Bal Ram Katha Script T1 6D

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 4

Narator(nitya)- Namashkar adhyapikaon or mitron apka

Hardik swagat he ye katha avdh ki he aor bohot purani he


avadh suryu nadi ke kinare ek bohot sundar nagar tha. Vahan
sab sukhi the esa to hona hi tha kyunki raja dashrat wahan ke
raja jo the.Unki teen ranian thin Kaushalya, Sumitra, keykey .
unke char bete bhi the Ram, Lakshman, bharat ,or shatrugh.
Jab vo bade hue to bhagvan ram ki shadi ma seta se dhoom
dhamse huepar vo Khushi zada der nahi rahi kyunki ram ke
rajy abhishek se pehle keykey ki dasi manthra keykey ke pas
jati he or keykey ko raja dashrat ked iye vardan ki yad dilate
hue kehti he-
Manthra(navya)-yahi uchit avsar he apne putr bharat ko
ayodhya nagri ka raja banane ka or ram ko van bhejne ka.
Narator(nitya)- jab raja dashrat wahan pohonche vahan unhe
keykey milin weh udas thin raja ne unse poocha
Raja Dashrat(ananya)-kya hua keykey tum itni udas kyun ho ,
mujhe batao me tumhe samjhunga tum meri sabsi priy rani
ho .
Keykey(kimmaira)- me apse vo do vardan lene aayin hoon.
Raja Dashrat(ananya)-me vardan bilkul poora karunga ram ki
saugand.
Keykey(kimmaira)-Mere pehla vardan bharat ka rajy abhishek
or mera doosra vardan ram ka vanvas.
Narator(navya)-ye sun sab jagah shanti phel gayi mehl kea
lava kisi ko ye bat pata nahi thi . us rat koyi nahi soya parantu
agle din.
Ram(medha)-Kya mujhse koi apradh hua he. Koi kuch bolta
kyun nahi, aap hi batayie mate?
Keykey(kimmaira)- Maharaj Dashrath ne kaha tha ki vo mujhe
do vardan the diye or mene kal rat vo do vardan mang liye he
lekin vo ab use poora karne se mukar rahen hen.yeh shastr
sammat naahi he. Ye raghukul ke virudh he. Me chahti hun ki
bharat ka rajy abhishek ho or tumhe chauda varsh ka vanvas.
Narator(navya)- Ram sayant rahe unhone dhridta se kaha-
Ram(medha)- Pita ka vachan zaroor poora hoga bharat ko raj
gaddi milegi or me aaj hi chauda varsh ke liye van chala
jaunga.
Narator(nitya)-Ram ki sadhi hui vandi sun keykey ki chehre pe
muskan aa gayi. Uski ikcha puri ho gayi. Raja dashrat jo abhi
tak chupchap sab kuch dekh rahe the unke muh se sirf ek
shabd nikla dhikkar.ram apni maa ke pas gaye unka man tha
ki vo ramko rok len par ye uchit nahi tha.lekin ram or
Lakshman me vartalab jari raha
Lakshman(vainavi)-Aap Bahubali se rajysinghasan cheen lijiye
dekhte hen ki apko kon rokta he, adharm ka singhasan mujhe
nahi chahiye me van jaunga mere liye jesi rajgadi vesa hi van.

Narrator(navya) Abhi tak ye khabbar seeta tak nahi pohonchi


thi. Jab ram ne aagya mangi to veh krodhit huyin or unne
sath jane ka prastav rakha.
Seeta(kaashvi)-mere pita ka adesh he ki me Chaya ki tarah
apke sath rahoon.
Narator(nitya)-Ram ko unki bat manni padi or tab Lakshman
bhi vahan aa gaye sath jane ke liye . ram ne unhe jane ki
anumati de di aur shighr tayiarian karne ko kaha.unhone seta
ma ko rokne ke liye ek aur prayas kya
Ram(medha)-seete van ka Jeevan bohot kathin he , na rehne
ka theek sthan, na bhojan ka thikana, kathinayian kadam
kadam par tum mehlon me pali badhi ho esa Jeevan kese ji
sakogi vo bhi chauda varsh tak?
Narator(nitya) – ram van ja rahe hen ye bat pure nagar me
phel chukithi sabhi naagar vasi keykey aur raja dashrat ko
dhikkar rahr the.jo bhi utsav ki tayiarian thin vo dukh se ghir
chukin thin. Vo unhe van jane se rokna chahte the par bebs
the . veh apne pita ke kaksh me gaye to veh uth ke beth gaye
or bole
Raja Dashrat(ananya)-putr meri matii mari gayi he me
vachanbadh hun, esa nirnay karne ke liye vivash hoon par
tumhare upar koyi bandhan nahi he mujhe bandhi bana lo or
raj sambhalo ye rajsinghasan tumhara he sirf tumhara.
Narator(navya) – yeh sun ram ne bola
Ram(medha)- antrik peeda apko esa kehne par vivash kar
rahi he mijhe rajy ka lobh nahi he me esa nahi kar sakta aap
hume Ashirwad deke vida karen.vidayi ka dukh sehn karna
kathin he ise or na badhaen.
Narrator(navya) – Us beech keykey ne ram Lakshman or seta
ko valkal vastr diye . itni der jo maharishi vashisht shant the
vo krodh se bole agar seta van jayegi to pura nagar unke sath
jayega bharat ko raj karna he to use karne do lekin yahan ek
bhi pashu pakshi nahi rahega agar seta nahi rahegi or yahan
se shuru hoti he unki van yatra.Dhanyvad

You might also like