Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 7

Bhagavan hain kaha

By Jagadish

Allah tero naam

Ishwar tero naam

Kaha se karoo shuruvat

Tu hi bata de is baar

Allah tero naam

Duniya dekhi badi hi ulat pulat hain

Kaam karne ka tareeka anokha hain

Jis duniya mein main rahoo

Waha par visfot hain

Bachoo to main kaha bachoo

Tere dwaar pe aakar ruku

Allah tero naam

Ishwar tero naam

Kaam karna to chaha

Par guilistan apna hi na raha

Kasme vade dekar ke

Bana diya mujhko na insaan

Jis kaam ki talaash mein main nikla

Who bhagavan ka swaroop nikla

Allah tero dwaar

Ishwar tero dwaar


Behan bhai apne nahi the

Bhagavan kop yare hog aye

Kiya kuch bhi nahi bas tere dwaar par tike

Musibaat aan padi to do chaar kasme khaye

Aur raam aur Rahim ka naam lekar chal base

Allah tero naam

Ishwar tero naam

Bhagavan ki murat pyari

Hum us par nyota dekar chal diye

Pyare the who insaan

Jo apni naukri na karke

Desh sudharne ke charche kiye

Par desh ka bulava jab aya

To dharm prachaar ki bate sunakar

Sab auroto ko vidhwa bana diya

Alllah tero naam

Ishwar tero naam

Duniya dekhne ke tareeke anek

Meri majboori bhi bas ek

Jis disha par main paisa kamane gaya

Waha par dharm prachar karna pada

Akela to nahi tha par saath mein the dostana

Hamesha ki tarah kaam kya dharm ka

Phasi ke takhte par kurbaan hona pada

Allah tero naam

Ishwar tero naam


Jo bhi kaam is duniya mein mile

Use nibhana to chahiye

Par aise kaam hi milte hain

Jaha par watan ka naamkaran karna padta hain

Yeh bhi kya kaam hain jo nyota dena padta hain

Dharm ke naam pe sankat hain

Aur uska koi bhi samadhaan nahi hain

Allah tero naam

Ishwar tero naam

Kaam hum apni matrubhumi ka karte hain

Par chain khona padta hain

Yeh kaun sa kaam humko diya

Jo bhagavan ki murti sajane mein

Apna balidaan dena pad chukka

Allah tero naam

Ishwar tero naam

Mati mitti ke saput hain

Par dharm ke naam par vidroh hain

Yaha par aneko charche hain

Par kisi ke hosh bade nirale hain

Jab bhi gata hun naam

Shuruvat tumhi se chaahoo

Har din jap mala pehna

Hoti hain kurbani tere naam par

Allah tero naam

Ishwar tero naam


Desh chalana to door ki baat hain

Main to istifa dena chaahoo

Karoo bhi to kya kaam

Desh seva hi hain bada upkaar

Dharm par naamkaran hain

Badle main mujhe kya mila

Desh seva to main jaroor karoo

Nare baji kiska loo

Allah tero naam

Ishwar tero naam

Duniyadari ka mamla hain

Par vatan par dhoke baji hain

Chain sabka luta par main kisko mila

Aatank machana pad raha hain

Desh seva karne wale logo hi to marte hain

Main unse kya jhagdoo we apne hi to hain

Allah tero naam

Ishwar tero naam

Jaha bhi jata hoon insaan hi to milte hain

Bhagavan ko bhi nahi choda

Main kaha par jake rovu

Bhagava ki murat bhi insaan jaise dikhti hain

Kaha par seema hain kaha par nek dil hain

Allah tero naaam

Ishwar tero naam


Bhagavan hain tu kaha

Main a jau tere dwaar

Kahani suna deta hain har baar

Meri daastan chaukhat pe hi utaar

Jis desh ka main rakhwala

Waha par teri hi hukumat Chaya

Aisa mera desh hain

Kaam kya karoo fizool kharchi hain

Allah tero naam

Ishwar tero naam

Jis disha se log mujhe bheje

Karna hain mujhe bas bhagvaan ka naam karan

Kaam ki koi seema nahi

Bas karte jau bhavan ka jap mala lekar ninda

Is bhagvan ko loota

Is bhagavan se liya

Kiya kuch kaam nahi

Bas dharm ka prachar karke

Kamana shuru kar diya

Allah tero naam

Ishwar tero naam

Is duniya mein kaam koi nahi deta

Bas dharm ka prachaar karte raho

Aur gana bajate raho

To kaam apne aap hi mil jata hain

Sabki duaye lete jao


Aur bhagavan ka naam lekar

Apni shaadi dhoom dhaam se machao

Allah tero naam

Ishwar tero naam

Bacho ko bol doo

Ki karna kuch bhi nahi

Bas dharm prachaar karo

Aur us par munafa kamao

Jo bhi bachta hain doosro ko do

Aur job hi milta hain use khud le lo

Naukri apne aap lag jayegi

Bas dua hain sabki

Allah tero naam

Ishwar tero naam

END OF BHAGAVAAN HAIN KAHA

You might also like