My Poetry

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 3

1

Aage aaj mere gehri ek khayi hai,


Mere kalam ki shayahi bhi khatam hone ko aayi
hai,
Charo taraf bas tanhayi hi tanhayi hai,
Chaliye,koi baat nhi, mujhe inn sabki aadat hai,
Akhir maine pehle thokar-e bhi bohut khayi hai

2
Zindagi main,
Mushkilo se guzarna aana zaroori hai,
Jahaan main naam kamaana zaroori hai,
Manzil ki our badhate jaana zaroori hai,
Par ae musafir bhul na jaana,
Har vakt, har kadam par,
Zindagi se dostaana zaroori hai.

3
Ye zindagi kaha, zameen kaha, aasmaan kaha,
Ye jahaan kaha aur hum kaha
Hum toh sitaaro se upar hai, sitaare niche reh gaye
Hum zamaane se aage bhadh zamaane piche
rehgaye

4
Agar kabhi marne ka khayal aaye,
Ek baar zindagi khul ke jeeke dekhiye,
Khayal badal jayega
Phir agar kabhi kissi pe marna sikh gaye,
Shayad vapas aapka phesla badal jayega,
Aur phir mukadar apna khel dikhayega

Agar kabhi unse juda hojaoge,


Toh raato se neend khafa hojayegi,
Tanhayi kuch aisi jo bohut satayegi,
Dil gam mein dubta jaega,
Zakhm aisa jo marham bhi na bhar paega,
Aur phir mukadar apna khel dikhayega

Phir shayad raaste mein unse mulakat ho


jayegi,
Unse muktasar si baat ho jayegi,
Phir halka sa ikraar hoga,
Man ki baato ka izhaar hoga,
Tab vo zakhm bhar jayega
Zindagi jeene aur bitaane ka maza unke sang hi
ayega,
Aur phir mukadar apna khel dikhayega…

You might also like