Mahipal

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 2

MAIHIPAL.

Umr 43-45 saal. Kiran ke pita hai. Kam padhhe likhe kisan hai. joint
family mein maante hai. bure nahi hai lekin aadhunik bhi nahi hai.
badalte waqt ke sath wo khud badal nahi paaye. Maa Rajjo ka bahot
prabhav hai Mahipal par. Wo unki har baat hukam samajhte hai. beti
Kiran se bahot sneh hai lekin uski har baat se wo sammat nahi.
Waise shant hai lekin Parivar ki izzat par baat aati hai tab unka
khoon khaul jata hai.

Patni aur bachcho se jyada wo apne mata-pita ka mahatv hai.

Mahipal : hum kisan hai, aur ghar se khet ki duri jitni hi hamari
duniya hai beta. Baat padhhai ki nahi baat bhalaai ki
hai, aur mai itna jaanta hun ki hamari bhalai hamari
duniya mein hi rahene se hai.
Ye badi badi baate, ye kitabi gyan – meri to kuchh samajh
mein nahi aata, aur samajh ke karna bhi kya hai ?
Ghar hai, Parivar hai, sab ko sambhalna hai – ye sab kam
jimmedari hai kya ?
Padhhai to Pankaj ko bhi karni thi – karne di – ek din
bole ki Shahar jana hai – kisani karne mein sharm aa rahi
thi use – Naukri karni thi Shahar jakar – bada saab banna
tha use – kya hua ?
Saade tin saal jindgi ke barbad karke wapas apne gaanv aa
gaya ! aaj kisani karke khush hai. chein ki nind sota
hai. jo bhi hua, wo ladka tha. Thokar khakar bhi ghar
wapas aa gaya, tum ladki ho beta ! tumhe aise kaise
Shahar bhej de akele !
Hamari baat maano to behtar hoga. Dadiji tak baat gai to
fir mai bhi kuchh nahi kar paauga.
Gaanv mein iskul thi utna padhhne diya na tumhe ! mujh se
aur Dadaji se jyada padhh liya ab kya hai ?
Ab ghar baitho, maa ko kaam mein haath bantaao.
Mere liye to bada din wahi hoga beta, jab aap ki doli iss
ghar se jaayegi. Sapne sirf tumne to nahi dekhe ! hamare
bhi kuchh sapne hai, bas aap khush raho, apna ghar-
parivar basaao bas -

You might also like