Document

You might also like

Download as odt, pdf, or txt
Download as odt, pdf, or txt
You are on page 1of 11

Ale banu umaiyah ki dur e kilafat ki galtiya is pdf se shrif aapko itna baata na banu umaiyah ke dur

me kya kaya galtiya hui or kese ahle bait par zulam hua haam sabhi sahaba Ka atraam karte hai or
atraam karte hue shrif aale umaiyah ki dur e khilafat me kya kya hua hazart muawiyah radiallahun ke
dur me kya kya hua

Riwayet Kate hai hazart abu hurairah


radiallahun nabi sallallahu
alaihissalam ne farmaya hai jise Kuch
pucha jata hai wo jaante hue chhupata
hai qayamat ke din aag ki lagaam uske
mu pe lagadi jaaye gi ( abu dawwod
#3658 )

Hadith#01
Sahl bin saad radiallahu anuhu ne farmaya ke marwan ki aulado me se ek shakas ko madina ka
Governor banaya gya tha use shaks ne sahl bin saad radiallahu anuhu se hazart ali radiallahu anuhu ko
gaali de ne ko kaha sahl bin saad ne aisa karne se maana kar diya use shakas ne kaha agar tum gaali
dene se inkaar kar te ho to kaho abu turab par Allah ki lanat sahl bin saad radiallahu anuhu ne farmaya
hazart ali radiallahu anuhu ko abu turab naam se yaad koi naam pasad na tha keu ke ye naam khud
rasool Allah ne Diya tha aur jab is naam se pukaara gaya to hazart ali radiallahu anuhu Khusee hui use
shakas ne kaha sahl bin saad se abu turab naam hazart ali ka kese pahada iska waqia sunao sahl bin
saad ne farmaya Allah ke rasool hazart fatima radiallahu anha ke ghar gye they aur Hazrat ali radiallahu
anuhu ko ghar me Nahin Dekha to hazart fatima radiallahu anha se farmaya tumare chaacha Ka beta
kaha hai hazart fatima radiallahu anha ne kaha hamre bheech thodi paida waar ho Gaye jise wo muje se
naraaz ho Kar chle gye aur yahan aaram nahin kiya allah ke rasool ne ek sahkas ko bheja pata Lagan ke
liye ke hazart ali radiallahu anuhu Kaha hai use shakas ne aakaar kaha Allah ke rasool hazart ali
radiallahu anuhu masjid me so rahe hai Allah ke rasool hazart ali radiallahu anuhu ke pass aaye aur
masjid me leta hua paya aur dhka ke hazart ali radiallahu anuhu ke dhool se lipta hue dhka aur Allah ke
rasool ne hazrat Ali radiallahu anuhu ke shareer ko saaf karna suru kardiya hazart ali radiallahu anuhu se
Allah ke rasool ne kaha utho Abu turab utho abu turab

(Sahihi Muslim #6229)

Hadith#02
Khalid bin madam tabai khete hai Hazrat Miqdam RadiAllahu Anhu hazart Muawiya radiallahu anuhu Ko
Milne Ke Liye Gaye Shaam Me To hazart Muawiya radiallahu anuhu Ne hazart Miqdam RadiAllahu Anhu
Se Kaha Kya Aapko Khabar milii Ke hazart Hasan radiallahu anuhu Faut Ho Gaye Hain To hazart Miqdam
RadiAllahu Anhu Ne Ye Sunkar Kaha ‫ انا هلل وانا اليه راجعون‬To hazart Muawiya radiallahu anuhu Ne Kaha Ke
hazart Miqdam radiallahu anuhu Tu hazart Hassan radiallahu anuhu Ke Marne Ko Ummat Ke Liye
Musibat Samajh Raha Hai Jab Unhone Ye Baat Suni To hazart Miqdam RadiAllahu Anhu Farmaya Ke Mai
hazart Hasan radiallahu anuhu Ki Wafat Ko Musibat Kyun Na Samjhun Maine Khud Dekha Ke Rasoolullah
Sallallahu Alaihi Wasallam Sayyedna hazart Hasan RadiAllahu Anhu Ko Daaye’n Taraf Bitha te The Aur
hazart Hussain RadiAllahu Anhu Ko Baaye’n Taraf Bitha te The Aur Farmate The Hasan Mujhse Hai
Hussain Ali Se Hai Ye Sunkar hazart Muawiya radiallahu anuhu ka Ek Chamche Ne Kaha hazart Hasan
RadiAllahu anhu Ek Aag Ka Angara Tha Jise Allah Ne Bujha Diya To hazart Miqdam Ne Farmaya Allah Ki
Qasam hazart Muawiya Tune Mere Dil Ko Aag Laga Di Hai Mai Us Waqt Tak Yahan Se Nahi Uthunga Jab
Tak Ke Tujhe Aag Na Laga Dun, Allah Ki Qasam Agar Mai Jhut Bolun To Mujhe Yahan Par Tok Dena Aur
Agar Mai Sahi Bolun To Mujhe Bata Dena Sun hazart Muawiya radiallahu anuhu Mai Tujhe Allah Ki
Qasam Dekar Puchta Hun Ke Kya Allah ke rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Nahi Farmaya Tha Ke
Sona Mard Ke Liye Haram Hai hazart Muawiya radiallahu anuhu Ne Kaha Haa’n Farmaya Tha Fir Kaha
Mai Allah Ki Qasam Dekar Puchta Hun Ke Kya Allah ke rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Resham Ko
Mard Ke Liye Haram Nahi Farmaya Tha hazart Muawiya radiallahu anhu ne Kaha Haan Farmaya Tha Phir
Farmaya Allah Ki Qasam Dekar Puchta Hun Ke Kya Allah ke rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne
Darindon Ki Khaal Pehenne Aur Uspar Sawari Ko Haram Nahi Farmaya Tha hazart Muawiya radiallahu
anuhu Ne Kaha Haan Farmaya Tha hazart Miqdam RadiAllahu Anhu Ne Kaha hazart Muawiya radiallahu
anuhu Ye Teeno Haram Kaam Tere Ghar Me Hote Hain hazart Muawiya radiallahu anuhuNe Kaha hazart
Miqdam RadiAllahu Anhu Mai Pehle He Janta Tha Mai Baato’n Me Tujhse Jeet Nahi Sakta (suna abu
dawwod #4131)

Hadith#03
Ikrima bin Khalid se riwayet hai hazart Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu ka bayaan hai ke Me hazrat
hafsa RadiAllahu Anha ke paas gaya tha to unke baalo me se pani tapak raha tha maine kaha tum dekhti
ho ke logo ne ye kya kiya hai Muja to Khilafat se koi cheez nahin di hazrate hafsa RadiAllahu Anha
farmane lagi. Aya mere bhai Abdullah tum jao logo se mulaqaat karo woh tumara intezar kar rahe hai
kahi aise na ho ke tum na jao aur unme ikhtelaf paida ho jaye pus hazart hafsa RadiAllahu Anha khe ne
par woh chale gaye Waha hazrat muaawiyah RadiAllahu Anhu ne khutba padha aur kaha,Agar koi
Khilafat ke muaamle me kuchh kehna chahta hai to apna sar uthaye Hum use hazart Abdullah bin Umar
se aur uske baap se bhi jayada khilafat ke mustahiq hai Habib bin musilma ne hazart Abdullah bin Umar
radiallahu anuhu se kaha aap ne hazart Muawiya radiallahu anuhu ko jawab keu nahin Diya hazart Umar
radiallahu anuhu ne farmaya ke mene ye iraada kiya ke hazart Muawiya radiallahu anuhu ko jawab me
kahu ke is muaamle khilafat me tum se aur tumare baap se jayada khilafat ke mustahiq hazart ali
radiallahu anuhu hai jo Islam ke liye tum dono se imaan laane se phele jang kar chuke hai magar khoon
razi ke fitna se khamos hokar jaanat ke sawab par kinaat kar gya Habib bin musilma ka bayan hai ke
Abdullah bin Umar radiallahu anuhu ne khamos reha kar apni lzzat ko fasad se bhcha ya
(sahihi bukhari#4108)

Hadith#04
Hazart abu shaeed khudri se riwayet hai ke Allah ke rasool ne Eid al adha aur eid ul fitr par jaate
aur pehle namaz padhte fir khade hokar khutba dete aur logo ko apni taraf Bulate aur fir koi lasakar
bhejna hota to bhej te fir sadqe ki targim dilate aur aurte sub se Yaad kherat aur sadqa Karti thi aur fir
Allah ke rasool ghar tasreeb laate aur ye mamla ase He raha hata ke Marwan bin Hakam ka dur aagya
hazart abu shaeed khudri radiallahu Anuhu khete hai me bhuda ho chuka tha mene Marwan bin hakam
ki kamar Par hath Rakh Kar Eid gaha ke liye rawana hua hata ke haam Eid gaha pohche to abu shaeed
khudri Radiallahu anuhu khete hai ke mene dakha ke kasir bin asalt ne gaharo aur itho ka Membar
khada kiya hua hai Marwan ne mera hath ko khiche khiche kar membar ki aur le Jahara tha aur me
Marwan ko musale ki aur le jahara tha to Marwan ne muje se kaha AbuShaeed tuje pata hai aagli sunate
jo thi wo khatum ho Gaye hazart abu shaeed khudriRadiallahu anuhu ne kaha hagiz Nahin use jaat ki
kasam jis ke hath me Mari jaan hai aa Marwan tu khero bhali pe Nahin hai hazart abu shaeed khudri
radiallahu anuhu ne teen Baar kaha aur gusa hokar waha se chle gaye ( sahihi bukhari # 956 ) (sahihi
Muslim#2053) ( miskat #1452 )

Hadith#05
Riwayet hai Yusuf bin Mahak se ke Marwan bin hakam jo hazart muawiyah radiallahu anuhu ki Taraf Se
hijaz ka governor tha usne madina me masjid e nabwi me khutba dete hue hazart muawiyah radiallahu
Anuhu ke bete yazid bin muawiyah ka zikr e kheir karna suru kardiya taake hazart muawiyah radiallahu
Anuhu ke baad uski bait par aamada kiya jaye fir kaha Marwan bin hakam ne ke Allah ne hamare amir al
Mominin ko ek baat sujaai hai wo chate hai apne baad apne bete ko khalifa namzad karen aur waha
Hazart abdu Rahman bin Abu baker radiallahu anuhu khade hue aur unhone Kuch ke diya Marwan bin
Hakam ne kaha pakhdo isko abdu Rahman bin Abu baker hazart Aisha radiallahu anha ke hujre me chle
Gaye jaldi aur Marwan kheta hai oo abu bakar ke bete wo quran ki al ahqaf aayat tere liye he nazil hui
hai Marwan kheta hai ke mere maa baap khete hai ke mar ne ke baad Zindaa kiya jaye ga fir Allah ke
rasool Ke samne pes hona hai ye to aagle logo ki khaani hai Marwan ne kaha Abu baker ke bete wo tu he
hai Kafir jis ke liye al ahqaf ki aayat nazil hui hai to hazart Aisha radiallahu anha ko gussa aaya aur kaha
aale abu baker ke baare me koi aayat nazil nai hui hai siwaye meri baraat me Surat ul nuh nazil hui
( sahihi bukhari #4827 ) iski Puri detail hai. (sunan nasai al kubra # 11491 ) ( al mustadrak al hakim #4834
)

Hadith#06
Ikrima se riwayet hai ke hazart Abdullah ibne abbas radiallahu anuhu ne muje aur ali bin Abdullah ibne
abbas radiallahu anuhu ne bola jawo hazart abu shaeed khudri radiallahu anuhu ke pass wo jo unse
Hadith suno ham gaye Abu shaeed khudri ke pass wo apne Bhai ke sath baagh me they Abu shaeed
khudri radiallahu anuhu ne hame dhka aur chadar bicha kar bhet Gaye aur haam ne aakaar kaha ibne
abbas ne bheja hai Kaha hai hazart abu shaeed khudri radiallahu anuhu ke pass jawo aur Hadess suno
Abu shaeed khudri radiallahu anuhu ne farmaya ham masjid e nabwi tamir kar rahe they sab log ek ek
pathar utha rahe they aur Hazrat Ammar Radiallah anhu do do pathar utha raha tha to Allah ke rasool ne
aakaar hazart Ammar Radiallah anhu ke cahere pe pithi lagi hui thi Allah ke rasool ne khud hatai aur
kaha aa sumaiya ke bete tu Islam ki itni khidmat kar raha hai unkarib tuje ek bhaagi jaamat qatal kare gi
tu unko janat ki Taraf bula raha ho aur wo tuje jahanum ki aur ( sahihi bukhari # 2812 )

Hadith#07
Hazrat Abdullah Bin Haarith Bayaan Karte Hain Ki Me Hazrat AbdulAllah Bin amr Bin ass Aur Hazrat
Muawiya Ke Saath Chal Raha Tha Ki Hazrat AbdulAllah Bin amr Ne Kaha Aye Muawiya Kya Toone Woh
Baat Nahin Suni Jo Log Kah Rahe Hain Ki Ise Baaghi Giroh Ne Qatl Kia Hai to Hazrat Muawiya Ne Kaha To
Hamesha Apni Baat Me Baatil Par Hoga Kya Hum Ne Use Qatl Kiya Hai Use To Un hazart ali Ne Qatl Kiya
Hai Jo hazart Ammar Radiallah anhu Hamaare Paas Laaye They [An-Nasai Khasais-E-Ali Ibn Abi Talib
151/170

Hadith#08
Ibn Ziyad Ne (Parda-Nashin Khawaatin) Wa Atfaale Husayn RadiyAllahu anhu Ke liye Bhi Hukm Diya Un
Kee Rawangi Ka Bhi Saamaan Kiya Gaya. Hazrat Ali Bin Husayn RadiyAllahu anhu Ke liye Hukm Diya Ki
paao Se Gale Tak Zanjir Me Jakad diya jaaye Aur Mahdar Bin Thalabah Aidi Aur Shimr Ko Saath Kar Ke Un
Ko Rawaana Kiya Yeh Dono Sab Ko liye hue Yazeed Ke Paas Pahonche Raaste Me Hazrat Ali Bin Husayn
RadiyAllahu anhu Ne Un dono Se Kabhi koi Baat Nahin Kee [ Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa-Al-Mulook Al-
Ma’roof Tarikh At-Tabari, 04/236, Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa-Al-Nihayah, 08/249.]

Hadith#09
Ahle kufa Hazrat Husayn RadiyAllahu anhu Ka Sar Le Kar Jab AaYe To Masjide Dimash Me Daakhil hue
Marwan Bin Hakam Ne Un logo Se Puchha Ke Tum Ne Kya Kiya Kaha In Me Se Athaara Shakhs Ham Logo
Me Waarid hue They Ham Ne Sab Ko Qatl Kiya Yeh Un Ke Sar Hain Aur Aseer Aurte hain yeh Sunte Hee
Marwaan Daur Kar Waha Se Chala Gaya Us Ka Bhai Yahyah Bin Hakam Un logo Ke Paas Aa Kar Puchhne
Laga Ki Tum Ne Kya Kiya Unhone Marwaan Se Jo Kaha Tha Wohi Kalima Yahya Se Bhi Keh Diya Yahya Ne
Kaha Tum Log Qiyaamat Ke Din Shafa ate Muhammad SallAllahu Alayhi WaAalihi WaSallam Se Mehroom
Ho Chuke Ho Mein To Ab Kisi Amr Me Kabhi Tumhaara Saath Na Dunga. Yahya Yeh Keh Kar Utha Aur
waha Se Chala Gaya Yeh Log Yazeed Ke Paas Gae Aur Us Ke Saamne Hazrat Imam Husayn RadiyAllau
anhu Ka Sar Rakh Diya Aur Qissa Bayan Karne Lage [Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa-Al-Mulook Al-Ma’roof
Tarikh At-Tabari, 04/240,Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa-Al-Nihayah, 08/251

Hadith#10
Jab Imam Husayn RadiyAllahu ‘Anhu Aur Aap Ke Saathiyo’n Ke Mubaarak Sar Yazeed Ke Paas Pahonche
To Woh Darbaar Laga Kar Baitha Tha Aur Shaami Ro’asa Ko Bulwa Kar Un Ko Apne Girda-Gird Bithaya
Hu’a Tha. Phir Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu ‘Anhu Ka Sare Anwar Us Ke Saamne Rakhkha Gaya To Us
Ne (Apne Haath Ke) Chhadi Aap Ke Chehra-e Anwar Par Maarna Shuroo’ Kee Aur Kehe ne laga ،‫يفلقن هاما‬
‫ من رجال اعزة علينا وهم كانوا اعق و اظلما‬Unhone (Ya’ni Talwaaro’n Ne) Aise Logo’n Kee Khopdiya’n Todi’n Jo
Ham Par Ghaalib They Aur Woh Nihaayat Naa-Farmaan Aur Zaalim They [Ibn Jawzi Fi Al-Radd ‘Ala Al-
Muta’assib Al-‘Anid Al-Mani’ Min Dhammi Yazid,/57,Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa-Al-Nihayah,
08/246,Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa-Al-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 04/240.]

Hadith#11
Qabisah Bin Dhu’ayb Al-Khuza’i Se Riwayat Hai Unhone Kaha: Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu ‘Anhu
Ka Sare Anwar Laaya Gaya Aur Yazeed Ke Saamne Rakhkha Gaya To Us Ne Apne Haath Me Pakdi Hu’i Ek
Chhadi Se Aap Ke Sare Anwar Par Zarb Maari Aur Phir Mundareja-e Zail Sher phda ‫ من رجال اعزة‬،‫يفلقن هاما‬
‫ علينا وهم كانوا اعق و اظلما‬Hamare haath Kee Talwaaro’n Ne Aise Logo’n Kee Khopdiya’n Todi Jo Ham Par
Ghaalib The Aur Nihaayat Naa-Farmaan Aur Zaalim They Ibn Abi Al-Dunya Ne Kaha Aur Ham Se Bayan
Kiya Ibrahim Bin Ziyad Ne, Unhone Kaha Ham Se Bayan Kiya Abd Al-Aziz Bin Abd Allah Ne, Ham Se Bayan
Kiya Abd Al-Aziz Darawardi Ne, Unhone Riwayat Kiya Haram Bin Uthman Se, Unhone Hazrat Jabir Ansari
RadiyAllahu ‘Anhu Ke Ek Bete (Beto’n Me Se Ek Bete) Se Unhone Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu
‘Anhu Se Riwayat Kiya Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Yazeed Bin
Mu’awiyah Ke Paas Tha. Jab Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu ‘Anhu Ka Sare Anwar Us Ke Paas Laaya
Gaya To Us Ne Lakdi Ke Saath Aap Ke Honto’n Par Maarna Shuroo’ Kiya. Aur Woh Mundareja-e
Baala(Oopar Bayaan Karda) She’r Padhne Laga Mein Ne Use Kaha: Apni Chhadi Hata Le, (Aur Is Gustaakhi
Se Baaz Aa Ja). Us Ne Jawaab Diya: Tum Mujhe (Is Se) Rokte Aur Man’a Karte Ho? To Mein Ne Jawaaban
Kaha: Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko
Dekha Ki Aap Ne Imam Hasan Ko Apne Daa’e’n Zaanoo Par Imam Husayn Ko Apne Baa’e’n Zaanoo Par
Bitha Rakkha Hai Aur Apna Daaya’n Haath Mubarak Imam Hasan Ke Sare Anwar Par Rakhkha Hu’a Tha
Aur Apna Baayaa’n Haath Imam Husayn Ke Sar Mubarak Par Aur Aap Farma Rahe They: Ae Allah Mein In
Dono’n Ko Tere Saaleh Mu’minin Ke Supurd Karta Hoo Phir Us Ke baad Hazrat Zayd Bin Arqam
RadiyAllahu Anhu Yazeed Se Kehne Lage: Ae Yazeed! RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam
Kee Wadi’at Aur Amaanat Ke Li’e Teri Hifaazat Kaisi Hai?” (Un Kee Wadi’at Wa Amaanat Kee Yoo’n
Hifaazat Kar Raha Hai Aur Un Ke Saath Yeh Zaalimaana Wa Saffaakaana Sulook Kar Raha Hai. [Ibn Jawzi
Fi Al-Radd ‘Ala Al-Muta’assib Al-‘Anid Al-Mani’ Min Dhammi Yazid,/57_58.]

Hadith#12
Muhammad se riwayet hai ke hazart anas bin Malik radiallahu anuhu ne kaha hazart Husain radiallahu
anuhu ka sar kaat ke ubaidullah bin ziyad ke samne tes par sar ko rakha Gaya hazart Husain radiallahu
anuhu ke sar ke naak aur muh pr chdiya maar na suru kar diya ibne ziyad ne aur Kuch kene raha tha
hazart anas bin Malik radiallahu anuhu ne kaha hos kar ibne ziyad Allah ki kasam rasool Allah ke sab se
jyada hamsakal they ( sahih bukhari #3748 )

Hadith#13
Aboo Mikhnaf Ne Aboo Jafar Se Riwayat Hai Ki Marwan Bin Hakam Ka Bhai Yahya Bin Hakam Khada
Hua Aur Yeh Sher Padhe karbala Me Qatl Hone Waale Ashraaf Se Hamaara Qaribi Rishta Tha Ba-Nisbat
Kamine Hasab-Nasab Waale Ghulam Ibn Ziyad Ke. Sumayyah Kee Nasl Kankaro’n Paththaro’n Kee Tarh
Be-Shumaar Ho Ga’i Hai Aur Aale Mustafa SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Nasl Naapaid Ho
Rahi HaiAbooJa’far Isa Kehte Hain Ki Is Par Yazeed Ne Yahya Bin Hakam Ke Sine Me Zarb Lagaa’iAur Kaha
Khaamosh Ho Ja [Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa-Al-Nihayah, 08/246.]

Hadith#14
Mujahid Ne Bayan Kiya Hai Ki Jab Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu ‘Anhu Ka Sar La Kar Yazeed Ke
Saamne Rakhkha Gaya To Us Ne Tamsilan Yeh Ash’aar Padhe Kaash Badr Me Qatl Hone Waale Mere
Shuyookh Dekhte Ki Bani Khazraj Nezo’n Kee Zarbo’n Se Kaise Cheekh-Chilla Rahe They. Unhone
Talwaaro’n Se Zarbe’n Lagaa’i’ Phir Khushi Se Na’ra Maara, Aur Mujh Se Kaha Ki Mubarak Ho Ab Talwaar
Na Soont. Jab Maidaane Jang Me Oont Chhatiya’n Ragde’n Aur Neza-Bardaar Sar-Garm Qitaal Ho. Ham
Ne Tumhaare Dugna Ashraaf Ko Qatl Kar Diya Hai, Aur Yawme Badr Kee Mizaan Ke Jhukaa’o Ko Baraabar
Kar Diya Hai Mujaahid Ne Bayaan Kiya Hai Ki Is Ne In Ashaar Me Munaafiqat Se Kaam Liya Hai (Ibn Kathir
Fi Al-Bidayah Wa-Al-Nihayah, 08/ Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa-Al-Nihayah, 08/246.]

Hadith#15
Hisham Bin Muhammad Ne Apne Baap Se Us Ne Ubayd Bin Umayr Se Bayan Kiya Hai Ki Woh Kehta Hai
Ki Qaysare Rome Ka Safir Darbaare Yazeed Me Haazir Tha, Woh Yazeed Se Daryaaft Karne Laga: Yeh Kis
Ka Sar Hai? Yazeed Ne Kaha: Husayn(RadiyAllahu ‘Anhu) Ka. Woh Kehne Laga: Kaun Husayn(RadiyAllahu
‘Anhu)? Yazeed Ne Jawab Diya: Fatimah(RadiyAllahu ‘Anha) Ka Beta. Us Ne Kaha: Kaun
Fatimah(RadiyAllahu ‘Anhu)? Yazeed Ne Kaha: Muhammad(SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Kee
Beti. Safire Ne Kaha: Muhammad(SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam)! Tumhaare Nabi? Yazeed Ne
Kaha: Haa’n. Safir Ne Poochha: Us Ka Baap Kaun Tha? Yazeed Ne Jawaab Diya: Ali Ibn Abi
Talib(KarramAllahu Waj’hah-ul-Karim). Us Ne Kaha: Ali Ibn Abi Talib(RadiyAllahu ‘Anhuma) Kaun Tha?
Yazeed Ne Kaha: Hamaare Nabi Ka Chacha-Zaad Bha’i. To Us Ne Kaha: Halaakat Hai Tumhaare Li’e Aur
Tumhaare Deen Ke Li’e. Masih Ke Haqq Kee Qasam! Tum Log Naa-Laa’iq Ho. Hamaare Ba’z Jaziro’n Me
Ek Girja Hai Jis Me Us Gadhe Ka Khur Rakhkha Hu’a Hai Jis Par Hamaare Sardaar Isa(‘Alayh-is-Salam)
Sawaar Hu’e They. Ham Log Har Saal Atraafe Dunya Se Us Kee Ta’zeem Is Tarh Karte Hain Jis Tarh Tum
Log Khana-e Ka’ba Kee Karte Ho. Pas Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Tum Baatil Par Ho. Phir Woh Khada
Ho Gaya Aur Do Baarah Us Ke Paas Waapas Na Aaya [Sibt Ibn Al-Jawzi Fi Tadhkirat Al-Khawass, Al-
Ma’roof Bi Tadhkirat Khawass Al-Ummah Fi Khasa’is Al-A’immah,/263,

Hadith#16
“Ek Zimmi Ne Kaha: Mere Aur Hazrat Dawud(‘Alayh-is-Salam) Ke Darmiyaan Sattar Aaba’ Ka Faasila Hai.
Aur Yahood Meri Ta’zeem Aur Ehteraam Karte Hain. Aur Tum Ne Apne Nabi Ke Bete Ko Qatl Kar Diya
[Haytami Fi As-Sawa’iq Al-Muhriqah ‘Ala Ahl Al-Rafd Wa Al-Dalal Wa Al-Zandaqah,/581 Sibt Ibn Al-Jawzi
Fi Tadhkirat Al-Khawass, Al-Ma’roof Bi Tadhkirat Khawass Al-Ummah Fi Khasa’is Al-A’immah,/263.]

Hadith#17
Imam Hasan Mujtaba Kee Wafaat Ke Mutalliq Hafiz Ibn Kathir Likhte Hain Ki Umayr Bin Ishaq Ne Bayan
Kiya Ki Mein Aur Quraysh Ka Ek Shakhs Hazrat Hasan Bin Ali Ke Paas Ga’e To Aap Uth Kar Andar Chale
Ga’e Phir Aap Baahar Aa’e Aur Farmaya Ki Mere Jigar Ka Tukda Gir Pada Hai Aur Mein Ne Use Is Lakdi Ke
Saath Ulat-Pulat Kar Dekha Hai Mujhe Ka’i Baar Zehr Pilaaya Gaya Mujhe Kisi Dafa Is Se Ziyaada Sakht
Zehr Nahin Pilaaya Gaya Raawi Bayaan Karta Hai Ki Aap Ne Qurayshi Shakhs Ko Farmaya Ki Mujh Se
Puchh Lo Qabl Is Ke Ki Tum Mujh Se Na Puchh Sakoge Us Ne Kaha Ki Mein Aap Se Kuchh Nahin
Puchhunga. Alla Ta’ala Aap Ko Sehhat Ata Farmaa’e. Jab Imam Hasan Kee Wafaat Ka Waqt Qareeb Aaya
To Ek Tabeeb Ne Jo Aap Ke Paas Aaya Karta Tha Kaha Imam Hasan Kee Aanto’n Ko Zehr Ne Kaat Diya Hai
Is Waqt Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ne Kaha Ae Aboo Muhammad (Imam Hasan)! Mujhe Bataa’o Aap
Ko Kis Ne Zehr Diya Hai. Aap Ne Farmaya: Ae Bhaa’i Kyuoon, Imam Husayn Ne Kaha: Khuda Kee Qasam!
Mein Aap Ko Dafn Karne Se Pehle Use Qatl Kar Dunga. Imam Hasan Ne Farmaya: Ae Mere Bhaa’i
Dunyadaar Faani Hai. Us Shakhs Ko Chhod Do Yaha’n Tak Ki Mein Aur Woh Allah Ke Haa’n Mulaaqaat
Kare’n. Imam Hasan Ne Us Ka Naam Lene Se Inkaar Kar Diya Ki Hafiz Ibn Kathir Ne Apni Sanad Ke Saath
Imran Bin Abdullah Se Riwayat Kee Hai Ki Mein Baa’z Ko Kehte Hu’e Suna Hai Ki Hazrat Mu’awiyah Ne
Apne Ek Khaadim Se Ehsaan Kar Ke Kaha Ki Woh Hazrat Imam Hasan Bin Ali Ko Zehr Pilaa’e. Aur Dusri
Riwayat Me Yeh Hai Ki Ja’dah Ko Hazrat Mu’awiyah Ne Is Par Bar Angekhta Kiya Ki Woh Hasan Bin Ali Ko
Zehr Pila De, Chunaanche Us Ne Imam Hasan Ko Zehr Pila Diya Jis Se Woh Faut Ho Ga’e. Mughirah Ne
Moosa Se Riwayat Kee Ki Ja’dah Bint Ash’ath Bin Qays Ne Hazrat Imam Hasan Ko Zehr Pilaaya Jis Se Aap
Bimaar Ho Ga’e (Aur Zehr Se Aap Kee Wafaat Ho Gayi Abdullah Bin Ja’far Ummi Bakr Bint Miswar Se
Riwayat Karte Hain Ki Ummi Bakr Ne Kaha Ki Imam Hasan Ko Ka’i Martaba Zehr Pilaaya Gaya Aur Aap Us
Se Bach Jaate They. Yaha’n Tak Ki Aakhiri Baar Zehr Se Faut Ho Ga’e Aur Banu Hashim Kee Aurto’n Ne
Aap Par Ek Maah Nauha Aur Maatam Kiya (sulh al Hassan #25

Hadith #18
Tarikhe Tabari Me Hai Ki Imam Hasan Ne Hazrat Mu’awiyah Ke Zamaane Me Wafaat Paa’i Un Ko Zehr
Diya Gaya. Hazrat Mu’awiyah Ke Paas Kuchh Chize’n Thi’n Un Ko Khufya Ja’dah Bint Ash’ath Zawja-e
Imam Hasan Ke Paas Bheja Aur Yeh Kehla Bheja Ki Agar Tum Un Ko Qatl Kar Dogi To Mein Tumhara
Nikaah Yazeed Ke Saath Kar Dunga Ash’ath Ne Diya Aur Yeh Hazrat Mu’awiyah Ke lyma Aur lythaar Se
Hu’a Aur Sudday Ne Is Ko Yazeed Kee Taraf Mansoob Kar Diya. Imam Hasan Alayh-is-Salam Kee Wafaat
Par Hazrat Mu’awiyah Ne Khushi Ka Izhaar Kiya Jis Par Hazrat Mu’awiyah Ke Ghar Se Ek Aurat Ne Hazrat
Mu’awiyah Ko Kaha Ki Kya Rasoole Paak Kee Beti Ke Bete Ke Marne Par Khushiya’n Ho Rahi Hain. Na’re
Lagaa’e Jaa Rahe Hain ( Ibn Hajar Asqalani Fi Tahdhib Al-Tahdhib Fi Rijal Al-Hadith, 09/127) (Ahmad
Wakil Fi Raf’a Al-Hijab An Fasl Al-Khitab, Safha-202)

Hadith#19
Ke banu umaiyah ke dino me hazaro se jyada minbar masjid me they unhone se hazart ali radiallahu
anuhu ko Allah ki lanate di jisme se Kuch muawiyah ne unke liye sunat ki thi (Rabeea’ al-Abrar, al-
Zamakhsharial-Hafidh Jalaluddin al-Suyuti)

Hadith#20
Hazrat Abu Darda radi-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa
sallam ne farmaya Meri sunnat ko badalne wala pehla shakhs Banu Umayya me se hoga Hazrat Abu
Huraira radi-Allahu taala anhu ne Dua ki ya Rab, Main teri panaah maangta hu San 60 Hijri ke aaghaaz se
aur ladkon ki hukoomat se Yani Hazrat Abu Huraira radi-Allāhu ta’ala anhu haamil e asraar the aur unhe
maaloom tha ke 60 hijri ka aaghaaz faasiq ladko ki hukoomat aur fitnon ka waqt Aaya (Sehwaan e
Karbala, Safa -71)

Hadith#21
Ghasal ul malaaika Hazrat Hanzala radi Allahu ta’ala anhu ke bete Hazrat Abdullah bin Hanzala radial
ta’ala anhu farmaate hain ALLAH ki qasam hum ne us waqt Yazeed par hamle ki Tayyari jab hume
andesha hua ki uski badkaariyo ke sabab aasamaan se pattharo ki baarish hokar azaab e ilahi naazil na
ho jaaye. Yazeed apni maa, bahen aur betiyo se zina karta tha, sharaab peeta tha aur namaaz nahi
padhta tha ( tabaqat al kubra vol 05 pege 66 )

Hadith#22
Hazrat Nufil bin Abul Furaat se riwayat hai ki Main ek Roz Khaleefa Hazrat Umar bin Abdul Azeez
rahmatullahi alaihi ke paas baitha tha ke Yazeed ka zikr hua aur ek shakhs ne use Ameer ul Momineen
Yazeed bin Muawiya kaha to Hazrat Imaam Umar bin Abdul Azeez ne us shakhs se farmaaya ke tu use
Ameer ul Momineen kehta hai. Phir aap ne hukm diya ke Yazeed ko Ameer ul Momineen kehne wale
shakhs ko 20 kode lagaye jaaye (Imaam as-Suyuti, Taareekh ul Khulfa, Safa – 167)

Hadith#23
Ḥāfiẓ Ibn Kat̲h̲īr Shāmī likhte haiṅ:

“Ḥaz̤rat ʻAli raḍiya Allāhu ‘anhu ne yeh āyat par̥hī “ ٌ‫ِصاص‬ ُ ‫”و ْال ُح ُر َم‬
َ ‫ات ق‬ َ ﴾al-Baqarah: 194﴿ phir āwāz dī: ae
MuʻAwiyah! Tū halāq ho mere muqābalah meṅ ā aur apne aur mere darmiyān ʻArboṅ ko halāq nah kar.
To Ḥaz̤rat ʻAmr bin al-ʻĀṣ ne unheṅ kahā: ise ġhanīmat samjho, woh chār ādamiyoṅ ko qatl kar ke nidhāl
ho chuke haiṅ. To Ḥaz̤rat Muʻāwiyah ne unheṅ kahā: qasam ba-Ḳhudā! Mujhe maʻlūm hai keh Ḥaz̤rat ʻAli
raḍiya Allāhu ‘anhu kabhī maġhlūb nahīṅ huwe aur tum chāhte ho keh maiṅ qatl ho jā’ūṅ aur tum mere
baʻd Ḳhilāfat ḥāṣil kar lo, apnā rāstā lo, mere jaise ādamī ko dhokah nahīṅ diyā jā saktā.”

[Ibn Kat̲h̲īr fī al-Bidāyah wa-al-nihāyah, 07/451.]

________________fatawa____________________

Allama Ibne Taimiyah Al-Harani (Rahimahullah) ne likha “Jo ALLAH aur akhirat ke din par Imaan rakhta
ho wo ye nahi chahega ki Yazeed aur iske jaise doosre mal’ook ke sath rahe jo AADIL nahi the [Fatawa
Ibne Taimiyah — Jild 4: Safa 251–252]

_________________________________________

Moarrikh-e-Islam Hafiz Shamsuddin Zahbi (Rahimahullah) farmate hain “Yazeed bin Muawiya Nasibi,
sangdil, badzaban ghaleez jafaar ka, sharabkhor aur badkar tha. Isne apni hukumat ka iftitah Hazrat
Hussain Shaheed (Radiallahu Anhu) ke qatal se kiya aur ikhtitam waqiyah harrah ke qatal-e-aam par kiya,
isliye logo ne is par phitkar bheji aur iski umar mein barkat na ho saki Hazrat Hussain (Radiallahu Anhu)
ke bad bahut se Sahaba (Radiallahu Anhum) ne iske khilaf ALLAH ki raza ke liye khurooj kiya”. [Al-Rauz
Al-Basim — Jild 2: Safa 36]

_________________________________________

Hafiz Imaduddin Ibne Kaseer Al-Damishqi (Rahimahullah) farmate hain “Yazeed ka shahwaat ki taraf
mailaan tha aur ba’az auqat Namaz chhod deta tha aur basa Namaze waqt-e-qaza par padhta tha”. [Al-
Bidaya wa Al-Nihaya — Jild 8: Safa 230]

_________________________________________

Fakhr-e-Muhadiseen Imam Jalaluddin Suyuti (Rahimahullah) farmate hai: Aap (Hazrat Hussain Radiallahu
Anhu) Ko Saheed kia gaya aur Aap (Radiallahu Anhu) ka sir Mubarak Ibn Ziyad ke pas ek tastari mai laya
gaya. Allah ki La’nat ho usper jisne Aap (Radiallahu Anhu) ko qatl kia, Ibn Ziyad aur Yazeed per bhi.
[Tarikh ul Khulafa: Safa 165]

_________________________________________

Hakeemul Ummat Hazrat Maulana Muhammad Ashraf Ali Thanvi (Rahimahullah) farmate hain “Yazeed
fasiq tha aur fasiq ki wilayet mukhtalif feeh hai”. [Imdadul Fatawa — Jild 4: Safa 565]

________________________________________

Hadith#24
Hajj ke rasate se Mein hazart saad bin abi Waqas radiallahu anuhu aur hazart muawiyah radiallahu
anuhu mile aur muawiyah ke Saath jo log they unhone hazart ali radiallahu anuhu ke bura khane lage to
muawiyah ne hazart ali radiallahu anuhu pe lanat ki hazart saad bin abi Waqas radiallahu anuhu naraj ho
gye aur pucha aap Asie baate keu khete ho ( salafi aalim Shaik al baani ne ise sahihi kaha hai ) ( suna
ibne majah volume 1 page 26)
Hadith#25
Jab hazart Hassan bin Ali radiallahu anuhu ki shahadat ho gaye to hazart muawiyah radiallahu anuhu ne
hajj kiya aur madina me rehane aaya jahan Allah ke rasool ke mimbar par hazart ali radiallahu anuhu ko
Lanat dena cahata tha isliye logo ne kaha hazart saad bin abi Waqas radiallahu anuhu yaheen hai aur wo
Nahin maane ge tume phle unse puchna cahaiye isliye muawiyah radiallahu anuhu ne hazart saad bin
abi Waqas radiallahu anuhu ke pass bheja aur ye sab kaha to hazart saad bin abi Waqas radiallahu anuhu
ne kaha agr aapne asha kiya to me masjid chodo du ga aur yahan kabhi nahin aao ga isliye muawiyah ne
hazart ali radiallahu anuhu ko Lanat karne se rok liya aur jab hazart saad bin abi Waqas radiallahu anuhu
ka mar gaye to muawiyah ne fir se hazart ali radiallahu anuhu ko mimbar par lanat kari aur apne logo ko
bhi kaha tum bhi mimbar par hazart ali radiallahu anuhu ko Lanat dena suru kar Diya to Allah ke rasool ki
biwi hazart umme salama ne muawiyah ko Likha aap Allah aur uske rasool ko mimbar par bura bhal ke
rahe hai aur hazart ali radiallahu anuhu se payar karne walo ko bhi bura bhal ke rahe hai aur me gawai
deti hu Allah aur uske rasool hazart ali radiallahu anuhu se payar karte hai halake hazart muawiyah
radiallahu anuhu ne unke bayan ko dhyaan Nahin diya ( al Aqd al-Fareed, Volume 3 page 300 )

Hadith#26
Phir muawiyah ka pegham aaye 6 logo ko maar diya aur aahde logo ko marne ka hukum ke sath uase ye
khete hue hamn hukum Diya gaya hai ke aap hazart ali radiallahu anuhu ko Inkaar kaar de aur hazart ali
radiallahu anuhu ko Lanat kare aur agar tum aisa karo ge to ham tume chod dege agar tum Inkaar
karoge to ham tume maar dale ge ( tarikhe tabarib volume 18 page 149 )

Hadith#27
Jab Marwan bin hakam madina me muawiyah ka governor tha to wo har jumme ke din mimbar se
hazart ali radiallahu anuhu ko Lanat karta tha hazart Hassan bin Ali radiallahu anuhu uase kaha Allah ke
rasool ne aap ke baba Hakam ko Lanat di thi tab aap andar they aur Allah ke rasool ne kaha is pe aur iske
bete pe lanat ( tarikh ul kulafa page 199 )

You might also like