Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 21

Surat 2.

Al-Baqarah / Part2

142. Unqarib nadaan loag kaheingay kay jiss Qiblay per yeh thay iss say enhein kiss cheez ne hataya? Aap keh dijiye kay mashriq-omaghrib ka maalik Allah Taalaa hi hai woh jissay chahay seedhi raah ki hidayat karday.

143. Hum ney issi tarah tumhein aadil ummat banaya hai (37) taakay tum logoan per gawah hojao aur rasool (PBUH) tum per gawah hojayen jiss qiblay per tum pehlay say thay ussay hum nay iss liye muqarrar kiya tha kay hum jaan lein kay rasool ka sachcha tabeydaar kaun hai aur kaun hai jo apni edhiyoan kay ball palat jata hai go yeh kaam mushkil hai magar jinhen Allah nay hidayat di hai (unn per koi mushkil nahi) Allah Taalaa tumhaaray aemaal zaya na keray ga Allah Taalaa logoan kay saath shafqat aur meharbaani karney wala hai.

144. Hum aap kay chebray ko baar baar aasman ki taraf uthtay huye dekh rahey hain (38) abb hum aap ko uss qiblay ki janib mutawajja kerengay jiss say aap khush hojayen aap apna munh masjid-e-haraam ki taraf pher lein aur aap jahaan kahin hoan apna munh ussi taraf phera karin. Ehal-ekitab ko iss baat kay Allah ki taraf say bar haq honey ka qataee ilm hai aur Allah Taalaa unn aemaal say. ghafil nahi jo yeh kertay hain.

145. AUf aap agar cheh ehal-e-kitab ko tamam daleelein dey dein lekin woh aap kay qiblay ki pairwi nahi kerengay aur na aap inn kay qiblay ko manney walay hain aur na yeh aapas mein aik doosray kay qiblay ko manney walay hain aur agar aap ba wajood yeh kay aap kay pass ilm aa chuka phir bhi inn ki khwahishaan kay peechbay lag jayein to bil yaqeen aap bhi zaalimoan mein say

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

hojayengay.

146. Jinhein hum nay kitab di hai woh to issay aisa pehchantay hain jaisay koi apney bachchoan ko pehchanay inn kay aik jamaat haq ko pehchaan kar phir chhupaati hai.

147. Aap kay rab ki taraf say yeh sarasar haq hai khabardaar aap shak kamey waloan mein say na hona.

148. Her shaks aik na aik taraf mutawajja horaha hai tum nekiyon ki taraf daudo. Jahan kahin bhi tum hogay Allah tumhein ley aaye gao Allah Taalaa her cheez per qaadir hai.

149. Aap jahan say niklay apna munh (namaz kay liye) masjid-e-karam ki taraf kar liya karein yehi haq hai aap kay rab ki taraf say jo kuchh tum kar rahey ho uss say Allah Taalaa bay khabar nahi.

150. AUf jiss jagah say aap niklein apna munh masjid-e-haraam ki taraf pher lein aur jahan kahin tum ho apney chebray issi taraf kiya karo takay logoan ki koi hujjat tum per baqi na reh jaye siwaye unn logoan kay jinhon ney inn mein say zulm kiya hai (39) tum inn say na daro mujh hi say daro aur takay mein apni nemat tum per poori karoon aur iss liye bhi kay tum raah-e-raast pao.

151. Jiss tarah hum nay tum mein tumhin mein say rasool bheja jo humari aayatein tumharay samney tilawat kerta hai aur tumhein kitab-o-hikmat aur woh cheezein sikhata hai jin say tum bay ilm nahi.

152. Iss liye tum mera zikar karo mein bhi tumhein yaad karoon ga meri shukar guzari karo aur na shukri say bacho.

153. Aey emaan walo! Sabar aur namaz kay zariye madad chahao Allah Taalaa sabar kamey waloan ka saath deta hai.

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

154. Aur Allah Taalaa ki raah kay shaheedoan ko murda mat kaho woh zinda hain lekin tum nahi samajhtay.

155. Aur hum kissi na kissi tarah tumhari aazmaish zaroor kereingay dushman kay darr say bhook piyas say maal-o-jaan aur phalon ki kami say aur unn sabar kamey waloan ko khushkhabri dey dijiye.

156. Jinhein jab koi musibat aati hai to keh diya kertay hain kay hum to khud Allah Taalaa ki milkiyat hain aur hum ussi ki taraf loutnay walay hain.

157. Unn per unn kay rab ki nawazishein aur rehmatein hain aur yehi loag bidayat yaafta hain.

158. Safa aur marwa Allah Taalaa ki nishaniyon mein say hain iss liye bait ullah ka hajj (40) aur umrah kamay walay per inn ka tawaaf kar lenay mein bhi koi gunah nahi apni khushi say bhalaee kamay walon ka Allah qadardaan hai aur unhen khoob janney wala hai.

159. Jo log humari utari hui daleeloan aur bidayat ko chhupatay hain ba wajood yeh kay hum ussay apni kitab mein logoan kay liye bayaan kar chukay hain unn logoan per Allah ki aur tamam laanat kamay waloan ki laanat hai.

160. Magar woh loag jo tauba kar lein aur islaah ker len aur byaan kar dein to mein unn ki tauba qabool kar leta hun aur mein tauba qabool kamay wala aur reham-o-karam kamay wala hun.

161. Yaqeenanjo kuffaar apney kufr mein hi marr jayen unn per Allah Taalaa ki farishton ki aur tamam logoan ki laanat hai.

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

162. Jiss mein yeh hamesha rahengay na unn say azaab halka kiya jayega aur na unhein dheel di jaye gi.

163. Tum sab ka mabood aik hi mabood hai uss kay siwa koi mabood-e-barhaq nahi woh bahoot reham kamay wala aur bada meharban hai.

164. Aasmanoan aur zameen ki paidaesh raat din ka herpher kashtiyoan ka logoan ko nafa denay wali cheezon ko liye huaye samandar mein chalna aasman say pani utaar kar murda zameen ko zinda kar dena iss mein her qisam kay janwaroan ko phaila dena hawaoan kay rukh badalna aur badal jo aasmaan aur zameen kay darmiyan musakhhar hain unn mein aqal mandoan kay liye qudrat -e-elaahee ki nishaniyan hain.

165. Baaz loag aisay bhi hain jo Allah kay shareek auroan ko thehra kar uss say aisi mohabbat rakhtay hain jaisi mohabbat Allah say honi chahaiye aur emaan walay Allah ki mohabbat mein bahoat sakht hotay hain kaash kay mushrik loag jantay jab kay Allah kay azaab ko dekh kar (jaan leingay) kay tamaam taqat Allah hi ko hai aur Allah Taalaa sakht azaab denay wala hai (to hergiz shirk na kertay).

166. Jiss waqt peshwa log apney tabeydaron say beyzaar hojayengay aur azaab ko apni aankhoan say dekhlengay aur kul rishtay naatay toot jayengay.

167. Aur tabeydaar loag kahnay lageingay kaash hum duniya ki taraf dobaara jayein to hum bhi inn say aisay hi bayzaar hojayein jaisay yeh hum say hain issi tarah Allah Taalaa unhein unn kay aemaal dikbaye ga unn ko hasrat dilaney ko yeh hergiz

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

jahannum say na niklengay.

168. Logo! Zameen mein jitni bhi halaal aur pakeezah cheezein hain unhein khao piyo aur shaitani raah per na chalo woh tumhara khula hua dushman hai.

169. Woh tumhein sirfburaee aur bayhayaee ka aur Allah Taalaa per unn baaton kay kehnay ka hukm deta hai jin ka tumhein ilm nahi.

170. Aur inn say jab kabhi kaha jata hai kay Allah Taalaa ki utaari hui kitab ki tabeydari karo to jawaab detay hain kay hum to uss tareeqay ki pairwi keren gay jiss per hum nay apnay baap dadoan ko paya go inn kay baap daday bay aqal aur gum kerda raahoan mein hon.

171. Kuffaar ki misal unn janwaroan ki tarah hai jo apnay charwaahay ki sirf pukaar aur aawaz hi ko suntay hain (samajhtay nahi) woh behray goongay andhay hain unhein aqal nahi.

172. Aey emaan walo! Jo paakeeza cheezen hum nay tumhein day rakhi hain unhein khao piyo aur Allah Taalaa ka shukr karo agar tum khaas ussi ki ibaadat kartay ho.

173. Tum per murda aur (baha hua) khoon (41) aur suwar ka gosht aur her woh cheez jiss per Allah kay siwa doosron ka naam pukara gaya ho haraam hai (42) phir jo majboor hojaye aur hadd say badhnay wala aur ziyadti kamay wala na ho uss per inn kay khaney mein koi gunah nahi Allah Taalaa baksish kamay wala meharbaan hai.

174. Bay-shak jo loag Allah Taalaa ki utaari hui kitab chhupatay hain ussay thodi thodi si qeemat per bechtay hain yaqeen mana kay yeh apney pet mein aag bhar rahey hain qayaamat kay din Allah unn say baat bhi na

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

keray ga na unhein paak karay ga bulkay unn kay liye dardnaak azaab hai.

175. Yeh woh loag hain jinhoan ney gumraahi ko hidayat kay badlay aur azaab ko maghfirat kay badlay khareed liya hai yeh loag aag ka azaab kitana bardasht kamay walay hain.

176. Inn azaaboan ka baes yeh hi hai kay Allah Taalaa nay sachchi kitab utari aur iss kitab mein ikhtilaf kamay walay yaqeenan door kay khilaf mein hain.

177. Sari achchaee mashriq-o-maghrib ki taraf mun kemey mein hi nahi bulkay achcha woh shaks hai jo Allah Taalaa per qayamat kay din per aur farishton per kitabullah per aur nabiyon par emaan raklmey wala ho jo maal say mohabbat kamay kay bawajood qarabatdaran yateeman miskeenoan musafiroan aur sawal kamay waloan ko dey (43) ghulamoan ko aazad karay namaz ki pabandi aur zakat ki adaegi karay jab waada karay tab ussay poora karay tangdast dukh dard aur ladaee kay waqt sabar karay yehi sachchay loag hain aur yehi perhezgar hain.

178. Aey emaan walo! Tum per maqtooloan ka qisass lena farz kiya gaya hai aazad kay badlay azad ghulam kay badlay ghulam aurat kay badlay aurat (44). Haan jiss kissi ko uss kay bhai kay badlay muafi dey di jaye (45) ussay bhalaee ki ittaba kami chahiye aur aasani kay saath deyt ada karni chahiye. Tumharay rab ki taraf say yeh takhfeef aur rehmat hai iss kay baad bhi jo sarkashi karay usay dardnaak azaab hoga.

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

179. Aqal mando! Qisass mein tumharay liye zindagi hai iss baes tum (qatal-e-na haq say) ruko gay.

180. Tum per farz ker diya gaya hai kay jab tum mein say koi mamey lagay aur maal chhod jata ho to apney maa baap aur qaraabat daroan kay liye achchai kay saath waseeyat ker jaye perhezgaron per yeh haq aur sabit hai.

181. Abb jo shaks issay sunnay kay baad badal day uss ka gunah badlanay walay per hi hoga waqaee Allah Taalaa sunnay wala janney wala hai.

182. Haan jo shaks waseeyat kamay walay ki janib daari ya gunah ki waseeyat kardenay say daray pus woh inn mein aapas mein islaah kara day to uss per gunah nahi Allah Taalaa bakshnay wala meharban hai.

183. Aey emaan walo! Tum per rozay rakhna farz kiya gaya jiss tarah tum say pehlay logoan per farz kiye gaye thay takay tum taqwa ikhtiyar karo.

184. Ginti kay chand hi din hain lekin tum mein say jo shaks beemar ho ya safar mein ho to woh aur dinon mein ginti ko poora kar lay (46) aur iss ki taqat rakhnay walay fidiye mein aik miskeen ko khana dein (47) phir jo shaks neki mein sabqat karay woh ussi kay liye behtar hai lekin tumharay haq mein behtareen kaam rozay rakhna hi hai agar tum ba ilm ho.

185. Maah-e-ramzan woh hai jiss mein quran utaara gaya jo logoan ko hidayat kamey wala hai aur jiss mein hidayat ki aur haq-o-baatil ki tameez ki nishaniyan hain tum mein say jo shaks iss maheeney ko paye ussay roza

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

rakhna chahiye haan jo beemar ho ya musafir ho ussay doosray dinoan mein yeh ginti poori kami chahiye Allah Taalaa ka irada tumharay sath aasani ka hai sakhti ka nahi woh chahata hai kay tum ginti poori kar 10 aur Allah Taalaa ki di hui hidayat per uss ki badaiyan bayaan karo aur uss ka shukr karo.

186. Jab meray banday meray baary mein aap say sawaal karein to aap keh den kay mein bahout hi qareeb hoon her pukaamey waalay ki pukaar ko jab kabhi woh mujhay pukaaray qabool kerta hoon iss liye logoan ko bhi chahaiye kay woh meri baat maan liya karein aur mujh per emaan rakhein yehi unn ki bhalaee ka baes hai.

187. Rozay ki raatoan mein apni biwiyon say milna tumhaaray liye halaal kiya gaya woh tumhara libaas hain aur tum unn kay libaas ho (48) tumhari posheeda khayaanatoan ka Allah Taalaa ko ilm hai uss ney tumhaari tauba qubool farma kar tum say dar guzar farma liya abb tumhein inn say mubaashirat ki aur Allah Taalaa ki likhi hui cheez ko talaash kamay ki ijazat hai tum khatay peetay raho yahan tak kay subha ka safaid dhaga siyah dhagay say zahir hojaye. Phir raat tak rozay ko poora karo aur aurtoan say uss waqt mubashirat na karo jab kay tum masjidoan mein aeytikaaf mein ho. Yeh Allah Taalaa ki hudood hain tum unn kay qareeb bhi na jao. Issi tarah Allah Taalaa apni aayaten logon kay liye bayaan farmata hai takay woh bachein.

188. AUf aik doosray ka maal na haq na khaya karo na haakimon ko rishwat phoncha kar kissi ka kuchh maal zulm-o-sitam say apna liya karo halankay tumjaantay ho.

189. Loag aap say chaand kay baaray mein

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

sawaal kartay hain aap keh dijiye kay yeh logoan (ki ibaadat) kay waqtoan aur hajj kay mausam kay liye hai (49) (ehraam ki halat mein) aur gharoan kay peechhay say tumhara aana kuchh neki nahi bulkay neki waala woh hai jo muttaqi ho. Aur gharoan mein to darwazoan say aaya karo (50) aur Allah say dartay raho takay tum kaamyaab hojao.

190. Lado Allah ki raah mein unn say jo tum say ladtay hain aur ziyadati na karo Allah Taalaa ziyadati kamay waalon ko pasand nahi fermaata.

191. Unhein maaro jahaan bhi paao aur unhein nikaalo jahaan say unhoan nay tumhein nikaala hai aur (SUllO) fitna qatal say ziyada sakht hai aur masjid-e-haraam kay pass unn say laraee na karo jabtak kay yeh khud tum say na ladein agar yeh tum say ladein to tum bhi unhein maaro kafiroan ka badla yehi hai.

192. Agar yeh baaz aajyen to Allah Taalaa bakshnay waala meharban hai.

193. Unn say lado jabtak kay fitna na mitt jaaye aur Allah Taalaa ka deen ghaalib na aajaye agar yeh ruk jayen (to tum bhi ruk jao) ziyadati to sirf zalimoan per hi hai.

194. Hurmat waalay maheenay hurmat waalay maheenoan kay badlay hain aur hurmatein adlay badlay ki hain jo tum per ziyadti keray tum bhi ussi tarah ussi ki misl ziyadati karo jo tum per ki hai aur Allah Taalaa say dartay raha karo aur jaan rakho kay Allah Taalaa perhezgaroan kay sath hai. (51)

195. Allah Taalaa ki raah mein kharach karo aur apney haathoan halakat mein na pado aur sulook-o-ehsaan karo Allah Taalaa ehsaan

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

kamay waloan ko dost rakhta hai.

196. Hajj aur umray ko Allah Taalaa kay liye poora karo haan agar tum rok liye jao to jo qurbaani mayyassar ho ussay kar daalo aur apney sir na mundwao jabtak kay qurbaani qurbaan gaah tak na pahonch jaaye albatta tum mein say jo beemaar ho ya uss kay sir mein koi takleef ho (jiss ki wajah say sir munda ley) to uss per diya hai khwah rozay rakh lay khwah sadqaa day day khwah qurbaani keray pus tum amann ki halat mein hojao to jo shaks umray say layker hajj tak tamatto karay pus ussay jo qurbaani mayyassar ho kar daalay jissay taaqat hi na ho to woh teen rozay to hajj kay dinoan mein rakh lay aur saat wapsi mein yeh pooray das hogaye. Yeh hukm unn kay liye hai jo masjid-e-haraam kay ralmey walay na hoan logoa! Allah say dartay raho aur jaan 10 kay Allah Taalaa sakht azaboan wala hai.

197. Hajj kay maheenay muqarrar hain (52) iss liye jo shaks inn mein hajj laazim kar lay woh apni biwi say milaap kamay gunaah kamay aur ladaee kamay say bachta rahay tum jo neki karogay uss say Allah Taalaa ba khabar hai aur apnay saath safar kharach lay liya karo sab say behtar tosha Allah Taalaa ka darr hai aur aey aqal mando! Mujh say dartay raha karo.

198. Tum per apney rab ka fazal ka talash kamay mein koi gunaah nahi jab tum arfaat say lauto to mashar-e-haram kay pass zikare-elaahee karo aur uss ka zikar karo jaisay kay uss nay tumhein hidayat di halankay tum iss say pablay raah bhoolay huay thay.

199. Phir tum uss jagah lauto jiss jagah sab loag laut'tay hain aur Allah Taalaa say talabe-bakshish kartay raho yaqeenan Allah

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

Taalaa bakshnay waala meharbaan hai.

200. Phir jab tum arkaan-e-hajj ada kar chuko to Allah Taalaa ka zikr karo jiss tarah tum apney baap dadoan ka zikr kiya kartay thay bulkay iss say bhi ziyada baaz loag woh bhi hain jo kehtay hain aey humaray rab! Humein duniya mein day. Aisay logoan ka aakhirat mein koi hissa nahi.

201. Aur baaz loag woh bhi hain jo kahtay hain aey humaray rab! Humein duniya mein neki day aur aakhirat mein bhi bhalaee ataa farma aur humein azaab-e-jahannum say najaat day.

202. Yeh woh loag hain jin kay liye unn kay aemaal ka hissa hai aur Allah Taalaa jald hisaab lenay wala hai.

203. Aur Allah Taalaa ki yaad unn ginti kay chand dinoan (ayyaam-e-tashreeq) mein karo do din ki jaldi kamay waalay per bhi koi gunaah nahi (53) aur jo peechbay reh jaaye uss per bhi koi gunaah nahi yeh perhezgar kay liye hai aur Allah Taalaa say dartay raho aur jaan rakkho kay tum sab ussi ki taraf jama kiye jaogay.

204. Baaz logoan ki dunyawi gharaz ki baatein aap ko khush kar deti hain aur woh apney dil ki baatoan per Allah ko gawah kerta hai halaankay dar asal woh zabardast jhagdaloo hai.

205. Jab woh laut kar jata hai to zameen mein fasaad phailanay ki aur kheti aur nasal ki barbaadi ki koshish mein laga rehta hai aur Allah Taalaa fasaad ko naa pasand karta hai.

206. Aur jab uss say kaha jaaye kay Allah say darr to takabbur aur ta' assub ussay gunaah per aamada ker deta hai aisay kay liye bus jahannum hi hai aur yaqeenan woh badtareen jagah hai.

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

207. AUf baaz loag woh bhi hain jo Allah Taalaa ki razamandi ki talab mein apni jaan tak bech daltay hain aur Allah Taalaa apnay bandoan per badi meharbaani kamay wala hai.

208. Emaan waalo! Islam mein pooray pooray daakhil hojao aur shaitaan kay qadmoan ki tabeydari na karo woh tumhara khula dushman hai.

209. Agar tum bawajood tumhaaray daleel aajanay kay bhi phi sal jao to jaan 10 kay Allah Taalaa ghalbay wala aur hikmat wala hai.

210. Kiya logoan ko iss baat ka intizaar hai kay unn kay pass khud Allah Taalaa abar kay sayebanoan mein aajaye aur farishtay bhi aur kaam inteha tak phoncha diya jaaye Allah hi ki taraf tamam kaam lautaaye jaatay hain.

211. Bani israeel say poocho to kay hum nay unhein kiss qadar raushan nishaniyan ataa faramaaein aur jo shaks Allah Taalaa ki nematoan ko apnaey pass pahoanch janey kay baad badal dalay (woh jaan ley) kay Allah Taalaa sakht azabon wala hai.

212. Kafiron kay liye duniya ki zindagi khoob zeenat daar ki gaee hai woh emaan waloan say hansi mazaaq kartay hain halaankay perhezgaar loag qayaamat kay din unn say aala hongay Allah Taalaa jisay chahata hai bey hisab rozi deta hai.

213. Dar-asal loag aik hi giroh thay Allah Taalaa nay nabiyoan ko khushkhabri denay aur daraaney wala bana kar bheja aur unn kay saath sachchi kitabein naazil farmaaein taakay logoan kay her ikhtilafi amar ka faisla hojaye. AUf sirf unhi logoan nay jinhein kitab di gaee thi apnay pass dalaeel aa chuknay kay

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

baad aapas kay bughz-o-aenaad ki wajah say iss mein ikhtilaaf kiya iss liye Allah paak nay emaan waaloan ki iss ikhtilaaf mein bhi haq ki taraf apni mashiyat say rehbari ki aur Allah jiss ko chahaye seedhi raah ki taraf rehbari kerta hai.

214. Kiya tum yeh gumaan kiye baithay ho kay jannat mein chalay jaogay halaankay abb tak tum per woh halaat nahi aaye jo tum say aglay logoan per aaey thay. Unehein beemariyan aur musibatein phonchi aur woh yahan tak jhanjoday gaey kay rasool aur uss kay saath kay emaan waalay kaehnaey lagay kay Allah ki madad kab aaegi? Sun rakho kay Allah ki madad qareeb hi hai.

215. Aap say poochhtay hain kay woh kiya kharach kerein? Aap keh dijiye kay jo maal tum kharach karo woh maa baap kay liye hai aur rishtay daaron aur yateemoan aur miskeenoan aur musafiroan kay liye hai aur tum jo kuchh bhalaee karogay Allah Taalaa ko uss ka ilm hai.

216. Tum per jihaad farz kiya gaya go woh tumhein dushwaar maloom ho mumkin hai tum kissi cheez ko buri jano aur wohi tumharay liye bhali ho aur yeh bhi mumkin hai kay tum kissi cheez ko achchi samjho halaankay woh tumhaaray liye buri ho haqeeqi ilm Allah hi ko hai tum mehaz bay khabar ho.

217. Loag aap say hurmat waalay maheenoan mein ladaee ki baabat sawaal kartay hain aap keh dijiye kay inn mein ladaee kama bada gunaah hai lekin Allah ki raah say rokna uss kay saath kufr kama aur masjid-e-haraam say rokna aur waahan kay ralmey waalon ko wahaan say nikaalna Allah kay nazdeek uss say bhi bada gunaah hai yeh fitna qatal say bhi bada gunah hai yeh loag tum say ladaaee

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

bhidaaee kartay hi raheingay yahan tak kay agar hosakay to tumhein tumharay deen say murtid kardein aur tum mein say jo loag apnay deen say palat jayein aur issi kufr ki haalat mein marein unn kay aemaal-edunyawi aur ukhrawi sab ghaarat hojayein gay. Yeh loag jahannumi hongay aur hamesha hamesha jahannum mein hi raheningay.

218. Alabatta emaan laaney walay hijrat kamay waalay Allah ki raah mein jihad kamay waalay hi rehmat -e-elaahee kay umeedwaar hain Allah Taalaa bahoat bakshnay waala aur bahoat meharbani kamay waala hai.

219. Loag aap say sharaab aur juway ka masla poochbtay hain aap keh dijiye inn dono mein bahoat bada gunaah hai aur logoan ko iss say dunyawi faeada bhi hota hai lekin inn ka gunaah unn kay nafay say bahoat ziyada hai. (54) Aap say yeh bhi daryaft kartay hain kay kiya kuchh kharach kerein? To aap keh dijiye haajat say zaed cheez, Allah Taalaa issi taraf apnay ehkaam saaf saaf tumharay liye bayaan farma raha hai takay tum soch samajh sako.

220. Duniya aur aakhirat kay umoor ko. Aur tujh say yateemoan kay baaray mein bhi sawaal kartay hain aap keh dijiye kay inn ki khair khwahi behtar hai tum agar inn ka maal apnay maal mein mila bhi 10 to woh tumharay bhai hain bad niyat aur nek niyat her aik ko Allah khoob jaanta hai aur agar Allah chahata to tumhein mushaqqat mein daal deta yaqeenan Allah Taalaa ghalbay wala hikmat wala hai.

221. Aur shirk kamay waali aurtoan say taawaqt-e-kay woh emaan na layein tum nikkah na karo emaan waalo emaandaar laundi shirk karaay waali aazad aurat say

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

bahoat behtar hai go tumhein mushrika hi achchi lagti ho aur na shirk kamay waalay mardoan kay nikkah mein apni aurtoan ko do jab tak woh emaan na layein emaan wala ghulam aazad mushrik say behtar hai go mushrik tumhein achcha lagay. Yeh loag jahannum ki taraf bulatay hain aur Allah jannat ki taraf aur apni bakshish ki taraf apnay hukm say bulata hai woh apni aayatein logoan kay liye bayaan farma raha hai taakay woh naseehat hasil karein.

222. Aap say haiz kay baaray mein sawaal kartay hain keh dijiye woh gandagi hai haalate haiz mein aurtoan say alag raho aur jab tak woh paak na hojayein unn kay qareeb na jao haan jab woh pak hojayen to unn kay pass jao jahaan say Allah nay tumhein ijaazat di hai Allah tauba kamay waloan ko aur paak ralmay waloan ko pasand farmaata hai.

223. Tumhaari biwiyaan tumhaari khetiyaan hain apni khetiyoan mein jiss tarah chaho aao aur apnay liye (naik amaal) aagay bhejo aur Allah Taalaa say dartay raha karo aur jaan rakkho kay tum uss say milnay walay ho (55) aur emaan waloan ko khushkhabri suna dijiye.

224. Aur Allah Taalaa ko apni qasmoan ka iss tarah nishaana na banao kay bhalaee aur perhezgaari aur logoan kay darmiyan ki sulaah ko choad baitho aur Allah Taalaa sunnay waala janney wala hai. (56)

225. Allah Taalaa tumhein tumhari unn qasmon per na pakday ga jo pukhta na hoan haan uss ki pakad uss cheez per hai jo tumharay diloan ka fail ho Allah Taalaa bakshnay wala aur burdbaar hai. (57)

226. Jo loag apni biwiyoan say (talluq na rakhnay) qasmein khayein unn kay liye chaar

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

maheenay ki muddat hai phir agar woh laut '~'>X ""'1 I -:;; \J ,.9'f; , \J ii .9 ~,~ ,....,...." aayein to Allah Taalaa bhi bakshnay wala ~ ~ I.:) ... .J" 1.:)... ~ ~.J ~~ ,

eY~.J

meharban hai.

227. Aur agar tallaq ka hi qasad ker lein to Allah Taalaa sunney wala jannay waala hai.

228. Tallaq waali aurtein apnay aap ko teen haiz tak (58) rokay rakhein unhein halaal nahi kay Allah nay unn kay reham mein jo paida kiya ho ussay chupayein agar unhein Allah Taalaa per aur qayaamat kay din per emaan ho unn kay khawind iss muddat mein unhein lauta lenay kay pooray haq daar hain agar unn ka iraada islaah ka ho. Aur aurtoan kay bhi waisay hi haq hain jaisay unn per mardoan kay hain achchai kay saath. Haan mardoan ko aurtoan per fazeelat hai aur Allah Taalaa ghaalib hai aur hikmat waala hai.

229. Yeh tallaqein do martaba hain phir ya to achchaee say rokna ya umdagi kay saath chhoad dena aur tumhein halaal nahi kay tum nay unhein jo day diya hai uss mein say kuchh bhi 10 haan yeh aur baat hai kay dono ko Allah ki hudood qaem na rakh saknay ka khauf ho iss liye agar tumhein darr ho kay yeh dono Allah ki haden qaem na rakh sakeingay to aurat rehaee paaney kay liye kuchh day dalay iss mein dono per gunah nahi yeh Allah ki hudood hain khabardaar inn say aagay na badhna aur jo loag Allah ki haddoan say tajawuz ker jayein woh zaalim hain.

230. Phir agar uss ko (tee sri baar) tallaq day day to abb uss kay liye halaal nahi jab tak kay woh aurat uss kay siwa doosray say nikkah na karay phir agar woh bhi tallaq day day to inn dono ko mail jol kar lenay mein koi gunaah nahi ba shart -e-kay yeh jaan lein kay Allah ki haddoan ko qaem rakh sakeingay yeh Allah Taalaa ki hudood hain

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

jinhen woh janney waloan kay liye bayaan farma raha hai.

231. Jab tum aurtoan ko tallaq do aur woh apni iddat khatam kamay per aayein to abb unehin achchi tarah basao ya bhalaee kay saath alag kar do aur unhein takleef phonchanay ki gharaz say zulm-o-ziyadati kay liye na roko jo shaks aisa karay uss nay apni jaan per zulm kiya. Tum Allah kay ehkaam ko hansi khel na banao aur Allah kay ehsaan jo tum per hain yaad karo aur jo kuch kiab-o-hikmat uss ney nazil farmaee hai jiss say tumehein naseehat kar raha hai ussay bhi. AUf Allah Taalaa say dartay raha karo aur jaan rakkho kay Allah Taalaa her cheez ko janta hai.

232. AUf jab tum apni aurton ko tallaq do aur woh apni iddat poori ker lein to unhein unn kay khawindoan say nikkah kamay say na roko jab kay woh aapas mein dastoor kay mutabiq raza mand hoan. Yeh naseehat unhein ki jaati hai jinhein tum mein say Allah Taalaa per aur qayaamat kay din per yaqeeno-emaan ho iss mein tumhari behtareen safaee aur pakeezgi hai. Allah Taalaa janta hai aur tum nahijantay.

233. Mayen apni aulad ko do saal kamil doodh pilaayein jin ka iraada doodh pilaaney ki muddat bilkul poori kamay ka ho aur jin kay bachhay hain unn kay zimmay unn ka roti kapda hai jo mutabiq dastoor kay ho. Her shaks utni hi takleef diya jaata hai jitni uss ki taaqat ho. Maa ko uss kay bachchay ki wajah say ya baap ko uss ki aulad ki wajah say koi zarar na phonchaya jaaye (59) waaris per bhi issi jaisi zimmay dari hai phir agar dono (yani maa baap) apni raza mandi aur baahami mashwaray say doodh chhudaana chayein to dono per kuchh gunaah nahi aur agar tumhara

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

iraada apni aulaad ko doodh pilwaaney ka ho to bhi tum per koi gunaah nahi jab kay tum unn ko mutabiq dastoor kay jo dena ho woh unn kay hawalay kar do Allah Taalaa say dartay raho aur jaantay raho kay Allah Taalaa tumharay aemaal ki dekh bhaal kar raha hai. 234. Tum mein say jo loag faut ho jayein aur biwiyaan choad jayein woh aurtein apnay aap ko chaar maheeney aur das (din) iddat mein rakhein phir jab muddat khatam kar lein to jo achchaee kay saath woh apney liye karein uss mein tum per koi gunaah nahi aur Allah Taalaa tumharay her amal say khabardaar hai. (60)

235. Tum per iss mein koi gunaah nahi kay tum isharatan kanayatan unn aurtoan say nikkah ki babat kaho ya apney dil mein posheeda iraada karo Allah Taalaa ko ilm hai kay tum zaroor unn ko yaad karogay lekin tum unn say posheeda waaday na kar 10 haan yeh aur baat hai kay tum bhali baat bola karo aur aqad nikkah jab tak kay iddat khatam na hojaaye pukhta na karo jaan rakkho kay Allah Taalaa ko tumharay diloan ki baatoan ka bhi ilm hai tum uss say khauf khatay raha karo aur yeh bhi jaan rakkho kay Allah Taalaa bakshish aur hilm wala hai.

236. Agar tum aurtoan ko baghair haath lagaaye aur baghair mehar muqarrar kiye tallaq day do to bhi tum par koi gunaah nahi haan unhein kuch na kuchh faeda do. Khushal apnay andaaz say aur tangdast apni taaqat kay mutabiq dasatoor kay mutabiq achcha faeda day. Bhalaee kamay waloan per yeh laazim hai.

237. AUf agar tum aurtoan ko iss say pehlay tallaq day do kay tum nay unhein haath lagaya ho aur tum nay unn ka mehar bhi muqarrar kar diya ho to muqarrar mehar ka aadha mehar day do yeh aur baat hai kay woh

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

khud muaaf kardein ya woh shaks muaaf kardein jiss kay haath mein nikkah ki girah hai tumhara muaaf kar dena taqwa say bahoat nazdeek hai aur aapas ki fazeelat aur buzmgi ko faraamosh na karo yaqeenan Allah Taalaa tumharay aemaal ko dekh raha hai.

238. Namazoan ki hifaazat karo bilkhusoos darmiyan waali namaz ki (61) aur Allah Taalaa kay liye ba adab khaday raha karo.

239. Agar tumhein khauf ho to paidal hi sahih ya sawari hi sahih haan jab aman hojaye to Allah ka zikr karo jiss tarah ka uss nay tumhein uss baat ki taleem di jissay tum nahijantay thay.

240. Jo loag tum mein say faut hojayein aur biwiyaan choad jayein woh waseeyat kar jayein kay unn ki biwiyan saal bhar tak faeda uthayein unhein koi na nikaalay haan agar woh khud nikal jayein to tum per iss mein koi gunah nahi jo woh apney liye achchai say karein Allah Taalaa ghaalib aur hakeem hai.

241. Tallaq waaliyoan ko achchi tarah faeda dena perhezgaroan per laazim hai.

242. Allah Taalaa issi tarah apni aayatein tum per zaahir farma raha hai taakay tum samjho.

243. Kiya tum nay unhein nahi dekha jo hazaroan ki tadaad mein thay aur maut kay darr kay maaray apnay gharoan say nikal khaday huay thay Allah Taalaa nay unhein farmaya marr jao phir unhein zinda kar diya bay-shak Allah Taalaa logoan per bada fazal wala hai lekin aksar log na shukray hain.

244. Allah ki raah mein jihaad karo aur jaan 10 kay Allah Taalaa sunta jaanta hai.

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

245. Aisa bhi koi hai jo Allah Taalaa ko achcha qarz day pus Allah Taalaa ussay bahoat badha chadha kar ataa farmaye Allah hi tangi aur kushaadgi karta hai aur tum sab ussi ki taraf loutaey jaogay.

246. Kiya aap nay (hazrat) Musa kay baad waali bani israeel ki jamaat ko nahi dekha jab kay unhoan nay apnay payghumbar say kaha kay kissi ko humara badshah bana dijiye taakay hum Allah ki raah mein jihad karein. Payghumbar ney kaha mumkin hai jihaad farz hojanay kay baad tum jihaad na karo unhoan nay kaha bhala hum Allah ki raah mein jihaad kiyoan na kereingay? Hum to apnay gharoan say ujaray gaey hain aur bachchoan say door kar diye gaey hain. Phir jab unn per jihaad farz hua to siwaaye thoday say logoan kay sab phir gaye aur Allah Taalaa zaalimoan ko khoob jaanta hai.

247. AUf unhein unn kay nabi nay farmaya kay Allah Taalaa nay taloot ko tumahra baadshah bana diya hai to kalmay lagay bhala uss ki hum per hukoomat kaisay ho sakti hai? Uss say to bahoat ziyada haqdaar baadshahat kay hum hain uss ko to maali kushadgi bhi nahi di gaee. Nabi nay farmaya suno Allah Taalaa nay ussi ko tum per bargazeedah kiya hai aur ussay ilmi aur jismani bartari bhi ataa farmaee hai baat yeh hai kay Allah jisay chaahe apna mulk day Allah Taalaa kushaadgi wala aur ilm wala hai.

248. Unn kay nabi nay unhein phir kaha kay uss ki badshahat ki zaahiri nishaani yeh hai kay tumhaaray pass woh sandooq aa jaye ga jiss mein tumhaaray rab ki taraf say dil jamaee aur aal-e-Musa aur aal-e-Haroon ka baqiya tarqa hai farishtay ussay utha kar layeingay. Yaqeenan yeh to tumhaaray liye khuli daleel hai agar tum emaan laaey ho.

Surat 2. Al-Baqarah / Part2

249. Jab (hazrat) taaloot lashkaroan ko lay kar niklay to kaha suno Allah Taalaa tumhein aik naher say aazmaneay waala hai jiss nay uss mein say pani pi liya woh mera nahi aur jo ussay na chakhay woh mera hai haan yeh aur baat hai kay apnay haath say aik chulloo bhar lay. Lekin siwaaye chand kay baaqi sab nay woh pani pi liya (hazrat) taaloot momineen samet jab naher say guzar gaye to woh kalmay lagay aaj to hum mein taaqat nahi kay jaaloot aur uss kay lashkaroan say ladein. Lekin Allah Taalaa ki mulaqat ka yaqeen raklmay waaloan nay kaha basa auqaat chhoti aur thodi si jamatein badi aur bahoat si jamatoan per Allah kay hukm say ghalba paa leti hain Allah Taalaa sabar kamay waloan kay saath hai.

250. Jab unn ka jaaloot aur uss kay lashkar say muqabla hua to unhoan nay duaa maangi kay aey perwerdigaar humein sabar day saabit qadmi day aur qaum-e-kufaar per humaari madad farma.

251. Chunanche Allah Taalaa kay hukm say unhoan nay Jaalootiyoan ko shikast day di aur (hazrat) Dawood (alaih-e-salaam) ko mamlikat-o-hikmat aur jitna kuchh chaha ilm bhi ataa farmaya. Agar Allah Taalaa baaz logoan ko baaz say dafa na karta to zameen mein fasaad phail jaata lekin Allah Taalaa duniya waloan per bada fazal-o-karam kamay waala hai.

252. Yeh Allah Taalaa ki aayatein hain jinhein hum haqqaaniyat kay saath aap per padhtay hain bil yaqeen aap rasooloan mein say hain.

You might also like