Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 2

Isi talash-o-tasawwur mein kho gaya hun mein; (Asghar Gondvi)

Mein kyun hun, kab se hun, kab tak hun aur kya hun mein?
(Muhammad Samie)
Tamam daftar-e-hikmat ulat gaya hun mein Magar khula na abhi tak
kahan hun kya hun mein Rahi hai khak ke zarron mein bhi chamak
meri Kabhi kabhi to sitaaron main mil gaya hun mein Uda hun jab to
liya hai falak pe dam ja kar Zamin ko tod gaya hun jo reh gaya hun
mein (Asghar Gondvi) Isi talash-o-tasawwur mein kho gaya hun mein
Kahin zehmat kahin rahat kahin shifa hun mein Kahin abid kahin
munkir kahin fana hun mein Kahin aajiz kahin sarkash kahin raza hun
mein Kahin munsif kahin mujrim kahin saza hun mein Kahin rahbar
kahin rahzan kahin dagha hun mein Kahin dilbar kahin aashiq kahin
wafa hun mein Kahin saaqi to kahin rind-e-parsaa hun mein Kahin
hamdard kahin dard-e-ladawa hun mein Mere wajood main hai khair-
o-shar ki aagaahi Kabhi wali kabhi iblees se gira hun main
(Muhammad Samie) Isi talash-o-tasawwur mein kho gaya hun mein
Bashar ke roop main ik raaz-e-Kibriya hun mein Samajh sake na
farishtay keh aur kya hun mein Hayat-o-maot ke jalwe hain meri hasti
main Mein intaha bhi hun aur apni ibtida hun mein Pata lagaye koi
kya mere patay ka pata Mere patay ka pata hai keh la-pata hun mein
(Bedam Shah Warsi & Muhammad Samie) Isi talash-o-tasawwur
mein kho gaya hun mein Tark-e-“Mein” kiye ja aur “Tu” main bus
fana ho ja Shan-e-abd paida kar izn-e-Kibriya ho ja Tu hai jab payam
Us ka phir payam kya tera Tu hai jab sada Us ki aap be-sada ho ja
Admi nahi sunta admi ki baton ko Pekar-e-amal ban kar ghayb ki sada
ho ja (Asghar Gondvi & Muhammad Samie) Badalti rehti hai duniya
mere khayalon ki Kabhi mila hun kabhi yar se juda hun mein Mujhi
ko dekh len ab tere dekhne wale Tu aina hai mera tera aina hun mein
(Bedam Shah Warsi) Mein hun afzal sabhi takhleeq ke nazaaron main
Khuda nahi hun magar mazhar-e-Khuda hun mein (Muhammad
Samie) Mazhar-e-Khuda hun mein, Mazhar-e-Khuda hun mein
Mazhar-e-Khuda hun mein, Mazhar-e-Khuda hun mein Mein
Tamashai nahin Mein Tamashai nahin Mein Tamashai nahin, aap
tamasha hun main Mazhar-e-Khuda hun mein, Mazhar-e-Khuda hun
mein Mazhar-e-Khuda hun mein, Mazhar-e-Khuda hun mein Charha
sooli jo an-al Haq ki sada di mein ne Qum bi izni kaha to khaal
khench di mein ne Bandagi ki barhi qeemat hai chukaai mein ne Mein
hun khaki hai mehaz khak se nisbat meri Fana hun Tujh mein to phir
deed-e-Kibriya hun mein

You might also like