Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 24

‫پاکستان میں نفاذ اسالم کے‬

‫لئے کوششیں‬
Presented By:
Shanza Anees Fa-2020-BS Chem-016
Presented to:
Ma’am Nusrat Rehman
1977 sy qabal Islami nazam k
nafaz k liye ki jany wali koshishyn
❑Qarardad-e-Maqasid:
Pakistan mn Islam nafiz krny ki ibtada qarardad-e-maqasid sy hui. Jis ko
nawabzada Liaqat Ali Khan ny aiyn k maqasid k tahat 12 mar,1949 ko
dastoor saz assembly mn paish kia. Is mn ehd kia gia tha k mumliqat
khudadad Pakistan mn Islami taleemat k mutabiq jamhoriyat, azadi,
musawat, rawadari or moasharti insaf k asoolon pr amal kia jy ga or
musalmanon ko is qabil bnaya jy ga k wo apni infaradi or ijtamai zindgion
ko quran o sunnat kmmutabiq dhal skyn . Is mn is bt ki b zamanat di gai
thi k tamm shahriyon ko inky bunyadi haqooq sy mahroom nhi kia jy ga.
‫ آئین‬-1956
1956 k aiyn mn kai Islami dafat shamil ki gai thn. Jin k mutabiq
koi ghair muslim sadar mumliqat k uhdy pr faiz nhi ho skta.
Pakistan mn musalmanon ko ye mawaqy hasil hn gy k wo apni
zindgion ko infaradi or ijtamai tor pr Islami taleemat k mutabiq
dhal skyn. Wo hidayat jin ka makhiz Quran Pak or sunnat-e-Nabi
ha mulk mn mutarif krwayi jayn gi. Iqtadar-e-aala ka malik Allah
tala ki zaat ha.
❑‫ آئین‬-1962
1962 ka aiyn sadar Ayub Khan ny nafiz kia. Unhon ny aiyn mn kai Islami dafat shamil
ki. Jin mn Muslim sadar Pakistan, aiyn sazi ki bunyad Islam, aqliyatoon k huqooq ki
farahmi or iqtadar-e-aala ka malik Allah shamil thn.
❑‫ آئین‬-1973
Bhutto dor mn sadar k sath sath wazir-e-Azam ka musalman hona, sood k khatmy,
Islami qawaneen k nifaz, sharab noshi or asmat farooshi k khilaf qawaneen ka ilan kiya
gia. Itwar ki bjay juma ko haftawar tatil qarar diya gia. Phli dafa musalman ki tareef ki
gai or Pakistan ka srkari mazhab Islam ko qarar diya gia.
1977 ki Zia-ul-Haq ki haqumat
k Islami iqdamat
1977 mn General Zia-ul-Haq ny 1973 k aiyn ko moatil kr k mulk mn tesra marshal law
lga dia or shuru mn hi kai Islami iqdamat kiye. Nafaz-e- Islam k hawaly sy General Zia-
ul-Haq k dor ko sunehri dor qarar dia gia.
❑Zakat-o- ishrat ka nizam
20 Jun,1980 ko mulk mn zakat-o-ashar ka nizam qaim kia gia. Is nazam k tehat hr saal
yaqam Ramzan ko banks mn jama shuda raqam or savings accounts pr zakat ki katooti
ki jati ha or ye raqam zakat councils k zariye mustahiqeen mn taqseem ki jati ha. Nazam
ashar 1983 mn nafiz kia gia jis k mutabiq salana paidawar ki makhsoos had ka 10%
ashar wasool kia jata ha.
❑Sharai hadood ka nifaz
12 Rabi-ul-Awal 1399 ko Eid milad Nabi (S.A.W) k Mubarak moqy pr 10 Feb,1979 ko
Islami hadood ka ordinance nafiz kia gia jis k mutabiq choori, sharab noshi, zana or
qazaf k juraym pr Islami sazayn nafiz ki gai.
❑Sood ka khatma
1 Jan,1981 sy nafa-o-nuqsaan ki bunyad pr khaty khol kr sood sy pak bankari k
marhalywar program ka aghaz kia gia or 1 jul,1984 sy tamam saving accounts ko P.L.S
(Profit and Lose Sharing Accounts khaton mn tabdeel kr dia gia.
Sharai Adalton ka qiyam
10 Feb,1979 ko Eid Milad Nabi (S.A.W) k Mubarak moqy pr
aik ordinance k zariye tamam high courts mn shariyat bench
qaim kr diye gy jin mn ulma karam ko qazi mukarar kia gia.
May 1980 mn shariyat bencho ki jaga wafaqi adalat qaim ki gai
jis ka sadar daftar Islamabad mn tha. Ye adalat matehat
adalaton k faislon k khilaf apeel sunti or islam ki tashree krti
thi. Ye adalat islam sy mutsadam qawaneen or iqdamat ko
kaladam qarar dy skti thi.
❑Ihtram-e-Ramzan ordinance
June 1981 ko Ramzan k ihtram k liye khasoosi aik ordinance jari kia gia. Jiske tahat
ihtaram Ramzan na krny walon ko 3 mah qaid or 500 rupy jumana ki saza di ja skti thi.
Albata hospitals, airports, bandargahyn or railway stations is ordinance sy mushtana
hon gy.

❑Islamiyat ki lazmi Talim


1979 mn taleemi nazam ko islam sy hmahang krny k liye matric, inter or degree classes
mn islamiyat ki taleem lazmi qarar di gai.
Nazam-e-Salat
Schools, colleges mn zuhr ki namaz ka ihtamam krny k sath sath
haqumat ny srkari daftar mn bajamat namaz prhny k liye
bandobast krny ka hokum jari kia. Har muhaly mn naik or saleh
logon ko nazmeen Salat muqarar kia gia. Salat committees bnai
gai ta k logon ko namaz ki trf ragib kia jy.
❑Arbi ki lazmi taleem
1979 mn taleemi policy pr nazar sani krty huy hakumat-e-Pakistan ny schools mn class
6 sy class 8 tk Quran Majid ki tadrees k sath sath arbi zuban ki taleem lazmi qarar di gai.

❑Bain-ul-aqwami university ka qayam


2 Jan,1981 sy7 Islamabad mn shariyat faculty or bain-ul-aqwami Islami university ny
kam shuru kr dia or Islami qawaneen k bary mn tahqeeq ka aghaz kia.
❑Deni madaris ki sarparasti
Is dor mn Pakistan k Deeni madaris k bary mn inqalabi iqdamat kiye gay. Deeni madaris ki hr
trah sy sarparasti ki gai. Unko mali imdad ka intizam kia gia or inki asnad ko B.A or M.A k
barabar darja diya gia.

❑Adalti tareeq qar ki islah


Adalton mn judges k liye British dor k libas ki jaga shairwani or shalwar ko dy di gai. Judges ko
khatab krny k liye My Lord or You Lordship ko janab wala or janab aali k ilfaz sy badal dia gia.
Nashryati idaron ki islah
Radio, T.V ki islah k liye ye iqdamat kiye gay:
1. Ghair shareefana or ghair Islami programs pr pabandi lga di gai
2. T.V pr khwateen to dupatta orhany k ihqamat jari kiye gay.
3. Quran Pak or arbi ki taleem ka ihtamam radio or T.V sy kia gia.
4. Zaray ablag ko Islami qawi jazbat ubharny k liye ihkamat jari kiye gy.
5. Hajj or deni taqreebat, shabeena ki mahafil T.V pr dikhai jany lgi.
6. Azan ki ibtida.
❑Qasas or diyat ka qanoon
Aik sadarti ordinance k zariye qasas or diyat ka Islami qanoon nafiz kia gia.

❑Qarardad-e-maqasid aiyn ka mustaqil hisa


General Zia-ul-Haq ny 1973 k aiyn mn 1985 mn tarmeem kr k qarardad-e-
maqasid ko aiyn ka baqaida hisa bna dia.
Islami nazariyati council ki
tashqeel no
Islami nazaryati council ki karkrdgi ko bhtr bnany k liye iski
tanzeem-e- noo ki trf khasoosi tawajo di gai. Isky irkan ki tadad
brha kr 20 kr di gai. Is council mn hr mktaba mufakir k ulmam
ko qanoon ki numaindgi di gai. Council ny hadood ordinance,
zakat, ashar or sood sy pak moashi nizam k silsaly mn qabil
kadar Khidmat anjam di. Mulh mn Islami nizam k qiyam k bary
mn haqumat ko sifarishat paish krna council k fariaz mn shamil
ha.
Mohtasib aala ka taqarar
Sadar mumlikat ny Jun 1981 mn awam ko beurocracy or aala
hakam k muzalim sy mehfooz rkhny or inki jaiz shikayat k fori
azaly k liye Islami andaz ka naya uhda muhtasib aala k nam sy
tahqeeq krny ka faisla kia. Jan 1983 mn aik khasoosi ordinance
k tahat wafaqi muhtasib aala ka mansb qaim kr dia gia. Chief
Justice Punjab Sardar M Iqbal ka is uhdy pr taqarar hua. Ab tk
hazaron afrad isky zariye insaf hasil kr chuky hn.
Masjid maktab scheme

Ibtadai taleem ko deni maqasid sy hmahang krny k liye


masjid maktab scheme ka aghaz kia gia. 1984 sy 1986 k
doran mulk mn 4182 masjid maktab qaim kiye gay jin mn
bachon ko ibtadai darsi kutub prhai jati. Magar badqismati
sy 1986 mn is scheme ko rad kr dia gia.
Ulma-o-mashaikh ka ihtram
Islami moashry mn ulma deen aham kirdar ada krty hn lekin
sabiqa haqumaton k dor mn ulma-o-masharikh ko wo muqam
hasil nhi rha jis k wo mustahiq thy. Zia haqumat ny phli dafa in
sy rabta qaim kia ta k Islami nizam k qiyam k liye inki aara sy
istafada hasil kia ja sky. Is zaman mn inky convention munaqid
krway gy. Istrah ulma ko hakumat k sath brahy rast baat cheet
krny or apni aara k izhar ka moqa mila. Ulma-o-masharikh ko
hakumat k iqdamat pr jaiz tanqeed ki b ijazat di gai.
Hurmat sahaba karam(R.A)
Sahaba karam (R.A) ki izzat or takreem hr musalman
pr farz ha. khulfa-e-Rashideen or sahaba karam ki
sham mn gustakhi ko qabil girift jurm qarar dia gia.
Mujrim ko 3 saal qaid ba mushaqat or jurmany ki
saza di ja skti ha.
Hajj k liye Saholatyn
Hakumat ny ziyadah sy ziyadah logon ko hajj ki saadat hasil
krny k liye moqy faraham kiye. Kafalat scheme k tahat tamam
log hajj ka fariza ada kr skty hn jinky ikhrajat bairon-e-mulk
muqeemm inky azeez-o-aqarib bardasht kryn. Hajiyon k masail
hal krny k liye “khudam-ul- hajjaj” muqarar kiye gay. Hajion k
rehaish k intazamat ko bahtr bnany k or inhn tibbi saholiat
farahum krny k ly khasosi iqdamat kiye gy. Pakistan house ma
hajion k qayam-o-taam ka ahtreen bandobast kia gia.
Taqreebat
Haqomat ny aham qomi taqreebat ko sarkari sata par manany ka faisla kia.
Rasool SAW ki waladat ko intehae shan-o-shoqat or waqar sy manany ka
enyqad kia jy. Shab-e-Barat or Shab-e-Meraj ki ahmiyat ko ujagar krny k ly
khasosi program muratab jiye jyn gn. Yom e Iqbal ky moqa pr taqreeron or
shairi Iqbal k zariye Allama Iqbal k falsafa-e-hayat or nazriyat par roshni dali jati
ha. Yom e Azadi ko pory mulk ma pory josh-o-kharosh k sath mnany k
ahtamam kia Jata ha. Sarkari or gair sarkari imarat ko bari khobsorti sy sajaya
jata ha. Jalsy or jaloson ka ahtamam kia Jata ha Jin ma tahreek e Azadi ko
shohda ko khraj e tahseen paish kia jata ha.
Muashry ki tashqeel-e-no
Moashry ko Islami shakal deny k liye mulk ma mukhrib ikhlaq literature par
pabundi lga di gae. Motasbana literature ko mamnou qarar dy dia gia kion ka
aisa literature ilaqae, lasani, or firqa wariat ko farog deny ka bais banta ha.
Nasha awar ashya ki khareed-o-farokht or inky istamal par pabundi lga di gae.
Aryani ki bahrti hoe lanat or fahashi k insadad k ly ahkamat jari kiye gy. Rasool
SAW ki Shan Mubarak ma nazyba ilfaz istamal Krny waly shakhs ko sazay e
mouth, umar qaid or jurmany ki saza moqarar kr di gae. 1984 ma haqomat ny
qadyanion ko shoar Islam k nam par istamal Krny pa pabundi lga di chonachy
wo apni ibadat gahon ko masjid nahi kah skty thy.
Shariyat bill ki manzoori
1991 ma shariat act manzor kia gia. Jis k tehat iqrar kia gia
k shariat ki bala dasti qaim rahy gi. Nizam taleem e Islam
ka mutabiq kia jy ga. Pakistan ka moashi nizam Islami
hoga. Bait-ul-Mal qaim kia jy ga jis sy nadaron ki zroriyat
ko pora kia jy or moashry sy buraiyon ka khatma kia jy ga.
Koi bi aesa tax nafiz nahi kia jy ga jo Islam k monafi ho.
Hasil-e-kalam
Islam k nam par ki jany wali ya rayasat IN SHA ALLAH ta
qayamat qaim rahy gi. Zrorat is amar ki ha k hum is haqeeqat sy
ashna ho jayn Kion ka nafaz-e-Islam bahs-o-mobahisy sy hasil
nahi hota isky liye sat zameen parasti or roshan khyali ka naara
lgany waly darasal tareekh k in oraq ko bhol rahy han jo pukar
pukar kr Islam or isk parokaron ki rawayaton ko bhula rahy han.

You might also like