Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 5

​Munawwar meri aankhon ko

Mere Shamso-dduha kardey

Gamon ki dhup mein woh

Sayae zulfe dutaa kardey

Jahan-bani ata karde

Bhari jannat hiba kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde

Jahan mein unki chalti hai


Wo dam mein kya se kya kardein

Zameen ko aasman karde

Surayya ko sara karde

Faza main udne wale yhun

Na itraaein nidaa kardey

Wo jab chahain jise chahain

Use farmaan-rawa kardey

Nabi se jo hai be-gaana

Use dil se juda kardey

Pidar Madar Biradar


Jaano maal un par fida kardey

Suraka ko bhi sone key to

Woh kangan ata kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde

Ata karde bula kar dey

Bitha kar de utha kar dey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jaise jab chahe ata kardey


Khayale hazrate Hassan sey

Ham naatein sajate hain

Kami reh jaaye to puree

Bareli ke Raza kardey

Muje kiya fikr ho Akhtar

Mere yaawar hain woh yaawar

Bala ho oh meri jo khud

Giriftare balaa karde

Tamannae dil e Ashraf

Bas itni hai sare Kausar


Jab Aaqa jame kausar dey

Labe Akdas laga kar dey

You might also like