Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 3

Sunday, 13 October 2013

Taleem Ka Asal Maqsad Sirf Degree Hasil Karna Nahi..

Education Or Just Degree??

Taleem Har Insaan Ki Bunyadi Zaroriyat Main Se Aik Hai.


Taleem Ka Pehla Maqsad Insaan Ki Zehni Aur Rohani
Nashunuma Karna Hota Hai. Taleem Kissi Bhi Qoum Aur
Masherey Ke LiyeTarraqqi Ki Zamanat Samjhi Jati Hai.
Taleem Aik Aisi Doulat Hai Jo Bantne Se Kam Nahi Hoti Balkey
Barhti Hai. Magar Taleem Hasil Karne Ka Maqsad Sirf School,
College Yah University Se Koi Degree Lena Nahi Hai Balkey
Taleem Ka Asal Maqsad yeh Hai Ke Insaan Main Sha’or Paida
Ho, Woh Achey aur Burey Main Farq Samajh Sakey aur Is Ke
Sath Sath Insaan Main Tehzeeb aur Tameez Paida Karna bhi
Taleem Ke Maqasid Main Shamil Hai.
Magar Aaj Ke Dor Main Taleem Ka Mayar Roz Baroz Girta
Chala Jaraha Hai. Log Ab Taleem Se Ziyada Sirf Degree ke
Husol Main Dilchispi Le Rahe Hain. Ab Log Taleem Hasil Karne
Ke Liye Nahi Parhte, Woh Sirf Isliye Parhte Hain Ke Unhain
Degree Mil Jaye To Woh Job Kar Sakain. Jiss Ke Liye Students
Ki Aksariyat Aaj Kal Sirf Selective Course Parhne Par Hi Iktifa
Karti Hai Ke Agar Hum Ne Yeh Yeh Waley Sawal Yad Karliye
To Hum Pass Hojayain Ge. Hum Main Se Kafi Students Examz
Se Aik Mahine Pehle Parhte Hain Balkey Kuch To Parhte Hi
Nahi Sirf Paise Ke Zor Pe Pass Hojate Hain Yah Humare
Siyasat-dano Ki Tarah Jali Degree Banwa Lete Hain Jiss Se Un
Ke Pass Degree to Aajati Hai Magar Ilm Nahi Aur Isi Wajah Se
Society Main Buraiyan Phelti Hain Jo Ke Mulk-o-Qoum Ko
Mazeed Pisti Main Dhakeel Rahi Hain.
Humain Yeh Samajhna Hoga Ke Taleem Sirf Rozgar Hasil
Karne Ka Certificate Nahi Hai, Is Ka Asal Maqsad Qoum Ke
Afrad Ko Ba-Sha’or Banana hai Kyun Ke aik Ba-Shaor Admi hi
Sahi Aur Ghalat Ke darmiyan Farq ko Samajhne Ke Kabil Hota
Hai. Usey Apne Huqooq Ka Pata Hota Hai Aur Woh Janta Hai
Ke Usey Ghalat Baat ke Khilaf Apni Awaz Uthani Hai Aur Khud
Bhi Ghalat Kamo Se Bachna Hai. Magar Aaj ke Dor Main Aap
Ko Aise Bohat Se Log Milain Ge Jo Well Educated Family Se
belong Karte Hain Magar Us Ke Bawajod Un Ke Yahan Beti Ke
Paida Hone Pe Mardon Ka Moun Ban Jata Hai, Jahan Bhari
Jehez Na Diya Jaye To Shadi Tor Di Jati Hai, Jahan Buzrogon
Ki Dant Yah Nasihat Sunney Ko Apni Toheen Samjha Jata Hai
Aur Unhain Bojh Samajh Kar Edhi Homes Chor Diya Jata Hai,
Jahan Ghalat Ko Ghalat Nahi Samjha Jata Na Hi Us Ke Khilaf
Awaz Uthai Jati Hai. Aisi Kai Misalain Aur Bhi Hain Main
Society Ki Un Buraiyon Ki Baat Karahi Hon Jo Ke Ab Bohat
Aam Hoti Jarahi Hain. Hum Jab Koi Burai Dekhte Hain To
Kehte Hain Ke Yeh To Taleem Ki Kami Ka Natija Hai, Magar
Tab Kiya Kara Jaye Jab Us Burai Ke Peechey Aik Educated
Shaks Ho? Meri Aik Dost Ki Mangni Shadi Se Sirf 2 Months Pehle
Sirf Isliye Tor Di Gayi Kyun Ke Larkey Walon Ko Jehaz Main
Aik Alag Ghar bhi Chahiye Tha Aur Meri Dost Ke Walid Itna
Afford Nahi Kar Sakhte The Lehaza Larkey Walon Ne Bagair
Koi Lehaz Kiye Mangni Tor Di, Halanke Larke Wale Achey
Educated Log The, Khud Larka Ne MBA Kiya Hua tha Magar Us
Ke Bawajod Bhi.....
Meri Nazar Main In Sub Ki Yehi Wajah Hai Ke Hum Ne Ab
Taleem Ko Bas Paise Kamane Ka Zariya Samajh Liya Hai. Aur
Hum Main Se Ziyada Tar Sirf DEGREE Hasil Karne hi  Taleem
Hasil Karahe Hain. Taleem Ka Asal Maqsad to Hum Bhol Hi
Chukey Hain. Lehaza Ab Is Baat Ki Sakht Zarorat Hai Ke Hum
Taleem Ke Asal Maqsad Ko Samajhte Hue Taleem Hasil Karain
Aur Sirf Dunyawi Taleem Hi Nahi Balkey Deeni Taleem Par Bhi
Tawaja Dain Tab Hi Hum Aik Achey Insaan Aur Aik Achey
Shehri Ban Sakain Ge. Is Silsiley Main Astadza(teachers) Bohat
Ehem Kirdar Ada Kar Sakhte Hain Kyun Sirf Wohi Hain Jo
Shuru Se Bachon Main Sha'or Paida Kar Sakhte Hain, Unhain
Sahi aur Ghalat Ka Farq Samjha Sakhte Hain aur Un Ki
Tarbiyat Is Tarah Kar Sakhte Hain Ke Woh Taleem Ke Asal
Maqsad Se Roshnas Ho Kar Ache Insaan Aur Shehri Ban Sakain

You might also like