Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 2

Quran Majeed mei jitni bhi Quomo ka ba-qaida naam le kar zikar hua ha.

Un mei se sirf aur sirf Bani-Israel hai jo aaj bhi


dunya mei abad hai. Baki jitni bhi quomei hai wo sab ki sab Allah k azab mei mubtla hui aur nist-o-naboot ho gai.

Ismael (AS) ki jitni bhi ulaad hai aur Hazrat Fatima tuz Zahra ki ulaad, Imaam Hassan aur Imaam Hussain ki ulaad bhi
shamil kar k. Yani Ismael (AS) ki ulaad mei jitney bhi qabiley aur jitni bhi Bani hai bima Bani Hashim, jitney bhi hai. In k
bare mei likha gya ha. “Kisi kaley ko gorey pr, kisi gorey ko kaley pr, kisi arbi ko ajmi pr, kisi ajmi ko arbi pr koi foqiyat
bartari hasil nahi siwaey takwa aur parhezgari k”. Ye Imaam Mehdi k liye bhi ha.

Quran ki 1 ayat ha, “Aur Ham jisey chahey apni rehmat se khas kar lete ha. Aur us pe dozakh ki aag haram kar dete ha
aur jannat ki naimatein tumam kar dete hai”.

Allah ne apne har rasool ko chant kar chun kar nikala tha aur un tumaam rasool ki shahadat namumkin kaam thi. Rasool
kabhi shaheed nahi hotey. Is baat ki dalil nichey likh di ha.

1- Hazrat Adam (AS) aur un ki biwi Ama Hawwa ko jannat se nikal kar zameen pe bheja gya to wo thek thay aur
mehfooz rahe thay.

Hazrat Sheesh (AS) aur Idrees (AS) nabowat ki had tak nabi thay.

2- Hazrat Noah (AS) aur un k 2 betay Hazrat Saam (AS) aur Hazrat Ham (AS) rassol thay. Unko chant kar chun kar
nikala gya aur shahadat namumkin kaam thi ye tum log jantey ho. Puri dunya dubh kar mar gai lekin kashti
mehfooz rahi. Yafid aam aadmi tha lekin phir b mehfooz rha.
3- Hazrat Ibrahim (AS) ko aag mei phenka gya tha lekin aag thandi ho gai. Aur unki chanti yun hui k Saam (AS) ki
nasal agey Ibrahim (AS) se chali thi.
4- Hazrat Ismael (AS) ko Saudi Arab mei Makah mei chor diya tha jahan pani nahi tha. Pani nahi to zindagi nahi.
Waha koi zindagi nahi thi. Hazrat Ismael (AS) ki erhiyan ragarne se zam zam ka chashma nikla. Ismael ki chanti thi
k unko Saudi Arab mei akela chor diya tha.
5- Hazrat Ishaq (AS) ko Jerusalem mei akela chor diya tha. In k bare mei itna nahi likha gya ha.
6- Hazrat Yaqub (AS) ko un k bhai Easu ne qatal karna chaha lekin wo bach gae thay. Phir Hazrat Yaqub (AS) ki
chanti yun hui k wo Jerusalem chor kar Madyan chaley gae thay.
7- Hazrat Yusaf (AS) ko qu’vey mei phenk diya tha. Lekin wo phir b zinda bahir nikal aye. Un ki chanti yun hui k wo
Egypt k bazar mei bech diye gae aur wo akhir mei Egypt k baadsha bane.
8- Hazrat Moosa (AS) ki chanti yun hui k Firoun ne 1 pura saal Bani Israel mei peda hone waley betay qatal kar diye
thay aur sirf Hazrat Moosa (AS) zinda bach gae thay. Shahadat namumkin yun hui k Hazrat Moosa (AS) ko peda
hote hi tokri mei daal kar River Neil mei baha diya. Pakistan mei BRB Canal mei kisi bachey ko baha diya jaey to
wo zinda nahi bachta.
9- Hazrat Da’ud (AS) ki chanti k bare mei Quran mei likha ha. Jab Hazrat Talut (AS) 1 giroh le kar chaley. Phir rastay
mei kaha, “Jo yahan se pani piye ga wo ham mei se nahi, pechay reh jae, baki agey chaley. Jo yahan aram kare ga
wo ham mei se nahi, pechay reh jae, baki agey chaley”. Phir akhir mei Hazrat Da’ud (AS) akelay bahir nikley jinho
ne Jalut ka mukabla kiya. Hazrat Da’ud (AS) ki shahadat namumkin kaam thi, is baat ki dalil ye ha k. Ek 5-ft, 6-inch
qad ki aurat koi asa bacha nahi peda kar sakti jo 3 manzilah emarat jitna ho. Agar esa hota to ye moujzah ha aur
moujzeh k bal pe koi qafir nahi peda hota. Hazrat Issah (AS) rasool ha. Jalut k maa, baap, bhai, behan aur digar
rishteydar b thay. Jalut ki ba’qaida puri ek quom thi aur sab giants thay. Hazrat Da’ud (AS) ka qad 5-ft, 6-inch k
kareeb tha (jitna bhi qad tha takreedan itna hi tha). Hazrat Da’ud (AS) akelay ne puri quom ko mar dala tha.
Hazrat Da’ud (AS) ki shahadat namumkin kaam thi.
10- Hazrat Da’ud (AS) ki badshahat k doran Bani Israel k pechida maslo ka hal wo apni ulaad se karwatey thay aur
Hazrat Sulaiman (AS) har masley ka hal bilkul thek bta diya kartey thay. Yun Hazrat Sulaiman (AS) chant kar chun
kar nikaley gaey. Hazrat Mohammad (SAW) tumam makhlooqat k liye nabi bna kar bhejey gae thay. Aur Hazrat
Sulaiman (AS) ne tumam makhlooqat pe badshahat ki ha. Yaha kisi mufti ya alim-e-deen k samney 1 gin aa jaey
to dar k marey uska kya hal hota ha.
11- Hazrat Ham (AS) ki ulaad mei 1 quom abad thi jis ne Bani Israel k chand logo ko qaid kar liya aur gulam bna liya.
Bani Israel k un logo ko churaney k liye Bani Israel k hi 5 nabion k dirmiyan 3 dafa toss hua aur har bar Hazrat
Yunus (AS) ka naam aya. Us waqt Bani Israel k sirf 5 nabi mojud thay aur ye Hazrat Yunus (AS) ki chanti hui thi.
Hazrat Yunus (AS) 40 din machli (fish) k pait mei begair khaey piye rahey aur shahadat namumkin kaam thi.
12- Hazrat Ayub (AS) ko 11 saal bimari rahi jis ka koi elaaj nahi tha. Hazrat Ayub (AS) ko sab ne akela chor diya. Ye
unki chanti thi aur 11 saal itni sakht bemari se bhi shahadat namumkin kaam thi. Akhir mei Allah ne kaha, “Is
pani se naha lo to shafa mil jae gi”. Aur Hazrat Ayub (AS) thek ho gae.
13- Hazrat Issah (AS) ki pedaish 1 moujzah thi. Yehi un ki chanti thi aur Hazrat Issah (AS) k bare mei likha gya ha k wo
dubara wapis zameen par aye ge.

Moral: Deen shuru se ek hi tha. Koi dusra deen tha hi nahi. Quran mei likha ha, “Aur Ham ne Deen to Ibrahim ka hi nafiz
kiya ha”. Hazrat Ibrahim (AS) ki ulaad mei jitney rasool aur nabi aye, sab ka deen wohi tha aur Hazrat Mohammad (SAW)
ka deen bhi wohi tha. Shariyat-e-Mohammad (SAW) pechli tumam Shariyaton ka majmuah ha.

You might also like