Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 1

Ki hum woh hai jinhe peda hote hi umeedo se laat dia jata hai.....

Phir thode bade hote hi kitabo ka bhoj daal dia jata hai.....

Bade laad se rkha jata hai, bada pyaar kia jata hai.....

Kabhi kabhi gaaltiyon par daat bhi dia jata hai, toh kabhi kabhi sharaaraton par hume maar bhi dia jata
hai.....

Or phir humare rone par hume puchkaar dia jata hai, or bade pyaar se samjha dia jata hai ki tum ladke
ho ese roya thodi jata hai.....

Tumhare aasuon ko tumhare aankhon mein khed kar dia jata hai, tumhari bhaavanon ko tumhare dimag
mein bhaand dia jata hai.....

Tumhari kaabiliyat tumhare marks pein judge ki jati hai, toh tumhari aukaat tumhare kapado se hi bata
dia jata hai.....

Tumhari taakat tumhari bhaajuo se naap li jati hai, toh tumhari khubhsurati tumhare shakal se hi samjh li
jati hai.....

Tumhari naakaamiyaabi par tum par hasa jata hai, toh tumhare safalta par qismat ka tag laga dia jata
hai.....

Tumhare pyaar ko kitna easily chutiyapa kaha dia jata hai, toh tumhare ki gayi cheejo ko pagalpan samjh
lia jata hai.....

Tumhare dil tutne par haath mein madira thama dia jata hai, toh tumhare adhure pyaar ko katwa lia ka
tag de dia jata hai.....

Tumhare feelings ka gala ghot dia jata hai, toh tumhare emotions ko faasi par chada dia jata hai.....

Or badi saralta ke saath kaha dia jata hai ki tum ladke ho ese tuta thodi jata hai.....

You might also like