Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 2

Hazrat Ameer muaviya Fazail wa Manaqib

Hazrat Ameer muaviya Fazail wa Manaqib

Hazrat Ameer Muaviya Hazrat ibne Abbas ki Nazar mein

Hazrat Ibne Abbas say Pocha Gaya Kay Aap ka Hazrat  Ameer ul Mominin Ameer Muaviya Kay Baare
Mei Kya Raaye  Hai Jab Ki Wo witar KI Ek hi Rakaat Padhtay Hain Hazrat Ibne Abbas Nay Farmaya BE
shak Wo Faqeeh Hain

*Bukhari Shareef vol 2 page 436*

Jaame Tirmizi mein Baab ul Manaqib Hazrat Ameer Muaviya

*Huzoor ‫ ﷺ‬Hazrat Ameer Muaviya Kay liye Jannat ki Basharat Farmaye Hain*
Nabi Karim irshad Farmate Hain meri ummat mein say Jo giroh Sab Say Pahle Bahri Jihad Kare ga Un kay
Liye Jannat Wajib Hogai bukhari sahrif vol 2 page107 Bukhari sharif Hi mein Dusri Jaga Riwayat Milti
Hai ki sahaba kiram Nay Hazrat Ameer Muaviya Kay Sath milkar Sab Say pahle Bahri Jihad kiya Bukhari
sharif vol 2 page 66,67

*Huzoor ‫ ﷺ‬Nay Hazrat Ameer Muaviya Ko Duayen Di Haain

Huzoor‫ ﷺ‬Nay Hazrat Ameer Muaviya kay LIye Dua farmai ki “ aye Allah is {Ameer
muaviya} ko ilm Ata Farma isko Hidayat Ka Rasta Dikhane Wala Aur Hidayat Yaafta Bana Aur Isko
Hidayat Ata Farma Aur Iskay Zariye  Dusron Ko Hidayat Ata Farma
 *{kanzul umal vol13 page 349}*
Tirmizi Ki Bab ul Manaqib Mein Hadees Hai ki”Hazrat Omer Bin KHattab nay Hamas bin Umair bin
Sa,ad Ko Maazol Kar Kay Hazrat Ameer Muaviya ko Waali Banaya tu Logon Nay kaha Aap Nay Umair
 Ko Maazol Kar Kay Hazrat Ameer Muaviya ko Ameer  Muqarar Farma Diya is per Hazrat Umair
Nay Kaha Hazrat AmeerMuaviya Ka zikr Khair say Hi Kiya Karo Kiyun Kay Main Nay Nabi Karim Ko
Farmate Suna Ya Allah in {Ameer Muaviya }Kay Zariye Logon ko Hidayat Day [Jame Tirmizi vol 2
page755]

https://786sho.blogspot.com/2017/08/hazrat-ameer-muaviya-fazail-wa-manaqib.html

You might also like