A Legend of Crime and Love

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 6

A Story of Crime and Love

One day before college...........

Sia: Mumma mera bag kaha hai? Mumma: ye raha....., or sun ye sab
bhi pack kar le zaroorat pad sakti hai. Sia: Kya mumma ab mai bachchi nai hu
Mumma and Papa (together): Sia run!!! Don’t tell
anyone that you’re our child ever!!!!!!! Run child!!! We are sorry!!!!! Mumma Papa
loves you baby………….AHHHHHH!!!!!!

(Dream ends)
[Sia apne mom dad ki ek lauti beti jisne apne mom dad ko 9 saal
ki umar me hi kho diya tha use ye sapna use uske traumatic past
ki yaad dilate rahta hai. Uske dad ek bahut bade singer the jinhe
Copyright ke case me fasa diya gaya tha or unke company ko
bankrupt karne ki planning ki gayi thi. Unke murder ko suicide
bata kar unhe har jagah badnaam kiya gaya tha. Sia ne apne
mom dad ka badla lene ke liye Criminal psychology padhne ki
thani hoti hai jiske liye use dusre din college jana hota hai.]

Sia (screams and wakes up): Mom Dad!!!!


{Phone rings, picks the call and starts talking}
Hello… ha mai ready ho gayi hu nikal rahi hu bas. From the phone:
Ok mai tumhara wait karunga airport me. See you at the college my girl….. Sia
(in sarcastic way): Just stop it already. {Phone call
ends} I’m Doomed! Jaldi taiyar ho ja Sia warna tu gayi……..
(At the airport)
Sia apna saman liye chal hi rahi hoti hai ki vo ek insaan se takra
jati hai or uska saman chhut kar gir jata hai. Sia gusse se apna sir
utha kar us insaan ko chillate huye bolti hai Sia: can’t you see and
walk?? Us insaan ne Sia ko jawab dete huye
kaha: Hello miss mai dekh ke hi chal raha tha aap hi apna muh apne cell
phone me ghusaaye chal rahi thi, to is hisab se aap ko mujhe sorry bolna chahiye.
Sia: what!! Sorry?? Abeer: its ok {Phir vo vaha se chala
jata hai} Sia (yells): What…. What the hell!!! Hey mister!!!
Sia vaha chillate khadi hi rah jati or vo shaks vaha se chala jata
hai {Airport announcement: Passengers going to
Bangalore please do check in}

(On the airplane)


Sia apne seat ka no. check karte huye aage badhti hai ab ise
coincidence bolo ya fate ki Sia ki seat us anjaan shaks ke just
baju me hoti hai or ye dekh ke Sia ka para high ho jata hai but
apne aap ko control karte huye vo us shaks ko ignore kar ke
apne seat pe ja kar baith jati.

[Ye anjaan shaks or koi nai Abeer Malhotra hai Army Chief
Ranvijay Malhotra ka pota. Abeer Malhotra ke dad ne use, uski
behan Yuri or uski maa Sandhya Malhotra ko 10 saal pehle kisi
or aurat ke chakkar me chhod diya tha tab se Abeer apni zindagi
me or kisi ko aane nai deta tha uske liye Yuri , uski maa
Sandhya ,uske dadaji or uska best friend Ziyu hi uski family thi.
Vo hamesha apne duniya me rahta tha or koi bhi anjaan shaks se
baat tak nai karta tha jiske vajah se uske dadaji or uski maa uske
liye hamesha pareshan rahte the.]
Abhi Delhi se Bangalore pahuchne me 3 ghante baki rahte hai,
pure raste bhar dono ne ek dusre se kuch nai kaha hota hai. Raat
ke bure sapne ki vajah se Sia ko neend aane lagti hai or vo so
jati par achanak se uska sir Abeer ke kandho pe ja girta hai.
Abeer KO kuch uske dil me feel hota hai vo chah kar bhi uska
sir hata nai pata. Sia ke chehra par uske balo ki ek lat AA jati hai
use dekh kar vo use hatata hai tabhi Sia apne neend me rote
huye bolne lagti hai Sia(crying): Mom dad don’t leave
me…….PLEASE!!!! Mujhe sabko batana hai ki mai aap dono ki beti hu sir jhuka ke
nai balki sir utha ke. And I’ll make sure to do it and I’ll make sure that your
murderer will regret killing you both and beg me to save his life!!!!!!!. I’ll make
sure…….I’ll ma…ke su…..r…..e…….

Ye sab sunke Abeer ko uske liye bura lagta hai or vo sochne


lagta hai ki Sia ke mom dad ke sath aisa kya hua ki Sia ke upar
us chiz ka itna gehra asar hua hai. Kuch der baad Sia achanak se
daar ke uth jati hai, use pasine aane lagte hai, uski saansein tez
ho jati hai or vo kaapne lagti hai. Uski ye halat dekh kar Abeer
use puchta hai Abeer (worried): Are you alright??? Sia
Abeer ke taraf 1 nazar dekh kar vaha se bathroom chali jati hai.
Sia direct bathroom me jake apne aap ko calm down karne lagti
hai. Asal me uske traumatic past ke karan use PTSD hota hai
jiske karan jab bhi use apne us past ke bare me sapna aata hai ya
uske parents ko koi bhi kuch bura – bhala kehta hai to uski halat
bigadne lagti hai jaise abhi hua. Sia (gasping): Calm down
Sia……. its ok…….everything is fine………cal…m…. do…w…n… Sia apne aap ko kisi
tarah sambhaal kar bahar aati hai. Vo apne seat ki taraf ja hi rahi
hoti hai ek hostess use ek dark forest chocolate ice-cake pakda
kar vaha se chali jati hai or Sia hairaani se use dekhte huye or
dark forest ice-cake pakad kar apne seat par vapas aa jati hai. Or
use khaate hi uska mood thik ho jata hai or vo smile karti hai.
Use dekh ke Abeer bhi smile karne lagta hai.

{Flash back: Abeer: Excuse me! Can I get one dark forest ice-
cake?? Hostess: Yes of course sir. Here please have sir Abeer: Can
you please give it to the girl who just went bathroom there?? Hostess: But
sir…… Abeer: I’ll pay you double.. Hostess: Ok sir I’ll handover it to
the mam…}

(Airplane lands at the Kempegowda International


Airport)

(On the Airport)


Sia or Abeer dono apni flight se utar kar apna saman lene chale
gaye. Saman lekar vo dono apne-apne raste chale gaye. Airport
me Abeer ka friend Ziyu use lene aaya hai or Sia……. Uski to
alag hi kahani chal rahi hai. Vo Airport ke samne ke hisse me
chali jati hai, jaha sare passengers ke relatives unhe lene aaye
hote hai. Vo vaha kisi ko dhundh hi rahi hoti hai ki use ek jana
pehchana insaan dikhta hai jisne ek bada se board jispe
“Welcome My Sweetie” likha hota vo us board ko dekh ke
fauran hi samajh jati hai ki ye koi or nahi uska bachpan ka
friend, ya bhai kah lijiye, Harsh hota hai. Vo uske pass jakar ek
badi si smile dekar kahti hai Sia (smiling): Hiiiii Harsh
(with even bigger smile): Hello my girl….. Sia Harsh ko
apne pairo se laat marte kahti hai Sia (kicking him):
Just stop it already yrr…. Maine tujhe kitne baar kaha hai ki mere sath aisa Mazak
mat kiya kar mujhe nai pasand. Harsh: Achcha sorry baba… Ab Jaldi chal
college ke liye late ho raha hai……..Sia: Yeah let’s go….

Phir vo dono, Abeer or Ziyu Airport se chale jate hai….


[Harsh Agrawal Sia ka bachpan ka friend or vahi insaan jisne
Sia ko Airport jana hai karke yaad dilaya tha….. yeah…. vahi
call wala guy… bachpan me Sia ne Harsh ka nickname Gucci
rakha tha, tabhi se vo use Gucci kahti aa rahi hai. Bachpan me
jab Sia ke mom dad guzar gaye the or Sia apne relatives ke taane
or School me bullying se pareshan thi tab Harsh ne uski bahut
madad ki thi Like a big bro…. ek vahi tha jise vishwaas tha ki
Sia ke mom dad ne suicide nai kiya hai.]

(In front The College Gate)


Sia college gate ke samne apne luggage ko lekar khade hokar do
min. sochne ke baad kahti hai Sia: finally……. I’m here… Par jaise hi
ve dono college premises ke andar gaye, unhone jo dekha use
dekh ke unke hosh udd gaye, college ke students unke hi taraf

You might also like