Majlis Day 2

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 2

Mani - Swagat hai aap sabhi ka ek bar fir se Birla Institute of Management Technology ke 35

sthapana diwas ke karyakram mei. Hamara aaj ka din bhi  romanchak natak evam peshkash se
bhara hoga to apni apni jagah par baith jaye aur anand lijiye hamare aaj ke karyakram ka.  

Gaurav- Shuru karne se pehle main yaha maujood sabhi logo se agrahh karungi/karunga ki wo
apne mobile phones ko silent mode par dal le. Aur function ki recording ya tasveere na le. Main
valmor ki team se bhi agarah karungi/karunga ki wo discipline ka dhyan rakhe. 

Mani - Isi ke sath bina aur ek lamha barbad kiye chaliye aaj ke karyakram ki shuruat karte hai.
Main sabse pehle apne aaj ke chief guest (guest1) aur guest of honor (guest2) ka sawagat
karna chahungi. Aur unhe shukriya kehna chahngi/chahunga ki unhone hamare sansathan ke
karyakram ke liye samay nikala aur humare beech is din ki shobha badhane ke liye aa pae.
Aapka bahut bahut shukriya sir/ma'am. 

 Gaurav- Isi ke sath main (felicitator 1) se nivedan karna chahungi/chahunga ki wo aage aake
hamare guest of honor ko bhet pradan kare. Ab main (felicitator 2) se nivedan karna
chahungi/chahunga ki wo aage aake hamare chief guest ko bhet pradan kare. 

(After felicitation) Aapka bahut bahut shukriya. 

Mani- To swagat karte hain ek aisi team ka jinhone theater ki duniya kafi naam kamaya hai.
Jinhone chote sheron se lekar anatarashtriya manchon par bhi apna parcham lehraya hai. 

Gaurav- Ye ek aisi team hai jo smaj me badlaw ka naya nam ban gayi hai, aur badi hi bakhubi
se rudhivadi soch ko lalkara hai. Hum saubhagyashali hai ki ye team aaj humare beech
maujood hai. Aur hume inhe abhinaya karte hue dekhne ka mauka prapt hoga. To aap sabhi ki
zordar taliyon ke beech swagat karna chahunga Asmita Theatre Group ka. 

Mani- Aaj ki pehli kaahani aapko sann 1947 ka daur dikhane wali hai. Han thik samjha, ye wahi
daur hai jab desh ka batwara hua tha. Aur hindu, muslman jo hindustan me mil jul kar rehte the
wo matra ek lakeer se bat diye gae. 

Gaurav- To aaiye chalte hai us daur me aur samajhne ki koshish krte hai ki kaisa rahi hogi wo
sadi kisi bharatwasiyon ke liye. Zordar taliyon se sawagat kriye Asmita theater group ka, unki
peshkash “jis lahore na dekhya woh jamiya hi nahi'' ke sath. 

(play begins) 
(play ends) 

Gaurav- Sach much hila kar rakh diya. Ab samajh aata hai ki kitna mushkil raha hoga wo daur
bharat evam bharat vasiyo ke liye.

Mani- To ab mai aap sabhi ko ek poorva majlisian lalit nigam dwara majlis ke liye likhi beyhad
khoobsurat kavita se rubaroo krana chahunga/chahungi. Jo aapko majlis shabad ka matlab
samjhegi. To aaiye sunte is kavita ko. 

Mani- Ibarat ye dashak pahle ki hai,


Naaz…. Jisme aaj bhi,
Mustakbil bhi hain,kalakaar bhi,
Gaurav- Pharagat se dur,Salaahgar bhi,
Aks yeh unchai ka,
Majlis ki sacchai ka
Katar me the jo kabhi
Jabin pe unke taaj ka,

Mani- Baabasta aaj bhi hai


Majlis ka sar par haath aaj bhi hai,

Gaurav- Parivaar hain hum,hum ek deewar hain,


Shujaat hamare aatmabal me
Dhadkan me naam aaj bhi hai

Majlis bas ek samuday nhi


Ye hai ek parivaar…. 

dhanyawad.

Mani- Main ummed karti hu aap sabhi ko aaj ka karyakram pasand aaya hoga. Main aaj ke
sabhi kalakaro aur humare darshakon ka shukriya ada karna chahti/chahta hu ki wo sab
humare beech aaye aur BIMTECH ke 35 ve sthapana diwas ko yadgar bana diya. 

Gaurav- Main aaj ke apne chief guest aur guest of honor ka bhi dil se shukriya karna
chahungi/chahunga jo wo BIMTECH me padhare aur humare sath is karyakram me anat tak
humare sath bane rahe, sir/ma’am aap ka sabhi ka bahut bahut shukriya.  

Mani- Ab mei apne shabdon ko viram deti hun Ab aap sab hamare college mess ki taraf
prasthan karen ratri bhoj ke liye. Dhanyawad. 

You might also like