Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 7

Sajaa Mili

By Jagadish

Yeh kaun sa gunah kiya

Ki teri dwaar mein pada

Hazar khwaishiyon mein bhi tu na mujhe mila

Teri bhakti mein charan maine apna sir rakha

Tune dekhne se pehle meri shiras ko tiraskar kiya

Janta hun ki maine tera naam nahi liya

Doosro ke samne tere ko apmaan kiya

Itni na insafi maine tere se kiya

Tujhe to gussa ana tha

Mujhe maaf to kar ab mujhe

main hoon hi isliya bana

Teri bhakti mein charan maine apna sir rakha

Tune dekhne se pehle meri shiras ko tiraskar kiya

Vaada karta hun ki tujhe hi main nata jodunga

Jitney bhi gaali tu mujhe de

Tere dwaar par hi main dam todunga

Saja mujhe to milna tha

Sab ko ayega majha

Par main yeh bhi janta hun

Tujhe jo bhakti se chahega

Who amar ho jayega


Teri bhakti mein mili mujhe itni sukun

Jitni bhi sajaa tu de

Main tujhe na bhulunga

Yeh kaun sa gunah kiya

Ki teri dwaar mein pada

Hazar khwaishiyon mein bhi tu na mujhe mila

Chehre dekhe maine hazar apni zindagi mein

Par kuch bhi mujhe na bhaya

Lajawab cheezo mein dilichaspi to ayi

Par tikne ke liye ek bhi theek thaak se kuch bhi samajh na aya

Door se nazar mein a tapki ek hi apsara

Dooja na dekhe bina nasha sa chane laga

Kitno ki pankti mein maine kiye apne naam mashhoor

Ek galti iske naam pe huyi

To tujhe bhi mujh par gussa a gaya

Teri bhakti mein charan maine apna sir rakha

Tune dekhne se pehle meri shiras ko tiraskar kiya

Khubsoorat to bahut hain is duniya mein

Par kis kis ko mein chahoo

Nazar mein to ate hain

Par waqt ke saath tham jaate hain

Kis kis se talukat rakhoo is duniya mein


Sab ki nazar paise par hi tikti hain

Kisi par bhi nazar firao

Who yeh his keh jate hain

Bhagawan ho ya na ho

Zindagi choti ho ya badi

Kisi aur bhi nazar daudao

Har ek ke naam par

Paisa tikta bhi hain ya gumshuda

Yeh ek kahavat pure jahan aur mulk mein sunayi jati hain

Is main meri galti kya hain

Jab tere naam ke badle maine paiso ka jikr kiya

Har ek ke naam par hari om kaise dati

Yeh mujhe nahi pata

Par jis se bhi pucho tere naam ke pehle

Sab ne paiso ka jikr jaroor kiya

Yeh kaun sa gunah kiya

Ki teri dwaar mein pada

Hazar khwaishiyon mein bhi tu na mujhe mila

Teri bhakti mein charan maine apna sir rakha

Tune dekhne se pehle meri shiras ko tiraskar kiya


Aise kitno ki tune balidaan puche

Maine chupchaap se tera dhyaan karne lag baitha

Malum hain ki bhakti ke bahtu gungan hote hain

Tere dhyaan mein ane se pehle

Bahut logo ke gungan maine bhi kiye

Tere ko gussa to bahut aya hoga

Par kya karoo insaan hoon

Farishta bana ke kya mujhe tang karega

Janta hun ki maine tera naam nahi liya

Doosro ke samne tere ko apmaan kiya

Itni na insafi maine tere se kiya

Tujhe to gussa ana tha

Mujhe maaf to kar ab mujhe

main hoon hi isliya bana

Teri bhakti mein charan maine apna sir rakha

Tune dekhne se pehle meri shiras ko tiraskar kiya

Vaada karta hun ki tujhe hi main nata jodunga

Jitney bhi gaali tu mujhe de

Tere dwaar par hi main dam todunga

Saja mujhe to milna tha

Sab ko ayega majha

Par main yeh bhi janta hun


Tujhe jo bhakti se chahega

Who amar ho jayega

Teri bhakti mein mili mujhe itni sukun

Jitni bhi sajaa tu de

Main tujhe na bhulunga

Yeh kaun sa gunah kiya

Ki teri dwaar mein a pahuncha

Hazar khwaishiyon mein bhi tu na mujhe mila

Yeh duniya badi rangeen hain

Jaha bhi ghuma tujhse hi mila

Logo ki jubaan par tera naam paya

Kuch ne anap shanap baka

Kuch ne tere dwaar par dum todne ki baat ki

Jaha bhi gaya tera naam shurvat se lekar antim tak

Logo ne gungaan avishya kiya

Jab bhi tyohaar ata hain

Tera naam Chaya rehta hain

Aisa kaam tune kya kiya

Yeh sab ne janne ki koshish avashya ki

Sadiyo se beetti a rahi reeti rivaz

Kisi ne todne ki koshish ki hi nahi


Sab ne gana bajaya

Aur sab ne mithayiya bati

Tere naam par hazar tofe aye

Maine sab ko de diye

Sab ne jee bhar kar mujhe duyaye di

Tere naam par maine kitne kaam kiye

Main hi janta hun ki kitne chehre maine dekhe maine apni zindagi mein

Par kuch bhi mujhe na bhaya

Lajawab cheezo mein dilichaspi to ayi

Par tikne ke liye ek bhi theek thaak se kuch bhi samajh na aya

Vaada karta hun ki tujhe hi main nata jodunga

Jitney bhi gaali tu mujhe de

Tere dwaar par hi main dam todunga

Saja mujhe to milna tha

Sab ko ayega majha

Par main yeh bhi janta hun

Tujhe jo bhakti se chahega

Who amar ho jayega

Teri bhakti mein mili mujhe itni sukun

Jitni bhi sajaa tu de

Main tujhe na bhulunga


Yeh kaun sa gunah kiya

Ki tere dwaar a pahuncha

Shama yachna kane ki tauheen karoo

Maaf tu mujhe jaroor hi karna

Warna tere dwaar pe a pahunchga

Hazar khwaishe he meri

Ki tujhi se hain mujhko milna

Dooja koi aur mujhe nahi dekhna

Tujhi se mujhko hain milna

Aur tere dwaar par hi mujhko

Hain dum mujhe hain todna

Sajaa job hi mujhe doge

Mujhe usi mein shamil hona

Aur kuch na mujhe chahiye

Bas meri sajaa tujhe hain maaf karna

Main tera hi bas banoo

Yeh hi hain meri kamna

END OF SAJAA MILI HINDI SONG

You might also like