Hayat Un Nabi 1

You might also like

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 10

HAYAT_UN_NABI

HMARE NABI ZINDA HAIN

Hmara aqeedah h ki hmare pyare AAQA PEACE BE


UPON HIM aur puri dunya ke TAAZDAAR apni qabr
Mubarak mei zinda hain , aur ummat ke sare halaat se
ba khabar hain.
Is baat mei koi shak nahi ki ALLAH PAAK ke qanoon ke
mutabiq un par bhi maut ka lamha taari huwa lekin ye
bs utne lamhe ke liye hi tha jitna ALLAH PAAK ne chaha
phir ALLAH PAAK ne AAP ki ROOH SHAREEF ko APKE
ZISM E MUBARAK mei wapas kar diya.
BAREILLY KE IMAM FARMATE HAIN:
AMBIYA KO BHI AJAL AANI H.. (ajal= maut)
MAGAR AAISI KI FAQAT AANI H…
PHIR US AAN KE BAAD UNKI ZINDAGI…
MISL E SABIQ WAHI JISMANI H…
Yaha ye baat khoob ache se zehen mei rahe ki AMBIYA
KIRAAM ki maut aura am logo ki maut me zameen
aasman ka fark h … hmari zindagi mei hmara koi bas
nahi chalta aur naa hi hmse aakr FARISHTA hmse ijazat
HAYAT_UN_NABI
HMARE NABI ZINDA HAIN

leta h lekin ALLAH NE APNE NABIYO ko ye martaba diya


h ki MAUT KA FARISHTA begair UNKI ijazat ke unki
ROOH qabz nahi kar sakta
MUSLIM SHAREEF mei ye HADEES PAAK maujood h ki
jb HAZRAT MUSA PEACE BE UPON HIM se bina ijazat ke
FARISHTE ne unse se kaha ki mei AAP ki ROOH qabz
karne aaya hu to HAZRAT MUSA PEACE BE UPON HIM
ne unhe thappad mara jis se unki aankh bahar aagayi.
Ye ALLAH KE NABIYO ki shan hoti h wo ALLAH sab se
pyare bande hote hain UNHE hm apni zindagi par qayas
nahi kar sakte.
Ye koi afsana nahi, ye koi khud ka bnaya huwa aqeeda
nahi, ye khud MUSTAFA JAAN E RAHMAT ka farmaan h
jis par 1400 saal se puri UMMAT yaqeen karti chali aa
rahi h.
150 saal se pehle puri ISLAMIC LITERATURE kahi ap ko
ye nahi milega ki kisi ne bhi HAYAT UN NABI ka inkaar
kiya ho, ye 150 saal mei YAHUDIYO AUR ANGREZO ke
hatho par apna imaan bechne walo ne ye inteshaar
HAYAT_UN_NABI
HMARE NABI ZINDA HAIN

UMMAT me phailaya, maqsad sirf ye tha is UMMAT ka


apne NABI ke sath jo qalbi Rishta h usko khatm kar diya
jaye.
Ab aaye Mei aap ko QURAN O HADEES ka bayan aaap
ke saamne rakhta hu uske baad faisla aap ke hath mei
hoga , QAYAMAT ki din kisi ko ye kahne ka bahana nahi
hoga ki hm tak QURAAN O HADEES se dalel nahin
pahunchi thi is liye hm TERE HABEEB PEACE BE UPON
HIM ki hayaat ka inkaar karte rahe

MUSTAFA JAANE RAHMAT PEACE BE UPON HIM


IRSHAAD FARMATE HAIN AMBIYA APNI QABRO
MEI JINDA HOTE HAIN AUR NAMAAZ PADHTE
HAIN(FATHUL BARI, JILD 2 PAGE; 935)

Dekhye kitne saaf laafzo mei MUSTAFA JAANE


RAHMAT PEACE BE UPON HIM irshaad farma rahe hain
ki TAMAAM AMBIYA apni qabro mei jinda bhi hain aur
namaz bhi padhte hain
HAYAT_UN_NABI
HMARE NABI ZINDA HAIN

Jb aaj ka MUSALMAN ye aqeeda rakhta h to BIDA’ATI


log mazaak bnate huwe kahte hain ki btao wo zinda
hain to khate kya hain? ?saans kaise lete hain?
Un aqal ke andho se kahta hu tm kiska Mazak bna rahe
ho? APNE NABI KE FARMAN KA? jo kaam hazaroo saal
se gair muslim log karte aaye the ki wo HADEES E
MUSTAFA KA mazaak bnate the ab wo zimma tmne
apne sir le liya ? Shayad tm jaise logo ke liyee si ne ye
sher kaha tha :
Paida huwe MUNAFIQ to IBLEES ne kaha….
Lo aaj hm bhi sahib e aulaad ho gaye….

RASOOL ALLAH PEACE BE UPON HIM NE IRSHAAD


FARMAYA KI SAB SE BEHTAR DINO ME SE JUMA KA DIN
H ISLIYE JUME KE DIN TUM MUJH PAR JYADA SE JYADA
DUROOD BHEJA KARO, Q KI TMHARA DUROOD MUJH
PAR PESH KIYA JATA H. SAHABA NE ARZ KI YA RASOOL
ALLAH PEACE BE UPON YOU JAB AAP INTEQAL KAR
JAYENGE TB AAP PAR HMARA DUROOD KAISE PESH
HAYAT_UN_NABI
HMARE NABI ZINDA HAIN

KIYA JAYEGA, RASOOL ALLAH PEACE BE UPON HIM NE


IRSHAAD FARMAYA ; BE SHAK ALLAH NE ZAMEEN PAR
HARAAM KAR DIYA H KI WO NABIYO KE JISM KO
KHAYR TO ALLAH KE NABI ZINDA HAIN AUR RIZQ DIYE
JAATE HAIN.(MISHKAAT SHAREEF, HADEES NO:1315)
MUSTAFA JAANE RAHMAT PEACE PE UPON HIM IRHAD
FARMATE HAIN JAB KOI BANDA MUJHE SALAAM
KAHTA H ALLAH PAAK MERI ROOH KO MUJH PAR
WAPAS KAR DETA H YAHA TAK KI MEI USKE SALAAM
KA JAWAB DETA HU ( SBU DAWOOD SHAREEF, HADEES
NO:2041)

Kitna sukoon dene wala h irshaad h MERE AAQA KA


PEACE BE UPON HIM ki aj se le kar qayamat tak jo koi
jaha se bhiho, chahe wo MADINA SHAREEF me hon ya
phir HINDUSTAN me jab kabhi wo mujhe salaam karega
to mei uske salaam ka jawab dunga. Janab aap ko naaz
hoga kia ap ko fala mantri salam karta h, hm faqeero se
bada BADSHAH is jahan mei koi nahi KI ALLAH KE
HAYAT_UN_NABI
HMARE NABI ZINDA HAIN

HABEEB KAINAAT KE MALIK HMARE SALAM KA JAWAB


IRSHAAD FARMATE HAIN
Is HADEES E PAAK me h ki “meri rooh waps” kar di jaati
h iska matlab har giz ye nahi ki pehle ROOH badan mei
nahi thi baad me waps ki jaati h.. iska matlab bayan
karte huw SHAIKH ABDUL HAQ MOHADDIS DEHLVI
farmate hain ; iska matlab ye h ki ALLAH PAAK RASOOL
ALLAH PEACE BE UPON HIM ki tawajjo salaam padhne
wale ki traf fer deta h is se pehle RASOOL ALLAH PEACE
BE UPON HIM ALLAH PAAK ke jalwo me khoye rahte
hain, aur aisa zahri hayaat mei bhi hota tha ki jb
RASOOL ALLAH PEACE BE UPON HIM par WAHI naajil
hoti to kuch der tak kisi se kuch baat na karte phir jab
thoda waqt guzar jata to farmate ki MERI ROOH MUJH
PAR WAPS KAR DI GAYI H
MUSTAFA JAANE RAHMAT PEACE BE UPON HIM
IRSHAAD FARMATE HAIN MEI MERAAJ WALI RAAT
HAZRAT MUSA PEACE BE UPON HIM KI QABR KE PAAS
SE GUZRA TO WO APNI QABR MEI KHADE HO KAR
HAYAT_UN_NABI
HMARE NABI ZINDA HAIN

NAMAZ PADH RAHE THE (MUSLIM SHAREEF, HADEES


NO;2375)

IN AHAADES PAAK ko padhne ke baad ye baat rooz e


roshan kit rah wazah ho jaati h ki ALLAH KE NABI apni
qabro mei zinda h wo namaz bhi padhte hain UMMATI
ke salaam ka jawab bhi dete hain.

Meine upar bhi zikr kiya tha ki HAYT UN NABI ka


aqeeda 1400 saal se chala araha h jisme kabhi kisi
MUSALMAN ne inkaar nahi kiya, haan 150 saal pehle
YAHIDYO ke paise kha kar ye fitna paida huwa jisne iska
inkaar kiya.
Aab aaye mei aap ko 1400 saaL ke UMMAT ke ulma ka
aqeeda bayan karta hu jis se HAQ suraj ki trah roshan
ho jayega… han agr kisi ki aankhe andhi ho chuki h to
phir suraj ki roshni mei bhi use kuch dikhai nahi de
sakta.
HAYAT_UN_NABI
HMARE NABI ZINDA HAIN

IMAM BEHAQI (458 HIZRI) YE AJ SE QAREEB 1000 SAAL


PURANE IMAM H INHONE IS TOPIC PAR PURI EK KITAB LIKHI JISKA
NAAM HI “HAYAT UL AMBIYA” RAKHA

IMAM SYUTI(900 HIZRI) NE APNI KITAB “HAWI LIL


FATWA MEI” LIKHA
IMAM SAMHOODI (800) NE APNI KIYAANB “WAFA
ULWAFA “ME ISE ABYAN KIYA
IMAAM SHARANI (900HIZRI) NE”KASHFUL
NGUMMAH” ME
IMAM ZURQANI (1000 HIZRI) NE “SHRAH ZURQANI”
ME
IMAM ALLAMA ALI QAARI (900HIZRI) NE “MIRQAAT”
ME
IMAM SUBKI NE(800 HIZRI) “SHIFA US SIQAAM” ME
SHABUDDIN KHIFAJI(1000 HIZRI) NE “NASEEM UR
RIYAZ”ME
ALLAM SAWI (1240HIZRI) NE “TAFSEER SAWI” ME
HAYAT_UN_NABI
HMARE NABI ZINDA HAIN
SHEIKH ABDUL QADIR JILANI(560 HIZRI) “ SIRRUL
ASRAAR “ME
ALLAMA AALUSI BAGDAGI(1100 HIZRI) NE “ROOH UL
MA’ANI” ME
ALLAMA AINI NE(800 HIZRI) “UMDATUL QARI SHRAH
SAHI BUKHARI” ME
IMAM ABDUR RAUF(952 HIZRI) NE “FAIZ UL QADEER”
ME
IMAM IBNE HAZAR ASQALANI( 800 HIZRI) NE “ FATHUL
BARI SHRAH SAHI BUKHARI “
IMAM RAAZI NE(600 HIZRI) “TAFSEER KABEER” ME
ALLAMA ISMAIL HAQQI(1000 HIZRI) NE “TAFSEER
ROOHUL BAYAN” ME
Ye kuch mash’hoor ULMA E ISLAAM aur unki kitab ka
naam h jisme HAYAT UN NABI ke mas’ale ko saaf lafzo
mei bayan kiya gaya h,aap inlogo ka zamana dekhye
inme se koi bhi BAREIILY mei paida nahi huwa.. lekin
aqeeda wahi bayan kar rahe hain jo BAREILLY KE
IMAMA ne kaha tha
HAYAT_UN_NABI
HMARE NABI ZINDA HAIN

CHAMAK TUJH SE PAATE HAIN SAB PAANE WALE…


MERA DIL BHI CHAMKA DE CHAMKANE WALE..
TU ZINDA H WALLAH TU ZINDA H WALLAH…
MERE CHASME AALAM SE CHUP JAANE WALE

You might also like