Shaheed Questions

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 2

What Is The Real Meaning Of SHAHEED And Who Is Real

SHAHEED?
Shaheed Ka Martabah Beshak Buhut Buland Hota Hai , Aur kehtay Hain Kay
Shaheed Hamesha Zinda Rehta Hain Marnay Kay Baad Bhi.................

Likin Sawaal Ye Peda Hota Hai Kay Asal Shaheed Hai Kon ? ........
Kyun Kay Shaheed Tou Zalim Banda Bhi Hota Hai Aur Masoom Banda Bhi ,
Ghareeb Bhi Hota Hai Ameer Bhi , Bachcha Bhi Hota Hai Aur Bara Bhi
WAGHERA ...............Kya Har Koi Shaheed Kehlaye Ga ?

Dosra Sawaal Ye Peda Hota Hai Kay Kya Shahadat Allah Ki Taraf Say
Milti Hai Ya Koi Bhi Shaheed Hosakta Hai.....................like kabhi kabhi
aesay loag shaheed hojatay hain jin ki past life gunahoon say bhari hoye hai
(recent accident).....aur agar Allah ki taraf say shahadat milti hai tou
kya iska matlab yai hai kay wo shaheed honay wala insaan jo dunya
main acha nahi samjha jata tha ek acha insaan tha ?

Teesra Sawaal Ye Peda Hota Hai Kay Kya Shaheed Admi Kay Saray
Gunah Maaf Kar Diyai Jatay Hain aur Kya Wo Baghair Hisaab Kitab
Kay Jannat Main Chala Jata Hai.........................

Aur agar aesa kuch nahi hota (3rd question main) then shaheed ko shaheed
kyun kaha jata hai aur shaheed ka matlab kya hai  ?

-------------------------------------------------------------------------------------
---------------

Question kafi tough hain .........................Mian buhut shukar guzaar honga


un tamam members ka jo upper diyai gaye sawalon ko apni knowledge say
solve karain gay ............       may be aur buhut say members kay zehen
main bhi is tarah kay questions hongay (both registered and hidden
members)

who is shaheed

hitman ji aap ne ek acha topic chuna hai. lekin ye bohot nazuk b hai ho
sakta hai k bohot sare members in sawalon ka jawab de sakta hon lekin aap
k question k nizakat ko dek kar chup b reh sakte hain. mere ilm main
shaheed k bare main jitni maloomat hain main aap se share karna
chahoonga. agar muj se khata ho jata hai ALLAH muje os ki maafi ata
farmaye.
shaheedon k 100 martabe bayan kie jate hain aur har ek martabe wale
shaheed ko jannat main alag maqam dia jata hai. aur ye baghair kisi hisab
kitab k direct jannat main jate hain. in martaboon main se chand daraja zeel
hain. lekin main tarteeb nahi bata sakta k kis qisim ka shaheed kon se
martabe main aata hai. ye mere ilm main nahi hai.

 bachpan main (baligh hone se pehle) agar koi mar jata hai, khwa wo
accedent ho ya koi aur waja wo shaheed kehlata hai.
 wo shakhs jis ki kamaie halal ki ho aur koi us se cheenna chahe. aur
wo us halal ki dawlat k difa main mar jaie wo b shaheed kehlata hai.
 agar koi shakhs kisi mujahid (jo k jihad k lie nikal chuka ho) k family
ki khidmat karne k dauran mar jata hai wo b shaheed kehlata hai.
 jo shakhs kisi hadse ka shikar ho kar mar jata hai wo shaheed
kehlata hai.
 sab se bare martabe wala shaheed wo hota hai jo jihad farz hone ki
soorat main wo ALLAH k rah main kafiron k khilaf lar kar kafiroon k
hathon qatal ho jata hai.

aur is tarha chalte chalte 100 martabee ulamaie kiram zikr karte hain.

note: shahadat k lie ye lazmi juz hai k marne wale ne kabi bi kisi doosre
muslim ya non muslim k haq par dhaka dala ho. q k ALLAH kabi bi
haqooqulibad maaf nahi karta jab tak k wo banda khud os ko maaf na karde.
aur qayamat k din on se os gaq k bare main poocha jayega.

aur haqooqullah agar ALLAH ne chaha to maaf kar dega.

You might also like