saroun par

Haakim se yeh tab kehne laga haaris-e badhkaam


Sar bachhoun ke laya hoon miley qillat-o inaam
Pehchaanle Muslim ke pisar hain yahi gulfaam
Yeh woh hain jo Zindaan se bhaage thay sare shaam
Main dhoondta phirta tha na haath aate they dono
Paate thay jidhar raah nikal jaate thay dono

Haakim ne kaha tu ne kahan phir inhe paaya


Tareekiye shab mein nazar aata nahin saaya
Woh jodh ke haathoun ko suqan lab peh yeh laaya
Zowja ne meri tha inhe hujre mein chupaaya
Mein kehta tha dil mein ke kahan jaake chupe hain
Iski na qabar thi mere ghar aake chupe hain

Az bas ke thaka tha mujhe neend aagayi us dum


Kya dekhta hoon aalame roya mein basadh gham
Ek hujre mein do tifl nazar aate hain baham
Sar peet ke kehte hain woh ba deedaye purgham
Aafat mein phanse hum dare zindaan se nikal ke
Maloom hua padh gaye phande mein ajal ke

86 Marsia Salaam Marsia Nauha


Chillaye jo woh haye pidar kehke dilafgaar
Tha neend mein ya aankh meri khul gayi ek baar
Khush hogaya mein taalaye qifta huve bedaar
Bistar se utha haath mein kheinche huve talwaar
Ek hujre mein Muslim ke woh pyaare nazar aaye
Bala-e zameen arsh ke taare nazar aaye

Jakda jab inhe maine toh karte thay yeh faryaad


Mehmaan tere ghar aaye hain hum bekaso nashaad
Bin baap ke hain hum pah taras kha sitam eejaad
Le minnatein karte hain teri chod de jallaadh
Kar rahem ke masoom hain dukh paaye hain zaalim
Hum chupne ko daaman mein tere aaye hain zaalim

Maine kaha tum dono ke baba ka hae kya naam


Rokar kaha kehte hain unhein Muslim-e nakaam
Bejurm-o-qata unke gale par chali sumsaam
Hum jab se chute baap se hum ko nahin aaraam
Dehshat se teri seene mein dil hilte hain zaalim
Ab dheeli rasan karke gale chilte hain zaalim

Yeh sunte he masoomon par ghussa mujhe aaya


Hujre se inhein khenchte daalanh mein laya
In dono ne jo zulm na dekha tha dikhaya
Mujrim ki tarah baandh diya rahem na khaya
Bahar unhein le aaya jo zulfoun ko pakad kar
Istada kiya choab se rassi mein jakad kar

Salaam Marsia Nauha Marsia 87


Samjha na woh hargiz na mera dhyan mein laayi
Jhunjhla ke usey teghe sitam maine lagaayi
Ek vaar mein saa-adh se giri kat ke kalaai
Chilla ke lagi dene payambar ki duhaai
Hae hae mere aqa meri imdad ko pahuncho
Ae shahe garibaan meri faryaad ko pahuncho

Jab maar chuko usko toh masoomon ko kheincha


Pakde hue zulfein unhe laya lab-e darya
Rokar kaha bachoun ne hamein qatl na karna
Marega jo hum ko toh tere kya haath lagega
Bekas hain musafir hain aur awara watan hain
Yeh kya hae saza kum ke giraftar-e mehan hain

Kar reham sitamgaar gharibi pah hamari


Devega sila iska tujhe Qaliqe bari
Le ankh na dikhla nahin ab karne ke zaari
Chal kar sare bazar hamein bechde naari
Bach jayenge hum qilat-o-zar payega zaalim
Gar qatl kiya hum toh pachtaega zaalim

Yeh sun ke badha mai joonhi khenche huve talwaar


Pehloo mein biradar ke biradar gira ek baar
Main chati pah ek tifl ki akhir hua aswaaar
Jab halq pah bacche ki rakha qanjar-e khoonqar
Ek hashr bapa hogaya qanjar ke chale par
Bhai ne gala rakhdiya bhai ke gale par

*****

88 Marsia Salaam Marsia Nauha


Pardes mein Muslim ke yateemoun pa jafaa hai
Dariya pa paye qatl adoo lekay chala hai
Chota toh badey bhayee ka muh dekh rahaa hai
Zorr usko madad ka nahin mashghool-e-buka hai
Bey rahem ke khaabu mai hain doh naazoun ke paaley
Har soo nigraan hain ke koyee aake bachaaley

Chotey ko badaa bhayee hai badd bad ke bachaatha


Har baar hai musaff ki tarha beech mei aatha
Roh detha hai kuch kahney ka moukha nahin paatha
Bey saakhta ek baat zabaan par hai yeh laatha
Sun haal ghareeboun ka khuda ke liye dum lay
Ab hum teray ghar mein kabhi aayein toh qasam lay

Kuch ghar mai teray chaen nahin paaya hai aisaa


Thoda hai faqath paani sey faaqa kayee din ka
Khud aaye nahin kee teri zouja ne tamanna
Hujreh mai namaazein hain padi aur kiya kya
Hum bachchey hain tu apni buzurgi par amal kar
Taqseer jo kuch hum sey huvi ho woh bahal kar

Yeh jurm hai bin poochey jo aaye hain teray ghar


Hujre mein rahey shab ko bhi bedaar baraabar
Kurtey phatay gesu khinchi saili lagi hum par
Takleef bahut dey chuka ab chodd sitamgar
Jungle mein kahin bhaitt ke hum royeinge zaalim
Muh karke teray ghar ko na ab soyeinge zaalim

Salaam Marsia Nauha Marsia 89


Suntha na tha mazloomoun ki ek baat sitamgar
Deithay thay nida zauja-e-haaris ko yeh baddkar
Yeh jaanthay tho hum kabhi aathay na teray ghar
Mehmaanoun ko apney tu bachaati nahin maadar
Chuddwaadey ke pakkdey huvey zulfoun ko adoo hai
Amma nahin baba nahin jo kuch hai so tu hai

Baaloun ko bikheirey huvey woh momina thi saath


Mazloomoun ko zaalim sey chudaati thi woh khushzaath
Kehti thi Khuda ke liye kya karta hai bazzaath
Geh paaoon pa sar rakhti thi geh baandti thi haath
Bas bas ke zameen ab toh hili jaati hai zaalim
Zehra mujhey sar nangay nazar aati hai zaalim

Zaalim ney tahey teigh kiya zaujaa ko uss aahn


Ya Fatima kehkar huvi Zehra pa woh qurbaan
Dariya pa adoo laaya unhey pakdey gareybaan
Di teigh ghulaam-e-habshee ko wahan uriyaan
Ghussey sey kaha donou ko unglee sey dikhaakar
Aan kaatlay sar unkay kinaaray pay tu jaakar

Talwaar ko chamkaa ke badaa woh habshee aah


Yeh tegh taleh sar ko jhukaakar huvey humraah
Likhaa hai ke tha woh habashee mard haq aagaah
Raastey mai khitaab us sey kiya donou ney naagaah
Hum shakl-e-Bilaal-e-shahey laulaak ka tu hai
Sach kehkay payambar ka mohib hai ke adoo hai.

90 Marsia Salaam Marsia Nauha


Farzand ko di haaris-e-maloon ney talwaar
Aur bola ke sar kaatlay in donou ka ek baar
Woh bola ke mujhsey yeh nahi hoyega zinhaar
Yeh tuhi hai badhbaqth siyaaroo woh jafaakaar
Haaris tu pidar kiska shaqi-e-azali hai
Maa Fatima hai mominoun ki baap Ali hai

Tu core hai zaalim nazar aaye tujhey kyonkar


Lay dekh Nabi rothay hain darya pa khuley sar
Yeh sunke uttha haaris-e-maloon-o-sitamgar
Zaalim ney kaha mujhko nahin khauff-e-payambar
Ek teigh taleh donou baraadar ko bitthaakar
Sar kaata badey bhaayi ka chotay ko dikhaakar

Sar paas rakhaa laash ko dariya mai bahaaya


Bhaayi ke galey ka jo lahoo khaak pey paaya
Ulfath sey baraadar ka lahoo josh mai aaya
Tabh joddkay haath apney yeh qaatil ko sunaaya
Pouchoon yeh lahoo kurtay sey talwaar jhukaadey
Loutoon badey bhaayi ke lahoo may jo rizaadey

Woh bola ke ho shouq sey ho ghalthaan mujhey kya darr


Bhaayi ke lahoo mai woh laga loutney girkar
Kehtha tha badey bhaayi kahaan dhoondey baraadar
Tum tho abhi bhaitey huvey thay meray baraadar
Kisney hi naseeb aisey ulatt-thay huvey dekhaa
Bhaayi ney galaa bhaayi ka katt-thay huvey dekhaa

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 91


Waarid-e-Karbala (2nd Moharram)

Kis beemar ne qath apne maseeha ko likha


Haal beemariyon ka beti ne baba ko likha
Jo jo armaan tha dil mein shahe wala ko likha
Aur salam apna phoopi sani-e Zehra ko likha
Dil mein qush thi ke mera qath jo pahunch jayega
Hae yaqeen ab koi lene ke liye ayega

Qath mein alqaab yeh bekas ne kiya tha marqoom


Chahne waale pidar mere imam-e mazloom
Raat din rothi padi rahti hoon ab toh maghmoom
Aap toh bhool gaye qair yeh mera maqsoom
Na gila tumse hae na koi shikayath baba
Haan mubarak ho Sakina se mohabath baba

Qair tum ko na sahi mujh ko hae tum se ulfath


Kisi soorat mujhe dikhlao tum apni soorath
Jaanti hoon ke Sakina pah bahut hae shafqath
Achha ae baba bahen ki mein karoongi qidmath
Mujhko bulwa ke wahan mera bhi dilshaad karo
Lo kaneezi mein Sakina ki mujhe yaad karo

Gar nahin mujh ko bulate ho toh aao baba


Showq se apni Sakina ko bhi lao baba
Usko seeney pah sulate ho sulao baba
Hum ko rulwate ho toh qair rulao baba
Ranj sehti hui duniya se guzar jaoongi
Aap aaye nahin ek roz mein mar jaoongi

92 Marsia Salaam Marsia Nauha


Arzoo hae ke kisi taur yahaan aajaye
Aap ki jaan se door aah jo hum marjaein
Apne hathon se kafan aap mujhe pehnae
Aur takleef lahad tak bhi zara farmae
Bas zyaada na sawari yahan tehraei-ga
Dafn karte he mujhe aap chale jaye-ega

Maa ko marqoom tha ae ma-dare farqunda siyar


Saqth baba ki tarah kar liya tum ne bhi jigar
Aas bachne ki nahin leejiye ab jald qabar
Varna beemar ka ab hota hae duniya se safar
Nahin umeed ke bach jaye yeh muztar amma
Doodh ab baqsh doh beemar ko aakar amma

Tha raqam hazrat-e Zainab ko phoopi nekh qisal


Tumko bhaiyya Ali Akbar se mohabbat hae kamal
Hai har dum mujhe rah rahke ab aata hae khayal
Ke mere bhai pah bhaari hae yeh attharwan saal
Haan tasadduq ke liye der na farmaiyega
Sadqa hone ke liye bhai pah bulwaiega

Tha Alamdar ko tehreer ke Abbas chacha


Door iftoadah bhatiji se huve tum bhi qafa
Sunte hain aapki har baat ko mere baba
Mujhko bulwaiye ya laiye unke main fida
Choomungi unke qadam tumko duaein doongi
Unki bhi aur tumhari bhi balaein loongi

Salaam Marsia Nauha Marsia 93


Likha Akbar ko ke ae baap ke pyare Akbar
Aur phoopijan ke bhi raaj dulare Akbar
Mere baba ki zaeefi ke sahare Akbar
Hai ye beemar behen gor kinare Akbar
Waada le jaane ka tha dekhiye kab aate hain
Aap toh aate nahin qalq se hum jaate hain

Tha qitaab Asghare nadaan se ke ae rashke qamar


Ghutniyon bhi na chale hogaya dar pesh safar
Mujhe har dum tera rehta hae qayal aatt pehar
Sothey ho jhoole mein ya jaagte ho aey Asghar
Neend aaram se aur chaen se aati hogi
Jab Sakina tere jhoole ko jhulati hogi

Yaad aate hain tumhare woh jhandooley mujhe baal


Sadhosi saal salamat raho ae mere laal
Tumko beemar behan ka nahin maloom ahwaal
Maut nazdeek hae aur zoaf-o naqahath hae kamaal
Main jo marjaon kahin bhool na jana Asghar
Ghutniyon chalte hue qabr pah aana Asghar

Yeh na tha ilm usey kat gaya Sarwar ka gala


Qasim-o Akbar-o Abbas hue Shah pa fida
Teer khakar Ali Asghar bhi gaye suey baqa
Baqi ek bhai tha Sajjad sow woh qaid hua
Ma phoopi behne luti qaime bhi taraaj hue
Ek chadar ko haram shah ke mohtaaj hue

*****

94 Marsia Salaam Marsia Nauha


Aye mominou Hussain sey maqtal qareeb hai

Aakhar hai umr manzile awwal qareeb hai


Shahr-e-madina door hai jungle qareeb hai
Zehra ka chaand chupta hai baadal qareeb hai
Lenay ke waastey malakul mauth aatay hain
Marqad ko apne paaoun sey Shabbeer jaatay hain.

Al qissa subah manzil aakhir ayaan huvi


lekin yeh subah sibt-e-nabi ko kahan huvi
Jis jaa sawari rukh kay na aagey ravaan huvi
Hairaan sipaha qasr-o-kounou makaan huvi
Chey ghode y badhlay dosh-e-nabi ke sawaarney
Lekin qhadam badd haaya na ek raahwaarney

Jumbish jo markaboun may na paayi Hussain ney


Ek musht-e- khaak jhuk ke uttayi Hussain ney
Khud soonghi aur bahein ko soonghayi Hussain ney
Humsheer ki suni yeh duhaayi Hussain ney
Hai hai yeh khaaqh pheinko meri jaan jaati hai
Bhaiyya tumhaare khoon ki bu issay aati hai

Baashindoun ko wahaan ke yeh Moula ney di nida


Naam is zameen ke jitne ho lo turn juda juda
Woh bolay aapko ho mubaarak har ek balaa
Yeh nainawaa hai maariya hai aur karbala
Maabood hai yeh khaleel ka gumbad maseeh ka
Sheh bolay ab yeh hoyegaa madhfan zabeeh ka

Salaam Marsia Nauha Marsia 95


Abbas ko pukaaray na aagey Alam badd-haao
Manzil yehi hai chhauni pardesiyoun ki chhaao
Humshakl-e-Mustafa ko nida’dee baddhey na jaao
Beta qanaathein ghero saraachey yahin lagaao
Ghurray ko toh huva hai hamaara safar tamaam
Dasveen ko hoga Fatima Zehra ka ghar tamaam

Masnadh pay yaan bittah kay behan ko shahey huda


Kursi bichaa ke bhaitey khareeb-e-haram saraa
Thay dast bastha gird jawaanaaney mailaqa
Lay lay ke nazrain aaye zameen daar-e-karbala
Istaada farth gham sey jo Shabbir hogaye
Nazroun pay haath rakh kay baghal geer ho gaye

Bitt laakay pehluoun may inhey yeh kiya bayaan


Aye Karbaliyo mai tumhaara hoon mehmaan
Zaalim mujhey sataathay hain jaata hoon mai jahaan
Beicho jo yeh zameen toh chann din rahoon yahaan
Rehnay sey meray sab yahaan aaraam payengay
Khaak-e- shifa tumhaari zameen ko banaayengay

Deenar deykay saatt hazaar insey yeh kahaa


Baqshi tumhey zameen hibaa mainey kardiya
Shabbeer kay maamilay par sab ney ro diya
likhney lagaa qabaala zameen daar-e-Karbala
Ghul padd gaya Hussain watan ko na jaayengay
Lo moul-li zameen yaheen basthi basanyengay

96 Marsia Salaam Marsia Nauha


Markhoom ho rahaa tha qabaala kay naagahaan
Qaimey se ek zann-e-arbiyaa huvi ayaan
Sarthaa khadam libaas mai saara badan neihaan
Par ispay yeh bhi hayaa say laraztey thay istoukhaan
Betaab hokay ulfathay Akbar sey aayi thi
Raavi ne yeh likha hai woh Zehra ki jaayi thi

Leykar balaayein bhaayi ke kuch kaan may kaha


Aur jaldi youn phiri kay na saaya nazar pada
Kursi sey yaan tadap kay giray shaahey Karbala
Abbas nay uttaakay kaha haaye kya huva
Moula batha qasam tujhe sheer-e-batool ki
Kya keh gayee nawaasi janabe Rasool ki

Sheh bolay aah mujhsey yeh Zainab ka tha kalaam


Bhaiyya qabaalay mai meray Akbar ka hovey naam
Yaaney ke iski milk may ho yeh zameen tamaam
Abbas jaavo kehdo kay majboor hai Imaam
Attaara saal kay yeh zamaanay se jaayenge
Ek qabr ki jaghay Ali Akbar bhi paayenge

Abbas khaimay may gaye denay ko yeh payaam


Zainab ne dekhte hi inhey yeh kiya kalaam
Kyon bhaayi meri baat pay raazi huvay Anaam
Likhaa gaya qabaalay may Akbar ka meray naam
Dulha banaoongi main dulhan biyah laaoongi
Akbar ke naam ki yahaan basthi basaoongi

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 97


Shahadath Hazrat-e-Hur (a.s.)

Run mein jab Sheh ki taraf sey Hur-e-deen daar aaya


Kis bashashath sey uddaataa huva rehwaar aaya
Ghul huva Sayyed-e-Mazloom ka ghamkhwaar aaya
Jaanisaar-e-khalafey Haidar-e-Karrar aaya
Tathqhey noor sarey raah nazar aata hai
Jalwaa-e-Qudrath-e-Allah nazar aata hai

Yeh sukhan sunkay pukaara pisar-e-Saad-e-shareer


Haan tarafdaarey Shaheydeen pey chaley naiza-o-teer
Lekay harboun ko baddhaa fouj ka amboh-e-kaseer
Fateha paddkay jawaan mard ney kheinchi shamsheer
Hur ka muh surkh huva fouj-e-sitam zard huvi
Shola-e-teigh sey bijlee ki chamak gard huvi

Badd kay farmaatey tha Abbas zahey izzat-o-jaah


Baarek Allah ki deitha tha sadaa dilbar-e-Shaah
Kehtey thay Ibn-e-Hassan waah Hur-e-Ghaazi waah
Shah har zarb pey farmaatey thay Mashallah
Apni jaanbaazi ka ghaazi jo silaa paata tha
Muskuraataa huva tasleem ko jhuk jaata tha

Haif jhukney mein layeenon ney jo fursath paayi


Saamna chodd kay sab fouj aqab sey aayi
Laakh khoon reiz idhar aur udhar tanhaayi
Baag ghodey ki phiraata tha kay barchi khaayi
Aagaya mout kay panjey mein na kuch deyr lagi
Farqh per gurz lagaa dosh pey shamsheer lagi

98 Marsia Salaam Marsia Nauha


Seena ghurbaal huva teer chaley aada kay
Rakh diya Sher ney kharbooz pey sar nyodaakey
Ali Akber ney yeh Hazrat sey kaha chillaakay
Gar ho irshaad toh mehmaan ko bachaaoon jaakay
Khaadim-e-Hazrat-e-Zehra-o-Ali girtaa hai
Khaak par ab woh Sayeed-e-azali girtaa hai

Shah roney lagey yeh suntey hi mehmaan ki khabar


Hogayi aansuon sey reesh-e-mubarak sab tarr
Ali Akbar sey kaha tum abhi tehro dilbar
Hur ki imdaad ko hum jaayeingey aye noor-e-nazar
Kis sey is waqt kahoon mein jo khalaq mujh per hai
Laash utthaaunga kay mehmaan ka haq mujh per hai

Yeh suqhan kehkay chaley run ko janaab-e-Shabbir


Waanh giraa khaak pa ghodey sey Hur-e-ba’touqeer
Dekh kar Shaah ko aatey huvey bhaagey bey peer
Pahunchey laashey pa Imam-e-dojahaan waqt-e-akheer
Chaman-e-hasthi mehmaan ko ujaddtey dekha
Khaak per aiddiyaan zakhmi ko ragaddtey dekha

Gir kay laashey kay baraabar yeh pukarey Sarwar


Meray mehmaan-o-madadgaar-o-moyeen-o-yawar
Gurz kya tujhko lagaa toott gayi meri kamar
Gir padey ghodey sey aur aah na ki hum ko khabar
Dost kay hujr mein kab dost ko chain aaya hai
Kholdey chashm ko bhaayi kay Husain aaya hai

Salaam Marsia Nauha Marsia 99


Neem waah chashm sey Hur ney ruqh-e-Moula dekha
Zeiray sar zaanu-e-Shabbir ka takiyaa dekha
Muskuraakar taraf-e-aalam-e-baala dekha
Sheh ney farmaaya kay aye Hur-e-jaree kya dekha
Arz ki husn-e-ruqh-e-hoor nazar aata hai
Farsh sey arsh talak noor nazar aata hai

Mujhko leinay chaley aatey hain farishtey ya Shaah


Malak-ul-mout bhi kartaa hai mohabbat ki nigaah
Khuld sey Sher-e-Khuda nikley hain Allah Allah
Lo baraamadh huvey Shabbar bhi pidar kay humraah
Nangey sar Ahmad-e-Mukhtaar ki pyaari aayi
Dekhiyeh aapkay Naana ki sawaari aayi

Kehkay yeh godh mein Shabbir kay li angddaayi


Aaya maathey pa araqh chehrey pey zardi chhaayi
Sheh ney farmaaya humein chodd chaley kyun bhaayi
Chal basey Hur-e-jaree phir na kuch aawaaz aayi
Taair-e-rooh ney parwaaz ki tubaa ki taraf
Putliyaan rehgayeen phir kar Shahey waala ki taraf

Rokay Akbar ney kaha Hur-e-dilawar hai hai


Aye madadgaare jigar bandey Payambar hai hai
Khoon mein sab tar hai tera roohey munawar hai hai
Tashna-o-bekas-o-mazloom kay yaawar hai hai
Idhar aana tha kay teri ajal aayi bhaayi
Ghar mein sadaat kay dawat bhi na khaayi bhaayi

*****

100 Marsia Salaam Marsia Nauha


Shahadath Hazrat Aun-o-Mohammad (a.s.)

Dozakh say jab aazaad kiya Hur ko khuda nay


Khulwadiye firdaus kay dar uqdaa kusha nay
Zaanu pay rakha sar ko Imaam-e-dosaraa nay
Aala kiya adna ko buzurghoun ki dua nay
Sab jiskay talabgaar thay jannat may woh durr tha
Hooraan-e-jinaa gird theen aur beech may Hur tha

Yeh zikr abhi tha kay sadaa ronay ki aayi


Darwaazey say Akbar nay yeh awaaz sunaayi
Lut gayee hai hai phuphi amma ki kamaayi
Maarey gaye doh saath ke khelay huve bhaayi
Rothey huvey Abbas bhi humrah gaye hain
Khud laashey utthaaney kay liye Shah gaye hain

Fizza ki sadaa aayi kay aye peetnay waalo


Sab milkey aray meri khoozaadi ko sambhaalo
Rothi hai kidhar baanu-e-aalam ko bulaalo
Lut gaya ghar khaak-e-aza baaloun pay daalo
Maqtal say Hussain ibne Ali laathay hain laashey
Saidaaniyou devdi pay chalo aatay hain laashay

Laashoun ko shahey deen safay matam pay jo laaye


Sab ahley haram peetthay rothay huve aaye
Zainab nay na faryaad ki na ashk bahaaye
Bhaitti rahee sar zaanu-e-aqdas pa jhukaaye
Lab khushk thay moonh faq tha Mijha ashkoun say tarr thi
Na apni na bhaayi ki na laashoun ki khabar thi

Salaam Marsia Nauha Marsia 101


Baanu nay rakhey zaanu-e-Zainab pay sar unkay
Jo bibiyan thi aagay muh ko jigar unkay
Zainab nay jo ki jhuk kay rukhoun par nazar unkay
Dikhlaayi diye chaand say muh khoon may tarr unkay
Rukhsaar bhi majrooh thay abrooh bhi katay thay
Shaanay bhi juda chaand say baazu bhi katay tha

Taarif Imaam-e-doh saraa kartay hain utto


Abbas-e-Alamdaar sanaa kartay hain utto
Hum shakl-e-nabi madhay vegha kartay hain utto
Sab loug na uttnay ka gilaa kartay hain utto
Aaqa say museebath may juda ho nahin jaatey
Sadqey gayee youn jung ke din so nahin jaatey

Pyaaro turn akelay kabhi nikley nahin ghar sey


Rasthay sey na waaqif na saubaath-e-safar sey
Raahein-woh-kay khaali nahin jo khouf-o-qatar sey
Jo khaasa-e-baari hai woh tharraathay hain darr sey
Is khouff say raathoun ko na sothay thay Mohammed
Jab maut ka zikr aatha tha rothay thay Mohammed

Hai hai wohi rastha tumhey darpeish hai pyaaro


Turn mard ho jarraar ho himmath ko na haaro
Ab aankhon say chhup jaaogay aye arsh kay taaro
Bachho mujhe manzil ka patha deikay sidhaaro
Veeraaney may ya gulshan-e-hasti may rahogay
Turn aaj ki shab kounsi basthi may rahogay

102 Marsia Salaam Marsia Nauha


Ab zeesth sey amma ka bhi dil sayr hai pyaaro
Jeethi hoon mai qismath ka meri pheir hai pyaaro
Kya jaanay meri maut may kya dair hai pyaaro
Turn mar gaye duniya mujhe andher hai pyaaro
Hai kaunsi daulath jisey khonay ko rahi hoon
Maaloom nahin ab kisey ronay ko rahi hoon

Taareeki may waari tumhey neend aayegi kyonkar


Shab hogi toh bachchoun ko yeh maa paayegi kyonkar
Maadar dil-e-betaab ko samjhayegi kyonkar
Waanh takh meray ronay ki sadaa jaayegi kyon kar
Nikloon jo tajas may toh beyjaa nahin waari
Maa hoon mera patthar ka kalejaa nahin waari

Maqtal may khiyaam aaj kahaan hoga batha doh


Maa sadqey muqaam aaj kahaan hoga batha doh
Din turn ko tamaam aaj kahaan hoga batha doh
Bisthar sar-e-shaam aaj kahaan hoga batha doh
Hum waar zamee shab kay bichhounay ko milegi
Kaisi hai jaghey jo tumhey sonay ko milegi

Tukday tha kaleijaa yeh bayaan dard ka sunkar


Ek hashr tha saidaaniyaan jab peetthi thee sar
Baano nay kaha qibla-e-kounain say utt kar
Marjaayegi maa laashoun ko lejaaiyeh baahar
Farzandoun ka gham khaaliq-e-aalam na dikhaaye
Allah kisi maa ko yeh maatam na dikhaaye

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 103


Jab Zainabe ghareeb ke run mein pisar lade
Tanha lade yeh aah woh sab ahle shar lade
Kis khoobsurthi se Ali ke jigar lade
Ek shor padgaya ke ghazab shere nar lade
Virsa unhein mila hae janabe Ameer ka
Yeh zor sab hae sher ke beti ke sheer ka

Zainab jo nangay paaoun khadi thi qareebe dar


Abbas jaakey dete thay yeh dambadam qabar
Roen na ab huzoor muhim ho chuki hae sar
Lakhon se lad rahe hain ghazab aapke pisar
Zor aaj phir dikhadiya qaibar kushai ka
Ab toh unhi ke haath hae maidaan ladai ka

Aansoo baha ke binte Ali ne kaha ke haan


Dey aur himmatein inhein qallaqe inso jaan
Bachhe kahan hazaaron ka woh mareka kahaan
Kuch ho inhe falak ne na honay diya jawaan
Bekas hoon aur is pah mujhe aitamad hae
Qaliq woh dey ke jo mere dil ki muraad hae

Bhaiyya kuch apne betoun ka mujhko nahin khayaal


Marjaye ladke ya ke ho taapoun se paayemaal
Sadqe karoon hazaar jo aise ho naunehal
Sab dowlatein lute pah bache Fatema ka laal
Aaye bahan pah woh jo bala un pah aai ho
Duniya mein koi ho ke na ho mera bhai ho

104 Marsia Salaam Marsia Nauha


Yeh zikr tha ke bhai ko hazrat ne di sada
Abbas aao ghir gaye Zainab ke dilruba
Dowde sada yeh sunte hi Abbas-e bawafa
Asnae raah mein Ali Akbar ne yeh kaha
Zinda rakha falak ne yeh aansoo bahane ko
Chaliye huzoor jaate hain laashe uthane ko

Chillae rokay hazrat-e-Abbase naamwar


Chota tamaam hogaya ya Shaahe bahrobar
Hazrat pukare haath kaleje peh maar kar
Hae hae bada bhi margaya veeran hua yeh ghar
Maa muntazar hae chaak garebaan kiye hue
Kis moonh se jaoon qaime mein laashe liye hue

Kuch kuch abhi tha dum ke unhein le chale imam


Ek laash ko toh aap liye thay shahe anaam
Aur ek laash hazrate Abbas-e-nekh naam
Qaima tha saamne ke biza-at hui tamaam
Jeete na pahunche haaye ghazab qaima gah mein
Dono sagheer mar gaye asnaye raah mein

Zainab ke dil ko hogayi waanh qud ba qud qabar


Jaa baithi aap maatami saf par jhuka ke sar
Laye Hussain dono ke laashe lahu mein tar
Farmaya haaye lut gaya bekas behan ka ghar
Doh qanjar ek baar kaleja pah chal gaye
Aaye thay tum se milne ko par dum nikal gaye

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 105


Shahadath Hazrath Ali Akbar (a.s.)

Run se jab khake sinaa Akbare zeeshaan aaye


Maa ki qidmath mein koi aan ke mehmaan aaye
Ghar mein laashe ko liye Shah-e-shaheedaan aaye
Nauhagar qaak basad chaak garebaan aaye
Di sada qatl huve Yousufe saani Bano
Mil gayi qaak mein Akbar ki jawaani Bano

Dekh ley aaqri deedar pisar marta hai


Saamne ankhon ke yeh noore nazar marta hai
Ab koi dum mein mera rashke qamar marta hai
Moonh se bahar hai zubaan tashna jigar marta hai
Dum hae seene mein ruka zaqmon se qoon jaari hae
Shehar Bano tera ghar lutne ki tayyari hae

Pahunchi qaime mein joh hazrat ki pur dard sada


Muztarib hogaye naamoose rasoole doh sara
Kaha chilla ke Sakina ne ke hai hai bhaiyya
Fizza daudi su-e dar phenk kar sar par se rida
Peet thi Zainabe baypar nikal aayi bahar
Bano ghabrake khule sar nikal aayi bahar

Sheh ke kaandhe pah joh dekha Ali Akbar ko nidhaal


Haath phaila ke yeh chillai ke hai hai mere laal
Kya ghazab hogaya aye baadshahe nekh qisaal
Raas aaya na mere bachhe ko atharwaan saal
Tukdey teghon se badan hogaya saara hai hai
Kaun tha jisne mere sher ko mara hai hai

106 Marsia Salaam Marsia Nauha


Rokey Bano se yeh farmaane lage Sarware deen
Sar na peetho abhi zinda hai mera maahejabeen
Saans aathi hae pah har dum hae dum-e-baaz paseen
Kooch inka bhi hai aur hum bhi hain marne ke qareen
Sub chutey ab na raha koi hamara Bano
Is jawan bete ke gham ne hamein maara Bano

Sunke maadar ki sada kholdiye deedaye num


Haath utha kar kaha ro-o na mere sar ki qasam
Paas aakar hamein chaati se lagalo is dum
Run se aaye hain tumhari hi mulaqaat ko hum
Phir yeh ghar Shah ke iqbaal se dekha hum ne
Par tumhein aake ajab haal se dekha hum ne

Baal kyon bikhre hain kyon phenkdi sar par se rida


Neel kyon seene pah hai kyon hai garebaan phata
Qaak kyon moonh pah mali ho yeh pisar tum pah fida
Shah duniya mein salaamat rahe yeh kya yeh kya
Lut gayi yeh na suqan moonh se nikalo amma
Main toh jeeta hoon kaleje ko sambhalo amma

Zaqmi honay ki mere kisne qabar pahunchayi


Jhooth hai maine toh hargiz nahin barchi khaayi
Aap tak bete ko taqdeer salaamat laayi
Dekhey hazrat ke qadam tanh mein meri jaan aayi
Margh se pehley ho maatam yeh zaboon hai amma
Mere kapdoun pah toh Abbas ka khoon hai amma

Salaam Marsia Nauha Marsia 107


Boli Bano ke joh kehtey ho khuda yoonhi karey
Ae mere laal yeh ma teri bala lekey marey
Lao dho daaloon mein joh qoon mein kapdey hain bharey
Chaand se haath hain phir kisliye chaati pah dharey
Mujh ko maloom huva qalq se jaatey ho tum
Mere roney ke liye zaqm chupatey ho tum

Bano sadme se na marjaye yeh darr hae beta


Sab tere dil ki mere dil ko qabar hai beta
Haye seena yeh tera khoon mein tar hai beta
Phir yeh kya hai joh nahin zaqme jigar hai beta
Sansanatah hai jigar jaan chali jaati hai
Is lahu se toh mere doodh ki booh aati hai

Aarzu hai ke phale phoole mera naqle muraad


Tum dulhan byaah ke laao mera ghar ho aabaad
Dekh loon ankhon se apni main tumhari aulaad
Phir main duniya se joh guzroon toh rahe rooh bhi shaad
Daadi kehlaoongi rutbaah mera bartar hoga
Tera farzand bhi humshakle payambar hoga

Aah ki sunke yeh Akbar ne basad ranjo malaal


Dard chaati mein utha ghair huva aur bhi haal
Dil mein yeh sonch ke roney laga woh nekh qisaal
Hum safar kartey hain amma ko hai shaadi ka qayaal
Barr mein hovega kafan qaak pah chehra hoga
Na dulhan hogi na aulad na sehra hoga

*****

108 Marsia Salaam Marsia Nauha


Pidar ki maut hai marnaa jawaan betay ka
Safar jahaan sey karnaa jawaan betay ka
Ghazab hai khoon may bharnaa jawaan betay ka
Sitham hai jee sey guzarnaa jawaan betay ka
Shabaab tha ke shahey mashraqain sey chutey
Mohibbo peeto ke Akbar Hussain sey chutey

Khuda pidar ko na dikhlaaye marg-e-rahaat-e-jaan


Kaleja zakhmi ho.jab dil ko phir kharaar kahaan
Idhar to seena-e-Akbar se guzri nok-e- sinaa
Lahoo udhar huva chashmey Imaam e-deen sey ravaan
Tadap ke jaanib-e- gardhoo nigah ki sheh ney
Zameen hilgayee ek aisi aah ki sheh ney

Pukaartey huve daudey meray shaheed pisar


Meray jawaan meray mehroo meray sayeed pisar
Meray Haseen meray Yousuf meray Rasheed pisar
Qareeb ho kahin maidaan se ya bayeed pisar
Pidar pey aaj nayee waaredaath hai beta
Khabar nahin mujhe din hai ke raat hai beta

Kidhar gaye meray gul pairahan Ali Akbar


Meray khaleeq meray kam sokhan Ali Akbar
Jawaana rnarg-e-ghareebul watan Ali Akbar
Ujaad kar gaye mera chaman Ali Akbar
Bulaakey ghar se yahaan ashqiyaa ney loot liya
Duhaayi hai ke mujhey karbala ney loot liya

Salaam Marsia Nauha Marsia 109


Pukaartey thay ke aye sheir phir pukaar mujhey
Nahin bathaney ke laasha yeh nabakaar mujhey
Teray firaaq mai hai zeesth naagawaar mujhey
Sada sunadey mai sadqey phir ek baar mujhey
Galey lagaalo ke seenaa hamaara jalta hai
Kaleja muh sey koyi dum mai ab nikaltha hai

Pukaari devdi sey bano pisar mila ke nahin


Bataao marham-e-zakhm-e-jigar mila ke nahin
Sitham ke abr may mera qamar mila ke nahin
Ali ke laal woh aali gohar mila ke nahin
Shitaab laao meray mannatoun ke paaley ko
Tumhee sey loongi main apney muraadoun waaley ko

Yeh zikr tha ke sadaa aayi door sey naagah


Janab-e-qibla-o-kaaba ab aayieh lillah
Huzoor haal sey betay ke kya naheen aagah
Zabaan aeint gayi hai ghulam ki yaa shah
Ukhad raha hai dum ab maut jaan lethi hai
Pukarney ki bhi taaqath jawaab dethi hai

Sadaa yeh sunthey hi sultan-e-behrouber daudey


Ye dard-e-dil tha ke thaamey huve jigar daudey
Kabhi toh fouj pa manindey shair-e-nar daudey
Kabhi idhar gaye rothay kabhi udhar daudey
Lutee huvi woh kamaayi basad talaash mili
Zameen pey khoon may ghaltaan pisar ki laash mili

*****

110 Marsia Salaam Marsia Nauha


Zaqmi sina se run mein jo sheh ka pisar hua
Har simt se laeen har ek hamlawar hua
Tar qoon mein marqae qairul bashar hua
Aqir juda iqaab se woh sembar hua
Maqtal mein kya hujoom tha is noore ain par
Parwane gir rahe they chirage Hussain par

Girna tha bas ke sar pa laga gurz hai sitam


Yoon jhuk gaye ke hote hain sajde main jaise qam
Rakhdi gale pah sheesh ne shamsheere tez dum
Talwar ek padi ke hui phasliyan qalam
Ghul tha karo na rahem tan-e paash paash par
Dowda doh ghode Akbare mehroo ki laash par

Hazrat khade thay qaime ki pakde hue tanaab


Sun kar yeh ghul rahi na dile naatawan ko taab
Naagah aai run se sada ae falak janab
Beta jahan se jata hae ab aayieh shitaab
Laashe pah zulm-o jor badh af-aal karte hain
Ghodon se ahle keen hamein paamal karte hain

Sunkar yeh isteghasa farzande khush qisaal


Sayyad ne aah ki ke hila arshe zuljalaal
Khole Janabe Fatema ki betiyon ne baal
Bano pukari qair toh hae ae Ali ke laal
Hae hae pisar se kaunsi maadar bichad gayi
Sahab batao kya meri basti ujad gayi

Salaam Marsia Nauha Marsia 111


Naize se kiske laal ka zakhmi hua jigar
Karte hain kiski laash ko paamal ahle shar
Kehta hae kaun run mein tadap kar pidar pidar
Ab ghar se mein nikalti hoon ya syeddul bashar
Parda na mujhse kijiye sab jaanti hoon mein
Awaaz yeh usi ki hae pehchaanthi hoon mein

Bano ko qasmein deke chale shahe naamdar


Woh pyaas aur woh dhoop ka sadma-o izteraab
Dil tha ulat palat toh kaleja tha beqarar
Uthte thay aur zameen pah girte thay baar baar
Chillate thay shabihe payambar hum aate hain
Ghabraiyo na ae Ali Akbar hum aate hain

Aaoon kidhar ko ae Ali Akbar jawab doh


Chilla rahi hae dewdi par maadar jawaab doh
Akbar baraae qaliqe Akbar jawab doh
Beta jawab doh mere dilbar jawab doh
Girte hain hum sawaab ka hathon se kaam lo
Beta zaeef baap ke bazoo ko thaam lo

Laashe pisar ko dhoondhtey thay Shahe behrobar


Sar peetne ki jah hai ke hanstey thay ahle shar
Kehta tha shumr ae pisar Syed-ul-Bashar
Kisko huzoor dhoondhtey hain margaya pisar
Qud dhoondh lijeeye jasad-e paash paash ko
Batlaaenge na hum Ali Akbar ki laash ko

112 Marsia Salaam Marsia Nauha


Yeh sunke kheinchli Sheh wala ne zulfiqaar
Chamki joh barq tegh toh bhaage sitam shiaar
Sheh ko nazar pada Ali Akbar ka raahwaar
Chillaye ae aqaab kidhar hae tera sawaar
Dikhlaadey mujhko laash mere noore ain ki
Kis dasht mein padi hae biza-ath Hussain ki

Ghode ne hinhina ke suey dasht ki nazar


Yaane ke laash aapke pyaare ki hae idhar
Jaata tha aagey aagey woh taazi bachashme tar
Ghoday ke peeche jaatey thay hazrat barehna sar
Jungle mein laashae pisar-e naujawaan mila
Woh mehleqa mila pah magar neem jaan mila

Hichki ke saath kehtey hain wa karke chashme tar


Aye jaane jism zaar mein ek dum zara tehar
Aye mauth bewatan ki jawaani pah reham kar
Aye dard tham zara ke phadaktah hae ab jigar
Phir ek baar Syedde wala ko dekhloon
Mohlath bus itni dey ke main baba ko dekhloon

Dushman ko bhi na bete ka laasha Khuda dikhaaye


Hazrath zameen pah girke pukaare ke haye haye
Zinda rahe yeh peer jawaan yoon jahan se jaaye
Aye laal teen roz ke faaqe mein zaqm khaaye
Shaayad jigar ke zaqm se tum beqaraar ho
Zaqmi tumhari chaathi pah baba nisaar ho

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 113


Kisi ka khaana-e-ummid bey charaag na ho
Jawaan betay ka dilko pidar kay daag na ho
Hazaar baagh lutain par khizaan yeh baagh na ho
Pisar kay gham sey pareshaan dil-o-dimaagh na ho
Falak balaa ka Shahey Karbala pa toota hai
Musaaferi main baraabar ka laal choota hai

Woh laal jisko na pahoonchey koyi durr-e-shehvaar


Waheed-e-asr shabaahath main Ahmad-e-Mukhtaar
Hameisha misl-e-Ali rozadaar shab beydaar
Shujaa-o-muttaqi-o-khush mizaaj gheerathdaar
Yeh sab kamaal miley zeir-e-khaak ek din main
Tamaam hogaye attaara saal kay sin main

Batool kehthi thi faryaad ya Ali faryaad


Meri bahoo huvi barbaad ya Ali faryaad
Bajaaye rahem hai beydaad ya Ali faryaad
Khuda kay waasthay doh daad ya Ali faryaad
Duhaayi Yousuf-e-aal-e-abaa ko maara hai
Jawaan ko maara hai naakith Khuda ko maara hai

Likhaa hai waa abathaa ki joonhi sadaa aayi


Hussain Imam kay chehrey pay murdhani chaayi
Woh aah ki kay Zari-e-Rasool tharraayi
Ravaana hogayi ashkoun kay saath beenaayi
Sawaar-e-doush-e-Payambar ki aas toot gayi
Inaan-e-sabr toh thaami lagaam choot gayi

114 Marsia Salaam Marsia Nauha


Pukaarthay hain pisar ko pisar nahin aatha
Jigar main dard hai Laqthay jigar nahin aatha
Koyi rafeeq-e-Shahey behrobarr nahin aatha
Tumhaarey bhaayi ko rasthaa nazar nahin aatha
Pisar kay gham main khoozaada mera halaak huva
Basaa basaaya ghar unsatt baras ka khaak huvaa

Yahaan toh Fizza yeh karthi thi dard ki taqreer


Asaa-e-aah utthaa kar udhar chaley Shabbir
Andheira saamney aankhoun kay aur dil tagheer
Har ek baar yeh naara kay ya janab-e-Ameer
Kabhi utthey kabhi Sultaan-e-Mashraqain girey
Likhaa hai yeh kay bahaathar jagaah Hussain girey

Qadam qadam pa ttaheirthay thay Shaahey tashnaa guloo


Hawaa main soongthay thay apney laal ki khushboo
Zameen pa bait kay gaahey bahaathay thay aansoo
Talaash karthay thay haathoun sey laash ko harsoo
Jo koyi poochtha tha kya Huzoor dhoondthay hain
Toh rokay kehtay thay ankhoun ka noor dhoondtey hain

Qareeb-e-fouj jo Sultaan-e-behrobarr aaye


Pukaarey hanskay adoo khair hai kidhar aaye
Yeh koun margayaa jo aap nangay sar aaye
Piyaadah dhoop main thaamey huvey jigar aaye
Yeh koun chaand huvaa aaj door aankhoun sey
Kay chaen dil sey gaya aur noor aankhoun sey

Salaam Marsia Nauha Marsia 115


Kaha Hussain ney rokar tumhey nahin maaloom
Hamaarey ghar main hai mehshar tumhey nahin maaloom
Mitee Shabihey Payambar tumhey nahin maaloom
Chutaa Hussain sey Akbar tumhey nahin maaloom
Rulaaney ko yeh Imam-e-Umam sey poochtay ho
Churee phiraakay kaleijay pa humsey poochtay ho

Aye aankhein waalo mera noor-e-ain kisjaa hai


Jawaano bolo meray dil ka chaen kisjaa hai
Jawaan-e-faatahey badr-o-hunain kisjaa hai
Zaeefo ainak-e-chashm-e-Hussain kisjaa hai
Kaho Rasool ki tasveer ko kahaan khoyaa
Asaa-e-peeri-e-Shabbir ko kahaan khoyaa

Pukaara shimr kay koyi nahin bathaaney ka


Badaa sawaab hai saadaath kay rulaaney ka
Na zinda chodeingay bachcha bhi is gharaaney ka
Iraadaa hai Ali Asghar kay khoon bahaaney ka
Jo teer paar ho nanhey galay sey eid karein
Tumhaari godh mai shashmaahey ko shaheed karein

*****

116 Marsia Salaam Marsia Nauha


Dashtey balaa mein gumh Ali Akbar ki laash hai
Farzand-e-Faatima ko pisar ki talaash hai
Daagh-e-jigar ko naakhoon-e-gham ki kharaash hai
Sangh-e-alam sey sheesha-e-dil paash paash hai
Banu ko ghash hai Ahle-haram dard mandh hain
Hai hai pisar ki ghar mein sadaayein buland hain

Chillaathay hain kay baap kay pyaarey kidhar gaye


Aey noor-e-chashm aankhon kay taarey kidhar gaye
Aey meri zindagi kay sahaarey kidhar gaye
Pahooncha kay mujhko gour kinaarey kidhar gaye
Andher hai agar na tumhein paayega pidar
Aawaaz dogay tum toh chalaa aayega pidar

Rootthey ho kis liye Ali Akbar jawaab do


Sadqey ho baap aey meray dilbar jawaab do
Aey meray hum Shabihey Payambar jawaab do
Tum sey bichadd kay zeesth ho kyunkar jawaab do
Jo raah hai tumhaari wohi apni raah hai
Laazim hai rahem baap ki haalat tabaah hai

Kis jaah pey tum paddey ho bathaao pidar nisaar


Aawaaz hum ko apni sunaao pidar nisaar
Hum gir paddey hain aa kay utthaao pidar nisaar
Chhaati sey phir pidar ko lagaao pidar nisaar
Ruksath hai apney ghar ko zaraa dekh bhaal lo
Lagzish hai haath paoon mein Akbar sambhaal lo

Salaam Marsia Nauha Marsia 117


Kis sey mein puchoon kaun tumhaara pathaa bathaaye
Yeh beykas-o-ghareeb musaafir kidhar ko jaaye
Qismath mein meri tthokrein likkhi hai haaye haaye
Is zindagi sey kaash Khuda humko bhi utthaaye
Andher hai kay goud kay paaloun sey chutt gaye
Manzil pa aakay qafilay waaloun sey chutt gaye

Ab haath bhi pakadd kay utthaatha nahin koyi


Roney pa meray rahem bhi khaata nahin koyi
Yousuf ki meri shakl dikhaata nahin koyi
Beta tumhaari laash bathaatha nahin koyi
Haalat hamaari kaahey ko dekhi hai aap ney
Tum ko khayaal hogaa khabar li na baap ney

Aey fouj-e-zulm Baano kay dilbar ko kya kiya


Beykas ko tashnakaam ko beypar ko kya kiya
Aey zaalimo Shabihey Payambar ko kya kiya
Miltaa nahin meray Ali Akbar ko kya kiya
Lillaah do pataah kay bhattaktey hain raah mein
Shaayad giraa diya meray Yousf ko chaah mein

Chillati hai kay goudh ka paala kahaan gaya


Aankhon ka noor ghar ka ujaalaa kahaan gaya
Chashm-o-chiraagh-e-Syed-e-waalaa kahaan gaya
Meraa woh lambey geysuoun waalaa kahan gaya
Do betay kho kay paayaa tha is naunehaal ko
Barchi sey kisney qatl kiya meray laal ko

*****

118 Marsia Salaam Marsia Nauha


Shahadath Shehzaada-e-Qasim ibne Hasan (a.s.)

Zakhmi jo run may Qasim-e-gul pairahan hua


Paidaa shahana jodey sey rang-e-kafan hua
Bagh-e-jinah Rasool ko Baitul Huzzan hua
Aur Fouj-e-keen may shaad har ek thegh-e-zann hua
Ghul tha ke raundh dala hai lashkar ke baagh ko
Aan ghaziyo bujhado Hassan ke charaagh ko

Ghabraagaye yeh sun ke sadaa Sarwar-e-Anaam


Abbas-e- naamvar sey yeh us dum kiya kalaam
Lo bhaayi jung ho chuki qissa hua tamaam
Aaya soovey yateem-e-Hassan maut ka payaam
Humshakl-e-Mustafa ko bulaalo pukaarkey
Maango dua saroun sey amaamey utaarkey.

Yeh kehkay qibla rooh huvey Sultaan-e-Kaainaath


Dargah-e-Kibriya may dua ki utthakey haath
Aye Khaaliq-e-zameeno-zamaa Rabbe paak zaath
In zaalimoun ke haath sey Qasim ko dey najaath
Tu haafizey jahaan hai Kareemur Raheem hai
Ya Rab bachaa isey ke yeh bachchaa yateem hai

Nikla yeh sab ke mooh sey ke hai hai Hassan ke laal


Zainab ney uttkey khol diye apney sar ke baal
Seenay mai hil gaya dil-e-Banu yeh khush qisaal
Chillayi maa guzar gaya kya mera nauneyhaal
Abid ka taph sey garm badhan sard ho gaya
Qasim ke chotey bhaayi ka mooh zard ho gaya

Salaam Marsia Nauha Marsia 119


Chillayi rokay zauja-e-Abbase naujawaan
Ya Rab hai tu yateem-e-Hassan ka nigahbaan
Sunkar yeh ghul dulhan ke bhi aansoo huvey ravaan
Leykar balayein saas pukaari ke meri jaan
Khaaliq kareyga rahem na aaho buka karo
Dulha pa aah bani hai mai sadqey dua karo

Is isteraab may jo sunaa saas ka sukhan


Zaanu sey sar uttakey huvi qibla rooh dulhan
Aahistha ki yeh arz ke aye Rabbey zulmeinan
Dushman pey fathey yaab ho laqthey dil-e-Hasan
Laddney gaye hai tashna dahan teri raah mai
Rakh meray ibney amm ko tu apni panaah mai

Ya Rab dulhan baney mujhey guzri na ek shab


Dulha jo margaya toh mujhey kya kahengay sab
Ab takh toh sharm sey na hilaaye thay mainey labb
Par kya kahoon ke ab hai meri rooh par thaab
Shabbar ke aftaab ka waqt-e-ghuroob hai
Dulha sey pehlay mujhko utthaley toh khoob hai

Sehray ke phool bhi abhi sookhey nahi hai aah


Jo aagaya payaam rundaapey ka ya ilaah
Yeh aqdh tha ke maut thi maatam tha yak e biyaah
Baad iskey hoga khalq mai kyonkar mera nibaah
Utt hoon jahaan sey dilbar-e-Shabbar ke saamney
Aurath ki maut khoob hai shouharr ke saamney

120 Marsia Salaam Marsia Nauha


Ghash mai jhuka faras pe jo woh gheerath-e-qamar
Maara kisiney farq pa ek gurz taanh kar
Barchi lagi jo shees ki tukdey huvaa jigar
Girthey thay asp sey ke kamar par lagaa tabarr
Taarooq ki teigh khakey pukaarey Imaam ko
Faryaad ya Hussain bachaalo ghulaam ko

Jhaptey jo Shah fauj paa chamkakey Zulfeqaar


Bijli giri Yazeed ke lashkar pa ek baar
Is ghaiz mein yameen sey jo aaye suvey isaar
Bhaagey phira ke ghodoun ki baagoun ko sab sawaar
Bhaaghard may khoon sey run ki zameen laal ho gayi
Dulhaa ki laash ghodoun sey paamaal ho gayi

*****

Ae mominon judai hae dulha dulhan mein aaj


Qillat kafan hae paikare Ibne Hassan mein aaj
Hai shore alvida har ek mardo zan mein aaj
Hai beqaraar rooh Hassan ki kafan mein aaj
Shaadi ki jah yeh naubate faryaado aah hai
Dulha ki taqtgah bas ab qatl gah hai

Rotey thay dhadein maar ke naamoose shahe deen


Aaya dulhan se milne ko Shabbar ka nazneen
Rothi thi sar ko zano pah rakhe woh mahjabeen
Sadme se hilgaya jigar-e-Qasim-e hazeen
Dil thaam kar so-ey rukhey Kubra nigaah ki
Yeh dard utha ke baith kar masnadh pah aah ki

Salaam Marsia Nauha Marsia 121


Rakh kar dulhan ke maathe par haath apna yoon kaha
Sar ko uthao rothi ho kyon tum pah mein fida
Sahab tumhare baap ne toh hum ko di raza
Doh tum bhi izne jung ke narghe mein hae chacha
Aate hain teere zulm shahe khushqisaal par
Wallah jaaye rahem hai ammu ke haal par

Ibne Hassan ne baaton mein khola bahut magar


Qufle dahan haya thi na boli woh nauhagar
Dulha ne jabke rakhdiya jhuk kar qadam par sar
Pehloo mein dil tadap gaya phatne laga jigar
Ghoonghat mein aftab sa moonh zard hogaya
Kaanpi yeh sharm se ke badan sard ho gaya

Aakhir baha ke ashk yeh boli woh rashke mah


Lutt-teh hain bachpaney mein kahen kya zuban se aah
Choda jab aap ne toh hamara kahan nibah
Qismat mein tha ke qaide sitam mein phire tabah
Basti luta ke qabr ko aabad kijiye
Joh aapki khushi hamein barbaad kijiye

Sahab tumhee qafa nahin laundi se is qadar


Bezaar mauth bhi hae ke ab tak na li qabar
Kya bus hamara qair sidharo karo safar
Niklenge hum bhi ghar se koi dum mein nangay sar
Chaale hamare sab se juda hae zamane mein
Tum hongay qatlgaah mein hum qaid qane mein

122 Marsia Salaam Marsia Nauha


Baba qareebe marg chacha aazim-e-safar
Bhai gala katane pah baandhe huve kamar
Jaldi tumhein ke pehle hameen hoyein khoon mein tar
Dhoondhoon bathao kiska sahara mein nauhagar
Doh kuch jawab paon pah kyon sar jhukate ho
Ek raat ki dulhan ko kise soumpey jaate ho

Roka hae kisne roteh ho kaahe ko isqadar


Maalik Khuda hae bay--woun ki lega wohi qabar
Ho jaayegi hamari bhi har haal mein basar
Samjhenge umr bhar isi jungle ko apna ghar
Bhai ki aas hai hamein ab toh na baap ki
Kaatenge dukh randapay ka turbat pah aapki

Saheb hamein kalaam ki taaqath nahin hae ab


Yeh toh kaho ke tumse mulaaqaath hogi kab
Dulha ne bharke ankhon mein aansu kaha yeh tab
Kowsar pah roze hashr miloonga mein tashna lab
Dadi ke saath jab suey Firdaus jaoongi
Jis jah Hussain hongay waheen humko paoongi

Rokar pukaari maa ke mai qurbaan jaaoon aao


Nargha hai shaamiyon ka chacha ki madad ko aao
Beta bus ab dulhan ki mohabbat se haath uthao
Lena hae baaghe quld toh phal barchiyon ke khao
Sadqe gayi azeez na apna lahu karo
Jaldi gala katakey mujhe surq rooh karo

Salaam Marsia Nauha Marsia 123


Tapka ke ashk ankhon se bola woh naujawaan
Lo ammajaan Qaliqe Akbar nigaahbaan
Jab run se aaye laasha-e-majrooh khoonchkaan
Is tehelke mein rakhiyega apni bahu ka dhyaan
Roye toh aansu ponchke samjhaiyo inhein
Amma hamari laash na dikhlaiyo inhein

*****

Narghaa hai dilbar-e-Hasan-e-sabz poush par


Chaaro taraf hai teeroun ki bochaar josh par
Dil par sinaan ka zakhm hai pehloo pa doush par
Sehray ki sab katee huvi ladiyaan hain doush par
Talwaar run mai dulhaa ka muh khoon sey dhothi hai
Khaimey main ghul hai aaj dulhan raand hothi hai

Beh beh kay khoon tapaktha hai har baar haath sey
Zakhmi hai niklee jaati hai talwaar haath sey
Ab kya karein nabardh hai beykaar haath sey
Chooti inaan aspay wafaadaar haath sey
Khoon behgaya jahaan sey muh moddney lagay
Girkar zameen-e-garm par dam toddney lagay

Sar kaatney idhar sey baday fouj kay sawaar


Daudey udhar sey Shah alam karkey Zulfiqaar
Thay saath saath Akbar-o-Abbas-e-naamdaar
Dehshath sey teen shairoun ki bhaagay sitam shiyaar
Majrooho naathawaan ka ajab haal hogayaa
Ghodoun sey jism dulhey ka pamaal hogayaa

124 Marsia Salaam Marsia Nauha


Ronay lagay Imam-e-Umam dekh kar yeh haal
Laasha utthaakay ley chalay aakhar basadh malaal
Ek doh qadam baddhaa tha Rasool-e-Khuda ka laal
Hichki jo aayi margayaa hai hai woh khush qisaal
Godhi main Sheh ki phool sey kumlaa kay rehgaye
Baazu lahoo bharay huvey tharraakay rehgaye

Fizza ney dekha Sheh ko jo aathay huvey idhar


Khaimey kay sahen sey yeh pukaari bachashm-e-tarr
Saidaanio uroos sey hoshyaar-o-baakhabar
Deodi takh aayi maadar-e-nausha nauhagar
Faakhoun sey hain niddhaal qadam ladkadaathe hain
Masnadh bichaao dulhaa ko Shabbir laathay hain

Haalath hai gham sey ghair Shahey khushqisaal ki


Hai hai jawaani qaasim-e-Yousuf Jamaal ki
Poshaak khoon sey surkh hai us nauneyhaal ki
Aao baraath dekhlo Shabbar kay laal ki
Ronay ka shore charq pa jaata hai saahibo
Dulhaa chacha ki goadh mai aata hai saahibo

Daudey harum idhar sey khuley sar barehna paa


Khaimey main aaye laash liye Shaahey dosaraa
Naamoos main qayamath-e-Kubra huvi bapaa
Waah Qaasima ki charq pa jaaney lagi sadaa
Behnay qareeb aagayeen aansoo bahaaney ko
Pehlaaye maa ney haath galay sey lagaaney ko

Salaam Marsia Nauha Marsia 125


Khaimey takh aaye sab harum-e- paak nauhagar
Laasha litaakay ronay lagay Shaahey behrobar
Abbas peetnay lagay haathoun sey apna sar
Kubra kay paas rakhdiya sehra lahoo main tarr
Taghyeer haal maadar-e-ghamnaak hogaya
Seenay kay zakhm dekh kay dil chaak hogaya

Fizza ney baandha hujreh ka pardaa basadh malaal


Laayi dulhan ko thaam kay Banu-e-khush qisaal
Mitti bhari thi maang main Kubra ka tha yeh haal
Maelee si chaadar odhey huvey kholay sar kay baal
Dikhlaa kay zakhm sab jasadh-e-paash paash kay
Bittlaadiya uroos ko pehloo mai laash kay

Jisdum dulhan ney dulhaa kay zakhmoun pa ki nazar


Kaampaa kaleijaa ashk bahey shaq huva jigar
Qadhmoun ki samth jhuk kay boli woh nauhagar
Saahib uttho hum aaye hain laashey pa nangay sar
Kholay hain baal beykas-o-naalaan ko dekh lo
Tum bhi hamaarey haal-e-pareishaan ko dekh lo

Saahib bathaao kya main aseer-e-meihann kahoon


Beykas kahoon ghareeb kahoon beywatan kahoon
Zakhmi kahoon main aapko ya beykafan kahoon
Dulhaa kahoon kay aapko ibne Hasan kahoon
Kya kehkay rovoon koyi bathaata nahin mujhey
Taaza dulhan hoon bayn bhi aata nahin mujhey

126 Marsia Salaam Marsia Nauha


Fizza ney laakay ithney main randsaala rakhdiya
Dulhaa ki maa ney haath main usko utthaaliya
Aur boli isko pehno yeh qallath hai bevaa ka
Kubra ney sar ko peetkay aur rokay yeh kaha
Ab kyon libaas beyvoun ka mujhko pehnaathay hain
Dulhan banaakay kya koyi bevaa banaathay hain

*****

Qasim jo hum Shabihey janab-e-Ameer tha


Is wajha sey woh gheerath-e-mehray muneer tha
Aur aashiq-e-jamaal-e-Shahey bey nazeer tha
Parwaana-e-charaag Rasool-e-qadeer tah
Akbar sey kehtha tha kay chacha toh Imam hain
Aye bhaayi jaan hum toh tumhaarey ghulaam hain

Yeh kehthay thay ke tum meray daada ki shaan ho


Dil ho jigar ho aankh ho bhaayi ki jaan ho
Aye bhaayi jaan kya teri khoobi bayaan ho
Hazrat Hasan ki tarhaa sey tum shireen zabaan ho
Phir pyar se woh haathon ko gardhan mai daalkay
Kehthay thay qatl hongay hum atthaara saal kay

Fouj-e-jafaa sey ithney mai teer-e-jafaa chalay


Aur yaan sey peishwaayi ko ahley wafaa chalay
Aaye Khuda ki samth sey suvey Khuda chalay
Kehthay thay Shah zor-e-muqaddar sey kya chalay
Qasim rahey aur Akbar-o-Abbas rehgaye
Satharr doh tanh main teen jawaan paas rehgaye

Salaam Marsia Nauha Marsia 127


Is gham sey jo Hussain ki haalath huvi tabaah
Tabh haath pakday khaimey mai Qasim ko laaye Shah
Zainab sey phir yeh bolay Imam-e-Falak panaah
Dar peish humko aaj hai doh beykasoun ka biyaah
Taqreeb soghvaaroun main dulha dulhan ki hai
Zainab uttho uttho yeh waseeyath Hasan ki hai

Ibne Hasan ko laakay libaas-e-Hasan pinhaao


Qasim ki maa ko maadar-e-Kubra ko jald laao
Woh boli jaan bhujjkay bhaiyya na yeh sunaao
Is kaam kay liye toh kisi aur ko bulaao
Maatam kay ghar sey koyi bhi jaata hai biyaah main
Betoun moyee ko koyi bulaatha hai biyaah main

Jin haathoun sey kay betoun ki laashein utthaaoun main


Un haathoun sey bhateejay ko dulhaa banaaoun main
Farsh-e-aza jahaan pa ho safay maatam bichaaoun main
Kubra ko waan libaas-e-uroosi pehnaaoun main
Kyonkar bhalaa yeh ussay ho jo khairkhaa ho
Meri toh yeh dua hai mubaarak yeh biyaah ho

Yaadash bakhair Fatema Soghra nahin yahaan


Rukhsath kay waqt kehthi thi mujsey woh naathawaan
Qasim ka biyaah huvey safar main jo naagahaan
Tum mujhko yaad karkay bulaalijiyoh wahaan
Afsous ki jagaah hai koyi naamabar nahin
Qasim ka biyaah hotha hai isko khabar nahin

128 Marsia Salaam Marsia Nauha


Sheh ney kahaa bahen na tharad-dudh karo zaraa
Maatam ka apney betoun kay haan uzar hai bajaa
Yeh aqdh bhi hai fidyaa sibtey Rasool ka
Shaadi kujaa aur aal-e-Rasool-e-Khuda kujaa
Jaayega namuraad yeh dulhaa jahaan sey
Taa hashr shaadi utt gayi is khaandaan sey

Kehthi thi yoon phupi sey Sakina kay kya hai gham
Lo bhaayi dulhaa banthay hain ab nekh leingay hum
Saamaan-e-aqdh jamaa pareishaan magar harum
Qasim ki maa pukaari fidaa aye Shahey umam
Laoundi hoon aaj sey main shahey khushqisaal ki
Shaadi Hussain karthay hain beva kay laal ki

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 129


Shahadath Hazrat Abbas (a.s.)

Jab sadre zeen se gir pade Abbase bawafa


Jungle se aai giryae Zehra ki bhi sada
Akbar ne daud kar shahe wala se yeh kaha
Chaliye huzoor nehar pa maare gaye chacha
Bay dast dushmanon ne kiya uss deler ko
Ro aayieh tarai mein Hyder ke sher ko

Yeh sunke peet tey huve uthe zameen se shah


Farmaya hae ghazab mere bachhe huve tabah
Yeh kya kaha ke ankhon mein din hogaya siyah
Mazloom se bichad gaye Abbas aah aah
Muddat hui tamam Sakina ke chaen ki
Toda falak ne aaj kamar ko Hussain ki

Ye kehke su-ey nehr chale shahe karbala


Maninde baidh kampthay thay Sheh ki dastopah
Amama tha na farq pah ne dosh par rida
Tasveer vaar thay hamatanh sibte Mustafa
Maqtal ki qaak se tane anwar ata hua
Seena khula hua tha gareban phata hua

Pahunche joonhi taraai mein ba deeda puraab


Dekha tapaanh hae qaak farzande bu Turab
Shano peh ki nazar toh jigar ko rahi na taab
Bas ha-e bhai kehke gira woh falak janab
Bekaar dasto pa thay shahe khush qisaal ke
Le aaye laash tak Ali Akbar sambhal ke

130 Marsia Salaam Marsia Nauha


Moonh rakhke khoon bhare huve chehre peh di sada
Bhaiyya Hussain aaya hae awaaz doh zara
Haihaath dono haath badan se hue juda
Bazoo ke sadqe in tere shaanon ke main fida
Bhaiyya hamare haath toh bekaar ho gaye
Tum haath kho ke Jaffar-e Tayyar ho gaye

Sun kar sadae hazrate Shabbire namdaar


Khola lahu bhari hui ankhon ko ek baar
Sar rakh ke paaye sheh pah yeh bola woh zee viqar
Tashreef aap laye zahe izzo ifteqar
Jee chahta hae yeh ke nisare huzoor hoon
Kis tarha uth ke gird phiroon choor choor hoon

Baithe hain aap aur mein leta hoon aah aah


Kya door hae huzoor agar baqsh de gunaah
Sar shaq hae zarbe gurz se ya shahe deen panaah
Karwat bhi ab toh le nahin sakta hae qair qah
Dukhte hain bolne main jarahath phate hue
Dekhe huzoor mere hain bazoo kate hue

Moonh rakhke moonh pah kehne lage shah-e-khushqisal


Abbas mein kin ankhon se dekhoon tera yeh haal
Is dum bhi hae tumhe mere aadab ka khayaal
Jab zibha honge hum toh kise hoega malaal
Sadqe Hussain tere taneh paash paash ke
Ek baar hum ko gird toh phirne doh laash ke

Salaam Marsia Nauha Marsia 131


Yeh sunke us diler ne ek sard aah ki
Mashkeeza pa tadap ke bahasrath nigah ki
Moonh sharm se chupa liya godhi mein shah ki
Haalat tabaah hogayi Hyder ke maah ki
Jab dil ko bekali ho toh kis tarha kal pade
Zaanu pah sheh ke ankhon se ansoo nikal pade

Farmaya sheh ne kisliye rotey ho zaar zaar


Lo ab kuch apna haal kaho tum pah main nisar
Kya jee pah hai bani jo tadapte ho baar baar
Ki arz us jari ne ke hae waqte ehtezaar
Aqa se chootne ka qalaq hae ghulam ko
Paonga ab kahan shahe gardoon muqaam ko

Yeh kehte thay ki phir gayi ankhon ki puthliyaan


Hichki ke saath aagayi sookhe laboun pah jaan
Hasrath se dekh kar tarafe shahe insojaan
Duniya se kooch kargaye Abbase naujawan
Choda jari ne saath shahe mashraqain ka
Ek ghul utha ke margaya aashiq Hussain ka

Chillati hae yeh zowjae Abbase naamwar


Chodo mujhe quda kiliye peetne doh sar
Waris mera guzar gaya loota ajal ne ghar
Hae hae yateem hogaye dono mere pisar
Pardes mein Ali ke pisar se bichad gayi
Ab qaak udaane doh ke meri maang ujad gayi

*****

132 Marsia Salaam Marsia Nauha


Jab Ibne Bu Turaab baroove zameen gira
Be dast hoke khaak pah woh mehjabeen gira
Aur haath ek taraf alame sheh kahin gira
Chillai Fatema ke mera nazneen gira
Kat-tah hae koi dum mein sar us naujawan ka
Mit-tah hai ab nishan Ali ke nishan ka

Sunte he is sada ke shahenshahe bahrobar


Dowde gire uthe na sambhala gaya jigar
Kaampe jo paon thaam liya bazooe pisar
Chillathe thay kaho Ali Akbar chale kidhar
Majma hatao fowje sitam ka taraai se
Beta milado jald mujhe mere bhai se

Akbar ujad gaya mera ghar wa museebata


Seedhi na hogi ab yeh kamar wa museebata
Hae aaj taza daage pidar wa museebata
Kaata gaya churi se jigar wa museebata
Pursa toh doon najaf ki taraf moonh ko modh doh
Sar peet tha chaloonga mere haath chod doh

Akbar qareebe laash joh laaye Hussain ko


Abbas jaan balab nazar aaye Hussain ko
Tadpa woh sher sunke sadae Hussain ko
Akbar ne haath utha ke dikhaye Hussain ko
Doh kohe gham ke dil pah joh ek baar gir pade
Pehloo mein laash ke shahe Abraar gir pade

Salaam Marsia Nauha Marsia 133


Ek baar ghash se chownk ke Abbase zee viqar
Aur jaan kani mein ankhon ko khola bahaale zaar
Poocha kidhar ho ae mere Aaqae namdaar
Hazrat lipat ke bhai se bole ke main nisaar
Sadmey hain jaan kani ke qozoon is judaai ke
Bhai ka daag pooche koi dil se bhai ke

Bhai tumhari baali Sakina jigar figaar


Bachhon se keh rahi hae yeh ba chashme ashkbaar
Ek lehzaa aur sabr karo tum pah main nisaar
Dekhoon ke jaan balab hae mera bhai sheer qaar
Pyaasi hoon main bhi teen din aur teen raat se
Ab paani laate hoenge ammu Furaat se

Hae kuch waseeyatein meri is waqt ya imam


Un mein se ek yeh hae tasadduq ho jab ghulam
Saahil se laash uthke na jaaye su-ey qayaam
Jis ja pada hoon qabr ka bhi ho waheen maqaam
Sarke na qaanazaad imame diler ka
Maskan rahe taraai mein Hyder ke sher ka

Aur doosri yeh arz hae aey shahe nekh qoo


Shehzadiyaan mahal se na nikle kushada moonh
Dekhe na aake bali Sakina mera lahu
Aur ek marte marte hae yeh dil ki aarzoo
Aaye lahad mein boo-e imame zaman mujhe
Baqshein huzoor apni aba ka kafan mujhe

134 Marsia Salaam Marsia Nauha


Sunkar yeh haal dil pa laga aur teere gham
Roye lahu ke ashkon se Abbase zee hasham
Itna kaha ke rah gaye sharminda us se hum
Pahunchate mashk haath na hote agar qalam
Kuch bas chala ajal se na is bequsoor ka
Majboor ho gaya yeh behashti huzoor ka

Sar peeth kar yeh kehne lage shahe behrobar


Abbas tukde karte ho kyon bhai ka jigar
Achha na laash uthayega yaan se yeh nauhagar
Turbat banegi aapki be shubha nehar par
Sach hae ke bahre sher taraai zaroor hae
Bhai magar tumhari lahad hum se door hae

Yeh keh ke daal di taneh purnoor par aba


Farmaya ab toh shaad huey tumpah mai fida
Yeh qillate aqir hae ae mere dilruba
Isko bhi loot lenge magar baaniye jafa
Chin jayengi ridaein bhi is ishdehaam mein
Sar nangay raandein niklengi balwa-e aam mein

Yeh sun ke paaey shah ki jaanib jhukaya sar


Kaampe lahu bhari hui ankhon ko khol kar
Tapke mijha se khoon ke qatre idhar udhar
Kis yaas se Hussain pah ki aaqri nazar
Manka jari ka dhal gaya bhai ke saamne
Bhai ka dum nikal gaya bhai ke saamne

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 135


Jab qatl kiya neher pa Saqqa-e-Haram ko
Bhaayi ka diya daagh Shaheensha-e-Umam ko
Paani na diya pyaas mein is behray karam ko
Tha shore ke ab khauff kisi ka nahin hum ko
Ghazi ko jigar bandh-e-Yadullah ko maara
Abbas ko kya qatl kiya Shah ko maara

Aada toh yeh kehthey thay Shahey deen ka yeh tha haal
Tarr aansuoun sey hotha tha rumaal pa rumaal
Farmaathey thay kya hogaye Abbas e khush iqbaal
Duniya may nahin jeenay ka ab Fatema ka laal
Bin bhaayi basar hogi na ek aan hamari
Abbas ke maatam may gayi jaan hamari

Beykas huvey ab koyi nahin humdum-o-yaawar


Paayengay kahan aisa Wafadaar baraadar
Barr aaye kahin arzoo-e-Sibtey payambar
Jaldi meri gardhan pa chaley zulm ka khanjar
Dushman pey bhi yeh aalam tanhaayi na hovey
Jeenay ka mazaa qaakh hai jab bhaayi na hovey

Yeh kehkay tadapney lagey sultaan-e-doh aalam


Barpaa tha ajab khaima-e-Shabbir may maatam
Chillathi thi Zainab ke jigar phat-tha hai isdam
Bhaayi ke alam may na jeeyengay Shahey-Akram
Andher jahan hai jo Alamdaar nahin hai
Koyi meray bhaayi ka madadgaar nahin hai

136 Marsia Salaam Marsia Nauha


Samjha ke ussey run ko chaley jab Shahey Abraar
Daudi akhab-e-Shah Sakina jigar Afgaar
Chillayi ke Baba mujhey yahan chodo na zinhaar
Dikhlaadoh mujhey laasha-e-Abbas-e-Alamdaar
Paani na mila margaye woh khoon may nahaakar
Mai roungi ab laasha-e-Abbas pe jaakar

Dekha jo oosey Shah ney baa deedaye giriyaan


Kehnay lagey beti se basadh naala-o-afghaan
Maarey na koyi teer tumhey dushman-e-Imaan
Chalna tera laashey pey munaasib nahin is aan
Woh kehthi thi mai jee sey guzar jaoongi Baba
Wahn leykay na chaliyeh ga toh mar jaoongi Baba

Aakhir oosey dariya ki taraf lekay chaley Shaah


Yoon kehnay lagey fouj sey baddkar kayee gumraah
Kya qazd hai jaatey ho kidhar aye shahey zeejaah
Dariya pe woh maarey gaye thi jinki tumhey chaah
Paani ke liye laakh jawaanou sey ladey hain
Aur haath kataaye huvey hai reythi pa padey hain

Naagaah nazar aaya unhey laasha-e-Abbas


Chillake kaha haaye hum ab hogaye bey aas
Pahoonchengay na turn takh yehi tha bhaayi ko Vaswaas
Ab kaun bujhaayega Sakina ki bhala pyaas
Haathoun ke tassaduq taneh sadh paash ke sadqey
Aye jaane biraadar mai teri laash ke sadqey.

Salaam Marsia Nauha Marsia 137


Aankhon ko zara kholo toh qurbaan ho bhaayi
Qaimey sey Sakina tumhey lenay ko hai aayi
Kyon raith may yeh chaand si surath hai chupaayi
Sar peet ke tabh kehnay lagi Shah ki jaayee
Hai hai mujhey surath nahin dikhlaatey hain Ammu
Mai pyaasi rahi is liye sharmaathey hain Ammu

Tadpee jo yeh keh keh ke Sakina jigar afgaar


Tharraney lagaa laasha-e-Abbase Aiamdaar
Lashey sey lipat kar yeh pukarey yeh shahey Abraar
Sadqey teri ulfath ke Hussain aye mere ghamqaar
Ronay na diya tha kabhi is tashnaa dahan ko
Tharrathay ho ab sunkey Sakina ki fughaan ko

Khatoon-e-qayaamath ki sadaa ithney may aayi


Maaraa gaya hai hai meray shabbir ka bhaayi
Farzandh sey farmaaya yeh dey dey ke duhaayi
Pursaa tumhey deythi hai yeh gardhoon ki sathaayi
Shabbir bhi basadh dardo bukaa peet rahey thay
Laashey ke qareen sher-e-khuda peet rahey thay

*****

Jab izn paani laaney ka Abbas ko mila


Bachchoun ko jamaa karkay Sakina ney yeh kaha
Jaathay hain ab furaath pa dekho meray chacha
Kuch deyr aur sabr karo tumpa main fida
Paani ki main sabeel yahaan par lagaaoongi
Asghar ko sabsey pehlay main paani pilaaoongi

138 Marsia Salaam Marsia Nauha


Pyaasa hai teen roz sey Maasoom beyqathaa
Paani ka ek qathraa bhi usko nahin mila
Karbobala ki dhoop hai aur garm hai hawaa
Sookha huva hai pyaas sey beysheer ka gala
Labb tarr karoongi unkay toh woh muskuraaengay
Pehlaaye dono haathoun ko goadhi mai aayengay

Yeh zikr is taraf tha udhar fouj-e-naabakaar


Baadal ki tarhaa chaaney lagi phir sey ek baar
Ahley jafaa sey bhargaya maidaan-e-kaarzaar
Chillaa rahey thay saarey jafaa jo sitam shiyaar
Paani pahoonch sakay na Imam-e-Hussain takh
Mashkeeza jaa sakay na khiyaam-e-Hussain takh

Naagaha ek waar kameengaah sey huvaa


Shaana jaree ka hokay judaa jism sey giraa
Kuch door aur aagay baday thay kay aah aah
Teigh-e-sitam sey doosraa shaana bhi kat gaya
Daanthoun sey mashk thaam kay Abbas rehgaye
Darya lahoo kay jism-e-mubaarak sey behgaye

Aisey main ek teer lagaa aakay mashk par


Mashk-e-Sakina chidd gayee tharraa gaya jigar
Paani kay saath behgaye ummeed kay gowhar
Jhuk kar alam ney ghodey ki baagoun mai dee qatar
Saqqa-e-Ahlebaith kay shaaney qalam huvey
Bin Bhaayi kay jahaan main Shaahey umam huvey

Salaam Marsia Nauha Marsia 139


Akbar ki samth dekh kay bolay Shahey Huda
Tooti kamar Hussain ki aye meray dilrubaa
Beta hamaara qoowath-e-baazu huva judaa
lo hogaya hisaar-e-hifaazath shigaaftha
Dil mai hamaarey naiza-e-ranjo malaal hai
Bhaayi kay gham mai Bhaayi ka jeena mohaal hai

Yeh kehkay humlaawar huvey foujoun pa Shaaheydeen


Humshakl-e-Mustafa ney ulattdi jo aastheen
Tharraa gayee furaat larazney lagi zameen
Jaanein bachaa kay bhaag gaye run sey sab layeen
Pahoonchey Hussain teizee sey Bhaayi ki laash par
Hasrath baras rahi thi tanh-e-paash paash par

Bhaayi kay sar ko Shah ney zaanu pa rakh liya


Thay paayenthi khaday huvey humshakl-e-Mustafa
Phir rokay apney bhaayi sey bolay Shahey Huda
Dekho Hussain aaya hai aye jaan-e-Murtuza
Ab aa chukaa hai waqt-e-judaayi pukaar lo
Jaaney sey pehlay Bhaayi ko Bhaayi pukaar lo

Aankhoun ko apni kholkay bolaa woh tashnakaam


Sharmindhaa hai Sakina sey Abbas ya Imam
Laasha utthaaney ka na karein aap ehteymaam
Ab hashr takh rahega hamaara yaheen muqaam
Lillah baqsh dijiyeh shifa-ath kay naam sey
Koyi kamee huvi ho agar is ghulaam sey

140 Marsia Salaam Marsia Nauha


Phir Sheh ki samth dekh kay Abbas ney kaha
Yeh sab karam hai aapka ya Shaahey Karbala
Riqqath ka josh badd gaya ghuttney laga galaa
Bhaayi kay ek lafz mai tha poora marsia
Bhaayi kaha toh rooh badhan sey nikal gayee
Zaanu pa sheh kay gardhan-e-Abbas dhal gayee

Bolay Hussain rokay Alamdaar alvedaa


Aye beykasoun kay mounis-o-ghamkhaar alvedaa
Ahley harum kay qaafela salaar alvedaa
Jaao sidhaaro meray wafadaar alvedaa
Shaaney kataa kay Bhaayi ko bey aas kargaye
Bey dasth humko Hazrath-e-Abbas kargaye

*****

Jab katt gaye dariya pey Alamdaar kay baazu


Shaanon sey judaa hogaye Jaraar kay baazu
Reythi pa giray Shah kay ghamkhwaar kay baazu
Tharraaney lagey Syed-e-Abraar kay baazu
Rang uddgaya tasweer-e-alam hogaye Shabbir
Sadma yeh hua zouf sey kham hogaye Shabbir

Girney lagaa jis dum Alam-e-Syed-e-waala


Abbas ney jhuk kar isey gardanh sey sambhaala
Ek teer lagaa chashm pey aur seenay pey bhaala
Bandh aankhein huveen munh sey lahu Shair ney dala
Ek gurz lagaa phir jo kisi aur shaqi ka
Shaq hogaya sar Hazrat-e-Abbas-e-Ali ka

Salaam Marsia Nauha Marsia 141


Kuch guzar garaan baar ka sadmaa nahin thoda
Ser shaq huva phir mashk ko daanton sey na chodaa
Zeen sey jo giray aap khadaa hogaya ghodaa
Ek teer ney mashkizey ko aur seenay ko thodaa
Paani jo bahaa eid huvi fouj-e-adu mein
Machli sey tadapney lagey Abbas lahu mein

Nagaah yeh aawaaz-e-Ali dasht mein aayi


Shabbir qabar lo kay tasadduq huva Bhaayi
Chilaayi yeh Zainab kay dohaayi hai dohaayi
Hazrat ney kahaa lutt gayi Baba ki kamaayi
Tashreef Shahey har do saraa laaye hain Zainab
Abbas kay laashey pey Ali aaye hain Zainab

Yeh suntey hi Hazrat ney amaamey ko uthaara


Akbar sey kaha kar do garebaan ko dopaara
Aashiq meray bachchon ka zamaaney sey sidhaara
Hum sogh mein hain qatl huva Shair humaara
Aafath mein phasi paani ki mohtaaj Sakina
Bus hogayi duniya mein yateem aaj Sakina

Farmaakay yeh girtey huvey doudey Shahey waala


Sambhley kabhi khud kabhi Akbar ney sambhaala
Tha seena-e-aqdas mein kaleijaa taubaala
Chillaati thi hai hai meray aaghosh ka paala
Jaldi kabhi chaltey kabhi phir badtey thay Shabbir
Ghabrakay har ek laash pey gir padte thay Shabbir

142 Marsia Salaam Marsia Nauha


Kehtey thay utthaakar yeh Ali Akbar-e-zeejaah
Darya ki taraayi toh abhi door hai Ya Shaah
Farmaatey thay aankhon mein basaarat nahi aye maah
Abbas-e-Ali chodd gaye ab toh humein aah
Ab kheincheingay talwaar jo rastaa na mileygaa
Akbar humein kya bhaayi ka laasha na mileygaa

Hazrat ko sambhaley huvey darya pey jo laaye


Abbas-e-Alamdaar sisaktey nazar aaye
Akbar ney katey haath tadaptey huvey paaye
Bhaayi ko Khuda bhaayi ka laasha na dikhaaye
Jhukney jo lagey kaampkay ghash kargaye Shabbir
Sabit Ali Akbar pey huva margaye Shabbir

Hai hai Shahey deen kehkay jo roay Ali Akbar


Sadmey sey tadapney lagey Abbas-e-dilaawar
Ghabraakay bhatijey sey kaha aye meray dilbar
Bathlaado kidhar hain meray Aaqa meray Sarwar
Akbar ney kahaa gham Shahey waala ko badey hain
Woh aapkay qadmon ki taraf ghash mein padey hai

Gash mein yeh sukhan sunkay pukaarey Shahey zeeshan


Yeh kiski sadaa hai main is aawaaz kay qurbaan
Akbar ney kahaa kab sey tadaptey hain Chachajaan
Mil lijiye kay Abbas koyi dum kay hain mehmaan
Phir ho na sakaa zabt Imam-e-Azali sey
Liptey Shahey deen laasha-e-Abbas-e-Ali sey

Salaam Marsia Nauha Marsia 143


Chillaaye basad gham meray bhaayi meray bhaayi
Kya dil ka hai aalam meray bhaayi meray bhaayi
Kyun chashm hai purnam meray bhaayi meray bhaayi
Ukhddaa hai tera dum meray bhaayi meray bhaayi
Seenay mein ajal saans teharney nahin deti
Hichki tumhein kuch baat bhi karney nahin deti

Yeh kehtey hi Hazrat pey qayaamat huvi taari


Abbas-e-Alamdaar karaaye kayi baari
Atkaa jo dum aankhon mein toh aansoon huvey jaari
Tanh rehgaya aur rooh suey khuld sidhaari
Chillaakay jo Sheh roay toh ghabraayi Sakina
Nikla tha dum unka kay nikal aayi Sakina

Mayyat sey lipatt ney ko jo woh douddti aayi


Hazrat ney abaa bhaayi kay chehrey sey hataayi
Chillaayi Sakina kay dohaayi hai dohaayi
Reythi mein Alamdaar ney shakl apni chupaayi
Tharraaney lagaa laasha-e-Saqqa-e-Sakina
Laashey sey bhi aayi yeh sadaa haaye Sakina

*****

144 Marsia Salaam Marsia Nauha


Shahdath Hazrath Ali Asghar (a.s)

Haye kis bekaso mazloom ka yeh maatam hae


Fatema aayi hae ronay ko yeh kiska gham hae
Nange sar saath hain hoorein bhi ajab aalam hae
Ronay waloun se yeh irshad bhi toh paiham hae
Ronay walo tumhe ronay ka sila dene ko
Fatema aayi hae tum sabko dua dene ko

Aey azadaro tumhe qaliqe Akbar ki qasam


Kaun mazloom hae woh tumko payambar ki qasam
Naam low uska zabaan se tumhe Hyder ki qasam
Be zubaan hansliyon waale tumhe Asghar ki qasam
Rokay kehdo koi bekaso maghmoom nahin
Juz Hussain Ibne Ali aur koi mazloom nahin

Yahi mazloom Madine ka hae rahne waala


Ek saydani ne faaqon mein jise tha paala
Teesre burje imamat ka yahi hae haala
Ek bekas pah sitam hae yeh falak ne daala
Subah se asr talak ghar ko lutaya isney
Margaye sab toh gala apna kataya isney

Haan payambar ke Madine ka musafir hae yehi


Apne nana ki lehad ka bhi mujawar hae yehi
Jisko pani na mila ta dum-e-aqir hae yehi
Jis pah sadqa huve Ayub wo Sarwar hae yehi
Bekaso bewatano tashna dahan kehte hain
Isi mazloom ko mohtaje kafan kehte hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 145


Ya Hussain aapki mazloomio ghurbat ke nisaar
Sar ko katwa diya kis shaan se himmat ke nisaar
Tahe qanjar bhi kiya sajda ibadat ke nisaar
Nangay sar dekha na hamsheer ko ghairat ke nisaar
Hoon fida aap pah moonh ashkon se dhone waale
Ya Hussain aap pah sadqe ho yeh ronay wale

Dekha is bekaso mazloom ki shane ghurbath


Chote bete ki lahad khodi hae uf ray himmat
Kaampte haathon se aaqa ne banai turbat
Kya kahein kis se kahein qalb ki apni haalath
Chand ko apne tahe qaak chupaya hae abhi
Hansliyon waale ko turbat mein sulaya hae abhi

Kis qadar bekas-o majboor tha yeh shahe gharib


Na kafan chote se sayyad ka hua usko naseeb
Sar ko katwae hue sote hain sab uske habeeb
Pyaas se teen shab-o roz se haalat hae ajeeb
Ya Ali kehke sambhala hae dile muztar ko
Qoon bhare kurte mein dafnaya Ali Asghar ko

Roke dete hain sada ae mahe anwar bolo


Ae mere chote shaheed ae mere dilbar bolo
Baap ko chod ke tanha gaye kyonkar bolo
Dard kaisa hae gale mein Ali Asghar bolo
Goadh mein baith ke sab haal sunana beta
Teer ka zaqm bhi dadi ko dikhana beta

*****

146 Marsia Salaam Marsia Nauha


Run may abroo kamaan ki aamadh hai
Asghar-e-bey zubaan ki aamad hai
Bhookey ki naathawaan ki aamad hai
Pyaasey ki neemjaan ki aamad hai
Yehi qaimey may shora hotha hai
Waada inka bhi poora hotha hai

Pyaas ney kardiya hai yeh aalam


Ghash pa ghash aatey hain inhein paiham
Hilte hain haath paaoon bhi kam kam
Seenay may ab nahin samaatha dam
Ghamsey maatam zadoun ko saktaa hai
Nanhaa syed padaa sisakataa hai.

Ro nahin sakthey muh banaatey hain


Aankhein ultee huvi phiraatey hain
Khusk ka muh zabaan dikhaatey hain
Ghulsey ronay ke Sehmay jaatey hain
Muh khula hai dhadakthi chaati hai
Saans bhi ab attakthi aati hai

Seena garmi ke maarey jalthaa hai


Nanhaa sa dil padaa uchalthaa hai
Dum ba-dum rang ko badalthaa hai
Bas nahin kuch kisika chalthaa hai
Naam paani ka sub jo leythay hain
Muh ko ghabraakey khol deithay hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 147


Rokay kehti hai baanu-e-dilgeer
Mai kidhar jaoon kyaa karoon tadbeer
Haaye bachchey meray teri taqdeer
Naa toh paani milaa tujhey naa sheer
Haal jab dekhti hai badh Zainab
Kehti hai ya Ali madad Zainab

Haaye kya waqt hai padaa humpar


Karney paaye na maatam-e-Akbar
Huvi.darpeish rehlatey Asghar
Ab mai nikloongi ouddkar chaadar
Lashkar-e-shaam paas jaaoongi
Haal beysheer ka sunaaoongi

Kahoongi jaakey mai hoon saidaani


Dekho martha hai yeh meraa jaani
Tishnagee ki hai ispaa tughyaani
Waah kya khoob ki hai mehmaani
Karo sairaab laal ko meray
Paani do nou nehaal ko meray

Qaimey may aaye sarwar-e-aalam


Jhoole sey bey zabaan ko laaye haram
Sheh ney dekha ke hai laboun par dum
Rokay irshaad yeh kiya paiham
Meray jaani meray jigar aao
Chalo maidaan ki sair kar aao.

148 Marsia Salaam Marsia Nauha


Kehkay yeh royeh sarwar-e-zeejaah
liya haathoun pa apney gheerat-e-maah
kiya pinhaan abaa mai khaatir khwaa
Aur kaha La-Ilaha Illallah
Lekay pyaasey ko ashk baar chaley
Pusht qamm karkey bey qaraar chaley

Rokay kehnay lagey Imaam-e-Ghayoor


Ghaafilo kuch nahin hai turnko shaoor
Turn samajna nahin khuda ko door
Meray bachchey ka kuch nahin hai khusoor
Bey-gunaah ki naa jaan lo yaaro
Meray kehnay ko maan lo yaaro

Zaalimo waastaa Payambar ka


Dum nikaltaa hai meray dilbar ka
Tarr karo halq meray asghar ka
Jaam doonga mai turnko kausar ka
Hurmula bolaa aab milthaa hai
Tehroh tehroh jawaab milthaa hai

Boley karthaa hai kya ghazab zaalim


Maartha kyon hai beysabab zaalim
Paani maangeingay hum na ab zaalim
Sunta-tha sheh ka kehna kab zaalim
Teer abroo kamaan ko maara
Cheh mahiney ki jaan ko maara.

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 149


Baanu kay sheerkhwaar ko haftum sey pyaas hai
Bachchey ki nabz dekh kay maa bey hawaas hai
Ney doodh hai na paani kay milney ki aas hai
Phirti hai aas paas yeh jeenay sey yaas hai
Kehti thi kya karoon main duhaayi Hussain ki
Putlee phiree hai aaj meray noor-e-ain ki

Faryaad Ya Ali main kidhar jaaoon Ya Ali


In daaghon ko kahaan sey jigar laaoun Ya Ali
Kis tarha in ki saans ko tehraoun Ya Ali
Paani ka qaheth hai main kahaan paaoun Ya Ali
Pichlee ko aankh kholey thay ab kholtey nahin
Rothay nahin humaktey nahin boltey nahin

Aakhir kaha yeh sab ney bulaao Imam ko


Laao khuda kay waastey laao Imam ko
Is bey zubaan ka haal sunaao Imam ko
Neeli ragein galey ki dikhaao Imam ko
Akbar ki laash leygaye hain qatl gaah mein
Koyi pukaar lo woh abhi hongey raah mein

Munh per jawaan betay ka taaza lahoo lagaye


Maatam sara mein Ganj-e-Shaheedaan sey Shah aaye
Jhooley pa haath pakddey huvey Ahlebait laaye
Bachchey kay haath paaoun hilaa kar inhey dikhaaye
Rokar kahaa kay saans faqath aashkaar hai
Ho iska kya hisaab kay dum ka shumaar hai

150 Marsia Salaam Marsia Nauha


Baithey sarhaaney jhooley kay Shabbir sar jhukaaye
Asghar kay kaan sey lab-e-moujiznuma milaaye
Chupkay sey kuch kaha kay woh suntey hi muskuraye
Suwey Hussain haath bhi beysaakhtaa baddhaaye
Boli Sakina baba ney mushkil kushaayi ki
Amma mubarak aankh khuli meray bhaayi ki

Haathon pey isko lekay chaley Shaahey Karbala


Aur saath saath goadh mein kholey huvey qazaa
Likhaa hai dhoop teiz thi aur garm thi hawaa
Asghar pey maa ney daaldi ujli si ek ridaa
Chaadar na thi woh chehra-e-pur aab-o -taab par
Tukddaa safaid abr ka tha aaftaab par

Pahunchey qareeb-e-fouj toh tyoraa kay rehgaye


Chaaha karein sawaal pey sharmaa kay rehgaye
Ghairath sey rang udd gaya tharraa kay rehgaye
Chaadar pisar kay chehrey sey sarkaa kay rehgaye
Ankhein jhuka kay boley yeh hum inko laaye hain
Asghar tumhaarey paas gharz leykay aaye hain

Phir hontt beyzubaan kay choomey jhukaa kay sar


Rokar kaha jo kehna tha so keh chukaa pidar
Baaqi rahi na baat koyi aye meray pisar
Sookhi zabaan tum bhi dikhaado nikaal kar
Pheri zabaan labon pa jo us noor-e-ain ney
Tharra kay aasmaan ko dekha Hussain ney

Salaam Marsia Nauha Marsia 151


Maula falak ko dekh rahey thay kay naagahaan
Li Hurmula ney shaaney sey do taank ki kamaan
Tarkash sey jab kay kheinch liya teer-e-jaan fishaan
Chodaa kamaan sey taak kay hulqoom-e-bey zabaan
Chutt-tay hi halq bachchey ka cheydaa jo teer ney
Tharraa kay aasmaan ko dekha sagheer ney

Kya sin tha teer khaatey hi bachcha dahel gaya


Sukhey galey sey khoon ka dariya ubal gaya
Taddpa jo Sheh kay haath pey toh mankaa dhal gaya
Topi giree zameen pey aur dum nikal gaya
Nanhi kalaaiyon mein tashnujh sey bal padey
Hichkee jo aayi munh sey anghotey nikal padey

Munh aasmaan sey Sheh ney phiraaya kay kya huva


Dekha kay paar halq sey teer-e-jafaa huva
Bachcha tadap raha hai lahoo mein bharaa huva
Aur nanha haath zakhm-e-guloo par dharaa huva
Aankhein phiraye detay hain tewar badaltey hain
Aagey toh doodh uglay thay ab khoon ugaltay hain

Kheinchaa galey sey bachchey kay aahista Sheh ney teer


Aur haathon pey bulandh kiya laasha-e-sagheer
Gardhan jhukaa kay boley kay aye Khaliqh-e-qadeer
Maqbool ho Hussain ka yeh fidya-e-akheer
Shashmaha koyi kushta-e-teeray sitam nahin
Yeh bey zabaan Naaqa-e-Saleh sey kam nahin

*****

152 Marsia Salaam Marsia Nauha


Banu pichley paher Asghar ke liye rothi hai
Ek woh jaagthi hai khalq-e-Khuda sothi hai
Sar ko bhi peet-thi hai jaan ko bhi khothi hai
Yeh ajab gham hai kay taskeen nahin hothi hai
Peetthay peetthay beyhoush jo hojaathi hai
Ali Asghar Ali Asghar ki sadaa aathi hai

Kabhi konay main woh muh dhaamp kay chillaathi hai


Aur kabhi sahen mai ghabraakay nikal aathi hai
Kokh pakdey huvey har ek taraf jaathi hai
Dhoondthi hai magar Asghar ko nahin paathi hai
Tanh ko larzish hai judaa aur hai muh zard-e-judaa
Dil tadaptha hai judaa seenay main hai dard-e-judaa

Kabhi kehthi hai kay ghar main meray andhiyaara hai


Ali Asghar ki judaayi ney mujhey maara hai
Haaye main ghar mai hoon jungle mai mera pyaara hai
Meherbaani jo karey mauth toh chuttkaara hai
Kab talakh raathoun ko hum naala-o-faryaad karein
Ya ilaahi Ali Asghar mujhey ab yaad karein

Goadh pehlaakay kabhi kehthi hai dilbar aajaa


Rooh beychaen hai aajaa Ali Asghar aajaa
Dil tadaptha hai mera goadh kay andar aajaa
Fatema kay liye aaja payeh Hyder aajaa
Boondh paani kay liye haaye teri jaan gayee
Aa main sadqey gayee waari gayee qurbaan gayee

Salaam Marsia Nauha Marsia 153


Aakay seenay sey meray seena lagaadoh beta
Aag bhaddki hai kaleijey mai bhujaadoh beta
Khushk moonh apna meray moonh sey milaadoh beta
Ek nazar chaand si tasveer dikhaadoh beta
Jaao phir khuld main maa tumko na behlaayegi
Ek dum sey na zyaada tumhey tehraaegi

Loriyaan hum tumhey aye laal diya karthey thay


Aap leitay huvey jhooley main hansaa karthey thay
Ghuttniyo ghuttniyo gar aap chalaa karthey thay
Kurtha pakdey huvey hum saath rahaa karthey thay
Haaye maa baap sey qismath ney chudaaya tumko
Sooney jungle main meri jaan sulaaya tumko

Khalq sab sothi hai raathoun ko gharoun mai apney


Hum agar leithay hain karwatt toh qasam lo humsey
Neendh aathi meray pehloo main agar tum hothay
Tum toh aye laqth-e-jigar goadh main marqadh kay gaye
Yaad is paalney waali ki bhulaayi tumney
Paayenthi baap ki aye laal basaayi tumney

Haaye Asghar na tera deyn huva maa sey adaa


Bhojj koyi meri gardhan sey na uthraa tera
Na teri saalgiraah ki na tera doodh baddhaa
Na lahadh tujhko mili aur na kafan tujhko milaa
Tum toh maarey gaye chaathi pa litaaoon kisko
Chotay chotay yeh shalookay main pinhaaoon kisko

*****

154 Marsia Salaam Marsia Nauha


Ravaana nehr-e-labann ko jo sheer khwaar huva
Zabaan dikhaaney pa gardhan sey teer paar huva
Tadap kay haathoun pa Hazrath kay humkanaar huva
Khizaan huva jo woh gul toh galay ka haar huva
Idhar toh Shah ko yeh sadhmaa-e-jigar pahooncha
Udhar Madiney sey Soghra ka naamabarr pahooncha

Lahoo main garq khaday thay kamar jhukaaye huvey


Pisar ki nanhi si maiyath galay lagaaye huvey
Lahoo bhara huva daaman usay uddhaaye huvey
Kafan ki fikr main khaimey ko muh phiraaye huvey
Yeh haal dekh kay qaasid ki aass toot gayi
Huva yeh raasha kay fouran meihaar choot gayi

Utarr kay naaqey sey aadaab woh bajaa laaya


Magar Hussain thay beyhoush kuch na farmaaya
Woh nauha padtha huva aur muttasil aaya
Nigaahey yaas sey moonh dekh kar yeh chillaaya
Qaraar doh mujhey main beyqaraar hothaa hoon
Hussain jaan kay tumpar nisaar hothaa hoon

Kaho baqeeya-e-aulaad-e-Murtuza ho tum


Ameer-e-lashkar-e-Allah-o-Mustafa ho tum
Ghareeb-e-Kufa-o-mazloom-e-Karbala ho tum
Bathaao Qasim-e-naashaad kay chachaa ho tum
Jawaab doh pidar-e-namuraad-e-Akbar ho
Janab-e-Hazrath-e-Abbas kay baraadar ho

Salaam Marsia Nauha Marsia 155


Bahen hai aapki Zainab Sakina dukhtar hai
Har aawal aapkay lashkar ka Hurr-e-Safdar hai
Watan main bhi koyi beti aleel-o-shashdar hai
Huzoor ka koyi nanhaa sa laal Asghar hai
Zohair aur Habeeb aapkay musaahib hain
Janab Aun-o-Mohammad kay maamu sahib hain

Hussain bharkay damay sard bolay aye ghamkhaar


Ameer kaun hai main toh hoon beykas-o-naachaar
Kahaan hain Akbar-o-Qasim kahaan Alambardaar
Khuda kay bandhey thay yeh sab huvey Khuda pa nisaar
Sipaahey zulm ney tanhaa samajh kay gheiraa hai
Hazaaroun teighein hain aur ek halq mera hai

Hataayi chehray sey Asghar kay khoon bhari chaadar


Paseena mauth ka maathay sey pounchaa sar tha sar
Pukaarey laashey ki aankhoun pa hountoun ko rakh kar
Likhi hai Fatema ney deedaa bosi-e-Asghar
Gawaah rahiyoh kay faaqay sey jhoomtha hai Hussain
Aur unkay Bhaayi ki ankhoun ko choomtha hai Hussain

Banaaloon nanhi si qabr inki aye khujistha siyar


Toh ley chaloon pisar-e-naujawaan kay laashey par
Toh padhiyo laasha-e-Akbar pa naama-e-khaahar
Yeh kehkay ghoday sey uthrey Imam jin-o-bashar
Zameen qabr ki khaatir pasandh karnay lagay
Mazaar khodh kay naalay balandh karnay lagay

156 Marsia Salaam Marsia Nauha


Lahoo sey ghusl toh Asghar ko dey chuki thi qazaa
Malee basoorath-e-kaafoor shay ney khaak-e-shifa
Uthaara qabr main Asghar ka khoon bharaa laasha
Litaakay khaak pa Qibla ki samth moonh pheiraa
Phir apney chaand ko jab khaak mai chipaaney lagay
Toh ya Ali kaha aur haath thar tharaaney lagay

Yeh haal dekh kay qaasid ney ki madadgaari


Lahad main ungliyoun sey khaak daali ekbaari
Pukaari khaimey kay dar sey yeh Banu dukhiyaari
Yeh kiski qabr ki hothi hai run main taiyaari
Hussain bolay kay sadhmay naye guzarthay hain
Tumhaarey hansliyoun waaley ko dafn karthay hain

Balaaein door sey ley ley kay phir kiya yeh bayaan
Tumhaari nanhi lahad kay main waari Asghar jaan
Andheiraa ghar hai na ghabraaiyo yeh maa qurbaan
Akeilay sonay ki mushkil Khuda karey aasaan
Tumhaarey chaahaney waaley galay lagaaeingay
Mujhey yaqeen hai Janab-e-Ameer aayengay

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 157


Lo momino khulaasa suno is bayaan ka
Banu ko pursaa doh chey mahiney ki jaan ka
Par haal kis zabaan sey kahoon bey zabaan ka
Kyon gir padhaa na phatt kay tabaq aasmaan ka
Jhooley main di panaah na maa kay kanaar main
Kaatee adoo ney gardhan-e-Asghar mazaar main

Liptay huvey azeezoun kay laashoun sey thay harum


Jo aah sar shaheedoun kay honay lagay qalam
Ginn ginn kay khud umar ney kiye naizoun par alam
Bola mulaazimoun sey abhi ek sar hai kam
Is dum mujhey khayaal-e-itaabh-e-yazeed hai
Arzi main likh chukaa hoon bahaathar shaheed hai

Peetaingay is bayaan sey sab kodakho jawaan


Yeh taaza waaqia hai ghazab ki hai daastaan
Kyon khushk hogayi na sitamgaar ki zabaan
Bolaa Umar talaash karo qabr ka nashaan
Bachchey ki qabr khodh kay sar ko qalam karo
Akbar kay sar kay paas sinaa par alam karo

Baazay laraz laraz kay pukaaray kay al-hazarr


Hum tho na qabr khodaingay zaalim Khuda sey darr
Is bey zabaan Shaheed kay sin par toh rahem kar
Sothaa hai saari raat ka jaaga lahoo main tarr
Dekhay na chaen jhooley kay ney maa ki goadh kay
Bachchey ka sar na kaataingay hum qabr khodh kay

158 Marsia Salaam Marsia Nauha


Kya uski qabr sey tujhey daawaah hai aye layeen
Hazrath ney mol-li thi yeh maqtal ki sab zameen
Bey dafn hai mahey rufaqaa baad shaaheydeen
Bey ghar hain Ahlebaith-e-Shahinshaahey mursaleen
Murdoun ko goar zindoun ki qaatir makaan nahin
Ek bachcha qabr main hai usay bhi amaan nahin

Rothay thay laash haaye Shaheedaan pa sab harum


Kya dekhtay hain aatha hai ek baani-e-sitam
Nokay sinaa chubothaa hai mitti main dum badum
Fizza pukaari khair karey Rabb-e-Zulkaram
Yeh qabr dhoond tha hai kisi naazneen ki
Naizey sey dekhtha hai yeh narmee zameen ki

Banu ney poocha deedaa-e-dil sey bahaakay khoon


Joyaa hai kiski qabr ka yeh zaalim-e-zaboon
Fizza pukaari khaak meray mooh main kya kahoon
Main kis zabaan sey saahib-e-turbath ka naam loon
Khodheygaa maqbaraah chey mahiney ki jaan ka
Maangaa hai ibney saad ney sar bey zabaan ka

Paikaan jis galay sey abhi ho chukaa hai paar


Hai hai usi galay pa phireygi chhuree ki dhaar
Aaraam gaah murdoun ka hai goshaa-e-mazaar
Bibi kay laqthay dil ko wahaan bhi nahin qaraar
Ney faateha na phool kisi noor-e-ain kay
Hothay hain zibhaa qabr main bachchey Hussain kay

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 159


Shahadath Imam Hussain ibne Ali (a.s)

Jab naujawan pisar shahe deen se juda hua


Roshan qamar sipehre bareen se juda hua
Noore nazar imaame mubeen se juda hua
Laqte jigar Hussaine hazeen se juda hua
Dil daag ho gaya dil-e jaane Batool ka
Ghar bay chiraag hogaya sibte rasool ka

Barchi se tukde hogaya laqte jigar ka dil


Khud baap ne chida hua dekha pisar ka dil
Hota hae aab geena se naazuk bashar ka dil
Pathar ka dil nahin hae yeh dil hai pidar ka dil
Ayoob bhi agar ho toh dum bhar na kal pade
Aansoo thamay toh moonh se kaleja nikal pade

Peeri mein aafate ghame aulad al amaan


Dil aur zaqm qanjare foulad al amaan
Woh izterab qaatire naashad al amaan
Woh ashke soz aur woh fariyad al amaan
Beta na ho toh zeest ka phir kya maza raha
Jab ghar ujad gaya toh zamane mein kya raha

Bichda woh laal jis ka gawaara na tha firaaq


Farmaate thay ke loot liya tu ne ae Iraq
Ae mauth jald aake bas ab zindagi hae shaaq
Qanjar ki arzoo hae shahadat ka ishtiyaaq
Barbaad is tarha koi aabaad ghar na ho
Kya zindagi ka lutf jab apna pisar na ho

160 Marsia Salaam Marsia Nauha


Sab chahen jiski zeest woh sher-e-zhiyan marey
Afsos neem jaan jiye jaane jahan marey
Paida toh kis jagah huve aakar kahan marey
Qudrat Khuda ki peer jiye naujawan marey
Is umr mein jahan se guzarne ke din na thay
Kehta hae qud shabab ke marne ke din na thay

Pyaare na thay Hussain alaihis salam ke


Laayi haram saraa mein bahen haath thaam ke
Tharra rahe thay paoun shahe tashna kaam ke
Sar dosh par tha Zainabe aali maqaam ke
Farmaate thay bahen Ali Akbar guzar gaye
Hum aise saqt jaan thay ke ab tak na mar gaye

Pursa tumhe shaheed ka deney ko aaye hain


Kis kis ke daag aaj jigar par uthae hain
Peete hain qaak udaae hain aansu bahae hain
Yeh hum tumhare laal ke khoon mein nahaae hain
Sar tha Hussaine bekaso tanha ki goadh mein
Bete ki jaan nikli hae baba ki goadh mein

Yeh sun ke bibiyon ke jigar par churi chali


Zainab zameen pa girkay pukaari ke ya Ali
Sirrey qafi jahan ke hain sab aap par jali
Jaata hae sarkashon mein yeh kownain ka wali
Bekas ko aasra hae pisar ka na bhai ka
Baba yehi toh waqt hae mushkil kushaai ka

Salaam Marsia Nauha Marsia 161


Ya Mustafa balah mein phansa hae tumhara laal
Ya shere zuljalaal dikhao inhein jalaal
Ya Fatema mein lut thi hoon bikhrao sar ke baal
Ya rab ulat dey aaj yeh sab arsie qitaal
Phir kya kisi se kaam hai sab se judaa rahoon
Bhai ko apne lekey mein jungle mein ja rahoon

Dekha yeh kehke baali Sakina ki yaas se


Lipti woh daud kar shahe gardoon asaas se
Taaqath na thi kalaam ki har chand pyaas se
Boli woh tashna kaam shahe haq shinaas se
Kya is bala ke bun se tahiya safar ka hai
Sadqe gayi batao iraadah kidhar ka hai

Farmaaya sheh ne sabr bahen chahiye tumhein


Qaliq ki yaad sirro alan chahiye tumhein
Lab par raza raza ka suqan chahiye tumhein
Jo maa ka tha chalan woh chalan chahiye tumhein
Ab aaqri bahen yeh sawaari hamari hai
Baad in buzurgwaron ke baari hamari hai

Farmaya sheh ne haan safar-e-na guzeer hai


Aao gale lago ke yeh sohbath aqeer hai
Ab arzoo-e-qurbe Khuda-e qadeer hai
Tanha hai hum sipahey muqalif kaseer hai
Teh ho yeh marhala jo eeyaanath Khuda karey
Jiska na koi dost ho bibi woh kya kare

162 Marsia Salaam Marsia Nauha


Jaana hae door shab ko jo aana na ho idhar
Zid karke roiyo na hamein chahti ho gar
Pehle pehal hai aaj shabe furqate pidar
So rahiyo maa ki chaati pah ghurbat se rakh kay sar
Rahat ke din guzar gaye yeh fasl aur hai
Ab yoon basar karo jo yateemon ka taur hai

Nanhay se haath jod ke boli woh tashna kaam


Batlaiye mujhe ke yateemi hae kis ka naam
Ankhon se qoon baha ke yeh kehne lage imam
Khul jayega yeh dard-o-alam tum pah taa-ba shaam
Bibi na poocho kuch yeh museebat azeem hai
Mar jaae jiska baap woh bachha yateem hai

*****

Jab run may Sibtey Ahmad-e-mukhtaar ghir gayaa


Syed ghareeb bekas o beyaar ghir gayaa
Ahley haram ka qaafila salaar ghir gayaa
Lashkar tamaam hogaya sardaar ghir gayaa
Ghul tha Amaan doh na shahey mashraqain ko
Nokoun sey barchiyoun ki giraadoh Hussain ko

Jis roz tha yeh hashr yeh maatam yeh shor-o-shar


Aa pahooncha ek musaafir-e-ghurbat zadaa udhar
Nikla tha ghar sey shauq-e-Najaf may woh khush siyar
Choday huay watan usay guzra tha saal bhar
Bay qanuma ko ishq khuda ke wali ka thaa
Mushtaaq woh ziarat-e-qabrey Ali ka thaa

Salaam Marsia Nauha Marsia 163


Pahooncha jo karbala may toh dekha yeh usney haal
Tanha khada hai ek musaafir lahoo may laal
Fauj-e-sitam ki gird thee amaadey qitaal
Chaltay hain teer paani ka kartha hai jab sawaal
Az bas ke ahley dard tha betaab ho gaya
Pani ke maangnay pa jigar aab ho gaya

Kahney lagaa laraz ke woh zeeqadr-o-nekh naam


Allah kis qadar hai puraashob yeh muqaam
Darya Khuda ney khalq kiye behray faiz-e-aam
Marthaa hai bay ajal yeh sitam kash yeh tashna kaam
Unsay basher darey jinhey khauff-e-Khuda naheen
Jaldi nikal chalo yeh teharnay ki jaa naheen

Doh chaar gaam chalkay yeh souncha woh naamvar


Mazloom ki dua may hai har tarhaa ka asar
Wallah barguzeeda-e-Haq hai yeh khush siyar
Kar leejeh iltemaas-e-dua haath baandh kar
Teighoun may iskay paas chalo jo Khuda karey
Aasaan ho mushkilein jo yeh beikas dua karey

Aaya jo kaamptha huva woh shah-e-deen ke paas


Ki arz assalaamo alaik aye falak asaas
Maula jawaab deikay yeh bolay badard-o-yaas
Aana hua kidhar say tera aye Khuda shinaas
Arz usnay ki ghulam-e-shahey zulfiqaar hoon
Bekas hoon benawaa hoon,ghareebu-dayaar hoon

164 Marsia Salaam Marsia Nauha


Doh Sahiboun ke shauq may chodaa hai mainey ghar
Hasrath yeh hai naseeb karey yaawari agar
Pehlay tho hoon Najaf ki ziarat sey behrawar
Manzoor phir wahaan sey Madinay ka hai safar
Pahunchoonga daulatein hain agar sar nawisht may
Rastay may maut aayi toh pahooncha behishth may

Farmaya aapne ke Madinay may kya hai kaam


Arz usney ki wohi toh hai dunya may ek muqaam
Us sar zameen pa hai meiraa aaqa mera Imam
Barsoun sey jinkey ishq mein rotha hoon subho shaam
Haider ke jaano dil hain, shahey mashraqain hai
Sadqey mai us jagah ke vahin tho Hussain hai

Mera hai ab yeh haal ke zakhmoun sey choor hoon


Jungle may maut aayi hai, basthi sey door hoon
Ek qaak saare bandha-e-Rabbey Ghafoor hoon
Aalam hai uski zaat ka mai bey qusoor hoon
Kehnay mai baat aati hai yeh kuch gilaa nahin
Din teesra hai aaj ke paani milaa nahin

Maula sey haath joddkay bolaa woh dil kabaab


Lay aaoon daud kar meray sharbey may kuch hai aab
Keejiey zabaanay khushk ko thar, behray Buturaab
Bolay hilaa ke sar ko shahey Aasmaan janaab
Ab intezaar Maut ka hai kya jiyoonga main
Sab pyaasey margaye hain na paani piyoonga main

Salaam Marsia Nauha Marsia 165


Darkaar jo tujhey ho woh lay behray kirdegaar
Paidal agar hai tu tho yeh haazir hai raahwaar
Naaqa bhi lay tera tho hai Aaqa woh naamdaar
Sahil ko jis ney roti ke oontoun ki di qataar
Bekas hoon go kay aaj, pa Aali muqaam hoon
Sharmaana tu ke main bhi Ali ka ghulaam hoon

Arz usney ki huzoor sey ab hai yeh Iltejaa


Keejieh utthaa ke haath meray haq may yeh dua
Pahunchaadey mujhko qabr-e-Ali par mera Khuda
Maula ney aasman ki taraf dekh kar kaha
Jisko nahin zawaal woh daulath naseeb ho
Ya rab isay Ali ki ziarat naseeb ho

*****

Jab pareshaan huvi Moula ki jama-ath run may


Har namaazi ko pasand aayi Iqaamath run may
Qibla-e-deen ney kiya qazd-e- ibaadat run may
Shakl-e-mehraab bani taigh-e-shahaadath run may
Ghul huva isko Imaam-e-dojahaan kehtay hain
Taighoun kay saaye may Shabbir azan kehtay hain

Khudrath-e-Haq sey dareechay huvey firdaus kay waah


Dafatanh khul gaye dar haaye falaq sarthaapa
Ek ba ek utt gaye sab parda-e-arshey aala
Ambiyaa-o-malak-o-hoor ko pahoonchi yeh nida
Qadrdaan iska mai hoon mera shinaasa hai yeh
Kyon na ho meray Mohammed ka nawaasa hai yeh

166 Marsia Salaam Marsia Nauha


Yeh woh taa-ath hai ke tanhaa hi adaa karthay hain
Meray aashiq tahey shamsheer rahaa karthay hain
Sar qalam hotha hai woh shukr-e-Khuda karthay hain
Saadiqul waada younhi waada wafaa karthay hain
Hum namaz iskay janaazey ki jo paddwaengay
Tum bhi jaana kay Rasoolaaney salaf jaayengay

Saakin-e-arsh-e-bareen karney lagay naala-o-aah


Shah takbeer yahan keh chukay Allah Allah
Aur iqaamath may huvey sarf shahey aalijaah
Jaan-e-waahid pa giray aankay laakhoun badhqaah
Sura-e-Hamd Nabi zaada padhaa jaata hai
Shimr khanjar liye seenay pa chaddhaa jaata hai

Neem bismil nay zabaan say jo kahaa bismillah


Naizaa maara abu Ayyub ney lab par naagah
Dar say saidaaniya chillaayi ke Inna lillah
Haaye yeh zulm namaazi pa ayaazan billah
Waajibul qatl ko hai aabo ghizaa ki mohlath
Jaan-e-Zehra ko naa di farz-e-khuda ki mohlath

Zeenath-e-arshay bareen khaakh pa iftaadaa hai


Na bichona hai na masnad hai na sajjaadaa hai
Shimr qanjar liye baaleen pa istaadaa hai
Koyi itna nahin kehta ke Nabi zaadaa hai
Qazd sajdey ka idhar qibla-e-deen kartha hai
Neeyath-e-zibha udhar Shimr-e-layeen kartha hai

Salaam Marsia Nauha Marsia 167


Khanjar-e-zulm ko chamka kay pukaara dushman
Bosa gaah-e-nabavi kaatoon mai ab ya gardhan
Boley sheh jismay tu raazi ho nahin jaaye sukhan
Halq yeh halqey Nabi hai yeh badhan unka badhan
Dekh sar nangay har ek hoor-e-jinha aati hai
Abhi tu zibha na karna meri maa aati hai

Naagahaan aayi yeh awaaz ke amma sadqey


Meray maa baap fida mein teray qurbaan sadqey
Kaun kaun aaj huva tujj pa meri jaan sadqey
Shair kithney huvey kithney huvey naadaan sadqey
Qatl gahey ko abhi jannat sey jo mai aati thi
Hoor ek nanneh say laashey ko liye jaati thi

Qafela lut gaya amma mera lashkar na raha


Jaddh-e-amjad ki nashaani Ali Akbar na raha
Rehgaya dard-e-kamar haaye baraadar na raha
Ab khabar aapne lee aanh ke jab ghar na raha
Ek mai hoon so mujhey qatl ki mushtaaqi hai
Bosa gaah-e-nabavi katney ko ab baaqi hai.

Guftagoo maadar o farzand may hothi thi yeh aah


Rothi thi Fatema mushtaaq-e-shahadath thay shah
Aastheen gussey say qaatil nay chadd-haayi naagah
Qehray jallad pa ki shah ney hasrath sey nigah
Shimr nay poocha tumhe uzr koyi ab toh nahin
Boley sheh dekhlay darwaze pay Zainab toh nahin

168 Marsia Salaam Marsia Nauha


Woh pukaara nazar aati nahin dar par Zainab
Peet thi phirthi hai khaimey may khuley sar Zainab
Gar saraachoun sey chalay aayegi baahar Zainab
Rokh sakney ki nahin par mera khanjar Zainab
Halq ko aap ke bey khauff-o-qatar kaatoonga
Ek khanjar say bahen bhaayi ka sar kaatoonga

Aayee Zehra ki sadaa Shimr tu naabina hai


Dar paa Zainab nahin baleen paa magar Zehra hai
Aray bey-rahem qataa meray pisar ki kya hai
Aastheen ulttee hai kyon taigh ko kyon khainchaa hai
Kya isay paala tha mainey teray khanjar ke liye
Meray bachchey ko na kar zibhaa payarnbar ke liye

*****

Ibne Ali jo baage risaalat luta chuka


Bhai ki aur baap ki dowlat luta chuka
Poonji haram ki apni biza-at luta chuka
Sab kuch baraae baqshishe ummat luta chuka
Baaqi koi shaheedon ke daftar mein ab nahin
Juz Abede mareez koi ghar mein ab nahin

Tanha khade thay fauj mein shah-hey falak viqar


Jo aai chaar simt se phir fauje badhshiyaar
Dekha ke hae niyaam mein Hyder ki zulfiqar
Jurrat hui har ek ko badh kar lagaae vaar
Yaade Khuda mein shah ne sab kuch bhula diya
Jab zaqm khaya shukr kiya muskura diya

Salaam Marsia Nauha Marsia 169


Tukde hua jabeen se kamar tak taneh imam
Ghabragaya faras toh yeh bole shahe anaam
Ae Zuljanah yaan se hatana na ek gaam
Ab jang bhi tamam hae aur hum bhi hae tamam
Ghere huve hae fauj ajal saddeh raah hae
Jayega ab kahan ke yehi qatl gaah hae

Muztar na ho lagein toh lagein navake sitam


Kuch gham nahin jo padti hain talwarein dum badum
Maare na dum jo tanh se ho sau baar sar qalam
Rahat ke dukh samajhte hain raahe Khuda mein hum
Paidah huve hain dardo museebat ke waastey
Yeh sab qubool hain hamein ummat ke waastey

Mujhko na qatl hone ka gham hae na kuch malal


Ghar ki hae ab na fikr na bachhon ka hae qayal
Jana qareeb hae su-e darbare zuljalal
Yeh fikr hae ke dekhiye hota hae kya ma-aal
Mursil bhi thar tharate hain is baargah mein
Kya nazr leke jaaon janabe Ilaah mein

Yeh kehte thay ke sar pah lagi teghe aabdaar


Naiza sina ka hogaya seene ke waar paar
Girne lage jo zeen se imame falak viqar
Baitha zameen pah tek ke ghutnon ko rahvaar
Ghash mein jigar pakad ke ba dardo alam gire
Sambhla gaya na qaak pah shah hey umam gire

170 Marsia Salaam Marsia Nauha


Di badhke paek ne pisare Saad ko qabar
Ghode se gir pada asad ullah ka pisar
Bashaash hoke shumr se bola woh qeerasar
Ja jaldi ja nabi ke nawaase ko qatl kar
Ghul ho dilavari ka teri shehar shehar mein
Qanjar woh khenchle jo bujhaya ho zehar mein

Qanjar pakad kar Shumr chala aasteen chadae


Bola yeh Ibne Saad ke qooli bhi saath jaae
Dono laeen jo laashae Sarwar ke paas aae
Pehloo se Fatema ne sada di ke hai hai
Qanjar liye hue sitam eejad aae hain
Chownko Hussain zibha ko jallad aae hain

Roohe janabe Fatema Zehra ne di sada


Sadqe main is laboun ke is awaaz par fida
Iska nahin qayal ke kat-ta hae ab gala
Yeh sabr marhaba mere mazloom marhaba
Tukde hae jism pyaas se hoton pah jaan hae
Ae laal marte waqt bhi ummat ka dhyan hae

Kyonkar kahoon tataaviley shumre sitam shiyaar


Pyaase gale pah sheh ki rakhi teghe aab daar
Ghar se idhar nikal padi Zainab jigar figaar
Chillayi moonh Najaf ki taraf karke ek baar
Halqe Hussain kat tha hae qanjar ki dhaar se
Ya Murtuza Ali nikal aao mazaar se

Salaam Marsia Nauha Marsia 171


Ya shere kirdegaar ulat doh jahaan ko
Faryaad se hilado zameen aasmaan ko
Karte hain zibha ahle sitam mehmaan ko
Ya Mustafa bachalo mere bhaijaan ko
Shamsheer chalne paaye na pyaase ke halq par
Rajkh deejiye halq apna nawaase ke halq par

Yeh kehke su-ey maqtal shahe umam chali


Moonh apna peet thi huvi ba dardo gham chali
Uth kar kabhi giri toh kabhi doh qadam chali
Aur vaan gulooe shah pah teghe doh dum chali
Pahunchi toh qaatema tha shahe mashreqain ka
Shumre laeen ke haath mein tha sar Hussain ka

*****

Ae mominon Hussain pah shiddat ki pyaas hae


Jungle mein Fatema ka pisar behawaas hae
Yavar na koi hae na koi bhai paas hae
Laashe utha ke laane se moula udaas hae
Loo chal rahi thi pyaas thi waqte zawaal tha
Bay chaen run mein dhoop se Zehra ka laal tha

Ae mominon qayal karo dil mein tum zara


Woh pyaas aur woh zaqm woh sehra-e Karbala
Woh saamne ki dhoop woh zakhmoun ka moonh khula
Woh loo se phatna zaqmon ka woh dard woh jafa
Kya dukh uthaae Fatema ke noore ain ne
Aafat sahi tumhare liye yeh Hussain ne

172 Marsia Salaam Marsia Nauha


Aada se keh rahe thay yeh moula ghareeb hoon
Allah ke habeeb ka yaaro habeeb hoon
Ek dum mein dum nikalta hae ab anqareeb hoon
Zaqmi hoon begunaah hoon aafat naseeb hoon
Tum jiske kalma goh ho main uska nawaasa hoon
Paani pilake zibha karo yaro pyaasa hoon

Kehte thay yeh Hussain ke ek zalzala hua


Saaton tabaq zameen ke hile aasman hila
Naagah aayi Fatema Zehra ki yeh sada
Waqte namaaze Asr bhi nazdeek aagaya
Tifli mein jo kiya tha woh vaada wafa karo
Jhuk kar Hussain shukr ka sajda ada karo

Jis dum suni Hussain ne Zehra ki yeh sada


Qowfe Khuda se kaamp gaye sar se taaba pa
Ghash khake farshe zeen se gire wa museebatah
Har zaqm se nikalne lagi shukr ki sada
Sajde mein sar tha dhyan tha us kaar saaz par
Rothay thay shah sar dhare qaake niyaaz par

Us dum layeen ne door se dekha yeh maajera


Shumre laeen ko paas bulakar yeh tab kaha
Sibte rasool qaak pah behosh hae pada
Kya dekhta hae waqt phir aisa na aayega
Zaqmoun se choor hae taneh athar Hussain ka
Haan jald jake kaat le ab sar Hussain ka

Salaam Marsia Nauha Marsia 173


Yeh misdah sunke aagaya laaluch mein woh la-een
Qanjar pakad ke aaya qareebe imame deen
Chaati pah zaanu rakh ke chadaai jo aasteen
Tab noore chashme Fatema ne ankhen khol deen
Dekha toh koi dost hae na ghamgusaar hae
Qanjar gale peh seene pah qatil sawaar hae

Farmaya sheh ne kaun hae to ae sitam shiaar


Kyon mere zaqmi seene pah aakar hua sawaar
Qanjar mere gale pah joh rakhta hae baar baar
Samjha hae kis qata pah mujhe tu gunahgaar
Deta hae ranj roohe risalat panah ko
Kyon zibha karne aaya hae mujh be gunah ko

Is par bhi kuch na dil mein laeen ke asar hua


Qanjar se kaatne laga mazloom ka gala
Is waqt aai Fatema Zehra ki yeh sada
Ae shumr mera laal hae bejurmo beqata
Yeh zulm Mustafa ke nawase ke halq par
Qanjar na pher bhooke ke pyaase ke halq par

Maine badey dukhon se hae paala Hussain ko


Nahaq tu zibha karta hae pyaasa Hussain ko
Lillah na zere tegh tu tadpa Hussain ko
Phat teh hain zaqm hoti hae eeza Hussain ko
Zalim kaleja phat ta hae mujh dil malool ka
Bachhe ko mere chod de sadqa rasool ka

*****

174 Marsia Salaam Marsia Nauha


Jab khaatemaa bakhair huva fouj-e-shah ka
Kausar pa qaafila gayaa pyaasi sipaah ka
Ghar lutt gaya janaab-e-Risalath panaha ka
Khaakh udd rahi thi haal yeh tha baargah ka
Bhaayi thay na rafeeq na woh noor-e-ain thay
Doh bahenay ronay waali thi aur ek Hussain

Farmaatey thay ke waah yeh taaqeer hai ajal


Akbar ke baad kaunsa tha zeesth ka mahal
Ab mujhko ek baras ke baraabar hai ek pal
Maut aaye ab yeh hai shajar zindagi ka phal
Ek jaa chhuri galoun pey jo chalthi tho khoob tha
Yeh jaan unkey saath nikalti tho khoob tha.

Hum sab ke baad khalq sey jaaney ko reh gaye


Sar peetnay ko ashk bahaaney ko reh gaye
Is naujawaan ka daagh utthaaney ko reh gaye
Peeri may aah ttohkarein khaaney ko reh gaye
Beta kahan khabar jo damay inteqaal ley
Ithna nahin koyi ke giroon tho sambhaaley

Naagaah suey laashey pisar ja padi nazar


Chillaaye dil ko thaam ke sultaan-e-behrobarr
Sothay ho kya dharey huvey rukhsaar khaakh par
Akbar utto ke ghodey sey girthaa hai ab pidar
Bhooley pidar ko neendh may qurbaan aapke
Aao namaz-e-asr padho saath baap ke

Salaam Marsia Nauha Marsia 175


Abbas-e-naamdaar taraayi sey utt ke aao
Phut tha hai qalb jal rahey hain sab jigar ke ghaao
Chiddko meri zirah pa jo paani kahin se paao
Chaltey huvey adam ke musaafir sey miltey jaao
Ghaflath ki turnko neend hai Shabbir kya karey
Meri tarah kisi ko na beykas Khuda karey

Chillaaya fouj ko pisar-e-saad-e-naabakar


Lo gher lo Hussain ko sab milkay ek baar
Paltey paday savaaroun ke lekar risaladaar
Doh ghol baandhey aaye kamadaar dus hazaar
Teer afghanou may teghoun may bhaaloun may ghir gaye
Beykas Husain barchiyou waaloun may ghir gaye

Sayyed ke marthabey ko naa jaana hazaar haif


Teeroun sey sadr paak ko chhaana hazaar haif
Shaaney thay nokoun ka nashaana hazaar haif
Mazloom ka woh barchiyaan khaana hazaar haif
Tootey thay sab Rasool ke pyaarey Hussain par
Kya waqt padd gaya tha tumharey Hussain par

Girthay hain aap kaun sambhaaley koyi nahin


Seenay say kaun teer nikaaley koyi nahin
Sab marchukey hain chaahaney waaley koyi nahin
Bey jaan padey hain godh ke paaley koyi nahin
Beykas hain aap zor sipaahey-adoo ka hai
Muh jiska dekhtey hain woh pyaasa lahoo ka hai

176 Marsia Salaam Marsia Nauha


Fizza ney jaakey khaimey may beyvoun ko di khabar
Hai hai meray khuzaadey ka kat-tha hai tanh sey sar
Bistar sey utt ke gir padey Sajjad-e-nauhagar
Khaimey say nikli bibiyaan bachchoun ko choddkar
Hiltha tha arsh Hazrat-e-Zainab ke bayn sey
Gir gir kar daudti thi ke mil-loon Hussain sey

Chillaati thi aray mera bhaayi hai kis taraf


Looti huvi Ali ki kamaayi hai kis taraf
Dariya kidhar hai khoon ka taraayi hai kis taraf
Sonay ki jaan Hussain ney paayi hai kis taraf
Rastha dey aye zameen ke falak ki sataayi noon
Mai apney pyaarey bhaayi sey milney ko aayi hoon.

Main Sayyeda hoon rahem karo laash ko bathaao


Aye ahley qariyaa binte Ali ki madad ko aao
Duniya may tum khushi raho uqbaa may chaen paao
Syed kidhar hai khoon may ghalthaan bathaaye jaao
Yaan lut gaye falak ne yeh dukh hum pa daaley hain
Aye bhaayio madiney ke hum rehnay waaley hain

Sheh ke karaahaney ki jo aaney lagi sadaa


Daudi udhar Nabi ki nawaasi barhainaa paa
Dekha bahen ney cut-thay huvey bhaayi ka gala
Aankhon paa haath rakh ke giri bintey Murtuza
Gham sey kaleyjaa phat gaya Zehra ki Jaayi ka
Utthi toh dekha naizey pa sar apney bhaayi ka

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 177


Aah huvey Kaaba-e-qurbaani-e-daavar hai Hussain
Fidyaa-e-ummath-e-marhoom-e-Payambar hai Hussain
Beykas-o-beywatan-o-beydil-o-beypar hai Hussain
Sabr-e-Ayyub ki shamsheer ka jauhar hai Hussain
Gohkay talwaar phiree halq pa sattarr baari
Shukr-e-baari kiya pyaasey ney magar har baari

Ittefaaq-e-Ulaama ismay hai aye ahley aza


Paanch shartain hai zabeeha kay liye peish-e-Khuda
Sharth-e-awwal hai kay haiwaan na ho bhooka pyaasa
Ehtiyaatan badam-e-zibha bhi doh aabo ghizaa
Sharth-e-saani hai kay ho jumah toh taakheer karo
Jumah ko waqth-e-namaaz isko na takbeer karo

Teesri sharth hai haiwaan na ho peish-e-haiwaan


Thaadam-e-zibha na hasrath sey ho baaham nigraan
Sharth-e-chahaarum hai kay jaldi na karo taa imkaan
Ho churee teiz magar haath ho narmi sey ravaan
Sharth-e-panjum hai churee bhi na dikhaao usko
Zibhaa sey pehlay qazaa sey na daraao usko

Zibhey haiwaan ki yeh sharthayn hain magar wawailaa


Ashraf-e-khalq jo tha sibte Nabi noor-e-Khuda
Aah huvey shair-e-Khuda fidyaa-e-Rabb-e-dohsaraa
Khaana kaisa kay na paani usay qaatil ney diyaa
Halq tarr karthay hain qassaab bhi qurbaani ka
Qathra ummath ney na Syed ko diya paani ka

178 Marsia Salaam Marsia Nauha


Zibhey haiwaan ka nahin hukm hai haiwaan kay huzoor
Yaan na Shabbir thay kuch door na Zainab thi door
Aal-e-Ahmad dar-e-khaimey pa khadi thi majboor
Lout-thi thi kahin Kubra kahin Abid ranjoor
Shah unko woh suey Shaahey Umam dekhtay thay
Zibhaa hothay thay Husain Ahley harum dekhtay thay

Manaa dikhlaana churee ka hai paey qurbaani


Yaan tha chey laakh kay narghay main Ali ka jaani
Teigh-o-khanjar liye thay girdh-e-sitham kay baani
Aab-e-aahan kay siwaa tha na mayassar paani
Al-atash ki thi sadaa halq-e-Shahey Zeeshaan sey
Pyaas kay maarey zabaan chaabthay thay dandaan sey

Eid-e-zilhijja ko hai qurbaani-e-haiwaan illaah


Ho jo ek saal sey kam zibha nahin iska ravaa
Tumko Akbar ki jawaani ki qasam Ahle azaa
Qatl Asghar ko jo ummath ney kiya kya sin thaa
Shab-e-haftum sey qalaq doodh na peenay ka thaa
Teesra faaqa tha aur sin chey mahiney ka thaa

Na abhi kangee kay qaabil thay jhandolay woh baal


Aah qurbaani-e-Asghar huvi kis tarhaa halaal
Doodh ka hountoun pa aatha tha ishaara na sawaal
Juzz Khuda kuch bhi na pehchaantha tha banu ka laal
Maa ka dil iskay ishaarey ko samajh leytha tha
Doodh ki hothi thi khwaahish toh woh rotha tha

Salaam Marsia Nauha Marsia 179


Ek bhi daanth na niklaa tha Ali Asghar ka
Ek baalish ka kurtha tha Ali Asghar ka
Chotaa qadh nanhaa sa jhoola tha Ali Asghar ka
Doodh peena bhi na choota tha Ali Asghar ka
Moonh sey maa baap ka bhi naam na ek baar liya
Bey zabaan bachchey ko bhi hurmulaa ney maar liya

Ek jaan laakh khareedaar ayaazan billah


Pyaasey par teeroun ki bochaar ayaazan billah
Na koyi yaar na ghamqaar ayaazan billah
Har taraf zaalimo khoonqaar ayaazan billah
Apney ruthbey ka kisi ka na shanaasa dekha
Dekha pyaasey ney jisey khoon ka pyaasa dekha

Teen baari huvey jab pyaas sey beyhoush Imam


Aakhir-ul-amr kiya pyaas mai rokar yeh kalaam
Aiyyohan-naas meray qatl pa baandho na husaam
Pyaas sey teen shab-o-roz ki hai kaam tamaam
Ab koyi pyaasoun main baaqi nahin mai tanha hoon
Chaaho paani doh mujhey chaaho na doh pyaasa hoon

Abhi yeh kehna chukaa tha pisar-e-Shaahey Najaf


Sau hazaar ahley jafaa toot paday teigh bakaf
Sab kamaan daaroun kay teer aur dil-e-Shabbir hadaf
Girdh jallaadh thay aur beech mai Zehra ka Khalaf
Hokay beyhoush girey jab Shahey deen ghoday sey
Saath hi koodh padaa shimr-e-layeen ghoday sey

180 Marsia Salaam Marsia Nauha


Aayaa ghussey mai qareenshah kay woh badh akhtar
Teigh ek haath mai ek haath mai kheinchay khanjar
Bey adab ney joy eh chaahaa kay chadey seenay par
Shah chupkay sey yeh bolay kay teihar shimr teihar
Sunlay duniya mai meray baad tujhey rehna hai
Tujhsey kuch apne yateemon kay liye kehna hai

Keh toh doon aagay amal uspaa tu kar ya kay na kar


Shimr bolaa kay bhalaa khair kaho aye Sarwar
Kaha Sheh ney meri gardhan pa chalay jab khanjar
Qibla roo laash litaa deinaa uddhaakar chaadar
Aur ithna tu meri rooh pa ehsaan karna
Dekh saidaaniyoun kay sar ko na uryaan karna

Qatl waaris huvey ab unkay sathaaney sey kya


Jiska waali na ho us ghar kay jalaaney sey kya
Aap hi rothay hain bevoun kay rulaaney sey kya
Nangay sar pardha nasheenoun kay phiraaney sey kya
Ya tu rauze pa Nabi kay unhey pahooncha deinaa
Ya inhey waarisoun kay laashoun pa bitlaa deinaa

Beti ek teen baras ki hai Sakina meri aah


Dekh tu usko tamaachey na lagaana gumraah
Woh jo roye na ghurakna na darraana lillah
Mainey naazoun sey usay paala hai Khaaliq hai gawaah
Kal talak thi meray seenay ki woh sonay waali
Ab woh hai sahib-e-maatam meri ronay waali

Salaam Marsia Nauha Marsia 181


Shimr bola kay Sakina ko bohoth chahathay ho
Sheh ney farmaaya kay haan sabmay hai pyaari mujhko
Sangh dil bola toh bas khair tum ab kuch na kaho
Main nahin suntha Sakina ki sifaarish na karo
Main tamaachey usay maaroonga ghurakh bhi doongaa
Jitni dijaayegi eezaa main useeko doongaa

*****

Jisdum naginey khaatam-e-Paighambaraan giraa


Raunaq utthi zameen sey Imam-e-Zamaan giraa
Girney pa sab giroh liye barchiyaan giraa
Hai hai na in jafaaoun pa bhi aasmaan giraa
Zehra sey poochiyeh khalaq noor-e-ain ka
Taphna zameen pa aur tadapnaa Hussain ka

Mushtaaq-e-sair-e-zibhaa baday afsaraaney keen


Qaatil kayee khadey huvey aakar qareen qareen
Koyi pukaara haan koyi bolaa abhi nahin
Ab deir kya hai sajdeh main rakh leinay doh jabeen
Aawaaz dee umar ney hai gardhan dhalee huvi
Qaatil pukaara aankh abhi hai khulee huvi

Sab tham gaye magar na thamaa shimr-e-badh shiyam


Sar peetnay ki jaa hai rakha us jagaah qadam
Seena dabaah toh aur bhi tadpey Shahey Umam
Shor-o-fughaan sunaa isi haalath mai dam-ba-dam
Qaatil sey poocha dekh kidhar ghul yeh hotha hai
Hai hai Hussain kehkay koyi run mai rotha hai

182 Marsia Salaam Marsia Nauha


Woh bola koyee hoga main dekhoon bhalaa kidhar
Ab teigh par nigaah hai Sheh ragh pa hai nazar
Haan jab sawaar honay lagaa tha main seenay par
Saidaani ek niklee thi khaimey sey nangay sar
Us dam hamaari fouj main toh eid hothi hai
Mujhko yaqeen hai yeh wohi Bibi rothi hai

Sheh bolay aur koyee nahin yeh bahen bahen


Aashiq bahen Hussain ki tashnaa dahan bahen
Bhooli hamaarey pyaar main maa ka chalan bahen
Balwaa kahan kahan yeh meri qasthaa tanh bahen
Qaatil pukaara aagay bhi baahar yeh aayi thi
Sheh bolay jab sinaan yeh Akbar ney khaayi thi

Woh ronaa beykasi ka woh ghabraana yaas ka


Woh thar-tharaana dil ka woh uddnaa hawaas ka
Kehnaa bilakh bilakh kay yeh kalmaa hiraas ka
Aye shimr waastha Ali Asghar ki pyaas ka
Lillah teen roz kay pyaasey ko chodd dey
Sadqaa Nabi ka unkay nawaasey ko chodd dey

Thamjaa Khuda ko maan Habeeb-e-Khuda ko maan


Zehra ko maan Hazrath-e-Mushkil Kusha ko maan
Saugandh faqr-o-faaqaa-e-Aal-e-Abaa ko maan
Apni Rasool zaadi ki tu ilteijaah ko maan
Saarey buzurgh margaye mujh badhnaseeb kay
Meraa koyi nahin hai siwaa is ghareeb kay

Salaam Marsia Nauha Marsia 183


Aye shimr main galay sey lagaaloon toh zibhaa kar
Bhaayi sey milkay khaimey main jaaloon toh zibhaa kar
Kuch dard apney dil ka sunaaloon toh zibhaa kar
Syed ko Qibla roo main litaaloon toh zibhaa kar
Paani toh bhookay pyaasey ko aye badhqisaal dey
Hai waqt-e-zibha aankhoun pa kapdaa toh daal dey

Aye shimr tujhko Khaaliq-e-Akbar ka waastha


Aye shimr tujhko roohey Payambar ka waastha
Aye shimr tujhko Hyder-e-Safdar ka waastha
Aye shimr tujhko nanhey sey Asghar ka waastha
Lillah kar na zibhaa Shahey mashraqain ko
Main bheek maangthi hoon mujhey dey Hussain ko

*****

Kiski zabaan sey pyaas ney paayi hai aabroo


Kis tashnaa labb kay hissey mein aayi hai aabroo
Imaan kiski khaak pah laayi hai aabroo
Aansoo ki kiskay gham ney baddhaayi hai aabroo
Kis pyaasey kay qalaq mein hamein shor-o-shayn hai
Poochaa jo naam pyaas pukaari Hussain hai

Narghaa huva Hussain pah jo fouj-e-Shaam ka


Teeroun sey jism chhan gayaa Shaahey anaam ka
Chillaaya naam leykay layeen khaas-o-aam ka
Aye marhabaa yeh hamlaa kiya tu ney kaam ka
Haan meray rustumo na amaan doh Hussain ko
Nokhoun pah barchiyoun ki utthaalo Hussain ko

184 Marsia Salaam Marsia Nauha


Taaqath huvi jo taaq Shahey deen panaah ki
Hasrath sey su-ey ganj-e-Shaheedaan nigaah ki
Raakib ko Zuljanaah ney dekha aur aah ki
Rokar Hussain bolay jo marzee ilaah ki
Dard-o-alam ki kis sey talab daad kijiyeh
Bolaa woh beyzabaan kuch irshaad kijiyeh

Shafqath sey haath ghoday ki gardhan mein daalkar


Bolay hamein kuch aankhoun sey aathaa nahin nazar
Ghoday tu chal kay ganj-e-Shaheedaan mein ghaur kar
Aaraam kartay hain Ali Akbar meray kidhar
Aye asphey ba-wafaa meray dil ko qaraar dey
Aashiq ko chal kay unkay baraabar utaar dey

Ghodaa qadam qadam su-ey maqtal huva ravaan


Yaani na Sheh kay jism ko ho sadmaa-e-takaan
Ek naujawaan ki laash pah tehraa woh naagahaan
Boo soungh kar Hussain pukaarey yehi hai haan
Baitthaa jo Zuljanaah kay aap uthrey zeen sey
Doh haath kaampthay huvey nikley zameen sey

Haathoun kay saath aayi yeh aawaaz naagahaan


Hai hai yeh gehray zakhm yeh garmi hai al-amaan
Aakar sambhaaltey nahin Abbas hain kahaan
Aao hamaari goadh mein aao nisaar maan
Markar bhi hum judaa nahin pyaarey kay saath hain
Waari yeh teray paalney waali kay haath hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 185


Un haathoun ka milaa jo sahaara Hussain ko
Ghoday ney beytakaan uthaara Hussain ko
Naizaa sinaan ney daud kay maara Hussain ko
Phir toh rahaa na zabth ka yaara Hussain ko
Jalthi zameen pah ghash kayi saa-ath padhey rahey
Jallaad girdh teighoun ko kheinchey khadey rahey

Lo momino laraztha hai ab dasht-e-Karbala


Lo ghash huva Batool ki aaghosh ka palaa
Lo shimr zibhaa karney ko mazloom kay chalaa
Lo ab chhuree hai aur Nabi zaadeh ka galaa
Betay muaiy na niklee magar ab nikal padhee
Mooh dhaampoh aye Hussainio Zainab nikal padhee

*****

Jab katt gaye haftaad doh tanh raahey Khuda main


Tanhaa rahey Shaahey Shohadaa dashtey balaa main
Taaqath na rahi jism-e-Imam-e-dosaraa main
Koyi na raha Sheh kay azeezo rufaqaa main
Sarkaar ki rounaq thi na darbaar tha baaqi
Luttney ko harum marney ko Sardaar tha baaqi

Farmaatay thay haathoun pa liye laasha-e-Asghar


Maqbool ho aye baar-e-Khuda hadyaa-e-ehqar
Kis mooh sey tera shukr karoon aye meray daavar
Tuneh meray Asghar ko diya ruthbaa-e-Akbar
Jaan apni meray shiyoun kay bachchoun pa fida ki
Shashmaahey pa bilkul hai yeh taaeedh Khuda ki

186 Marsia Salaam Marsia Nauha


Gham ka mujhey gham hai na khushi mujhko khushi ki
Tu sar pa hai parwaah nahin bandhay ko kisi ki
Haan ek yeh haajath hai Hussain ibney Ali ki
Sar nangay na dekhoon main nawaasi ko nabi ki
Bey pardaah woh jab ho kay main paiwandh-e-
zameen hoon
Aur yoon teri marzi hai toh baahar bhi nahin hoon

Lashkar diya kunbaa diya ghar bhi diya tunay


Sardaar bhi tunay kiya sar bhi diya tunay
Humshakl-e-Payamber sa pisar bhi diya tunay
Yeh houslaa yeh dil yeh jigar bhi diya tunay
Kya faqr jo pyaaroun ko rahey haq main diya hai
Teri hi inaayath ko fidaa tujh pa kiya hai

Mujh main thi yeh qudrath kay bharey ghar ko lutaatha


Waan qatl ho Akbar idhar Asghar ko main laatha
Taddpay yeh meray haathoun pa main labb na hilaatha
Baazu ho judaah haath na ummath pa utthaatha
Yoon khush koyi hungaam-e-tabaahi nahin hotha
Bandhay sey yeh bey fazley ilaahi nahin hotha

Ummath ney bhulaaya hai mujhey tu na bhulaana


Tu paak hai duniya sey mujhey paak utthaana
Sab chodd kay tanhaa huvey jannath ko ravaana
Aye baar-e-Khuda qabr ki wehshath sey bachaana
Jab gor-e-ghareebaan ka andheira nazar aaye
Har samth ko jalwaa mujhey tera nazar aaye

Salaam Marsia Nauha Marsia 187


Naagah nida pardaa-e-Qudrath sey yeh aayi
Shaabaash kay tasleem-o-riza khoob dikhaayi
Bandhay tujhey humney kiya Muqtaar-e-Khudaayi
Khaasaan-e-Khuda kartay hain yoon waada wafaayi
Pyaarey bhi musaaheb bhi fidaa kardiye tunay
Iqraar tha ek sar ka bahaathar diye tunay

Bas bas kay Khuda ab tera sharmaatha hai Shabbir


Kyon meray huzoor aaney main ghabraatha hai Shabbir
Taalib hoon main jis hadyeh ka tu laatha hai Shabbir
Bandhoun ka hamein ijzz pasandh aatha hai Shabbir
Tu izr ka tohfaa meri dargaah ko samjhaa
Main ruthbaa tera samjhaa tu Allah ko samjhaa

Hazrath ney suneh hukm-e-ilaahi jo yeh saarey


Bey saaqtha murddkar su-aiy kuffaar pukaarey
Qaatil hai kahaan aaye meray sar ko uthaarey
Deodi sey bahen boli main qurbaan tumhaarey
Saidaniyaan dukh main kisey chillaegi bhaayi
Bin maa ki yeh behnay teri lutt jaayengi bhaayi

Waan zaalimoun ney mourchay ek daf-faa baddhaaye


Baadal ki tarhaa Fatema kay chaand pa chaaye
Yoon teer-e-jafaa maarey kay seenay main dar aaye
Naizey jo lagaaye toh kaleijey main lagaaye
Zakhmoun sey toh khoon-e-badan-e-Shah tha jaari
Aur mooh sey tawakkalto Alallah tha jaari

188 Marsia Salaam Marsia Nauha


Barchee kabhi pehloo pa chali aur kabhi shamsheer
Patthar kabhi maathay pa lagaa aur kabhi teer
Sambhlaa na gaya hogaye ghash Hazrath-e-Shabbir
Aur seena-e-zakhmi pa chaddha zaalim-e-beypeer
Sar peet kay mindheel farishtoun ney giraa di
Zaalim ney chhuree halq pa Syed kay phiraadi

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 189


Shaam-e-Gharibaan

Kehti thi run may aakay Sakina jawaab doh


Jaaney Nabi-o-Fatima Zehra jawaab doh
Kya so rahey ho khaak pa tanhaa jawaab doh
Aayi hoon turnko dhoondney isjaa jawaab doh
Marthi hoon gham sey meray maseehaa jawaab doh
Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Zakhmi huvey hain kaan meray chhin gaye gauhar


Kis say kahoon ke zakhmoun may hai dard baishtarr
Faryaad turnsey karney main aayi hoon aye pidar
Hai qaabiley mulaahezaa yeh haal sar ba sar
Dekho yeh khoon bharaa huva kurta jawaab doh
Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Qaidi banaake shaam ko leijaatey hain hamein


Pursaa nahin hai koyi ke kuch unsey hum kahein
Faryaad gham zadoun ki na Hazrat bhi gar sunein
Kab tak in aafathoun may raheiy aah kya karein
Kya kah rahi hoon Syed-e-wala jawaab doh
Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Aye jaan-e-Fatima-o-payamber utho utho


Aye nor-e-ain-e-Faatha-e-khaiber utho utho
Dekho aseer hogayi Qaahar utho utho
Chilla rahi hai aapki dukhtar utho utho
Kya so rahay ho beti key shaida jawaab doh
Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

190 Marsia Salaam Marsia Nauha


Beygoar kyon paday hain tumharey rafiq sab
Laasha yeh jalti reith pa main dekhti hoon jab
Hotha hai meray dil paa dubaala gham-o-taabh
Dafnaatha inko koyi nahin is ka kya sabab
Kyon beykafan har ek ka hai laasha jawaab doh
Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Aati hai Daadijaan ki awaaz yaan suno


Kis dard sey pukaarti hai Babajaan suno
Karti hai kaisey ranjo alam ke bayaan suno
Kya so rahay ho binte Nabi ki fughaan suno
Kin mannathoun say kehti hai Zehra jawaab doh
Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Poochey jo mujhsey haal, tumhaara bayaan karoon


Pyaasey shaheed ho gaye Baba bayaan karoon
Akbar ka mainey dekha hai laasha bayaan karoon
Asghar ka sar bhi naizay pa dekha bayaan karoon
Kya kehkay is ko doon main dilaasa jawaab doh
Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Rothay thay aap main jo kabhi karthi thi fughaan


Samjhaakay leikay goadh may kartey thay yoon bayaan
Qurbaan teri aankhoun ke aansoo na kar rawaan
Ab mera rona aur yeh gham khana Babajaan
Kyon aap ko hua hai gawaara jawaab doh
Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 191


Ahley haram pey aaj qayamat ki raat hai
Jungle darouna hay yeh wehshat ki raat hai
Hai hai yateem rotay hain ghurbath ki raat hai
Sar par nahin Hussain yeh furqath ki raat hai
Khaime jaley padein hain Shahey mashraqain kay
Mitthi pey aaj sothay hain bachchey Hussain kay

Woh raat andheri aur woh maidaan-e-Karbala


Laashey padey hain reyth pey jinkay hain sar judaa
Ghurbath yeh keh rahi hai kay in par huvi jafaa
Chaadar udaaey kaun haram sab hain beyridaa
Sar dekay raah-e-haq mein yunhi naam kartey hain
Din bhar kay hain thakey huvey aaraam kartey hain

Shaam-e-ghareeban karti hai Zainab ajab fugaan


Naalon sey hil rahey hain zameen aur asmaan
Hai hai Hussain kehkay jo roti hai neemjaan
Run mein wahaan tadapti hai laash-e-Shahey zamaan
Aawaaz aa rahi hai bahen main teray nisaar
Aey ghamgusaar meray yateemon sey hoshiyaar

Zainab ka sabr dekh kay hotha hai dil figaar


Bachon ko bibiyon ko jamaa kar kay sogwaar
Taskeen dilaasa deyti hai bhaayi ki ghamgusaar
Lekin Sakina puchti hai rokay baar baar
Baba kab aayeingay phupi baba kab aayeingay
Seenay pey apney woh mujhey phir kab sulaaengay

192 Marsia Salaam Marsia Nauha


Zainab ney pyaar kar kay yateem-e-Hussain ko
Goudi mein apni ley liya is noor-e-ain ko
Bibi zaraa toh kijiyo kam shor-o-shain ko
Kal subha dekh lo gi Shahey Mashraqain ko
Behlaayi yoon phupi kay woh khamoosh hogayi
Gurbat sey maa kay zaanu pey sar rakh kay sogayi

Guzri hai aadhi raat falak bhi hai nauhagar


Girtey hain taarey toot kay maanind-e-Ashk-e-tarr
Aur chupkay chupkay rothi hai ek bibi nangey sar
Hai chob-e-khaimaa haath mein baandhi huvi kamar
Kaati hai raat ankhon mein Zehra ki gul-e-zaar
Masroof hai talaaya mein bhaayi ki sogwaar

Awaaz aayi ghodon kay taapon ki naagahaan


Dekha sawaar aata hai is simth bey takaan
Baddkar pukaari kaun hai kya kaam hai yahaan
Waaris humaarey qatl huvey lutt gaya makaan
Allah hai gawaah nahin paas maal-o-zar
Chaadar humari chinn gayi aur hum hai nangey sar

Lekin badaaey aata tha ghodey ko woh sawaar


Zainab kay pass rok liya aakay raahwaar
Ultti naqaab chehrey sey utraa woh Shehsawaar
Beti kay saamney thay khadey Sher-e-kirdagaar
Hai khaak sar pa thaamey kalejey ko aaye hain
Pursa bahen ko bhaayi ka denay ko aaye hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 193


Pehlaa kay haath baap sey Zainab lipatt gayi
Ro ro kehti thi meri qismat ulatt gayi
Baaqi jo Panjetan ki nishaani thi mitt gayi
Baba main apney bhaayi sey jungle mein chutt gayi
Amma ka ghar bharaa huva barbaad hogaya
Sehra jo Karbala ka tha aabaad hogaya

Ro kar kahaa Ali ney ho qurbaan yeh pidar


Soyi-yoh thodi der kay hoti hai ab saher
Dar peish subhaa ko hai tumhein Shaam ka safar
Darbaar mein yazeed kay jaana hai nangey sar
Mushkilkusha hoon zulm yeh dekhey na jaayengay
Beti rasan sey haath teray baandhey jaayengay

Aayi sadaa-e-Fatima faryaad Ya Ali


Kheti hamaari hogayi barbaad Ya Ali
Mushkilkusha-e-khalq ho rudaad Ya Ali
Bachchon pey meray hogayi beydaad Ya Ali
Kheti meri ujadd gayi ghar mera lutt gaya
Zainab hai bey ridaa sar-e-Shabbir katt gaya

*****

194 Marsia Salaam Marsia Nauha


Safar-e-Kufa

Jab lutke Karbala se aseere sitam chale


Sajjad sar barahna ba dardo alam chale
Rothay saron ko peet teh paaband gham chale
Zainab ne laashe sheh se kaha bhai hum chale
Marne se aapke main yeh eeza uthati hoon
Darbar mein yazeed ke sar nangay jaati hoon

Hae hae mere musafire Karbobala Hussain


Hae hae mere ghareeb mere mehleqa Hussain
Hae hae tujhe na paani ka qatra mila Hussain
Hae hae tamam tanh tera tukde hua Hussain
Pyase gale pah qanjare bedad chal gaya
Hae hae tadap tadap ke tera dum nikal gaya

Le nainawa Ali ki biza-at tujhe mili


Ae Karbala Khuda ki amanat tujhe mili
Ae qaak meri maa ki riyazat tujhe mili
Le ae zameene shammey imaamat tujhe mili
Daman tera bhara meri kheti ujad gayi
Sarhad mai tere bhai se Zainab bichad gayi

Yeh kehke sar ko peet ke roi woh dil jalee


Aakar Najaf se haal mera dekho ya Ali
Gardan rasan mein aapke beti ki hae bandhi
Kehti yeh Maariya se woh ba chashm tar chali
Hae hae mai Karbala-e-mo-alla mein lut gayi
Pardes mein mai aake biradar se chut gayi

Salaam Marsia Nauha Marsia 195


Kya lutf zindagi ka jo naqsha bigadh gaya
Kyonkar na tadpoon aah bada paich padh gaya
Is qaafele ka qaafela waala bichad gaya
Hae hae hamara kaisa bhara ghar ujad gaya
Pardesiyon ne chawni jungle mein chaai hae
Bhai ne mere ek nayi basti basaai hae

Mehmaan bula ke hum se dagha ki laeenoun ne


Kya kya na hum pah jorojafa ki laeenon ne
Kuch bhi zara na sharmo haya ki laeenon ne
Gardan qifa se sheh ki juda ki laeenon ne
Qaima jala ke ahle sitam shaad hogaye
Hum Karbala mein aan ke barbaad hogaye

Bhai pah mere saamne naize chala kiye


Teghho tabar badan pah barabar laga kiye
Shabbir shukr shukr he moonh se kaha kiye
Utra na shumr seene se besar judah kiye
Rothi rahi mae woh sare Shabbir le gaya
Bhai ki mere khoon bhari tasweer le gaya

Faryad hum ghareebon ki suntah nahin koi


Kis se kahoon jo hum pah museebat guzar gayi
Chadar bhi moonh chupaane ko sar par nahin rahi
Sar khole shahre Shaam mein aayi mai diljali
Aada hamein dikha ke sare sheh rulaate hain
Ab saamne shaqi ke mujhe leke jaate hain

*****

196 Marsia Salaam Marsia Nauha


Darbaar-e-Shaam

Bevoun ka mulk-e-Shaam mai jisdum guzar huva


Zaanu pa jhuk kay sharm sey ooncha na sar huva
Farth-e-hayaa sey jism paseenay mai tarr huva
Har soo hujoom dekh kay tukhdey jigar huva
Phir kar tamaam koocha-o-baazaar-e-Shaam mai
Shehzaadiyaan pahoonch gayeen darbaar-e-aam mai

Taa deir ki yazeed sey Abid ney gufthagoo


Royaa kiye jhukaaye huvey sar ko sab adoo
Mehjoob hokay taqth sey utthaa siyaah rooh
Daakhil huva mahal main badh athwaar-o-thundhakhoo
Apney gharoun ko roosiyaa sab shaadmaan gaye
Zindaan ko Ahlebaith-e-Imam-e-Zamaan gaye

Bhaitey aseer-e-zulm adheirey main nangay sar


Darr darr kay dekhthi thi Sakina idhar udhar
Thay kis qadar thakay huvey Sajjad-e-khudsiyar
Girthey hi dasth-o-paa ki na muthlaq rahi khabar
Jaagay thay raat bhar jo bahot susth hogaye
Deewaar par bukhaar main sar rakh kay sogaye

Baano sey dam-ba-dam yeh Sakina ka tha bayaan


Kaisa makaan hai kay hawaa takh nahin jahaan
Dekhoongi kis tarhaa sey bhalaa shakl-e-aasmaan
Hai hai zameen takh nazar aathi nahin yahaan
Amma sabhoun ki jaan Khuda hi bachaaegaa
Shab ko bhi kya charaag jalaaya na jaayegaa

Salaam Marsia Nauha Marsia 197


Aisee hi teeragi hai toh bas ho chuki hayaath
Main jaanthi hoon aaj ki shab ko shab-e-wafaath
Sothay thay leikay seenay pa Baba tamaam raat
Aadath meri bigaadd gaye Shaahey khush sifaath
Jab shamaa gul huvi hai toh ghabraakay royi hoon
Amma bhalaa kabhi main andheirey main soyi hoon

Maa beti main yahaan thi gham angaiz daastaan


Aayi pahar kay bajjney ki aawaaz naagahaan
Hoshyaar bhaayiou yeh pukaarey nigaahabaan
Bhaagay aseer toh na bacheygi kisi ki jaan
Tadpey dil aur habz jo deh chand hogaya
Zindaan ka dar lahad ki tarhaa bandh hogaya

Chillaayi jald utt kay Sakina ghazab huva


Maa ney galay lagaakay kahaa shukr ki hai jaa
Qurbaan jaaoon dil ko sambhaalo payeh Khuda
Dekho guzar gayee hai paher raat main fidaa
Ab toh bani huvi hai Khuda par nazar karo
Taa subhaa jis tarhaa sey ho beti basar karo

Tadhbeerein maa ney ki payeh taskeen ajab ajab


Us raat ki tarhaa sey badhaa dam-ba-dam taa-ab
Ronay main katt gayee jo Sakina ko nisf shab
Naachaar hokay goadh main leyti woh khush laqab
Susthi kamaal khaatir-e-naazukh pa chaa gayi
Baathein jo maa ney ki toh zaraa neendh aagayi

198 Marsia Salaam Marsia Nauha


Soyi thi koyi dam kay bandhaa aansuoun ka taar
Dekhaa yeh khwaab aaye hain Sultaan-e-naamdaar
Pehlaaye haath dhoondthi utthi woh dilfigaar
Jhuk jhuk kay dekhti thi har ek samth baar baar
Kehthi thi hai ghazab ka andheira zia nahin
Baba kidhar khadey ho mujhey soojthaa nahin

Thay sab harum yateem ki baathoun pay nauhagar


Rothay thay paasbaan bhi moonh dhaamp dhaamp kar
Naagah gayi yazeed ko is haal ki khabar
Machlee huvi hai dukhtar-e-Sultaan-e-behrobar
Faryaad kar rahi hai ajab izteyraar hai
Baba ko dekhney kay liye beyqaraar hai

Ley jaao farq-e-Shah yeh bolaa siyaahey rooh


Leikar sar-e-Hussain ravaana huvey adoo
Thi raah main chamak sar-e-anwar ki chaar soo
Zindaan kay paas jaakay joh di geysuoun ney boo
Saidaaniyo mai hashr huvaa saff ulatt gayi
Zindaan kay dar sey aakay Sakina lipatt gayi

Khush khush khadi huvi thi Sakina lagaaye aas


Ithney main waan huva jo dar aayi guloun ki baas
Phailee ziyaa-e-husn-e-Shahenshah-e-haq shinaas
Roushan huva makaan jo muddath say tha udaas
Daudey harum Hussain ki tasleem kay liye
Sajjad utt khadey huvey taazeem kay liye

Salaam Marsia Nauha Marsia 199


Bhaitee zameen pa leikay Sakina sar-e-Imam
Moonh rakh kay moonh pa khoob kiye unskay kalaam
Ghash aagaya kay laayi qazaa mauth ka payaam
Liptee sar-e-pidar sey kheenchi jab raghein tamaam
Tha moonh pa moonh kay zeesth ka naqsha badal gaya
Hichki bas ek aayi waheen dam nikal gaya

Kurtha utthaa kay seenay ko deinay lagi hawaa


Zainab sey ki arz kay padhiyeh koyi dua
Sajjad sey kaha kay idhar aao main fidaa
Betaa bahen ki nabz toh dekho maraz hai kya
Chounkaa rahey hain sab khabar-e-dastho paa nahin
Ghash main kabhi yeh haal kisi ka sunaa nahin

Dekhi jo nabz ronay lagay Abid-e-hazeen


Maa ney kaha tadap kay mujhey taab ab nahin
Jo haal ho Khuda kay liye keh chuko kaheen
Sajjad sar jhukaa kay yeh bolay kay margayeen
Takleef dijiyeh na taneh paash paash ko
Jaldi litaaiyeh kay azeeyath hai laash ko

Sadqey gayi huva is andheirey mai inteqaal


Beti yeh daagh dil sey na jaayega maah woh saal
Fizza ney paasbaanoun sey jaakar kiya sawaal
Deidoh koyi charaag toh ehsaan hai kamaal
Ho roushni yeh rasm hai saarey jahaan mai
Maiyath padi huvi hai andheirey makaan mai

*****

200 Marsia Salaam Marsia Nauha


Jab mehfil-e-yazeed mein daakhil harum huvey
Ghash aaya har qadam pah yeh zulm-o-sitham huvey
Zainab pukaari haadeisay aisey bhi kam huvey
Sar katt gaya Hussain ka sar nangay hum huvey
Kyon aasmaan gir nahin paddtha duhaayi hai
Zehra ki beti saamney haakim kay aayi hai

Moujood anjuman mein sagheer-o-kabeer hain


Haakim kay girdh kursiyoun pah sab ameer hain
Khaasaan-e-Zuljalaal zaleel-o-haqeer hain
Mushkil kusha kay khurd-o-kalaan sab aseer hain
Kehdey koyi Ali sey yeh daarus salaam mein
Zainab ka daakhila huva darbaar-e-aam mein

Aye logou Karbala sey meray bhaayi ko bulaao


Aye logou meray gaysuoun waaley jawaan ko laao
Aye logou mera haadeisa Abbas ko sunaao
Aye logou yaadgaar-e-Hasan sey kaho kay aao
Qasim sey haaye kuch na kamakh us ghadi huvi
Yeh baal kholay kiski dulhan hai khadi huvi

Hokar aseer dukhtar-e-khaatam jo aayi thi


Naana ney meray khud isey chaadar uddhaayi thi
Poshaak amma ney nayee isko pinhaayi thi
Sabko yeh paas tha kay saqi ki woh jaayi thi
Ummath ko haaye pass Rasool-e-Khuda nahin
Zainab barhainaa sar hai aur unko hayaa nahin

Salaam Marsia Nauha Marsia 201


Baba ko meray pooch toh kaisa saqi hai woh
Mushkil kusha hai kul ka Khuda ka wali hai woh
Naana ko meray dekho kay sab ka wali hai woh
Bhaayi kay sadqey faqr-e-Nabi-o-Ali hai woh
Meri khabar aseeri mein leytha nahin koyi
Kapdaa bhi mooh chupaaney ko deytha nahin koyi

Darbaar mein yazeed kay harsoo tha izdihaam


Tehraa rahey thay baidh kay maanind khaas-o-aam
Baitta tha taqth-e-nehas pah woh nuthfaa-e-haraam
Ek haath mein toh sheesha tha ek haath mein tha jaam
Baalaa-e-taqth shughal tha isko sharaab ka
Aur zeir-e-taqth sar tha khalaf-e-Buturaab ka

Haazir wahaan tha ek farangi bhi us ghadi


Rokar kahaa yazeed sey isney kay aye shaqi
Teiray maamailey sey laraztha hai mera ji
Sar hai tabaq mein jiska yeh mujrim hai kya koyi
Haasha jo mein kahoon kay yeh ahley qasoor hai
Zulfoun mein boo-ey mashk hai chehray pah noor hai

Teiray maamailey sey mera housh jaata hai


Kya harf-e-badh tujhey yeh kattaa sar sunaatha hai
Jo choob baidh iskay labboun par lagaatha hai
Koyi bhi haath murdeh kay sar par utthaatha hai
Iska gunaah toh mujhey hairaan kar gayaa
Baaqi qasaas rehgaya aur sar utar gaya

*****

202 Marsia Salaam Marsia Nauha


Mehshar ki subha aaj numaaya hai shaam main
Kunbaah shafi-e-hashr ka hai izdihaam main
Sar nangay roohey Fatema hai ehtemaam main
Khaasaan-e-Zuljalaal hain balwa-e-aam main
Jibreel ki khuzaadiyaan tashreef laayi hain
Mushkil Kusha ki betiyaan bandee main aayi hain

Hai beech mai khuley huvey aaley abaa kay sar


Naizoun pa unkay girdh hain fouj-e-Khuda kay sar
Bachchoun kay sar buzurgoun kay sar aqrobaa kay sar
Rothay hain waarisoun kay saroun ko dikhaa kay sar
Sar rakh kay zaanuoun pa jo waaris ko rothay hain
Zaalim saroun mai naizoun ki nokain chubothay hain

Naizey pa hurmulaa kay chamaktha hai ek hilaal


Bikhrey huvey hain chaand sey moonh par jhandoley baal
Aulaad waaley kehthay hain aye rabb-e-Zuljalaal
Is beyzabaan kay khoon ka kisney liya wabaal
Gardish main haaye haaye yeh kiska sithaara hai
Leykar balaayein kehthi thi banu hamaara hai

Naagah huva yazeed ka darwaaza aashkaar


Haazir naqeebo haajibo darbaano chobbdaar
Teighein alam kiye huvey jallaadh-e-naabakaar
Mujraayi beyhisaab tamaashaayi beyshumaar
Aiwaan main bhi raqs ka saamaan tamaam tha
Par intezaar-e-ithrath-e-khairul anaam tha

Salaam Marsia Nauha Marsia 203


Bolay sab ekbaar woh aaye gunaahagaar
Aaye khusoorwaar woh aaye gunaahagaar
Jallaado hoshyaar woh aaye gunaahagaar
Woh aaye beydayaar woh aaye gunaahagaar
Jabsey kay aasmaan Khuda ney banaaye hain
Aal-e-Rasool aaj hi bandhee main aaye hain

Rokaa umar ney baddkay Alam ko sipaah ko


Mujraah par aa jamaah kay kiya baargaah ko
Aur hanskay dekha aal-e-Risaalath panaah ko
Aawaaz di nabeera-e-shair-e-ilaah ko
Haan haan mihaar rokhnaa oontoun ka thaamnaa
Ab hai yazeed kay dar-e-dowlath ka saamnaa

Pahoonchey muraad ko safar apna tamaam hai


Uthro aseero uthro adab ka muqaam hai
Aagay toh aasthaana-e-sultaan-e-shaam hai
Dekho toh kya jalaal hai kya ehteshaam hai
Iski vilaa main arsh ko humney hilaa diya
Ghar Panjetan ka khaak main bilkul milaa diya

Sun naa yeh tha kay sab kay jigar par churee chali
Oontoun sey uthri bibiyaan keh keh kay ya Ali
Aankhein phiraakay rehgayee baanu ki laadli
Roohey Hussain ko huvi jannath main beykali
Taaqath badhan ki ghat gayee aur zouf badd gaya
Uthrey jo bey sahaarey toh dum sab ka chadd gaya

204 Marsia Salaam Marsia Nauha


Seenay mai dam abhi na samaaye thay hai ghazab
Jo aaye reesmaan liye haathoun mai beyadab
Ghabraakay poocha bevoun ney tajveez kya hai ab
Bolaa umar kay majlis-e-haakim main hai talab
Manzoor hai kay roohey Ali phir malool ho
Majmay main rooh bakaariyeh aal-e-Rasool ho

Mazloomiyath sey rokay yeh mazloomoun ney kaha


Haakim ki yeh khushi hai toh phir uzr humko kya
Bazaar main toh phir chukay beymaqnaa-o-ridaa
Aasaan kareigaa mushkil-e-darbaar bhi Khuda
Haazir hain ley chalo hamein gumraaho ley chalo
Sar par nahin Hussain jahaan chaaho ley chalo

*****

Aamadh hai Ahlebaith-e-Payamber ki Shaam main


Gaysoo khuley huvey hain aza-e-Imam main
Sar peet thi hai Fatema Daarus salaam main
Zainab yeh nauha karthi hai balwaa-e-aam main
Logo khabar karo meray naana Rasool ko
Balway main shimrn laaya hai binte Batool ko

Naana teri nawaasi kay sar par ridaa nahin


Aur ahley shaam dekhtay hain kuch hayaa nahin
Abid ghareeb marthaa hai taph sey dawaa nahin
Beyhoush nanhey bachchey hain aab-o-ghizaa nahin
Dil sab ke kaampthay hain badhan thar tharaathay hain
Ab saamney yazeed kay sadaath jaathey hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 205


Hain ek rasan main baara galay waah museebatha
Rothay hain godhiyoun kay palay waah museebatha
Bas main sitamgaroun kay chalay waah museebatha
Khaak-e-aza hain mooh pa malay waah museebatha
Mushkil qadam utthaana tha us izdihaam main
Yoon ithrath-e-Nabi gayee balwaa-e-aam main

Zainab tadap kay oontt pa karthi thi yeh bayaan


Darbaar main talab huvey saadaath naagahaan
Oontoun sey uthri bibiyaan keh keh kay al-Amaan
Peish-e-yazeed ley gaya zaalim kashaan kashaan
Saamaan-e-jashn-e-aam tha darbaar-e-aam tha
Aur nangay sar Hussain ka kunbaa tamaam tha

Muthrib taraana sanjj thay raqqaas shaadmaan


Padthey thay tehniyath kay qasiday qasidakhawn
Haazir vakeel-e-rome-o-khoothan baashikoh-o-shaan
Haathoun pa nazr fathaa liye khurd aur kalaan
Chillaathi thi Batool yeh zulm-e-shadeed hai
Ya Rab teiray Hussain kay marney ki eid hai

Naagaah baddkay shimr-e-layeen ney kiya salaam


Bolaa kay aye ameer yeh shaadi ka hai muqaam
Ummeedwaar-e-qallath-o-jaageer hai ghulaam
Haazir hai sar shaheedoun kay aur ithrath-e-anaam
Baddkar pukaara murraah kay apna jigar hai yeh
Ley hum shabihey khaas Payambar ka sar hai yeh

206 Marsia Salaam Marsia Nauha


Wallah iskay ranjo alam main basadh bukaa
Farzandh-e-buturaab bahaathar jagaah giraa
Yeh zikr tha kay hashr ka saamaan hogaya
Ghabraagaya yazeed kay yeh kya ghazab huva
Dekha toh hurmulaa bhi bahot shaad aathaa hai
Sar ek chotay bachchey ka haathoun pa laatha hai

Hai khoon-e-halq halq kay oopar jamaa huva


Nanhaa sa mooh hai pyaas kay maaray khulaa huva
Baachoun main doodh dono taraf hai bharaa huva
Suraaq-e-teer-e-zulm galay main padaa huva
Is khoon par yazeed ney jisdum nigaaha ki
Us sey bhi zabth ho na sakaa rokay aaha ki

Bolaa bathaao isney bhalaa ki thi kya qathaa


Tu ney isey nishaana kiya teer-e-zulm ka
Bachchey pa bhi na khaaya taras tu ney beyhayaa
Yeh nanhaa sa galaa woh teira naawak-e-jafaa
Bathlaa toh kis falak ka yeh mehray muneer hai
Baanu pukaari baddkay yeh mera sagheer hai

Hairaan khadey thay sab harum-e-Shaahey Mashraqain


Mohray sukooth labb pa na shikwaa na shor-o-shayn
Zainab ney dekha taqth pa naagaah sar-e-Hussain
Bey saaqthaa tadap kay yeh karney lagi woh bayn
Hai hai na mauth aayi mujhey raahey shaam main
Bhaiyya mera salaam lo darbaar-e-aam main

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 207


Qaid khaane mai talaatum hai kay Hind aathi hai
Dukhtar-e-Fatema ghairath sey mooee jaathi hai
Rooh qaalib main woh zindaan main ghabraathi hai
Bey hawaasi sey har ek baar woh chillaati hai
Aasmaan door zameen saqth kidhar jaaoon main
Bibiyo milkay dua maango kay marjaaoon main

Kya karoon kya na karoon jald bathaao logo


Sadqaa Akbar ka hiqaarath sey bachaao logo
Oatt karkay ho khaday mujhko chupaao logo
Ya kisi goshay main leijaa kay bitthaao logo
Sar khuley ho kisi hujreh main mujhey bandh karo
Hind aathi hai mujhey khaak ka paewandh karo

Is tarhaa Hind kay aaney sey na ghabraaoon main


Binte Hyder hoon na kyon qaid mai sharmaaoon main
Koyi deewaar jo shaq ho toh samaa jaaoon main
Seedhay maajayeh kay maqtal ko chalee jaaoon main
Karbala main na yeh zillath hai na ruswaayi hai
Beyrida main hoon toh beygoar mera bhaayi hai

Naagahaan Fizza ney di Ahley Harum ko yeh khabar


Hind aathi hai baday jaaho tajammul sey idhar
Beeraqay nuqraa-o-zar ki hain juloo kay andar
Sab kaneezein toh ridaa odhi hai woh nangay sar
Par sawaari bahot aahistha ravaan hothi hai
Har qadam hind teiharr jaati hai aur rothi hai

208 Marsia Salaam Marsia Nauha


Kehthi hai qaidiyoun kay shor-e-bukaa ney maara
Mujhko is haaye Hussaina ki sadaa ney maara
Inkay sardaar ko kis ahley jafaa ney maara
Kya woh Syed tha jisey ahley daghaa ney maara
Ek bijli si kaleijey pa meray girthi hai
Nangay sar Fatema aankhoun kay taleh phirthi hai

Hogaya zibhaa koyi khaasa-e-baari logo


Ins-o-jinn-hoor-o-malak karthay hain zaari logo
Ley chalo suaiy Najaf meri sawaari logo
Hogi mushkil waheen aasaan hamaari logo
Khair sey hain meray Aaqa toh woh sothay hongay
Warnaa marqadh main Ali betay ko rothay hongay

Laundiyaan thi zann-e-haakim kay juloo main jo ravaan


Dekhthi kya hain kay ek shair hai aahan main nihaan
Laagarr-o-khastha tanh-o-faaqa kash-o-tashnaa dahaan
Mooh pa seili kay nashaan pushth pa durroun kay nashaan
Saaqay pa faaqay sey zanjeer main tharraathi hai
Istakhaanou sey larazney ki sadaa aathi hai

Sab ney mooh karkay suaiy hind yeh ki nauhagari


Dekhiye shaam kay zindaan main charaag-e-sahari
Yaad-e-Khaaliq main jo hai khalq sey hai beykhabari
Kyon musalsil kiya yeh toh hai adham ka safari
Kisney dam bandh kiya touq-e-jafaa sey iskaa
Silsilaa miltha hai kuch shair-e-Khuda sey iskaa

Salaam Marsia Nauha Marsia 209


Girdh Abid kay phiree hind ba haal-e-tagheer
Rakh diya paaooun pa sar apna hataakar zanjeer
Bolay woh kaun hai boli kay Kaneez-e-Shabbir
Assalaam aye rasan-o-touq-o-salaasal kay aseer
Hai waseeyath ka mahal marney pa taiyaar hai tu
Kuch kafan kay liye rakhtha hai kay naadaar hai tu

Gham na khaa gor-o-kafan main tujhey doongi Lillah


Nangay sar teiray janaazey kay chaloongi humraah
Marney waaley tera kya naam hai kabsey hai tabaah
Bolay Maula abhi chaalis baras jeena hai aah
Naam beykas bhi hai qaidi bhi hai beemaar bhi hai
Haal yeh hai kay aseeri bhi hai aazaar bhi hai

Hind ney poocha maraz kya hai kahaa beypadari


Rokay woh boli dawaa kya hai kahaa nauhagari
Ghar jo daryaafth kiya kehnay lagay darbadari
Boli leytha hai qabar kaun kaha beykhabari
Aah karnay ka sabab poocha toh sharmaaney lagay
Taaziyaanou kay nashaan pushth pa dikhlaaney lagay

210 Marsia Salaam Marsia Nauha


Shahadath Bibi Sakina (s.a.)

Jab daage bekasi na Sakina utha saki


Aur darde dil na qowf ke maare suna saki
Khaye tamaanche shumr ke jab tak ke kha saki
Sin kam tha dukh bahut thay na bardasht laa saki
Ro-ee toh zalimoun ne jafa beshumaar ki
Aaqir yeh jabr dekh kay mauth eqtiyaar ki

Gar aah ki toh shumr pukara qaamosh ho


Aur chup hui toh bepidari ne kaha ke ro
Gah shiddate atash se pukari ke paani doh
Gah yaad karke rah gayi baba ki pyaas ko
So-ee jo aansu ponch ke chashme pur aab se
Hae hae Hussain kehke phir uth baithi qwab se

Dil mein sama gaya tha jo shumre la-een ka darr


Soney mein kaamp kaamp yeh kehti thi raat bhar
Faryaad cheenta hae gowhar shumre badh gohar
Aata hae ibne saad chupoon jakey main kidhar
Zainab phoopi sambhalo kaleja dhadakta hae
Sajjad bhai dekho yeh qooli ghurakta hae

Jab pyaas lagti roe ke chacha ko pukaarti


Dukhte jo kaan shah-e-huda ko pukaarti
Aata na jab koi toh Khuda ko pukaarti
Jeene se tangh hoke qaza ko pukaarti
Kehti thi ne chacha na imame umam rahe
Rulwaane ko adoo rahe rone ko hum rahe

Salaam Marsia Nauha Marsia 211


Chup thi toh chup thi bolti joh thi dari hui
Waan shumr aaya tunh mein idhar tharthari hui
Thi aah baat baat par lab par dhari hui
Gardan ki reesmaan lahu se bhari hui
Dum rukne lagta tha toh rasan khol detey thay
Baaher joh shumr bolta toh baandh lethay thay

Haale shabe wafaate Sakina hae yaadgaar


Goya ke apni marg thi bekas pah aashkaar
Milti thi shaam se woh gale sabke baar baar
Ma ki balaein leti thi woh ma ki gham ghusaar
Tasleem ko phoopi ki kabhi sar jhukati thi
Thi beqatah pah sab se qatah baqshwati thi

Zindaan se kehti thi yeh kabhi woh aseere gham


Ho jayega kal ek tera mehmaan kam
Mayyat kisi ki nanhi si niklegi subha dum
Bano se yeh qitaab kabhi tha bachashm nam
Ek taaza mauth hogi nabi ke gharane mein
Amma lutogi aaj ki shab qaid qane mein

Bano pukari lut toh chuki ab lutoongi kya


Bibi na naam lutne ka lo tum pah main fida
Gowhar chine tamanche lage kaan shaq hua
Lutne se meri bibi ka par dil nahin bhara
Zainab ki pushth nok-e sinaan se figaar hae
Par meri pyaari lutne ki umeedwaar hae

212 Marsia Salaam Marsia Nauha


Ab kya lutoongi maal nahin zar nahin raha
Akbar nahin raha Ali Asghar nahin raha
Rehne ko qaidqana mila ghar nahin raha
Hathon mein reesma bandhi zewar nahin raha
Dowlat hae kounsi jise zindaan mein kho-oongi
Rona tha jisko ro chuki ab kisko ro-oongi

Kubra se chupke chupke kabhi karti thi bayaan


Kal ek jagah mein jaoongi is ghar se mehmaan
Rokar woh poochti thi kaho toh kahan kahan
Darwaze mein toh qufl hae gardan mein reesmaan
Yeh kehti thi ke qufl laga hae toh kya hua
Zindaan hae bandh rowzae Rizwaan khula hua

Kubra hai aur tum ho yeh Sajjade natawan


Gar yeh bache toh naam hae varna hoon bay nishan
Woh boli sab rahenge salamat pah hum kahan
Ma ne kaha Khuda na kare ae Sakina jaan
Ki arz dekh logi joh pichli ko hoega
Baba ki rone wali ko sab kunba roega

Ab mauth meri sab ko mubarak kare Khuda


Marte he mere qaid se sab kunba ho reha
Jaata rahe buqaar biraadar ka be dawa
Jannat ko hum rawaan ho Madine ko aqroba
Ghul ho Sakina leke bala sab ki margayi
Hyder ki pothi mushkilein aasan kar gayi

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 213


Zindaan mein muqayyad huve jis dum harame shah
Ambohe qalaeq huva darwaze pah nagaah
Balwa hua is darja ke masdood huvi raah
Sar sharm se zanjeer pah Abed ne rakha aah
Tha woh arqe sharm aseeroun ke na tunh mein
Rotah tha har ek azoo ghame shahe zaman mein

Mashghool jo thay khel mein atfaal woh saare


Karti thi Sakina wahan hasrat se nazaare
Kehti thi ke kya hogaye hamjoli hamare
Baba Ali Asghar ko kahan leke sidhaare
Sab bachhe yahan khelte hain qandah zana hain
Main khelti thi jin se woh atfaal kahan hain

Naagah namudaar hui shame ghareeban


Aaya ghazab aalood wahan shumr badh imaan
Ek ek se muqaatib huva woh dushmane yazdaan
Ab jao ke hotah hae muqaffil dare zindaan
Hoegi rihaai na kabhi aale aba ki
Kal dekhiyo phir sair aseerane bala ki

Yeh sun ke pareshan hua amboh woh saara


Ghum hogaya ek shaqs ka farzand qazaara
Chillaya pidar us ka raha dil pah na yaara
Farzand bhi baba usey keh keh ke pukara
Woh tifl lipatne jo laga aake pidar se
Paidah huvi ek aah Sakina ke jigar se

214 Marsia Salaam Marsia Nauha


Bhar bhar ke dame sard yeh ki Bano se guftaar
Iss bachhe ko dekho ke kya qush hae yeh dildaar
Kya naame pidar pyaar se letah hae har baar
Ek hum hain ke hain baap ki furqat mein giraftaar
Dil mein joh mere dard hae qaaliq pah ayaan hae
Main kisko kahoon baap mera baap kahan hae

Baba mere hotey toh unhe kehti main baba


Ab baap kahan jisko kahoon baap main dukhiya
Yoon koi pidar beti se ghaafil nahin hota
Hairaan hoon baba ke woh ashfaq hue kya
Aada ne hamein qaid kiya shaam mein laakar
Baba mere kyon mujhko nahin dhoondhte aakar

Yeh kehke Sakina pah jo riqqat hui taari


Bas haye pidar keh ke kayi baar pukaari
Tadpi jo zameen par toh zameen hil gayi saari
Jhunjhla ke kaha shumr ne phir karti ho zaari
Ab qoob rulaonga tujhe main na daroonga
Rah tujhko aseeron se juda qaid karoonga

Phir shumr ne baazue Sakina ko jo pakda


Kunbe ki taraf us ne ajab yaas se dekha
Sab qaidiyon mein ek qayamat hui barpa
Sajjad ke qadmon par machal kar giri dukhiya
Yoon lipti thi bhai se woh is qowfo qatar se
Ek haath toh gardan mein tha ek haath kamar may

Salaam Marsia Nauha Marsia 215


Moonh dekh ke Sajjad ka kehti thi woh darkar
Ab aap mere ronay ke zaamin ho biradar
Gar tumse chuti zeest meri hoegi kyonkar
Ab ro-oon toh jo chahe kare shumre sitamgar
Bhaiyya mujhe toh shumr se is waqt bachale
Ab ro-oon toh kardeejiyo zaalim ke hawaale

Ab ro-ee so mein ro-ee na phir ro-ongi zinhaar


Ab ro-oon agar baap ko apne toh gunehgaar
Farmao ke ab chod dey mujhko yeh jafakaar
Bazoo mera dukhne laga ae Abede beemaar
Kis tarha juda kunbe se hoegi Sakina
Tum kehdo qasam khake na roegi Sakina

Yeh kehti thi kheencha jo sitamgar ne qazara


Kurta toh phata tha woh phata aur bhi sara
Tab Abede beemar ne rokar yeh pukara
Ae shumr yeh bin baap ki bachhi hae qudara
Ghaafil teri dehshat se na hoegi Sakina
Ab aisa dari hae ke na roegi Sakina

*****

Bano ki aaj kis liye sunsaan goadh hai


Bachchi ko kya huva aray veeraan goadh hai
Maa sar jhukaaye bhaitee hai veeraan goadh hai
Baali Sakina margayi sunsaan goadh hai
Naazoun sey jo pali thi Shahey Mashraqain ki
Mitti main aaj milthi hai bachchi Hussain ki

216 Marsia Salaam Marsia Nauha


Bano kay bayn hain meri goadhi ujad gayee
Baaqi thi Sheh ki ek nishaani kidhar gayee
Ya Rab main kya karoon meri bachchi bichadd gayee
Amma ko rothi chodd kay beti kidhar gayee
Aawaaz ek baar toh maa ko sunaao tum
Bano jiye toh kaisey jiye yeh bathaao tum

Hai hai jawaan betay ka sehra na dekhi main


Asghar ko haaye ghuttniyo chalthaa na dekhi main
Armaan koyi apna nikalthaa na dekhi main
Teiray bhi koyi kaaj ko hotha na dekhi main
Waaris ka saaya utt gaya betoun ko khoyi hoon
Baaqi jo ek bachchi thi aaj uspaa rothi hoon

Thi aarzoo main tumko parwaan chadhaaoongi


Dulhan banaakay dhoom sey shaadi rachaaoongi
Dil kay tamaam apney main armaan nikaaloongi
Yeh kya khabar thi khaak main tujhko milaaoongi
Main badhnaseeb reh gayee ronay kay waasthay
Tum jaa rahi ho qabr main sonay kay waasthay

Sajjad bolay sabr karo tum par main fidaa


Maiyath utthaaney jhuk gaya beemaar bey dawaa
Moonh rakh kay moonh pa bola bahen teiray main fidaa
Tujhko milaaney khaak main Sajjad rehgaya
Tharraaye haath aur museebath bapaa huvi
Maiyath uttnaa tha kay qayamath bapaa huvi

Salaam Marsia Nauha Marsia 217


Maiyath nikal rahi hai andheira makaan hai
Laaye charaag kaun paraaya makaan hai
Kurtha kafan hai phool hai naa saayebaan hai
Ghurbath ki mauth hai yeh yateemi ki shaan hai
Maiyath bahen ki bhaayi kay haathoun pa aathi hai
Hai hai Sakina qabr main sonay ko jaathi hai

Maa sar ko peet kar yehi kehthi hai baar baar


Aahistha leykar jaayioh betaa teiray nisaar
Jaakar na phir yeh aayegi Baba ki soghvaar
Jee bharkay dekh leinay doh phir mujhko ek baar
Logo bathaao kaisey main kafnaaney doon isey
Maa hoon main kaisey gaardney ley jaaney doon isey

Bhaayi kay haath zouf sey jab thar tharaathay hain


Nanhi si laash seenay sey liptaaye jaathey hain
Zanjeer jab ulajjthi hai ghabraaye jaathey hain
Soorath bahen ki dekhtay hain rothay jaathey hain
Sadhmey bahot utthaayi hai beti Hussain ki
Gardhan bhi hai cheelee huvi is noor-e-ain ki

*****

Rokar kahaa yeh maa ney kay dilbar jawaab do


Khamosh kyun ho behray Payambar jawaab do
Zindaan mein kaisa hogaya mehshar jawaab do
Qurbaan jaaoon aye meri dukhtar jawaab do
Maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do
Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

218 Marsia Salaam Marsia Nauha


Zehra ka waasta paey Hyder jawaab do
Shabbir ka wastaa paey Sarwar jawaab do
Qasim ka wastaa paey Akbar jawaab do
Muslim ka wastaa paey Asghar jawaab do
Maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do
Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

Abbas ki qasam paey Jaffar jawaab do


Dar par khadey hain Hur-e-Dilaawar jawaab do
Hai inkay saath Ibney Mazaaher jawaab do
Kya boley insey aap ki maadar jawaab do
Maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do
Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

Ammu tumhaarey paani bhi humraah laaye hain


Choti si mashk khaandey pey lattkaaye aaye hain
Paani kay waastey woh lahu mein nahaaye hain
Kya kya tumhaarey wastey sadhmey utthaaye hain
Maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do
Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

Kab sey utthaatey hain tumhein bibi uttho uttho


Bekas yateem Shah ki pyaari uttho uttho
Tum ko sataaengay na yeh naari uttho uttho
Lo aagayi tumhaari sawaari uttho uttho
Maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do
Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

Salaam Marsia Nauha Marsia 219


Rutthi ho bibi kis liye bolo paey Khuda
Aankhein zara si khol do tum par sey main fidaa
Utt behtto ab toh jaldi sey aye jaan-e-Murtuza
Chaen aaye mujh ghareeb ko bekas hoon ghamzadaa
Maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do
Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

Kis sey main puchoon kaun bataaengay ab yahaan


Bibi ko meri aa rahi hain haaye hichkiyaan
Teywar badal gaye hain phiraati hai putliyaan
Jungle mein aakay lutt gayi yeh badh naseeb maan
Maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do
Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

Soojey huvey hain bibi kay ruqsaar nazneen


Zakhmi badan sey ayntaa hai kurta kahin kahin
Uljhey hain sar kay baal toh majrooh hai jabeen
Ghassaala puchti hai kahey kya yeh dil hazeen
Maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do
Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

Abid main sadqey ho loon toh taabooth tum utthaao


Bibi ko main galey sey lagaa loon toh leykay jaao
Inki yeh aakhri hai sawaari mujhey dikhaao
Phir kis jagaah milogi yeh puchoon toh leykay jaao
Maadar ki jaan kunbey ki pyaari jawaab do
Bibi jawaab do meri bibi jawaab do

*****

220 Marsia Salaam Marsia Nauha


Shahadath Imam Zainul Abedeen (a.s.)

Shaheed se koi shamsheer ka maza pooche


Mareez se koi akseer ka maza pooche
Aseer se koi zanjeer ka maza pooche
Yateem se koi dilgeer ka maza pooche
Har ek pah guzra zamane mein ranjo gham hae hae
Saha na Abede beemar sa alam hae hae

Shaheed hotey hue baap ko pisar dekhe


Ani pah naize ki hae hae sare pidar dekhe
Jawan bhai ka nikla hua jigar dekhe
Phoopi ko ankhon se balwe mein nangay sar dekhe
Kisi nabi pah na is tarha ke alam guzre
Joh is mareez pah har tarha ke sitam guzre

Shadeed taph mein woh kanton pah chalna Abed ka


Pahan ke bediyan har ek qadam pah gir padna
Woh zulme jowr sitamgar haram ka shoro buka
Woh jism laagare Abed woh dhoop woh durrah
Siwaae shukre Khuda kuch na kehte thay Sajjad
Duae ummate aasi mein rahte thay Sajjad

Phiraya kaanton pah Sajjad ko barehna pa


Nabi ke kunbe ko balwe mein le gaye aada
Jalaaya qaima-e-namoose syedde wala
Phira ke balwe mein zindaan mein qaid kar dala
Tamaasha dekhne sub ahle shaam aate thay
Haya se ahle haram gardanein jhukatey thay

Salaam Marsia Nauha Marsia 221


Sitam ke baad huva qaid se joh chutkara
Layeen se baap ka sar is yateem ne maanga
Sar-e Hussain khazane se Hind ne bheja
Sawaar oontoun pah kunbah huva payambar ka
Lehad mein laash ghareeboun ki haaye dharne chale
Mahe batool ko paiwande qaak karne chale

Jo pahunche Karbobala Abede aseere bala


Pidar ko deke kafan qaak mein rakha laasha
Lipat ke qabr se chillae yoon ke ae baba
Watan ko jaata hoon lo aaqri mera mujra
Watan se aaya tha kis shaan se yahan hae hae
Luta ke ghar ko mein jaata hoon neem jaan hae hae

Likha hae yoon ke watan aaye jab shahey wala


Pidar ki yaad mein har waqt karte thay nala
Nazar jo aata tha paani toh rotey thay moula
Hamesha ankhon mein phirta tha dashte karbobala
Pidar ke baad bhi raahat mili na Abed ko
Dobara qaid kiya is ghareeb zahed ko

Watan se le gaye phir qaid karke baaniye shar


Hu-ee bhatije ke hamrah Zainabe muztar
Qareebe Shaam jo pahunche woh dono nauhagar
Lagaya belcha Zainab ki pusht ke oopar
Safar mein Zainabe bekas se chut gaye Sajjad
Dayare Sham mein phir aake lut gaye Sajjad

222 Marsia Salaam Marsia Nauha


Phupi ko soump ke jungle mein syedde wala
Madine mein hua daaqil woh bekaso tanha
Waleed Shaam ke haakim ne zehr bhijwaya
Woh sum ke khate he Abed ne ki jahan se qaza
Falak pah hooro malak arsh ko hilane lage
Zameen pah jinno bashar sar pah qaak udane lage

Mohebbo daage alam dil pah dhar gaye Sajjad


Joh khaya zehar toh sadh haif margaye Sajjad
Nabi ki aal ko be-aas kar gaye Sajjad
Yateem hogaye Baquer guzar gaye Sajjad
Sar apna peet tey marqad se Mustafa nikle
Kaleja thaam ke kyonkar na Fatema nikle

Chiraage deene nabi aaj bujh gaya yarab


Nishaane panjatane paak mit gaya yarab
Utha jahan se sartaj ab mera yarab
Qitab bewa-e Abid mujhe mila yarab
Karoon mein kya meri qismat bigad gayi ya rab
Chaman mein Fatema ki oas padhgayi ya rab

Khuda ke arsh ka taara guzar gaya logo


Ghazab hae shah hamara guzar gaya logo
Woh bekason ka sahara guzar gaya logo
Hassan Hussain ka pyara guzar gaya logo
Madina lut gaya ya Mustafa duhaai hae
Najaf ujad gaya ya Murtuza duhaai hae

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 223


Shaahey waala ney shahadat ka sar anjaam kiya
Sar kataa zulm sahey haq ka magar kaam kiya
Sabr ney abid-e-beemaar ka ithmaam kiya
Baap aur betay nay Islam ko Islam kiya
Waada tifli ka jo Shabbir wafa karthay hain
Haq yeh farzandi Sarwar ka adaa karthay hain

Kaun masoom huva touq-o-salaasal may aseer


Kaun hai woh jisey pehnaayi hai dohree zanjeer
Taaziyaanou say adoo dethay thay kisko taazeer
Kiske maa behnou ki majmay may huvi hai tash-heer
Taih koyi kar na sakaa jisko yeh woh manzil hai
Sabr-e-namoos kay baaray may bahot mushkil hai

Kar gaye thay jo wasiyath shahey deen waqt-e-akheer


Sabr sey kaam liya keejiye baad-e-Shabbir
Shukr karna jo pinhaaye tumhey bhaari zanjeer
Badh-dua deina na ummat ko jo Zainab ho aseer
Turn jo bigddoh gay toh khaliq ka ghazab aayega
kaam jo mainey banaaya hai bigadd jaayega

Dhyaan baba ki wasiyath pa jo karthay hain Imaam


Unkay qaatil say bhi farmaathay hain narmi say kalaam
Touq pehnaa-nay ko laatha hai jo woh badh anjaam
Khud badhaa dethay hain gardhan ko shahinshahe anaam
Yeh tahamul hai isey shaan-e-wafa kehthay hain
Kehnay waaley isey tasleem-o-riza kehthay hain

224 Marsia Salaam Marsia Nauha


Baap ki laash pa woh zulm huva kuch na kaha
Chinngayee Sani-e-Zehra ki ridaa kuch na kaha
Baazu namoos ka rassi may bandhaa kuch na kaha
Taaziyaanou ki sahi saqth jafaa kuch na kaha
Gham say madar ka jigar seenay may phat-thay dekha
Ali Asghar ka galaa qabr may kat-thay dekha

Sar barhainaa sar-e-darbaar gaye sabr kiya


Dar badar koocha-o-bazaar gaye sabr kiya
Khudrathein rakh kay giraftaar gaye sabr kiya
Bey dawaa qaid may beemaar gaye sabr kiya
Qadr baba ki wasiyath ki dikhaayi tuney
Qabr haathoun say Sakina ki banaayi tuney

Ya Ali dekhlo pothay ki museebath dekho


Ghamo andoh ki tasveer hai soorath dekho
Shiddathay thaph say ghazab ki hai naqaahath dekho
Tauq phir us pa galay may hai qayamath dekho
Waqf-e-aalaam hai hazrat kay gharaanay waaley
Kya sitam sehthay hain ummath kay bachaney waaley

Haaye jeethay hain teri qabr mittaaney waaley


Khuld may Ahmad-e-mursal ko rulaaney waaley
Chashm-e-insaaf sey dekhain toh zamaaney waaley
Kaisey hothay hain Mohammad ke gharaaney waaley
Zeher peethay hain galaa teigh sey katwaathay hain
Qabr may jaakay bhi aaraam nahin paathay hain

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 225


Shahadath Imam Ali ibne Moosa-e-Raza (a.s)

Aaj Imaam-e-Raza shaheed huvey


Shahey har doh saraa shaheed huvey
Sehkay ranj-o-balaa shaheed huvey
Khakay zehr-e-daghaa shaheed huvey
Shah kay sab ghulaam rothay hain
Humsey rukhsath Imaam hothay hain

Tha joh mamoon rasheed baani-e-shar


Dushman-e-khaandaan-e-paighambar
Tha jo aamaada zehar deinay par
Shah ko phir talabh kiya aakhir
Sun kay shah-e-anaam ghar sey chalay
Hokay rukhsath Imaam ghar sey chalay

Jab nazar aayi qabr-e-paighambar


Hil gaya seenay may dil-e-muztar
Jaakay liptay lahad say phir Sarwar
Aur kiya khitaab yeh ro ro kar
Ek lehzaa na chaen paaya hoon
Rukhsath-e-aakhri ko aaya hoon

Kehkay rukhsath huvey Imaam-e-Raza


Thaa Madinay may thahelkaa barpaa
Koyi khadmoun sey liptajaata tha
Aur laboun pay kisi kay thi yeh sadaa
Aye shaahey Ausiya Khuda haafez
Aye Imaam-e-Raza Khuda haafez

226 Marsia Salaam Marsia Nauha


Thaih manaazil ko karke phir ek baar
Aaye darbaar may shahey Abraar
Uttha taazeem-e-Shah ko woh makkaar
Paas apney bitthaa liya zinhaar
Tabh kahaa shah say yeh woh maghroor
Aap is waqt khaaiyeh angoor

Jabr say is layeen ke wa-waila


Kha kay angoor ko utthey Maula
Poocha mamoon ney chalay kisjaa
Kaha Hazrat nay tu jahaan bheijaa
Khakay yeh shah khaso aam chalay
Sar pa daalay abaa Imaam chalay

Ghar may aakar thadap rahay thay Imaam


Zeher nay kar chukaa tha apna kaam
Khaiy jo aayi liya jigar ko thaam
Tha na ek lehzaa aapko aaraam
Yaas thi bekasi thi ghurbath thi
Meray Moula pa kya museebath thi

Muztarib thay bohot shahey zeejah


Ghash joh taari huva Imaam pay aah
Hichki jo aayi maut ki naagaah
Phir kaha La Ilaha Illallah
Tanh sey rooh-e-raza idhar niklee
Qabr sey Fatema udhar niklee

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 227


Mominon aaj Khuraasan mein hae taaza matam
Thartharate hain falak arshe zameen lowho qalam
Aate hain aale aba qaak udaate baham
Abedo Baqaro Jafar-o-janabe Kazim
Moonh ko sab yeh hazraat aansuon se dhotthey hain
Jama mayyat ke uthane keliye hothey hain

Kya kiya qahr ke bejurmo qatah ko maara


Dilbare Fatema-o shere Khuda ko maara
Zehar dilwaake gharib ul ghuraba ko maara
Aaj Mamoon ne mazloom Raza ko maara
Khaak mein milgaya ek aur gule baghe Zehra
Gul hua aaj Khuraasan mein chiraage Zehra

Is tarha waqia hae aaj ka raavi ne likha


Ibne Haroon ne hazrat ko jyunhi bulwaya
Aaye darbar mein jis waqt imame dosara
Taqt par apne qareen shah ko bhi bithlaya
Phir kaha shah se farmaiye toh pesh karoon
Aapke waasthey angoor mai lay rakho hoon

Kaha mazloom ne mujhko nahin angooroun ki chah


Kis liye saamne hae tasht joh tu ne rakha
Kiya israar jo usne toh imame zeejah
K haake angoor ko kehne lage innalillah
Poocha Maamoon ne kya baat hae farmaiyega
Sar jhuka kar kaha masmoom ne maloom hua

228 Marsia Salaam Marsia Nauha


Khake angoore dagha aaye hain ghar ko apne
Khae kiye jaate hain pakde huve sar ko apne
Dard hota hae dabaate hain jigar ko apne
Yaad farmate hain hamsheero pisar ko apne
Syeddo bekaso mazloom gharibul ghuraba
Muztarib haal hain yeh masmoom gharibul ghuraba

Mauth ka aagaya chehre pah pasina yaro


Ghash mein hae waarise sutan-e-Madina yaro
Aathwaan mohre nabuwat ka nagina yaro
Khaak mein milta hae Ahmed ka qazina yaro
Daro deewar ko hasrat se Raza dekhte hain
Aur unhein yaas se sab aal-e-aba dekhte hain

Peet-ti hae kabhi sar ko kabhi tharrati hae


Fatema is tarah ronay ke liye aati hae
Janibe arshe ulah roohe Raza jaati hae
Bekasi laash pah roro ke yeh chillati hae
Mauth ki hichkiyan ab leta hae dilbar uska
Chaar hammal uthaye thay janaza jiska

Sach hae ghurbat ki ajab mauth hae aye ahle aza


Na koi moniso yaawar na dawa hae na ghiza
Bistare marg pah thay aap tawakkul baquda
Na koi paani pilane ko dum-e aaqir tha
Wohi bekas hae Raza naza mein inna lillah
Hai kya waqt hae mazloom pah Allah Allah

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 229


Khaak ka farsh rida gard tawakkul takia
Uf bhi karta nahin qaamosh hae sonay wala
Naza mein dekha Raza ne jo shabeehe Zehra
Bandh aankhen hui aur qatema bil qair hua
Ek hichki ka bas aana tha ke dum todh gaye
Mominon ke liye yaad apni Raza chod gaye

Aake Yasrab se Taqi dekhte hain kya naqsha


Bandh ankhen kiye behosh pade hain baba
Sar ko baba ke utha zano pah apne rakha
Roke chillane lage kya yeh hua aye baba
Kab se chillata hae sar peet ke naalane Taqi
Ankhon ko kholo zara aapke qurban Taqi

Baap ka pursa doh bete ko tum ae ahle aza


Jisko Mamoon ne khilwaya hae angoore dagha
Neelgoon hogaya hae jisme mubarak jiska
Jiski mayyat pah nahin koi bhi ronay wala
Bepidar hogaye masoom Taqi wawaila
Haye bejaan hua Kazim ka wasi wawaila

*****

230 Marsia Salaam Marsia Nauha


Rihaayi Ahley Haram

Qaid sey chutt ke aayi hai Zainab


Sadhmey dil par uttaayi hai Zainab
Qabr sheh ki banaayi hai Zainab
Kuch yateemoun ko laayi hai Zainab
Kehti hai rokay lo khabar bhaayi
Khatm ab hogaya safar bhaayi

Mein hoon Zainab falak sathaayi hoon


Turnsey milney yahaan main aayi hoon
Aur lutey qaafilay ko laayi hoon
Bhaayi kya kya sitham utthaayi hoon
Shaam takh nangay sar gayi Zainab
Kyon na pehlay hi margayi Zainab

Utt kay dekho tho ek nazar bhaayi


Tukhdey sadhmoun sey hai jigar bhaayi
Hogaya hai safaydh sar bhaayi
Jhuk gayi hai meri kamar bhaayi
Waada poora main karkay aayi hoon
Pushth par taaziyaaney khaayi hoon

Saarey kunbey ko saath laayi thi


Mehnathoun sey yeh ghar basaayi thi
Mainey daulath yeh maa sey paayi thi
Ho gayi dafn jo kamaayi thi
Ab ho kyon kar meri basar bhaayi
Haaye kis muh sey jaaoon ghar bhaayi

Salaam Marsia Nauha Marsia 231


Ab na utt ke yahaan sey jaaoongi
Qabr baaloun sey apney jhaadoongi
Phool har subhaa main chaddhaoongi
Shammaa raathoun ko main jalaaoongi
Yoon hi hojaayegi basar bhaayi
Kya karey jeekay nauhagar bhaayi

Gar koyi poochey kiski jaayi hai


Qabr kiski yeh tu banaayi hai
Mujhko qismath kahoongi laayi hai
Main bahen hoon yeh mera bhaayi hai
Thay Nabi ke yeh maan-ney waaley
Aur musalmaan thay maarney waaley

Kya bathaoon shaheed ki haalath


Tanh tha zakhmi thi dhoop ki shiddath
Aur namazi pa pyaas ki shiddath
Sar utthaaney ki bhi na di mohlath
Dafn is jaa hai naamoor bhaayi
Deidiyaa raahey haq may sar bhaayi

Thi muqaddar may meray ruswaayi


Kyon na darbaar hi may maut aayi
Pesh-e-haakim gayi yeh dukh paayi
Ghussa aaya tha peegayi bhaayi
Jo huvey zulm sehgayi Zainab
Sabke ronay ko rehgayi Zainab

*****

232 Marsia Salaam Marsia Nauha


Chehlum Shohadaa-e-Karbala

Chehlum jo Karbala may bahaatthar ka ho chukaa


Paivandh beikasoun kay tanh o sar ka ho chukaa
Aur Faatiha Hussain kay lashkar ka ho chukaa
Qabroun pa shore aal-e-payambar ka ho chukka
Maatam may teen roz rahey shor o shain sey
Royeh lipat lipat kay mazaar-e-Hussain sey

Mislay chiraagh gor-e-ghareebaan pa dil jalaaye


Phooloun ke badhley qabroun pa laqtey jigar chadd-haaye
Pyaaron ki bood o baash kay saamaan jo yaad aaye
Bey saaqtaa pukaray kaleijay pakadd kay haaye
Hai hai woh pardaa daar hamaaray kidhar gaye
Bay pardaa hokay aal-e-Nabi dar ba dar gaye

Maqtal kay aas paas yeh beivoun ki thi fughan


Zainab jabeen lahadh pay dharay karthi thi bayaan
Aye meray karbalayee baraadar Hussain jaan
Humsheer teen din sey tumhaari hai mehmaan
Allah meri baath bhi poochi na aapney
Zindaan ki waareydaath bhi poochi na aapney.

Raazi hoon jo riza-e-Imaam-e-jaleel hai


Par qaabilay mulaahiza baazu ka neel hai
Naa koyi daad rass hai na koyi kafeel hai
Bhaayi baghair aapkey Zainab zaleel hai
Pushtoh panaah utt gaya beykhaanumaa huvi
Dekho yeh pushth qaabilay noukay sinaa huvi

Salaam Marsia Nauha Marsia 233


Main jaanti thi shaher basaa hoga bhaayi ka
Hogaa hujoom qabr paa saari khudaayi ka
Chehlum karoongi dhoom sey main karbalaayi ka
Pursaa bhi yaan koyi nahi Zehra ki jaayi ka
Muh dhaanmpney ko aap hi pallaa bhi laythi hoon
Aur apney dil ko aap hi pursaa bhi deythi hoon

Chehlum toh karchukee main dilafgaar ya Hussain


Ab rauza kis tarhaa sey ho taiyaar ya Hussain
Beta bhi aur bahen bhi hai naadaar ya Hussain
Aakhir kabhi toh aayengay zawaar ya Hussain
Thakiyaa hai kaar saazi yeh parwardigaar par
Is dum toh saaheibaan bhi nahin hai mazaar par

Zainab pukaari kooch ka saamaan hogaya


Phir shaher meray bhaayi ka veeraan hogaya
Aur maqbeiraa Hussain ka sun-saan hogaya
Hoo ka muqaam qatl ka maidaan hogaya
Aayi musaafeiroun ko meray woh zameen pasandh
Duniya may jis zameen ko basthi nahin pasandh

Aye karbala-e-Sarwar-e-Dilgeer alvedaa


Aye Qatlgaah-e-Hazrath-e-Shabbir alvedaa
Aye Qabr ibn-e-Saaheb-e-Tatheer alvedaa
Aye bhaayi jaan jaati hai humsheer alvedaa
Kya bay naseeb hai yeh nawaasi Rasool ki
Turnney mujaaveiri na hamaari qubool ki

234 Marsia Salaam Marsia Nauha


Bhaiyyaa uttho kajaavey may mujhko tumhi bittaao
Bhaiyyaa mai bey naqaab hoon rehgiroun ko hattaao
Rokein qanaath Akbar-o-Abbas ko bulaao
Qaali hai goadh bhaabi ki Asghar ko leikay aao
Sardaar saare qaafilay kay aagay hothay hain
Thaiyaar kaarvaan huva aur aap sothay hain.

Kabsey tumhey pukaar rahi hoon main qastaa-tanh


Hai hai jawaab bhi nahin deithay shahey zaman
Bhaiyaa galay lagaalo toh jaaoon suey watan
Aayi nida sidhaaro khuda haafez aye bahan
Soghro ko meri simth sey bhi pyaar keejiyo
Hogaa sawaab khaatir-e-beemaar keejiyo

*****

Bhaiyya main bin tumhaarey watan ko na jaaoongi


Bhaiyya yahin main qabr par aansoo bahaaoongi
Naaloun sey aasmaano zameen ko hilaaoongi
Nazrey Hussain pyaasoun ko paani pilaaoongi
Jo poocheigaa tu rothi hai kyon shor-o-shayn sey
Kehdoongi chutt gayi hoon main bhaayi Hussain sey

Sajjad rokay karthay thay Zainab sey yeh suqan


Chaliyeh phoopi Khuda kay liye ab su-ey watan
Ro ro kay jaan doh na yahaan behray zulmeinan
Hona hai qaid tumko dobaara basadh meihann
Rauzey pah Naana jaan kay ab jaakay royieh
Durroun kay zakhm pushth pa dikhlaakay royieh

Salaam Marsia Nauha Marsia 235


Yeh sunkay utthi qabr sey aakhir woh soghvaar
Ek haudajeh siyaah main aakar huvi sawaar
Pahoonchey watan main jis ghadi Sajjad-e-dilfigaar
Pehlay gayi baqiyeh main Zehra ki gul-e-zaar
Boli lipat kay qabr sey amma duhaayi hai
Bhaayi ko khokay Zainab-e-naashaad aayi hai

Amma sunaoon tumko main joh kuch jafaa huvi


Pardes main Hussain sey Zainab judaa huvi
Chowthay baras main baap pah beti fidaa huvi
Amma Hussain margaye main beyridaa huvi
Dil zindagi sey Zainab-e-muztar ka hatt gaya
Main dekhti rahi sar-e-Shabbir katt gaya

Amma tumhaarey laal ko kya kya na gham huvey


Laashey kay haath angoti ki qaatir qalam huvey
Laashey pah meray bhaayi kay taaza sitam huvey
Paamaal laash hogayi barbaad hum huvey
Gowhar Sakina kay bhi uthaarey hain Shimr ney
Durrey hamaari pushth pa maarey hain Shimr ney

Amma teray mareez ko qaidi banaaya tha


Touq-e-giraan bukhaar main usko pinhaaya tha
Kaantoun pa nangay paaoon adoo ney phiraaya tha
Amma sivaa-e-shukr nahin labb hilaaya tha
Bulwaaya tha yazeed ney darbaar-e-aam main
Amma Sakina margayi Zindaan-e-Shaam main

236 Marsia Salaam Marsia Nauha


Aye Amma ek rassi main bandhwaaya tha hamein
Oontoun ki nangi pushth pa bittlaaya tha hamein
Sar tashth main Hussain ka dikhlaaya tha hamein
Abid ko durrey maar kay rulwaaya tha hamein
Hairath hai kyon na Zainab-e-naashaad margayi
Amma main sar khuley huve shireen kay ghar gayi

Amma phiraakay Koofay main phir humko koo bakoo


Sar nangay suey Shaam hamein ley chaley adoo
Pahonchey jo shaher-e-Shaam main hum sab kushaada moo
Baazariyon main shor yeh hotha tha chaar soo
Beti Ali ki Zainab-e-dilgeer aayi hai
Dekho chalo Hussain ki Humsheer aayi hai

*****

Balaa utthaakay haram Karbala main aathay hain


Mareez Shaam kay Daarushafaa main aathay hain
Ajab shikosey dasht-e-balaa main aathay hain
Gham-e-Hussain main yaad-e-Khuda main aathay hain
Jigar kay tukdey bharey daamanou main aaye hain
Yeh qabr-e-Sheh par chaddhaaney ko phool laaye hain

Bihaar main hai raqam yeh rivaayath-e-jaankaa


Jab aaye ahley harum jaanib-e-shahaadath gaah
Na gul na shamma mili beykasoun ki qabr pa aah
Mujaaveri ko faqath Jabir ibney Abdullah
Qureshi aaye hain aur Haashmi bhi haazir hain
Musaafeiroun kay mujaaver bhi sab musaafir hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 237


Doh shaamiyaaney hain baala-e-qabr-e-Sibtey Rasool
Woh ek rehmath-e-haq ek aur aahey Batool
Falak sey hoor-o-malak ka hai fouj fouj nazool
Ziarath-e-Shahey Mazloom kar rahey hain husool
Lahadh sey Akbar-o-Asghar kay daagh roushan hain
Mazaar ek hai par doh charaagh roushan hain

Idhar ayaan huvi bas Zainab-e-khoojistha khisaal


Udhar lahadh main tadapney lagaa Rasool ka laal
Nida mazaar sey Jaabir ko di ba ranj-o-malaal
Main jeetha hotha toh kartha bahen ka isteqbaal
Sharaf hai Fatema ka Fatema ki jaayi ko
Meri taraf sey tu jaa uski peishwaayi ko

Chalaa mayeh rufaqaah Jaabir khoojistha nihaadh


Sar-e-Hussain liye haathoun par milay Sajjad
Qadam pa gir padhaa Jaabir ba naala-o-faryaad
Pukaari Abid-e-beykas ko Zainab-e-naashaad
Galeh lagaao muhib-e-Nabi yeh Jaabir hai
Yeh turbath-e-Shahey Mazloom ka mujaaver hai

Galeh lagaa liya Jaabir ko Shaahey waala ney


Galeh pa neel rasan kay dikhaaye aaqaa ney
Kahaa kay loot liya bhaayi humko aadaa ney
Jo hum pah hogaya hum jaaney ya Khuda Jaaney
Sar-e-Hussain badee mehnathoun sey laaya hoon
Dubaarah baap ko main dafn karney aaya hoon

238 Marsia Salaam Marsia Nauha


Taneh Hussain sey mulhaq kiya Hussain ka sar
Huva zameen main goyaa qiraan-e-shams-o-qamar
Lahadh pa taqtha-e-toobaah qareenay sey rakh kar
Pukaarey Abid-e-beykas muhibboh aao idhar
Suno bagoush kay is dum Rasool rothay hain
Dubaarah dafn meray babajaan hothay hain

Yeh kehkay ronay lagay haaye Abid-e-beemaar


Mazaar-e-Shaahey ghareebaan jo ho chukaa taiyaar
Sarhaaney bhaittkay sab faateha paddhey ek baar
Gharazz kay khaima-e-Jaabir main aaye sab deendaar
Harum ney qabr pa saamaan-e-ashko aah kiya
Sar-e-mazaar bapaa khaimaa-e-siyaah kiya

Siyaah khaimey main uthrey siyaah poush harum


Tawaaf-e-qabr kiya halqaa baandh kar baaham
Sabhoun ney qabr ko baaloun sey jhaadaa jab usdam
Larazz larazz gayi sadhmey sey qabr-e-Shaahey Umam
Lahadh pa Shah ki masnadh bichaayi Zainab ney
Salaam kay liye gardhan jhukaayi Zainab ney

Lipatt kay qabr sey aawaaz di duhaayi hai


Ek Arbayeen sey bahen bhaayi main judaayi hai
Hussain bhaayi bahen bhooki pyaasi aayi hai
Ummeedwaar-e-ziyaafath yeh amma jaayi hai
Na farsh hai na makaan hai na daana paani hai
Saqee kay laal yehi meri mehmaani hai

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 239


Waapis-e-Ahle Haram

Durood padh ke watan ko chala Hussain ka laal


Qareeb pahunchi Madine ko jab rasool ki aal
Toh apne hathon pah Zainab ne rakhe sar ke baal
Kaha Madine se Kulsoom ne ba ranjo malaal
Luta ke aaye hain Zehra ke sab gharane ko
Na kar qubool tu hum bekason ke aane ko

Madina hum tere waali ko aaye hain khokar


Madina gardane Shabbir par chala qanjar
Madina Koofe mein sar nangay hum phire dar dar
Madina daage rasan hae hamare shaanoun par
Hum aaye zinda pah Zehra ka noor ain nahin
Madina Akbaro Qasim nahin Hussain nahin

Hili zameen Madine ki us ghadi paiham


Kiya Basheer ko Sajjad ne talab us dum
Gale mein shaale aza daal di ba deedaye num
Aur uske haath mein rokar diya siyah alam
Kaha ke jaa nahin go apne moonh dikhane ki
Magar watan mein qabar kardo mere aane ki

Chala Basheer yeh deta hua qabar har jah


Magar mohallae Hashim mein dekhta hae kya
Ke ek mareeza sare raah hae khadi tanha
Jo naam poocha toh roro ke boli woh Sughra
Basheer kehne laga kyon tu shoro shain mein hae
Kaha yeh haal mera furqate Hussain mein hae

240 Marsia Salaam Marsia Nauha


Basheer samjha yeh binte Hussain hae Sughra
Qaamosh rah gaya Sughra ke moonh pah kuch na kaha
Pukari Fatema gardan mein dekh shaale aza
Tu bhai laya hae kiski sunaani mujhko suna
Woh bola qaaside beemare Karbala hoon main
Sunani qabre payambar pah le chala hoon main

Woh boli roroke bhai yeh kya sunata hae


Woh kaun hae jise beemar tu batatah hae
Sunani kiski hae yeh mujhko howl aatah hae
Kay Mustafa ki lehad se tu kehne jatah hae
Amama phenk kay usne kaha duhaai hae
Tere Hussain ki Sughra sunane aayi hae

Zameen pah haaye pidar kehke gir padi Sughra


Qabar yeh phaili toh matam har ek ghar mein hua
Tamaam auratein nikli gharon se karti buka
Nabi ki qabr pah jaake Basheer ne yeh kaha
Safar se lut ke idhar bhooki pyaasian aayi
Utho Rasool tumhari nawaasiyan aayi

Basheer kehta hae wallah rouza kaamp gaya


Lehad se naala hua wa Hussain ka paidah
Idhar zameen pah tadapti thi Fatema Sughra
Zanane Hashimiya ne wahan hujoom kiya
Hila ke shaana kaha shah-e-mashraqain aae
Utho Hussain ke aashiq utho Hussain aaye

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 241


Watan may qaafela-e-Karbala ki aamadh hai
Sawaari-e-Haram-e-Mustafa ki aamadh hai
Yateem-e-Sarwar-e-Gulgoon khabaa ki aamadh hai
Ghareeb-o-beikas woh bay aashna ki aamadh hai
Tamaam shahar hai shaayeiq Ali kay pyaaroun ka
Nabi ke rauzay pa majmaa hai dost daaroun ka

Sunaa tha jab sey ke aathay hain Syed-e-Akram


Khushi sey Fatema Soghra ka tha ajab aalam
Kabhi toh jhukti thi sajdeh may woh badeeda-e-nam
Kabhi yeh kehti thi kyon naani jaan jeegaye hum
Watan may aaj shahey mashraqain aathay hain
Chalo chalo meray Baba Hussain aathay hain

Utteen yeh sunthay hi Ummul Baneen ba shoukh-e-tamaam


Gayeen jo muttasil Rauza-e-Rasool-e-Anaam
Suna yeh shore ke lo aaye shaahey arsh-e-muqaam
Nazar woh aata hai dekho nishaan-e-fauj-e-Imaam
Baday shikhvay say Hyder ka yaadgaar aaya
Alam liye huvey Abbas-e-Naamdaar aaya

Yeh nauha paddtha tha ghoday kay aagey aagey Basheer


Madina lut gaya jungle may margaye Shabbeer
Galay pa dilbar-e-Zehra ke chal gayee Shamsheer
Kiya shaheed ghareebul watan ko bey taqseer
Padaa raha jo zameen par yeh uska jaama hai
Kafan mila na jisey uska yeh Amaama hai

242 Marsia Salaam Marsia Nauha


Bitthaakay naaqey ko Saijad-e-naathawaan uthray
Asaa ko thaam ke ba chashm khoonfishaan uthray
Qareeb marqad-e-Sultaan-e-Insojaan uthray
Aur Ahlebaith yeh karthay huvey fughaan uthray
Huvi ghareeboun pa beidaad Ya Rasoolallah
Hussain margaye faryaad Ya Rasoolallah

Huva jo rauzay may daakhil woh qaafila naagaah


Giray mazaar-e-mubarak pa Abid-e-Zeejah
Utthaa kay haath yeh faryaad ki ba naala-o-aah
Tabaahi aagayi hum beikasoun pa ya jaddah
Yateem hokay yeh naashaad kaam aaya hai
Pidar ko khokay watan may ghulaam aaya hai

Badaa sitam kiya ummath ney ya Rasool-e-zaman


Kiya Huzoor kay pyaaroun ko zibhaa tashna dahan
Raha sinaa pa saray paak aur zameen pa badan
Lutay hum aisey ke Baba ko deisakay na Kafan
Na din ko thi hamay raahat na chaen raathoun ko
Jakad diya tha rasan say hamaaray haathoun ko

Gayee lahed pa istarhaa Zainab-e-Mehzoon


Ke ek haath may Shaih ka Amaama-e-purkhoon
Aur ek haath may Hazrat ka jaama-e-gulgoon
Zabaan par marsia jiska yeh jaangazaa mazmoon
Yazeed ney hamay loota duhaayi hai Naana
Bahen shaheed kay mujray ko aayi hai Naana

Salaam Marsia Nauha Marsia 243


Hussain bhaayi ko hum Karbala may chhod aaye
Ali kay Laal ko dasht-e-balaa may chhod aaye
Yateem-e-Fatema ko nainawaa may chhod aaye
Tumhaaray chaand ko khaak-e-shifa may chhod aaye
Yeh baad-e-qatl ajab tafreiqaa padaa Naana
Gadaa badhan kahin aur sar kahin gadaa Naana

Huvi Hussain .kay marnay sey dar badar Zainab


Gayee Yazeed ki majlis may nangay sar Zainab
Kayi maheenay rahi qaid nauhagar Zainab
Yeh saqth jaan thi kay jeethi phiree idhar Zainab
Waram hai shanou pa dukhtay hain isthokhaan Nana
Yeh meray baazu pa rassi ke hain nashaan Nana

*****

Jab baad dafn Shah watan ko haram chale


Sajjad saath raandoun ke ba chashme nam chale
Hamraah leke qaafela ranjo gham chale
Zainab pukaari peet ke sar bhai hum chale
Ulfat joh thi kamaal shahe mashraqain se
Ro-ee lipat lipat ke mazaare Hussain se

Phir sar ko rakh ke qabr pah woh gham ki mubtela


Boli ke assalamo alaik ae shahe huda
Bhayya utho sawaar karo tum pah main fida
Farmaiye watan mein mai jakar karoongi kya
Rah rah ke dhyan aata hae mujh dil malool ko
Kya jaake moonh dikhaoongei qabre rasool ko

244 Marsia Salaam Marsia Nauha


Bhaiyya main bin tumhare watan ko na jaaongi
Bhaiyya yaheen main qabr pah aansu bahaoongi
Naalon se aasmano zameen ko hilaoongi
Nazre Hussain pyaasoun ko paani pilaoongi
Jo poochega tu rotih hae kyon shoroshain se
Kehdoongi chut gayi hoon main bhayi Hussain se

Sajjad roke karte thay Zainab se yeh suqan


Chaliye phoopi Khuda ke liye ab su-e watan
Ro ro ke jaan doh na yahan behre zulmenan
Hona hae qaid tumko dobara basad mehan
Rauze pah nanajaan ki ab jaake roiyeh
Durron ke zaqm pusht pah dikhlake roiyeh

Yeh sunke uthi qabr se aaqir woh soghwaar


Ek haudajeh siyaah mein aakar hui sawaar
Pahunche watan mein jis ghadi Sajjade dilfigaar
Pehle gayi baqiye mein Zehra ki gul-o-zaar
Boli lipat ke qabr se amma duhaai hae
Bhai ko khoke Zainabe nashaad aayi hae

Amma sunaoon tumko main joh kuch jafa huvi


Pardes mein Hussain se Zainab judah huvi
Chowthe baras mein baap pah beti fida huvi
Amma Hussain margaye main berida huvi
Dil zindagi se Zainabe muztar ka hat gaya
Main dekhti rahi sare Shabbir kat gaya

Salaam Marsia Nauha Marsia 245


Amma tumhare laal ko kya kya na gham huve
Laashe ke haath angoti ki qaatir qalam huve
Murdeh pah mere bhai ke taaza sitam huve
Pamaal laash hogayi barbaad hum huve
Gowhar Sakina ke bhi utaare hain shumr ne
Durre hamari pusht pah maare hain shumr ne

Amma tere mareez ko qaidi banaya tha


Towqe giraan buqaar mein usko pahnaya tha
Kaanton pah nangay paoon adoo ne phiraya tha
Amma sivae shukr nahin lab hilaaya tha
Bulwaaya tha yazeed ne darbaare aam mein
Amma Sakina margayi Zindaane Shaam mein

Ae amma ek rassi mein bandhwaya tha hamein


Oonton ki nangi pusht pah bithlaya tha hamein
Sar tasht mein Hussain ka dikhlaya tha hamein
Abed ko durre maarke rulwaya tha hamein
Hairat hae kyon na Zainabe nashaad margayi
Amma main sar khule huve shereen ke ghar gayi

Amma phirake Koofe mein phir humko koo bakoo


Sar nangay su-e Shaam hamein le chale adoo
Pahunche joh shahre Shaam mein hum sab kushada moo
Baazariyon mein shor yeh hotah tha char soo
Beti Ali ki Zainabe dil geer aayi hae
Dekho chalo Hussain ki hamsheer aayi hae

*****

246 Marsia Salaam Marsia Nauha


Jab Zaaeyraan shaahey ghareebul watan phirey
Yaani Suey watan haram-e-Panjetan phirey
Ek dasth tohfaa leikay nashaan-e-rasann phirey
Ghul tha ke Ahlebaith Hussain-o-Hasan phirey
Satharr doh tanh ko zeray zameen sompey aaye hain
Kuch soorray khaak paak ke humraah laaye hain

Asbaab sab lutaa huvaa khaimaa jalaa huva


Aur zeen-e-Zuljanaa lahoo sey bhara huva
Muh par ghubaarey gunj-e-shaheedaan lagaa huva
Daamaaney maatami kafani ka phataa huva
Bachchey bhi koozay pani ke haathon may leithay hain
Peethay nahin hai fateha Asghar ka deithay hain

Naagaah guzaar qaafeilay ka shaher may huva


Aur lashkar-e-Basheer may naqqaara bhi bajaa
Aawaaz-e-theiz gaami-e-asphaan huvi bapaa
Humsaeeyoun ko Fatema soghra ney di sadaa
Logo sawaari aathi hai kis baadeshah ki
Sab ney kaha ke Sibtey Risaalath panaah ki

Ithney may Umme Haaniyaa us dum falak viqaar


Sar par qasaaba paaoon mai mouzay bhi aashkaar
Ummul Baneen ke saath wahaan aayi ek baar
Soghra sey poocha ab toh na hogaa tumhey bukhaar
Ghul hai ke Zainab aati hai Shabbir aathey hain
Chalti ho tumbhi humtoh unhey lenay jaathe hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 247


Woh boli paishwaayi ko moujood hoon magar
Hai qasdh chhup rahoon kisi goshay mai baitt kar
Akbar talaash may phirein awaaz dein pidar
Asghar bhi ghuttniyou mujhey dhoonday idhar udhar
Jab sab kahein ke margayi chutt-thay hi aapsey
Hansthi huvi main aakay lipat jaaoon baap sey

Ek martaba saroun par padhey mard-o-zann ke haath


Jaana sabhoun ney qatl huvey shaahey nekh zaath
Soghra ney poocha daadi yeh kaisi hai waaredaath
Yeh fouj toh gayi thi na meray pidar ke saath
Hai hai musaaferoun pa meray kya guzar gayi
Poocho toh insey fouj-e-Hussaini kidhar gayi

Aakhar na reh sakhi suey lashkar yeh di nidaa


Tum karbala may taaza mulaazim huvey ho kyaa
Akbar ke paayeh naam hai tum logoun ka padhaa
Baaray kaho guroh-e-Hussaini kahaan gayaa
Bathlaao mominou main hoon pyaari Hussain ki
Ab kithni door hogi sawaari Hussain ki

Naagaah aaya syedoun ka ghoal nangay sar


Daamaan sabz kurthoun ke thay sab chaak sar basar
Aagay alam liye huvey ek tifl bey pidar
Maatam ke neel chaand sey seenay pa jalwaagar
Mashkizaa-e-Sakina alam may bandhaa huva
Ek teer usmay behray gawaahi lagaa huva

248 Marsia Salaam Marsia Nauha


Zair-e-nashaan padthey thay nauha har ek qadam
Maatam Hussain pyaasey ka karthay thay dam ba dam
Gham sey larazney lagtha tha jab panja-e-alam
Baddtay thay aagay saheb-e-matam ba chashme namm
Faareigh jo matame shahey waala se hothay thay
Phir kehke haaye Hazrat-e-Abbas rothay thay

Ummul Baneen ney naam jo Abbas ka sunaa


Aankhon sey noor seenay say dil hogaya judaa
Soghra ko Umme Salma ki aaghoush may diya
Boli main baddkay poochoon toh yeh maajra hai kya
Aghlab hai insey sibte nabi ki khabar miley
Kiske yateem aathay hain paa nangay sar khuley

*****

Jab shah ko safar mein bahut din guzar gaye


Sughra ko gham hua ke musafir kidhar gaye
Kehti thi ghar bhara huva veeran kar gaye
Kya jaane kis taraf mere bekas pidar gaye
Hae showq dil mein sibte payambar ke deed ka
Kya wajah hae ke qath nahin aaya raseed ka

Pardesiyon ke gham mein hae jeene se mujhko yaas


Bistar pah moonh lapete padi rehti hoon udaas
Baba safar se aayenge jab tak na mere paas
Tab tak badan se maina utaroongi yeh libaas
Jeeti rahi toh wasle imame zaman hua
Aur margayi toh bas yehi kurta kafan hua

Salaam Marsia Nauha Marsia 249


Aati nahin hae kuch qabere sayyadul anaam
Basti kahan basaai kiya kis jagah maqaam
Kyon nani jaan aap toh sunti thi woh kalaam
Ruqsat ke waqt mujhse joh farmaate thay imam
Kehte thay qath bhi aayega Akbar bhi aayenge
Sughra na ro-o hum tumhein jaldi bulaenge

Dekho na qath aaya na Akbar wahan se aaye


Kuch haadesa pada shahe deen par safar mein haye
Kis se kahoon ke sibte nabi ki qabar ko jaaye
Allah mere baap ko jaldi watan mein laaye
Sunti hoon dost kam hae shahe mashreqain kay
Dushman bahut hain Fatema ke noore ain kay

Maango dua ke sibte payambar ki qair ho


Abbaso Qasimo Ali Akbar ki qair ho
Behno ki qair ho meri maadar ki qair ho
Garmi ka hae safar Ali Asghar ki qair ho
Amma ko uska doodh badhana naseeb ho
Phir ghar mein leke qair se aana naseeb ho

Yeh kehke moonh ko dhaamp ke ro-ee woh nauhagar


Kurta tamaam hone laga aansu-on se tar
Naani dilaasa dene lagi paas aankar
Qurban jaaoon rothi ho kyon dhyan hae kidhar
Veeran karenge shaher ko jungle basaenge
Ab kya quda na qaasta hazrat na aayenge

250 Marsia Salaam Marsia Nauha


Charcha hua yeh shahre Madine mein jabaja
Sughra se aake madare Abbas ne kaha
Zaano pah sar jhukaae hue ro rahi ho kya
Shabbir aaye shukr ka sajda karo ada
Naake pah fouj tehri hae vaari Hussain ki
Aati hae koi dum mein sawaari Hussain ki

Nani ne tabh yeh us se kaha ho ke shaad shaad


Sughra tumhein na tha mere kehna ka aetemaad
Main kehti thi ke aate hain ab shahe qush nihaad
Poori Khuda ne ki joh mere dil ki thi muraad
Dekhongi aaj baap ko maadar ko bhai ko
Lo kapde ab badal lo chalo peshwaai ko

Woh boli mere dil mein hae kuch aur hi qayal


Jab tak na ghar mein aayega Qairunnisa ka laal
Kapde na badloongi na mein goondhoongi sar ke baal
Aane doh unko jinke liye hae yeh mera haal
Shikwe karoonge ankhon se aansu bahoongi
Baba ko yeh phata hua kurta dikhaoongi

Yeh kehke goadh mein liya beemar ko utha


Aur ruq kiya su-e lehade pake Mustafa
Nazdeek jab gaye toh yeh ghul yek ba yek hua
Aaya hae bay Hussain ke beemare karbala
Maatam karo habeeb Khuda ke habeeb ka
Sar kat gaya badan se Hussaine ghareeb ka

Salaam Marsia Nauha Marsia 251


Kehkar yeh baat ghar se chali duqtare anaam
Naani bhi saath hogayi jaldi asa ko thaam
Dekha har ek taraf ko hae qilqat ka ijdehaam
Kehne lagi yeh madare Abbase nekh naam
Mujhko toh hae yaqeen ke ab yeh ghar na aayenge
Shabbir pehle qabre payambar pah jayenge

Aye saakinaane sheher-e-Madina udaao qaak


Kardalo aah apne garebaan chaak chaak
Shabbir teen roz ka pyasa hua halaak
Chaalees veen talak raha bay gore jisme paak
Paoge phir na Fatema ke noore ain ko
Hum Karbala mein dafn kar aaye Hussain ko

*****

252 Marsia Salaam Marsia Nauha


Shahadath Shehzadi Zainab binte Ali (a.s)

Azeezo Zainab-e-muztar ka aaj maatam hai


Azeezo Zeenath-e-Hyder ka aaj maatam hai
Ali ki laadli dukhtar ka aaj maatam hai
Ghareeb-e-shah ki khwahar ka aaj maatam hai
Sakoon-e-qalb Khuda ke Habeeb ko dijiyeh
Bahen ka pursaa Hussain-e-Ghareeb ko dijiyeh

Dubaara qaid huvey jab Syed-e-Sajjad


Aseer karke suey shaam leichaley jallaad
Tadap ke saath huvi haaye Zainab-e-naashaad
Nabi ke Rauza-e-aqdas pey jaake ki faryaad
Shaheed hogaya bhaayi Hussain aye nana
Magar nahin hai layeenou ko chaen aye nana

Phir aaj Abid-e-bekas ke saath jaathi hoon


Yazeed nehas ko khauff-e-Khuda dilaati hoon
Khuda ney chahaa toh is laal ko chuddaathi hoon
Hayaat baaqi agar hai tho waapas aathi hoon
Jo aaye raah may maut aap aayieh naana
Hamaari laash pey aansoo bahaaiyeh naana

Yeh sunke utt ke gayi Fatema ke Rauzay par


Lipat ke qabr sey kehnay lagi yeh khastha jigar
Utto utto meri amma ke aayi hai dukhtar
Aseer hogaya phir mera Abed-e-muztar
Tamaam ghar ko ujaada magar na chaen aaya
Dubaara Syed-e-Sajjad par sitam dhaaya

Salaam Marsia Nauha Marsia 253


Phiraachukaa tha sitamgaar dar-ba-dar amma
Dikhaaya naizey pa bhaayi ka mujhko sar amma
Madina bheja tha ghar baar loot kar amma
Phir aaj hotha hai veeraan saara ghar amma
Chala hai qaid may phir Zainul-Abideen hai hai
Rahegi chaen sey kya Zainab-e-hazeen hai hai

Sada-e-nauha Zehra ki lahadh sey aaney lagi


Kisi Nabi ney bhi aisi jafa nahin dekhi
Nisaar maa teri mazloomiyath ke aye beti
Tadap rahi hoon main aye meri dard ki maari
Main saath chalti hoon aye jaan-e-Zainab-e-muztar
Yeh bulbulaan teray qurbaan Zainab-e-muztar

Sunaa jawab siva haaye ashkbaar huvi


Qaraar ithna na tha aur beiqaraar huvi
Badan laraztaa tha naaqey pa jab sawaar huvi
Hazaar zabt sey rukhsath jigar figaar huvi
Pukaari jaati hoon rukhsath karo Khuda hafiz
Milougi raah may kisjaa kaho Khuda hafiz

Ravana hogayi phir suey-shaam waawaila


Khamoosh rothay thay chauthay Imaam waawaila
Azeez karthay thay milkar tamaam waawaila
Layeen ravaana huvey taiz gaam waawaila
Likha hai raah may ek manzil-e-ghareeb aayi
Batool zaadi ki hai hai qazaa qareeb aayi

*****

254 Marsia Salaam Marsia Nauha


Ghurbat mein kis ne ki hae rifaqat Hussain ki
Sab se siva hae kisko mohabbat Hussain ki
Kiski nazar mein farz hae ta-at Hussain ki
Takmeel kis se paayi hae shahadath Hussain ki
Hae kaun yaadgaar Ali-o-Butool ki
Woh kaun zee sharaf hae nawasi rasool ki

Zehra ke baad kaun hae maqdoomae jahaan


Baba hae kiska shere Khuda faqre murselaan
Duniya mein kiske sabr ke qaael hain insojaan
Madar hae kiski kashtiye ummat ki baad baan
Maryam se kiska martabah aala hae qalq mein
Mashoor kaun saaniye Zehra hae qalq mein

Taazeem kiski karte thay sultane Karbala


Kiske sabab se ummate aasi huve reha
Ghar bhar ki sougwari ka hissa kise mila
Hae koun dil se aashiqe shahinshahe huda
Di jis ne jaan ulfate shahe anaam mein
Hae sab se door kiski lehad mulke Shaam mein

Ausaaf kis mein hae shah-e-mardaan ke hu bahu


Hae aur kaun Jaffare Tayyar ki bahu
Rag rag mein kiske Fatema Zehra ka hae lahu
Sadqe mein kiske rah gayi ummat ki aabru
Jiski wafa-o sabr ka qaael Hussain hae
Zainab woh duqtare shahe badro hunain

Salaam Marsia Nauha Marsia 255


Bhai imam baap imam aur muqteda
Maadar mili woh jiska laqab Ashrafunnisa
Nana rasool hae do sara qatme ambiya
Farzand paaye aise jo hain fidya-e-Khuda
Waqif jahan hae Fatema ki noore ain se
Zainab ka martabah koi pooche Hussain se

Nana ko royi baap ko royi woh zee viqar


Matam kiya Batool ka bachashme ashkbaar
Mohsin ki laash dekhke dil hogaya figaar
Barson rahi museebate Shabbar mein soagwaar
Bachpan se shughl usko raha shoro shain ka
Aqir ko dekha Zaib-e-sinaan sar Hussain ka

Pursa ajeeb Zainabe nashaad ko mila


Shabbir qatl hotay hi qaima jala diya
Sar se uthari shumr ne masooma ki rida
Baazu har ek bibi ka rassi mein bandh gaya
Balwe mein laaye binte shahe mashraqain ko
Jee bharke ronay paayi na Zainab Hussain ko

Baba ko roye bachhe toh Zainab unhein manaye


Samjha ke apni goadh mein shab ko unhe sulaaye
Saeli kisi yateem ko aakar koi lagaye
Yeh dekhkar qaamosh ho shikwa na lab par laaye
Bhai ke sar ke saath rahi ijdeham mein
Sar nangay jaaye koocha-o baazare Shaam mein

256 Marsia Salaam Marsia Nauha


Kuch din rahi watan mein woh Zehra ki yaadgaar
Par thi bahut Hussain se milne ko beqaraar
Tha dushmane imam yazeede sitam shuaar
Abed huve joh qaid dobara bahaale zaar
Mumkin na tha ke moonh rahe ulfat mein modhke
Zainab rahe watan mein bhatije ko chod ke

Zindaan se chutke aayi joh Zainab su-e watan


Rotih thi jaake nana ke rowze pah qasta tanh
Gah Fatema ki qabr pah karti thi yeh sukhan
Barbaad Karbala mei huva aapka chaman
Shikwa na qaid ka tha na baazare Shaam ka
Tha zikr bus Hussain alaihis salaam ka

Pahunchi qareebe Shaam ko jis dum woh khush nihaad


Aane lagi ziyaada shahe bekafan ki yaad
Ek raat aayi jis mein ke dil ki mili muraad
Mujhda ajal ka qaab mein sunkar thi shaad shaad
Thi gar che iske dil ko qushi inteqaal ki
Par fikr thi toh Abede bar gashta haal ki

Guzri woh raat subha shahadat huvi ayaan


Jis baagh mein huva tha farokash woh kaarvaan
Dushman nabi ki aal ka tha uska baghbaan
Zere shajar joh rotih thi Sheh ko woh neem jaan
Aisa sitam kiya ke na phir sheh ko ro saki
Yoon belchey se maara ke jaanbar na ho saki

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 257


Zainab pa huva khaatema har ranj-o-balaa ka
Maatam kiya pehlay toh Rasool-e-doh saraa ka
Phir gham huva darpeish Batool-e-Uzara ka
Dekha sar-e-aaloodh ba-khoon Sher-e-Khuda ka
Woh khasthaa jigar Shabbar-e-dilgeer ko royeen
Phir baad-e-Hasan Hazrath-e-Shabbir ko royeen

Tiflee hi sey Zainab pah museebath huvi kya kya


Naana kay liye royi kiya maatam-e-Zehra
Aur Mohsin-e-maasoom kay bhi laashey ko dekha
Yeh daagh na bhooli thi kay zakhmi huva baba
Tukkdeh jigar-e-Syed-e-masmoom ko dekha
Phir teigh kay neechey Shahey mazloom ko dekha

Alqissa kay Zainab ko sadaa bhaayi ki thi yaad


Tha dushman-e-Abid jo yazeed-e-sitam eejaad
Guzri yeh qabar usko kay kya bhaitta hai dilshaad
Ijmaah hai shiyoun ka payeh yaari-e-Sajjad
Waaris hai woh teigh-e-kamar shair-e-Khuda ka
Ab tujh sey aiwaz leyga woh khoon-e-Shohada ka

Yeh sunkay diya hukm shaqi ney sar-e-darbaar


Abid ko giraftaar karein jaakay kuch aswaar
Zanjeer bhi aur tauq bhi bhaari saa ho taiyaar
Lo ab qisaas-e-Shohadaa ka hai talabgaar
Kis baat pah magroor woh ibne Shahey deen hai
Kya pehli aseeri ka mazaa yaad nahin hai

258 Marsia Salaam Marsia Nauha


Baazu mein rasan baandhi thi aur paaoon mein zanjeer
Abid yehi kehthay thay kay kya hai meri taqseer
Woh kehthay thay yaan poocho na aye naaeb-e-Shabbir
Ab Shaam mein ho jaayegi jo honi hai taqdeer
Abid ney kaha khair chalo darr mujhey kya hai
Mazloom ka farzand toh raazi ba riza hai

Abid ka sukhan koyi bhi khaatir mein na laaya


Naaqey pa usi shakl sey beykas ko bitthaaya
Aur rokay zann-o-mard ney ek shor machaaya
Naagah yeh ek shaqs ney Abid ko sunaaya
Kya baittey ho naaqey pa zaraa dekho udhar ko
Hamsheer-e-Hussain aathi hai kholey huvey sar ko

Ya Rabb mujhey us shaher ko ab tu na dikhaana


Sar nangay phir us mulk mein mujhko na phiraana
Hai yaad mujhey Shaam ka woh ranj utthaana
Humraah sar-e-Sheh kay huva tha mera aana
Ab peish-e-nazar bhaayi ki tasveer nahin hai
Aayi hoon main tanhaa sar-e-Shabbir nahin hai

Us raat ko Zainab rahi mashghool-e-munajaat


Naagah saher-e-kooch numayaan huvi haihaath
Sajjad ney Zainab sey yeh ro ro kay kahi baat
Lo bhaayi sey tum apney karo aaj mulaaqaath
Kis dard sey kal aap thee mashghool dua mein
Maqbool dua hogayi dargaah-e-Khuda mein

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 259


Sajjad jab dobaara aseer-e-jafaa huvey
Zanjeer aur touq mein phir mubtelaa huvey
Roohey Rasool-e-paak ko sadmey siwaa huvey
Dard-o-alam Batool ko la intehaa huvey
Ghul tha kay phir Madiney ki basti ujaddti hai
Gardanh mein touq paaon mein zanjeer padti hai

Likha hai jin dinon yeh huva zulm aashkaar


Ghar mein bohath aleel thi Zainab jigarfigaar
Pahunchi khabar jo qaid ki Abid kay ek baar
Utthi asaa ko thaam kay ba chashmey ashkbaar
Aazaa-e-jismey paak baham kaampney lagey
Aaye jo dar talakh toh qadam kaampney lagey

Roay phupi ko dekh kay Abid ba haaley zaar


Itney mein hukm paakay chali fouj-e-naabakaar
Aagey toh qaid jaatey thay Sajjad-e-naamdaar
Thaa unkay peechey naaqa-e-Zainab jigarfigaar
Utta tha dil mein dard qadam thar-tharaatey thay
Mehmil ko dekh-dekh kay aanson bahaatey thay

Jab sab isi tarhaa sey huveen manzil-e-tamaam


Sehra milaa tab ek qareeb-e-dayaarey Shaam
Din chupp gaya namood huvi shaam teerafaam
Us din rayees-e-shaam ney sab sey kiye kalaam
Uthro yaheen kay raahat-e-aab-o-taam ho
Behtar yeh hai kay shab ko isi ja muqaam ho

260 Marsia Salaam Marsia Nauha


Yeh baat sunkay tham gayi sab fouj-e-naabakaar
Kamrey khuley utar padey ghodon sey sab sawaar
Bistar lagey bapaa huvey khaimey phir ek baar
Ghul chaar su huva kay aseeron sey hoshiyaar
In ki taraf sey khauff humein bey sabab nahin
Shakhjoon girey agar toh kuch iska ajab nahin

Alqissa jis ghadi kay numaayaan huvi saher


Lashkar huva yazeed ka aamaada-e-safar
Utthi wazu ko khwaahar-e-Sultan-e-Behrobarr
Fizza ney jaanemaaz bichaayi bachashmey tarr
Ekka ek dum malool siwaa huvi jaati theen
Zainab namaaz paddti thi aur rothi jaati theen

Faariq huveen dua sey jo Zainab ba chashmey tarr


Fizza ko tabh bulaa kay yeh boli woh nauhaagar
Yaan sey bohath qareeb hai sunti hoon woh shajar
Khooli ney jis darakht mein baandha tha Sheh ka sar
Ley chal wahaan pey Fatima Zehra ki jaayi ko
Ro-ungi us darakht kay neechey main bhayi ko

Uttkar qareen-e-shajar kay jo pahunchi kushaan kushaan


Bey ekhtiyaar aankhon sey aansoon huvey rawaan
Aaya nazar jo khooney sarey Shah-e-naagahaan
Liptteen shajar seykhwaaharey Sultan-e-Inso-jaan
Chillaati thi kay jaan-e-hazeen nikli jaati hai
Bhaiyya tumhaarey khoon ki booh mujko aati hai

Salaam Marsia Nauha Marsia 261


Royi bayaan kar kay jo Zainab ba haaley zaar
Maabayn-e-dasht-e-haaye Hussaina ki thi pukaar
Ek baagh tha wahaan kay har ek gul tha jiska khaar
Tha mohtemam wahaan ka tameem-e-sitam shayaar
Zulmat ayaan thi kufr ki us badh khisaal sey
Rakhta tha bugz dil mein Mohammad ki aal sey

Aayi sadaa jo kaan mein ronay ki ek baar


Teori chaddhaaye baagh sey niklaa woh badhshiyaar
Dekha kay ek zaeefa-e-ghaamgeen-o-sogwaar
Liptee huvi darakht sey rothi hai zaar zaar
Raashaa hai tanh mein rang bhi chehray ka zard hai
Dushman bhi ro rahey hai yeh baaton mein dard hai

Poocha yeh isney aakay qareeb-e-sipaahey shar


Aurath yeh kaunsi hai jo rothi hai is qadar
Bola koyi shaqi kay tujhey kya nahin khabar
Zainab yehi hai aashiq-e-Sultan-e-behrobar
Muddath sey sogwaar Shahey tishnakaam hai
Yeh khwaaharey Hussain Alaihis salaam hai

Sunna tha yeh kay ghaiz mein ayaa woh badh zubaan
Pahuncha qareeb-e-dukhtar-e-Khatoon-e-insojaan
Tha aahni jo haath mein ek bailchaa-e-giraan
Maara shaqi ney farq pey Zainab kay naagahaan
Ghash aagaya zameen pa tharraakay gir padein
Sar par lagi woh zarb kay tyuraakay gir padein

262 Marsia Salaam Marsia Nauha


Abid yeh sunkay laash pa pahunchey ba chashme nam
Chehrey ko dekh dekh kay roay basad alam
Ro ro kay ghusl denay lagey Sarwar-e-umam
Dekhey nashaan rasan kay jo baazu pey hai sitam
Boley nishani sipaah-e-naabekaar hai
Baad-e-fanaa bhi daagey rasan aashkaar hai

Jis waqt ghusl dey chukay Sajjad-e-dilfigaar


Tayyaar qabr bhi huvi itney mein ek baar
Go kaamptey thay zouf sey woh dast-e-raashadaar
Abid ney khud lahad mein utaara bahaaley zaar
Tadpaa jigar yeh shiddat-e-aaho bukaa huvi
Turbat jo bandh ki toh qayamat bapaa huvi

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 263


Shahadath Shehzadi Umme Kulsoom binte Ali (a.s.)

Umme Kulsoom khwaaharey Zainab


Zindagi bhar sahi tu ranj-o-taa-ab
Guzrey roney mein teray roz-o-shab
Mar gayi gham utthaakay haaye ghazab
Ab Ali-o-Batool rotay hain
Peet kar sar Rasool rotay hain

Bhaayi ko roz-o-shab jo rothi thi


Munh ko ashkoun sey apney dhoti thi
Gham sey fursath jisey na hothi thi
Jaan ro ro kay apni khothi thi
Woh jahaan sey guzargayi hai hai
Umme Kulsoom margayi hai hai

Yaad aatey hain teray gham bibi


Woh aseeri woh qaid ki sakhti
Tujh pey yun rash gham-o-alam ki thi
Uff woh rudaad bey ridaayi ki
Tujhko jab sey gham-e-Hussain milaa
Ek pal bhi tujhey na chain milaa

Qaid sey chutt kay jab watan aayi


Saath bhaayi ka apney gham laayi
Zabt karney na paayi dukh paayi
Dekha jis dum Madina chillaayi
Gham pey gham hum utthaakay aaye hain
Saarey ghar ko lutaakay aaye hain

264 Marsia Salaam Marsia Nauha


Aey Madiney humein qubool na kar
Katt gaya teigh sey Hussain ka sar
Chinn gayi thi saroun sey bhi chaadar
Wapas aaye hain phir kay hum dar dar
Martey dum tak yeh gham utthaana hai
Aisa aana bhi koyi aana hai

Hum museebath utthaakay aaye hain


Qaid khaaney mein jaakay aaye hain
Bhaayi betay gunwaah kay aaye hain
Qabr Sheh ki banaakay aaye hain
Saath betay hain aur na waali hai
Godiyaan bibiyoun ki khaali hai

Bain tu ney kiye jo zaar-o-qataar


Gham sey dil hogaye sabhi kay figaar
Daagh thay teray ek dil pey hazaar
Kithni pur dard thi woh teri pukaar
Khoon rulaata tha marsia tera
Gham sey dil choor choor tha tera

Haaye kaisi ulatt gayi taqdeer


Gayi darbaar mein tu hokay aseer
Aakhri saans takh rahi dilgeer
Umme Kulsoom khwaaharey Shabbir
Karbala yaad jab bhi aati hai
Yaad teri humein rulaati hai

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 265


Wafaat Rasool-e-Khuda (s.a.w.s)

Aye momino Yasrab may ajab nauhagari hai


Zehra ke liye daagh gham-e-bey pidari hai
Labb khushk hai muh zard hai aankhon may taree hai
Paighamber-e-kaunain chiraag-e-sahaari hai
Hothay hain judaa khair-e-bashar khairunnisa sey
Mehboob-e-khuda choot-thay hain sher-e-khuda sey

Jis ka kalmaa paddtey hain sob momin-e-deendaar


Ab aazam-e-firdous hai woh khaasa-e-gaffaar
Makkeh may Madine may tabaahi ke hain aasaar
Ab hothay hain ummath sey judaa Ahmad-e-Muqtaar
Faaqay kiye ghamgeen rahey duniya ke safar may
Aakhar safar-e-marg kiya maahey safar may

Ek kaafeira ney goshth may tha zeihar khilaaya


Is Zeihar ney aakhar yeh asar apna dikhaaya
Maula ko sarey bistare aazaar giraaya
Hissay may Hassan ke wohi zeihar-e-sitam aaya
Kamzore kiya thapp ney Rasool-e-Arabi ko
Taaqath na rahi bhaitney uttney ki Nabi ko

Hai aakhri is waqt mera waaz wo naseehath


Ab mimber-o-mehraab sey hotha hoon mai rukhsath
Aaya tha min Allah ilallah, hai Rehlath
Ab hogi mulaaqaath meri roz-e-Qiyaamat
Turn gham may meray naala-o-Faryaad karogay
Is saal mujhey Hajj may bahot yaad karogay

266 Marsia Salaam Marsia Nauha


Do cheezein main chodey huvey jaatha hoon magar haan
Woh ek toh meri aal hai aur ek hai Quraan
Quraan ki haafez meri ithrath hai nigehbaan
Yeh dono buzurgi-o-fazeelath may hai eksaan
Quraan toh turn sab ki tilaawat ke liye hai
Aur aal Payambar ki Hidayath ke liye hai

Gar baad meray pahoonchegaa Zehra ko kuch aazaar


Marqad sey meri pushth nahi lagney ki zinhaar
Yeh chaar buzurg aal-e-Payamber hain khabardaar
Zehra-o-Hussain-o-Hassan-o-Hyder-e-Karraar
Waajib meray ashaab pa in sab ki vilaa hai
Yaaro yehi tabligh-e-risaalat ka silaa hai

Faarigh jo huvey waaz sey woh aashiq-e-daawar


Phir ghar mein gaye aur giray farsh-e-ajal par
Us roz sey tashreef na phir leygaye baahar
Bus qabr may jaaney ko utthey waan sey payambar
Hairaan-o-pareishaan-o-dil afradaa thi Zehra
Baba abhi jeeta tha magar murdaa thi Zehra

Par Ahmad-e-Mukhtaar thay jab housh may aathay


Zehra ko basadh yaas kaleijay sey lagaathay
Gah pyaar sey yeh dono nawaasoun ko sunaathay
Main achcha hoon turn kis liye khaana nahin khaathay
Woh kehtay thay kya khaak tamanna-e-ghiza ho
Allah karey jald kaheen turnko shifa ho

Salaam Marsia Nauha Marsia 267


Sheh kehthay thay seihath ho na ho khaana toh khaalo
Naana ke nawaasoun dil-e-muztar ko sambhaalo
Chillaathi thi Zehra ke na yeh zikr nikaalo
Baba meray farzandoun ko dulhaa toh banaalo
Armaan tha turnko toh nawaasoun ki dulhan ka
Kya biyaah na dekhogay Hussain aur Hassan ka

Ek aah ki ronay lagay aur ghash huvey Maula


Darwaazey sey naagaha sadaa yeh huvi paidaah
Doh izn huzoor aye haram-e-syed-e-waala
Jaakar kaha Zehra ney ke beihosh hain Baba
Phir aayi nida phir wohi farmaagayi Zehra
Phir theesri awaaz may tharraagayi Zehra

Fursath jo huvi ghash sey toh hazrat ney bhi poocha


Zehra ney kaha ek arab aaya hai tanhaa
Woh maangtha hai izn huzoor aye meray baba
Kitnaa hi kya uzr nahjn isko pazeeraa
Hazrat ney kaha yeh Malakul Maut hai Zehra
Hungaam meri zeesth ka ab fauth hai Zehra

Yeh izn kisi sey bhi nahin maangtha wallah


Par haan meray darwaazey ke ruthbay sey hai aagah
Allah ray izzo sharaf-e-syed-e-zeejaah
Bey hukm na ghar may malakul Maut ko thi raah
Par karbobalaa may yehi ghar tha yehi dar tha
Kuffaar ka amboh tha aathish ka guzar tha

*****

268 Marsia Salaam Marsia Nauha


Shahadath Imam Hassan-e-Mujtaba (a.s.)

Jis dum Hassan ka zeihar sey tukdey jigar huva


Sipaara dil ka aahoun sey zair-o-zabar huva
Sim ka jo roohey paak pa zaaher asar huva
Haal is Imaam-e-paak ka is dum digar huva
Raahath ney farq aur shikam may khalal padaa
Kattkar kaleijaa tashth ke andar nikal padaa

Bistar pa dard-e-dil sey thadapney lagay Imaam


Sadhmay sey sabz honay laga roohey surq-e-faam
Chillaayeh haath sey yeh kalejay ko thaam thaam
Daudo bahen ke kaam hamaara huva tamaam
Yeh kehthay kehthay zard rukh-e-paak hogayaa
Chillaathay thay ke haaye jigar chaak hogayaa

Daudeen Janaabe Zainab beikas barhaina paa


Dekhaa ke loat-thay hain bichounay pa Mujtabaa
Boli yeh sar ko peet ke woh gham mai mubteilaa
Hai hai behan nisaar ho bhaayi yeh kya huva
Kya phir kisi ney zehar-e-daghaa sey pilaa diya
Kisney meray kaleijay pa Khanjar chalaa diya

Takiyaa lagaa rahay thay Haram jo idhar udhar


Baazu ko thaam leythi thi koyi toh koyi sar
Farmayaa laao tashth huva zehar ka asar
Reh reh ke koyi kaat-tha hai teigh sey jigar
Baddtaa tha jab ke dard-e- jigar may Imaam ke
Jhuktay thay baar baar kaleijay ko thaam ke

Salaam Marsia Nauha Marsia 269


Zainab ney jald laake rakhaa saamney lagann
Haathoun sey dil pakadd ke jhukey sarwar-e-zaman
Aayi jo khaiy toh kaan-e-jauhar bana dahann
Almaas khaakay laal ugalney lagay Hassan
Rang-e-Zamarudhi ka asar ab ayaan huva
Meiraaj ki hadees ka mathlab ayaan huva

Farmaathe thay Hassan ke bulaao Hussain ko


Tha dam ba dam yeh hukm ke laao Hussain ko
Bhaayi ka haal-e-zaar sunaao Hussain ko
Tukkdey meray jigar ke dikhaao Hussain ko
Kehdo ke jald aayieh rehlath ka waqt hai
Sun jaayieh kuch aakay wasiyath ka waqt hai

Aaye Hussain ithney may baa chashm ashkbaar


Chillaathay thay ke aapki ghurbath ke mai nisaar
Shabbar galay ko choom ke kehthay thay baar-baar
Main tum pa sadqay aye meray naana ke yaadgaar
Mujhsey ziyaada zulm-o-sitam tum pa hoyeingay
Hum qabr mai tumhaari museebath pa royeingay

Bhaiyaa tumhaari goadh mai nikleigaa mera dum


Tum doh gay humko ghusl-o-kafan jab mareingay hum
Hoga tumhaarey paas na koyi bajuzz alam
Qaatil sarhaaney hoyegaa ya khanjar-e-sitam
Shabbar toh baad-e-marg bhi raahath sey soyegaa
Laasha tumhaara ghodoun sey paamaal hoyegaa

*****

270 Marsia Salaam Marsia Nauha


Vida-e-Ayyam-e-Aza

Aye soghwaaro aaho bukaa ka maqaam hai


Ab rukhsath-e-Hussain alaihi salaam hai
Mehmaan tumhaara jaata hai jo tashnakaam hai
Sar peeto khaak udaao ke maatam tamaam hai
Ab woh sada-e-haaye Hussainaa na aayegi
Ghar may tumhare Fatima Zehra na ayegi

Aye .Shaahey karbala teri qidmath na ho saki


Aye kushtaa-e- jafaa teri qidmath na ho saki
Aye Jaaney Fatima teri qidmath na ho saki
Mehmaan-e-Nainawaa teri qidmath na ho saki
Ji bhar ke ro sakay na yeh gardish naseeb ki
Majlis yeh aakhri hai Hussain-e-ghareeb ki

Aglay baras Hussain moharram may aayengay


Baaqi rahi hayaat tho yeh gham manayengay
Aur Fatima ke laal par aansoo bahayengay
Gar margaye tho qabr may hum khaak udaayengay
Taiyaar qaafila hai shahey mashraqain ka
Lo Karbala ko jaata hai kunbaa Hussain ka

Abbas e bawafa Ali Akbar na jaayieh


Jhoolay ko khaali chodd ke Asghar na jaayieh
Leikar baraat Qasim e bay par na jaayieh
Veeraan makaan hotha hai Sarwar na jaayieh
Aayi sadaa na ro-wo-azadaar aayengay
Phir aglay saal apney bharay ghar ko layengay

Salaam Marsia Nauha Marsia 271


Beychaen Fatima hai na aansoo bahaao tum
Main ja raha hoon rokay na mujh ko rulaao tum
Zehmath na ho toh meri ziarath ko aao tum
Turbath pa aakay ashkoun ki chaadar chadhaao tum
Mehmaan jo karbala may meray paas aayengay
Un sab ki paishwaayi ko Abbas aayengay

Lo alvidaa hotha hai rukhsath yeh tashnakaam


Tum ro rahay ho maahey moharram sey subho shaam
Kausar pa apney haath sey doongaa main bharkay jaam
Rukhsath Hussain hotha hai tum par mera salaam
Dono jahaan may khush raho aur shaad tum raho
Amma duaein deithi hai abaad tum raho

Haan aashiqo Hussain ke aaho bukaa karo


Zehra ka saath doh madad-e-Mustafa karo
Haq-e-mohabbath-e-shahey beikas adaa karo
Ab kooch hai Hussain ka mehshar bapaa karo
Lo ab vidaah kijiyo aal-e-Rasool ko
Doh aakhri Hussain ka pursaa Batool ko

Aye Shaah-e-Karbala-e-moallah salaam lo


Hum baikasoun ke waali-o-maula salaam lo
Aaqaa salaam lo shahey waala salaam lo
Aye Fatima ke chaand hamaara salaam lo
Rukhsath yeh aakhri hai dilafgaar aaye hain
Maula salaam lo yeh azadaar aaye hain

*****

272 Marsia Salaam Marsia Nauha


Shahadath Shehzaadi Fatima Zehra (s.a.)

Bilqees paasbaan hae yeh kiski janab hae


Maryam duroodqan hae yeh kiski janab hae
Shane Khuda ayaan hae yeh kiski janab hae
Dehleez aasman hae yeh kiski janab hae
Kursi zameen se lethi hae goshe panah ke
Baitha hae arsh saaye mein kis baargah ke

Ulfat Khuda ke baad habeebe Khuda ki hae


Munsif ke pas yeh bhi vila kibriya ki hae
Parwaa na faaqe ki na shikayat ghiza ki hae
Eeza faqat judaai-e qairulwara ki hae
Aabo ghiza ki fikr na sone ka dhyan hae
Ankhon mein shakl baap ki ronay ka dhyan hae

Bete pukaarte hain ke lillah baahar aao


Amma na itna ro-o ghulamoun peh rahem khao
Nana kahan gaye hain bula laye hum batao
Hum kapde phaadte hain nahin toh gale lagao
Nana ke baad haaye yeh beqadr hum huve
Sab ek taraf huzoor ke bhi pyar kum hue

Aqir wafoore girya se aajiz huve Arab


Hyder ke pas ronay ki faryaad laye sab
Ki arz Fatima se kaho ae wali-e-rab
Ya Syedda tumhari raiyath hae jaan balab
Khane ka koi waqt na sonay ka waqt hae
Jo waqt hae woh aapke ronay ka waqt hae

Salaam Marsia Nauha Marsia 273


Baher se Murtuza gaye ghar mein jhukaye sar
Moonh dhanpe ro rahi thi akeli woh qushsiyar
Dene lage payame Arab shahe bahrobar
Ghabrake boli hai karoon kya mein bepidar
Qaabu mein mauth huve toh marjaaon ya Ali
Baba ka soag leke kidhar jaoon ya Ali

Meri taraf se ahle Madine ko doh payam


Logo qafa na ho meri ruqsat hae subho-shaam
Doh chaar din tumhare mohalle mein hae maqaam
Ronay ki dhoom ho chuki ab kaam hae tamaam
Ghabrati hoon watan mein safar ke maheene se
Baba sidhaare kaam mujhe kya Madine se

Ek din nigah karte hain kya shahe la-fatah


Mathbaqh hae garm aaridey joh hai gundha hua
Nahla rahi hae bachoun ko mal mal ke dast-o-pa
Phaila diye hain kurte bhi dho kar juda juda
Poocha ke itne kaamon ka jo shagl aaj hae
Is waqt kuch bahaal tumhara mizaaj hae

Boli ke aaj raat ko ho jaoongi bahaal


Kal mere kaarobar mein tum honge qud nidhaal
Qidmath ka mere bachhoun ki hoga kise khayaal
Nehla dhula diya ke pareshaan tha unka haal
Kurte bhi dhoye khooth bhi kal tak ka de chali
Sehra na dekha ek yeh armaan le chali

274 Marsia Salaam Marsia Nauha


Phir toh har ek mohalle mein mahshar bapa hua
Apne paraaye daude ke hae hae yeh kya hua
Fizza pukari Syedda ka waqia hua
Hujra Batoole paak ka maatam sara hua
Chaati qalaq se dekhne waalon ki phat gayi
Moonh rakhke moonh peh murde ke Zainab lipat gayi

Mein doodh baqshwane na paayi ke chal basee


Sherbat bana ke lane na paayi ke chal basee
Kuch haale dil sunaney na paayi ke chal basee
Mein be-naseeb aane na paayi ka chal basee
Kya jald tar zamaana hua inteqaal ka
Hae hae abhi toh sin tha kul athara saal ka

Ae meri faaqa kash meri nadaar ammajaan


Ae meri be-dawa meri beemaar ammajan
Kaabe ki aabroo meri sardaar ammajan
Ae meri sabera meri nachaar ammajan
Nana moovi toh thi koi taaza qitaab doh
Amma jawab doh meri amma jawab doh

Nanhe se sar khule hain nahin sar peh topiyaan


Kehte hain kuch toh moonh se nikalta haaye maan
Likha hae jab janaze pah pahoonche woh neem jaan
Hasrath se dekha murde ka moonh aur yeh ki fughaan
Amma ghulam aaye hain ruqsat ke waastey
Jaati ho tum nabi ki ziarat ke waastey

Salaam Marsia Nauha Marsia 275


Kehthi thi rokay Zainab-e-naalaan jawaab doh
Khaamoush kyon ho aye meri amma jawaab doh
Kya hogaya yeh hashr ka saamaan jawaab doh
Hothi hai beti aap pa qurbaan jawaab doh
Ab toh baraayeh khaaliq-e-yazdaan jawaab doh
Amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Humsaeeyoun ki thi yeh shikaayath ke ammajaan


Ya din ko roye ya toh karein raat may fughaan
Ronay sey aapke hai khalal kaam may yahaan
Naana ke baad phirgaye jo jo thay meharbaan
Kaise thay kalmaa goh wo musalman jawaab doh
Amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Naana ka saaya sar sey uttha sabr karliya


Pehloo pa dar giraaya gaya sabr karliya
Ummath ney jo jo zulm kiyeh sabr karliya
Is zulm ka gilaah na kiya sabr karliya
Kaisi thi saabeira meri amma jawaab doh
Amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Bhaayi Hassan Hussain hain giryaan uttho uttho


Kunbaah hai ab tumhaara pareshaan uttho uttho
Kuch bolthi nahin meri amma uttho uttho
Kaisi lagi hai neendh main qurbaan uttho uttho
Zainab kahegi ab kisey amma jawaab doh
Amma jawaab doh meri amma jawaab doh

276 Marsia Salaam Marsia Nauha


Bhaayi ka biyaaha bhi na rachaana huva naseeb
Hai hai dulhan ko ghar mai na laana huva naseeb
Bas haaye tumko ronaa rulaana huva naseeb
Ek din na chaen sey tumhey rehna huva naseeb
Kya kya thay dilmay aapkay armaan jawab doh
Amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Aye gham naseeb maadar-e-muztar uttho uttho


Aayega sabr ab mujhey kyonkar uttho uttho
Uttho baraayeh khaaliq-e-Akbar uttho uttho
Sar peet thi hai aapki dukhtar uttho uttho
Mehboob-e-kibriyaa ki dil-o-jaan jawaab doh
Amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Deinay lagay jo ghusl toh royeh bahot Ali


Thaama jigar ko pehloo pa jis dum nazar padhi
Faarigh jo ghusl sey huvey rokar sadaa yeh di
Zainab ab aao dekhlo deedaar-e-aakhri
Beti tumhaari aayi hai is aan jawaab doh
Amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Bhaayi Hussain rothay hain uttkar galay lagaao


Gham may tumhare peet-thay hain sar inhey manaao
Kunbay sey apney aakhri milthey huvey toh jaao
Phir ek baar beti ko apni sadaa sunaao
Kya so rahi ho tumpa main qurbaan jawaab doh
Amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Salaam Marsia Nauha Marsia 277


Baba hain sarf-e-giyaa-o-zaari uttho uttho
Dekho toh saarey ghar ki tabaahi uttho uttho
Tumko qasam hai haq ki main waari uttho uttho
Lo aagayi tumhaari sawaari uttho uttho
Aaye hain dar pa buzar-o-salman jawaab doh
Amma jawaab doh meri amma jawaab doh

Jannath ko aye Nabi ki dil-o-jaan jaayieh


Ab ghar hamaara hogaya sunsaan jaayieh
Phir ek baar ho loon toh qurbaan jaayieh
Khaaliq hai ab tumhaara nigehbaan jaayieh
Kya daag humko deh gayi amma jawaab doh
Amma jawaab doh meri amma jawaab doh

*****

Bistarr sey thar tharaa kay utthi thaamkar asaa


Qabr-e-Nabi pa faatahey aakhri padhaa
Hum saeeyoun kay ghar gayee rukhsath ko aur kahaa
Loh saahibo bahel karo ab kooch hai meiraa
Eizza thi turn sabhoun ko meray shor-o-shayn sey
Kal Fatima na hoyegi turn sona chaen sey

Hum saaiyaah kay huqooq sey aagaah hai jahaan


Logo meray yateemoun sey rehna nigaahabaan
Ab saath inka aur tumhaara hai hum kahaan
Bin maa kay hothi hai meri dukhyaari betiyaan
Bachpan pa apney bachchoun kay aansoo bahaathi hoon
Tumpar Hasan Hussain ko main choday jaathi hoon

278 Marsia Salaam Marsia Nauha


Rokar kabhi Hasan ko galay sey lagaa liya
Aaghoush main Hussain ko gaahey bitthaa liya
Rukhsath kiya kisi ko kisi ko bulaa liya
Paddney kay waasthay kabhi Quraan utthaa liya
Kehthi thi gaah bachchoun sey mooh apna modd kay
Kal soonay ghar main sona hai basthi ko chodd kay

Sunn loh waseeyathein meri is waqt ya Imaam


Fizza sey meray baad adaalath sey leyna kaam
Hushyaar Fatima ki amaanath sey subho shaam
Doh betiyaan doh betay hain bas aur Khuda ka naam
Mainey baday dukhoun sey yeh bachchey paalay hain
Haq kay hawaaley tum yeh tumhaarey hawaaley hain

Hai aarzoo kay Qabr main mujhko Hasan litaaye


Shabbir meray laashey ka mooh Qibla roo phiraaye
Phir khud kahaa nahin nahin bachcha hai darr na jaaye
Naagaah khelthay huvey dono yateem aaye
Chaathi lagaa kay boli kay lo hum toh marthay hain
Turn sey sulook dekhiye kya loug karthay hain

Leykar balaayein beti ki Zehra ney yeh kahaa


Rothi toh hoon ziyaada na Zainab mujhey rulaa
Kuch bhaaiyoun kay sompney ka samjhi mudh-dua
Tu inki ronay waali hai Zehra teray fidaa
Kya bas mera jo marzi-e-Parwardigaar hai
Zainab tamaam kunbey ki tu soghvaar hai

Salaam Marsia Nauha Marsia 279


Yeh kehti thi kay ghash ney diya mauth ka payaam
Hujreh sey nikley rothay huvey aqrobaah tamaam
Tarteeb-e-laash kay liye baahar gaye Imaam
Zehra ney yaan musalley pa apna kiya muqaam
Likhaa hai bas namaz isha ki adaa huvi
Aur ghul utta kay binte nabi ki qazaa huvi

Maatha Hassan ney laashey kay maathey pa rakh diya


Ro ro kay amma amma kahaa aur ghash huva
Talvoun sey apney maathey ko Shabbir ney malaa
Paaoon main dam na paaya toh yeh kaan main kaha
Main aapka ghulaam hoon aur noor-e-ain hoon
Aawaaz doh Hussain hoon amma Hussain

*****

Farzandoun ko phir Fatema Zehra ney bulaaya


Chaathi sey lagaaya kabhi seenay sey lagaaya
Baalaa-e-jabeen bosay liye aur yeh sunaaya
Lo pyaaro kay hungaam judaayi ka ab aaya
Ab tum sey judaa hothi Batool-e-Uzra hai
Yeh aakhri Zehra ney tumhey pyaar kiya hai

Hyder sey kahaa inko na pahoonchey koyi eezza


Yeh hain meray pyaarey kabhi inko na ghuraknaa
Aur aap sey ek arz yeh ab karthi hai Zehra
Paddhiyo meray laashey pa namaaz aye meray Maula
Furqath mein na in dono ko taddpaaio saahib
Bachchoun ko meri qabr pa tum laayio saahib

280 Marsia Salaam Marsia Nauha


Naazuk hai mizaaj inka yeh maaloom hai maula
Har baat mein bey saaqtha ro deytha hai chotaa
Hai khauff ulatt jaaye na seenay mein kaleijaa
Tum isko meray laashey pa bhi ronay na deyna
Sab kudh mein leyn martabaa quraan ka samajh kar
Ghurrkay na koyi ab isey bin maa ka samajh kar

Yeh kehkay kiya bandh dar-e-hujraa-e-athar


Sab khurd-o-kalaan aankay ronay lagay baahar
Awaaz suni kalma-e-taiyab ki baraabar
Phir kuch na sadaa aayi kaha sab ney yeh rokar
Rehlath huvi bas aaj Rasool-e-Arabi ki
Lo utt gayi duniya sey nishaani bhi Nabi ki

Alqissa woh din maatam-e-Zehra mein jo guzzra


Shab aayi khulay gaisuoun sey deyna ko pursaa
Hyder ney kiya ghusl ka saamaan mohiyaa
Maasooma kay ek haath mein jo zakhm lagaa tha
Woh dast-e-Batool aah khameeda nazar aaya
Yeh dekhtay hi mooh ko Ali kay jigar aaya

Nehlaa kay jo kafnaaney lagay maiyath-e-Zehra


Zainab ney kaha haathoun sey sar peet kay apna
Amma ka meray haath toh seedaa karo baba
Woh rokay pukaarey yeh khameeda hi raheiga
Tabooth mein phir maiyath-e-Zehra ko litaakar
Sab sey kaha lo bibiyo rukhsath karo aakar

Salaam Marsia Nauha Marsia 281


Kehtey thay Ali Fatema kay laashey sey yeh baat
Bas Fatema bas ho chukee beitoun sey mulaqaat
Farzandoun ki gardhan sey judaa kijiyeh ab haath
Rukhsath bhi ho ab zindoun ka aur laashey ka kya saath
Chalnay mein musaafir kay yeh deyree nahin hothi
Maiyath sey sadaa aayi kay seyri nahin hothi

Saaheb meray bachchoun ko chuddaao na Khudaara


Khaatir sey meri deyr karo aur gawaara
Hoyegaa meri rooh pa ehsaan tumhaara
Bachchoun sey ziyaada mujhey koyi nahin pyaara
Masoomoun sey dum bhar mein bichadd jaayegi Zehra
Phir kaaheyko yoon seenay liptaayegi Zehra

*****

282 Marsia Salaam Marsia Nauha


Shahadath Hazrath Ali ibne Abu Taalib (a.s.)

Aye rozey daaro aaho bukaa ke yeh roz hain


Saadaath par nuzool-e-balaa ke yeh roz hain
Sartaaj-e-ausiyaa ki azaa ke yeh roz hain
Tumsey vidaa-e-shair-e-khuda ke yeh roz hain
Zakhmi huva Imam tumhaara namaaz may
Zaalim ney rozeydaar ko maara namaaz may

Maahey mubaarak-e-Ramazaan aur khuda ka ghar


Thaddkaa woh noor ka woh shab-e-Qadr ki sahar
Paish-e-khuda woh sajdeh may shair-e-khuda ka sar
Aur haaye teigh zulm ki zarbath woh farq par
Fawaarey khoon ke zakhme jabeen sey bahaa kiye
Sajdeh may aap rabbi-ul-aala kahaa kiye

Sar peeto mominou sar-e-hyder huva doh neem


Imaan ke burj kaama-e-anwar huva doh neem
Souncho toh farq shah ka kyonkar huva doh neem
Likha hai maqz takh sar-e-athar huva doh neem
Zehra ney baal kholay nabi nangay sar huvey
Tum bey Imaam aur Hassan bey pidar huvey

Likhaa hai jab doh neem huvaa farq-e-Murtuza


Sidhray sey jibraeel ke ronay ka ghul utthaa
Phainkhee saroun sey Zainab-o-Kulsoom ney ridaa
Chillaa ke bhaaiyoun ko pukaari ghazab huva
Sunthay ho jibraeel ney is waqt kya kahaa
woh bolay peet kar quthalal Murtuza kahaa

Salaam Marsia Nauha Marsia 283


Daudey yeh kehkay jaanib-e-Masjid-o-Nekh zaath
Doobi huvi lahoo may mili kashti-e-Najaath
Maathay pa khoon baap ka malkar kahi yeh baath
Hai hai utthaaya Qibla-o-Kaaba pa kisney haath
Rulvaaya naana jaan ko Darus-salaam may
Bin baap ka kiya hamein maahey siyaam may

Naagaah namaaziyoun ka groh aaya nangay sar


Hyder ney Mujtaba sey kaha aankhein khol kar
Padvaao turn namaaz jamaath ki aye pisar
Hum bhaittay bhaittay paddthay hain apney muqaam par
Leikeen jabeen ke zakhm pa rumaal baandho
Mera sar-e-shigaaftaa aye laal baandho

Baandha Hassan ney Zakhm-e-sarey shaah-e-Zuljalaal


Bolay Ali ke aur kaso dard hai kamaal
Shabbar ney jab kasaa toh kiya phir wohi miqaal
Phir chusth baandhkar pukaara woh khush qisaal
Ab dard kaisa aye Asad-e-Zuljalaal hai
Haathoun sey sar pakadd ke kaha wohi haal hai

Padvaa ke phir namaaz jamaath ki Mujtaba


Baba ke sar pa paddney lagay Aaya-e-shifa
Naagaah aakey yeh kisi aurath ney di nidaa
Zehra ke pyaaro turnsey yeh Zainab ney hai kaha
Baba ko meray jald jo ghar may na laaogay
Toh sar barehna mujhko bhi Masjid may paaogay

284 Marsia Salaam Marsia Nauha


Bolay Ali havaas abhi sey bajaa nahin
Zainab sey kehdo kufaa hai yeh karbalaa nahin
Main bey dayaar-o-beikas-o-bey aashnaa nahin
Shia hain girdh nargha-e-ahley jafaa nahin
Pardeh sey nangay sar tu abhi kyon nikalthi hai
Kya halq par Hussain ke talwaar chalthi hai

*****

Imaan ki jaan kya hae mohabbath Ali ki hae


Rahat jo qabr ki hae woh ulfath Ali ki hae
Sa-il bakaf hain sab woh saqawath Ali ki hae
Qatil ko di aman woh murawath Ali ki hae
Aadil ho peshwa ho madarul maham ho
Gar ho nabi ke baad toh aisa imam ho

Sadqe ghulam teri museebat ke ya Ali


Ae janasheen janabe risalat ke ya Ali
Qurban lahoo bhari teri soorath ke ya Ali
Ayyam hae yeh teri shahadath ke ya Ali
Yeh zulm be jahat yeh sitam be sabab hua
Talwar tere sar peh lagi kya ghazab hua

Unnesween se aapka matam hae ya Ali


Qoon ho gaye diloun ka yeh aalam hae ya Ali
Daftar jahan ka darham-o-barham hae ya Ali
Mahe siyaam mahe muharram hae ya Ali
Moula ki nazr ko gohare ashk laye hain
Yeh rozedaar aapke pursey ko aaye hain

Salaam Marsia Nauha Marsia 285


Moula shigaaftha huva sajde mein sar tera
Syed tabaah ho gaya Koofe mein ghar tera
Sarwar alam diloun ko hae sham-o-sehar tera
Aaqa inhi dinoun mein huva tha safar tera
Aalam se beqabar they quzoo-o-qushoo mein
Talwar jab lagi thi jhuke they rukoo mein

Ghar mein Khuda ke qatl hua rozedar haye


Hae hae imam haye shahe zulfiqaar haye
Ae qana zadeh haq shahe ta-ath guzaar haye
Mouladh haram mein hae toh Najaf mein mazaar haye
Yeh bandagi nisare janabe Ameer ke
Nikle toh ghar se marke Khuda-e-Qadeer ke

Laya tha zeher mein woh jafa joh bujha ke tegh


Moula gire zameen peh sajde mein khake tegh
Gul padh gaya ke sar peh lagi Murtuza ke tegh
Khayi Khuda ke sher ne ghar mein Khuda ke tegh
Gehra hae zakhm farqe imame hijaaz par
Sar se tapak raha hae lahoo janamaaz par

Shere Khuda jo haathon se thamay thay apna sar


Khoon dono kohniyon se tapakta tha qaak par
Bhaaga jo ibne muljim-e maloon-o-badsiyar
Pakda useh Ali ke muhebbon ne daudh kar
Laaye joh haath baandh ke Moula ke saamne
Qatil pah muskura ke nazar ki imam ne

286 Marsia Salaam Marsia Nauha


Farmaya maine kounsi ki thi teri qata
Paadaash nekiyon ki yehi hae jahaan mein kya
Kya mein bura imam tha ae baniye jafa
Roya jo sar jhuka ke toh moula ne yeh kaha
Is dard mein bhi sabke marz ki dawa hain hum
Bandho na iske haath ke mushkil kusha hain hum

Dono shabein Ali ko tadapte hui basar


Lethay thay is taraf kabhi karwat kabhi udhar
Rokar dabaate paon jo Shabbir-e naamwar
Rah jaathay they imam-e doh aalam hila ke sar
Roodaadh thi nazar mein mujassim Hussain ki
Awaaz sun ke rotay thay Zainab ke bain ki

Jab beesween ka din bhi tadap kar huva tamam


Ummul baneen se chownk ke kehne lage imam
Doh din se aah sab mere bachhe hain be ta-aam
Faqe mein in peh guzregi kya aaj ki bhi shaam
Achha hoon ab toh mein yeh abas beqaraar hain
Khana inhe khilao ke sab rozedaar hain

Bole Hussain baap se haathoun ko jodh kar


Sab khaen phir jo aap tanavul kare agar
Farmaya rizq uth gaya majboor hae pidar
Pani bhi ab gale se utartha nahin pisar
Dawat Ali ki aaj hae ghar mein Ilaah ke
Roza khulega saath risaalath panah ke

Salaam Marsia Nauha Marsia 287


Chup hogaye yeh kehkar shahenshahe kaenaath
Samjhe yeh sab ke ghash mein hain Shahe niko-sifaat
Jis waqt baaqi rah gayi kuch kam ghadi woh raat
Tegh-e ajal ne qatta kiya rishta-e hayaath
Tadka tha noor ka ke safar kar gaye Ali
Sab shia bay imam hue mar gaye Ali

*****

Waarid huvi naagah shab-e-zarbath-e-Hyder


Bas kholtay hi roza kamar baandhi ajal par
Us shab thay kabhi sahen mein gahey hujreh kay andar
Humsaaye ko har baar nidaa deitay thay rokar
Hyder ki sawaari su-ey firdous chali hai
Jaagoh yeh shab-e-qadr shab-e-qatl-e-Ali hai

Wallah main doh raatoun ka mehmaan hoon tumhaara


Tarr dekhogay kal khoon sey reesh-e-rukh-e-Zebaa
Barrseyga lahoo teen din aflaak sey harjaa
Aye saahibo imsaal-e-Ali Hajj mein na hogaa
Tum eid kay din rovogay Shabbar sey lipatt kar
Royegaa Hasan baap kay mimber sey lipatt kar

Kulsoom ney rokar kaha waahasratho dardaa


Kya betiyaan ab sabr karein aapko baba
Kis tarhaa yaqeen tumko huva apni ajal ka
Farmaaya jo irshaad-e-Payambar hai woh hoga
Doh roz hai duniya mein bas ab qooth hamaara
Ekkisveen ko uttheyga tabooth hamaara

288 Marsia Salaam Marsia Nauha


Har ghar mein sadaa hoveygi kal haaye Ali ki
Kal rothi huvi aayegi yaan rooh Nabi ki
Haalath meray gham mein na bajaa hogi kisi ki
Kal aayegi yaan laash Payambar kay vasi ki
Kal shia bhi sar kholeingay aur ahle harum bhi
Zehra ki sadaa aayi kafan phaadeingay hum bhi

Zainab sey rivaayath hai kay thi chaar ghadi raat


Mushtaaq-e-qazaa ghar sey chaley Syed-e-khush zaath
Tasbeeh bakaff jamaa huvey deodi pa sadaath
Waan Sheh ney Azaan di yahaan ki sab ney munajaath
Guldastha ho Hyder sey sar afraaz hameishaa
Ya Rabb rahey duniya mein yeh awaaz hameishaa

Phir baad-e-Azaan kaan mein awaaz yeh aayi


Aye shiyo Ali qatl huvey haq ki duhaayi
Is nauhey sey aagaah huvi saari khudaayi
Chehroun pa Nabi zaadiyoun ney khaak uddhaayi
Jannath sey Nabi phaad kay daamaan-e-kafan aaye
Sar peet-thay masjid mein Hussain aur Hasan aaye

Baba ka lahoo pehlay toh chehroun pa lagaaya


Phir dono ney maa bayn-e-kileem unko utthaaya
Leykar jo chaley ronaa Ali ko bohath aaya
Shabbir ney poocha toh yeh Hyder ney sunaaya
Ronaa yeh hai jab halq tu kattwayega pyaarey
Koyi tera laasha na utthaa laayega pyaarey

Salaam Marsia Nauha Marsia 289


Sab rothay huvey daudey kay laasha waheen aaya
Hujreh mein yadullah ko masnadh pa littaaya
Abbas ko abbas ki maadar ney bulaaya
Sadqey ki tarhaa girdh Ali isko phiraaya
Aur boli kay ya Rabb meray waali ko shifaa dey
Sadqey yeh pisar deythi hoon waaris ko bachaaley

*****

290 Marsia Salaam Marsia Nauha


Shahadat Imam Muhammad-e-Baqar (a.s.)

Hai qasd kuch fazael-e-Baquar raqam karoon


Tahreer mojizaatey Imam-e-Umam karoon
Likhney mein misley khaama-e-sar ajz kham karoon
Lauh-o-qalam ko geeratey lauh-o-qalam karoon
Anwaarey mojizaat sey raushan kitaab ho
Khaama shuaa ho toh waraqh aftaab ho

Ek din pidar ki goud mein tha woh falak muqaam


Ek shiya laya nazrey dirahem paey Imam
Sajjad kay huzoor woh dirham rakhey tamaam
Dirham sey khelney lagaa farzand-e-nekh naam
Kya aql di thi khaaliq-e-roz-e-hisaab ney
Dirham zameen pey phaink diya us janaab ney

Tab doud kar mohib ney dirham uttha liya


Aur us ko darmiyaan-e-dirham par milaa diya
Baquar ney chunkay phir wahi dirham judaa kiya
Tifli mein thi yeh aap pey taaeed-e-kibriya
Likha hai teen baar yehi maajera huva
Us dum mohib ko Sheh kay tahyur bada huva

Abid sey ki yeh shia-e-Abid ney iltejaa


Irshaad aap kijiyeh yeh majera hai kya
Sheh ney kaha yeh aadat-e-tifli na jaantaa
Hoga Imam baad humarey yeh mehlaqaa
Dirham yeh ek gazbi-o-maal-e-haraam hai
Kyun kar issey qubool karey yeh Imam hai

Salaam Marsia Nauha Marsia 291


Baquar pey woh nisaar huvaa paaoon choom choom
Tifli sey Sheh kay Ilm-e-Khuda daad ki thi dhoom
Baquar ki sharaa kartey hain yeh khaas aur amoom
Yaani hai woh Imam shagafandah-e-uloom
Tha koi raaz-e-ghaib na Shah sey chupaa hua
Uqdaa woh kaun tha jo na Hazrat sey waa hua

Likhta hoon ab Shahadat-e-Maula-e-khoosh nihaad


Tha bas kay zaid ibn-e-Hassan ko hasad ziyaad
Rakhta tha bughz aap sey woh baani-e-fasaad
Karta tha majlison mein hiqaarat sey Sheh ko yaad
Tha munhareef woh Baquar-e-aali muqaam sey
Karta tha adaa-e-Imamat Imam sey

Sougandh khaakay zaid ney is waqt yeh kahaa


Daawaa na ab karoonga Imamat ka mutleqaa
Phir suey mulk shaam woh maloon rawaan huvaa
Abdul malik sey jaakay kahaa sab yeh maajeraa
Aakhir ko yeh kaha kay humaarey gumaan mein
Baquar sa ab nahin koyi saarey jahaan mein

Abdul malik ko bughz-o-khusumath huvi ziyaad


Kya kya na usney Shahey Umam sey kiye fisaad
Akhir Imam ko yeh likhaa az rahey anaad
Main bhejtaa hoon zaid ko aye Shahey khush nihaad
Ibn-e-Hassan ko laayeq-e-takreem kijiyeh
Taadeeb kijiyeh usay taaleem kijiyeh

292 Marsia Salaam Marsia Nauha


Aur ek zeen taabiye jis mein kiya tha sam
Hum raah zaid bheijaa baraaye Shahey umam
Aaya jo Zaid rubaru-e-Shaahey ba karam
Shah boley hai jo qasd tera jaantey hain hum
Aey ibne Amm yeh zulmo sitam tu ney kya kiya
Is zeen mein hai taabiye zehr-e-dagaa kiya

Is zeen par main hothaa hoon daanista ab sawaar


Bandey ko kya mashiyat-e-izd mein ekhtiyaar
Bandha woh zeen asp pey Allah rey inkesaar
Aur zaib-e-raahwaar huva Shaahey bawaqaar
Maut apni ki pasand raza-e-Ilaah mein
Us zaher ney nafooz kiya jism-e-Shah mein

Sheh ney muraaje-ath ki sawaari sey aah jab


Bas aashkaar hogaye aasaar-e-maut sab
Farmaaya teen roz kay hum mehmaan hain ab
Jaffar ko laao aur kafan bhi karo talab
Talib kafan kay badley hain is pairahan kay hum
Kabey ka tawaaf kartey thay jis ko pahen kay hum

Laaye woh jaama Hazrat-e-Sadiq bachashm-e-tarr


Hazrat ney pyaar karkay kahaa unko aye pisar
Jaata hoon main jahaan sey tu hothaa hai beypidar
Duniya sey aaj kartaa hoon uqbaa ka main safar
Pyarey pidar kay marney ka tum gham na khaaiyo
Mazloomi-e-Hussain pey aansoo bahaaiyo

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 293


Shahadat Imam Jaffar-e-Sadiq (a.s.)

Beychain dil thay Hazrat-e-Baqar ki yaad mein


Saamaan-e-gham tha farq-e-paak-e-aiteqaad mein
Tha jashn-e-eid khaana-e- ahley anaad mein
Goya bahaar aayi thi baagh-e-muraad mein
Khush thay kay baarawar shajar-e-muddaa huva
Ek taaza gul Ali kay chaman sey judaa huva

Din raat ahley shar isi tadbeer mein thay aah


Khairul bashar ka naam mitaa dey woh rusiyaah
Par khalq reh na sakti thi bey Hujjat-e-ilaah
Bakhshaa Khuda ney Jaffar-e-Sadiq ko izz-o-jaah
Jo har kushaa-e-taqt karaamat huvey huzoor
Raunaq fizaa-e-taqt Imaamat huvey huzoor

Qurbaan malak thay Jaffar-e-Sadiq ki shaan par


Haafiz fida thay mushaf-e-naatiq ki shaan par
Maula toh jaan detay thay Khaaliq ki shaan par
Maashooq ko bhi naaz tha aashiqh ki shaan par
Qaail zubaan har ek munafiq ki hogayi
Aalam mein dhoom ulfat-e-Sadiq ki hogayi

Raazi qazaa pey tha woh jigar band-e-Murtuza


Karta hai ek shaks yeh wasfey Shahey Huda
Beemaar koyi aapka tha tifl mehlaqaa
Daulat saraa pey uski ayaadat ko main gaya
Hazrat khadey huvey thay jhuka main salaam ko
Paaya magar udaas Imam-e-anaam ko
294 Marsia Salaam Marsia Nauha
Andar gaye huzoor main tehraa raha wahin
Dekha yeh wapasi mein kay gham ka asar nahin
Main ney kaha kay shaad rakhey Rab-ul-alameen
Shehzaada khairiyat sey hai aye Baadshahey deen
Farmaaya woh mareez jahaan sey guzar gaya
Ladkay ka haal dekh kay aaya hoon margayaa

Poocha kay pehley ranj tha ab kyun nahin malaal


Boley hum Ahleybait-e-Nabi ka yahi hai haal
Gham ka dum-e-nuzool bhalaa kartey hain khayaal
Naazil woh hogayi toh kiya shukr-e-Zuljalaal
Tasleem kis tarha na Raza kibriya ki ho
Bandey ka dakhl kya jo mashiyat Khuda ki ho

Masoom ki qazaa-e-ilaahi pey thi nazar


Kyun kar na ho Hussain sey saber kay thay jigar
Hai aashkar himmatey Shabbir-e-naamwar
Pardes mein lutaa diya aabaad apna ghar
Raah-e-Khuda mein dil ko sambhaala Imam ney
Aulaad zibhaa hogayi aankhon kay saamney

Baqar kay laqtey dil ko na aya kabhi ghazab


Taabay Khuda kay hukm ka tha Sarwar-e-arab
Karta tha sabr naasir-e-deen-e-habib-e-Rab
Deta tha sadmey aapko mansoor-e-bey adab
Firoun-e-asr phir gaya fakhrey kaleem sey
Keena tha sang saqht ko durr-e-yateem sey

Salaam Marsia Nauha Marsia 295


Rehti thi usko shaam-o-saher fikr-e-qatl-e-Shah
Jalta tha aaftab-e-Imaamat sey rusiyaah
Thi arzoo kay khana-e-Hyder ho phir tabaah
Hon bey Imam khaadim-e-Sultan-e-deen panaah
Saadaat mubtelaa-e-balaa-e-azeem ho
Jaffer ho qatl Moosi-e-Kazim yateem ho

Zaalim ko bey gunaah sey manzoor thi daghaa


Makkaar ney Iraq mein aakhir talab kiya
Karta raha iraada-e-qatl-e-Shahey Huda
Aijaz taaza dekh kay kar deyta thaa rehaa
Tegh-e-sitam nikalta tha jab niyam sey
Chal sakta tha na zor dua-e-Imam sey

Sadh haif sang dil ko na kuch iska tha khayaal


Mehmaan maraa hai gulshan-e-Baqar ka naunehaal
Mansoor ka bhi tark-e-wafaa mein wahi tha haal
Jaisey yazeed-o-Ibney ziyaad zaboon khisaal
Kis tarha zaalimon ney sataaya Hussain ko
Loota bulaa kay ghar sey Shahey Mashraqain ko

Haq kay wali ka dushman-e-jaani tha rusiyaa


Sab aafaton sey bachkay watan mein jab aaye Shah
Woh zulm hogaya kay Madina huva tabaa
Angoor mein Imam ko dilwaaya zehar aah
Sarw-e-riyaaz-e-deen ka ajab haal hogaya
Sar sabz baagh-e-deen ka pamaal hogayaa

*****

296 Marsia Salaam Marsia Nauha


Shahadat Imam Musa-e-Kazim (a.s.)

Sar peeto aaj Moosiye Jaffar huva shaheed


Ibney Ali-o-ibney Payambar huva shaheed
Gurbath mein aah Kazim-e-beypar huva shaheed
Lo mominon ka saathwaan rehbar huva shaheed
Pilwaaya zaher baadey Shahey khaaso aam ko
Haroon na rasheed ney maraa Imam ko

Kis tarha sey bayaan karoon zulm-e-ahley keen


Afsos paitt bhar kabhi khaana milaa nahin
Faaqey pa faaqa karta tha Ahmad ka jaanasheen
Zindan mein chawda saal thay mehboos Shahey deen
Taaqath na thi zaraa bhi qawood-o-qiyaam ki
Haalat yeh thi Imam Alaihis Salaam ki

Di ummat-e-Nabi ko na Hazrat ney badd dua


Har waqt Sheh kay labb pey rahaa Shukr-e-Kibriya
Sindi kay taziyaanon ki har roz thi jafaa
Behta tha khoon jism sey roohi lakal fidaa
Izza-e-qaid aisi kisi ney sahi nahin
Beydaad is tarha ki kisi par huvi nahin

Alqissa zaher aapko angoor mein diyaa


Jis sey Janaab-e-Moosiye Kazim ney ki qazaa
Baazon ney likhaa hai yeh shahaadat ka maajera
Piglaa kay sheesh aap ko jabran pilaa diyaa
Kaisey kahoon kay haal huva kya Imam ka
Jal kar huva kabaab kaleijaa Imam ka
Salaam Marsia Nauha Marsia 297
Ghul padd gaya kay Moosiye Kazim ney ki qazaa
Laashey ko laakay jasr pey adaa ney rakh diyaa
Aur chehra-e-Imam sey kapddaa hataa diyaa
Doh roz yuhin laash ka chehra khilaa rahaa
Thi laash beykafan Shahey Aali muqaam ki
Tauqeer thi yeh Aaley Rasool-e-Anaam ki

Nazdeek bhaayi tha na pisar tha na bhaanja


Tanhaayi mein yeh zulm-o-sitam wa museebataa
Do rooz takh toh jasr pey laasha pada rahaa
Mayyat pey roney walaa bhi hai hai koyi na thaa
Sadmey utthakay haaye jahaan sey guzar gaye
Gurbath mein aah Kazim-e-zeeshaan margaye

Shiaa nisaar aapki ghurbath kay Ya Imam


Ghurbat mein tum shaheed huvey aye Shahey Anaam
Bey jurm maraa aapko ya Shaahey khaas-o-aam
Haroon ney haif kar diya kaam aap ka tamaam
Khauf-e-Khuda na khauf-e-Rasool-e-Khuda kiya
Shammey hayaat aap ki zaalim bhujaa diya

Misl-e-tamashaa dekhtey hain saarey mard-o-zan


Hai zair-e-aftaab Imam-e-Huda ka tanh
Haroon ka bhaayi laash pey aaya basad mehan
Hazrat ko apney ghar sey diya kheemti kafan
Kazim kay paas bheja Khuda ney fidaayi ko
Lekin kafan mila na Shahey Karbalaayi ko

*****

298 Marsia Salaam Marsia Nauha


Shahadat Imam Muhammad Taqi-e-Jawwad (a.s.)

Ibn-e-Raza bhi saalikay raahey Raza rahaa


Sajjadaa-e-Rasool pey shagley dua rahaa
Har ranj mein zabaan pa shukr-e-Khuda rahaa
Ginti kay dostdaar thay dushman hazaarhaa
Badh khwaah kitney is Qamr-e-Murtuza kay thay
Tha ek chiraagh sainkdo jhonkay hawa kay thay

Kya haal ho Raza kay jigar bandh ka bayaan


Pyara tha Murtuza ka woh sultan-e-insojaan
Mojiz numa Imam-e-Zamaan Hadi-e-jahaan
Aisey wali kay dar pey iza thay badhgumaan
Souz-e-alam sey dil mein thay chaaley padey huey
Thay rashkay gul ko jaan kay laaley padey huvey

Laanat Khuda ki motesim nabekaar par


Bheja payaam chodiye ghar aayiye udhar
Dar pesh aah phir huva Baghdad ka safar
Par is safar ney manzil-e-akhir ki di khabar
Mazloom ka yeh kooch watan sey akheer tha
Mushtaq kung khabr ka woh gosha gheer tha

Humrahaa Ume Fazl bhi thi mourid-e-azaab


Yasrab sey jaaney ki thi khushi is ko beyhisaab
Iska chacha tha motesim-e-khanumaan kharaab
Baghdad mein pahunchgaye Shah-e-Falak janab
Tauqeer zaheri toh bohat bey wafaa ney ki
Par fikr qatl-e-Shah is ahl-e-jafa ney ki
Salaam Marsia Nauha Marsia 299
Baghdad mein muqeem rahey saal bhar huzoor
Naari yeh chahta tha kay gul ho chiraag-e-noor
Waaqif tha umme fazl ki haalat sey pur futoor
Rakhti thi bugz rehbar-e-Aalam sey bey shaoor
Zalim kay mashwarey sey woh khirsand hogayi
Kehney pey motesim kay raza mand hogayi

Yeh bey murawati yeh sitam yeh ghazab yeh qaher


Woh bekasi Imam ki woh door apna shaher
Dekhey toh Ahl-e-dil khalash khaar bagh-e-dahar
Angoor raazaqi mein diya faakha kash ko zaher
Li karwatein Ali-o-wali ko pukaar kay
Aazaa-e-paak sooj gaye dil figaar kay

Roney lagi woh dekh kay Hazrat ka haal-e-zaar


Farmaya aap ney kay abas hai toh ashkbaar
Is aarzey sey dega sazaa tujhko kirdegaar
Jis ka koyi elaaj nahin aye jafaa shiyaar
Deyti jawaab kya sar-e-maloona jhuk gaya
Dum Shaahey deen ka zaher kay sadmoun sey
rukgaya

Takleef payi chand shab-o-roz jaan ghasal


Taseer-e-sam sey aag thi seenay mein mushtiaal
Woh karb-o-jigar ki haraarat woh dard-e-dil
Hothaa gaya Rasool ka dildaar muzmahil
Haakim ney ki madad na tawajjoh tabeeb ney
Akhir safar kiya suey jannat ghareeb ney

300 Marsia Salaam Marsia Nauha


Kumla kay reh gaya gul-e-tar Buturaab ka
Murjhayaa naunehaal Risaalat maab ka
Dekha jawaana marg ney rang inqilaab ka
Woh maut beykasi ki woh mausam shabaab ka
Kyun peer charkh jaaye ta saf hai ya nahin
Kamsin Imamon mein koyi aisa huva nahin

Anjaam is tarha bhi kitaabon mein hai raqam


Shiyoun ney aap kay jo suna yeh naya sitham
Rotay huvey gaye sar-e-tasleem kar kay kham
Mayyat ko baher-e-ghusl utthaya bachashmey nam
Seenon ko apney khastaa jigar peetney lagey
Ammamey phenk phenk kay sar peetney lagey

Nehlaya is musafer-e-darussalam ko
Bhar aaye dil kafan jo pinhaaya Imam ko
Taboot mein litaa kay Shahey khaas-o-aam ko
Pursa diya Ali ko Rasool-e-anaam ko
Naaley tawaaf kartey thay arsh-e-majeed ka
Matam kiya uttha kay janaza shaheed ka

Jis ja thi qabr Moosiye Kazim falak wikhaar


Pehlu mein is lahad kay khuda doosra mazaar
Poshida zair-e-khaaq huva noor-e-kirdegaar
Hasrat pukaar ti thi kay is shaan kay nisaar
Takheer dafn sey bhi sharaf ashkaar hai
Yeh waris-e-Hussain ghareeb-ud-dayaar hai

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 301


Shahadat Imam Ali Naqi (Al-Hadi) (a.s.)

Kis umr mein Ali un Naqi bey pidar huvey


Bachpan mein dil pey chott lagi nauhagar huvey
Yasrab mein jaanasheen-e-Shahey behrobar huvey
Yeh waarisey bizaa-atay khair ul bashar huvey
Ilm-o-Amal ko maan liya shaikh o shaab ney
Kya kamsini mein paayi buzurgi janaab ney

Charkhey neham Imam-e-deham ka maqaam hai


Pushto panaah arshey bareen inka naam hai
Har chaar simt maddah o sanaa-e-Imam hai
Tasbeeh sashjahat ki durood-o-salaam hai
Naari hai jo kahey kay yeh noor-e-khuda nahin
Anwaar khamsa-e-najbaa sey judaa nahin

Aye door charqhey raah yeh kaisa hain intezaam


Khamosh kyun rahoon kay shikayat ka hai maqaam
Rehney na paaye chain sey istarha ka Imam
Qayam maqam iskay huvey dushmaney Imam
Farzand per rasool kay ummat jafaa karey
Pursa na jab koyi ho toh mazloom kya karey

Tayyar qatl per mutawakkil raha madaam


Majboor rehgaya wo aduwey Shahey anaam
Pahuncha safar mein choddkay yeh kaarey na tamaam
Qayam maqaam iskay huvey dushmaney Imam
Fursat mili na dilbar-e-Sher-e- ilaah ko
Tadbeer motemadh sey milaa zehr Shah ko
302 Marsia Salaam Marsia Nauha
Wo khalq ka masih huva sahibey firaash
Bey hiss tha jism farsh pey goya padi thi laash
Kunj lahad ki goshaa nasheen ko huvi talaash
Suraaqh dil mein tha toh kaleija tha paash paash
Aatey thay haal dekhney baashindey Shahr kay
Pothaa Raza ka marta tha sadmey sey zehr kay

Raawi bohot sey haashmi is kay hain la kalaam


Jin mein hai ek ka Hasan ibn-e-Hussain naam
Aaya jo roz rehlat-e-Shaahey falak maqaam
Sehney makaan mein farsh pey thay jalwagar imam
Majma bohot tha Syed-e-zijaah kay qareeb
Mardam thay jamaa yak sad-o-panjaah kay qareeb

Nagaah Askari nazar aaye humein udaas


Dakhil huvey makaan mein ayaan chehrey sey thi yaas
Paband hazan khaak gareebaan o beyhawaas
Dahni taraf khadey huvey aaker pidar kay paas
Kis haal mein hain koun yeh hain jaantey na thay
Huzzaar-e-Anjuman inhey pehchaantey na thay

Noor-e-nazar ko dekh kay Hazrat ney yeh kaha


Kar shukr kirdegaar kay aye meray mehlaqaa
Haadas ek Amr teray liye haq ney hai kiya
Roney laga yeh suntey hi wo raaziye Raza
Bola kay shukr marhamat-e-Zuljalal hai
Dey apni nematein yeh Khuda sey sawaal hai

Salaam Marsia Nauha Marsia 303


Poocha kisi ney tabh huva maalum sab ko haal
Yeh hain Hasan janab-e-Ali un Naqi kay laal
Zaahir huva jo umr ki jaanib kya khayaal
Hoga qareeb bees baras kay yeh khush Jamaal
Samjhey ishara hum yeh kalaam-e-Imam ka
Hain jaanasheen yahi Shahey aali muqaam ka

Rothaa raha Wasi e Shahinshahey behrobar


Sa-ath wo aayi sar sey uttha saaye-e-pidar
Saameray sey jinaan ki taraf hogaya safar
Hai hai chuttaa musafir-e-yasrab sey yeh bhi ghar
Ghul paddgaya wafaat-e- gharibul watan huvi
Saamaaney ghusl ka huva fikre kafan huvi

*****

304 Marsia Salaam Marsia Nauha


Shahadat Imam Hasan Askari (a.s.)

Shora jahan mein Hasan-e-Askari ka hai


Naqsha nageen yeh arsh ki angushtari ka hai
Kounain mein yeh gul chaman-e-Hyderi ka hai
Durr-e-yateem maadan-e-Paighambari ka hai
Mazloomiyat misaaley janaab-e-Hussain hai
Aur dabdabey mein faatahey Badr-o-Hunain hai

Per Motamadh ney Qaher kiya wa musibataah


Aisey wali ko zehr diya wa musibataah
Imaan kay ghar ku loot liya wa musibataah
Khooney jigar haram ney piyaa wa musibataah
Phaada kafan Nabi ney Ali nangey sar huvey
Bachpan mein haye Mehdi-e-deen bey pidar huvey

Arwaahey Panjatan ko sataaya hazaar haif


Jannat mein Mustafa ko rulaaya hazaar haif
Turbat sey Fatima ko utthaya hazaar haif
Qabr-e- shahey Najaf ko hilaaya hazaar haif
Ghul Saameray mein hota tha jis waqt bayn ka
Yaan Karbala mein hilta tha marqad Hussain ka

Hairaan thay zayeraan-e-Hussaini kay kya hai aaj


Kyun zalzaley mein qabrey Shahey Karbala hai aaj
Mehshar miyaane ganjey shaheedaan bapaa hai aaj
Aati hai yeh sadaa humey sadmaa badaa hai aaj
Zakhmi badan ko meray adu ney hilaa diya
Pothay ko meray zehrey halahal pilaa diya
Salaam Marsia Nauha Marsia 305
Hairat hai kyun zameen pey na arshey ulaa giraa
Is zulm sey amaama e Mushkilkhusha giraa
Abbasiyon pey kyun na falak jaabaja giraa
Baalaa e khaak taaj-e-Rasool-e-Khuda giraa
Sar apna kholey sog mein aaley Rasool ney
Jannat mein sar sey phenkdi chaadar Batool ney

Likha hai jab Imam huvey aazam-e-jinaan


Ek dafaa Sameray mein qayamat huvi ayaan
Daulat saraaye Shah sey aaney lagi fughaan
Lo momino yateem huvey Saheb-uz-Zamaan
Sar garm zulm chaaron taraf badh khisaal hai
Aur haif hai ki Mehdiye deen khurdasaal hai

Saaya na baap ka na koyi bhaayi saath hai


Sar per Imam-e-Asr kay bus haq ki zaat hai
Is bey pidar ki simt kisey iltefaat hai
Ab sharm Ahlebait ki Zehra kay haath hai
Murday kay gird shor jo nauhey ka hotaa hai
Masoom phoot phoot kay baba ko rothaa hai

Ab istarhaa sey ahley khabar kartey hai bayaan


Maatam sara mein bibiyaan karti thi yeh fughaan
Nehla chukay jo laashaye Moula-e-dojahaan
Kafnaya usko rakhtay mutaahir kay darmiyaan
Awaaz aayi Fatima kay shoro shain ki
Sab shia roye beykafani per Hussain ki

*****

306 Marsia Salaam Marsia Nauha


Inhedaam-e-Jannat-ul-Baqee

Aey charkh teray zulm ki kuch inteha nahin


Ye sach hai ki kisi sey bhi tuney wafa nahin
Lekin bataadey kya tujhey khauff-e-Khuda nahin
Ya Fatima sey bhi tujhey sharm-o-hayaa nahin
Zehra ki qabr Najdiyon ney haif dhaadiya
Sach toh yeh hai kaaba-e-eemaan gira diya

Kaabey ko dhaya marqad-e-Zehra jo dhaadiya


Kaaba nahin tha arsh-e-Khuda thaa gira diya
Yeh zulm woh hai jiski nahin koyi inteha
Parwardigaar azmat-e-Zehra ka waasta
Naazil balaa ho unpey koyi aasmaan sey
Jaldi mita dey Najdiyon ko tu jahaan sey

Jaan-e-Rasool khaasa-e-daawar woh Fatima


Shohar hai jiska Saaqiye-Kausar woh Fatima
Shabbir-o-Mujtaba ki jo maadar woh Fatima
Pehlu pey jiskay haaye giraa dar woh Fatima
Talwar aur pehlu-e-Zehra hazaar haif
Pushtey mubarak aapki durrey hazaar haif

Thi paanch saal ki kay Khatija ney ki qazaa


Maadar ka saaya sar sey uttha waa Mohammada
Atthaarween baras mein pidar sey huvi juda
Jheyli museebatein woh nahin jiski inteha
Zinda rahi toh baap ko rona nahin mila
Baad-e-Rasool chain sey sona nahin mila
Salaam Marsia Nauha Marsia 307
Bait-ul-huzan ko jaati thi Zehra paey buka
Afsos us jagaah ko bhi ummat ney dhaa diya
Saaye mein baitthna bhi gawaara nahin huva
Yeh qadr Fatima ki huvi waah Mohammada
Kaisey karoon bayaan joh zulm-o-sitam huvey
Baher shumaar sey hain woh ranjo alam huvey

Kyun mominon kaleija tumhara na munh ko aaye


Darwaza fatima kay shikam par giraaya haaye
Sadmey sey jiskay Hazrat-e-Mohsin wafaat paaye
Yeh Syeda ney baap ki ummat sey dukh utthaaye
Aalam mein is tarah sey kisi par jafa na ho
Mazlooma Fatima si koi Ya Khuda na ho

Suntey ho momineen toh karta hoon main bayaan


Barbaadiye quboor aaimaa ki daastaan
Qabr-e-Hasan pey baandhi hai aada ney bakriyan
Oonton ko lekay jaatey hain har waqt saarban
Ki sharm kuch Khuda sey na uskay Rasool sey
Allah samjhey jald yeh qaum-e-jahool sey

Ranj-o-alam ki dil pey girey kyun na bijliyan


Masjid Ali ki gosh ki dukaan al-amaan
Qabr-e-Khatija pey toh barasti hai goliyan
Is waastey kay Fatima Zehra ki thi yeh Maa
Ummat ney khoob qadr-e-Risaalat maab ki
Qabrein bhi Ahlebait ki hai hai kharaab ki

308 Marsia Salaam Marsia Nauha


Ji chahta hai kaat kay marjayein khud galaa
Moulood Nabi ka hogaya afsos mazbala
Kis munh sey yeh kahoon kay huvey zulm aur kya
Qabr-e-Batool-e-paak ko kachrey sey bhar diya
Kachrey mein roz aag lagatey hain haif hai
Bint-e-Nabi ki qabr jalaatey hain haif hai

Yaaro bathaao zulm ki kuch inteha bhi hai


Ummat ko aah paas-e-Rasool-e-Khuda bhi hai
Baddkar koi jahan mein is sey jafaa bhi hai
Qabron mein haif aag lagaana rawaa bhi hai
Haq ki qasam na rahem sey Ya Shah kaam lo
Ya Mustafa lahad sey uttho inteqaam lo

Hum dekhein qabr-e-Fatima mitjaaye haif haye


Zehra ki qabr aag sey jaljaye haif haye
Shiyon ko sunkay baat yeh chain aaye haif haye
Momin galaa na kaat kay marjaaye haif haye
Dholey yeh haat jeeney sey inka yeh kaam hai
Saadat ko toh dehar mein rehna haraam hai

*****

Salaam Marsia Nauha Marsia 309


310 Marsia Salaam Marsia Nauha
Nauhas
Dil hai beychaen shaahey huda ka
Ho raha hai safar karbala ka
Qasdh hai waanh sey mulk-e-baqaa ka
Ho raha hai safar karbala ka

Bhaayi Abbas woh mashkoun waaley


Aur paani tumharey hawaaley
Saath maasoom bachchoun ka hoga
Ho raha hai safar karbala ka

Sab sey ro-ro kay kehthay hain Hazrath


Ab yehi hai khuda ki mashiyath
Mujh sey chut-tha hai Naana ka Rauza
Ho raha hai safar karbala ka

Jaakay Soghra ko samjhaao bhaayi


kardoh beemaar-e-gham ki rihaayi
Saath chalnaa hai dushwaar uska
Ho raha hai safar karbala ka

Kahiyoh beti tujhey kya khabar hai


Raastha har qadam pur qatar hai
Saamna ab hai dasht-e-bala ka
Ho raha hai safar karbala ka

Saath hai meri baali Sakina


Behray ismath ka hai yeh nagina
Marqadh zindaan may iska baneigaa
Ho raha hai safar karbala ka

Saath meray mera mehlaqaa hai


Humshabi-e-Rasool-e-Khuda hai

312 Nauha Salaam Marsia Nauha


Su-e-Maqtal chala hai yeh fidya
Ho raha hai safar karbala ka

Aaj hai Bibiyoun ko amaari


Shaan sey jaarahi hai sawaari
Kal kahaan hoga inkaa yeh pardaa
Ho raha hai safar karbala ka

*****
Lutaa hai gulshan-e-Zehra isi Moharram mein
Chuttaa hai Sheh sey Madina isi Moharram mein

Isi mein Sheh pa huvaa saathveen sey paani bandh


Rahaa Furaath pa pehraa isi Moharram mein

Isi mein Aun-o-Mohammad ki laash laaye Shah


Shaheed hogaya dulhaa isi Moharram mein

Isi mein qatl huvaa Naujawaan Ali Akbar


Bahaa hai khoon-e-tamanna isi Moharram mein

Hussain pyaasey ka baazu isi mein tootaa hai


Shaheed hogaya Saqqaa isi Moharram mein

Chiddaa kay teer sey hulqoom Sheh kay haathoun par


Tadap kay rehgayaa bachcha isi Moharram mein

Isi mahiney mein sar katt gaya namazi ka


Lahad sey niklee hai Zehra isi Moharram mein

Isi mahiney mein masnadh jalee payambar ki


Pidar ko royi Sakina isi Moharram mein

Salaam Marsia Nauha Nauha 313


Isi mahiney mein qaidi banay Nabi kay Haram
Chinnee hai chaadar-e-Zehra isi Moharram mein

Jigar kharaash hai Shoukath Hussain ki rudaad


Yateem hogayi Sughra isi Moharram mein

*****

Aayi haatif ki awaaz sheh ko


Uthro Shabbir yeh karbala hai
Bas qadam ab naa aagay baddhaao
Uthro Shabbir yeh karbala hai

Ab safar khatm hai ibne Zehra


Labay darya karo Qaima barpaa
Hashr takh hai yaheen tumko rehnaa
Uthro Shabbir yeh karbala hai

Yaheen nauroz mehmaan rahogay


Khaaney peenay ki ezzaa sahougay
Bhookay pyaasey yaheen qatl hongay
Uthro Shabbir yeh karbala hai

Marthay dum takh na paani milegaa


Pyaasi gardhan pa khanjar chaleigaa
Sar chadheigaa sinaan par tumhaara
Uthro Shabbir yeh karbala hai

Laash chaalees din takh tumhaari


Isi jungle may ooriyaan rahegi
Ronay waala bhi hoga na koyi
Uthro Shabbir yeh karbala hai

314 Nauha Salaam Marsia Nauha


Khaayegi jab Sakina tamaachey
Yaheen Tadpeygaa laasha tumhaara
Shimr deigaa yaheen usko ezza
Uthro Shabbir yeh karbala hai

*****

Bulaakar sab ko Hazrath ney kahaa aye Karbala waalo


Hamein darkaar hai thodi si jaa aye Karbala waalo

Iraada hai isi jungle main apna ghar basaaengay


Na ho taa hashr ab tumsey judaa aye Karbala waalo

Khudaara marney waaloun ki na roko raaha rehnay doh


Mujhey laayi hai yahaan meri qazaa aye Karbala waalo

Raheygi taaba chehlum laash bey ghusl-o-kafan sabki


Meray naamoos hongay bey ridaa aye Karbala waalo

Main chupp jaaoonga gar ek ek mutthi khaak daalogay


Yoonhi banjaayega marqadh mera aye Karbala waalo

Muhibb aayein jo baad-e-margg beykas ki ziyarath ko


Bathaa deina unhein mera pathaa aye Karbala waalo

Hamaari qabr par aana toh doh aansoo bahaa jaana


Miley fursath toh padhna faateha aye Karbala waalo

Mileiga chaen baad-e-margg bhi mujhko na turbath main


Milega hashr takh madhfan mera aye Karbala waalo

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 315


Mujh pay kyun bandh kartey ho paani

Mera Naana Nabi, meri Maa Sayyada


Mera Baba Ali, mera Bhaayi Hasan
Hum hi hain Panjatan
Hum hi hain Panjatan

Meri kya he khataa, Meri kya he khataa


Mujh pay kyun bandh kartey ho paani
Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon
Kya main Zahra ka jaaya nahin hoon x3
Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon

Meray Naana ney kalma sikhaaya


Aur Quraan tumko sunaaya
Kya main Naana ka saaya nahin hoon
Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon
Mujh pay kyun bandh kartey ho paani
Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon

Woh Madina jahaan mera ghar hai


Aur Masjid mein us ghar ka dar hai
Kya main us ghar mein kheilaa nahin hoon
Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon
Mujh pay kyun bandh kartey ho paani
Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon

Chakkiyaan pees kar Maa ney paala


Mujhko Naana ney jhoola jhulaaya
Apna bachpan main bhoolaa nahin hoon
Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon

316 Nauha Salaam Marsia Nauha


Mujh pay kyun bandh kartey ho paani
Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon

Kamli waale kay lab choomta tha


Kithna pyaara mera bachpanaa tha
Kya main unkaa dulaara nahin hoon
Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon
Mujh pay kyun bandh kartey ho paani
Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon

Main jo paani kabhi maangtaa tha


Kyun tadapti thi Maa ab main samjhaa
Paas Asghar kay jaata nahin hoon
Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon
Mujh pay kyun bandh kartey ho paani
Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon

Main jo chaahun baras jaayein baadal


Khoon mein dooba nazar aaye maqtal
Jung karney main aaya nahin hoon
Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon
Mujh pay kyun bandh kartey ho paani
Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon

Ek sadaa thi yeh Rehaan-o-Sarwar


Keh rahey thay Hussain ibne haider
Kya main mehmaan aaya nahin hoon
Kya Nabi ka Nawaasa nahin hoon
Mujh pay kyun bandh kartey ho paani
Kya Muhammad ka pyaara nahin hoon

*****
Salaam Marsia Nauha Nauha 317
Yaad aayi na tumhein Fatima Sughra baba
Karbala Jaakay mujhey bhool gaye kya baba

Harf harf iskaa badi ghaur sey paddnaa baba


Kaanmptay haathoun sey likkhi hoon yeh naama baba

Door uftaada mareezaa ney likhaa hai tasleem


Aap sab ko meri jaanib sey yeh kehnaa baba

Haaye kis kis ki shikaayath karoon Allah Allah


Ek khath bhi kisi ney nahin likkha baba

Kya likkhoon haal ajab haal hai taph sey meraa


Aisey jeenay sey hai behthar mera marnaa baba

Zouf ithnaa hai kay chalti hoon toh gir paddti hoon
Sar mein chakkar hai meray haath mein raasha baba

Dekh kar haal mera rothi hai ghurbath meri


Hichki jab aathi hai chillaati hoon baba baba

Bhaayi Akbar ko bhijaaney ka kiya tha waada


Jald bhijwaao Khuda kay liye baba baba

Bhaayi Qasim ki meray hogayi hogi shaadi


Meri jaanib sey mubaarak unhein kehnaa baba

Pyaar karna meri jaanib sey Ali Asghar ko


Yaad aatha hai woh chotaa mera bhaiyyah baba

Rokay aakhir mein mareeza ney yeh likkha Hilmi


Jald pardes sey aajaao Khudaara baba

*****
318 Nauha Salaam Marsia Nauha
Qaasidh mera qath leijaa ehsaan badaa hoga
Baba mera koofay mein mehmaan huvaa hoga

Qaasidh meray Baba ki pehchaan badi yeh hai


Abbas Alam leikar baazu mein khadaa hoga

Qaasidh meray bhaayi ki shaadi kay yehi din hain


Hum shakl-e-Payambar hai sehra bhi bandhaa hoga

Qaimon mein khabar deina,qaasidh hoon main Soghra ka


Meray gham-e-furqath mein, ek shor machaa hoga

Deinay ko rakhaa kya hai, ley-lijiyo tu jaakar


Akbar ney meraa tohfaa eedi ka rakhaa hoga

*****

Kab laotke aaoge


Sughra ne likha baba kab laotke aaoge
Dushwaar huva jeena kab laotke aaoge

Roothi hai khushi mujhse har lamha naya gham hai


Dhadkan ki sadaaon mein tanhaai ka maatam hai
Bhayya Ali Akbar ki furqat mein yeh aalam hai
Har saans hai ek bhaala kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge

Kya jaaniye aatey hain kyon mujhko yeh andeshe


Manzar nazar aatey hain jaltey huve qaimoun ke
Rah rah ke na jaane kyon girtee hai rida sar se
Kya haal hai phoopiyoun ka kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge

Salaam Marsia Nauha Nauha 319


Rahta hai tasawwur mein chehra Ali Akbar ka
Phirta hai nigaahoun mein jhoola Ali Asghar ka
Allah muhaafiz hai ab mere bhare ghar ka
Ghabraata hai dil mera kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge

Bhaiyya Ali Akbar ka jab byaah racha hoga


Soncha na kisi ne bhi hai door bohot Sughra
Hasrath hai ke dekhoon mai bhai ko bane dulha
Goondhi hoon yahan sehra kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge

Kyon jaane mujhe aksar aata hai qayal aisa


Yoon lagta hai jaise ke be-pardah hai sub kunba
Allah rakhe pardah Zehra ke gharaane ka
Dil kaamptha hai mera kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge

Shashmaaha mera bhai yaad aata hai reh reh kar


Kya ghutniyoun chalta hai ab mera Ali Asghar
Ho pyaar mera baba maasoom ki aankhon par
Daali hoon main gehwaara kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge

Kya yaas hai aye Razvi pahuncha hai qathe Sughra


Rethi pa rakha Sheh ne laasha Ali Asghar ka
Ronay lagey beti ka qath padhke Shahey waala
Qath mein yahi likha tha kab laotke aaoge
Sughra ne likha baba kab laotke aaoge

*****

320 Nauha Salaam Marsia Nauha


Bhaiyya mujhe bhool na jaana
Sab phooloun ke gehne mai sawaari dulhan aaye
Tum jaise ho bus waisi hi pyaari dulhan aaye
Sar pe agar sehra sajaana,
Haath pay kangnaa jo bandhana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

Sar pay agar sehra sajaana


Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

Fatema Sughra ne yeh Akbar ko likha hai


Bhaayi salaamat raho behna ki dua hai
Baad-e-dua dil mai ye armaan basaa hai
Masnad-e shaadi jo bichaana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

Baba ki aaghosh mei mai bhi toh pali hoon


Bhaiyya teri ungli pakad kar mai chali hoon
Kyon mai teri chaaoun se mehroom rahi hoon
Baba ki jab chaoun mein jaana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

Baba se kehna ke meri jald khabar lein


Toot na jaaye kahin baba meri saasein
Kat tha nahin din na guzarti hai yeh raatein
Qath mera baba ko sunaana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

Bhaiyya tere baad jo din eid ka aaya


Eidi ke din eid mai gham maine hai paaya
Mujhko bhare ghar ki judaayi ne rulaaya

Salaam Marsia Nauha Nauha 321


Dukh yeh mera sub ko bataana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

Sunti hoon Karbal ki bohat garm hawa hai


Amma se kehna ke yeh Sughra ne kaha hai
Phool sa Asghar jo mera saath gaya hai
Dhoop se jab usko bachana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

Behnoun ka dil jaane jigar hota hai bhaayi


Aankh teherti hai jidhar hota hai bhaayi
Mere tadapne ka asar hota hai bhaayi
Tum ho jahan mujhko bulaana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)

*****
Haaye sughra bathaa kya likhoon

Maula maqtal mein sar ko jhukaaye


Laash-e-Akbar pey tanhaa khadey hai
Dheemey dheemey tapaktey hai aansoo
Haaye Sughra ka khath parh rahey hain
Boley kya main jawaab iska doon (x2)
Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

Maen toh pardes mein lutt gaya


Apney lashkar ko maen ro chukaa
Tera baba ghareeb hogaya (x2)
Aur iskay siwaa kya likhoon
Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

322 Nauha Salaam Marsia Nauha


Aandhiyaan mera ghar leygayi
Meray lakht-e-jigar leygayi
Mera noor-e-nazar leygayi (x2)
Aur iskay siwaa kya likhoon
Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

Khath tera ab sunaaoon kisey


Kaun meri sadaa par utthey
Shab ko jaagey huvey sogaye (x2)
Aur iskay siwaa kya likhoon
Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

Haaye Sughra woh bhaayi tera


Jisney tujh sey tha waada kiya
Khaa gayi usko Karbobala (x2)
Aur iskay siwaa kya likhoon
Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

Pyaar tunay hai jisko likhaa


Ghuttniyoun bhi jo na chal sakaa
Haan woh Asghar bhi ab na rahaa (x2)
Aur iskay siwaa kya likhoon
Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

Shab ko dulhaa banaaya jisey


Raas aayi na mehendi jisey
Royi sehrey ki lariyaa’n jisey (x2)
Aur iskay siwaa kya likhoon
Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

Salaam Marsia Nauha Nauha 323


Ab Sakina ka Haafiz Khuda
Waqt Zainab pey bhi hai khadda
Mujh ko gheirey huvey hai qazaa (x2)
Aur iskay siwaa kya likhoon
Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

Yeh toh accha huva laadli


Apney ghar mein hi tu rehgayi
Beridaayi sey toh bachgayi (x2)
Aur iskay siwaa kya likhoon
Haaye sughra bathaa kya likhoon (x2)

*****

Soona hae Madina


Ashoor ko aaya yeh khath-e Fatema Sughra
Soona hae Madina
Kab laotke ghar aaoge ya shah-e Madina
Soona hae Madina

Main dar pah khadi rehti hoon ek aas lagaye


bhaiyya nahin aaye
Shikva nahin Akbar se hae taqdeer se shikwa
Soona hae Madina

Do din se mere halq se paani nahin uthra


qurbaan ho Sughra
Dil kehta hae pardes mein tum pyaase ho baba
Soona hae Madina
Pardes mein bhaiyya ho agar byaah tumhara
armaan hae mera
Baandhe huve sehra meri turbat pa bhi aana

324 Nauha Salaam Marsia Nauha


Soona hae Madina

Main raaton ko sothi hoon toh jaag utt thi hoon aksar
kya baat hae aakhir
Bikhraaye huve baal nazar aati hae Zehra
Soona hae Madina

Ek sheeshe mein kuch khaak liye phirti hain daadi


aur karti hain zaari
Mazloom Hussaina mere mazloom Hussaina
Soona hae Madina

Amma ki bhari godh rahe maang na ujde


Khaaliq se dua hae
Ya rab mere besheer ka aabaad ho jhoola
Soona hae Madina

Khath padh ke Hussain ibne Ali khoob sa roye


aur sar ko jhukaye
Qaasid ke qareeb rakh diya ek nanha sa laasha
Soona hae Madina

*****

Fizza ne kaha Aun-o Mohammed gaye maare

Fizza ne kaha Aun-o Mohammed gaye maare


dariya ke kinaare
Maamu pah fida hogaye Zainab ke dulaare
dariya ke kinaare

Salaam Marsia Nauha Nauha 325


Sunkar yeh sada saaniye Zehra yeh pukaari
amma gayi waari
Aatey he mere laadle duniya se sidhaare
dariya ke kinaare
Dekhenge na paani ki taraf aankh utha ke
vaada tha yeh maa se
Shahzaadon ne dum todh diya pyaas ke maare
dariya ke kinaare

Maqtal ke andheron mein thay us ghar ke ujaale


doh phool se pyaare
Yeh chand ke tukde hain ke tootey huve taare
dariya ke kinaare

Qaime mein abhi laane ki jaldi nahin logo


Akbar se yeh kehdo
Bachhon ko mere bhai ka sadqa toh utaare
dariya ke kinaare

Yaad aagaye Muslim ke pisar bekaso muztar


barpa huva mehshar
Qaatil ne joh sar Aun-o Mohammed ke utaare
dariya ke kinaare

Achha hae ke sothay gaye moonh qaak pah rakh ke


saaye mein alam ke
Abbas ke qadmoun mein rahe laal hamare
dariya ke kinaare

Kaata gaya jab qushk gala sibte nabi ka


farzande Ali ka

326 Nauha Salaam Marsia Nauha


Chilla uthi Zainab ke, hae hae mere pyaare
dariya ke kinaare

Ghar lootey hain Zainab pah qayamat ki ghadi hae


qaamosh khadi hae
Suntah nahin koi woh kise jaake pukaare
dariya ke kinaare

*****

Qatl Hogaye Qasim ya Ali duhaayi hai

Hai lahoo bhara chehra kaisi roonumaayi hai


Dekhne ko yeh manzar ab dulhan bhi aayi hai
Ek din ki thi shaadi hashr takh judaayi hai
Karbala ke dulha ki laash ghar may aayi hai

Do jahaan na kyon roye yeh Ali ka potha hai


Bekasi pey qasim ki dil shikista hotha hai
Yeh zameen rothi hai aasmaan bhi rotha hai
Ab kisi ko saktaa hai koyi jaan khotha hai

Kis liye tadapthey hain kis ko jaayein samjhaane


Kya guzarti hai hum par woh toh bas khuda jaane
Qalb bhi hamarey hain shah ke aza khaane
Hai aza-e-qasim mein ansoovon ke nazraane

Aaj karbala waale phir hamarey mehmaan hain


Phool ho ke mehendi ho sab aza ke saamaan hain
Ehtemaam shaadi ke ek bahen ke armaan hain
Gham zadoun ke nazraane ansoovon ke toofan hain

Salaam Marsia Nauha Nauha 327


Bayn thay yeh Kubra ke Ab toh ghutt raha hai dum
Bolthay nahin kuch bhi aaj meray ibne amm
Kis tarhaa sey dikhlaaye apney dil ka yeh aalam
Boliye phupi amma chup rahe ke roye hum

Misl Fatema Kubra kaunsi dulhan hogi


Sar toh bey rawa hoga haath mai rasan hogi
Laash jiske waaris ki run mai bey kafan hogi
Aye rafi is gham mai qoum seena zann hogi

*****

Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Kyon gulon ki khushbu se sara run mehakta hae


Pairahan moattar hae kya yeh koi dulha hae
Chaand sa haseen chehra dhoop mein chamakta hae
Aur lahu ki dhaaron ka uske ruq pah sehra hae
Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Jab lagaayi thi mehndi usko pyari behna ne


Ma libaase nau lekar aayi usko pehnaane
Sab baraatiyon ke thay aansuon ke nazraane
Subah ki thi yeh baatein shaam ki Khuda jaane
Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Tashnagi ke sehra mein aag si barasti hae


Boond boond paani ko zindagi tarasti hae
Tashnakaam dulha hae aur dulhan bhi pyaasi hae
Haaye kaisi shaadi hae har taraf udaasi hae
Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

328 Nauha Salaam Marsia Nauha


Subha se kayi laashe leke aaye maidaan se
Par yeh laash laane ki shaan hi niraali hae
Ek abaa ke goshe mein jiski laash aajaye
Uske jisme athar par guzri kya Khuda jaane
Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Run mein laash dulha ki qaak o qoon mein ghaltaan hae


Waan dulhan ke qaime mein hashr jaisa saamaan hae
Sar pah qaak daali hae maang uski veeraan hae
Bain uske sun sunkar ma ka dil pareshan hae
Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Hogayi dulhan bewa sheh ka dil tadapta hae


Har nafas wohi manzar chashme nam mein rehta hae
Ghash mein umme Farwa hae aur dulhan ko sakta hae
Ab Raza qayamat hae aasmaan larazta hae
Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

*****

Abbas, Abbas, Abbas

Allahuma adkhil alaa ahlil quboor-is-suroor


Allahuma aghni kulle faqeer
Allahuma ashbi kulla jaa’i
Allahuma ashfi kulle mareez
Behaqqe Hazrat-e-Abbas
Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Salaam Marsia Nauha Nauha 329


Beta hai tu Ali ka,Zehra ki tu dua hai
Shabbir tera Aaqa,Ummul Baneen Maa hai
Har Surato chalan mai Haider sey na judaa hai
Ta hashr tuj sey qaayam duniya mai bas wafa hai
Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Tere Alam ko thaamey,Har shaqs keh raha hai


Mazloom-e-Karbala ka,Zainab ka waasta hai
Pardesi koyi aisa,pardes may na ujdey
Sadqey mai uske jiska,Ghar baar lutgaya hai
Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Us waqt jabke Zainab,darbaar mai gayi thi


Qaari Namaazioun sey,mehfil saji huvi thi
Zaalim yeh poochta tha,ghaazi tera kahaan hai
Baaloun sey muh chupaaye,Zainab yeh keh rahi thi
Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Taqdeer ke sataaye,tere dar pey sar jhukaye


Ashkoun ki iltija hum,ghaazi tujhe sunaaye
Beemar saaribaan ke,zakhmoun ka waasta hai
Jitne bhi khasta dil hai,maula shifa woh paaye
Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Dil ki muraad Ghaazi ,tere Alam se paaye


Rothi huvi jo maaen,tere Alam pe aaye
Zahra ke dard-e-pehlu ka,deithi hai waasta
Fizza ki kaneezi mai,mera bhi naam aaye
Abbas, Abbas, Abbas (x2)

330 Nauha Salaam Marsia Nauha


Shaame Gharibaan mei jis,ka kurta jalgaya hai
Kaanou sey baaliyaan bhi,haaye Shimr legaya hai
Is bebasi sey Maula,bacchi koyi na tarsey
Farsh-e-Aza pe rokar,har dil yeh keh raha hai
Abbas, Abbas, Abbas (x2)

Jitne bhi ashk maula, qirtaas par gire hain


Maasuma ki qasam hai, ghazi faqat tere hain
Woh kuch raqam karoon mai, jo na raqam huva hain
Alfaaz woh ataa kar,Yawar se jo pare hain
Abbas, Abbas, Abbas (x2)

*****

Abbas mera margaya Zainab

Zainab Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab
Shabbir dethay thay sada Zainab. Zainab
Barpaa karo behna aza
Bhaayi huva hum sey judaa
Hum ho gaye bey aasra
Kohe museebath gir padaa Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab

Bazoo huvey uske qalam


Kaisa huva hai yeh sitham
Tanha huve ghurbath mai hum
Maatam karo zere alam Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab

Salaam Marsia Nauha Nauha 331


Aatha alam ko dekhkar
Poocha cha-cha ko tha magar
Dar pey hai unki muntazar
Usko na ho iski khabar Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab

Maarey gaye uske cha-cha


Maaloom agar usko hua
Baali sakina bey bahaa
Peetaygi sar karke bukaa Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab

Akbar sey aye behna kaho


Jaakar chachi ko pursa doh
Pooche humein ghamqaar jo
Kehdena hai maatam mai woh Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab

Tanha humein ab jaankar


Kya kuch kareingay ahle shar
Barbaad hoga ghar ka ghar
Kat jayega ab mera sar Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab

Karlo anees is dum bukaa


Na jaaney aaye kab qazaa
Ya waqt aisa aa gaya
Maatam pa ho zoro jafa Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab

*****

332 Nauha Salaam Marsia Nauha


Kartey thay roro ke yeh hazrat bayaan
todh gaye meri kamar bhaijaan
Rotih hae khaime mein Sakina wahan
sothay hain Abbas zameen par yahan

Margaya Akbar pidar Shere jawan mar gaya


Thaamlo meri kamar Shere jawan mar gaya
Sadqe karo laash par Shere jawan mar gaya
Lut gaya bekas ka ghar Shere jawan mar gaya

Quwwate baazu mera kya hogaya


zeenate pehlu mera kya hogaya
Ashiqe diljo mera kya hogaya
kya huva afsoas mera qadr daan

Hamko sabhaalega kaun Shere jawan mar gaya


Laash utaega kaun Shere jawan mar gaya
Bhai pukarega kaun Shere jawan mar gaya
Qabr banaega kaun Shere jawan mar gaya

Kya hua saqqae Sakina ko aah


kisne kiya mera bhara ghar tabaah
Kya hui Abbase biradar ki chah
ab gayi woh pyaar ki baatein kahan

Kaun qabar ley meri Shere jawan mar gaya


Hai meri bekasi Shere jawan mar gaya
Shere jawan mar gaya Shere jawan mar gaya
Talq hui zindagi Shere jawan mar gaya
Chalti hae dil par churi Shere jawan mar gaya

Salaam Marsia Nauha Nauha 333


Todho na ghurbat mein meri aas utho
dekho Hussain aaya hae Abbas utho
Rotah hae mazloom basad yaas utho
utho bus ab ghar mein chalo bhaijaan

Dhoom hae qaime mein waan Shere jawan mar gaya


Karti hae Zainab fughaan Shere jawan mar gaya
Seene mein hae dil thapaan Shere jawan mar gaya
Kis se karoon mein bayaan Shere jawan mar gaya

Haath se khoya dile ghamqaar ko


paaoun kahan apne alamdar ko
Der hui qanjare qoonqar ko
jaldi gale par ho mere ab rawaan

Ab koi chaara nahin Shere jawan mar gaya


Zeest gawaara nahin Shere jawan mar gaya
Zabt ka yaara nahin Shere jawan mar gaya
Koyi hamara nahin Shere jawan mar gaya

Mahe nabi Hashime wala nahin


us mere mehroo ka ujala nahin
Hae mera chahne wala nahin
nazroun mein taareek hae saara jahan

Aankhon ka taara mera Shere jawan mar gaya


Ghar ka ujaala mera Shere jawan mar gaya
Ashiqo shaida mera Shere jawan mar gaya
Chaand ka tukda mera Shere jawan mar gaya

334 Nauha Salaam Marsia Nauha


Roohe Ali jaane nabi alvida
ashiqo shaidae aqi alvida
Laashae Abbase Ali alvida
aatey hain ab hum bhi chalo bhaijaan

Jaan hae mujh mein kahan Shere jawan mar gaya


Ranj se hoon neem jaan Shere jawan mar gaya
Lut gaya sab carawan Shere jawan mar gaya
Jald ho qanjar ravaan Shere jawan mar gaya

Shor hae faryaad ka Shaukat khamosh


khotey hain sub Sheh ke azadaar hosh
Kar yeh dua haq se ke ae parda poush
karna gunah hashr mein mere ayaan

*****

Aa dekh meray Ghaazi ooncha hai alam tera


Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera
Aa dekh meray Ghaazi ooncha hai alam tera

Zainab ki dua bankar ek waqt woh aayega


Har ghar pey saja hoga Abbas alam tera
Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera
Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

Aa jaati hai Zehra bhi Zainab bhi ziarat ko


Jab aatt Moharrum ko utt-tha hai alam tera
Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera
Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

Salaam Marsia Nauha Nauha 335


Taabooth jab utt-tha hai Shabbir ka aye ghazi
Tabooth ke aagay bhi chaltaa hai Alam tera
Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera
Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

Woh kaun say sadhmay thay Sheh toot gaye jis-say


Ek dard tha Zainab ka aur doosra gham tera
Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera
Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

Parcham ka phareira tha ya aas thi Zainab ki


Zainab kay kaleijey say gham kaise ho kam tera
Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera
Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

Bazaar may zindaan may darbaar may har lamha


Zainab ki toh saansoun pay tha naam raqam tera
Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera
Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

Jab beh gaya sab paani tabh saans teri tooti


Thaa seenay kay andarya mashkeezay may dam tera
Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera
Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

Aawaz teri Sarwar Shabbir say waabasta


Abbas say waabasta rehaan qalam tera
Dil seenay may jab takh hai bhoolega na gham tera
Aa dekh meray ghaazi ooncha hai alam tera (x2)

*****

336 Nauha Salaam Marsia Nauha


Abbas tujhe ahle wafa yaad karenge

Aashur ki woh raat, woh sannatay ka aalam


Fitrath ki khamoushi mai farishtoun ka woh matam
Soya huva run mein Asadullah ka zaigham
Aur khoon mai dooba huva Islam ka parcham

Dekhi na gayi bachchoun ki jab tashnadahani


Aankhoun mai khataknay lagi maujoun ki rawaani
Paani kay liyeh apna lahoo kar diya paani
Bachpan pay Sakina kay fida kardi jawaani

Qabzey mai thee talwar ke khabzey mai khudayi


Doh haath chalee thee kay taraayi nazar aayi
Bhaayi ki vigha dur say dekha kiye bhaayi
Yun shaan-e-wafa tunay wafadaar dikhayi

Duniya say gaya shaan wafaoun ki dikhakar


Paani na piya phenk diya muh say lagaakar
Ghodey say gira khaak pay baazu ko kataakar
Soya bhi tho soyi huvi millath ko jagaakar

Aye Fatima Zehra kay Qamar nayaar-e-taabaan


Baazu-e-Hussain Ibne Ali nasir-e-imaan
khaaliq ki qasam kar gaya Islam pa ehsaan
Aye mashk-e-Sakina kay mohaafiz teray qurbaan

Kazim koyi karta hai tho karney doh bahaana


Goonjayga fizaaoun may wafaaoun ka taraana
Har rang may dhal jaayega yeh gham ka fasana
Fitrat toh na badhlegi badal jaye Zamana
*****
Salaam Marsia Nauha Nauha 337
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas

Kya isi din ke liye maangi thi Baba ney dua


Aake pardes may hojaoge tum hum se juda
Sothay ho chaen se dariya ke kanaarey Bhaiyya
Kya sunaayi nahin dethi tumhey halmin ki sadaa (Abbas)
Tanha hain khadey run may Sarwar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Gir ke ghodey sey sadaa baap ko Akbar ney jo di


Dilbar-e-Fatema Zehra ki ajab haalat thi
Haath malthe thay kabhi ghaat ko takhtey thay kabhi
Thaamkar tooti kamar kehthe thay farzande Nabi (Abbas)
Laoon kaise laasha-e-Akbar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Haal Shabbir ka ab toh nahin dekha jaata


Hai Kamar qam nahin aankhoun sey sijhaayi detha
Yeh zaeefi yeh jawan laal ka sadhmaa bhaiyya
Thaamlo baddke zara haath tumhi bhaayi ka (Abbas)
Khaathey hain tokhar par tokhar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Kya isi din ke liye saath behan thi aayi


Aagayi neend jo dariya ki taraayi paayi
Phir palatkar hamey surath bhi nahin dikhlaayi
Aagava run sey Alam tum nahin aaye bhaayi (Abbas)
Phat tha hai mera sadhmey se jigar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Aye meray shair-e-jawan Aye meray bhaayi ho kahaan


Shaaq hai dil pa tumhaari yeh judayee ho kahaan

338 Nauha Salaam Marsia Nauha


Deir sey dethi hoon bhaiyya main duhaayi hoon kahaan
Lut thi hai Fatema Zehra ki kamaayi ho kahaan (Abbas)
Khanjar hai halq-e-Sarwar par (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Hai qayaamat ka samaa loot hai khaimoun may machi


Koyi pursa nahin haalath hai ajab bachchoun ki
Taaziyane koyi khaata hai tamaache koyi
Aag daaman may hai masoom Sakina ke lagi (Abbas)
Bhaiyya utto lo jald khabar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Azmath-o- izzat sadaat bhulaadi bhaayi


Aag khaimoun may layeenou ney lagaadi bhaayi
Masnadh-e-Ahmad mursal bhi jalaadi bhaayi
Touq-o-zanjeer bhi Abid ko pinhaadi bhaayi (Abbas)
Ghash may hai pada mera dilbar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Bhaayi ko bhool gaye dhyaan na behnon ka raha


Yaad aaya na koyi paayi jo dariya ki havaa
Haaye kis dil se kiya tum ne gavaara bhaiyya
Har tamaache pa Sakina ne tumhe yaad kiya (Abbas)
Jab chhine gaye kaanon se gauhar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)

Chhod kar dasht-e-museebath may behan ko bhaayi


Tum ney achcha hi kiya dur basaayi basti
Dekh sakthe thay kahaan tum jo thi haalath meri
Balva-e-aam may bhaiyaa main khule sar hoon khadi (Abbas)
Aada leigaye sar sey chaadar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 339


Aye Jaan-e-dil-e-Hyder-e-Karrar Alamdaar
Aye quwath-e-Sibtey Shahey Abraar Alamdaar

Taa hashr teri yaad zamaaney main rahegi


Aye Sarwar-e-aalam kay Wafadaar Alamdaar

Marney sey teray lashkar-e-Sheh hogayaa barbaad


Aye fouj-e-Hussaini kay Alamdaar Alamdaar

Laashey pay teray Sarwar-e-aalam ka bayaan hai


Aye meray museebath kay madadgaar Alamdaar

Dikhlaadoh phir ek baar mujhey chaand si soorath


Martaa hai tera taaleb-e-deedaar Alamdaar

Darya sey uttho Bhaayi ki imdaad ko aao


Tanhaa hai yeh ab beykas-o-naachaar Alamdaar

Rothi hai bhatijee usay doh aakay dilaasa


Saqqaa-e-Sakina meray Jarraar Alamdaar

Jab takh saff-e-maatam meri duniya main bicheygi


Royengay tujhey meray azadaar Alamdaar

*****

Aye Wafa kay Paighambar naffsey Faatehey Khaiber


Aye Hussain kay bhaayi
Dekhiyeh zaraa uttkar aaha khaimaa-e-athar
Lootney ko fouj aayi

340 Nauha Salaam Marsia Nauha


Hovay aaya-e-Tatheer jinkay chehroun ki tanveer
Unsey biggdeh yoon taqdeer
Farq-e-paak sey chaadar cheen ley layeen baddkar
Khalq ho tamaashaayi

Aapkay kattey shaaney koun iska gham jaaney


Kaun hai jo pehchaaney
Shaahey deen ki duqthar aur is qadar muztar
Kaisee uspaa ban aayi

Khoon hai kaanoun sey jaari kaisey jaaye beychaari


Shaam ki hai taiyaari
Seiliyaan paddheen ruqh par dar ba dar barhainaa sar
Hai tumhaari shaidaayi

Waastha Payambar ka waastha Bahaathar ka


Ya Khuda woh din dikhlaaye
Dekhein Rauza-e-Anwar aur adaa karey Qaisar
Khidmath-e-Jabeen saayi

*****

Dasht-e-ghurbath mein Sakina Main akeila hogaya


Laash-e-Abbas-e-Ali sey utt kay aaye hain Hussain
Ho chuki duniya andheri kho chukaa hai dil ka chaen
Thaam kar tooti kamar beti sey karthay hain yeh bayn
Nehr par shaaney kattaa kay sogaya tera chacha

Khoon behjaaney ka koyi gham na tha Abbas ko


Apni nazron mein basaaye tha woh teri pyaas ko
Chott pahounchi haaye meray bhaayi kay ehsaas ko
Beh gaya paani chidda jis waqt mashkeeza tera

Salaam Marsia Nauha Nauha 341


Mainey dekha hai dar-e-khaimey sey uska haal e zaar
Jab hua bey dast mera bhaayi mera ghamgusaar
Har taraf sey har koyi mazloom par karta tha waar
Kis qadar zakhmi hua hai kya kahun Saqqaa tera

Haal meray bhaayi ka beti karun Main kya bayaan


Jab Main pahuncha woh hayaat o maut kay tha darmiyaan
Sar sey paa takh gurz kay taighon kay bhalon kay nashaan
Aankh mein ek teer tha ek aankh mein tha khoon rawaan

Kehta tha laasha mera lillaaha khaimon mein na jaaye


Mujhko ab saidaaniyon ka saamna honay na paaye
Yeh guzaarish hai Sakina meray laashe par na aaye
Martey martey uska saqqaa us sey sharmindaa raha

Har aziyath seh gaye sab bawafa saathi meray


Par jo ghoday sey giraa uskay salaamath haath thay
Yeh museebath haan magar hissey mein thi Abbas kay
Kya bathaoon kaisey ghoday sey zameen par woh giraa

Karbala mein is taraah aashoor ko majlis huvee


Zikr tha Abbas ka zaakir Hussain Ibne Ali
Bey bason ki aah-o-zaari sey zameen hilney lagi
Kehtey thay Ehsan yehi ro ro kay Shaahey Karbala

*****

342 Nauha Salaam Marsia Nauha


Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

Maqtal mein pahoonchay jab Shaahey walaa


Laashey jawaan aur khaimon ko dekha
Darya ko dekha phir yeh pukaara
Ab yeh salaam-e-aakhir hai mera
Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai
Tanha musaafir ko laakhon ney gheiraa hai

Tumney na dekhi ghurbath humaari


Zainab thi laayi meri sawaari
Ruqsath ka meri manzar ajab thaa
Seenay sey lag jaoo bhaayi akeilaa hai.
Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

Jab sey ho bichddey Abbas hum sey


Ahley haram hain liptay Alam sey
Kaisey jiyegi baali Sakina
Kya hoga bathlaoo bhaayi akeilaa hai.
Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

Lashkar kahaan ka jab tum nahin ho


Aada toh khush hain ab tum nahin ho
Kitna akeilaa kitna hoon tanhaa
Seenay mein hai ghaao bhaayi akeilaa hai.
Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

Din bhar utthaye kitnay janaazey


Ab kaun hai jo deiga dilaasey
Hothay agar tum dethay dilaasa
Aao chaley aao bhaayi akeilaa hai.
Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai
Salaam Marsia Nauha Nauha 343
Mujhpar barastey yeh sang dekho
Bekas ki tanhaa ki jung dekho
Dekho na tootey Naana sey waada
Himmat badaa jaoo bhaayi akeilaa hai.
Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

Jab shimr khanjar ko pheirtaa tha


Qaatil ney Shah sey khud yeh suna tha
Pyaasa galaa us dum yeh pukaara
Soorath dikha jaoo bhaayi akeilaa hai.
Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

Sar Sheh ka aaya nokay sinaa par


Aayi sadaa yeh Rehan-o-Sarwar
Bey sar padaa hai bhaayi ka laasha
Ab toh chalay aao bhaayi akeilaa hai.
Abbas aa jaao bhaayi akeilaa hai

*****

Ley jaayiyeh khaimey mein yeh mashk-o-alam Maula


Daryaa pa huvey meray shaaney bhi qalam Maula

Hai waqt mera aakher jald aaiyeh Ya Sarwar


Taa dekhloon aankhon sey Hazrat kay qadam Maula

Ab waqt nahin aaqa deedaar dikhaa dijiyeh


Mushtaaq-e-Ziarath ka hai aankhon mein dam Maula

Dikhlaayi nahin deitha ab aankhon sey khaadim ko


Hai aankh mein paiwasthaa ek teer-e-sitham Maula

344 Nauha Salaam Marsia Nauha


Mehjoob Sakina sey qismath ney kiya mujhko
Pyaasi rahi Shehzadi aur margaye hum Maula

Reythi pa giraa hoon maen narghey mein ghiraa hon maen


Ruk-ruk kay nikalthaa hai ab seenay sey dum Maula

Kehta tha yehi rokar Saqqa-e-Haram Baqar


Hai mashk-e-Sakina ka Abbas ko gham Maula

*****

Abbas se kehti thi yeh fouje sitam aara

Abbas se kehti thi yeh fouje sitam aara


dariya hae hamara
Behtar hae agar aap karen is se kinara
dariya hae hamara
Aane ki yahan Shaam ke hakim ki qabar hae
sub zer-o zabar hae
Kal subha se ghir jayega maidaan yeh saara
dariya hae hamara
Yeh sunte hi Abbas ke abru pah bal aaya
badhkar yeh sunaya
Hargiz nahin tum logoun ka kuch is mein ijaara
dariya hae hamara
Pyaase rahe maidaan mein waan sibte payambar
sairaab ho lashkar
Ek dum mai ulat doonga saffoun ko sitamara
dariya hae hamara
Lashkar ko hata kar yeh sada sher ki aayi
kiski hae taraayi
Bathlaao ke qabze mein hae ab kiske kinara

Salaam Marsia Nauha Nauha 345


dariya hae hamara
Zainab ne kaha Shah se ghabrati hoon bhaayi
hovay na ladaayi
Le aaiyeh Abbas ko yeh kehke qudaara
dariya hae hamara
Jaakar kaha Shabbir ne Abbase dilawar
kyon hothay ho muztar
Mere liye har cheez ko Qaliq ne utaara
dariya hae hamara
Bay deenoun ki in baatoun ko qaatir mein na laao
ghusse mein na aao
Hum woh hain diya Nooh ki kashti ko sahara
dariya hae hamara
Dasween ko Muharram ki qayamat hui Bismil
ro detey thay qaatil
Saahil pah katey haath joh karte thay ishaara
dariya hae hamara

*****

Jab ridaa sar sey chinee, Maen sadaa dethi rahi,


Tu na aaya Ghaazi
Aaley Imran kahaan, Aur zindaan kahan,
Yeh bahen qaid huvi, Tu na aayaa ghaazi

Jab ridaa sar sey chinee, Maen sadaa dethi rahi,


Tu na aayaa Ghaazi

Humko paani na miley, Teri khushboo toh rahey


Teray baazu na katey, Chaahey mashkeeza cheeday
Yeh magar ho na sakaa, Teray baazu hain judaa
Mujh pey hai tashna labi, Tu na aayaa Ghaazi

346 Nauha Salaam Marsia Nauha


Dhoop mein tu tha shajar, Tujhsey aabaad tha ghar
Hai barehna mera sar, Kya nahin tujh ko khabar
Aye Alamdar-e-Wafaa, Is behan ko ba-Khuda
Tujh sey dhaaras thi badi, Tu na aayaa Ghaazi

Aagayi shaam-e-alam, Luttgaye Ahley Haram


Raith par jalti huvi, Hogaya thanda Alam
Pursa deinay kay liye, Mujhsey milnay kay liye
Aagaye Baba Ali, Tu na aayaa Ghaazi

Kya kahoon Sher meray, Beyrida humko liye


Yeh musalmaan saarey, Shahr dar shahr gaye
Khilqat-e-Kufa kabhi, Khilqat-e-Shaam kabhi
Aur haan hum pey hasee, Tu na aayaa Ghaazi

Kitni beybas thi bahen, Aey ShahenshaheyWafaa


Naam ley ley kay mera, Jab yeh zaalim ney kaha
Naaz tha jis pey tujhey, Ab bulaao na usay
Aur maen rothi rahi, Tu na aayaa Ghaazi

Qaid khaaney mein qazaa, Jab Sakina ko milee


Dey kay kurtay ka kafan, Bachchi dafnaayi gayi
Us ghadi naam tera, Surat-e-Naad e Ali
Bus maen dohraati rahi, Tu na aayaa Ghaazi

Roya Rehan qalam, Kar kay yeh baat raqam


Khoon mein doob gaya, Meray Ghaazi ka Alam
Zakhmi Zainab ka jigar, Khoon fishaan Shaah ka sar
Aaye khaimon mein shaqi, Tu na aayaa Ghaazi

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 347


Mera sehriyaan waala Akbar

Zakhm dil kay dikhaaoon maen kaisay (x2)


Tera laasha utthaoon maen kaisay
Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Lashay Akbar pey Shaah jab pahoonchay


Dil ko haathon sey thaam kar bolay
Teri furqath ney aye Ali Akbar
Aag dil mein meray lagadee hae
Aag dil ki bhujaoon maen kaisay (x2)
Tera laasha utthaoon maen kaisay
Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Tu hai kadyal jawaan aye beta


Baap tera zaeef hae kithna
Noor aankhon ka hogaya rukhsat
Mujhko aata naheen nazar khaimaa
Lekay khaimon mein jaaoon maen kaisay (x2)
Tera laasha utthaoon maen kaisay
Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Jisney atthaara saal paala tha


Kaise dekheygi woh tera laashaa
Teri shaadi ka tha jisey armaan
Kaisay jheileygi woh tera sadmaa
Teri maa ko bathaoon maen kaisay (x2)
Tera laasha utthaoon maen kaisay
Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

348 Nauha Salaam Marsia Nauha


Dekh aaya hai qaasid-e-Sughra
Raah takh tee hai woh dukhi behna
Tujko beemar ney bulaaya hae
Waada Sughra ka kyun bhulaa daala
Gham yeh dil se lagaaoon maen kaisay (x2)
Tera laasha utthaoon maen kaisay
Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Bhaayi behnon ka hae ajab rishtaa


Jiska saani kahin nahin milthaa
Rokay Sughra ney yeh likha Akbar
Ek dukhiyaa ki laaj rakhlena
Margaya tu bathaaoon maen kaisay (x2)
Tera laasha utthaoon maen kaisay
Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Lutf jeenay maen ab kahan Akbar


Dil sey utt thi hai yeh fughaan Akbar
Subhey aashoor di thee jo tu nay
Khoon rulaayegi woh Azaan Akbar
Teri soorath bhulaoon maen kaisay (x2)
Tera laasha utthaoon maen kaisay
Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Zabt gham ka mohaal aye beta


Dekhoon kaisay yeh zakhm seenay ka
Maen toh pardes mein akeilaa hoon
Dekh kar zakhm kya karoon bathlaa
Is pey marham lagaoon maen kaisay (x2)
Tera laasha utthaoon maen kaisay
Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Salaam Marsia Nauha Nauha 349


Aisee ghurbath mein moonh nahin moddo
Maen hoon tanhaa mujhey na yoon choddo
Kya guzarti hai baap kay dil par
Ghamzadaa dil ko yoon nahin thoddo
Apni ghurbath bathaaoon maen kaisey (x2)
Tera laasha utthaoon maen kaisay
Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

Shadman yeh dua hae Khaaliq sey


Waqt aisaa kisee pey naa aaye
Jaisa mazhar ney likh diya manzar
Shaha kehtey haen bas yehi rokay
Zahkm dil ke dikhaoon maen kaisay (x2
Tera laasha utthaoon maen kaisay
Akbar mera sehriyaan waala Akbar (x2)

*****

Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho


Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho

Is aalam-e-ghurbath mein tumhey jaaney doon kaisey


Is dasht-e-museebath mein tumhey jaaney doon kaisey
Is waqt-e-qayamath mein tumhey jaaney doon kaisey
Aey laal jo tum izn-e-wighaa maang rahey ho
Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho
Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Kya guzregi iss baap kay dil par nahin sonchaa


Tumney yeh meri jaan Ali Akbar nahin sonchaa
Mar jaoonga maen tujhsey bichhad kar nahi sonchaa
Tum mujhsey zaeefi ka asaa maang rahey ho

350 Nauha Salaam Marsia Nauha


Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho
Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Dil rotha hai nazron sey agar door ho beta


Kis tarhaa judaayi teri manzoor ho beta
Tum hi meri aankhein ho mera noor ho beta
Mujhsey meri ankhon ki ziyaa maang rahey ho
Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho
Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Duniya sey gayaa jis ghadi mehboob Khuda ka


Naana ki ziyaarat ko tadaptaa tha nawaasa
Aey laal tujhey is liye Khaaliq sey tha maangaa
Maqbool huvi meri dua maang rahey ho
Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho
Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Islam pey khud apna lahoo run mein bahaao


Seenay pey sinaa shaan sey maidaan mein khaao
Tasweer Payambar ki tahey khaak milaao
Kya is liye marney ki rizaa maang rahey ho
Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho
Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Ek roz tujhey aan kay mangaa tha phuphi ney


Atthaara baras naazon sey paala tha phuphi ney
Beton sey bhi zyada tumhey chaaha tha phuphi ney
Ehsaan jo Zainab ney kiya maang rahey ho
Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho
Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Salaam Marsia Nauha Nauha 351


Rakhtey nahin tum iski khabar aey meray pyaarey
Kis darja mohabbath hai teri dil mein humaarey
Naana ki meray shakl hai paikar mein tumhaarey
Tum soorat-e-mehboob-e-Khuda maang rahey ho
Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho
Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Sar tera bhi jiss waqt chaddhega sarey naiza


Hoga sarey maidaan judaa sar bhi tumhara
Hum shakl-e-Payambar ka gala kaateingey aadaa
Goya meray naana ka galaa maang rahey ho
Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho
Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Baba mujhey maloom hai kya maang raha hoon


Ek baap sey marney ki riza maang raha hoon

Baba mujhey Amma ney bhi kuch dars diya hai


Aadaab-e-wafa sey mujhey aagah kiya hai
Pehlay mein maroon aap sey wada yeh liya hai
Buss is liye marney ki riza maang raha hoon
Ek baap sey marney ki riza maang raha hoon
Baba mujhey maloom hai kya maang raha hoon

Hain aap toh baba biney Khaatoon-e-Qayamat


Aur maa hai meri apna si ek paikarey ismat
Kya siney mein us kay nahin kuch jazbaa-e-ismat
Mein maadar-e-muztar ka kahaa maang raha hoon
Ek baap sey marney ki riza maang raha hoon
Baba mujhey maloom hai kya maang raha hoon

352 Nauha Salaam Marsia Nauha


Baba mujhey ehwaaley dil-e-zaar pataah hai
Hai sakht bohath manzil-e-dushwaar pataah hai
Aur deen ka mushkil mein hai sardaar pataah hai
Yoon aap sey marney ki riza maang raha hoon
Ek baap sey marney ki riza maang raha hoon
Baba mujhey maloom hai kya maang raha hoon

Maen Shayer-e-Has aat jigar soz hoon Khursheed


Mehvey gham-e-Shabbir shab-o-roz hoon Khursheed
Aalaam-e-masaeb sey zamee'n doz hoon Khursheed
Kashkol mein kuch ashk-e-aza maang raha hoon
Ek baap sey marney ki riza maang raha hoon
Baba mujhey maloom hai kya maang raha hoon

*****

Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Pohnche jo Hussain Ibne Ali Laashey Pisar par


Wo haal nazar aaya chhuri chal gayi dil par
Ye keh kay zameen par girey betay kay baraabar
Aaya hai pidar housh mein aao Ali Akbar
Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Zaalim koyi bekas ko bathaata na tha rasthaa


Chhaaya tha nigaahon mein andhera hi andhera
Aaya hai pidar paas teray tthokarein khaataa
Aankhon ko hua kya meri poochho Ali Akbar
Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Salaam Marsia Nauha Nauha 353


Tum chup ho to chaltay hain meray qalb pa khanjar
Kuch haal ladaayi ka sunaao meray dilbar
Bathlaao kay kis tarha lagaa zakhm jigar par
Kuch baat karo aankh toh kholo Ali Akbar
Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Faryaad labo’n par hai aur ashko’n ki rawaani


Ghurbat bhi zaeefee bhi hai aur tashna dahaani
Hanstey hain mere haal pa dushman meray jaani
Tanha mujhey is tarha na chhoddo Ali Akbar
Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Kyun paaoon ragadtey ho kahaan zakhm lagaa hai


Bathlaao meri jaan mera dil bhaitt rahaa hai
Kyun haath hai seenay pa kahaan zakhm lagaa hai
Phat jaayega dil baap ka bolo Ali Akbar
Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Nauha hai labo’n par hai lahoo aankhon sey jaari


Hum kabsey khadey rothay hain baaleen pa tumhaari
Khaaya na taras tum ney ghareebi pa hamaari
Dil baap ka is tarha na todo Ali Akbar
Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Aye laal tasawwur mein tha Maa kay tera sehra


Hae deyr sey darwaaza-e-khaima pa woh dukhiya
Kya jaakay bataaun maen hua haal tumhaara
Laila sey kahoon kya yeh bathaao Ali Akbar
Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

354 Nauha Salaam Marsia Nauha


Ab deyr jo ki tum ney toh karti hui zaari
Bey pardaa bahen aayegi maqtal mein hamaari
Maadar kahin mar jaaye na sadhmey sey tumhaari
Baba bhi nahin jeenay ke sunlo Ali Akbar
Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

Kis tarha sey dekhe yeh pidar haal tumhaara


Qaabu mein nahin qalb ulat’tha hai kaleijaa
Pehlu mein hai dil baap ka pathar nahin beta
Aagey meray is tarhaa na tadpo Ali Akbar
Ab ghar ko chalo khaakh sey uttho Ali Akbar

*****

Zainab Ali Akbar kay jeeney ki dua maango


Bach jaaye mera bachcha bas uski dua mango

Zainab yeh pisar meri aankhon ki basaarath hai


Reh jaaye nazar meri ab iski dua maango

Sughra kaha karti thi aksar aye watan waalo


Bhaiyya mera lautt aaye sab milkar dua mango

Shishmaahey kay jhooley ko choomtey thay phir Akbar


Bhaiyya kaamiyaab rahey Asghar yeh dua mango

Daaman nahin choddti thi Sakina Ali Akbar ka


Behnaa teri marjaaye bhaiyyah yeh dua mango

Sughra sey kiya waada aaoongaa tumhey leinay


Waadey ko nibhaana hai bus iski dua mango

Salaam Marsia Nauha Nauha 355


Sheh ney kaha aye beta kaisey maen ijaazath doon
Pehlay jaakay Zainab sey laddney ki reza mango

Abbas kay marney ney meri tho kamar todi


Hum Shakl-e-Payambar hai logo yeh dua mango

Koniyoun kay bal chalkar pahunchey laashey Akbar par


Laila kaheen dekh na ley Fizza yeh dua maango

Rakhtey thay utthaatey thay maiyyat Ali Akbar ki


Khaimey takh pahunch jaaoon logo yeh dua maango

*****

Umme Laila sambhaal Zainab ko

Ghareeb Zehra par kya waqt hai ghareebi ka


Gareibaan chaak hai baalon mein khaakey Karbobala
Talaash kartey hain rasta nazar nahin aata
Yeh haal dekh kay hastey hai Sheh par Ahley Jafaa
Bahen kay kaandhon par kul kainaat laatey hain
Qadam Qadam par yeh aawaaz deitay jaatey hain

Umme Laila sambhaal Zainab ko (x2)

Laa raha hoon main laasha-e-Akbar


Umme Laila sambhaal Zainab ko (x2)

Bolay hongay Hussain yeh ro kar


Umme Laila sambhaal Zainab ko
Laa raha hoon main laasha-e-Akbar
Umme Laila sambhaal Zainab ko (x2)

356 Nauha Salaam Marsia Nauha


Naujawaan laash hai zaeefi hai
Meri nazron sey dekh manzar ko
Kaise Humsheer ko sambhaloonga
Main sambhaaley huvey hoon Akbar ko
Tera ehsaan hoga yeh mujh par
Umme Laila sambhaal Zainab ko
Laa raha hoon main laasha-e-Akbar
Umme Laila sambhaal Zainab ko

Iskay seeney sey leykay naam-e-Ali


Mainey barchi abhi nikaali hai
Imtehaan dey chukee meri ghurbath
Ab teri beykasi ki baari hai
Tu bhi is waqt Ya Ali kehkar
Umme Laila sambhaal Zainab ko
Laa raha hoon main laasha-e-Akbar
Umme Laila sambhaal Zainab ko

Doh nageeney thay iski godi mein


Dono Akbar pey kar diye sadqaa
Sabr aisa kay apney beton par
Mainey rotaa isey nahin dekha
Hai magar ab yeh laasha-e-Akbar
Umme Laila sambhaal Zainab ko
Laa raha hoon main laasha-e-Akbar
Umme Laila sambhaal Zainab ko

Salaam Marsia Nauha Nauha 357


Rok rakkha hai apney ashkon ko
Sabsey chhup chhup kay aahein bharti hai
Main samajtaa hoon maadar-e-Akbar
Teri mamtaa pey jo guzarti hai
Rakh kay apney kaleijey par patthar
Umme Laila sambhaal Zainab ko
Laa raha hoon main laasha-e-Akbar
Umme Laila sambhaal Zainab ko

Aisey laashey jawaan uthaaye hoon


Aidiyaan khath banaati aati hai
Inn nishaano ko peechey-peechey mere
Amma Zahra mitaati aati hai
Uski nazrein na dekhey yeh manzar
Umme Laila sambhaal Zainab ko
Laa raha hoon main laasha-e-Akbar
Umme Laila sambhaal Zainab ko

Aye Takallum woh Shaam-o-Kufa ka


Taye hua hogaa is tarhaa sey safar
Amma Zainab sambhaalna maa ko
Kehte hongay sinaa sey yeh Akbar
Aur hoga Hussain kay lab par
Umme Laila sambhaal Zainab ko
Laa raha hoon main laasha-e-Akbar
Umme Laila sambhaal Zainab ko

*****

358 Nauha Salaam Marsia Nauha


Dua karo mera noor-e-nazar palatt aaye
Mera pisar, Mera laqthey jigar palatt aaye

Kaha Hussain ney Laila sey roko Akbar ko


Karoon main pyaar lipatt kar kaho palatt aaye

Shabi hai Naana ki Akbar kahin nazar na lagey


Utaaro sadqaa main uspar kaho palatt aaye

Tumhi sadaa doh usay ya kaho yeh Zainab sey


Bulaalo waasta dey kar kaho palatt aaye

Hai dhoop ithni kay sholay ugal rahi hai zameen


Baddhegi pyaas ki shiddat kaho palatt aaye

Hai intezaar mein Sughra teri Madiney mein


Lagaaye aass woh khwaahar kaho palatt aaye

Main dulhaa usko banaoon tamanna hai yeh meri


Pinhaao sehra sajaakar kaho palatt aaye

Jawaan beta hai mera hai mannathon waala


Koyi toh rok lo baddkar kaho palatt aaye

Usay kaho kay akeila na choday jaao humein


Sahaara doh humein aakar kaho palatt aaye

Sakina kehti hai Baba bulaalo Bhaiyya ko


Chachaa bhi aaye na jaakar kaho palatt aaye

Salaam Marsia Nauha Nauha 359


Jab iskay seenay mein barchee ka phal jo tooteygaa
Main kaisey dekhoon yeh manzar kaho palatt aaye

Main kaisey laash pa jaaoon kamar bhi tooti hai


Qadam qadam pa hai ttohkar kaho palatt aaye

Zaraa si taabh nahin hai Main thakk gayaa hoon bahoth


Subhaa sey laashey utthaakar kaho palatt aaye

Humaara laadla Laila chalaa hai marney ko


Hum usko dekhlein jee bhar kaho palatt aaye

Tu sonch Mehdi woh kaisaa samaan tha Karbal ka


Pukaartey thay jo Sarwar kaho palatt aaye

*****

Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar


Kehti thi yeh maa khoon bhari maiyyat sey lipatt kar
Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar

Armaan tha pehnaaoongi poshaak shahaani


Afsous kay raas aayi na tujhko yeh jawaani
Kaisa tha muqaddar, Haye Haye Ali Akbar

Ithnaa toh zaraa tehro tumhein dulhaa banaa loon


Bus ek jhalak sehray ki Sughra ko dikhaa loon
Bey chaen thi khwaahar, Haye Haye Ali Akbar

Atthaara baras paal kay parwaan chaddhaaya


Woh gaisuoun waala hai mera khoon mein nahaaya
Yeh kya huva dilbar, Haye Haye Ali Akbar

360 Nauha Salaam Marsia Nauha


Maa teri judaayi mein bhalaa kaisey jiyegi
Mar jaayegi Sughra jo khabar teri suneygi
Ab kya karoon jee kar, Haye Haye Ali Akbar

Tehro kay maen atthaarween mannath toh baddhaa doon


Ley ley kay balaayein tujhey jeenay ki dua doon
Sadqey ho yeh maadar, Haye Haye Ali Akbar

Pehlay toh ek aawaaz pey utt jaatey thay beta


Ab ithni sadaaoun pey bhi pehloo nahin badlaa
Kya hogaya dilbar, Haye Haye Ali Akbar

Karti thi ziyaarat maen Payambar ki tujhee sey


Ab ghar mein kisey doongi maen tashbeeh Nabi sey
Hum Shakl-e-Payambar, Haye Haye Ali Akbar

Tum hichkiyaan ley-ley kay jo dam tordd rahey ho


Munh Maa sey hameishaa kay liye mordd rahey ho
Kyun rootthey ho dilbar, Haye Haye Ali Akbar

Aayein jo hamein lootney khaimey mein sitamgar


Maa dey gi sadaa-e-Ali Akbar, Ali Akbar
Chinn jaayegi chaadar, Haye Haye Ali Akbar

Jab koyi jawaan laash nazar aati hai Mehshar


Ek yaad suwey Karbobalaa jaati hai Mehshar
Dil rothaa hai kehkar, Haye Haye Ali Akbar

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 361


Rokay kehti thi maadar kal na jaaney kya hoga
Aye Meray Ali Akbar kal na jaaney kya hoga

Meri mannathoun waale meri goadh ke paaley


Aye meray mahey anwar kal na jaaney kya hoga

Maen sanwaarti toh hoon aaj teri zulfoun ko


Sounchti hoon reh reh kar kal na jaaney kya hoga

Aaj meray dil mai hai teray biyaaha ka armaan


Aye shabihey Paighamber kal na jaaney kya hoga

Tu Shabihey Paighamber hai yeh jaanthey hain sab


Phir bhi aye Ali Akbar kal na jaaney kya hoga

Raat bhar ki mehmaan hai teri chaand si soorath


Dekhloon main jee bharkar kal na jaaney kya hoga

Aye sayeed ek shab ki sheh ney paayi hai mohlath


Aaj hi hai yeh mehshar kal na jaaney kya hoga

*****

Maa main naizay pay hoon


Naizay se Asghar ko nazar aayi jo maadar
Dekha khula sar hai parishaan hai muztar
Ronay lagey kehne lagey tabh Ali Asghar
Maa mujhe apney seenay se lagaale
Maa mujhe apni godhi mai chupaley
Maa mai naizay pay hoon

362 Nauha Salaam Marsia Nauha


Amma bohut din huve jhoolay mai na soya
Maa teri izzat ki qasam phir bhi na roya
Ab tujeh dekha toh mere lab huve goya
Aaj bandhe hathoun ko jhoola sa banaaley
Seenay se lagaale, Maa main naizay pay hoon

Maa mujhe apney seenay se lagaale


Maa mujhe apni godhi mai chupaley
Maa mai naizay pay hoon

Jism kahaan sar hai kahaan haaye muqaddar


Amma badhan rehgaya Karbal ki zameen par
Amma tere saath chalaa aaya mera sar
Karta tujeh kaise layeenoun ke hawaale
Seenay se lagaale, Maa main naizay pay hoon

Garm hawa garm zameen jalta huva teer


Amma zara souncho mere qadh se badaa teer
Kaise kahoon halq pay jis waqt lagaa teer
Hogaye behoush mujhe dekhne waale
Seenay se lagaale, Maa main naizay pay hoon

Maa mujhe apney seenay se lagaale


Maa mujhe apni godhi mai chupaley
Maa mai naizay pay hoon

Kabse Sakina ne nahi mujhko kiya pyaar


Karbobala Koofa kahan Shaam ka bazaar
Darr thi hai kya khoon se bharey dekh kay rukhsaar
Naizey ke nazdeek zara usko bulaaley
Seenay se lagaale, Maa main naizay pay hoon

Salaam Marsia Nauha Nauha 363


Maa mujhe apney seenay se lagaale
Maa mujhe apni godhi mai chupaley
Maa mai naizay pay hoon

Dhoop mai tuney na kabhi ghar se nikaala


Amma badey pyaar se tuney mujhe paala
Aaj nahin koi mujhe dekhnay waala
Tuhi mujhe dhoop ki shiddath se bachalay
Seenay se lagaale, Maa main naizay pay hoon

Maa mujhe apney seenay se lagaale


Maa mujhe apni godhi mai chupaley
Maa mai naizay pay hoon

Dekh tera laqtay jigar yoon toh hai Asghar


Naiza sawaari mein hai Akbar ke baraabar
Nokey sina par hai sitaara sa mera ghar
Meri shuja-ath pa galey mujhko lagaale
Seenay se lagaale, Maa main naizay pay hoon

Maa mujhe apney seenay se lagaale


Maa mujhe apni godhi mai chupaley
Maa mai naizay pay hoon

Baba ka sar bhaayi ka sar nokay sina par


Aap ke sar par nahin amma koi chaadar
Kaise main bardaash karoon amma yeh manzar
Jalti huvi qaak se moonh apna chupaaley
Seenay se lagaale, Maa main naizay pay hoon

Maa mujhe apney… Maa mujhe apni… Maa mai naizay…


*****
364 Nauha Salaam Marsia Nauha
Boley beti se sibtey payambar
baad mere na rona Sakina
Zid na karna mujhe yaad karke,
ma ki godhi mein sona Sakina

Hum bahut door jayenge bibi


ab na soorath dikhaenge bibi
Hum agar yaad aaenge bibi
tum na bechain hona Sakina

Meri furqat mein girya kare gar


ya unhein yaad aajaye Asghar
Maa ko ronay na dena tu dilbar
moonh pah moonh rakh kay sona Sakina

Bibi aaye tumhein gar meri yaad


roke karna na tum zaaro faryaad
Varna tum par bahut hogi bedaad
maar khana na rona Sakina

Shimr kodon se degah azeeyath


aur tamaachon se woh bay hameeyat
Tumko degah yateemi mein zehmat
jaan apni na khona Sakina

Baad mere tu dukhyari hogi


tujh ko eeza meri pyari hogi
Zindagi phir tujhe bhaari hogi
tujhko hai qaid hona Sakina

Salaam Marsia Nauha Nauha 365


Hum to soyenge maabaine maqtal
yaad mein meri tum hogi bekal
Paaogi mera seena kahan kal
khaak ab hae bichona Sakina

Laash se meri jab tum lipat kar


ro-ogi aye meri jaane dukhtar
Koday maarega Shimr-e badh akhtar
hai yeh sub tumko sehna Sakina

*****

Neend aayegi jab aap ki bu paaungi baba

Jab qaimey mein ruqsat ko Shahey behrobar aaye


Chillayi Sakina meray bekas padar aaye
Sheh kehtey thay bibi hamay rokar na rulaao
Phir pyaar karey hum tumhey moo aagay ko lao
Woh kehti thi humraah mujhey leykay toh jaao
Mai kya karoon maidaan mein gar jaakay na aao
Neend aayegi jab aapki bu paaungi baba
Mai raat ko maqtal mein chalee aaungi baba

Farmaya nikalti nahin saidaaniyaan baahar


Seenay pey sulayegi tumhey raat mein maadar
Kyun kehti ho maqtal mein chalee aaungi baba
Mai raat ko maqtal mein chalee aaungi baba
Neend aayegi jab aapki bu paaungi baba

Nanhey sey kaleijay pey meray chalti hai talwaar


Khulta nahin kyun aap ney baandhey hai yeh hathyaar
Mai aapko khokar na kabhi paaungi baba

366 Nauha Salaam Marsia Nauha


Mai raat ko maqtal mein chalee aaungi baba
Neend aayegi jab aapki bu paaungi baba

Aati hai balaa sar pey toh pehlay mujhey vaaro


Mar jaoongi baba na sidhaaro na sidhaaro
Jaaogay jahaan maen bhi waheen jaaungi baba
Mai raat ko maqtal mein chalee aaungi baba
Neend aayegi jab aapki bu paaungi baba

Shab hogi toh phir khaak pey soyengay kahaan aap


Seenay pey toh Asghar ko sulaayengay wahaan aap
Achcha maen waheen khaakh pey so jaaungi baba
Mai raat ko maqtal mein chalee aaungi baba
Neend aayegi jab aapki bu paaungi baba

Aaney do agar pyaas sey ghash aayega baba


Tum jeetay raho paani bhi mil jaayega baba
Mai aap ko dekhoongi toh jee jaaungi baba
Mai raat ko maqtal mein chalee aaungi baba
Neend aayegi jab aapki bu paaungi baba

Kuch door na thay hum kay tumhey neend na aayi


Kya hovegaa jab hogi mahinoun ki judaayi
Bibi na kaho mai nahi so paaungi baba
Mai raat ko maqtal mein chalee aaungi baba
Neend aayegi jab aapki bu paaungi baba

Woh haal Anees ab nahin ho sakta hai marqoom


Jis tarha chuttee baap sey wo dukhtar-e-Mazloom
Nauha tha yehi jis ka na jee paaungi baba
Mai raat ko… Neend aayegi jab…
*****
Salaam Marsia Nauha Nauha 367
Chala run ko tera baba Sakina
Khuda hafiz hae ab tera Sakina

Na Akbar hain na Abbas-e dilaawar


Na hain Aun-o Mohammed aur na Asghar
Sar-e maqtal hoon main tanha Sakina

Chacha joh naaz uthata tha tumhare


Woh jaakar sogaya dariya kanaare
Tujhe ab chod kar tanha Sakina

Sitamgar aayenge qaime jalaane


Chalenge tujhpa beti taaziyane
Milega yoon tujhe pursa Sakina

Koi ab tujhko behlaaye toh kaise


Meri beti ko neend aaye toh kaise
Na hoga ab mera seena Sakina

Main waaqif hoon tu khayegi tamanche


Tere ruqsaar ho jayenge neeley
Dilaasa kaun ab dega Sakina

Sitam zaalim bahut dhaayenge bibi


Palat kar hum na ab aayenge bibi
Sada hum ko na ab dena Sakina

Yateemi taaziyanon ki azeeyat


Museebat ka safar har pal qayamat
Yeh sab kuch hai tujhe sehna Sakina

368 Nauha Salaam Marsia Nauha


Tere kaanoun se chin jayenge gowhar
Bahut rulwayenge tujhko sitamgar
Musalsil sabr hae karna Sakina

Rahegi humsafar tashna dahani


Na dey paaya tujhe ek boond paani
Tera baba hae sharminda Sakina

Tha khaimoun mein Rasheed us waqt mehshar


Sakina se yehi kehte thay Sarwar
Khuda hafiz meri dukhiya Sakina

*****

Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma

Asr-e-ashoor tha shabbir thay tanhaayi thee


Maahey Zehra pay ghata zulm ki jab chaayi thee
Sheh ko jab noukay seena suve zameen laayi thee
Girthay girthay labay zakhmi pay sadaa aayi thee
Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma (x2)

Lut gaya hoon main kisi ki bhi mujhe aas nahin


Qatl sab ho gaye ab koyi meray paas nahin
Mera Qasim nahin Akbar nahin Abbas nahin
Tum mujhe aakay kalejay say lagaalo amma
Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma (x2)

Laash Qasim ki utthaayi hai nazar zakhmi hai


Zakhm Akbar ka jo dekha hai jigar zakhmi hai
Qalb zakhmi hai badan zakhmi hai sar zakhmi hai
Dey Sahaara mujhe baba ko bulaalo amma

Salaam Marsia Nauha Nauha 369


Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma (x2)

Main jo ghoday say giroon tum mujhe taskeen deyna


Pyaar karna meri himmath ko duayein deyna
Daal kar baahain galay mai mujhe lipta leyna
Haan damay zibha magar haath hataalo amma
Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma (x2)

Ab koyi dum mein meray halq pay khanjar hoga


Aur seenay pa meray shimr-e-sitamgar hoga
Khoon ka hoga kafan khaak ka bistar hoga
Aakhri naaz yeh betay ka uthaa lo amma
Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma (x2)

Apney waade kay liye maine har izza sehli


Ek armaan mera niklay tho inaayath hogi
Zibha kay waqt meri tum sey tamanna hai yehi
Sar mera khaak say zaanu pay uttalo amma
Garm raithi pa main girtha hoon sambhaalo amma (x2)

*****

Bikhrey padey hain laashey aulaad-e-Murtaza kay


Zainab ujadd gayi hai Karbobala main aakay

Dum thoddtey hain Asghar, aye naamawar teiharjaa


Ab kya mileyga tujhko, Soghra ka qath sunaakay

Paamaal kardiya hai, lashkar ney jismey Qasim


Shabbir chunn rahey hain, tukkdey abaa bichaakay

370 Nauha Salaam Marsia Nauha


Abbas tum kahaan ho, mazloom ko sambhaalo
Shabbir thakk chukay hain, laashey uttha utthaakay

Haathoun sey dil ko thaamay, daudey hain Shaah run ko


Shaayed girey hain Akbar, barchi jigar pa khaakay

Bhoolegi kaisey maadar, Asghar ka teer khaana


Chupp chaap ro rahi hai, jhooley sey sar lagaakay

*****

Koyi na tha utthaatha jo laasha Hussain ka


Aisaa tabaah hogaya kunbaa Hussain ka

Kyon apni fathaa par naa ho naazaan sipaahey Shaam


Maaraa hai chhey mahiney ka bachcha Hussain ka

Armaan dil main aur jigar main sinaa ka phal


Mitthi pa loutt tha hai kaleijaa Hussain ka

Woh pyaas aur woh khushk galaah aur woh kundh teigh
Woh saqth haath aur woh tadapnaa Hussain ka

Sab apney rishtey daaroun ki maiyath ko leygaye


Bey waarsaa tha rehgaya laasha Hussain ka

Kya saqth waaqia hai kay jo aaj takh ghayoor


Ley leikay naam rothi hai duniya Hussain ka

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 371


Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Yeh Karbala mein Akhtar kya saaneha huwa hai


Laashe padey hain kiskay khoo’n kiska yeh bahaa hai
Thehre nazar jahaan bhi manzar lahu bhara hai
Maidaan ka zarra zarra aawaz dey raha hai
Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Dashte balaa mein sab ney shaadi ka sog dekha


Kubra bani thi dulhan Qasim banaa tha dulha
Paamal run mein Dulha taaza Dulhan hai bewa
Kaandhey pa Shaahey Deen kay Noushah ka hai Laasha
Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Khaimey kay dar pa bachche koozey liye khadey hain


Abbas sar se paa tak khoon mein nahaa gaye hain
Mashkeeza chhid gaya hai shaaney katey huwe hain
Thame huwe kamar ko Shabbir Ro rahey hain
Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Yoon Akbar-e-Jawaan ki maqtal sey Laash aayi


Seeney pa zakhm taaza zulfon mein khaak run ki
Allah jaanta hai Zainab pa jo bhi guzri
Ye sonchti hai Laila kis tarha ab jiyegi
Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Shabbir Laashey Asghar khaimey mein aise laaye


Pyaase gaye thay rann ko khoon mein nahaakay aaye
Honton pa muskurahat gardannh pa teer khaaye
Dour-e-khizaan mein jaisey ek phool muskuraaye
Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

372 Nauha Salaam Marsia Nauha


Koofey mein daakhila bhi uftaad ek nayi thi
Beydard raaston par aulaad Mustafa ki
Sehmi huwi Sakina ankhon mein ek udaasi
Zainab ki bey ridaayi Sajjad ki aseeri
Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Darbar shaam ka tha aur Qafeilaa khada tha


Sardaar-e-doh jahaan ka Sar tasht mein rakha tha
Honton pa Shaahey deen kay woh zulm ho raha tha
Zainab kay Tanh-badan mein larzaan pada huwa tha
Ghurbat mein Fatima ka abaad Ghar lutaa hai

Bigddi huwi woh duniya badlaa huwa zamaana


Kamsin Yateem Bachchi zaalim ka taaziyana
Roshan zameer Qaidi taareek qaid khaana
Maa peet’ti rahi sar aur chal basi Sakina
Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Jab Arbaeen karney Kunbaa Nabi ka pohncha


Maidaan-e-Karbala mein ek hashr ka samaan tha
Qabr-e-Hussain kaampi Maatam ka shor uttha
Zainab sunaa rahi thi rudaad-e-Shaam o Kufa
Ghurbat mein Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Beethay huwe dino kay sab zakhm ab haray thay


Zainab yeh sonchti thi haathon sey dil ko thaamey
Abbas ki Lahad par Jaaungi ab maen kaisey
Zindaan mein hai Sakina aankhon mein hain andheirey
Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

Salaam Marsia Nauha Nauha 373


Marqad pa Shaahey deen kay naaley Rabab kay thay
Jaakar watan yeh Dukhiya rudaad kya sunaaye
Waaris nahin hai sar par bachchey bhi mujhsey bichhdey
Apni Lahad mein waali mujhko bhi ab chhipaaley
Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar lutaa hai

*****

Mushkil kusha-e-khalq khudaara madad karo


Zainab pukaarti hai kay baba madad karo

Lashkar huva tamaam nahin koyi jaan nisaar


Narghay main zaalimoun kay hai Zehra ka gul-e-zaar
Beykas pa toot paddthay hain laakhoun jafaa shiaar
Behray madad ab aayieh ya Shaahey Zulfiqaar

Zakhmoun sey choor hai meray bhaayi ka sab badhan


Ab daggmagaa rahey hain faras par Shahey zaman
Humshakl-e-Mustafa hai na aur Qasim-e-Hassan
Shaaney kattaaye sothay hain Abbas-e-saff shikann

Beti tumhaari kya karey uss waqt ya Ali


Girthaa hai koyi dum main faras sey mera Aqhi
Mazloom bhaayi takh na bahen run main jaasakhi
Abbas jaagthay nahin kab sey jagaa chuki

Baba zameen-e-Karbobala khoon sey laal hai


Baba hazaar teighoun main amma ka laal hai
Baba sambhaal lo kay Hussain ab niddhaal hai
Baba tumhaari beti ka adnaa sawaal hai

*****

374 Nauha Salaam Marsia Nauha


Abbas Utto aag Lagi jalthey hain qaimey

Sholay hain bhadakthay huve har simt dhuvaan hai


Zainab pa museebath hai qayarnath ka samaa hai
Kehti hai muhaafiz meray parde ka kahaan hai
Hum gheerath-e-Hyder meri chaadar tho bachaalay
Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Phir ghaiz-e-Yadullah zamane ko dikhaao


Faryaad chaheethi ki hai imdaad ko aao
Gauhar na cheenay aakay bhateeji ko bachaao
Daaman sey Sakina kay hain liptay huvey sholay
Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Tum aao tho phir zulm ki taaqath na rahegi


Tum aao tho Zainab ki rida chhin na sakhegi
Tum aao tho beemaar ki masnadh na jalegi
Tum aao tho beemaar pa barseingay na koday
Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Barchi ki ani par hai abhi tak dil-e-Akbar


Aur baap ki aagoush mai kumlaa gaye Asghar
Shabbir ki gardan pa chala shimr ka qanjar
Ab Abid-e-beemaar bhi sholoun mai ghiraa hai
Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Jalti huvi rethi pa paday hain taneh beysar


Yeh Aun-o-mohammed hain woh Qasim hai woh Akbar
Phir ek naye zulm pay tayyaar hai lashkar
Paamali-e-shabbir kay hothay hain iraaday
Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Salaam Marsia Nauha Nauha 375


Ab aale mohammed pay qayaamath ki ghadi hai
Kya waaris-e-tatheer pay uftaad padhi hai
Yeh dukhtar-e-Zehra hai jo balway mai khadi hai
Beemaar sambhaltha nahin koday hain barasthay
Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

*****

Jaltey huvey khaimon sey, Zainab ki sadaa aayi,


Abbas kahaan ho tum
Na sar pey rahee chaadar, Na mera bachaa bhaayi,
Abbas kahaan ho tum

Abbas chaley aao, khaimon mein ghareebon kay


Bhookay aur pyaasey hain, Lootay hain naseebon kay
Sajjad ko housh nahin, Kulsoom hai ghabraayi ,
Abbas kahaan ho tum

Jalti huvi dharti par, Mazloom ki laash padi


Rothi hai Sakina bhi, Baba kay paas khadi
Hai haal Yateemaana, Ghurbath ki ghataa chaayi,
Abbas kahaan ho tum

Bey dard layeenon ney, Masoom Sakina kay


Maarey hain tamaanchey bhi, Haaye phool sey gaalon pey
Aajaao Chachaa Ghaazi, Ro-ro kay woh chillaayi,
Abbas kahaan ho tum

Shabbir padaa run mein, Kayi roz ka pyaasa hai


Teeron sey huvaa chalnee, Mazloom ka laasha hai
Na kafan milaa usko, Na qabar hi bun paayi,
Abbas kahaan ho tum

376 Nauha Salaam Marsia Nauha


Kulsoom ney sar peetaa maqtal mein khaday hokay
Haaye kaamptey haathoun sey Zainab ney ro-ro kay
Dastaar Imaamath ki, Sajjad ko pehnaayi,
Abbas kahaan ho tum

Masoom yateemon ko, Paani ki aas nahin


Ghaazi ab Asghar kay hotoun pey pyaas nahin
Shabbir ney laash uski, Hai reyth mein dafnaayi,
Abbas kahaan ho tum

Bachchon ko darraaya hai, Karbal ki udaasi ney


Akhtar yeh kahaa hogaa Ahmad ki nawaasi ney
Maqtal mein hai sannaattaa, Aur maut ki tanhaayi,
Abbas kahaan ho tum

*****

Ab Aaye ho baba

Woh Karbala woh sham-e-gharibaan woh teeragi


Woh Zainab-e-hazeen woh hifaazat khyaam ki
Aaya woh ek sawaar khareeb-e-khayaam-e-Shah
Beti Ali ki ghaiz mein suey faraz badi
Ulti naqaab chehre sey apne sawar ney
Pesh-e-Nigahe Zainab-e-mazloom thay Ali
Har chand sabera thi bahot binte fatema
Bey saaqta zabaan pe yeh faryaad aagayee

Zainab ney kaha baap ke qadmoun sey lipat kar


Ab aaye ho Baba
Jab lut gaya pardes mein amma ka bhara ghar
Ab aaye ho Baba

Salaam Marsia Nauha Nauha 377


Baba agar aana hi tha khaaliq ki raza sey,
us waqt na aaye
Jab khaak pey dum thod raha tha mera Akbar
Ab aaye ho Baba

Kat kat ke gire naher pe jab bazu-e-Abbas,


aur koyi na tha paas
Us waqt sadaa aap ko deitha tha dilaawar.
Ab aaye ho Baba

Jab bhayi ka sar kattha tha main dekh rahi thi,


Hazrat ko sada di
Sar kholey huve rothi thi main khaime ke dar par
Ab aaye ho Baba

Jab loug bachaa leigaye laashey shohadaa ke,


haq apna jatha ke
Bas ek tanh-e-Shabbir ka tha paamaali ki zadh par
Ab aaye ho Baba

Jab baali Sakina ke gohar cheenay gaye thay,


lagthe thay tamaache
Hasrath sey mujhe dekhti thi banu-e-muztar
Ab aaye ho Baba

Kya aap ney firdous se yeh dekha na hoga,


kya hashr bapa tha
Jab pushth sey beemaar ki kheincha gaya bistarr
Ab aaye ho Baba

378 Nauha Salaam Marsia Nauha


Shahed rukh-e-Hyder pa bikhar jaathe thay aansu,
jab kholke gaisoo
Chillati thi Zainab meray baba meri chaadar
Ab aaye ho Baba

*****

Kya rahaa khaimon mein Sheh kay ek udaasi rehgayi


Sirf ronay ko Mohammad ki nawaasi rehgayi

Saj gayee Qasim kai tukddon sey udhar Karbobala


Maa idher betay ki dulhan ko sajaati rehgayi

Cheenta tha shimr chaadar aur Zainab baar baar


Apni chaadar kay muhaafiz ko bulaati rehgayi

Khoon-e-dil Abbas ka sab behgaya run mein magar


Dil mein bas ek baat Zainab ki ridaa ki rehgayi

Aye Musalmaano tumhaari ghairatain kya hogayi


Tum tamaashayee thay Zainab munh chupaati rehgayi

Qaid mein Baali Sakina ko milaa Baba ka sar


Munh pey munh rakh kar jo soyee Maa jagaati rehgayi

Maadar-e-Asgher na baitthi saaye mein Asgher kay baad


Saaye mein aayi toh zindaa laash baaqi rehgayi
Har tamaachey par Sakina munh pey rakhkar nanhey haath
Neel rukhsaaron kay Ghaazi ko dikhaati rehgayi

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 379


Pukaari Zainab-e-muztarr Hussain aajaao
Meray ghareeb baraadar Hussain aajaao

Jo tum nahin toh nahin koyi poochney waala


Diloun paa chalthay hain khanjar Hussain aajaao

Nahin hai taab Sakina main ab tamaachoun ki


Sulaalo seenay paa aakar Hussain aajaao

Woh nanhey haathoun main daaman phataa huva leikar


Sakina kehthi thi rokar Hussain aajaao

Tumhaarey baad yeh touqeer hogayee bhaiyya


Saroun sey chhin gayi chaader Hussain aajaao

Main qaid-e-Shaam kay haalaath kya kahoon bhaiyya


Akeili sothi hai dukhtar Hussain aajaao

Jo tum nahin toh watan jaakay kya karoon bhaiyya


Main phirkay aayi hoon dar dar Hussain aajaao

Hamein sawaar karey kaun kya qayaamath hai


Nahin hai Qasim-o-Akbar Hussain aajaao

Bulaalo saath mai Abbas ko bhi aye bhaiyya


Harum ki chinthi hai chaader Hussain aajaao

*****

Yoon Sakina ney pukaara, aye meray baba Hussain


Ab nahin koyi hamaara, aye meray baba Hussain

380 Nauha Salaam Marsia Nauha


Shimr baali kheinchtaa hai, kaan sey aajaaiyeh
Aayieh ab toh Khudaara, aye meray baba Hussain

Raat hothi hai barasthi, oass sar par dekhiyeh


Hai phataa kurtaa hamaara, aye meray baba Hussain

Naathawaan hai beidiyaan hain, dijiyeh aakar zaraa


Bhaayi Abid ko sahaara, aye meray baba Hussain

Baandhkar rassi galey mai, kheinchtaa hai shimr jab


Mainey ammu ko pukaara, aye meray baba Hussain

Jalgaye qaimey lutay hum, chaadarein cheeni gayi


Ab nahin jeena gawaara, aye meray baba Hussain

Milgaya arsh-e-Moalla, laash tharraayi Taqi


Jab Sakina ney pukaara, aye meray baba Hussain

*****

Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

Pidar jo khwaab mein aaye machal gayi bachchi


Fizaye qaid-e-haram ki bukaa sey hilne lagi
Lipat ke baap ke sar se jo margayi beti
Tho qaid khane mein bano ki yeh fughaan goonji
Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

Fasaana-e-ghame furqath sunaao baba ko


Huva jo baad-e-shahaadath sunaao baba ko
Safar ki saari museebath sunaao baba ko
Lipat ke baba sey khamoush math raho bibi
Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi
Salaam Marsia Nauha Nauha 381
Bahut gila tha Sakina tumhein andherey ka
Yeh gham raha ke hai taareek qaid mein kunba
Yeh ranj tha koyi chehra nazar nahin aata
Hamaarey gham zada chehroun ko dekh lo bibi
Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

Yaqeen tha tumhein lenay ko aayenge baba


Tumhein sukoon huva meri tho lut gayi duniya
Hamesha turnne sunaaya hai haal-e-dil apna
Ghareeb maa ke bhi dil ki tho kuch suno bibi
Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

Dukhe diloun ki tasalli tumhaari baatein thi


Diloun ke zakhm ka marham tumhaari baatein thi
Hamarey gham ka sahara tumhaari baatein thi
Hamarey gham ka sahara na cheen lo bibi
Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

Jo aisey haal mein dekhein khafaa na ho baba


Zara main saaf toh kar doon ye khoon kaanou ka
Na pehne jaao Sakina phata huva kurta
Lahoo mein doobi yeh zulfein sanwaar lo bibi
Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

Main qatl gaah mai asghar ko aayi hoon khokar


Suhaag ujad gaya waaris nahin raha sar par
Ghareeb maa ka sahara nahin koyi dilbar
Tum istarah mujhe tanha na chodd doh bibi
Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

382 Nauha Salaam Marsia Nauha


Khuley huve darey zindaan mein khatm ranjo mehan
Tamaam kunbay kay haathoun se khulgayee hai rasan
Kahaan gaya meri bachchi tumhaara shauq-e-watan
Rehahi milgayi zindaan say ghar chalo bibi
Ye neend khaak pa kaisi uttho uttho bibi

*****

Jab yaad Sakina ko teri aathi hai baba


Sar zindaan ki deewaaroun se takraathi hai baba

Darbaar-e-yazeedi mai bhala kaise main jaaoon


Hai chaak garebaan hayaa aathi hai baba

Kaanoun sey tapaktha hai lahoo shaanoun pa meray


Zaalim ki azeeyath mujhey tadpaathi hai baba

Marjaaoongi pyaasi na kabhi maangoongi paani


Asghar ki mujhe pyaas jo yaad aathi hai baba

Jab takh teray seenay pa na sojaaye Sakina


Zindaan mai usey neend kahaan aathi hai baba

Jalthay huvey khaimoun ke nazaarey hain nazar mai


Yeh baat khayaaloun sey kahaan jaathi hai baba

Yaad aathey hain jab shimr-e-sitamgar ke mazaalim


Yeh nanhi si dukhtar teri ghabraathi hai baba

Hai kaun meray paas jiyoon kiske sahaarey


Tanhaayi meri mauth bani jaathi hai baba

*****
Salaam Marsia Nauha Nauha 383
Kya Andhera hai phupi
Qaid khane may Sakina yeh bayan karti thi

Kya andhera hai phuphi


Shama mangwaiyeh varna main nahin jeenay ki
Kya andhera hai phuphi
Apne seenay sey lagaalo main tumhaarey sadqey
Goadh may leylo mujhe
Dil dhadakta hai mera khauff sey ghabraatha hai ji
Kya andhera hai phuphi
Qaid khane may Sakina yeh bayan karti thi
Kya andhera hai phuphi

Baba aajaye tho thab shumr ko hoga maaloom


Kaun hai yeh masoom
Kya samajh kar mujhe youn ghurkiyaan deitha hai shaqi
Kya andhera hai phuphi
Qaid khane may Sakina yeh bayan karti thi
Kya andhera hai phuphi

Aaj ki shab ko bhi baba kya nahi aayenge


Mujh ko rulwaaenge
Unke seenay pay agar sothi tho neendh aajati
Kya andhera hai phuphi
Qaid khane may Sakina yeh bayan karti thi
Kya andhera hai phuphi

Baad meray yaan agar hoye pidar ka aana


Unsey yeh farmaana
Margayi ghut ke andherey may tumhaari beti
Kya andhera hai phuphi

384 Nauha Salaam Marsia Nauha


Qaid khane may Sakina yeh bayan karti thi
Kya andhera hai phuphi

*****

Aye Jaan Sakina nadaan Sakina


Aye shaam ke zindaan ki mehmaan Sakina

Dekho toh uttho qaid may hai kiska yeh maatam


Bano teri is neend ke qurbaan Sakina

Utthti nazar aati nahin yeh neend hai kaisi


Yeh Khwaab tho karta hai pareshaan Sakina

Kyon haath yeh kaanou pey ho rakhe huvey bibi


Dukhtey hain abhi takh kaho kya kaan Sakina

Yeh deis naya loug naye hum bhi naye hain


Kis tarah sey ho dafn ka samaan Sakina

Asghar ko karo pyaar lo Akbar ki balaaein


Jab khuld mein tum jaao meri jaan Sakina

Woh roz ki seli woh tera roz ka rona


Bas aaj sey zindaan hai sunsaan Sakina

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 385


Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

Lo hogayi rehaayi, Lo qaafela chalaa,


Sar jab har ek Shaheed ka, Sajjad ko milaa
Tab marqad-e-Sakina (x2)
Pey Sajjad ney kahaa
Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

Baba tumhaara aaya (x2)


Gaya waqt neend ka
Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

Seenay pey soonay waali


Matti pey sogayi (x2)
Baba ko rothay rothay
Jo khamoush hogayi (x2)
Ro-ro kay maa ney Qabrey (x2)
Sakina pey yeh kahaa
Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

Bibi karo salaam,


Adab ka maqaam hai (x2)
Bibi teray sarhaaney
Shahey tishna kaam hai (x2)
Aey jaan jaldi badlo (x2)
Yeh kurta phata huvaa
Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

386 Nauha Salaam Marsia Nauha


Baba ko dhundti thi
Sakina uttho uttho (x2)
Raaton ko jaag-ti thi
Sakina utho utho (x2)
Lo aagaye hain baba (x2)
Aey jaan jaag ja
Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

Baba kay paas sona


Na sona zameen par (x2)
Rakkho laboun ko lab par
Jabeen ko jabeen par (x2)
Aada ki gurkhiyo ka (x2)
Zamaana guzar gaya
Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

Paighaam roz deti


Thi ammu kay naam tum (x2)
Roti thi yaad kar kay
Unhey subho shaam tum (x2)
Jaago kay jaa rahey hai (x2)
Jahaan sothay hain chacha
Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

Kis tarha soyi baali


Sakina na puchiye (x2)
Ranj-o-alam sey pathta
hai seena na poochiyeh (x2)
jaagi na phir kabhi woh (x2)
Bohoth maa ney di sadaa
Jaag Sakina jaag baba ka sar aaya

*****
Salaam Marsia Nauha Nauha 387
Rokay zindaan mein boli Banu
Meri bachchi ko na tanhaa chodo
Saath maan ko bhi lahad mein gaaddo
Meri bachchi ko na tanhaa chodo

Darr kay royegi woh naazoun ki palee


Thaam leygi yeh naseebon ki jalee
Khauff andheiray mein na hovay isko
Meri bachchi ko na tanhaa chodo

Chupp hai woh bolnay waali haihaath


Mera pehloo huvaa khaali haihaath
Haath maen jodd rahee hoon logo
Meri bachchi ko na tanhaa chodo

Kis tarhaa logo maen kafnaaney doon


Kis tarhaa logo maen dafnaaney doon
Maa hoon maen isko na mujh sey cheeno
Meri bachchi ko na tanhaa chodo

Tehro kurtaa toh badal loon iskaa


Ponch loon kaanoun mein hai khoon jamaa
Kuch khafaa hai toh manaa leynay doh
Meri bachchi ko na tanhaa chodo

Khol toh loon maen galay sey rassi


Dam kay ghuttnay sey na ho beyhoshi
Bibi shaayad kay abhi zindaa ho
Meri bachchi ko na tanhaa chodo

388 Nauha Salaam Marsia Nauha


Goadh sey Maan ki chuddaao na isay
Tangh marqadh mein sulaao na isay
Chupp raho yoonhi paday rehnay doh
Meri bachchi ko na tanhaa chodo

Margayi haaye Sakina Masroor


Peet tu bhi sar-o-seena Masroor
Keh rahi hai yeho rokar Banu
Meri bachchi ko na tanhaa chodo

*****

Meri Sakina ko neend aa rahi hai

Bano yeh Abid ko batlaa rahi hai


Meri Sakina ko neend aa rahi hai

Kehdo hawaaon sey aahista aayein


Kehdo parindo sey ghul na machayein
Kehdo andheron sey waapas na jayein
Jaagi huvi chaen kuch paa rahi hai
Meri Sakina ko neend aa rahi hai
Shaayad rasan ki aziyat huvi kam
Madham karo bibiyo shor-e-maatam
Sajjad zanjeer bolay na is dum
Shaayad ghamon ki ghadi jaa rahi hai
Meri Sakina ko neend aa rahi hai

Salaam Marsia Nauha Nauha 389


Zindaan ka dar zor sey ab na kholo
Aey pehraydaaro ab aahista bolo
Tum bhi toh jaagey ho kuch dayr so lo
Baba ki khusboo isay aa rahi hai
Meri Sakina ko neend aa rahi hai

Kay ab dhaddkan-e-dil bhi ispey giraan hai


Na bhaayi hai nazdeek na iskay maa hai
Kaanon sey khoon gokay ab bhi rawaan hai
Magar aankh bojhal yeh samjhaa rahi hai
Meri Sakina ko neend aa rahi hai

Yeh shaam-e-gharibaan ki jaagi huvi hai


Tamaachon kay darr sey nahin so sakee hai
Zara ab galay sey rasan jo khulee hai
Sukoon sey jo ab saans ley pa rahee hai
Meri Sakina ko neend aa rahi hai

Mai khush hoon kay soyegi meri dulaari


Mai qurbaan is kay mai ab is kay waari
Bohat seh chukee dukh yeh Ghaazi ki pyaari
Magar nafz kuch aur batlaa rahi hai
Meri Sakina ko neend aa rahi hai

Magar yeh huva kya kay zindaan roya


Badan rooh kay saath bachchi ka soya
Na jaagi woh Abid ney shaana hilaaya
Aur ab maa yeh kehtey bhi sharmaa rahi hai
Meri Sakina ko neend aa rahi hai

*****

390 Nauha Salaam Marsia Nauha


Ab bhi aati hai Sakina ki sadaein logo haye zindanon se
Meray Baba sey milaado Main duaein doongi,
Siskiyaan leykay jo kehti thi musalmaano sey

Bolay Sajjad Sakina yeh muqaddar tera (x2)


Bey Kafan tujhko liye phirtaa hoon bazaaron mein
Aur lahoo aaj bhi jaari hai teray kaanon sey

Jaakay Maqtal mein pukaari yeh Sakina rokar (x2)


Bhaiyya Qasim meray Akbar tum kahaan ho saarey
Meray Baba ko bachaalo aakay Shaitaanon sey

Jab chali ghar sey teray saath sabhi thay Zainab (x2)
Aun-o-Mohamma-o-Akbar yaad aathay hongay
Lautt kay aati jo hogi tu bandhey haathon sey

Labey darya sey Alamdaar ki aayi yeh sadaa (x2)


Aye Sakina tujh sey sharmindaa hai chaa-cha tera
Paani pahuncha na sakaa haaye katey shaanon sey

Aaat Adhaanein bayek waqt fizaa mein goonji (x2)


Saani-e-Zahra kay khutbon ko dabaaney kay liye
Shor berpaa kiya darbaar mein adhaanon sey

Qaem-e-Aaley Muhammad yeh hai Akhtar ki dua (x2)


Sachcha Hasnain ka hai Maula sadaa-e-matam
Hashr takh yoonhi sadaa goonjay Azakhaanon mein

Meray Baba sey milaado Main duaein doongi,


Siskiyaan ley kay jo kehti thi musalmaano sey
Ab bhi aati hai Sakina ki sadaein logo haaye zindanon sey
*****
Salaam Marsia Nauha Nauha 391
Sakina uttho. meri jaan uttho, rehaayi milee
Chalo ghar chaley
Yeh karti thi maa, lahad par bukaa. meri laadli,
Chalo ghar chaley

Yahaan sey chalo, chalein Karbala


Waheen par tumhey milengay chacha.
Sitham jo huvey, bathaana unhey
Dikhaana unhey, yeh kurtaa jalaa
Chacha jaan ko, dikhaana zaraa, ridaa khoon bhari,
Chalo ghar chaley

Bathaana unhey, kabhi saqthiyaan


Milee kis qadar, tujhey ghurkiyaan
Hamaari ridaa, luti kis tarhaa.
Chinee kis tarhaa, teri baaliyaan
Bathaana unhey, bujhi kis tarha, teri tashnagi,
Chalo ghar chaley

Padar sey milo, toh dil joee ho


Bathaana unhey, bahot royi ho
Qasam lo agar, tumhaarey bina
Sakina kabhi, kahin soyi ho
Lahad baap ki, miley jab tujhey, tu kehna yehi
Chalo ghar chaley

Lahad jab miley, tujhey bhaayi ki


Tu kehna usay, meri laadli
Rehaayi milee, hameh qaid sey
Hameih ab nahi, azeeyath koyi
Meray bey zubaan, uttho ghar chaley, Shabi-e-Nabi,
Chalo ghar chaley

392 Nauha Salaam Marsia Nauha


Labb-e-al-qamaa, tu karna fughaan
Teri mauj hai, abhi takh rawaan
Meri pyaas par, huvey jo fidaa
Chacha kay meray, hai baazu kahaan
Kahaan Mashk hai, kahaan hai Alam, kahaan hai Zari
Chalo ghar chaley

Na ab gham koyi, na uftaad hai


Woh zanjeer sey, ab aazaad hai
Phupi bhi teri, teray saath hai
Teray saath hi, woh sajjad hai
Meri gham zadaa, shab-e-gham katti, saher ho chuki
Chalo ghar chaley

Labboun par teray, yehi baat thi


Watan jayenge, kabhi hum phupi
Tujhey shimr ka, nahi khauff ab
Sataayengay na, tujhey ab shaqi
Nikal qaid sey, shuroo hum karey, nayi zindagi,
Chalo ghar chaley

Ghareeboun ka yeh, lutaa qaafela


Vidaa hokay phir, watan jayega
Tujhey paayegi, jo Soghra teri
Toh beemaar ko, mileygi dawaa
Galeh milkay phir, bahot royegi, woh behnaa teri,
Chalo ghar chaley

Mazaar-e-Nabi, laraz jaayegaa


Bahen jab teri, kareygi bukaa
Kahaan hai chacha, kahaan hai padar
Kahaan hai bataa, baraadar mera
Sunaadey usay, yeh rudaad-e gham, yehi beybasi,

Salaam Marsia Nauha Nauha 393


Chalo ghar chaley

Gayaa marqadh-e-Sakina pay gar


Kareyga wahaan, yeh Mazhar bayaan
Ataah umr kar, isey daayemi
Yeh Irfaan hai, tera nauhakhawn
Wahaan jaakay phir kahega nahi mera dil kabhi
Chalo ghar chaley

*****

Shaam ko qaidi ban ke chali hai


Pyaare nabi ki pyaari nawaasi
Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Sabr ki malka Zehra ki pyaari


Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Dekh rahi hai koyi tho aaye


shaana pakad kar kaash bithaaye
Na hai sawaari na hai amaari
Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Bhaayi bhateeje bhaanje betay


Saath watan sey aayi thi lekay
Haaye muqaddar aaj akeli
Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Beton ko sadqa bhaayi pe karke


Jisne kiye the shukr ke sajde
Chod ke tanha laash ko uski
Shaam ko qaidi ban ke chali hai

394 Nauha Salaam Marsia Nauha


Jiski kaneezein nikle na baahar
Balwe mein laaye usko sitamgar
Haaye yeh ghurbath binte Ali ki
Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Kitne hi qaidi jitney chudaaye


Aaj woh bibi sar ko jhukaaye
Ek rida ki ban ke sawaali
Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Soncho woh manzar “Sarwar-o-Rehan”


Bhaayi ho jiska waarise quran
Kaise woh bibi ashk bahaati
Shaam ko qaidi ban ke chali hai
*****

Shaam ka bazaar Abid-e-beemaar


Paaoun may bedi touq-e-giraan baar

Bhoolega na woh manzar, naizay pay saray Sarwar


Bay maqna-o-bay chaadar, balway may phupi maadar
Aur majma-e-kuffaar Abid-e-beemaar

Bazaar ki zeibaayi, kotthoun pay tamashaayi


Aada ki safaaraayi, aur aalam-e-tanhaayi
Woh bekas-o-laachaar Abid-e-beemaar

Darbaar mai sar uryaan aathay hain haram giryaan


Uttney laga ek toofaan mehshar ka meher taabaan
Jumbish mai hai darbaar Abid-e-beemaar

Salaam Marsia Nauha Nauha 395


Bu aayi tho ghabraa kar bachchi ney kaha rokar
Is tasht may hai jo sar woh toh hai sar-e-Sarwar
Kaise karoon deedaar Abid-e-beemaar

Kuch Shimr say farmaado gardhan meri khulwaado


Sar Baba ka dilwaado ya usko yeh samjhaado
Maarey na sitamgaar Abid-e-beemaar

Haakim ne yeh sunn paaya tho aur sitham dhaaya


Sar poush ka sarkaaya aur bachchi ko dikhlaaya
Chillaayi woh ek baar Abid-e-beemaar

Dukhtar ki sadaa sunkar phir tasht-e-thilaa sey sar


Godhi mai gaya uttkar naadaan ney liptaakar
Sar par rakhe rukhsaar Abid-e-beemaar

Zindaan may Anees-e-gham karthay hain haram maatam


Maa poochti hai paiham kyon aankh hai yeh purnam
Kya margayi dildaar Abid-e-beemaar

*****

Haaye Hussain, pyaasey Hussain

Damishq mein jo ghareebeon ka qaafela pahuncha


Yazeed-e-nahes ney darbaar mein bulaa bheija
Bahen sey Sheh ki shahaadath ka waqeya poocha
Tadap kay bint-e -Ali ney yazeed sey yeh kahaa
Zameen ki goud mein Islaam ka sitaara hai
Meray ghareeb ko laakhon ney mil kay maara hai
Haaye Hussain, pyaasey Hussain

396 Nauha Salaam Marsia Nauha


Kaha yazeed sey Zainab ney aye sitham aara
Ghazab kiya teray lashkar ney roz-e-Aashoora
Meray Hussain ko jungal mein gheir kar maara
Ali ka kardiya barbaad ghar ka ghar saara
Jo bey kafan hai abhi takh Nabi ka pyaara hai
Meray ghareeb ko laakhon ney mil kay maara hai
Haaye Hussain, pyaasey Hussain

Suhaag ujdaa kisi ka kisi ki kokh jalee


Kisi ka jal gaya daaman ridaa kisi ki chinee
Kisi ki maangh mein Karbobala ki khaak padi
Kisi ki aal hai zindaan mein Ya Ali Madadi
Shaqee ney Sibtey Payambar ka sar uthaara hai
Meray ghareeb ko laakhon ney mil kay maara hai
Haaye Hussain, pyaasey Hussain

Kidhar gaye meray Abbas-o-Qaasim-o-Akbar


Woh meray Aun-o-Mohammed woh meray noor-e-nazar
Mai tujhko dhoondoon kahaan bey zubaan Ali Asghar
Bathaao bibiyon ro-oon main aaj kis kis par
Jahaan mai Zainab-e-dilgeer bey sahaara hai
Meray ghareeb ko laakhon ney mil kay maara hai
Haaye Hussain, pyaasey Hussain

Yeh ranj-o-gham sitam-o-jor aur jafaa kab takh


Rasool zaadiyan balwey mein bey ridaa kab takh
Rahegi qaid mein Aulad-e-Murtuza kab takh
Nabi ki aal pey yeh zulm-e-naarewa kab takh
Mujhey toh mauth hi aalam mein ab gawaara hai
Meray ghareeb ko laakhon ney mil kay maara hai
Haaye Hussain, pyaasey Hussain

Salaam Marsia Nauha Nauha 397


Teraa yeh saanehaa Karbala raheigaa yaad
Jo ek din mein Mohammad ka ghar huvaa barbaad
Kahaan woh touq-e-giraan baar aur kahaan Sajjad
Hai shaher-e-Shaam mein bey pardaa Zainab-e-Naashaad
Ali ki Aal pey Mirza yeh zulm niyaaraa hai
Meray ghareeb ko laakhon ney mil kay maara hai
Haaye Hussain, pyaasey Hussain
*****

Kahaa yeh shimr-e-layeen ney rulaao Zainab ko


Dikhaao laashey biraadar dikhaao Zainab ko

Na hai Hussain na Abbas na Ali Akbar


Nahin hai khauff kisi ka sathaao Zainab ko

Daro na cheenn lo Saidaaniyoun kay sar sey ridaa


Sinaan-o-Teigh dikhaakar daraao Zainab ko

Chinee ridaa toh pukaari kay aye meray Abbas


Khuda kay waastey aakar bachaao Zainab ko

Bandhee rasan jo kalaayi toh beyhayaa bolay


Aseer hogayi dar-dar phiraao Zainab ko

*****

Amma Fizza bathaa dey mujhko


Pathar kyun aarahey hain
Kaisa hai yeh charaghaan dil dubey jaa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai
Amma Fizza bathaa dey mujhko
Pathar kyun aarahey hain

398 Nauha Salaam Marsia Nauha


Hain log kistarhaa kay, Hum sey dua karaayein
Aye qaidiyon dua doh, Yeh din na hum pey aaye
Leykar duayein hum sey, Dil bhi dukhaa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Honay lagi Azaanein, Kaisey saron ko dhaampey


Baazu bandhey huvey hain, Khoon ro rahi hai aankhein
Ankhon kay khoon sey rastey, khoon mein naha rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Naizoun pey jitney sar hain, Ek sar hai unmein aisaa


Aankhein hai bandh uski, Aur khaak par hai girtaa
Abbas ka yeh sar hai, Teywar bathaa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Itnaa chaley hain paidal, Kaanton pey saarey qaidi


Thakk jaati chaltey chaltey, Chalti agar zameen bhi
Paaoon kay aabley bhi, Rokar bathaa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Maaoun ki goadiyon sey, Liptey huvey hain bachchey


Hai haath rassiyoun mein, Maaooun sey aisey jakddey
Bachhey jo gir rahey hain, Woh martey jaa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Karney lagaa tilaawath, Naizey pa Ibne Hyder


Naamoos-e-Mustafa kay, Sar pa nahin hai chaadar
Nazroun ko ashqiyaa ki, Sarwar hataa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Salaam Marsia Nauha Nauha 399


Naizey pey ro rahaa hai, Mushkil Kushaa ka beta
Naa mehramoun kay labb par, Aaya hai naam meraa
Mujhko kaneez zaadey, Yoon bhi rulaa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Sajjad ka kaleijaa, Sadh paash ho raha hai


Ek ek zakhm inka, Is gham mein ro raha hai
Zainab ka naam leykar, Aadaa bulaa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

*****

Bey rida Zainab khadi hai shaam ka darbaar hai


Aalam-e-ghurbath mai aal-e-Ahmad-e-mukhtaar hai
Ab na lashkar hai na Abbas-e-Alambardaar hai
Haaye kya badhlee huvi ab waqt ki raftaar hai
Saamney rakkha huva farqe shahey Abraar hai
Bey rida Zainab khadi hai shaam ka darbaar hai

Zulm hai kursi nasheen kunbaa nabi ka hai khadaa


Aur ek beemaar hai zanjeer mai jakdaa huva
Hai rasan mai sab ke shaaney aur sakina ka galaa
Haaye bachchi ke liye ab saans leyna baar hai
Bey rida Zainab khadi hai shaam ka darbaar hai

Ghamzadaa maadar ki aankhoun mai andhera chhaa gaya


Naujawaan betay ka sar darbaar mai laaya gaya
Jaan-e-laila sey yeh manzar kis tarhaa dekha gaya
Kaisi ghurbath mai shabihey Ahmad-e-mukhtaar hai
Bey rida Zainab khadi hai shaam ka darbaar hai

400 Nauha Salaam Marsia Nauha


Woh Ali Asghar ka sar jaisey koyi taaza kali
Maadar-e-beysheer ki jisdum nazar uspar padhi
Goadh mai leykar sulaaney ki tammana jaag utthi
Haath rassi mai bandhey hain maa bahot laachaar hai
Bey rida Zainab khadi hai shaam ka darbaar hai

Paasbaan baaqi nahin koyi nahi ab aasraa


Fatema ki betiyoun par waqt kaisa aagaya
Dil yehi kehtha hai akhtar ab Ali ko dey sadaa
Aapki beti ko maula ke rida darkaar hai
Bey rida Zainab khadi hai shaam ka darbaar hai

*****

Waqt Sajjad ney kaisey woh guzaara hogaa


Naam Zainab ka jo ghairoun ney pukaara hogaa

Lo Hussain Ibney Ali pyaasey zibhaa honay lagay


Kitnaa sharmindaa woh darya ka kanaara hogaa

Woh giraa zeen sey Zainab ki ridaa ka zaamin


Kaun ab Fatema jaayi ka sahaara hogaa

Sar-e-maidaan toh, jaaney toh, lagaa hai Asghar


Kis tarah teray binaa maa ka guzaara hogaa

Nouk-e-naiza pey bahaaney lagay ansoo maula


Phir Sakina ko kisi shaqs ney maaraa hogaa

Roz-e-Mehshar ka hameih darr nahin koyi Shaukat


Haath Shabbir kay qadhmoun pey hamaara hogaa

*****
Salaam Marsia Nauha Nauha 401
Sajjad main Zainab hoon meray sar pey ridaa koyi nahi,
bazaar-e-jafaa
Majmaa hai koofiyoun ka meray chalney ki jaa koyi nahi,
bazaar-e-jafaa

Sajjad meray sar sey nau baar chheeni chaadar,


Balway main Nabi zaadi phirwaayi gayee dar dar,
Miljaaye ridaa mujhko aur meri dua koyi nahi
bazaar-e-jafaa

Sajjad chaloon kaisey laakhoun hai tamaashaayi,


Yaad aatha hai reh reh kay Abbas mera bhaayi,
Faryaad karoon kis-say ab teray siwa koyi nahi
bazaar-e-jafaa

Sajjad meray dil ko yeh dard sataatha hai,


Sar ghaazi ka naizey sey jab khaak pey aatha hai,
Sar mera khulaa dekhe gham is sey bada koyi nahi
bazaar-e-jafaa

Maloom hai aada ko ghazi ki bahen hoon main,


Bey dasth hai woh ghaazi paaband-e-rasan hoon main,
Yaad aayi wafaa uski jab paas raha koyi nahi
bazaar-e-jafaa

Majboor hoon beybas hoon main ro bhi nahin sakthi,


Durroun ki azeeyath sey main so bhi nahin sakthi,
Is darj-e-museebath mai hamdard mera koyi nahi
bazaar-e-jafaa

402 Nauha Salaam Marsia Nauha


Sajjad teri haalat dekhi nahin jaati hai,
Bey pardaa mujhey dekhe yeh baat rulaati hai,
Sajjad teri tarhaa kaantoun pey chalaa koyi nahi
bazaar-e-jafaa

Maut aayegi zindaan mai meri baali Sakina ko,


Kya jaakay bataaoungi beemaar-e-Madina ko,
Gham dil pey uthaaney ko ab baaqi bacha koyi nahi
bazaar-e-jafaa

Jaata hai su-ey zindaan ab kunbaa Muhammad ka,


Rassi main bandhey qaidi kaantoun say bharaa rastha,
Ummat ney sitam dhaaye qismat sey gilaa koyi nahi
bazaar-e-jafaa

Bazaar-e-sitam mai tha Zainab ka ajab aalam,


Mazhar main likhoon kaisey zaalim ney kahaa jisdum,
Hai kaun tera waaris Zainab ney kaha koyi nahi
bazaar-e-jafaa

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 403


Bazaar kay manzar ko, aur apney khuley sar ko
bhuli nahi mai
Apney bandhey haathon ko, bimaar kay zeiwar ko
bhuli nahi mai

Utt thi huvi aandhi ko, wehshat ko biyaabaan ko


Chuptey huvey suraj ko, taareeki ko maidaan ko
Chaltey huvey khanjar ko, Naizey pey terey sar ko,
bhuli nahi mai

Ek chaand tha badhli mai, chuptha tha nikal ta tha


Pardah darey khaima ka, utt tha kabhi girta tha
Woh khaimaa e laila sey, Haaye rukhsatey Akbar ko,
bhuli nahi mai

Yaad aata hai dulhan ko, gatt kis tarha aaye thay
Ek gattri shahey waala, jab kaandhon pey laaye thay
Is laash ki gattri ko, Us khoon bhari chaadar ko,
bhuli nahi mai

Fizza ko mera bhaayi, maa kehkay bulaata tha,


Dum uska meray bhaayi, yeh naam pey jaata tha
Ruthbey mai jo maa bankar, aayi thi maadar ko,
bhuli nahi mai

Lehraatey huvey naiza, aur shimr ka woh barddna,


Aa aa kay meray peechey, har bibi ka woh chuppna
Sholoun mai girey gharko, Chinnti huvi chaader ko,
bhuli nahi mai

404 Nauha Salaam Marsia Nauha


Yaad aata hai ek maa ka, woh khaak mei dhas jaana
Aur aag ke sholoun mei, woh maa ka julas jaana
Jalte huvey jhooley sey, Lipti huvi maadar ko,
bhuli nahi mai

Masoom Sakina ko, bardtey huvey naizoun ko


Sistey huvey gaalon ko, bey rahem tamaachon ko
Sistey huvey kaanon ko, Khichtey huvey gauhar ko,
bhuli nahi mai

Jis raat mae tanhaa thi, us raat kay dhalney ko


Tootey huvey naizey ko, us raat kay pehrey ko
Bachchon kay sisakney ko, Aur raaq kay bistar ko,
bhuli nahi mai

Un shaam ki galiyon ko, jinsey khuley sar guzrey


Kis dar sey guzar ney mai, yeh tolaa pahen guzrey
Darbar kay us dar ko, Aur shaamiyon kay shar ko,
bhuli nahi mai

Hai aaj bhi woh giryaa, Hai aaj bhi wo zaari


Hai aaj bhi patthar kay, Seenay sey lahu jaari
Rothay huvey patthar ko, Patthar pey rakhey sarko,
bhuli nahi mai

Aati hai Navaid ab bhi, aawaaz yeh Zainab ki


Hai mujhko qasam saddiyon, sey sukhey huvey labb ki
Pyaasey ali asghar ko, Sukhey huvey saagher ko,
bhuli nahi mai

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 405


Tauq-o-Zanjeer Kujaa Abid-e-beemaar Kujaa
Momino tumko sunaatha hoon main ek aisa bayaan
Jiskay sunney sey jigar aab ho aansoo ho ravaan
Aag khaimoun mein lagi saari fizaa mein hai dhuvaan
Paaye Sajjad kujaa vaadi-e-purqaar kujaa

Qasim-e-khastha jigar aah Hasan kay mehroo


Kartey hain tujh pey sitam hadh sey siwaa run mein adoo
Chaand sey chehrey pah doobey huvey khoon mein gaisoo
Jism-e-majrooh kujaa ghodon ki yalgaar kujaa

Bey ridaa aah huva Zainab-e-mazloom ka sar


Saaya-e-chaadar-e-Tatheer magar tha sar par
Dar badar phirthi rahi Shaam mein bint-e-Haider
Ghamzadaa Banu kujaa shiddath-e-apkaar kujaa

Purzay purzay huvey Quran-e-wafaa kay paarey


Zulm sehtay rahey Sarwar kay harum beychaarey
Chhinkar baandhay Sakina ko tamaachey maarey
Panja-e-zulm kujaa Phool sey rukhsaar kujaa

Fatema Zehra ka aaya jo mazaar-e-aqdhas


Boli Zainab yeh bhatijeh sey huvi main beykas
Chodd doh mujhko akeila kay kahoongi az bas
Maa ki aaghoush kujaa dukhtar-e-naachaar kujaa

Hurmula tujhko na shashmaahey ka kuch aaya khayaal


Khoon-e-Asghar sey kiya hai rukh-e-Shabbir ko laal
Aaj taariq ka hai tujhsey musalsil yeh sawaal
Halq-e-Masoom kujaa teer-e-sitamgaar kujaa

406 Nauha Salaam Marsia Nauha


Khwaab mein aaye Sakina ko nazar uskay pidar
Khoyi khoyi si thi yoon baali Sakina ki nazar
Jaisey ek bhattka musaafir ho sareh raaha guzar
Laasha-e-Shah kujaa bachchi ka afkaar kujaa

Dasht mein shaam-e-gharibaan jo ghariboun ki huvi


Pehra deinay kay liye utthi Ali ki beti
Aaya Zainab ko nazar ek sawaar-e-arabi
Dasht-e-purqaar kujaa Haider-e-Karrar kujaa

*****

Abid ghareeb beykas-o-naachaar margaya


Saadaath khaak uddaayein kay Sardaar margaya

Saayaa rahaa saroun pa na chawthay Imam ka


Zehra ki jaan Hussain ka dildaar margaya

Kaanton pa kheinchtey thay jisey raahey Shaam mein


Woh saarbaan-e-Ithrath-e-Athaar margaya

Shammey mazaarey Panjetan-e-Paak bhujj gayee


Saidaaniyoun ka haaye parasthaar margaya

Baanu ka chaand zeir-e-zameen haaye chhupp gaya


Faaqaa kasho Ghareeb Dilafgaar margaya

Beti Hasan ki hogayi beywaa hazaar haif


Haider ka pothaa aashiq-e-Ghaffaar margaya

Rothaa rahaa jo baap ko chaalees saal takh


Woh aaj Shaahey deen ka Azadaar margaya

Salaam Marsia Nauha Nauha 407


Bin baap kay layeen ney Baqar ko kardiyaa
Chauthaa Wasee-e-Ahmad-e-Mukhtaar margaya

Kyunkar Shaoor khaak uddaaoon na aaj mai


Mai jiski nasl sey hoon woh sardaar margaya

*****

Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam


Hum karte hain Karbal ke azadaar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Woh khoon mein dooba huva Shabbir ka laasha


Bay goro kafan dhoop mein rethi pah pada tha
Manzar yeh jigar thaam ke Sajjad ne dekha
Har su hae bapa ab usi ghumkhaar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Sajjad ne dekhe hain ajab dard ke manzar


Naizon ki bulandi pah shaheedon ke kate sar
Maa behne thi bazaaron mein be-maqnao chaadar
Shabbir ke maqsad ke madadgaar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Paabande rasan hogayi Kubra ki kalaayi


Chaadar bhi na thi sar pah ghata zulm ki chaayi
Ek beva behan saath thi majboor tha bhaayi
Hae aaj usi bekaso naachar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Rassi mein bandha pyaasi Sakina ka gala tha


Kehti thi mujhe godh mein le lijiye bhaiya

408 Nauha Salaam Marsia Nauha


Kis tarha se detey usey Sajjad dilaasa
Hae towqo salaasil ke giraftaar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Aata kabhi jab saamne Sajjad ke paani


Yaad aati thi Asghar ki usey tashna dahaani
Tadpaati thi paiham Ali Akbar ki jawaani
Aao karen pyaason ke azadaar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam
Jab poochta koi toh ajab hota tha kohraam
Tootey hain kahan sab se ziyaada ghamo aalaam
Dil thaam ke Sajjad kaha kartey thay ash-Shaam
Baazaar ka Zindaan ka darbaar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Roye hain tere gham mein Ali aur Hassan bhi


Tadpe hain tere gham mein shahe tashna dahan bhi
Bechain huvi Fatema Sarvar ki behan bhi
Maatam hae tera Ahmad-e Mukhtaar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Mazloom ke hissey mein bhi Zehre sitam aaya


Ek hashr Rasheed ahle Madina mein tha barpa
Lo sogaya Islam ke zakhmon ka maseeha
Ashkon ki fizaaon mein hae beemar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 409


Itni ghareeb hogayi gham yoon lipatt gaye
Zainab kay ek libaas mein doh saal katt gaye

Kya Kya guzar gayi hai Moharram kay chaand mai


Saidaaniyo kay baqth achaanak ulatt gaye

Zainab ka dil bhi kya tha ghamoun ki kitaab thi


Ek dil mein us ghareeb kay sau gham simatt gaye

Haathoun sey maa kay khaimey ka pardaa ulatt gaya


Haathoun pey shah kay jis ghadi Asghar ulatt gaye

Bolay Hussain beti sey paani na maangna


Jin baazuoun pey mashk thi woh baazu katt gaye

Marney chaley Hussain toh rehwaar rukk gaya


Doh nanhey nanhey haath sumao sey lipatt gaye

Kaisey uttha sakeingay bhalaa laash ko Hussain


Aaza Hassan kay laal kay tukkdoun mein batt gaye
*****

Abaad huvi Karbobala, ujjda Madina, barbaad huvi main


Zainab ko na raas aaya Moharram ka mahinaa
Barbaad huvi main

Ek din tha, kay is sheher ki karthi thi main shaahi


Aur aaj tabaahi
Bey ghusl padaa mohrey Nabuwath ka nagina
Barbaad huvi main

Kis laash pay rovoon kisey choddoon main baraadar

410 Nauha Salaam Marsia Nauha


Laashey hain bahaathar
Hadh yeh hai kay ronay ki ijaazath bhi milee na
Barbaad huvi main

Asghar ka galaa bhaayi ka sar, seena-e-Akbar


Sab gauhar-o-chaadar
Is dashth mai loota gayaa Zainab ka khazeena.
Barbaad huvi main

Maayein bhi na pehchaan saki, bachchoun kay chehray


Bikhrey huvey sehray
Hai khoon kay daryaa main ghareeboun ka safeena.
Barbaad huvi main

Ek aag hai, khaimoun mai qayaamath ka samaa hai


Ghazi tu kahaan hai
Dekho toh ridaa chheen gaya, shimr kameena
Barbaad huvi main

Chaadar cheeni, durr leyliye ab zulm na dhaao


Baba sey milaao
Naizey kay taleh bhaitt kay rothi hai Sakina
Barbaad huvi main

Paabandh-e rasan bibiyaan bazaar khuley sar


Har modd pey patthar
Masoom yateemoun ka bahaa. Surkh paseena
Barbaad huvi main

Shoukath sar-e-maqtal yeh kaha bintey Ali ney


Zehra ki palee ney
Bhaiyya teray bin khwaab teri behnaa ka jeena
Barbaad huvi main
*****
Salaam Marsia Nauha Nauha 411
Hai Karbala kay bun mein ghareeboun ka Arbayeen

Shabbir kay mazaar pa Zainab ki hai jabeen


Aansoo bahaa rahey hain khadey Abid-e-hazeen
Abaad thi Hussain kay qadhmoun sey yeh zameen
Ab haal yeh hai sar pa koyi saayebaan nahin
Hai Karbala kay bun mein ghareeboun ka Arbayeen

Maajaaye pehlay aag lagi khaimagaaha mai


Har gaam ek taaza qayaamat thi raaha mai
Bachchi ki hichkiyoun ka hai manzar nigaaha mai
Zindaan-e-Shaam mai hai Sakina yahaan nahin
Hai Karbala kay bun mein ghareeboun ka Arbayeen

Abbas-e-naamwar jo harum ka tha paasbaan


Rothi thi yaad karkay jisey saari bibiyaan
Bey aas jiski laash pah thay Shaahey doh jahaan
Laasha kahin tha haath kahin aur Alam kahin
Hai Karbala kay bun mein ghareeboun ka Arbayeen

Bhaiyya hamaarey waadey ki takmeel hogayi


Aisa safar huva hai kay sar par ridaa na thi
Darbaar-e-Shaam mai thi qayaamat ki beybasi
Rudaad-e-gham sunaaney ki taaqath bhi ab nahin
Hai Karbala kay bun mein ghareeboun ka Arbayeen

Ahley jahaan ko hogi agar haq ki justaju


Akhtar asar dikhaayega mazloom ka lahu
Hai ghamzadaa bahan ki yehi ek aarzu
Aabaad zaayereen sey hojaaye yeh zameen
Hai Karbala kay bun mein ghareeboun ka Arbayeen
*****
412 Nauha Salaam Marsia Nauha
Shabbir ka chehlum hai, Shabbir ka chehlum hai

Zindaan kay alam sehkar jab waaris-e-gham aaye


Karbal ki sadaaoun mei paaband-e-sitam aaye
Faryaad-o-fughaan kartey sab Ahley harum aaye
Zainab ney kaha utto, Abbas kay hum aaye
Shabbir ka chehlum hai, Shabbir ka chehlum hai

Gaalon pay Sakina kay woh neel tamaachon kay


Zakhmi tha badan uska durroun ki azeeyath sey
Har gaam pah kehti thi Ammu hai kahaan meray
Zainab ney kaha utto, Abbas kay hum aaye
Shabbir ka chehlum hai, Shabbir ka chehlum hai

Darbaar woh haakim ka sar nangay tera kunbaa


Chaadar kay aiwaz humney baaloun sey kiya pardaa
Bhaiyya teri Zainab kay baazu thay rasan bastha
Zainab ney kaha utto, Abbas kay hum aaye
Shabbir ka chehlum hai, Shabbir ka chehlum hai

Ehsaas ki duniya ka purdard tha woh manzar


Tha hashr bapaa Agha Zainab ka bayaan sunkar
Zindaan mein Sakina ko kho aayi teri khawhar
Zainab ney kaha utto Abbas kay hum aaye
Shabbir ka chehlum hai, Shabbir ka chehlum hai

*****

Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab


Dukh paayi hai, dukh paayi hai, dukh paayi hai Zainab

Salaam Marsia Nauha Nauha 413


Zindaan mein baali Sakina ki banakar
Bhayi ki amaanath ko tahey qaak chupakar
Saath apne lutey qaafile ko laayi hai Zainab
Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab

Maajaye ke marqadh pah hai dukhiya ka yeh nauha


Aayi hai behan milne ko uttho mere bhaiyya
Bin tere har ek gaam pah dukh paayi hai Zainab
Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab

Bhaiyya tumhi bathlao watan jaakay karoon kya


Sughra tumhein poochegi toh bolo main kahoon kya
Jab bhi yeh khayaal aaya hai ghabraayi hai Zainab
Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab

Be maqna-o chaadar gayi bazaaroun mein bhaiyya


Darbaare yazeedi mein gayi duqtare Zehra
Tha hukm joh tera woh baja laayi hae Zainab
Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab

Har tootey huve dil ko sahaara bhi diya hai


Har dard mein kunbey ko dilaasa bhi diya hai
Har haal mein har bibi ko samjhaayi hai Zainab
Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab

Ranj-o-alam-o-yaas hai Abbas nahin hai


Juz Abide beemaar koi paas nahin hai
Bus ek amaanath yeh bacha laayi hai Zainab
Bhaiyya tere chehlum ke liye aayi hai Zainab

*****

414 Nauha Salaam Marsia Nauha


Shahinshaa-e-tashna lab kay bhaayi
Abbas utto Zainab aayi
Sar bhaayi ka shaam sey hai laayi, Abbas utto Zainab aayi

Shabbir ki laadli Sakina,


Zindaan mein chutt gayi Sakina
Poocho toh kahaan rahi Sakina, Abbas utto Zainab aayi

Shabbir ki laash utthaake laao,


Beysar kay badan sey sar milaao
Beygor ko gor mein sulaao, Abbas utto Zainab aayi

Hum gheerath-e-Murtuza uttho toh


Dekho toh bahen kay baazuoun ko
Kis zulm kay yeh nishaan hai bolo, Abbas utto Zainab aayi

Ummat kay sitam sey phirkay dar dar


Bey maqna-o-bey ridaa khuley sar
Darbaar mein jaakay Binte Hyder, Abbas utto Zainab aayi

Chehlum hai Hussain-e-beywatan ka


Mazloomo ghareebo beykafan ka
Pamaal shudaah shikastha tanh ka, Abbas utto Zainab aayi

Hai shore Nagin kahaan hai Asghar


Qaasim hai kahaan, kahaan hai Akbar
Hai aal-e-Nabi mein taaza mehshar, Abbas utto Zainab aayi

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 415


Maajaayi hai Zainab dukh paayi hai Zainab
Aye laasha-e-beysar tera sar laayi hai Zainab

Sar nangay thi mein zauja-e-haakim joonhi aayi


Zindaan mein kya Hind sey sharmaayi hai Zainab

Qaidi bani sar nangay phiree dum nahin maara


Sab aapka farmaan bajaa laayi hai Zainab

Marthay huvey tum jisko mujhey soump gaye thay


Us laadli ko shaam mein kho aayi hai Zainab

Zaalim ney chardee maari labboun par jo tumhaarey


Khamoosh khadi ghaiz mein thar-raayi hai Zainab

Ab saath mujhey qabr mein leylijiyo bhaayi


Duniyaa kay bahoth ranj sey ghabraayi hai Zainab

*****

Shabbir ki turbath pa yeh Zainab ka bayaan tha


Ghar jaakay karoon kya
Yaad aatey hain bichdey huvey phat tha hai kaleijaa
Ghar jaakay karoon kya

Khaimoun mein qayaamat ka samaan tha


Har simth dhuaan tha
Asbaab jo tha loot kay sab ley gaye aada
Ghar jaakay karoon kya

Humraah meray aaye hain yaan Sayed-e-Sajjad


Hum hogaye barbaad

416 Nauha Salaam Marsia Nauha


Ab shaam kay zindaan mein sothi hai Sakina
Ghar jaakay karoon kya

Abbas na thay saath museebath ka safar tha


Dushman tha zamaana
Har gaam qayaamat sahi waada huva poora
Ghar jaakay karoon kya

Reh jaoon mein is dasht-e-museebath mein yeh bolo


Ya jaoon watan ko
Bathlaao kay kya hukm hai is waqt tumhaara
Ghar jaakay karoon kya

Jaisey bhi ho maatam main tumhaara hi karoongi


Marqadh pay rahoongi
Hum beysaro saamaan hai chehlum hai tumhaara
Ghar jaakay karoon kya

Bachchey nahin ghar hogaya veeraan hamaara


Hai kaun sahaara
Bathlaao kay Zainab rahey kiskay liye zindaan
Ghar jaakay karoon kya

Baazu pa nashaan rassi kay hain, jaoon main kaisey


Dikhlaoon toh kaisey
Miljaaye teray paaenthi ek qabr ka gosha
Ghar jaakay karoon kya

Waali mera dekheiga nashaan ranjo mehan kay


Yeh neel rasan kay
Kis tarhaa sey dekhoongi main beykas ka tadapnaa
Ghar jaakay karoon kya

Salaam Marsia Nauha Nauha 417


Akhtar dum-e-rukhsath huva is tarhaa sey maatam
Har aankh thi purnam
Sab ahley harum rothay thay Zainab ka tha nauha
Ghar jaakay karoon kya

*****

Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka


Lekay daag seenay par shaam ki judaayi ka
Haq ada karey Zainab kaise apney bhaayi ka
Qaafela uthar aaya sabr ki khudaayi ka
Karbala ke maidaan par Fatima ke jaayi ka
Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

Mauth ke biyabaan may zindagi ka maatam hai


Zulm ke andheroun may roshni ka maatam hai
Aansuoun ke toofan may tashnagi ka maatam hai
Ek bahen ke hissey may har kisi ka maatam hai
Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

Door takh nigaahoun may shaam ka andheira hai


Karbala say koofay takh haadesoun nay ghera hai
Jab say naunehaaloun nay muh ko apney phera hai
Maamtha ki godhi may mauth ka basera hai
Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

Bhaayi kya sunaaoon main hum pa kya sitam guzrey


Baad-e-asr-e-aashoora beykafan thay sab laashey
Sham-e-gham ke chaatey hi mauth ke badhey saaye
Chinn gayee rida meri bhaayi jal gaye khaimey
Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

418 Nauha Salaam Marsia Nauha


Baad-e-Karbala bhaayi har qadam qayamat thi
Beyrida rasan bastaa raahey shaam sey guzree
Bhaayi hum tamaasha thay raasthay tamaashayi
Har qadam dua yeh thi kaash mauth aajaati
Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

Khud aseer-e-qismat thi dar badar gayi Zainab


Moo ko apney baaloun sey dhaanp kar gayi Zainab
Majlis-e-Sitamgar may nangay sar gayi Zainab
Leykay saath kunbey ko nauhagar gayi Zainab
Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

Bhaayi qaid khaaney ki teeragi sey ho aaye


Aapki amaanath ko zulmathoun mai kho aaye
Khoon goshwaaroun ka aansuoun sey dho aaye
Yoon Sakina bibi ko sab aseer ro aaye
Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

Aapsey judaa hokar jab madiney jaaoongi


Jaakay maa ki turbat par marsia sunaaoongi
Karbala ke maqtal may kya huva bathaaoongi
Bhaayi apney baazu kay neel bhi dikhaaoongi
Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

Bhaayi ab khuda haafiz qabr sey chali Zainab


Bin teray guzaregi kaise zindagi Zainab
Utt gayi fareed aakhir kehke ya Ali Zainab
Dard-o-gham ki.duniya may phir se kho gayi Zainab
Arbayeen karna hai shaahey karbalayi ka

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 419


Koofay ka aur shaam ka manzar
Yaad jab aajaata hai baba
Dil mera phat jaata hai baba
Koofay ka aur shaam ka manzar

Qabr pey Shabbir ki, kartey thay Abid bukaa


Ho gayi kya kya jafaa, suniye shahey Karbala
Sar pey kisi ke na thi chaadar
Yaad jab aajaata hai baba, dil mera phat jaata hai baba
Koofay ka aur shaam ka manzar

Ek rasan main bandhay,chotay badoun ke galay


Barsar-e-darbaar sab, is tarha laaye gaye
Kotthoun se barsaatey thay pathar
Yaad jab aajaata hai baba,dil mera phat jaata hai baba
Koofay ka aur shaam ka manzar

Touq sey hargiz na tha, Baba mera sar jhukaa


Hathkadi aur bedi ka, koyi mujhe gham na thaa
Dekha nahin jaata tha manzar
Yaad jab aajaata hai baba,dil mera phat jaata hai baba
Koofay ka aur shaam ka manzar

Baali Sakina ka gham dil yeh nahin bhooltha


Sab ke thay shaaney bandhay, uska bandha tha gala
Dard sey woh rehti thi muztar
Yaad jab aajaata hai baba,dil mera phat jaata hai baba
Koofay ka aur shaam ka manzar

Meri phupi jaan thi, balway may jo sar khuley


Naizey se ammu meray, farsh pa gir padtey thay

420 Nauha Salaam Marsia Nauha


Haaye chachajaan ka safar
Yaad jab aajaata hai baba,dil mera phat jaata hai baba
Koofay ka aur shaam ka manzar

Leikay gaye jab hamein, bazm-e-sitamgaar may


Saath sau kursee nasheen bhaitay thay darbaar may
Taqth pay bhaita tha sitamgar
Yaad jab aajaata hai baba,dil mera phat jaata hai baba
Koofay ka aur shaam ka manzar

Jab kiya sajjad sey aakay kisi ney sawaal


Guzraa kahaan par Imam aapko zyaada malaal
Kehthay thay ash-shaam mukarar
Yaad jab aajaata hai baba,dil mera phat jaata hai baba
Koofay ka aur shaam ka manzar

Maqtal-o-tareeq bhi, kar na sakay haq adaa


Likhey Anees-e-hazeen girya-e-Abid ko kya
Kehthay thay yeh Abid-e-muztar
Yaad jab aajaata hai baba,dil mera phat jaata hai baba
Koofay ka aur shaam ka manzar

*****

Beti Ali ki turbath-e-Zehra pay aayi hai


Beti Ali ki turbath-e-Zehra pay aayi hai
Kurtaa lahoo bharaa huva bhaayi ka laayi hai
Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho
Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Salaam Marsia Nauha Nauha 421


Amma hamaarey ranj-o-masaaeb hain dard naak
Amma hamaarey qalb-o-jigar ho chukay hain chaak
Amma hamaarey naana ki ummath ney ki daghaa
Amma hamaarey khoon ko samjhe hain sab ravaa
Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho
Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Amma taras ke rehgaye paani ko hum tamaam


Amma diya na humko kisi ney bhi ek jaam
Amma hamaarey mard tahey teigh hogaye
Amma nahaakay khoon mai beychaarey sogaye
Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho
Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Amma padey hain nehar pa Abbas roottkar


Amma Sakina sothi hai zindaan mein beypidar
Amma kahaan sey Akbar-e-mehroo ko laaoon main
Amma kahaan sey Asghar-e-naadaan ko paaoon main
Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho
Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Amma woh meray Aun-o-mohammad meray pisar


Maidaan-e-karbala mai padhey hain kataakay sar
Amma lahoo mai doob ke Qasim bhi chal basay
Amma Hasan ko muh na dikhaaney ke hum rahey
Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho
Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Amma Hussain Karbobala hi mai rehgaye


Amma Hussain saarey masaaeb ko sehgaye
Amma Hussain margaye beyaaro beywatan

422 Nauha Salaam Marsia Nauha


Amma Hussain ko na mayassar huva kafan
Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho
Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Amma hamaari chaaderain bhi chhin gayi tamaam


Amma hamaarey haal pa hansthay thay ahle shaam
Amma woh shaam-e-ghurbath-e-shabbir aah aah
Amma woh raat kaali woh sunsaan qatlgaah
Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho
Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Amma yeh haal-e-Abid-e-beemaar hogaya


Zaalim sipar ne leliya bisthar ghareeb ka
Amma qadam qadam pa aseeri rulaagayi
Gardhan mein touq paeiroun mai zanjeer aagayi
Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho
Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Amma woh bibiyoun ka tadapnaa woh shor-o-shayn


Amma raheygi yaad woh aaho bukaa woh bayn
Amma Rabaab rothi hai Asghar ko subho shaam
Akbar ko yaad karthi hai laila-e-tashnakaam
Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho
Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Baazu ke neel dekhiye Amma Khuda gawah


Maqtal ki gardh bangayi afshaan Khuda gawah
Amma yeh beybasi yeh qayamath ki beybasi
Amma hamaarey haal pa rothi hai beykasi
Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho
Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

Salaam Marsia Nauha Nauha 423


Amma bathaaiyeh toh main ab jeekay kya karoon
Kis tarhaa ab Hussain ki furqath ka gham sahoon
Aayi fughaan nidaa ke sar-e-hashr hum bhi ab
Kurtha lahoo bhara huva rakhdeingay peish-e-Rab
Beti tumhaara bhaayi shahey mashraqain hai
Beti tumhaarey sabr mein fathey Hussain hai
Kehthi hai aye Hussain ki amma uttho uttho
Zainab sey Karbala ka zara maajeiraa suno

*****

Di Basheer ney rokay yeh sadaa


Lutt gaye Harum margaye Hussain
Gul huva charaag lo Madiney ka
Lutt gaye Harum margaye Hussain

Woh mujaaveri rauza-e-Nabi


Is Madiney ki jis sey zeib thi
Khaak mein usay lo milaadiya
Lutt gaye Harum margaye Hussain

Doh paheir talak saaf ghar huva


Asr ko kataa Shah ka galaa
Baad-e- qatl Shah Qaima jalgayaa
Lutt gaye Harum margaye Husain

Mittgayi jo haaye shakl-e-Mustafa


Zindagi se haath Sheh ney dhodiya
Run mein naujawaan Sheh ka margayaa
Lutt gaye Harum margaye Husain

Naathawaan ney pehni bediyaan

424 Nauha Salaam Marsia Nauha


Hogayeen aseer saari Bibiyaan
Qaid ki gayi aal-e-Mustafa
Lutt gaye Harum margaye Husain

Bevoun ko kiya oontoun par sawaar


Di mareez kay haath mai mihaar
Manziloun ghareeb kaantoun par chalaa
Lutt gaye Harum margaye Husain

Teer sey cheedaah halq-e-beyzubaan


Margaya sagheer lekay hichkiyaan
Naar-e-Zulm sey jhoola jalgayaa
Lutt gaye Harum margaye Husain

Baqar-e-hazeen hashr tha bapaa


Zalzaley mein thi Qabr-e-Mustafa
Jab basheer ney rokay yeh kahaa
Lutt gaye Harum margaye Hussain

*****

Zainab Madiney jaati hai kya kya liye huvey

Aankhon may Karbala ka nazaara liye huvey


Ehsaas may Hussain ka laasha liye huvey
Ashkoun may khoon-e-zakhm-e-tamanna liye huvey
Abbas kay alam ka pharaira liye huvey
Zainab Madiney jaati hai kya kya liye huvey

Salaam Marsia Nauha Nauha 425


Daaghoun may aag aag may ghutt tha huva dhuvaan
Maanindhey mouj aankh say, aansoo ravaan dhavaan
Baazu pay reesmaan kay ubhray huvey nashaan
Seenay may zakhm-e-marg-e-Sakina liye huvey
Zainab Madiney jaati hai kya kya liye huvey

Teeroun sey chaak chaak hai Sarwar ka pairahan


Abbas ka libaas woh Akbar ka pairahan
Dooba huva hai khoon may Asghar ka pairahan
Bano kay sheer khaar ka jhoola liye huvey
Zainab Madiney jaati hai kya kya liye huvey

Gardhan may touq Abid-e-muztar ki bediyaan


Kuch bediyoun kay daagh toh durroun kay kuch nishaan
Cheeni huvi Sakina kay kaanoun ki baaliyaan
Nanhi si ek bachchi ka sadhmaa liye huvey
Zainab Madiney jaati hai kya kya liye huvey

*****

Dekh Madine kya kya yaadein

Dekh Madine kya kya yaadein


saath mein apne laayi hae Zainab
Karbobala mein ghar ko luta kar
apne watan mein aayi hae Zainab

Zulm kiya woh ahle jafa ne


Zainab ka gham Zainab jaane
Soojhe huve hain ab tak shaane
daagh yeh kaise paayi hae Zainab

426 Nauha Salaam Marsia Nauha


Gham ki kise rudaad sunaaye
zakhm jigar ke kaise dikhaye
Daaghe rasan kis kis se chupaye
sonch ke yeh ghabraayi hae Zainab

Shaam ka kya baazaar saja tha


shahr khada tha behre tamasha
Haaye kisi ne yeh bhi na soncha
yeh toh Ali ki jaayi hae Zainab

Saamne haakim ke mai khadi thi


bhai ke mere lab par chadi thi
Haaye woh kaisi sakhth ghadi thi
sonchke yeh tharrayi hae Zainab

Ek qayamat har su bapa thi


mehvay tamasha khalq-e Khuda thi
Aur tamaasha aale aba thi
haaye bahot sharmaayi hae Zainab

Shimr ke durre baali Sakina


pyaas ki shiddat jalta seena
Aa na saki waapas woh Madina t
anha usey chod aayi hai Zainab

Ashke aza ke moti lutaadoh


farshe aza aankhon ko banado
Sajdeh mein Sajid sar ko jhukado
bazme aza mein aayi hae Zainab

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 427


Sitam raseedaa falak ki sathaayi hoon naana
Zameen-e-Karbobala sey main aayi hoon naana

Jaley qiyaam huvey qaid chhin gayee chaadar


Qadam qadam pah museebath utthaayi hoon naana

Yeh waaqeaath-e-safar mukhtasar hai sun lijiyeh


Hussain margaye main luttkay aayi hoon naana

Main qatlgaah sey saughaath aur kya laathi


Lahu bharaa huva kurtaa main laayi hoon naana

Khuda ki raah mein Akbar sey laal ko deykar


Main apni saari bizaa-ath lutaayi hoon naana

Sitamgaroun ney ridaa bhi na rehney di hai hai


Main sar kay baaloun sey mooh ko chupaayi hoon naana

Main kya bathaoon jo ummath ney qadr daani ki


Rasan kay neel gawaahi mein laayi hoon naana

Sayeed qabr-e-Nabi kaampney lagi jisdum


Kahaa jo bintey Nabi ney main aayi hoon naana

*****

Kya dekhti hai Sughra, Zainab kay aansuon mein


Manzar hai Karbala ka, Zainab kay aansuon mein.

Barchi ka zakhm taaza, taa zindagi raheiga (x2)


Akbar ka hai kaleijaa, Zainab kay aansuon mein.

428 Nauha Salaam Marsia Nauha


Sughra nazar utthaao, Qasim ka haal dekho (x2)
Bikhraa hua hai laasha, Zainab kay aansuon mein.

Aye deeda-e-tassawur, tujhko dekhaayi dega (x2)


Chota sa ek jhoola, Zainab kay aansuon mein.

Abbas kay bureedaa, Haathon ki daastan hai (x2)


Behta hai gham ka dariya, Zainab kay aansuon mein

Woh karb naak manzar, Kis tarhaa tunay dekhaa (x2)


Baba ka zakhmi laasha, Zainab kay aansuon mein

Zindaan-e-Shaam mein hain, choti si qabr lekin (x2)


Maujood hai Sakina, Zainab kay aansuon mein

Ab Aun aur Mohammed, bhi yaad aa rahey hain (x2)


Honay laga izaafa, Zainab kay aansuon mein.

Zulm-o-sitam kay manzar, sab dekh ley Madina (x2)


Hai Shaam aur Kufa, Zainab kay aansuon mein.

Shabbir peish-e-daawar, jayeingey saath lekar (x2)


Bheega hua amaama, Zainab kay aansuon mein.

Bey pardagi ka aalam, kaisay Adeel likhhey (x2)


Khud dekh ley zamaana, Zainab kay aansuon mein.

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 429


Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Qalb-e-Nabi ke chaen ka pursaa qubool ho


Hyder ke Noor-e-Ain ka pursaa qubool ho
Maula-e-mashraqain ka pursaa qubool ho
Zainab ke shor-o-shain ka pursaa qubool ho
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Maatam hai Karbala may Mohammad ki aal ka


Qasim jari ka Akbar-e-Yousuf Jamaal ka
Abbas-e-zee viqaar ka Bano ke laal ka
Kunba aseer-e-gham hai shahey khush khisaal ka
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Pyaase galay pe khanjar-e-bedaad jab chalaa


Jalti zameen pe thaa tanay besar Hussain ka
Maabainay aasmaan-o-zameen hashr tha bapaa
Rothay thay Ahlebait qayamat ka shore thaa
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Maqtal may so rahey thay shaheedaan-e-Karbala


Bey aasraa tha in may aseeraan-e-Karbala
Farsh-e-aza bana tha biyabaan-e-Karbala
Kya shaam thi woh shaam-e-ghareeban-e-Karbala
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Jab kar chukay Hussain ka chehlum aseer-e-gham


Dekha jo mehmiloun ko ronay lagay haram
Baar-e-gham-e-Hussain sey utt tha na tha qadam
Boli yeh sar ko peet ke Zainab ba chashm-e-namm
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

430 Nauha Salaam Marsia Nauha


Maatam se shaahey deen ka abhi jee nahin bharaa
Mausam gham-e-Hussain ka pal may guzar gayaa
Har lamha zindagi sey rahega yehi gilaa
Haq toh yeh hai ke hum se adaa haq na ho sakaa
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Ya Rab gham-e-Hussain malay hayaat ho


Yeh saans jab talak chalay seenay pay haath ho
Ashk-e-gham-e-Hussain hi raahey najaath ho
Lab par yehi fughaan rahey din ho ke raat ho
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Seenay pa daag-e-maatam-e-Shabbir hai ayaan


Chashm-e-aza sey hotha hai khoon-e-jigar ravaan
Jab takh fareed hai yeh zameen aur aasmaan
Hontoun pa taa ba hashr rahegi yehi fughaan
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 431


Salwaatho salaam aap pay ya Fatima Zehra
Hum aaye hain pursey ke liye ya Fatima Zehra

Hum dethay hain pursaa tumhey Abbas-e-jari ka


Aur Akbar-e-dilgeer ka ya Fatima Zehra
Salwaatho salaam aap pay ya Fatima Zehra
Hum aaye hain pursey ke liye ya Fatima Zehra

Paamaal kiya Qasim-e-beykas ki laash ko


Kubra ko bhi beyvaa kiya ya Fatima Zehra
Salwaatho salaam aap pay ya Fatima Zehra
Hum aaye hain pursey ke liye ya Fatima Zehra

Bedi pinhaaye dobri badan zakhmi kar diya


Sajjad pa yeh zulm kiya ya Fatima Zehra
Salwaatho salaam aap pay ya Fatima Zehra
Hum aaye hain pursey ke liye ya Fatima Zehra

Abbas jo lashkar ka tha sarwar kay Alamdaar


Darya pa usay qatl kiya ya Fatima Zehra
Salwaatho salaam aap pay ya Fatima Zehra
Hum aaye hain pursey ke liye ya Fatima Zehra

Kaanou sey Sakina ke utharey gaye gauhar


Zainab ki bhi chheeni hai rida ya Fatima Zehra
Salwaatho salaam aap pay ya Fatima Zehra
Hum aaye hain pursey ke liye ya Fatima Zehra

*****

432 Nauha Salaam Marsia Nauha


Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna

Leygaa na jaaney kithni yeh karwateyn zamaana


Chaahey har ek shaih ko duniya ki bhool jaana
Ujjdaa jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna
Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna
Karbobala kay khooni manzar ko yaad rakhna

Aagosh mai tumhaari maasoom koyi aaye


Aur pyaar sey koyi maa jhoola usay jhulaaye
Banu ki beybasee ko Asghar ko yaad rakhna
Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna

Tumko Khuda dikhaaye khushiyon ka har saveira


Qismath sey jab bhi baandho apney pisar kay sehra
Qaasim ko yaad rakhna Akbar ko yaad rakhna
Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna

Taqdeer sey kisi par aajaaye jab yateemi


Furqath mai baap ki jab marjaaye koyi bachchi
Aulaad waalo meri dukhtar ko yaad rakhna
Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna

Dekho na zindagi mai marnaa jawaan pisar ka


Betay ka daag dil par hothaa hai umr bhar ka
Laila ki hasrathoun ko Akbar ko yaad rakhna
Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna

Behnou ko betiyoun ko jab bhi ridaa udhaana


Hum beykasoun ko hargiz dil sey nahin bhulaana
Meri bahen kay sar ki chaadar ko yaad rakhna
Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna
Salaam Marsia Nauha Nauha 433
Betoun ko jo na royee qurbaan kar kay mujh par
Aur sar nahi utthaaya ehsaan karkay mujh par
Uss jaan nisaar meri khawhar ko yaad rakhna
Aye momino payaame Sarwar ko yaad rakhna

*****

Maula haq Imam ya Hasan, ya Hussain, ya Hussain

Woh Abid-e-beemaar thaa


Chalney sey jo lachaar thaa
Aur Shaam ka bazaar thaa
Aur Mustafa ki betiyaan
Maula haq Imam ya Hasan, ya Hussain, ya Hussain

Woh har sitam sehthaa rahaa


Paaoon sey khoon behthaa rahaa
Rokar jo yeh kehtha rahaa
Zulm-o-sitam ki daastaan
Maula haq Imam ya Hasan, ya Hussain, ya Hussain

Woh bawafaa Abbas thaa


Pyaason ka jo ek aas thaa
Paani liyaa par na piyaa
Masoom ka ehsaas tha
Ghazi bawafaa, ya Abbas, ya Abbas

Rokar kahey Qasim ki maa


Maaraa gayaa beta jawaan
Aye laal mai dhoondoo kahaan
Mehndi teri sehraa teraa
Maula haq Imam ya Hasan, ya Hussain, ya Hussain

434 Nauha Salaam Marsia Nauha


Shabbir ki woh laadlee
Seenay pay jo Shah kay palee
Jiski abaa bun mein jalee
Moo par tamaachon kay nishaan
Maula haq Imam ya Hasan, ya Hussain, ya Hussain

Woh Zainab-o-Kulsoom thi


Chaadar sey jo mehroom thi
Na mehramon kay darmiyaan
Rothi rahi Shahazaadiyaan
Zainab bey rida, hai Shaam, hai Shaam

*****

Ooncha rahe apna alam


Jab tak hae daure aasman, sunle yeh har peero jawan
Awaaz par Shabbir ki, badhta rahe yeh karwaan
Rukne na paye yeh qadam, ooncha rahe apna alam

Har qalb par chaate chalo, duniya ko batlatey chalo


Ek ek mohaaze zulm ki, tasweer dikhlate chalo
Har dil mein bhar doh Sheh ka gham, ooncha rahe apna alam

Kab tak na maanega koi, woh waqt ayega kabhi


Har qalb par chaa jayega, apna Hussain Ibne Ali
Duniya rahe zere qadam, ooncha rahe apna alam

Jab bhi koi mushkil padi, duniya isi dar par jhuki
Seenon se bal khakar udhar, uthi sada-e ya Ali
Nikla idhar baatil ka dum, ooncha rahe apna alam

Salaam Marsia Nauha Nauha 435


Yeh parchame Abbas hae, tootey diloun ki aas hae
Ab tak isi parcham taleh, zinda kisi ki pyaas hae
Jis ne sahe laakhon sitam, ooncha rahe apna alam

Abbas hai naame wafa, aagaazo anjaame wafa


Moonh modh kar dariya se joh, peetah rahe jaame wafa
Hotey rahe baazu qalam, ooncha rahe apna alam

Jab Karbala yaad aayegi, insaaniyath sharmayegi


Mazloom ki aawaz hai, dil mein utarthi jaayegi
Palteingey phir behkey qadam, ooncha rahe apna alam

Aye naujawanane azaa, tum ho kisi dil ki dua


Taa hashr utth thi hi rahe, seenoun se maatam ki sadaa
Qaem rahe Akbar ka gham, ooncha rahe apna alam

*****

Ya wajiha indallah
Ya wajiha indallah, ishfalana indallah (x2)

Baare ilaaha banke sawali tere huzur


Daman mein apne laye hain bey inteha khusoor.
Lekin hamare sinoun pe matam ka dekh noor.
Apne nabi ke sadqe mei bakshenga tu zaroor
Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

Moula ali ka rabbe jahaan tujko waasta


Ya rab baraye fatema siddiqa tahera.
Dey ilm aur rizq ka saghar bharaa huwa.
Tootey na nemathoun ka mere ghar se silsilaa
Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

436 Nauha Salaam Marsia Nauha


Maalik tujhe imam-e Hasan ka hai waasta.
Jiske lahu se karbobala ki hai ibtidaa.
Haan us imam-e amn ke sadqe mai kibriya.
Is mulk mai ho amn ka parcham khula huwa
Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

Ab waasta Hussain alaihis salaam ka.


Parwardigaar sabr shahe tish na kaam ka.
Jiske laboun pey vird tha tere hi naam ka.
Khanjar taleh jo qaari tha tere kalaam ka
Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

Ya rab tu meri hasthi ko aisa sanwaar dey.


Tu apni rehmatoun se mera ghar nikhaar dey.
Sajjad ka tu sadqayeh parwardigaar dey.
Bimaar ko shifaa de mukammal qaraar dey
Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

Maalik imam-e baqar-o-jafar ka waasta.


Majlis may mai Hussain ki karta hoon ye dua.
Dono ka waasta tujeh deta hoon aye khuda.
Makrooz jo hai ghaib se kar unka karz adaa
Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

Ya rab baraye Musa-e Kazim Ali Raza.


Mashhad mai aur najaf mai jo hai qibla-e dua.
Tu inke waastey se woh aulaad kar atah.
Maa baap jis se shaad ho jinki ho ye sadaa
Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

Salaam Marsia Nauha Nauha 437


Ya rab baraye moula Naqi taqwa-e Taqi.
De jasbaye jihaad-e bashar shaan-e Askari.
Mehdi ka bhi zahoor dikha de isi sadi.
Tere huzoor meri dua hai ye akhri
Ya wajiha indallah, ishfalana indallah x2

*****

Bibi Zehra ye Dua Hai


Ya Fatema, Umme abiha, bint-e-Payambar, Khairun-nisa
Ya Zehra, ya Zehra
Tu hai Siddiqa, tu Tahera aur tuhi shafi-e-roz-e-jaza,
Aye meri bibi, waqt-e-madad hai
Har maatami ke dil ki sada hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2)


Aapke darbar mein
Bibi Zehra ye dua hai

Dast-e-dua ko jab bhi uthaaya,


maanga hai teri chaadar ka saaya, Ya Zehra (x2)
Waqt-e-musibat mein har hussaini,
bus naam tera honton peh laaya
Aye meri bibi, tangh dasth hoon mein,
ye kehke daaman phailaadiya hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein


Bibi Zehra ye dua hai

438 Nauha Salaam Marsia Nauha


Woh bibi jiski hai goudh khaali,
chaukhath pah teri hai woh sawaali, Ya Zehra (x2)
Mujhko bhi dedey Asghar ka sadqa,
maine tere dar sey lou lagaali
Aye meri bibi, jin godhiyoun mein,
aulaad hai woh teri ataah hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein


Bibi Zehra ye dua hai

Joh maaein behnein bay aasra ho,


farsh-e-aza par mehway bukaa ho, Ya Zehra (x2)
Tu unke pardoun ki laaj rakhiyo,
joh teri Zainab ki zaakira ho
Aye meri bibi, zindah rahe woh,
bhaayi joh behnoun ka aasra hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein


Bibi Zehra ye dua hai

Joh tifl rokar padhtay hain nauha,


har aathwi ko bantay hai saqqa, Ya Zehra (x2)
Har roshni ki hai yeh zamaanat,
mei har charaagh-ebazm-e-aza
Aye meri bibi, bujhne na paaye,
Aun-o-Mohammed ka waasta hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein


Bibi Zehra ye dua hai

Salaam Marsia Nauha Nauha 439


Joh apne beton ka bhool kar gham,
karti ho tere, Akbar ka maatam, Ya Zehra (x2)
Un maaoun ko tu, dey sabr bibi,
woh phir na dekhe aulaad ka gham,
Aye meri bibi, us maa ko koi,
gham na ho jisko yeh gham mila hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein


Bibi Zehra ye dua hai

Hai yaad ab tak purdard manzar,


pyaase ki gardan, zaalim ka khanjar, Ya Zehra (x2)
Hum tere pyaase bete ka sadqa,
yoon maangthay hain farshe azaa par
Aye meri bibi, aabaad rakhna,
woh ghar ke jis mein farsh-e-aza hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein


Bibi Zehra ye dua hai

Shabbir ki woh mazloom dukhtar,


zindaan se joh, na jaa saki ghar, Ya Zehra (x2)
Sadqe mein uske, hum par karam kar,
bejurm-eqaidi kehte hai rokar
Aye meri bibi, ab yeh aseeri,
ho khatm Abid ka waasta hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein


Bibi Zehra ye dua hai

440 Nauha Salaam Marsia Nauha


Irfan-o-Mazhar yeh chahatey hain,
miljaaye humko bas yeh sa-aadat, Ya Zehra (x2)
Joh aakhri hai hujjath Khuda ki,
hojaaye humko uski ziyaarat
Aye meri bibi, yeh baat woh hai,
joh har Hussaini ki iltejah hai

Bibi Zehra ye dua hai (x2) aapke darbar mein


Bibi Zehra ye dua hai

*****

Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser


Aye Fatima ki Jaan Khuda hqfiz-o-Naser
Ab aglay baras hind may aap aayengay Aaqa
Jeetay rahey khaadim tho tumhey paaengayAaqa
Kuch sharth ghulaami ki bajaa laaengay Aaqa
Aye shiyoun ke mehmaan Khuda hafiz-o-Naser
Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser
Aye Fatima ki Jaan Khuda hqfiz-o-Naser

Kya taaziya khaanou may barasthi hai udaasi


Main tumpey fida aaj woh raunaq nahin kalki
Aawaaz yeh hai har dar-o-diwaar sey aathi
Aye deen ke sultaan Khuda hafiz-o-Naser
Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser
Aye Fatima ki Jaan Khuda hqfiz-o-Naser

Salaam Marsia Nauha Nauha 441


Aye jaan-o-dil-e-Ahmad-e-Mukhtaar sidhaaro
Aye beykason ke qaafila salaar sidhaaro
Khaaliq ki amaan aye Shahey Abrar sidhaaro
Allah nigehbaan Khuda hafiz-o-Naser
Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser
Aye Fatima ki Jaan Khuda hqfiz-o-Naser

Aey Qasim waaye Akbar-e-jarraar sidhaaro


Aey Hazrat Abbas-e-Alamdaar sidhaaro
Aey ghunchadahan bano ke dildaar sidhaaro
Aey Asghar-e-nadaan Khuda hafiz-o-Naser
Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser
Aye Fatima ki Jaan Khuda hqfiz-o-Naser

Ab kaahey ko tashreef yahaan layegi Zehra


Ab kaahey ko yaan bazm-e-aza hoyegi barpaa
Ab kaahey ko yaan hoga azadaroun ka aana
Ghar hogaya sunsaan Khuda hafiz-o-Naser
Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser
Aye Fatima ki Jaan Khuda hqfiz-o-Naser

Ronay hi na paaye tujhey aye kushta-e-aada


Kya jald huva khatm teray gham ka zamaana
Dasveen hai Moharram ki bas ab ho chuka ashra
Baqir teray qurbaan Khuda hafiz-o-Naser
Aye Sarware Zeeshaan Khuda hafiz-o-Naser
Aye Fatima ki Jaan Khuda hqfiz-o-Naser

*****

442 Nauha Salaam Marsia Nauha


Aey noor-e-ain Fatema Zehra na jaayieh
Hum beykasoun ko chodd ke Aaqa na jaayieh
Maula tumhaarey aaney se raunaq gharoun mai thi
Din raat gham tumhaara kiya karte thay sabhi
Muddath yeh doh mahinoun ki maatam mai kat gayi
Raunaq ki jaa hai aaj udaasi baras rahi
Hum beykasoun ko chodd ke Aaqa na jaayieh

Maula tumhaarey taaziya khaaney udaas hain


Jitney tumhaarey shia hain sab beyhawaas hain
Dhaaras yeh thi ke aap ghulaamoun ke paas hain
Ab aap jaa rahey hain toh hum sab hiraas hain
Hum beykasoun ko chodd ke Aaqa na jaayieh

Maula aza ki bazm mai aati thi Fatema


Zehmath yeh doh mahiney utthaathi thi Fatema
Aansoo hamaarey saath bahaathi thi Fatema
Humko duaein deikay hi jaati thi Fatema
Hum beykasoun ko chodd ke Aaqa na jaayieh

Maula ab aap aglay baras hind aayengay


Jeethay hain ronay waaley toh phir tumko paayengay
Maatam karengay aur Alam bhi utthayengay
Waada karo ke aayengay aur sabko laayengay
Hum beykasoun ko chodd ke Aaqa na jaayieh

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 443


Alvida aye Hussain aye Hussain alvida

Alvida aye Hussain aye Hussain alvida


Aye rasoole Mukarram ke chaen alvida

Zeenate doh jahan hae tere naqshe pa


Tere sajde kiye maghrabain alvida

Majlisen teri har ghar mein ho jalwa gar


Tujhko rothi hae duniya Hussain alvida

Chaandni raat par murdhani chaagayi


Kho gaya chaand taaron ka chaen alvida

Sar khule Fatema aa rahi hae nazar


Ro rahe hain shahe mashraqain alvida

Aaj shaame ghareeban ke hain tazkere


Ab bhi roenge hum poori rayn alvida

Hum jiyenge toh agley baras royenge


Phir se hoga yehi shoro shain alvida

*****

Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam


Tujhko vidaa karney ko aaye hain yeh ghulaam

Kaisi udaasiyaan hain yeh ghurbath ka waqt hai


Hum par yeh aaj kaisee museebath ka waqt hai
Bazm-e-Aza sey aapki rukhsath ka waqt hai

444 Nauha Salaam Marsia Nauha


Raunaq hamaarey ghar ki na ley jaayieh Imam
Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

Hum shakl-e-Mustafa Ali Akbar ki woh azaan


Taddpaathi hai hamein Ali Asghar ki hichkiyaan
Ab chhaa rahi hain haaye yeh kaisi khamoushiyaan
Ayyam yeh Aza kay huvey jaatey hain tamaam
Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

Ummul baneen ka laal Alamdaar-e-Karbala


Seenay mein jiskay ghutt gaya armaan jihaad ka
Shaaney bhi uskay katt gaye mashkeezaa chidd gaya
Maatam kareingay royengay hum zindagi tamaam
Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

Ab bhi lahoo rulaathi hai Akbar ki tashnagi


Abbas aur Sakina ki Asghar ki tashnagi
Tuney bhujaayi pyaas mein khanjar ki tashnagi
Aankhon mein leykay aayein hain hum aansuoun kay
jaam
Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

Khaimoun ki aag aur woh har simth shor-o-shayn


Woh al-atash ki goonj woh kamsin labboun kay bayn
Durrey tamaachey aur woh har labb pa ya Hussain
Aankhoun mein ab bhi baaqi hai woh Karbala ki shaam
Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

Akbar salaam aye Ali Asghar tujhey salaam


Farwaa kay chaand Qasim-e-muztar tujhey salaam
Abbas aye Hussain kay lashkar tujhey salaam

Salaam Marsia Nauha Nauha 445


Aye beykas-o-ghareeb meray tashnaa labb Imam
Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

Bas teiray gham kay sadqey mein izzath hamein milee


Maula tera karam hai teri bandhaa parwari
Tujhko hamaari fikr thi rukhsath kay waqt bhi
Hum beykasoun takh aagaya Maula tera salaam
Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

Maula yeh hai Rasheed Shaheedi ki ilteijaa


Pahoonchaadey hum ghulaamoun ko ab jald Karbala
Maatam kareingay phir teray Rauzey pa hum tera
Hum sey na ho saki teri qidmath Shahey anaam
Aye Fatema kay laal tujhey aakhri salaam

*****

Ghurbath mein utt rahaa hai janaaza Ghareeb ka


Arz-o-samaa mein shour hai barpaa Ghareeb ka

Kehtay hain sar ko peet kay sab bekas-o-Ghareeb


Sar sey hamaarey utt gaya sayaa Ghareeb ka

Angoor-e-zehardaar uthartey hi halq sey


Hai hai huvaa hai qalb doh paara Ghareeb ka

Koyi na tha karey jo kifaalath Imam ki


Laasha Taqi ney aakay utthaaya Ghareeb ka

Kyun phatt kay aasmaan na is gham mein gir padey


Maatam hai aaj Khuld mein barpaa Ghareeb ka

446 Nauha Salaam Marsia Nauha


Samsaam ki yeh arz hai ro-ro kay momino
Do Dukhtar-e-Rasool ko pursaa Ghareeb ka

*****

Kar gaye duniya sey qazaa haaye haaye


Beykas-o-mazloom Raza haaye haaye

Baad-e-pidar chaen na ek din milaa


Moreed-e-andoh balaa haaye haaye

Shah ko mamoon ney angoor mein


Zehr-e-halaahal hai diyaa haaye haaye

Misl-e-Hassan hogaya tukkday jigar


Khaathey hi woh zehr-e-daghaa haaye haaye

Juz alam-o-ranj na tha Sheh kay paas


Koyi dum-e-nazaa na tha haaye haaye

*****

Saameray mein ghul hai bapaa haaye haaye


Askari ney ki hai qazaa haaye haaye

Saaya-e-paak-e-Shahey Haadi hasher


Mominoun kay sar sey utthaa haaye haaye

Kehtay hain sar peett kay Saahebuz-Zamaan


Waah Abataah waah Abataah haaye haaye

Salaam Marsia Nauha Nauha 447


Zehr-e-daghaa sey kiya zaalim ney qatl
Aap ko bey jurm-o-khataa haaye haaye

Ahley Haram rothay hain sar peett kar


Waaris-e-Mehboob-e-Khuda haaye haaye

Kuch na kiya paas-e-Imam-e-Zamaan


Baith-ush-Sharaf loot liya haaye haaye

Khuld mein rothay hain Nabi-o-Ali


Peett- thi hain Khairunnisa haaye haaye

Pothay kay maatam mein Hussain-o-Hassan


Khuld mein hain surf-e-bukaa haaye haaye

*****

Maula uttho kay Masjid-e-Kufa udaas hai


Kaisa yeh din hai aaj kay duniya udaas hai

Hasnain beyqaraar hai Zainab hai muztarib


Roohey janab-e-Fatema Zehra udaas hai

Mohtaaj-o-beynavaa-o-yateemon kay daadras


Dekho kay har yateem ka chehra udaas hai

Mushkil kusha Ameer-e-Arab peishwaa-e-deen


Tum kya udaas ho kay zamana udaas hai

Lillah Karbala ka tasavoor na kijiyeh


Dariya-e-Alqama ka nazaara udaas hai

448 Nauha Salaam Marsia Nauha


Aayi hai saher khoon ki surkhi liye huvey
Khaak udd rahi hai Khaana-e-Kaaba udaas hai

Jibreel ki fughaan hai Ali qatl hogaye


Larzaan zameen hai arsh-e-Moalla udaas hai

Beykal hai kainaath hawaein hai muntashir


Larzaan zameen hai jungle-o-sehra udaas hai

Har simth chha gayi hain Qamar yeh udaasiyaan


Toota hai Baab-e-ilm Madina udaas hai

*****

Matam hai fazaon mein Shahey Kaun-o-Makaan Ka

Is gham sey fiza Kufay ki tharraayi huwi hai


Ab arsh pa ashkon ki ghataa chhaayi huwi hai
Aur taaron kay aankhon mein nami aayi huwi hai
Har zarre ki ashkon sey shanasaayi huwi hai

Woh Gham hai kay Islam ka larzaan hai sawairaa


Sakta hai har ek gaam pa sannaaton ka deiraa
Khaamosh fizaaon mein hai har samth andheiraa
Khoon rothaa hai unnisween Ramzaan ka sawairaa

Farqe ShaheyWaala huwa shaq zarbey sitam sey


Maula jo tadapney lagey Sar haathon sey thaamey
Hasnain ney roomaal kasaa sar pa Ali kay
Chehrey ko bhigothay hi bahey khoon kay dhaarey

Salaam Marsia Nauha Nauha 449


Rothay huwey Abbas Ki Maa ney kaha Aaqa
Sadqey karun Abbas ko Tujh par sey Main Maula
Haider ney kaha yeh toh hai Shabbir ka fidiyaa
Aur hoga muhaafiz yehi Zainab ki ridaa ka

Kehney lagay Zainab sey Ali phir yeh tadap kar


Karta hoon Tujhey sabr ki talqeen Meri Dukhtar
Baazu mein rasan hoyegi chhin jaayegi chaadar
Hamraah na hoga koyi juz Abid-e-Muztar

Katt jaayengay Abbas e Alamdaar kay shaaney


Lut jaayega ghar asr ko jal jaayeingay khaimey
Phailengey joonhi shaam e ghareeban kay andheiray
Beti Meri pehraa Tujhey deyna hai akeiley

Zainab Tere aansu nahin Haider ko gawaarah


Karbal mein nahin dega Tujhe koyi dilaasa
Math ro Meri Beti kay abhi zindaa hai Baba
Phir ro diye khud shaanon ko aankhon sey lagaya

Jab sab ko Ali ney kiya Shabbar kay hawaaley


Bey chain huwey suntey hi Abbas kay naaley
Seeney sey laga kar kaha aankhon kay ujaaley
Abbas Tujhe karta hoon Sarwar kay hawaaley

Aansoon nikal aaye junhi lab choomey Hasan kay


Girya kiya Sarwar kay galay kay liye bosey
Phir aakhri angdaayi li aur bachchon sey boley
Karta hoon tumhein Khaliq e Akbar kay hawaaley

*****

450 Nauha Salaam Marsia Nauha


Aaj Koofey main Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain

Aaj Koofey main Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain


Baap ko apne Zehra ke dilbar ro rahe hain

Behrobar mein hae ghul aaj barpa waa Ali ka


Aaj Jibreel arshe bareen par ro rahe hain

Aaj shehzadiyaan hain pareshaan shahe zeeshan


Uthke taskeen doh behre daawar ro rahe hain

Aye yateemoun ke baywoun ke waali shahe aali


Ab na waaris raha koi sar par ro rahe hain

Hae janaaze pah ek shor barpah bekasoun ka


Baap se lipte Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain

Qaak udatey hain sar par nawaase Mustafa ke


Ghar se jaata hae taabotey Hyder ro rahe hain

Aye Himayat azadaare Hyder peeth kar sar


Aaj is tere nauhe ko sunkar ro rahe hain

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 451


Ghurbat ki intehaa hai, Na saaya na ridaaa hai,
Zahra teri lehad par.
Chand pattharon ney milkar,
Mehrooma likh diya hai (x2)
Zahra teri lehad par
Ghurbat ki intehaa hai, Na saaya na ridaa hai,
Zahra teri lehad par

Teeron bhari qabaa thi,


Aur khoon bhari ridaa thi (x2)
Jo Shaam sey bachaa tha, Zainab ney rakh diya hai
Zahra teri lehad par

Do paher dhal rahey hain,


khaiyyaam jall rahey hain (x2)
Tasveer Karbala ki koyi banaa raha hai
Zahra teri lehad par

Zindaan ki ghuttan sey,


Har laash-e-bey kafan say (x2)
Abid ney jo sambhalaa, woh aansoo gir padaa hai
Zahra teri lehad par

Kya yeh daleel kam hai,


Iski kamar main kham hai (x2)
Kaee baar aasmaan ney, sajda adaa kiya hai
Zahra teri lehad par

452 Nauha Salaam Marsia Nauha


Sunkar hawaa bhi royee,
Khud Karbala bhi royee (x2)
Khaak-e-Rahey Najaf ney jo marsiyaa pardhaa hai
Zahra teri lehad par

Teray gham ki chand sathrain,


Kaam aayegi lahadh mein (x2)
Bakhshish Aqeel ki hai, yeh nauha jo likhaa hai
Zahra teri lehad par

*****

Salaam Marsia Nauha Nauha 453


Chaen duniya mai miley raahath-e-uqbaa miljaaye
Shiddath-e-ishq miley gham ka saliqaa miljaaye
Kaasa-e-dil liye haazir hain dar-e-daulath par
Fatema aapki aulaad ka sadqaa miljaaye

Allama Akhtar Zaidi Sahab Qibla

Wajood-e-Haq sey yeh saara nizaam Qayam hai


Kisi kay faiz sey yeh intezaam Qayam hai
Woh aur hongay yateemaney mazhabo millath
Hamaarey sar pey hamaara Imam Qayam hai

Sumsaam Ali Gauhar

You might also like