deeksha deta hai, ya vo mujhe unka saath dene ki deeksha deta hai jinke saath anarth hua hai? Kintu anarth ki paribhasha kya hai? Kya tab anarth hua tha jab maine Draupadi ke cheerharan ke samay kuch na kaha? ya fir jab maine jooye ke khel ko nahi roka? Aaj main iss padav par hun jahan ek oor parivar hai aur dusri oor bhi parivar hai, par ek oor sneh ki bhavna aur dusri oor ghreena ki bhavna kyon hai? Mujhe hamesha hi Arjun se sneh tha, Pithamah ki padvi usi ne to di thi mujhe, par aachank mujhe Durdhyodha ke prati ghreena ki bhavna aa rahi hai. Maine apne pita to vachan diya tha ki main sadayev Hastinapur ke sihasan ka saath dunga, par yadi vachan dharam ke aade aaye to main kya kar sakth hun? Par vachan nibhna bhi to mera dharma hi hai. To main kise sahi samajhu aur kise galat? Agar main aaj naa hota to…. Par jo ho gaya aur jo nahi hua uss par chintan karke ab hoga hi kya? Yathsamay mrityu ko sweekar karna bhi sambhav nahi hai, kaayar ki tarah yudh se bhaag nahi sakta, par yudh me veerta dikhane ki shakti mere boodhe hriday me nahi hai. Main kitna bhi sahi- galat pe tark-vitark kar lu, kal bhor ke samay jab yudh shankh ki goonj mere kaano me aayegi, main apna rath to Kauravon ke kheme me hi lagayunga, mere baandh to mere Arjun par hi chalenge, mere sneh par hi chalenge.”