Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 4

Introduction

We are tanky troopers!

As we all know each individual makes a difference..

Hum yha par kya karne aae hai

Nukkad natak (street play)

Apni hopes and anxiety par based humne ek play prepare kia hai and wahi play hum yha par
apko dikhane wale hai...

Hooting with bucket!

Suno suno bhaio behno meri kahani teri kahani wahi purani nai kahani

Scene 1

conversation between father and daughter.

father- singing while shaving Aj mausam bada baimaan hai

daughter-dad kya kar rhe ho??

Father-shave kar rha hu..

Daughter-papa nal band karo, pani waste ho rha hai..

Father-meri ma mujhe maaf karo, vaiise bhi mai bahut late ho rha hu..

Scene 2

Conversation between mother daughter and son

Mother- loudly Pinky niklo, itni der ho gayi nahate hue, saara pani khatm ho jaega, mujhe kitty
party mein jana hai.

Pinky-kitty party, kitty party karti rhti ho, aaraam se nahaane do, paani thodi na khatm hota hai.

Son- mummy dekho apki ladli kitna pani waste kar rahi hai

Mother-tumhe kya problem hai, waise tum kahan ja rahe ho subah subah
Son-mai ja rha hu, apne dost k sath pani bachane.....

Mother-subah subah kuch kaam hota hai?? stress padh likh lo zara...

Son-padh lunga abhi ja rha hu angrily

Scene 3 (house1)

Group of boys going together

Boy1-aunty apka pani overflow ho rha hai.

Aunty- achha ye wahi bache hai pani bachao aandolan wale, bhago yha se, subah subah aa jate
hai angrily

Scene 4 (house 2)

Ting tong

Boy1-uncle dekho apka pani overflow ho rha hai

Uncle-pani mera hai,bill mai bharta hun, tumhe kya problem hai??

Boy2-uncle pani bachana chahiye..

Uncle-bhago yhan se..

Boy 3 -in uncle ko to hitler hona chahiye tha(anger)

Scene 5(house3)

Ting tong

Uncle-hanji bacho bolo..

Boy1 - uncle apka pani overflow hoo rha hai.

Uncle - hanji bache thanku so much


Boy2 - uncle please aap water volve laga lo...

Uncle-ji hum lagwa lenge.

Dance sequence

girl doing dance in water form or waves form

Boy1- (to all) -performance kitni achi thi na?

Boy2-performance to achi thi, par tumne dekha kaise wo hume apna dard bta rhi thị.

Boy 3-hamari nadiyan jo itne samay se behti aa rhi hai, maili aur sookh rahi hai, sach baat hai,
hum sunte hai, padhte hai par kuch karte nhi hai...

Boy 1-baat to sahi hai, ek taraf to hmari nadiyan sookh rahi hai aur doosri taraf hum colony me
kitna pani bha rhe hai. par kisi ko koi chinta nhi hai.

Boy 2-Humari colony ko dekho aur thoda bahar ja k dekho jhugio me rhne wale log kaise har ek
din, ek ek balti pani k liye ladte hai.

Boy 3 -agar aise hi paani behta rha to wo din door nhi jab hmari halat bhi aisi hi hogi.

Boy 1 -I think its time that people realize that saving water today is an investment for our future.

Boy 2 -lekin mai bhi to yhi keh rhi hu, hmare pas vaise hi itna kam pani bacha hai. kam se kam
jitna pani bacha hai use to sambhal le.

Everyone together - JAL HAI TO KAL HAI!!!!

Conclusion

1st person-kya ye sab hona jaruri hai. kya aap apne liye, apni duniya k liye kuch nhi karenge.

2nd person-aapke hath me hai aapko sochna hai.

3rd person-apna bhavishya aap badal sakte hai

4th person-hindustan ke har bhi nalke se ek bhi boond pani tapkte rhe to 32 lakh litre pani waste
hota hai....
5th person-aur yahan dekho har tank se nadiyan behti hai.

6th person-isi ruke hue pani se kitni water born diseases hoti hai ki duniya ke aadhe patients
water born diseases k hote hai.

1st person-aur ye sab isliye hota hai ki duniya k 1/3 logo ke pas sanitation k liye pani nhi hai.

2nd person-dusro ki chodiye apni sochiye research kehti hai agar paani aise hi barbaad hota rha
to 15 saal me har family chahe wo ameer ho ya gareeb unko 1.5 balti se jyada pani nhi milega...

3rd person- iss sabko badalna bahut mushkil hai lekin humare alawa isko badlega bhi kaun?

4th person-hum bhi chahte hai hamari nadiyan bahe, hamare ye trees hare bhare rahe aur khet
khilte rahe.

5th person-iss manzil ko pane ke liye hum sabhi ko saath kaam karna hoga. Yadi aap thoda bhi
haath btaenge toh manzil, door nhi.

6th person-toh aaj sabko ye nirnay lena hai(stress). Ki hum paani ko apne haath se phisalne
denge ya usse bachayenge?!!!!!!

So do your bit, save water now

You might also like